- 12,581
- 10,491
- 214
Index
Chapter 1 :Ulajhte Raaste
Chapter 1 :Ulajhte Raaste
Chapter 2: Wo Ladki Kaun Hai?
Chapter 3: Shayad
Last edited:
kai baar apne sath kuch sahi karne ke liye..Update 14
"Ye flat... Yahan kisi victim ko rakha gaya tha na?"
Maine Sugandha se sawal kiya aur flat ke bedroom ki taraf badh gaya... Uska jawab sune bina hi mujhe apne conclusion par poora bharosa tha...
Bedroom ka darwaza thoda jam tha... Maine tgoda dhakka diya to khul gaya... Kamre se chemical bleech aur kuch jalne ki buri badboo aa rahi thi...
Kamre ke ek kone me ek lohe hibalti ki taraf meri nazar gayi... Maine apna rumal nikala aur balti ki rakh me ssuragh dhundne laga...
Kuch kapdon ke adhe jale hisse, ek tooth brush ka adha jala handle... Ek plastic ka tukda jo hair brush maloom parta hai... Kuch documents... Ek dawai ki bottle aur ek towel... Jo bhi yaha se gaya hai... Jaldbazi me gaya hai...
Kamre ke bich-o-bich ek single bed tha jispar bedsheet nahi hai... Ek chhoti almari hai jisme kapde nahi hai... Kamra baki khali hai... Par ek kone me ek shelf hai jisme duniya bhar ki books rakhi hai... Kuch kahaniyo ki kitabein... Kuch badi hastiyon ki jeevni... Khana banane ki recipe... aur bhi pata nahi kya kya...
"Ahingsha paramo dharma"
Maine man hi man Smriti ki kahi baat dohrayi aur Gandhiji par adharit koi kitab dhundta raha... Mila bhi... Maine uske har panne ko ulat palat kar dekha... Covering utar di... Par koi faeda nahi hua... Mai pareshan hokar baitha hi tha ki mere phone ki ghanti baji...
Maine phone nikal kar dekha to :"Private Number" display ho raha tha... Mera dil baith gaya... Mujhe apni zindegi ki sabse badi bhul yaad ane lagi... Mujhe pata tha ye kiska phone hai... Pichle 10 dino se jo paap mai kar raha hoon uska fal bhugatne ka waqt aa gaya tha...
1 Mahine Pehle...
Meri pehli posting ke lagbhag 3 saal bit chuke the... Aur ab kisi bhi waqt mere promotion ka process shuru hone wala tha...
Mai jab bhi is baat ko sochta mera aham dugna ho jata... Mere papa jo sub inspectior rehke retire huye mai unse ek aur kadam age nikal gaya...
Meri pehli posting ek shant jagah par huyi thi... Kabhi kabhar kuch political mar dhad ho jati... Par police hamesha late hi pohochti... Aur mera ek hi statement tha media walon ke liye...
"Hum tehkiqat kar rahe hai..."
Karib 6 mahine pehle yaha ek chhodi huyi... Chhoti si district ke hisab se chhori kafi badi thi... 10 lakh ke gahne aur cash... Maine poora zor lagaya aur pakad liya salon ko... Lagbhag 8 lakh ka maal baramad huya... Mai raaton raat hero ban gaya...
3 mahine pehle ki baat hai... Delhi se center ka ek minister Raghuvash Rai ane wala tha... Security ki zimmedari mujh par thi... Maine jaan laga diya impress karne ke liye... Akhir meri agli posting acchi jagah par hona na hona isi baat par nibhar kar raha tha...
Sab kuch thik thak nipat gaya... Par shaam ko mujhe Raghuvansh se milne ke liye bulaya gaya... Mai soch me par gaya mujhse kahin kuch galti to nahi ho gayi...
Mai yehi sab sochta sochta unse milne pohncha... Ek naukar mujhe unke office tak le gaya... Kamre me 2 log maujood the... Ek Raghuvansh aur ek Senior police official jinhe mai janta tha...
"Don't be so formal Kabir... Sit..."
Senior officer ne mujhse kaha...
Mai Raghuvansh ki samne wali chair pe baith gaya...
