- 12,581
- 10,491
- 214
Index
Chapter 1 :Ulajhte Raaste
Chapter 1 :Ulajhte Raaste
Chapter 2: Wo Ladki Kaun Hai?
Chapter 3: Shayad
Last edited:
okDopeher dhal kar shaam ho gayi aur update hazir hai
Hopefully kal se daily update kar paungi
aap to daily update dene bali thi kya hua thursday ko update aaya tha aur aaj monday hai writer jiDopeher dhal kar shaam ho gayi aur update hazir hai
Hopefully kal se daily update kar paungi
Superb UpdateeChapter 3: "Shayad"
Update 17
Smriti..."Please... Please mujhe drugs mat do... Mujhe jane do..."
"Nahi... Mai apne bacche ko nahi dungi... Nahi dungi mai..."
"Please mujhe jane do... Mere maa bauji mera intezar kar rahe honge... Mai aesi ladki nahi hoon..."
"Nahi... Nahi... Mat maaro mujhe.... Mai mar jaungi..."
"Mujhe ye sab nahi karna... Mujhe ghar jana hai..."
Mei ankhon ke age andhera chhaya hua tha.. aesa lag raha tha kisine mere hath paon bandh rakkhe hai aur mujhe charon taraf se ladkiyon ki cheekhne ki awaz sunai de rahi hai...
Kisika rape ho raha hai... Kisise uska baccha chheen liya jaa raha hai.... Aur kisike sath itna bura ho raha hai ki mai dekh nahi paa rahi...
Achanak kisine mera gala dabaya aur meri ankhon ke samne tezz roshni chha gayi... Mera dum ghutne laga... Mere hath paon nam par gaye... mere sharir ka sara khun mere sir tak akar ruk gaya aur mai hosh khone lagi...
"Smriti mam ap thik ho na? Ye... Ye apko kya ho raha hai... Suman jaldi aa..."
Ek jani pehchani awaz mujhe dur se sunai dene lagi...
"Oh god di... Easy... Easy... Ap shant ho jao... Ek jani pehchani awaz ne mera hath tham liya... Ek pal... Bas ek pal ke liye meri gardan par us admi ki pakad dheeli huyi aur mai us mauth ki neend se bahar aa gayi...
"Di... Ap thik to ho na..."
Suman ke chehre par pareshani ke bhav the...
Mai abhi bhi apni saason par kabu pane ki koshish kar rahi thi...ere poore sharir me tezz jhan-jhanahat mehsoos ho rahi thi... Meri peeth par jahan mujhe goli lagi thi wahan se ek tezz dard mujhe fir se behosh hone ko keh raha tha... Par mere aas pass do apno ke hone se mere dil ko thodi shanti mili aur maine khud ko dhere dhere aambhal liya...
"Mai... Kabse... Kitne dino se... Behosh hoon Suman... "
"Di... Ap pehle let jao... Aur stress mat lo"
"Haan Mam... Ap please aram karo..." Yasmeen ne mera hath thamte huye kaha...
Mujhe dono ki baat man-ni pari... Mai aram se let gayi... Suman ne mujhe koi injection lagane ki koshish ki to maine uska hath pakad kar na me sir hilaya...
"Bina behosh kiye bhi tum mera treatment kar sakti ho Suman"
Maine sakhti se Suman ko kaha to wo aur kuch nahi keh payi...
Jab tak behosh thi ek baat thi par ab hosh ate hi hazaron khayal dimag me race ke ghoron ki tarah daudne lage hai... Kya kyun kaise kaha... Ronny... Ronny ka khayal ate hi us raat party ki ghatna ankhon ke samne ghum gayi...
Pata nahi Shoiab kahan hai kya kar raha hai... Kaisa hai... Kya wo wahi kaam kar raha hai jo mujhe lagta hai... Kya wo surakshit hai?
"Di... Apko apne diabetes wali baat family se nahi chhupani chahiye thi..."
Suman ki baat se mera dhyan toota... Par maine koi jawab nahi diya...
"Agar us din Kabir bhaiya help nahi karte... To shayad mai apke liye kuch nahi kar pati..."
Kabir... Kabir ka nam sunte hi dimag me ek saaf chhabi uski taiyaar ho gayi.. jaise wo aur mai kabhi alag huye hi nahi... Wo dard taqleef... Mera use maaf na kar pana... Aur fir khud ko maaf na kar pana... Sab jaise kisi dusri zindegi ki baatein lagne lagti hai...
