• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance 8TH SEMESTER ! (Completed)

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Update-114
"to ab plan kya hai..."hostel me pahuchkar Arun ne mujhse
puchha...
"main soch raha hoon ki 2001 price wala goggles aaj hee mall se le aaun,jo maine last week mall me dekha tha "
.
"bhad me jaye tera wo goggles aur ab ye bata ki karna kya hai...mujhe ab na jaane kyun aisa lag raha hai ki maine tera sath dekar galat kiya,kahi hum lambe lafde me na fans jaye
"apne chehre ko towel se pochhate hue Saurabh ne mere new goggles lene ke plan ko beech me hee rok diya
"ab kaisa lafda be, ab to jo hona tha ho chuka hai...jinhe marna tha unhone maar diya aur jinhe maar khana tha ,unhone bhi maar kha liya...bas topic end "
"beta,topic end nahi hua hai..abhi humne jo action kiya hai uska according to newton's third law humare action ke badle uske barabar ek reaction to aayega hee aur wo bhi opposite direction me...bole to talwar ab humare gardan ke upar latakne wali hai..."jis towel se Saurabh apna chehra saaf kar raha tha use mere face par fekte hue kaha
"mujhe samajh nahi aata ki log hamesha Newton ke third law ka hee example kyun dete hai, jabki third law se pahle first and second law aata hai...aur waise bhi maine unke reaction ko shuru hone se pahle hee khatam kar diya hai isliye chinta ki koyi baat nahi"
"kya kiya tune aur jab se canteen me meri pelayi hui hai tab se mera tujhpar se vishwas uth sa gaya hai...sale khud to marta hai sath me mujhe bhi marwata hai..."Arun beech me hee tapak pada"mujhe bhi ab aisalag raha hai ki tera sath dekar maine bahut badi galti kar di,kahi un dono ne phhir se police me report kar diya to
"
"wo to karenge hee"Arun ki fadte hue maine kaha"aur police college me bhi aayegi aue hostel me bhi aayegi aur to aur hume apne sath le jaane ki koshish bhi karegi..."
"bose dk, is baar to gaye kaam se, tu humara dost nahi hai..."Arun aur Saurabh ek sath mujhpar chillaye...
"abey gala fadna band karo...pahle mujhe baat to puri karne do..."apni t-shirt utarkar Arun ke face par phhekte hue main bola"apna kallu warden kis din kaam aayega..."
"kya ghanta kaam aayega wo kallu...balki wo to ulta humari aur shikayat kar dega...ek to pahle se hee tu use pasand nahi hai ,upar se ab ye naya locha.."meri t-shirt ko wapas meri taraf fekte hue Arun ne Saurabh se kaha"Saurabh mere bhai, mera bhi sixth sense kuchh-kuchh kaam karne laga hai...aur jaisa ki maine andaza lagaya hai uske hisab se hum dono ke pair police walo ne rassi se baandh diye hai aur dande se gand fatat le pel rahe hai.... abki baar to achchhe se chud gaye..."
"chup kar be chodu ,khud to dara hua hai upar se Saurabh ke pichhwade me bhi pin thok raha hai...Saurabh tu yakin maan apna warden apni side lega..."
"sunkar dil ko sukoon mila lekin mujhe aisa lag raha hai ki aisa kuchh bhi nahi hone wala...matlab ki hostel warden bhala humara sath kyun dega "
"our kallu warden will do this for me ,for you,for Arun,for hostel,for hostelers and for Sidar "
"dekh Arman ,abhi jyada dialogue bazi mat chod...warna do ko to pel ke aaya hee hoon,teesara number tera laga dunga...isliye short me bata lekin achchhe se bata..."
"Sidar ne warden ko humari taraf se gawahi dene ke liye mana liya hai,that's it...ab tum dono ke gobar bhare dimag me kuchh ghusa ya phhir german language me samjhaun ya phhir french me ya phhir spanish me..."
"sab samajh gaya apun " mujhe gale lagate hue Saurabh ne thanks kaha...
"apun bhi sara matter samajh gaya hai , thanks to Sidar ki wo har samay humari madad karne ke liye taiyar rahta hai...beta Arman ,yadi Sidar na hota to teri koyi bhi dal nahi galti...."
"yeah...i know
"cigarette ke packet se ek cigarette nikalte hue maine kaha aur dil hee dil me MTL bhai ka humara sath dene ke liye shukriya ada kiya...
.
"waise Saurabh,Arman ne kuchh aur bhi promise kiya tha...yaad hai ki bhool gaya..."
Arun ke aisa bolte hee main samajh gaya ki wo mere kis promise ki baat kar raha hai aur main us waqt thoda pareshan sa ho gaya...kyunki dono ko ladayi me shamil karte waqt to maine badi aasani se kah diya tha ki main unke liye Divya aur Vibha ka jugad karunga...lekin mujhe maloom tha ki ye kaam bahut mushkil hai . Vibha ko to main khud bhi abhi tak nahi pata paya tha,isliye Saurabh ka mamla kaise jodu aur Arun ke mamle me to bhayankar khatra tha..kyunki yadi Divya ke baap ko jara si bhi bhanak lag gayi ki uski beti ko college ke kisi ladke ne kiss kiya hai to phhir wo ladka to gaya jaan se.....
"idhar-udhar kya dekh rahe ho Arman babu...apna promise yaad to hai na ya hum dono yaad dilaye..."mere gardan ko peechhe se pakad kar Saurabh ne kaha...
"main abhi aaya..."
un dono se peechha chhudane ke liye main waha se utha hee tha ki Arun kood kar darwaje ke paas pahucha aur darwaja andar se band kar diya...wahi Saurabh ne mere dono hath ko peechhe se pakad kar marodane laga....
.
"jaldi se hum dono ke arman pure kar..warna tera khoon kar dunga..."Saurabh ne dhamki di
"main to direct rape karunga..."darwaje ke paas khade hokar Arun ne bhi dhamki di...
ab mujhe andaza ho gaya tha ki yadi is waqt maine un dono ko na kaha to ,wo dono mujhe bahut marenge isliye maine is samay un dono ko haan kahne me hee apni bhalayi samjhi aur bola...
"Arun tera kaam kuchh dino me ho jayega aur Saurabh tujhe kuchh din ke liye intezaar karna padega,...kyunki Vibha ko thokne ke liye manana thoda mushkil hai,lekin main ise karunga jaroor...ab to mera hath chhod...."
.
Dopahar sham me dhali aur sham raat me tabdil hui aur phhir sawera hua...sawera hote-hote kal ke ground wale kand ki khabar lagbhag har ek ke kano tak pahuch chuki thi...koyi kahta ki first year ke un dono ladko ko Arman ne aur uske dosto ne mara,to koyi kahta ki city wale senior ke sath unka kuchh locha tha , kuchh to ye bhi kahne wale the ki shayad un dono ko Divya ke baap ne mara tha.....undono ki halat is waqt kharab thi aur dono city ke best hospital me admit the...kisi ko shaq na ho isliye main dusare din normal sa behave karte hue normal tarike se college gaya aur sath me beemar hone ka dhansu acting bhi kiya... mera aur mere khas dosto ka andaz wahi tha,jiske liye hum jane jate the...aur class me hum aaj bhi last bench par ladkiyo ke peechhe baithe...bole to hum pahle ki tarah aaj bhi back benchers the...class ke kuchh ladko ne mujhse puchha ki kya maine first year ke ladko ko mara hai...aisa sawal karne walo ki list me mere class ke sath-sath mera dost Naveen aur kayi teachers bhi shamil the...wo sab jitni bhi baar mujhse ye sawal puchhte mera jawab har baar ek hota aur wo jawab tha ki"main to kal lunch ke baad tabiyat kharab hone ke karan hostel jakar seedhe so gaya tha....mujhe to aaj college aane par is jhagde ke bare me maloom chala..."
.
Mos ki chalti class ke beech me humare hod sir class me ghuse aur mujhe principal ke office me chalne ke liye kaha ,jaha principal sir aur three star ki khakhi vardi pahne hue ek police wala mera intezaar kar raha tha.....
"may i come in sir..."rukhe aawaz me maine principal sir se andar aane ki ijaajat mangi....
kisi ko mujhpar shaq na ho isliye maine aaj na to sar me tel lagaya tha aur na hee kanghi kiya tha...jisase mere sar ke baal bikhare hue the aur mere beemar hone ki gawahi de rahe the...principal ke office me aate waqt maine apni do ungaliyo ko aankho me daal liya tha,jisase meri aankhe is waqt ekdum laal thi aur jalan paida kar rahi thi....jisase main three star ki vardi dharan kiye policewale ko yakin dila saku main sachmuch me beemar hoon aur bada kast jhelkar college aaya hoon,fala khud ko galat hote hue bhi sahi sabit karne ke dhun me maine brush tak nahi kiya tha jisase is waqt mere muh se ek shandar khushbu bhi nikal rahi thi jiska asar waha par baithe principal sir aur us policewale par ho raha tha.... mujhe sardi bilkul bhi nahi thi lekin main waha principal ke office me khada hokar apne naak ko surkarta aur beech-beech me khasta...aisi acting karte hue ek samay jab maine khasne ka jhootha abhinay kiya to us waqt mujhe sach me joro ki khansi aa gayi aur meri aankh laal ho gayi ,ye khansi itni jabarjast thi ki mere aankho se aansu bhi nikal aaye aur muh se laar bhi tapak gaya
"are bhai,pani pilao isko..."three star ki vardi pahne hue us shaks ne kaha aur mujhe apne paas,bagal wali chair me bithaya...
