• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

★☆★ Xforum | Ultimate Story Contest 2024 ~ Reviews Thread ★☆★

Status
Not open for further replies.

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,375
54,375
304
A trip to dharkot by Niks77kill

main XP se XF tak aapki stories pad raha hu bhai aur padh ke bas yahi lagta hai ke kuch nahi badla, kya badhiya suspense aur horror ko mix karke likha hai twist turn se bharu huyi ye kahani no doubt is contest ki behtarin kahaniyo me se ek hai especially iska end twist gajab hai. ek ladki saala ek ladki kafi hoti hai dosti ki maa bhen karne jo ki isme bhi huyi hai, jis tarah se har ghanta ko aapne kahani me ek timeline me date wise bataya hai wo badhiya hai, kahani apne behtarin flow me chalti hai jisse kahani beech me chhodne ka man nahi hota, aage kya hoga iski utsukta bani rehti hai, end twist is kahani ki jaan hai jab pata chalta hai ke wo karan nahi karan ka bhoot tha. Noice story all the best for contest bhai.
 
  • Like
Reactions: Shetan

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,375
54,375
304
Last Journey by Aakash.

main waise to ye bhoot bit me nahi maanta lekin bhooto ki kahani padhna apneko pasand hai aur ye kahani is mamle me nirash nahi karti hai, is contest me sabse pehle apun yahi kahani padha tha not gunna lie bas review ke time aalas aa jata wo alag baat hai, kahani ki baat karu to jo horror story me hona chahiye wo thrill darr ka mahol is kahani me bahut had tak tha aur station ke scenes bhi badhiya tarike se likhe huye hai jisse wo mahol samajh me bhi aata hai aur sabse best ending thi jo open note me chhodi gayi, horror padhne walo ke liye must read bolunga main isko as kahani bahut had tak horror ke liye required feel de deti hai jo ki + point hai I would suggest ke writer aur likhe itne se se baat na banne ki.
 
  • Like
Reactions: Shetan

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,375
54,375
304
Dead but Alive! by Mak

whoa! This was my first reaction after reading this, kya galab story likhe ho men bawal ekdum wo bhi proper research aur detail ke sath, perfectly crafted psychological thriller, isko ekbar padhna shuru karo to banda khatam karke hi dam leta hai itna gajab sama baandhti hai ye kahani perfect title, well executed plotline, chronological order me hote events sab kuch ekdum gajab tha men aur kahani ko unique banaya iski ending ne jo alag alag endings provide kiye hai wo logo ko dimag me jor daalne majbur jarur karega, narration wagaira me main nahi bolunga as already kayi log bol chuke honge kahani me kya tha kya nahi tha wo chhodo kyuki jo tha sab uski jagah ekdum sahi tha perfect tha apun bas tarif karne aaya hai for me this is one of the best stories of this contest. All the best for contest men.
 
  • Love
  • Like
Reactions: Mak and Shetan

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,375
54,375
304
चौबीस घंटे by SANJU ( V. R. )

daru bohot kharab chiz hai re bawa :sigh:
chaubis ghante ke samay chakra me ghumti is kahani me bade bhai aapne ek alag hi duniya dikha di hai, ek behtarin thriller story jisme jeet aur varsha ki ekdum chhoti hi sahi premkahani ko bhi dikhaya hai, kahani ka tone location dimelo bar tony baburao jiwanlal ke characters sab kuch ekdum perfect hai, jeet ki nashe ki halat ko yaad karne ki koshish uska varsha se milna varsha ka uske liye feel karna jeet ka use bachana, ek khoon aur itni sab ghatnao ko 24 ghante ke timeframe me manage karna aapke writing skill ko show karta hai, aur isiliye apne ko USC pasand hai kyuki aise masterpiece padhne milte hai, ekdum gajab story hai bhai ye chaubis ghante agle chaubis ghanto tak dimag se nahi nikalne wale ab. All the best for contest bade bhai.
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,375
54,375
304
गहरी साजिश by rohnny4545

kya mast chomtiya kata men logo ka title se :lol1:
jokes apart kahani badhiya hai with good narration and effective use of language backed by a very good plot. swapping ki theme par based ye story ending pe aate aate apne title ko sahi se justify karti hai, sujit aur vishal ki dosti aur sujith ka vishal ki baato me fisalna kahai me bahut badhiya bataya hai aur end twist to gajab hai jab sujith ko pata chalta hai ke vishal khela kar gaya uske sath, bagair sex scene dikhaye usse releted topic par itni effective story likh kar you have done a great job men, all the best for contest!
 