Par kyun? Kya ye mera guilt hai jo mujhe pichle 6 saalon se khaye jaa raha hai... Ye fir uske prati mera pyar hai jo use samne dekh kar theher nahi pata... Par itna bada faasla hai hum dono ke bich aur na jane kitne gile shikwe... Par dil hai ki uski tasweer abhi bhi utni hi saaf bana deta hai.... Hadd hai!
"Mam... Ap thik to ho na... Mai bohot dar gayi thi... Apko kuch ho jata to... Pata nahi mere jaisi kitni ladkiyon ki zindegi ki ek akhri umeed toot jati"
Yasmeen ne mera hath thamte huye kaha... Mai kya kahun mujhe kuch samajh nahi aa raha tha...
Shoiab ko Yasmeen ek Rescue operation ke dauran mili thi... Us waqt uske shareer me tracker dala raha hi raha tha ki Shoiab ki team ne raid daal di...
Yaasmeen is dard bhari duniya me wo khush kismat ladki hai jise tootne se pehle hi bacha liya gaya... Yaasmeen bas kidnap huyi aur uspar kuch dawaiyon ka asar tha... Par na uspar mad dhad huyi na Rape na aesi koi cheez jo use andar tak tod de...
Bohot himmatwali... Par duniya me akeli... Lekin ab nahi... Pichale kuch mahino se wo Suman ke sath rah rahi hai... Dono me acchi dosti hai... Aur Yaasmeen khush hai... Mai jab bhi use dekhti hoon ek asha ki kiran mere dil me bhi jal uthti hai ki shayad... Shayad mai aese hi der hone se pehle kuch aur ladkiyon ko bhi bacha paun...
"Tum chinta mat karo Yaasmeen... Mujhe kuch ho bhi gaya to bhi ye mission chalta rahega... I promise..."
Maine Yaasmeen ke hath par apna hath rakha par wo meri baat sun kar rone lagi... Wo mujhe bohot manti hai... Aur mujhe kuch ho jane ka khayal use bilkul accha nahi laga...
Kabhi kabhi mujhe bohot darr lagta hai... Kya inlogon ne jo ummed mujhse lagayi hai... Mai uspar khadi utar paungi... Yaasmeen, safe house ki 9 ladkiyan jinhe rescue operations ke daura bachaya gaya tha...
Apni team sabki ummedein mere kandhon par itni bhari lagti hai kabhi kabhi... Par jab bhi mai kuch yaadon ko apne dimag me dohrati hoon... Har baar khud ko pehle se jyada taqatwaar mehsoos karti hoon...
Maine Yaasmeen ke sir par hath firaya aur use chhup karaya... Sach kahun to mujhe bhi is waqt rone ka man ho raha tha... Par ye na to sahi jagah hai nahi sahi waqt...
"Hello... Haan... Oh my god... Haan... Ok... Haan mai taiyaar hoon..."
Suman ko kisi ne call kiya tha... Uske phone uthate hi uske chehre par kayi zasbaaton ki jhari lag gayi... Kabhi khushi kabhi gussa kabhi darr aur kabhi bebasi...
"Kya baat hai Suman..."
Suman ke hath phone ko kat te waqt kanpne lage... Mera dil bhi darne laga...
"Di... Mujhe jana hoga... Yaasmeen tu di ke sath reh... Mujhe jana hoga..."
"Are kya baat hai wo to batao Suman" maine use dat-te huye kaha...
"Di... Kabir aur Anubhav bhaiya ko wo pendrive se ek location mila... Un logon ne wahan se ek ladki ko rescue kiya hai... Mujhe wo log wahi bula rahe hai... Shayad koi mujhe lene bhi aya hai... Doctor Gupta ka pata nahi chal paa raha... Wo log keh rahe hai ki mujhe hi operate karna hoga tracker ko"
Suman bag me kuch zaroori saman dawaiya daal rahi thi... usne ek sans me itna kuch bata diya... Mere chehre par bhi wahi bhav ubharne lage jo Suman ke chehre par the...
"Kabir... Kya wo... Unke sath hai?"
Maine Suman se pucha...
"Haan... Unhe goli chhu kar nikli hai... Par thik hai... Mai chalti hoon di..."
Suman hawa ki teezi se nikal gayi... Aur mujhe hazaron sawalon ke sath chhod gayi... Ke pehle hi mai kam pareshan thi jo wo mujhe ek aur tension de gayi...
"Kabir ko goli chhu kar gayi hai!!!"