________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Chapter-33: Desire of Kiss
Update-115
.
Waise Mujhe beemar bankar principal ke office me aane ki koyi jaroorat nahi thi ,kyunki humara hostel warden already humare paksha me gawahi dene ke liye taiyar tha...jiske baad koyi kuchh nahi kar sakta tha, lekin maine sar me tel aur balo me kanghi isliye nahi kiya kyunki main dekhna chahta tha ki yadi Sidar ka hath mere sar par nahi hota to kya main tab bhi khud ko bachane me kamyab hota, main ye experiment karna chahta tha ki yadi Sidar ka power mere sath nahi hota to kya main tab bhi khud ko powerful sabit kar pata ya nahi, ye experiment thoda hatkar tha aur sath me humare college ki laboratory me hone wale boring experiment se jyada interested bhi tha, so i did....lekin mera ye experiment tab fail ho gaya jab mere side wali chair me three star ki vardi pahne hue us policewale ne meri taraf jhuk kar kaha...
"mere kandhe par three star yun hee nahi lagi hai mister....mujhe haqiqat ki khansi aur dikhawe me farak karna bahut acchhi tarah aata hai,tune kya mujhe apne college ka teacher samajh rakha jise tu jab chahe tab bewkoof bana de...huh"
.
Us policewale ke aisa kahte hee meri saans mano ek pal ke liye rook gayi thi,main uski taraf ektak dekhe ja raha tha...
"Paseena saaf kar lo..."us three star wale ne ab principal ki taraf dekhte hue kaha"is par un dono ladko ke dosto ne report ki hai aur report ke mutabik isne first year ke dono ladko ko hostel ke paas wale ground par le jakar buri tarah se mara,peeta...jiski vajah ye ho sakti hai ki unhone kuchh dino pahle hee ispar F.I.R. Kiya tha,jiska badla isne unhe buri tarah se markar liya...ise humare sath police station chalna hoga....tu to gaya beta lambe se"
"main to pareshan ho gaya hoon is ladke se...main ek kaam karta hoon,iske gharwalo ko khabar karke kah deta hoon ki iski T.C. College se le jaye aur ise Police station se le jaye..."Principal sir ne meri taraf dekhkar gusse se kaha aur bahar khade peon ko andar bulaya
Jab peon Principal ke cabin me aaya to Principal sir ne use mere admission form se mere ghar ka contact number lane ko kaha...
Meri khansi ye sab dekhkar ek dum thik ho chuki thi,ab aankh bhi laal se safed ho gayi thi aur mera pura sharir paseene se bheeg chuka tha aur yahi wo waqt tha jab Sidar ke power ka use karke khud ko bachaya ja sakta tha...
.
"Plan no. 2 activated...."maine khud se kaha aur phhir apne chehre par aaye paseene ko saaf karke bola"Sir,aap bevajah mere gharwalo ko pareshan kar rahe hai...maine kuchh kiya hee nahi hai ,main to kal recess ke baad se hee hostel me kambal oodhkar soya hua tha..."
"sach me "mujhpar tirachhi nazar marte hue three star wale ne puchha....
"yadi aapko yakin na ho to humare hostel warden se puchh lijiye...unhi ke room se main fever ki tablet aur zandu balm lekar gaya tha...jiske baad main apne room me jakar so gaya aur raat ke 9 baje meri neend warden ke uthane se khuli...jo us samay hostel ka round laga rahe the..."
Ye sunte hee Principal sir ne samne rakhe phone se hostel ke phone par ghanti mari,jiske baad humare warden ne unhe wahi sab bataya jo maine abhi-abhi bataya tha....
.
"sorry ,par Arman sach kah raha hai aur meri authority mujhe ijjajat nahi deti ki main kisi student ko bevajah pareshan karu...."Principal sir ne apna chashma table par rakhte hue Policewale se kaha aur phhir wapas apne chashme ko aankho me fit karte hue ek A-4 size ke paper me kuchh likh kar,college ke seal ka thappa lagaya aur us kagaj ko policewale ke hath me saunp diya......
uske baad Policewale ne kuchh der mujhe dekha aur wo kagaj lekar waha se chalta bana....
.
Principal ke office se bahar nikal kar maine ek mast lambi saans li aur thanda pani peekar class ki taraf khushi se kudate-fandate gaya...is samay dammo rani ki class chal rahi thi ,pahle to usne mujhe andar aane ki permission nahi di lekin jab maine use bataya ki mujhe principal sir ne ek urgent kaam se bulaya tha to wo maan gayi aur mujhe andar aane ke liye....
"BC, meri jagah par ise kyun baithaya...ab kya main zameen par baithu..."ladkiyo ke peechhe wali bench par 7 ladko ko baithe dekhkar main dheere se chillaya aur ek side apna pichhwada tika kar baith gaya.....
"Arman, aaya samajh me ki answer kaise aaya..."chalti class ke beech me damyanti ne mujhe khada karke puchha....
"sab samajh me aa gaya mam..."(lawda samajh me aaya, mujhe to ye tak nahi maloom ki question kya tha,sali chudi chudai aurat...)
"to phhir samne aakar explain karo..."
"aaj thoda...aannhhhh "jor se khaste hue maine kaha aur phhir rumal nikal kar naak saaf kiya"aaj tabiyat kharab hai mam, kabhi aur explain karunga..."
"ok,sit down..."
"thanks "
.
Dammo gayi to dammo ke baad MS ka teacher aa tapka aur bhaka bhak likhwana shuru kar diya, sala ek to dhang se baitha nahi tha upar se wo aise speed me bole ja raha tha jaise ki uske gand me kisi ne lund daal diya ho, bakchod kahi ka.....
"MC, baad me kaun aaya hai...wo uthkar apni jagah jaye..."frustation me main bhadak utha....
"koyi kahi nahi jayega...jisko problem ho wo dusare bench me jakar baithe..."
"sun be ,yadi aisa hai to bhool ja phhir ki Divya se main teri setting karwaunga..."
"sorry yar,tu to bura maan gaya..."
"bura wo manta hai jiske paas bur hota hai aur mere paas bur nahi lund hai "
.
Meri ye dhamki asar kar gayi aur Arun ne turant waha se 3 ladko ko aage bhaga diya ,ab waha sabse peechhe wali bench par sirf main,Arun,Saurabh aur Sulabh baithe the...MS wala teacher ab bhi bhaka bhak speed se likhaye pada tha bina is baat ki parvaah kiye ki aadhe se adhik laundo-laundiyo ne likhna band kar diya hai...lekin hum charo ab bhi likh rahe the aur sath-sath me bakchodi bhi kar rahe thi....
.
"beta mujhe kuchh do,warna main sabko bata dunga ki un dono ko tum logo ne hee thoka hai..."humari bhaka bhak likhayi ke beech me Sulabh bola...
"bol kya chahiye tujhe...car,bunglow,damyanti ki chut...tu bol kya chahiye tujhe...tu kahe to tere liye chand-sitare tod kar le aaun "
"rahne de ,tu bas teen din ke canteen ka bill de dena Arun...aur tu Saurabh,tu baki ke teen din ka bill de dena...."
"hum dono apne lund par hath rakh kar tujhe vachan dete hai..."Arun aur Saurabh ne ek sath kaha aur apna ek-ek hath apne lund par rakh liya...
"aur tu Arman..."Sulabh ki nazare ab mujhpar jam gayi...
"main tujhe humari agli fight me shamil karunga...."
"ye hui baat,tu hee hai mera sachcha mitra...i love you "
"i love you too...chal ek pappi de "mazak karte hue main Sulabh ki taraf badha hee tha ki MS wale sir ki nazar hum par pad gayi aur wo jor se cheekha"kya yar,ye tum log kya kar rahe ho...besharmi ki bhi had hoti hai..."
"kuchh nahi sir,wo Sulabh ke aankh me kuchh ghus gaya tha,bas use nikal raha tha..." bina deri kiye main jhatpat bol utha...
"mujhe mat sikha tu...aur yadi agli baar se aisi harkat ki to maar-maar ke bharta bana dunga...samjha..."
"sab samajh gaya sir..."
.
"abey usne hum dono ko gay to nahi samajh liya..."kuchh der baad Sulabh ne puchha...
"yahi to pyar hai pagle aur waise bhi wo humara kya ukhad lega..."
.
Uske baad jab tak college chala Arun meri jaan khata raha wo mujhse kayi baar puchh chuka tha ki main uski,Divya se setting kab karwa raha hoon...jawab me maine use kuchh der rukne ke liye kaha aur jab college off hua to bahar nikalte waqt maine Arun ka mobile manga....
"ab kya karega mere mobile ka..."
"Sidar ka number off aa raha hai ,ek messege kar deta hoon ki sab kuchh control me hai..."
"to tera mobile kaha gaya..."
"messege pack nahi hai unkil..."
Arun se maine kuchh der ke liye mobile liya aur phhir use wapas kar diya....jab hum dono college se hostel ki taraf aa rahe the tabhi Arun achanak apne mobile ko dekhte hue khushi se road par hee gir pada....
"mirgi maar gayi kya be "
"abey Arman...ye dekh..."Arun ne road par lete-lete apna mobile meri taraf badhaya ,maine uske hath se mobile liya aur mobile ki screen par nazar dali....
"i love you too....Sender:-Divya..."padhte hue maine Arun ko hath dekar uthaya...