"Dekho Kabir... Mai ghuma fira kar baat karne wala insaan nahi hoon... Mai tumhe kuch zaroori kaam saunpna chahta hoon... Samjh lo... Kuch personal kaam..."
Mera dil ucchal para... Center ka Minister mujhse kuch kaam karwana chahta hai... Badle me... Mujhe bhi to kuch dega... Promotion... Recommendation... Mera dimag Race ke ghode ki tarah bhhagne laga...
"Haan sir... Kahiye na..."
Raghuvansh halka sa muskuraya aur mere senior ki taraf ishara kiya... Unhone 2 file mujhe saunp di... Maine pehle file ko khol kar dekha to usme Aditya ki photo aur kuch jankari thi... Uska chehra dekhte hi mera khun khaul utha... Duniya me mai jisse sabse jyada nafrat karta hoon uski tasweer dekh kar mujhe kaise khushi mil sakti hai...
Maine dusri file ka pehla panna palta to mere gusse ke badal chhat gaye aur mai hairani me dub gaya... Ye file Smriti par thi...
"Mujhe lagta hai in dono ko tum jante ho... Hai na Kabir?"
Mai sann reh gaya... Par jyada sochne ka waqt nahi tha...
"Ye dono mere college ke waqt ke dost hai..."
"Dost... Hmmm..."
Raghuvasnsh ke chehre par ek kutil muskan thi...
"Kabir mai chahta hoon tum in dono par mujhe kuch information lakar do... Aditya ke hath koi badi macchli lagi hai... Aur ye Smriti... Shayad isine ye sari information Aditya ko di hai... Mujhe wo sari information chahiye Kabir..."
Mai dang reh gaya... ye mujhse kya karne ko keh raha tha... Jasoosi karne ko keh raha hai... Nahi nahi mai aesa nahi kar sakta... Mai Smriti ko... Dhoka nahi de sakta...
Kyun nahi de sakta... Akhir lagti kaun hai wo teri
Mai apni hi man ki awaz se dar gaya... Ek taraf Aditya ke taraf meri nafrat aur ek taraf Smriti ke prati mere pyar ne mujhe do hisso me chhir kar rakh diya...
"Dekho Kabir... Ye koi aesi posting nahi hai jiska zikr tumhari postings ki list me ayega ya jiski wajah se mai tumhara naam kisi Gallantry award ke liye suggest kar sakun...
Par haan... Agar tum meri madad karoge to tumhare liye mai kayi darwaze khol sakta hoon... Jaise hi tum mujhe information deliver kar doge... Tumhari nayi posting tumhe mil jayegi... Tum chaho to Delhi me bhi tumhari posting ho sakti hai.."
Raghuvansh aur mera Senior bolte rahe... Unki baatein mere kaano me zeher ki tarah utar rahi thi... Mai gardar jhukaye files ki taraf ghurta raha... Sari takleef sare zasbaat sab kuch do ankhon me gum ho gaye...
"Ok sir... I will do it..."
Raghuvansh jo bhi bol raha tha... Bolte bolte ruk gaya aur mere senior kuch ishara kiya...
"Ye tu kya kar raha hai Kabir... Smriti ko dhoka dega... Aur wo bhi kis liye..."
Mere andar marti achayi ne mujhe ek akhri baar bachane ki koshish ki... Maine Smriti ki photo ko dekha... Mera aham chhur chhur hokar mere pairon par bikhra tha... Mai jis deewar ko 6 saal se bari mushkil se banaya hua tha... Toot gaya...
Aditya chahe apni jagah par kitna hi taqtwaar kyun na ho... Agar usne kuch galat kiya hai to mai dhund nikalunga... Dikha dunga Smriti ko ki usne Aditya par bharosa karke kitni bari galti ki hai...
"Aur usne kuch galat nahi kiya hoga to?"
Ek akhri awaz... Meri acchayi ki... Jiska gala maine usi pal ghot diya...
Vartman....
Mai abhi bhi deewar ki taraf khali nazron se dekh raha tha... Phone aur ek baar baja aur fir band par gaya...
"Sahi kaha tha tumne Smriti... Do not trust Anyone... Wo Anyone... Mai hoon!!!"
Ab story interesting hoti jaa rahi h..Update 15
"Nahi... Nahi... Mujhe kuch karna hoga... Situation sambhalni hogi..."
