My review for
Amar-Kalpana
By
Immortal
Ek ajeeb o gharib kahani jissko lekhak ne bahut acchi tarah se pesh kiya hai.
Padhna shuru kiya to main khud sochne par majboor hua ke eisa kaun si kahani ho sakti hai jo kalpanik aur real bhi ho sakte hein jiss ne mujhe end tak padhne mein juda rakha.
Aur padhne ke dauraan jud gaya main bhi kahani aur usske kirdaaron ke beech.
Wo kahani behtareen hote hein jahan paathak khud ko uss kahani mein judte hue paata hai. Matlab yeh ek behtareen kahaniyon mein se ek hai.
Lekhak ne issko bakhubi likha aur pesh kiya hai. Narration aur description awwal hai.
Buss ek choti si baat meri samajh mein nahin aayi ke college ko collage kyun likhte ho tum sab??!!
Do last entries ko main me padhte padhte bich mein rok diya kyunke bahot abbreviations istemaal kiya gaya hai. Are bhai ek contest ke liye kahani likha ja raha hai full shabd to likho sms contest to nahin chal raha hai nah? To unn donon kahaniyon mein bhi main ne dekha collage likha gaya hai college ko. Kia bhai collage to photos ka kiya jata hai, aur jahan padhne jaate hein ussko COLLEGE kaha jata hai collage nahin.
Immo bro yeh kahani mujhe bahut passand aayi. Bahot hi accha likha hai tumne. Badhya hai aur top 5 mein jaa sakta hai.
All the best bro.
Casi sir Ka review
![Vhappy :vhappy: :vhappy:](/uploads/smilies/vhappy.gif)
Thanx for your wonderful review. Apka review bohat mayne rakhta hai mere liye.
Aur mujhe khusi hui apko kahani Pasand aayi .
Wo collage sayad autocorrect Mai aa Gaya Hoga jise meri aankhe post karte time Dekh na payi warna college to Maine niche bhi Likha tha sayad Apne us par dhayan Nahi diya .
Please correct the name of the writer . There is one more immortal here
KSHMR
Once again a big big thank you for your wonderful review & thanx for not revealing the end.
![Dost :dost: :dost:](/uploads/smilies/dost.gif)