Ab Arun ki chaal hee badal gayi thi...jaha har din college ke baad humari halat kharab ho jati thi,wahi aaj Divya ke ek messege ne Arun ke andar energy la di thi...wo is samay us chhote bachche ki tarah khush ho raha tha,jise uska man pasand khilauna lakar de diya gaya ho....wo bar-bar Divya ke messege ko padhta aur beech-beech me mobile ki screen ko chumne lagta...to kabhi apne mobile ko seene se lagakar Divya ka name lene lagta....pure raste bhar Arun ne aisi harkate karke mujhe pakaya aur jab hum hostel ke samne aa gaye to wo rook gaya....
"ab kya hua be..."
"dekha be,apun ki smartness ke aage Divya flat ho gayi...usne mujhe khud propose kiya...ab manta hai na ki main tujhse aur Saurabh se jyada handsome hoon...lekin mujhe ek baat samajh nahi ki isne i love you TOO ,kyun likhkar bheja..."
"wo isliye mere lallu dost kyunki tune use I Love You ka messege likh kar bheja tha isliye usne i love you too ,likhkar reply kiya "
Ye sunkar Arun phhir se zameen me girne hee wala tha ki maine use pakad liya,
"maine kab kiya be use messege..."
"tune nahi,maine kiya tha messege...tere mobile se uske number par...kuchh yaad aaya ya flashback me le jaun..." "bose dk ,tune mujhse kaha tha ki tu Sidar ko messege karega "
"chal bol papa "
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Update-116
"tune nahi,maine kiya tha messege...tere mobile se uske number par...kuchh yaad aaya ya flashback me le jaun..."
"bose dk ,tune mujhse kaha tha ki tu Sidar ko messege karega "
"chal bol papa "
.
Main aaj tak yahi sochta tha ki meri theory hamesha ladkiyo ke mamle me fail hoti hai lekin us din mujhe ye bhi maloom chal gaya ki Arun bhi un chand great humans me shamil hai...jinpar mera sixth sense kabhi-kabhi fail ho sakta hai....mujhe ye ummid thi ki jab Arun ko mere dwara Divya ke mobile par i love you ,wale messege ka pata hoga to wo mujhe gale lagayega aur bolega ki"Arman kal tere canteen ka bill main bharunga" ya phhir aaj raat ke daru ka pura paisa wo dega....lekin sala yaha to meri sari soch ka hee kriyakaram ho gaya....main chup chap hostel ke andar apne room ki taraf ja raha tha aur Arun mujhe galiya bake ja raha tha...
.
"abey lawde,tera dimag ghas charne gaya hai kya,..yadi Divya i love you,wala messege apne bhai ya apne baap ko dikha deti to mera kya haal hota...yadi usne bhoole se bhi wo messege humare principal ko dikha deti to aaj hee main college-nikala ghosit ho jata...."
"tu itna bhadak kyun raha hai,aisa kuchh bhi to nahi hua na..."
Itna achchha kaam karne ke baad Arun ki galiya sunne se gussa mujhe bhi aa raha tha, Arun ki body ki tarah mere bhi body ka temperature badh raha tha...lekin kaise bhi karke maine apne body temperature ko 25°C par maintain karke rakha hua tha kyunki wo apun ka solid dosit tha....
"aisa kuchh bhi nahi hua ka kya matlab be...tu hamesha chutiya rahega..baklund kahi ka...ullu sale,kutte,kameene..."mujhe dhakka dete hue Arun ne kaha...
Arun ka ye dhakka seedhe mere left side me asar kiya aur maine apne bistar ke neeche rakha hua hockey stick uthaya aur bola...
"sun be jhandu ,yadi aage ek shabd bhi bola to ye danda tere gand me ghusakar muh se nikalunga...yadi gand me itna hee dam tha to phhir mujhe kyun bola ki main tujhe Divya ki chummi dilaun, ja ke khud kyun nahi maang li...ek to sala ehsaan karu upar se gali bhi khaun...sahi hai beta,bilkul sahi hai..isich ko kahte hai hawan karte hue hath jalna....chal fut idhar se abhi aur yadi apne sale Gautam aur apne Sasur ka tujhe itna hee dar tha to phhir dimag se paidal us Divya se ishq hee kyun ladaya...beta ye pyar-mohabbat wo meethi kheer nahi,jise ghar me teri mummy samne wali table par rakhkar kahti hai ki kha le beta,kheer bahut meethi bani hai jiske baad tu apna muh faadkar sara ka sara nigal jata hai aur dakar bhi nahi marta...ye pyar-mohabbat wo meethi kheer hai jise khane ke baad bande ki jeebh se lekar kaleja aur aakhir me gand tak jal jati hai...isliye yadi guts hai tabhi maal ke peechhe pado,warna unhe peechhe chhod do...aur tune kya bola mujhe...."
"maaf kar dijiye jahapanah aur meri fadna band kariye...aap kahe to main Ganga nadi ke beech me jakar dono kaan pakad kar uthak-baithak laga lunga...."
"ab aaya na line par..."
"ab aage kya karu..."
"facebook chala aur usko apni adat dalwa de...taki jab tu usase ek pal ke liye bhi door rahe to wo tadap jaye,tujhse baat karne ko..wo bechain ho uthe tujh jaise badsurat ko dekhne ke liye....phhir dekhna wo chummi bhi degi aur chusegi bhi..."
"kya chusegi be.. "
"honth...honth chusegi,waise tune kya socha tha "
"maine bhi honth hee socha tha
"
"bas mere bataye raste par chalte rah...kuchh hee dino me wo maze se legi bhi aur maze se degi bhi..."
"ye kya bak raha hai be kutte..."
"mera matlab to gift se tha,ab bhai jab tum dono couple ho hee gaye ho to ek-dusare ko gift to doge hee na aur beta jara sambhal kar use daru mat de dena gift me..."
"oh! Samajh gaya..."
"bas tu mere nakshe kadam par chal,Divya apne aage se bhi legi aur peechhe se bhi legi..."
"mujhe maloom hai tere kahne ka matlab gift hai..."
"galat...mera kahne ka matlab Lund tha,matlab ki wo aage bhi lund legi aur pichhwade me bhi lund legi..
"ye bolte hee main turant waha se kalti ho gaya aur Arun hockey stick lekar mujhe daudane laga......
.
.
"Arman,yahi par rok de yar...abki baar teesara call aaya hai office se,main chalta hoon..."Varun apne vibrate hote mobile ko hath me pakad kar bola...Varun taiyar to pahle se tha isliye usne ek minute me shoe pahne aur flat se nikal gaya.....
Varun ke jane ke baad mere hontho par ek muskan thi...ye muskan us waqt ki thi ,jab Arun mujhe dhamkiya dete hue pure hostel me dauda raha tha...sala wo bhi kya pal the,..kahne ko to humara hostel kisi five star hotel ki tarah alishan to nahi tha...lekin humare liye humara hostel kisi five star hotel se kam bhi nahi tha...hostel ki bejaan si deewaro,darwajo jin par hum aksar pen se drawing aur college ke teachers ke cartoon banaya karte the ,un bhaddi si deewaro se hume ek lagav sa ho gaya tha...aur aaj phhir dil kar raha tha ki un bejaan si bhaddi deewaro ke beech rahu, aaj phhir dil kar raha tha ki apne teachers ke cartoon un bejaan si deewaro par banau aur hostel ke bathroom me jakar sperm donate karu...par ye mumkin nahi tha aur shayad samay ka chakra hee ek aisi ghatna thi,jiske samne maine haar mani thi....
.
"abey oye muh band kar le..." mujhe jor se hilate hue Arun bola"isi duniya me hai na ya phhir kisi alien ke sath dusare planet ki sair kar raha hai..."
"main to apne swarg ki sair kar raha tha aur tune mujhe waha se kheench liya...sale tu hamesha mere khas pal ke beech me hee kyun aakar tapak padta hai..."
"wo isliye kyunki maine teri email id check ki aur Nisha ke sare messege padh dale..."
"ye tune kya kiya..."
"abey react to aise raha hai,jaise maine teri gand maar li ho..."
"lekin phhir bhi tujhe aisa nahi karna chahiye tha...ye galat hai.."
"kuchh galat nahi hai beedu aur jakar inbox check kar 40 minutes pahle Nisha darling ne messege bheja hai..."
"sach...!"waha se turant uthkar main computer ke paas pahucha aur apna inbox check kiya...Nisha ne aaj ek messege bheja tha lekin wo unread messege ke option me nahi tha jiska saaf-saaf shudh matlab tha ki mere vishudh dost ne Nisha ka ye messege bhi padh liya hai....
"dusaro ke messege padhne ki teri aadat abhi tak gayi nahi..."bolte hue maine Nisha ka messege open kiya...
Nisha ne apne messege me likha tha ki uski condition ab aur bhi kharab ho chuki hai...ab yadi uski koyi friend bhi milne aati hai to use ,Nisha se milne nahi diya jata...uske baap ne ghar ke bahar do guards aur lagwa diye hai jisase uska nikalna ab to namumkin hee hai...Nisha ne apne messege me likha tha ki use raat ko jabarjasti jaldi sula diya jata hai...yadi wo neend na aane ka bahana karti hai to uske maa-baap use neend ki goliya khane ki salah dete hai aur uske baad sabse buri khabar Nisha ne apne messege me ye di thi ki uske ghar ke bahar chaukidari karne wale gurad ne uske baap ko bata diya hai ki Nisha ka ek ladke ke sath chakkar hai...lekin wo guard mera name nahi janta isliye filhal mujhe chinta karne ki koyi jaroorat nahi hai...Nisha ne mujhe salah bhi di thi ki main uke ghar ke aas-paas bhi nazar na aaun,warna wo guard mujhe pahchan lega.....at the end, Nisha ne aakhir is messege ke jariye ek khushkhabari de hee di,wo khushkhabari ye thi ki abhi se thik ek ghante baad Nisha online rahegi....