Maine chehre par hath fira kar paseena pocha aur hath me phone leke sochne laga ki kya karna hai... Tabhi mera phone dobara baja usi private number se...
Maine phone hath me liya aur apartment se niche bhaga... Sugandha aur Anubhav meri taraf hairani se dekhte rahe...
"Hello... Hello Sir..."
"Kabir... What Nonsense... Mai kabse tumhe phone mila raha hoon... Phone kyun nahi utha rahe ho tum..."
"Sir wo mai... Mai ek musibat me fans gaya hoon... Mere upar..."
"Haan I know... Mai usi silsile me tumse baat karna chahta hoon... Kya tum itni jaldi bhul gaye ki timhe kis kaam se humne Mumbai bheja hai?"
"Nahi sir... Mai... Mujhe arrest kar liya gaya tha... Abhi chhuta hoon... Kal Special Court me peshi hai meri... Sir mujhe kuch samajh nahi aa raha ki mai kya karun... Kahi in logon ko ye to nahi pata chal gaya ki mai ap ke liye..."
Maine jaan bujh kar is baat ko kaha taki mera senior jo mujhe dhamka raha tha wo khub bhi thoda soch me par jade...
"Listen Kabir... Pehle mujhe ye batao akhir ye sab hua kya... Jo news media me faili hai kya wo sach hai... Ya fir ye koi cover up hai Aditya aur uske DCP ka?"
"Nahi sir... Ye koi cover up nahi... Party me Drug Mafia ne hi hamla kiya tha... Anubhav ne bodies identify ki hai... Opposition leader ne unse apna koi bond tod liya isi khunnas me un logon ne..."
"Kabir... Careful... Kya tum humse kuch chhupa rahe ho?"
"Nahi sir bilkul nahi... Mai apse kyun kuch chupaunga..."
"Nahi mujhe laga kahi hawa pani badalne se tumhare andar desh bhakti to nahi jag gayi..."
"Are nahi sir kya baat kar rahe hai ap... Mai sach keh raha hoon sir... Mujhe jo bhi information milti hai mai apko deta rehta hoon... Par pata nahi kab tak... Kal shayad mera transfer ho jaye..."
"Don't worry Kabir... Tum uski tension mujh par chhod do... Tum to bas apne kaam par dhyan do... Tumhara case mai withdraw karwa dunga..."
"Ok sir... Thank you sir... Mai poori imandari se apna kaam karunga"
Maine phone rakha aur ek gehri saans chhodi... Mere pass yehi ek option tha... Agar mujhe job par bane rehna hai to mujhe Raghuvansh aur uske chamche ka sath chaiye tha... Kyunki is naukri ke bina mai Smriti ke liye kuch nahi kar paunga...
Aur agar Smriti ke liye kuch karna hai... To uske bhai ka uske doston ka sath chahiye... Aur Aditya ka bhi...
"Ahingsa Paramo Dharma"
Mai yehi dohrata hua upar gaya aur sidhe us bedroom me ghus gaya...
"Are tum kaha chale gaye the..."
Sugandha ne awaz lagayi...
"Maa se baat kar raha tha... Mere liye pareshan hai..."
Mai itna keh kar har kitab ko chhan kar dekhne laga... Khas kar un kitabon ko jo Gandhiji ki hai ya un par adharit hai... Par kahi kuch hath nahi laga...
Mai almari ki taraf gaya aur uske shelfs me dekhne laga... Maine ek shelf ko hilaya to piche ki deewar me ek chaukon lakri ka hissa sarak gaya... Maine usme hath dala to wahan mujhe ek "Geeta" mili... Use hath me lete hi mujhe uski binding me kuch mehsoos hua... Maine binding se kitab panno ko alag kiya to mujhe andar wo pendrive mili jiske piche itna bawal ho raha tha...
"Sugandha... Laptop lao..."
Mai kamre se bahar aya aur wo packet nikalte huye kaha... Sugandha mere hath me pendrive dekh kar samajh gayi aur ekdum se niche bhagi...
Maine kuch documents Anubhav ko thama diye aur kuch documents mai khud khangalne laga... Mere hisse jo documents aye the unme page der page bas codes numbers aur location ke coordinates the...