  • Like
Reactions: Shetan

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,375
54,375
304
Whodunnit by Sanju Bhaiya

bhai kya gajab thriller likhi hai men :applause: :applause:
ye un chuninda kahaniyo me se hai jinko padh ke lagta hai ke kuch sahi content read kiya hai, gripping start perfect middle gajab ki ending aur is bich ek khoon jo kisne kiya use dhundhne ki ajay ki koshish bole to ekdum gajab engaging storyline jo aapko bandhe rakhti hai, badhiya tarike se likhe kirdar aur utha hi umda conclusion is kahani ko khas banate hai, this is one of the must read stories of this contest man. Amezing. All the best.
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,375
54,375
304
पूर्ण अपूर्ण by avsji

:bow: :bow: kya badhiya behtarin kahani likhe ho bhai gajab ekdum. ek simple se plot ko aapne apni lekhni ke jadu se extraordinary bana diya hai, feelings emotions se bhari huyi ye kahani dil chhu jati hai, manish ke man me umadte huye bhavo ko bahut khubsurti se dikhaya hai aapne, kayi baar insan dil aur dimag ke bich dorahe par khada hota hai aur aise me sahi faisla karna bahut mushkil kaam hai, manish ke samne bhi is kahani me aisi hi duvidha ko aapne kya badhiya bataya hai, main is kahani ke ant ko sad nahi maanta kyuki mere hisab se manish ka faisla sahi tha, ekdum real tha. prem ki bhavna sabse upar hai lekin uske sath sath insan ko apni vivek buddhi se hi faisle lekar aage badhna hota hai jo ki manish ne shobha ka hath tham kar kiya aisa mujhe lagta hai, kahani bahut shandar hai shukriya is behtain kahani ke liye. All the best for contest.
 
  • Love
  • Like
Reactions: avsji and Shetan

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,375
54,375
304
Bhagyashree ka bhagya. by Vega Star

Nice story dude, badhiya start tha kahani ka jab bhagyashree ka character aapne establish kiya use bahut badhiya tarike se likha hai, ek baat mujhe sabse achi lagi ke ye ek normal erotic story nahi hai, aapne kahani me proper bhumika banayi hai ek sahi buildup diya hai, bhagyashree ke emotions, krishna ka use samajhna ekdum perfect tha aur sex scene bhi bahut badhiya tarike se sensual way me likha gaya hai bas end me thodi hadbadi lagi wo shayad word count ki wajah se ho sakta hai baki kahani badhiya thi. All the best.
 
  • Like
Reactions: Shetan

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,375
54,375
304
ek chhoti si bhul by SultanTipu40

Isko rehan aur reshma ki prem kahani bole ya rehan aur reshma ki desh ko bachane ki kahani imma confused :D, badhiya romntic thriller story hai jisme action hai emotions hai drama hai sabkuch hai, plot bahut solid hai aur kahani ko bhi aapne waise hi likha bhi hai aur ho rahe action ke bich rehan aur reshma ki prem kahani ko bhi bahut sahi se fit kiya hai bas mujhe ek baat lagi ke kahani me itna kuch tha ke kuch bhi sahi se nahi hua, rehan ka character jaise introduce hua tha kahani me villain bhi waisa hi tagda chahiye tha men baki kahani badhiya hai bas narration aur mast ho jaye to baat ban jaye. all the best for contest.
 
  • Like
Reactions: Shetan

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,375
54,375
304
Dil Se Dil Tak: Ashish Ki Ishita by Ashish120

main ispe kuch nahi bolne wala tune story likhi wahi sabse badi baat hai aur kahani bhi badhiya likhi hai ek choti si love story bhi keh sakte hai isko, story me aur bhi bahut kuch ho sakta tha lekin pehli baar ke liye itna kafi hai abhi next time aur detail ke sath likhiyo badhiya likha hai.
 
  • Like
Reactions: Shetan
Status
Not open for further replies.
Top