.
"abhi tak kya kam musibat thi ,jo teri us laila ke guard ne beech me entry maar di..."mere peechhe se Arun bola...
Main peechhe muda to dekha ki Arun apne ghutno me hath rakhe jhuk kar computer screen me nazar gadaye hue tha...
"abey tu mera messege kyun padh raha hai ...chal bhag yaha se..."
"ek shart par..."
"bol.."
"tu ghar wapas chalega..."
"rahne de,koyi jaroorat nahi...tu mera messege dekh sakta hai..."badbadate hue maine kaha...
.
"hi...how are you"thik ek ghante baad Nisha ka messege aaya...jise dekhkar mera seena khushi ke mare 5 inch jyada phhool gaya...
"accident ho gaya hai mera aur main jald hee aids ki beemari se marne wala hoon.... "
"aisa kyun bol rahe ho..."
"mujhe ye hi...bye..how are you...jaise sentences se nafrat hai.."
"kkk...mera last messege mila ,jo maine aaj subah kiya tha..."
"haan mil gaya..."
.
"ab kaha mar gayi..."jab kuchh der tak Nisha ka reply nahi aaya to maine messege send kiya...
"yahi hoon,..."
"to phhir itna shant kyun hai..."
"maine socha ki tum kuchh bologe..."
"jyada mat soch...aur waise mujhe sach me kuchh kahna tha..."
"kya..."
"chummi degi kya.... "
Maine jaise hee ye likhkar SEND button ko click kiya Arun "Yesss" bolte hue jor se hawa me kuda...
"tu kyun khush ho raha hai be "
"kuchh nahi yar,bhai hai tu mera..."
.
"humare milne ka koyi chance nahi Arman "
Nisha ke is reply par Maine bistar se Varun ka goggles uthaya,jo shayad wo apne sath le jana bhool gaya tha aur use pahankar type kiya"well,i have a plan "
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Update-117
Nisha ke is reply par Maine bistar se Varun ka goggles uthaya,jo shayad wo apne sath le jana bhool gaya tha aur goggles pahankar type kiya"well,i have a plan tere ghar me neend ki kayi goliya hongi...right"
"wrong...kal hee khatam ho gayi.."
"dayan kahi ki...koyi expired medicine hai..."
"haan...lekin ye tum kyun puchh rahe ho.."
"kyunki main tumse ab Nagpur ke best hospital me milne wala hoon..."
"main koyi expiry tablets ya medicine nahi lene wali...samjhe..dimag kharab hai kya tumhara"
"tere dimag ka fuze ud gaya hai kya...expiry medicine tujhe nahi tere baap ko...sorry uncle ji ko khilani hai...taki unki tabiyat kharab ho aur jab wo hospital me admit honge tab apun dono ka taka bhidega...kya bolti ,solid idea hai na..."
"ekdum bakwas idea hai...tum aisa soch bhi kaise sakte ho...."
" dimag se "jamhayi lete hue maine aage type kiya"are tension mat le..aisi goli,dawayi se kuchh nahi hota...maine khud par bahut baar experiment kiya hai...."
"aaawwwww...."
"kya aaawwww "
"tumne abhi kaha ki tumne khud par experiment kiya hai..."
"haan, jab bhi exam me mere kam marks aate ya phhir mujhse koyi galti ho jati to gharwalo ki daant se bachne ke liye main yahi karta tha..kyunki main tab kuchh ghanto ke liye beemar ho jata tha..jiske baad koyi kuchh nahi bolta tha...yakin maan uncle ji ka jyada se jyada sar dard karega ya phhir behosh ho jayenge..."
"sach..."
"ab khoon se likh kar du kya.."
"thik hai...lekin mere dad ko medicine dega kaun..."
"main dunga...main tere ghar aaunga aur tere baap se...sorry uncle ji se kahunga ki sasur ji main aapka damad hoon...uske baad main apne sasur ji ke sath khana khaunga aur chupke se medicine unke khane me mila dunga...simple.."
"kya tum sach me aisa karoge, mujhe to ye dangerous lag raha hai...lekin koyi baat nahi ,main tumhare aane ka intejaar karungi..."
.
Nisha ka ye messege padhte hee maine goggles nikal kar bistar par feka aur jor se chillaya"hey bhagwan,tune ladkiyo ko dimag kyun nahi diya...yadi tune inko dimag diya hota to ye hum masoom ladko ka dimag nahi khati...."
Maine gusse me apne sar ke baal bhi noche aur phhir wapas jakar computer ke samne baith gaya...
"dekh Nisha...main ab jo bol raha hoon thik waisa hee karna aur please...please...please apna dimag mere is plan me mat lagana sabse pahle to koyi expiry medicine dhoondh aur apne baap...sorry yar, matlab uncle ji ke khane peene me dabi se mila dena aur haan jyada mat daal dena..."
Nisha ke offline hone se pahle maine use apna number bhi de diya aur kaha ki jab uske dad ki tabiyat kharab ho jaye to wo ambulance walo ko call kare then mauka milte hee mere number par call kar de aur usi call ke dauran aage kya karna hai,main use bataunga....
.
"ek baat bata..."jab main computer shut down kiya to Arun bola"tune beech me goggles kyun pahna...video chat to tum dono kar nahi rahe the phhir baba aadam ke jamane ki text chatting me tune goggles kyun pahna..."
"main to tujhe line maar raha tha..wo kya hai ki main tujhe pata kar thokna chahta hoon ...jo kaam main char saal me nahi kar paya ,wo main ab karne wala hoon... Chal chalti kya 11 se 12 ke show me..."ghadi ki taraf dekhte hue main bola"actually apun jab bhi goggles pahnata hai to ek damdar feelings aati hai...mujhe aisa lagta hai jaise ki main kuchh bhi kar sakta..."
"apni gand bhi maar sakta hai ,kyun "
.
Arun ne khana banaya aur maine khana khaya...ek ghante pahle maine Nisha ko jo plan bataya tha usme risk tha,kyunki yadi kahi medicine ne Nisha ke baap par reaction kar diya to bahut badi dikkat ho sakti thi aur in sabka doshi main hota...mujhe ab bhi yakin nahi ho raha tha ki maine Nisha ke baap ki jaan sirf ek kiss ke liye daanv par laga di thi...khair ye sach tha aur ye karnama karne ka idea mera hee tha isliye main is samay ab apne plan ke back up ke baare me soch raha tha....lekin dimag tha ki future me hone wale hospital ke us scene ki imagination kar raha tha ,jab main aur Nisha
"sala mere ko ab bhi yakin nahi ho rela hai ki maine sirf ek kiss ke liye itna sab kuchh kiya..."
"ab kya kar diya be tune...aaja daru piyega..."
"waise to i love daru more than girls...lekin is samay ye formula change karna hai..isliye no daru, do chakhna.."
Arun ko dekhkar aur Nisha ke baap ke baare me sochkar mujhe college ke dino ka mera ek experiment yaad aaya jab maine Arun ke naye shirt aur jeans pahanne ke liye use expiry tablets khila di thi sala subah se sham tak sar pakad kar rota raha tha....
.
"Arman maine dad ko medicine de di hai...wo is samay behosh hai aur mom bahut pareshan hai..."
"good...reps added "
"mujhe bahut dar lag raha hai Arman..mujhe ab na jaane kyun aisa lag raha hai ki hume ye nahi karna chahiye tha..."
"mujhe bhi ab yahi lag raha hai
"
"kyaaaa...par tumne to kaha tha ki..."
"chal bye..sasur ji ko lekar hospital pahuch ,main bhi udharich milta hoon..."
.
Call disconnect karne ke baad maine Varun ki bike uthayi aur hospital ke liye nikal pada...waise maine Nisha se hospital ka name nahi puchha tha lekin mujhe 101 % maloom tha ki Nisha ka rahis baap Nagpur ke sabse best hospital me admit hoga aur meri ye soch ekdum sahi nikli...
.
Jis room me Nisha ke dad admit the waha ka nazara bilkul jana pahchana tha..jaisa ki aksar hota hai,Nisha ka baap bed par behosh pada tha ,uske hath me glucose ki ek botal sui chhedkar chadhayi gayi thi...aur Nisha apne maa ke sath bed ke aas-paas udas baithi hui thi....
.
"kya haal hai uncle ka..."Nisha ko call karke maine kaha...
Call recieve karne ke baad Nisha mujhe baat karne me thoda hichkicha rahi thi jiski vajah uske paas baithi uski maa thi...
"mom, aapne neeche jakar form bhar diya kya..."call hold me rakh kar Nisha ne apni maa se puchha...
"nahi..."
"aap jayiye main yaha baithi hoon..."
.
"Arman tumne bilkul galat kiya...tumhe zara sa bhi andaja hai ki dad ki halat kya hai..wo pichhale do ghante se behosh pade hai..."
"don't worry, main bhagwan hoon ,meri izazat ke bina is duniya ka ek patta bhi nahi hil sakta..."
"ye mazak ka waqt nahi hai...waise tum ho kaha"
"bahar khada hoon..."
.
Jab Nisha ki maa lift se neeche chali gayi to main us room ke andar aaya jaha Nisha ke pappa ji bistar par expire ho chuki goli khakar apni neend puri kar rahe the....andar ghuste hee maine darwaja lock kiya aur parde ko khiska diya taki yadi bahar se koyi tapori andar nazar mare to use kuchh na dikhe....