Anubhav jin panno ko dekh raha tha unme se kuch par Medical procedures likhe huye the... Kuch human body parts ki photo thi... Kuch machinery ki photos aur ek letter...
Sugandha itne me laptop le ayi... Maine usme pendrive dala... Mai thoda hairan tha ki usme koi password nahi tha... Pendrive ke folders pe bhi waese hi numbers se marking ki gayi thi... Maine ek file kholni chahi to password mangne laga...
"I think ye codes password hai in folders ko kholne ke liye... Sugandha... Please tum try karo..."
Sugandha ne ek pal me mujhse computer chheen liya aur codes try karne lagi...
"Sugandha criminal cases ke sath sath taxation me bhi bohot mahir hai... Codes numbers in sab me use bohot ruchi hai... Ek baar agar koi number dekh le use ampne dimag me chhap leti hai... She never forgets a number... Puri contact list mooh zabani yaad hai..."
"Kya ye ladkiyon me aam baat hai?"
"Kya?"
"Yahi... Cheezein yaad rakhna... Smriti ko incidents yaad rehte hai... Wo bhi hubahu... Ditto... Kaha kisne kaise kya kaha kya suna..."
"Fir to tum bari musibaat me fans jate hoge nahi..."
Pata nhi kyun mai itni mushkil situation me bhi hans para...
"Chup chap reh sakte ho to raho warna nikal jao idhar se..."
Sugandha ki dant se maine aur Anubhav ne fus fusana band kar diya...
Wo codes identify karke folders to khol rahi thi... Magar jyadatar unme se aur files aur un files me junk codes ke alawa aur kuch nahi mil raha tha...
Karib 2 ghante koshish karne ke baad hume ek video mila... Sugandha ne video on kiya... Video ki shurwat me ek medical room dikh raha tha... Kuch doctors aur nurses operation room me khade the... Unka chehre par mask tha... Ek ladki ko operation bed par bandha hua tha... Wo behosh thi aur zakhmi bhi... Ek doctor ne pass rakhe ek chart ko uthaya aur uski information padhne laga...
"Specimen No: 2363AD456
State: Rajastha
Taken: By Boyfriend on the way to School
Status: Virgin
Requirements: Homonal Treatment
Remarks: To be sold in 6 Months!!!"
Maine video me us ladki ki taraf dekha... Mushkil se 18 saal ki hogi... Gaal par ek kaala neela nishan tha... Aur kayi kafi kamjor dikh rahi thi... Mera dil paseech gaya...
Us doctor ne ek nurse ko ishara kiya... Nurse ne us ladki ko injection diya... Ladki ko dhere dhere hosh ane laga... Jaise hi uski ankh khuli wo chhutne ke liye chatfatane lagi... Uske hath aur paon strecher pe bandhe huye the aur mooh par bhi patta lagaya hua tha...
Mujhe najane kyun sara gussa us nurse par aa raha tha... Ek aurat ho kar dusri aurat ke sath aesa kaise kar sakti hai ye...
Us nurse ne ek tattoo gun hath me liya... Wo ladki aur buri tarah chatfatane lagi... Uski awaz uske galae me hi dabi reh gayi par mere kano me uski cheekhin gunjne lagi...
Wo nurse uski kalayi pe koi tattoo banane lagi... Karib 20 minutes tak wo ladki dard me chatfatati rahi... Sugandha aur dekh nahi payi aur Anubhav ke gale lag kar rone lagi...
Wo ladki rote rote firse behosh hone lagi... Tabhi dusre admi ne ek dusri gun nikali... Ye tatoo karne wali gun se thodi alag thi... Mai dhyan se video me dekhne laga... Us admi ne ladki ke gown ko kandhe se utar diya aur gale ke nichle hisse jahan se kandha shuru hota hai... Wahan alcohol se saaf karne laga...
Wo ladki chhune se fir se darne lagi aur chatfatane lagi... Do aur admiyon ne use bed se daba diya taki wo hil na paye... Aur us gun wale admi ne uski garden me kuch push kiya...
"Tracker... Wo ladkiyon body me tracker dalte hai!!!"