"dad ,jaag jayenge to problem ho jayegi..."jab maine Nisha ko kaskar pakda to wo boli...
"iska bhi jugad hai..."bolte hue maine Nisha ka ek hath pakda aur uske lambe-lambe nakhoon se uske dad ke talwe par kharonch mari...
"sasur ji so rahe hai..."Nisha ke dad ke sharir par koyi hal chal na dekh kar maine kaha aur Nisha ke hontho ko apne hontho se jakad liya...
_______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Update-118
"sasur ji so rahe hai..."Nisha ke dad ke sharir par koyi hal chal na dekh kar maine kaha aur Nisha ke hontho ko apne hontho se jakad liya...
.
Nisha ko kiss karne ke baad maine formality nibhate hue uska haal chal puchha aur wo bhi formality nibhate hue ladkiyo ke ghise pite andaz me boli "i am fine..what about you
" jabki main janta tha ki wo in dino kuchh pareshan si hai...Nisha ne ye formality nibhayi ye jante hue bhi ki main sab kuchh janta hoon...us thode se waqt me jab main uske sath tha wo har pal muskurane ka jhootha natak karti rahi...wo mujhe ye show kar rahi thi ki wo bahut khush hai...jabki main uski aankho ko dekh kar hee samajh gaya tha ki wo aisa bartaav sirf mera dil rakhne ke liye kar rahi hai....jab main waha se ja raha tha tab wo bahut khush nazar aa rahi thi, usne mujhpar"bye...take care yourself "jaisa ghisa pita dialogue bhi phhek ke mara...lekin main janta tha ki usne juban se to jane ke liye kah diya...lekin dil se wo nahi chahti thi ki main jaun....wo is waqt andar se kuchh aur...aur bahar se kuchh aur thi...wo ye soch rahi thi ki main uski jhoothi hansi aur uski jhoothi muskan par yakin karke ye maan jaunga ki wo sach me bahut khush hai...jabki wo khud mujhe har din meri email id par apne pareshaniyo ko text form me convert karke mujhe send karti thi....jab baat ekdum najuk situation ki ho to ghisa pita dialogue har kisi ke muh se nikal jata hai...mere bhi muh se nikla...
" thik hai to phhir main chalta hoon...apna khayal rakhna aur uncle ka bhi..."Nisha ko maine ek mobile dete hue kaha..."ye mera mobile hai,ise sambhal kar rakh aur ye bata tu mobile rakhti kaha hai jo sasur ji har baar pakad lete hai...mujhse seekh hostel school time me main 3 saal hostel me raha aur teeno saal mobile apne paas rakha lekin mujhe kabhi koyi pakad nahi paya...mere school ke jane mane kayi teachers jo khud ko Sherlock holmes ki aulad samajhte the wo kabhi mere mobile ka deedar nahi kar paye...."
Nisha ko samjha-bujha kar jab main bahar aa hee raha tha ki tabhi meri sasu maa darwaja khol kar andar tapak padi aur mujhe dekh kar wo Nisha ki taraf sawaliya nazaro se dekhne lagi....Sasu maa ki harkato ko dekh kar main samajh gaya ki wo kis uljhan me hai...
"main yaha jhadu marne aaya tha, lekin room pahle se chaka chak hai..ab main chalta hoon..."ye bolkar maine turant waha se kalti mari aur wapas apne flat ki taraf jane laga....
.
Hospital se apne room aate waqt main har pal bas Nisha ke baare me sochta raha ki kitna natak kar rahi thi khush hone ka...phhir mera dhyan Nisha ke baap par gaya jo bed par behosh lete hue the...unki halat dekh kar mujhe thoda kharab laga.
"ye maine kya kiya...sirf ek kiss ke liye Nisha ke baap ki ye halat kar di...mujhe aisa nahi karna chahiye tha...it's too bad "
maine khud ko gali di ,bahut bura bhala kaha ye sochkar ki ab ye khayalat mere dimag se chale jayenge..lekin jaise-jaise waqt beet raha tha main sirf aur sirf Nisha ke dad ke baare me hee soch raha tha aur ye hona hee tha kyunki mere 1400 gm ke vajan wale dimag ka ye ek side effect tha ki main had se jyada kisi topic par sochta hoon aur had se jyada kisi kaam ko karne ke liye utawala rahta hoon...main kabhi ye sochta hee nahi ki falana kaam mujhse nahi hoga ya falana pareshani main door nahi kar paunga...is samay apne room ki taraf jate hue bhi main Nisha ke baap ke baare me had se jyada soch raha tha...main soch raha tha ki yadi Nisha ka baap thik na hua to .....? Yadi Nisha ke baap ki halat aur nazuk ho gayi to ......?yadi Nisha ka baap expiry meidicine ke reaction ke karan mar gaya to.....?
.
Ye mere sath pahli baar nahi ho raha tha jab main itna aage ki soch raha tha, aisa kayi baar mere sath pahle bhi ho chuka tha...mere ek dost ne jab suicide (A Dead Dream ) kiya tha tab main kayi raat tak bas isiliye nahi so paya tha kyunki mera dimag har waqt bas usi incident ki rat lagaye rahta tha...mere dimag me mera wo mara hua dost bahut dino tak zinda raha aur aksar raat ko wo mujhe mere room ke darwaje ke paas hath me farsa liye khada dikhta tha...
.
Mera brain bhi kitna ghan chakkar tha jisne baat kaha se kaha pahucha di thi...main is topic par aur bhi jyada khoya rahta yadi samne se guzar rahe ek shaks ne mujhe dekhkar chalane ki naseehat na di hoti to..
.
"kaha tha be aur tera mobile kaha hai...kitni der se call kar raha hoon lekin tu koyi responce hee nahi deta..."room ke andar ghuste hee Varun ne puchha...
"Nisha ko dekar aa raha hoon apna mobile..."bina uski taraf dekhe main samne wali table ke paas gaya aur draw kholkar cigarette ki packet nikali...
"sala aaj bahut bhayankar accident ho jata,.."teen-char kash lagatar maar kar maine kaha aur Varun ki taraf dekha....Varun ki taraf dekhte hee cigarette ka jo dhua mere seene me tha wo andar hee rah gaya aur main jor se khasne laga....kyunki is waqt waha Varun ke sath-sath Sonam bhi maujood thi...maine jis hath me cigarette pakad rakhi thi use peechhe karke deewar se ghiskar bujha diya aur cigarette wahi phhek di...
"Arun kaha hai..."Varun ki taraf dekh kar maine puchha...
"balcony ki taraf dekho...tumhara dost pichhale ek ghante se balcony me khada hokar mujhe line de raha hai..."
"tum dono apna karyakram jari rakho...main aata hoon..."bolkar main balcony ki taraf badha ,jaha se Arun taktaki lagaye Sonam ko dekh raha tha...
"palake bhi jhapka lo unkil...warna aankh nikal kar bahar aa jayengi.."
"are Arman tu..."
"nahi...main Arman nahi balki koyi bhoot hoon.."
"comedy mat mar aur Varun ki item ko dekh...sali kya lapapap khana khaye ja rahi hai "
"tu ek baat bata ki tu khane ke liye laar tapka raha hai ya Sonam ke liye laar tapka raha hai..."
"dono ke liye "
.
"Nisha ke dad ki halat kaisi hai ab Arman..."andar se Sonam ne aawaz lagayi...
"ekdum badhiya...kuchh hee der me pahle ki tarah khelne-kudne lagenge..."
"Nisha ne mujhe call karke bataya tha ki uske dad ki tabiyat kharab ho gayi hai..."Sonam ek baar phhir andar se chillayi...
"mujhe bhi Nisha ne hee call karke bataya tha..."
"tum hospital se hee aa rahe ho na..."Sonam mera kaan phhadte hue ek baar phhir cheekhi...
"haaaaaaaannnnnnnnnnn......"jhunjhlate hue maine apna pura dam lagaya aur jor se cheekha...jiske baad Sonam ne aur kuchh nahi puchha
.
Sonam kuchh der tak aur waha rahi aur phhir waha se jate waqt Varun ko bye...take care kaha uske baad un dono ke beech pappi-jhappi ka aadan-pradan bhi hua...
.
Sonam ke jane ke baad hum teeno phhir baithe hath me ek-ek glass liye...Varun jaha 8th Semester ki dastan sunne ke liye baitha tha wahi main 8th Semester ki dastan sunane ke liye baitha tha aur Arun...Arun hum dono ka peg bana raha tha...
"mere me is baar kam pani dalna be ,lodu...jhat type se peg banata hai ,sala asar hee nahi karta..."
"tu aage bol...phhir kya hua..."
.
.
phhir....phhir bahut bada kand hua...ek din college se aate waqt Arun ne kaha ki use hod sir ke paas kuchh kaam hai ,isliye main Saurabh ke sath hostel chala jaun,wo kuchh der me aayega....main aur Saurabh hostel aa gaye...humare hostel aane ke lagbhag aadhe ghante baad hee Arun hanfta hua aaya aur room ke andar ghuskar darwaja andar se band kar diya....
"kya hua be...kisi ne thok diya kya..."
"bahut bada lafda ho gaya bhai..."Arun seedhe aakar mere paas baitha aur bola"Divya se kiss karte waqt Gautam ne dekh liya...Gautam aur uske dost mujhe marne ke liye dauda rahe the ,badi mushkil se jaan bacha kar aaya hoon...mera bag bhi peechhe kahi gir gaya hai..."
Ye sunkar kuchh der ke liye main ghabra utha kyunki Gautam iska badla Arun se jaroor lega aur yadi usne is baat ki halki si bhi khabar apne baap ko di to phhir ek bahut pada bakheda khada hone wala tha...jisme Gautam aur uski bahan Divya ko to kuchh nahi hota...lekin mera khas dost Arun pis jata....
"hod ke paas jane ka bolkar tu ishq ladane gaya tha bakchod,jhatu..."
"baad me chahe jitna maar lena lekin abhi kuchh kar...Kyunki Gautam apne sabhi laundo ke sath hostel aa raha hai,mujhe marne ke liye...."
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Chapter-34:Bloody end of 3rd Semester
Update-119
.
"Arun..."ye ek aisa shaks tha jo mere dil ke behad hee karib tha ya phhir kahe ki sabse karib tha...ye ek aisa shaks tha jo janta tha ki main actual me kya hoon, main actually kya pasand aur na-pasand karta hoon...
kisi ke baare me meri soch kya ho sakti hai...ye pata karne ke sirf teen tareeke hai, pahla ye ki main khud aapko batau, jo ki kabhi ho nahi sakta dusara ye ki aap mere 1400 gm ke brain ki scanning karke sab maloom kar le aur ye bhi 99.99999999 % impossible hee hai lekin teesara tarika bahut aasan hai aur wo teesara tarika mera khas dost Arun hai...
Is samay Arun mujhe is ummid me taak raha tha ki main use is problem se nikalne ka koyi idea ya phhir koyi sujhav dunga...wo jab se room ke andar ghusa tha tab se lekar ab tak har 10 seconds me mujhse puchhta ki mujhe koyi idea aaya ya nahi.....aur har baar ki tarah is baar bhi jab usne 10 seconds ke pahle hee tok kar mujhse puchha to main bhadak utha....
"abey ye L me bhara jamal ghota hai kya,jo kahi bhi ,kisi bhi waqt lund nikal kar maal bahar kar diya...beta plan sochna padta hai aur sochane ke liye thoda time chahiye hota hai..."
"jaldi soch...tab tak main moot kar aata hoon..."
"haan tu ja moot kar aa...yahi sahi rahega aur sun..."
"bol.."
"mere badle bhi moot kar aana
"
.
Arun ki madad to mujhe karni hee thi chahe kuchh bhi ho jaye because he is like my chaddi and baniyan ,jiske bagair main jee to sakta tha lekin uske bina har waqt ek bechaini si rahti....he is like rifle of my pen,jiske bina college me main ek din bhi nahi gujar sakta tha...he is like earphone of my mobile,jiske bina main apne dus hazar ke mobile me gana tak nahi sun sakta tha aur sabse badi baat ye ki wo mera room partner tha aur usase badi baat ye ki wo mere dil ke bahut karib tha ,itna karib ki kabhi-kabhi mujhe aisa lagne lagta jaise ki hum dono ek-dusare ke gay-partner hai....jab kuchh toota-phhota sa idea mere dimag me aaya to main khidki ke paas gaya aur bahar dekhne laga ki Gautam aur uske dost hostel ki taraf aa rahe hai ya nahi....aur jaisa maine socha tha waisa hee hua ,Gautam ,bahut sare laundo ke sath hostel ki taraf aate hue mujhe dikhayi diya...
.
"Saurabh tu jakar hostel ke sab laundo ko jama kar aur mere room me aane ke liye bol..."
Saurabh ke jane ke baad apne paint ki chain band karte hue Arun room me ghusa...
"kuchh socha be lawde ya abhi tak marwa raha hai..."andar ghuste hue Arun ne puchha....
"tu abhich yaha se kalti maar, Gautam bahut sare ladko ko lekar hostel ki taraf aa raha hai..."
"sher ,kutto ke jhund se darkar bhagta nahi,balki unka muqabala karta hai ,unki *** chod deta hai aur phhir lawda chusata hai..."
"par abhi sach ye hai ki tu na hee koyi sher hai aur Gautam ke dost na hee kutte ke jhund...isliye jitna bola utna kar aur bahar yadi shor-sharaba ho to room se bahar mat nikal jana....samjha.."
"tu bol raha hai to chhip jata hoon ,warna aaj hee un salo ko pelta..."
.
maine Arun ko kisi dusare room me chhupaya, kyunki jaisa maine socha tha uske anusar Gautam...sabse pahle hostel ke andar entry marega aur uske samne hostel ka jo bhi launda dikhega use pakad kar seedhe Arun ka room number puchhega....main nahi chahta tha ki Gautam ,Arun ko dekhe isiliye maine Arun ko dusare room me chhipne ke liye kaha aur ek copy kholkar padhne ka natak aise karne laga...jaise ki mujhe kuchh pata hee na ho....
Hostel ke andar ghuskar Gautam ne ek ladke ka collar pakad kar usase Arun ka room number puchha aur phhir darwaje par laat maarkar wo room ke andar aaya.....
.
"to tu bhi usi MC ke sath rahta hai..."andar aate hee Gautam ne galiya baki"wo MC kaha chhipa baitha hai,use bol ki bahar aaye, abhi sale ke andar se ishq ka junoon nikalta hoon...."
"O...hello...kiski baat kar raha hai aur galiya kise bak raha hai..jara aukat se baat kar..."kitab band karte hue maine kaha...
"tu BC ,aaj shant rahna...warna aaj tujhe bhi tere us dost ke sath marunga...MC shant hoon iska matlab ye nahi ki main tum logo se darta hoon..."
"MC hoga tu ,tera baap,tera dada,tera pardada aur tere pardada ka pardada.....aur ye bata ki yaha gand marwane kyun aaya hai..."maine bhi apne tevar dikhate hue kaha...
"Arun..kaha hai wo BC....."
"dekh aisa hai beta ki tum log ab nikal lo..."
"pahle bata ki wo hai kaha...warna aaj tujhe bhi thokenge..."Gautam ke ek jigari dost ne aage aate hue kaha...
"Arun to S.P. Uncle ke yaha hai...abhi kuchh der pahle uska phone aaya tha..."
.
S.P. Ka name sunte hee un logo ke tevar kafi had tak kam ho gaya...wo sabhi,jo Gautam ke sath aaye the,ek -dusare ka muh takne lage...aur main yahi to chahta tha ki S.P. Ka support Arun par hai,ye sochkar wo waha se chale jaye aur baat ko bhool jaye.....
.
"mujhe is par yakin nahi,tum log ek-ek room check karo aur jaha bhi wo lawda ka baal dikhe...mar do sale ko...BC meri bahan se ishq ladata hai..."
Gautam ke aisa kahne par uske chamche hostel ke har ek room ko check karne lage...Arun ko maine floor ke sabse last room me chhupne ke liye kaha tha...isliye shuru ke kuchh kamro ko jab Gautam ke chamcho ne check kiya to unhe Arun nahi mila....lekin jab wo floor ke aakhiri chhor ki taraf badhe to meri saanse atakne lagi...kyunki yadi unhone Arun ko hostel me dekh liya to wo jaan jayenge ki S.P. Se na to mera koyi relation hai aur na hee Arun ka...yadi aisa hota to phhir wo ye bhi jaan jate ki S.P. ka support lekar main unhe aaj tak sirf chutiya hee banate aaya hoon....
.
"oye, ise randi khana samajh rakha hai kya, jo har room ko khol kar dekh rahe ho...maine bola na ki Arun yaha nahi hai..."
"tu BC chup raha..."Mera collar pakad kar Gautam ne mujhe mere room ke andar kiya aur bola"tu kya sochta hai ki mujhe maloom nahi tere kand...first year ke do laundo ko tune hee mara tha ye mujhe pata hai aur bahut jald tera bhi number aane wala hai....beta aisa marunga tujhe ki teri sari hekadi nikal jayega...ek hijade ki zindagi jeene par mazboor kar dunga tujhe main...tera baap bhi tujhe dekhkar hijda kahega aur taliya bajayega....madarchod teri main wo halat karne wala hoon ki tujh par koyi peshab bhi karne se pahle sau baar sochega...chal bhag madarchod..."mujhe jor se dhakka dete hue Gautam ne kaha...jiske baad main seedhe apne bed ke paas gira aur mera sar jor se kisi chiz se takraya...dard to bahut kar raha tha lekin mere andar ufan rahe jwalamukhi ne us dard ko lagbhag shunya kar diya...maine bistar ke neeche pada lohe ka rod nikala aur khada hokar Gautam ko aawaz di...
"idhar dekh be randi ki aulad...pahle jakar apni maa se puchhna ki kitno ka lund lekar tujhe paida kiya hai,phhir mujhse baat karna"lohe ki rod ko mazbooti se pakadte hue maine kaha aur bina kuchh soche-samjhe apni puri taqat se wo rod Gautam ke sar me de mara....
.
Gautam ke sar par lohe ka rod maine itni teji se mara tha ki wo usi waqt apne hosh kho baitha ,uske sarse khoon ki dhara bahne lagi...mera prahar itna tej tha ki Gautam ke chehre ka koyi bhi ang is waqt nahi dikh raha tha...dikh raha tha to sirf khoon...sirf aur sirf khoon...tab tak hostel ke sare ladke bhi mere room ke samne pahuch gaye the aur Gautam ke chamcho ko pakad kar dho rahe the.... Gautam zameen par pat behosh pada hua tha,jise maine rod se hee seedha kiya aur apni puri kshamta se ek aur rod uske pet me mara...jiske baad khoon seedhe uske muh se nikal kar mere upar pada.......