Dopeher tak... Chapter 3 startingUpdate kab tak aayega
Dopeher dhal kar shaam ho gayi aur update hazir haiKon si dopeher kahi thi aapne ye to puchna hi bhul gaye aapse aaj ki thi ya kal ki
superb updateChapter 3: "Shayad"
Update 17
Smriti..."Please... Please mujhe drugs mat do... Mujhe jane do..."
"Nahi... Mai apne bacche ko nahi dungi... Nahi dungi mai..."
"Please mujhe jane do... Mere maa bauji mera intezar kar rahe honge... Mai aesi ladki nahi hoon..."
"Nahi... Nahi... Mat maaro mujhe.... Mai mar jaungi..."
"Mujhe ye sab nahi karna... Mujhe ghar jana hai..."
Mei ankhon ke age andhera chhaya hua tha.. aesa lag raha tha kisine mere hath paon bandh rakkhe hai aur mujhe charon taraf se ladkiyon ki cheekhne ki awaz sunai de rahi hai...
Kisika rape ho raha hai... Kisise uska baccha chheen liya jaa raha hai.... Aur kisike sath itna bura ho raha hai ki mai dekh nahi paa rahi...
Achanak kisine mera gala dabaya aur meri ankhon ke samne tezz roshni chha gayi... Mera dum ghutne laga... Mere hath paon nam par gaye... mere sharir ka sara khun mere sir tak akar ruk gaya aur mai hosh khone lagi...
"Smriti mam ap thik ho na? Ye... Ye apko kya ho raha hai... Suman jaldi aa..."
Ek jani pehchani awaz mujhe dur se sunai dene lagi...
"Oh god di... Easy... Easy... Ap shant ho jao... Ek jani pehchani awaz ne mera hath tham liya... Ek pal... Bas ek pal ke liye meri gardan par us admi ki pakad dheeli huyi aur mai us mauth ki neend se bahar aa gayi...
"Di... Ap thik to ho na..."
Suman ke chehre par pareshani ke bhav the...
Mai abhi bhi apni saason par kabu pane ki koshish kar rahi thi...ere poore sharir me tezz jhan-jhanahat mehsoos ho rahi thi... Meri peeth par jahan mujhe goli lagi thi wahan se ek tezz dard mujhe fir se behosh hone ko keh raha tha... Par mere aas pass do apno ke hone se mere dil ko thodi shanti mili aur maine khud ko dhere dhere aambhal liya...
"Mai... Kabse... Kitne dino se... Behosh hoon Suman... "
"Di... Ap pehle let jao... Aur stress mat lo"
"Haan Mam... Ap please aram karo..." Yasmeen ne mera hath thamte huye kaha...
Mujhe dono ki baat man-ni pari... Mai aram se let gayi... Suman ne mujhe koi injection lagane ki koshish ki to maine uska hath pakad kar na me sir hilaya...
"Bina behosh kiye bhi tum mera treatment kar sakti ho Suman"
Maine sakhti se Suman ko kaha to wo aur kuch nahi keh payi...
Jab tak behosh thi ek baat thi par ab hosh ate hi hazaron khayal dimag me race ke ghoron ki tarah daudne lage hai... Kya kyun kaise kaha... Ronny... Ronny ka khayal ate hi us raat party ki ghatna ankhon ke samne ghum gayi...
Pata nahi Shoiab kahan hai kya kar raha hai... Kaisa hai... Kya wo wahi kaam kar raha hai jo mujhe lagta hai... Kya wo surakshit hai?
"Di... Apko apne diabetes wali baat family se nahi chhupani chahiye thi..."
Suman ki baat se mera dhyan toota... Par maine koi jawab nahi diya...
"Agar us din Kabir bhaiya help nahi karte... To shayad mai apke liye kuch nahi kar pati..."
Kabir... Kabir ka nam sunte hi dimag me ek saaf chhabi uski taiyaar ho gayi.. jaise wo aur mai kabhi alag huye hi nahi... Wo dard taqleef... Mera use maaf na kar pana... Aur fir khud ko maaf na kar pana... Sab jaise kisi dusri zindegi ki baatein lagne lagti hai...
Par kyun? Kya ye mera guilt hai jo mujhe pichle 6 saalon se khaye jaa raha hai... Ye fir uske prati mera pyar hai jo use samne dekh kar theher nahi pata... Par itna bada faasla hai hum dono ke bich aur na jane kitne gile shikwe... Par dil hai ki uski tasweer abhi bhi utni hi saaf bana deta hai.... Hadd hai!