.
us din hostel me bahut bada lafda hua tha...hum hostel walo ne Gautam aur uske sabhi dosto ko bahut mara...us samay gusse me shayad main ye bhool chuka tha ki lohe ki rod se jiska main sar fod raha hoon,wo koyi aam ladka nahi hai....Gautam ke pet me rod markar uske muh se khoon nikalte waqt main ye bhool chuka tha ki Gautam ka baap ek bahut bada gunda hai aur wo iska badla mujhse jaroor lega....
_______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Update-120
us din hostel me bahut bada lafda hua tha...hum hostel walo ne Gautam aur uske sabhi dosto ko bahut mara...us samay gusse me shayad main ye bhool chuka tha ki lohe ki rod se jiska main sar fod raha hoon,wo koyi aam ladka nahi hai....Gautam ke pet me rod markar uske muh se khoon nikalte waqt main ye bhool chuka tha ki Gautam ka baap ek bahut bada gunda hai aur wo iska badla mujhse jaroor lega....
.
Maine ab tak ke apne zindagi ke 19 saal me aaj sabse badi galti kar di hai ,iska andaza mujhe tab hua , jab Gautam ko behoshi ki halat me ambulance ke jariye hospital le jaya ja raha tha...main usi waqt samajh gaya tha ki is action ka reaction to hoga aur wo bhi bahut bahut bahut bura...mera gussa jab se shant hua tha tabhi se mere andar ek dar ghar kar chuka tha...wo ye tha ki Gautam ka baap ab mera kya haal karega...yadi ye college ki chhoti-moti ladayi hoti to shayad uska baap ise ignore bhi kar deta lekin yaha uske eklaute bete ka maine sar fod dala tha...main khauff kha raha tha us pal ke liye,jab Gautam ka baap apne bete ka khoon se sana sharir dekhega...is samay mere dimag ne bhi apna side effect dikhana shuru kar diya..is samay jab mujhe mere dimag ki sabse jyada jaroorat thi to wo mujhe dhoka dekar aane wale samay me mera haal kya hone wala hai ,ye bata raha tha...maine dekha ki Gautam ke baap ne mere sar par thik usi tarah se rod mara jaisa ki maine Gautam ke sar par mara tha...
.
"Arman..."kisi ne mujhe pukara
"Arman..."
"abey Armaaaaannnn...."koyi mere kaan ke paas jor se chillaya...
"kya hai be bose dk "hostel me rahne wale us student ko dekh kar maine puchha
"Sidar sir,tujhe Amar sir ke room me bula rahe hai...chal jaldi.."
"Sidar bhai,itni jaldi hostel kaise pahuch...unhe to maine call tak nahi kiya tha..."
"tu khidki ke paas hee khada hai to kya tune suraj ko dhalte hue nahi dekha...beta bahar nazar maar ,raat ho chuki hai...ab chal jaldi se,warden bhi waha Amar sir ke room me mauzood hai..."
Uske kahne par maine bahar dekha aur is waqt sach me raat thi...maine baukhalate hue apni ghadi me time bhi dekha to raat ke 7 baj rahe the...yani ki main ghanto se yahi khidki ke paas khada hoon,lekin mujhe ye nahi maloom chala ki raat kab ho gayi....
"chal..chalte hai.."us ladke ke sath room se bahar nikalte hue maine kaha...
room se bahar aate waqt meri nazar apne aap hee waha pad gayi,jaha kuchh ghante pahle Gautam khoon me sana hua leta tha...waha khoon ke nishan ab bhi the aur mere dimag ne aane wale pal ki bhavishyavadi karte hue mujhe wo scene dikhaya jise dekh kar meri rooh kanp gayi,...maine dekha ki main khoon se lathpath kahi pada hua hoon aur jaanwar mere sharir ko noch-noch kar kha rahe hai....
"Arman..kya hua,.."mujhe hosh me late hue us ladke ne hairani se meri taraf dekha....
"kuchh nahi...chal"
.
Amar sir ke room ke andar is waqt lagbhag sabhi source wale hostelers baithe hue the...kuchh phone par kisi se baat kar rahe the to kuchh aapas me aaj hostel me hue maar-peet ke baare me discussion kar rahe the...humara hostel warden sab ladko ke samne ek chair par apna sar pakad kar baitha hua tha....mere andar aate hee sab shant ho gaye,jo kuchh der pahle kisi ko call pe call kiye ja rahe the unhone mobile neeche kar liya...jo log ghanto pahle hui is maar-peet ke baaee me discussion kar rahe the wo mujhe dekh kar chup ho gaye aur hostel warden ne bina samay gawaye ek tamacha mere gaal par jad diya...
"bahut bada gunda hai tu...ab pata chalega tujhe ki asaliyat me gundagiri kya hoti hai...teri vajah se meri naukari to jayegi hee,sath me teri jaan bhi jayegi..."bolkar Warden ne apni kursi pakad li aur baith kar phhir se apna sar pakad liya....sala fattu
waise to main waha mauzood sabhi seniors,classmate aur juniors ko janta tha par is waqt meri aankhe sirf aur sirf Sidar par tiki hui thi...
"ye log jo kah rahe hai kya wo sach hai...kya tune hee Gautam ko mara hai..."Sidar ne puchha
"haan..."
"to ab kya socha hai...kaise bachega in sab se aur mere khayal se tune plan to banaya hee hoga ki Gautam ko marne ke baad tu uske baap se kaise bachega..."
"main Gautam ko nahi marna chahta tha,wo to suddenly sab kuchh ho gaya..."
.
Us din shayad wo pahla mauka tha jab main kuchh soch nahi pa raha tha,main jab bhi in sabse bachne ke liye kuchh soch-vichar karta to mera dimag alag hee direction me mujhe le jata tha..jaha main jana nahi chahta tha...us din humari meeting ghanto tak chali aur us meeting se humare samne do problem aaye aur hostel ke har ek ladke ne sujhav diya ,sirf mujhe chhodkar ,ki ab aage kya karna chahiye....warden humare sath tha aur warden ne college ke principal ko bhi raat me patti padha di thi ,jiske baad hume ye ummid thi ki Principal police ke samne humara sath dega..humare samne is waqt sirf do problems thi aur dono hee problems kal subah ki pahli kiran ke sath meri zindagi me dastak dene wali thi....pahli problem ye thi ki mujhpar aur mere dosto par half-murder or attempt to murder ka case banega...dusaa ye ki Gautam ka baap hath dhokar mere peechhe pad jayega,jiske baad mera bachna namumkin hee tha..
.
Police case ko suljhane me hume jyada dikkato ka samna nahi karna pada kyunki Gautam aur uske dost hostel ke andar ghuse the matlab ladayi karne ke irade se wo waha aaye the aur phhir sab ladko ke beech maar-peet me Gautam ka sar kisi chiz se takraya aur wo wahi behosh ho gaya...hum me se koyi ek bhi samne nahi aaya jisase Police kise remand par le aur kise na le ye unke liye mushkil ho gaya.... humne us three star ki vardi pahne hue policewale ke samne ye prove kar diya ki Gautam hume marne aaya tha aur Jin logo ka name F.I.R. Me darj hua hai wo to kal recess ke baad warden se do din ki chhutti maang kar ghar ke liye nikal chuke the lekin unhe aaj wapas isliye bulaya gaya taki Police ko shaq na ho ki college kisi ko bachane ki koshish kar raha hai...
.
mujhe ,hostel me rahne wale kuchh ladko ke sath police station bhi le jaya gaya...jaha mujhe shuru me dhamkaya gaya aur phhir kaha gaya ki "yadi main unhe sab sach bata deta hoon to wo mujhe kuchh nahi hone denge..."
wo mujhse wo sab puchh rahe the jise na batane ki practice maine kal raat bhar ki thi,..police walo ne mujhse kal ki ghatna ke baare me jitni bhi baar puchha...jis bhi tarike se puchha, maine har baar apna sar na me hilaya aur juban NA me chalayi...
"haan Sir,hum use la rahe hai..."us three star ki vardi pahne hue policewale ne phone par kisi se kaha aur meri taraf dekh kar bola"chal ...tere principal ka phone aaya hai,.."
"maine to pahle hee kaha tha ki mujhe kuchh nahi maloom...jo ladke mera name bata rahe hai wo mujhse khunnas khaye hue hai...isiliye unhone mera name bataya..."
"maine tujhse pahle bhi kaha hai aur ab bhi kah raha hoon ki mere kandhe par ye teen star aise hee nahi lage hai...chutiya kisi aur ko banana...ab chal.."
Uske baad saare raste bhar maine apna muh nahi khola kyunki dheere-dheere mujhe aisa lagne laga tha ki mere dimag par is samay shani aur mangal kundali maar kar baithe hue hai...isiliye main jo kuchh bhi sochta hoon,jo kuchh bhi karta hoon...wo sab ulta mujhe hee aakar lagta hai.....
.
Humari pahli problem to lagbhag solve ho gayi thi yani ki police case ka ab koyi jhanjhat nahi tha ab jhanjhat tha to wo tha Gautam ka baap...
"police unkil...mera dost Gautam kaisa hai..use hosh aaya ya abhi tak leta hua hai..."jeep se utarte hue maine puchha...
"apne principal ke authority ka use karke tu Police ke jhamele se to bach jayega...lekin us gunde se kaise bachega jiske liye niyam,kanoon koyi mayne nahi rakhta..."muskurate hue usne jawab diya "mujhe is case me koyi khas dilchaspi nahi hai lekin tujhe aagah kar deta hoon ki tera bura waqt ab shuru hone wala hai..."