"Mam... Ap thik to ho na... Mai bohot dar gayi thi... Apko kuch ho jata to... Pata nahi mere jaisi kitni ladkiyon ki zindegi ki ek akhri umeed toot jati"
Yasmeen ne mera hath thamte huye kaha... Mai kya kahun mujhe kuch samajh nahi aa raha tha...
Shoiab ko Yasmeen ek Rescue operation ke dauran mili thi... Us waqt uske shareer me tracker dala raha hi raha tha ki Shoiab ki team ne raid daal di...
Yaasmeen is dard bhari duniya me wo khush kismat ladki hai jise tootne se pehle hi bacha liya gaya... Yaasmeen bas kidnap huyi aur uspar kuch dawaiyon ka asar tha... Par na uspar mad dhad huyi na Rape na aesi koi cheez jo use andar tak tod de...
Bohot himmatwali... Par duniya me akeli... Lekin ab nahi... Pichale kuch mahino se wo Suman ke sath rah rahi hai... Dono me acchi dosti hai... Aur Yaasmeen khush hai... Mai jab bhi use dekhti hoon ek asha ki kiran mere dil me bhi jal uthti hai ki shayad... Shayad mai aese hi der hone se pehle kuch aur ladkiyon ko bhi bacha paun...
"Tum chinta mat karo Yaasmeen... Mujhe kuch ho bhi gaya to bhi ye mission chalta rahega... I promise..."
Maine Yaasmeen ke hath par apna hath rakha par wo meri baat sun kar rone lagi... Wo mujhe bohot manti hai... Aur mujhe kuch ho jane ka khayal use bilkul accha nahi laga...
Kabhi kabhi mujhe bohot darr lagta hai... Kya inlogon ne jo ummed mujhse lagayi hai... Mai uspar khadi utar paungi... Yaasmeen, safe house ki 9 ladkiyan jinhe rescue operations ke daura bachaya gaya tha...
Apni team sabki ummedein mere kandhon par itni bhari lagti hai kabhi kabhi... Par jab bhi mai kuch yaadon ko apne dimag me dohrati hoon... Har baar khud ko pehle se jyada taqatwaar mehsoos karti hoon...
Maine Yaasmeen ke sir par hath firaya aur use chhup karaya... Sach kahun to mujhe bhi is waqt rone ka man ho raha tha... Par ye na to sahi jagah hai nahi sahi waqt...
"Hello... Haan... Oh my god... Haan... Ok... Haan mai taiyaar hoon..."
Suman ko kisi ne call kiya tha... Uske phone uthate hi uske chehre par kayi zasbaaton ki jhari lag gayi... Kabhi khushi kabhi gussa kabhi darr aur kabhi bebasi...
"Kya baat hai Suman..."
Suman ke hath phone ko kat te waqt kanpne lage... Mera dil bhi darne laga...
"Di... Mujhe jana hoga... Yaasmeen tu di ke sath reh... Mujhe jana hoga..."
"Are kya baat hai wo to batao Suman" maine use dat-te huye kaha...
"Di... Kabir aur Anubhav bhaiya ko wo pendrive se ek location mila... Un logon ne wahan se ek ladki ko rescue kiya hai... Mujhe wo log wahi bula rahe hai... Shayad koi mujhe lene bhi aya hai... Doctor Gupta ka pata nahi chal paa raha... Wo log keh rahe hai ki mujhe hi operate karna hoga tracker ko"
Suman bag me kuch zaroori saman dawaiya daal rahi thi... usne ek sans me itna kuch bata diya... Mere chehre par bhi wahi bhav ubharne lage jo Suman ke chehre par the...
"Kabir... Kya wo... Unke sath hai?"
Maine Suman se pucha...
"Haan... Unhe goli chhu kar nikli hai... Par thik hai... Mai chalti hoon di..."
Suman hawa ki teezi se nikal gayi... Aur mujhe hazaron sawalon ke sath chhod gayi... Ke pehle hi mai kam pareshan thi jo wo mujhe ek aur tension de gayi...
"Kabir ko goli chhu kar gayi hai!!!"