Main us three star wale ki taraf dekhkar apne dimag ki dictionary me koyi damdar dialogue dhoondhata raha lekin jab mujhe kuchh nahi sujha to maine kaha
"wo kya hai ki is waqt mujhe koyi damdar dialogue yaad nahi aa raha hai,isliye aap filhal jao...aapke is sawal ka jawab kisi aur din dunga"
_______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Update-121
"wo kya hai ki is waqt mujhe koyi damdar dialogue yaad nahi aa raha hai,isliye aap filhal jao...aapke is sawal ka jawab kisi aur din dunga"
.
College ke samne police jeep se utar kar main class ki taraf badha...man to nahi tha class jane ka lekin hostel me akele rahta to mera dimag mujhe Gautam ke baap se pahle hee maar deta, isliye maine class attend karna hee behtar samjha....class ki taraf aate hue samne mujhe Esha dikhi to mere kadam khud ba khud rook gaye ,main janta tha ki wo is samay mujhse behad hee khafa hogi aur mujhpar gussa karegi...lekin main phhir bhi uski taraf badha aur na chahte hue bhi muskuraya taki uski muskan dekh saku...apne samne achanak mujhe pakar Esha kuchh der tak mujhe yun hee dekhti rahi aur phhir aankho me mere liye duniyabhar ki nafrat bhare hue waha se aage badh gayi...
.
pichhale kuchh dino me mujhe dekhkar uske hontho me jo ek pyari si muskan chha jati thi ,uski jis muskan ka main deewana tha ,uski jis muskan par main dil se fida tha...aaj uske hontho se wahi muskan gayab thi...uski jin bhoori si aankho se mujhe pyar tha,..sabse jyada lagav tha ,is waqt wo aankhe ekdum laal thi...uski unhi aankho me maine apne liye duniyabhar ki nafrat dekhi ,jinme main hamesha apne liye ek pyar, ek ahsaas dekhna chahta tha....
.
"Esha...wait a minute..." bina kuchh soche-samjhe,bina kisi ki parvaah kiye main Esha ke peechhe bhaga...
"Arman ,rasta chhodo..."mujhe apne samne pakar usne apna chehra dusari taraf phher liya...
"Gautam ki vajah se hum, apan dono ke beech me khatash kyun paida kare...chal hath mila..."
.
Wo phhir chup rahi aur apna chehra dusari taraf karke mere waha se jane ka intezaar karti rahi...uski ye khamoshi teer bankar mere left side me chubh rahi thi...aaj agar Esha mujhe sorry bolne ke liye kahti to main ek baar nahi hazar baar use sorry bolta...lekin sali pareshani to yahi thi ki wo aaj kuchh bol hee nahi rahi thi....
.
"Esha..."uski taraf apna ek hath badhate hue maine kaha...
"door jao mujhse..."cheekhte hue usne kaha aur sabke saamne mujhe dhakka diya lekin main phhir bhi usi ki taraf badha...sabke samne apni bejjati ka andesha hone ke bawjood main Esha ki taraf badha...
.
Main ye nahi kahta ki mere man me Esha ke siwa kisi aur ladki ka khayal nahi aata ,main har din Esha ke sath-sath kayi dusari ladkiyo ke bare me bhi sochta lekin Esha ke liye mere andar jo ahsaas ,jo lagav hai wo ahsaas,wo lagav kisi dusari ladki ke liye aaj tak nahi hua tha...main ye baat dhol-nagade peet peet kar isliye kah sakta hoon kyunki...Esha mere man me nahi balki mere dil me basi thi....
main ye nahi kah raha ki mera pyar kisi filmi pyar ki tarah hundred percent hai lekin ye main dawe ke sath kah sakta hoon ki jitna bhi percent mere dil me uske liye mohabbat hai ,wo ekdum sach hai aur pavitra bhi...warna main college me is waqt sirf ek ladki ke liye...sirf aur sirf aur sirf ek ladki ke liye sabke samne apni bejjati sahan nahi karta....
.
"Arman,tum mujhe apna dost kahte the,par ab pata chala ki tum to bas ayyash kism ke wo insan ho,jise kisi ki koyi parvah nahi hai...ab samne se hat jao,warna kahi aisa na ho ki...main sabke samne tum par hath utha doon..."
"mujhe koyi farak nahi padta ki yaha kaun-kaun hai aur na hee mujhe iski parvah hai..."
"lekin mujhe parvah hai...khud ki aur Gautam ki....Gautam sach hee kahta tha ki dosti apne status ke barabar wale logo ke sath hee karna chahiye..."
Uske baad maine sirf use waha se jate hue dekha,kyunki mere paas ab koyi shabd nahi the jiska istemaal karke main use ek baar phhir se aawaz doon ya rokne ki koshish karu...usne abhi-abhi kaha tha ki is jahan me use sirf do logo ki parvah hai..ek khud ki aur ek apne pyar ki lekin mujhe to parvah sirf ek ki thi aur wo Esha thi..jisne mujhse abhi-abhi nafrat karna shuru kiya tha...main ab bhi usase baat karna chahta tha ye jante hue bhi ki wo ab mujhse baat nahi karna chahti hai lekin mere dil ne ,uske liye mere junoon ne mujhe phhir se uske peechhe bhagne liye mujhe mazboor kar diya....
.
"Esha,yar ek minute sun to le ki main kya kahna chahta hoon..."uski car ke paas pahuchkar maine khidki se andar dekha aur ek baar phhir se Esha ko aawaz di"bas ek minute..."
"Divya tu car aage badha..."mujhse ek baar phhir muh phherkar wo boli...
Maa kasam khakar kahta hoon ki us waqt mujhe aisa lagne laga jaise ki us ek pal me mere sare sapne jo maine Esha ko reference maankar soche the...meri sari khwahishen ,jo ki Esha ko lekar thi...is dil ke sare Arman ,jiske rag-rag me wo basi hui thi...mere un sare sapno ne, mere un sari khwahishon ne,mere un sare armano ne apna dam tod diya tha...dil kiya ki yahi rona shuru kar doon aur tab tak rota rahu jab tak Esha khud aakar mujhe chup na karaye...dil kiya ki pagalo ki tarah apna seena tab tak peetata rahu ,jab tak ki meri rooh mere jism se na nikal jaye...meri us halat par jab Esha ne mujhe palat kar bhi nahi dekha to mere andar us naram dil wale Arman ko maarkar ek khuddar, ghamandi shaksiyat rakhne wale Arman ne apni jagah le li...
"ye tum kya kar rahe ho..."jab maine Esha ke headphone ko nikal kar bahar fek diya to wo mujhpar chillate hue turant car se bahar nikli aur mujhe thappad marne ke liye apna hath aage badhaya....
"shukar mana ki tere is hath ko maine rok liya...warna tera ye hath yadi galti se bhi mere gaal ko chhu jata to jo haal tere aashiq ka kiya hai usase bhi bura haal tera karta...tera aashiq to hospital me zinda pada hai lekin tujhe to main seedhe upar bhejta...sali tu khud ko samajh ke kya baithi hai..."maine car ka gate khola aur Esha ko andar fekte hue kaha"jispar tujhe gussa aata hai to tu usase baat karna band kar deti hai lekin jab mujhe kisi par gussa aata hai to main use baat karne ke layak nahi chhodta...ab chal jaldi se nikal is chuhiya ke sath warna tere baap ko tere aashiq ke bagal me ek aur bed book karana padega...."
.
Parking me maine aaj Esha se apne lagbhag sare lagav ko todkar aaya tha aur is samay mera gussa mujhpar pahle se bhi jyada hawi tha...hostel pahuchane ke baad mujhe warden ne kaha ki police case ko to wo log kaise bhi karke sambhal lenge...lekin Gautam ke baap ko rokna unke bas me nahi hai,isliye behtar yahi hoga ki main kuchh hafto ke liye apne ghar chala jaun.
________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Update-122
Parking me maine aaj Esha se apne lagbhag sare lagav ko todkar aaya tha aur is samay mera gussa mujhpar pahle se bhi jyada hawi tha...hostel pahuchane ke baad mujhe warden ne kaha ki police case ko to wo log kaise bhi karke sambhal lenge...lekin Gautam ke baap ko rokna unke bas me nahi hai,isliye behtar yahi hoga ki main kuchh hafto ke liye apne ghar chala jaun.
.
Highway ke kinare khada main is waqt bahut sari uljhano se ghira hua tha...mere andar kya chal raha tha ye main khud bhi thik tareeke se nahi samajh pa raha tha...kabhi mujhe Gautam ke pappa ji dikhte to kabhi mere dost mujhe dikhte..,to kabhi hostel me ladayi wala scene aankho ke samne chha jata to kabhi Esha ke sath aaj hui jhadap seene me ek tees paida kar rahi thi...kabhi main khud ko galiya deta ki maine Esha ke sath aisa bartaav kyun kiya to kabhi mera ghamandi roop samne aa jata aur mujhse kahta ki...maine jo kiya sahi kiya,bhad me jaye Esha aur uska pyar...sach to ye tha ki is waqt main thik se kisi bhi matter ke bare me nahi soch pa raha tha aur sari duniya se alag hokar hostel se highway ko jodne wali sadak ke sabse antim chhor par khoya-khoya sa khada tha...mujhe iska bilkul bhi hosh nahi tha ki mere samne se teen-teen auto nikal chuke hai...mujhe is baat ki bilkul bhi parvah nahi ho rahi thi ki mere is tarah se yaha khade rahne par meri train chhut sakti hai...
"oye...rook...abey ruk mujhe bhi jana hai..."City bus jab samne se guzar gayi to mujhe jaise eka ek hosh aaya ,lekin city bus tab tak bahut door ja chuki thi.....
jab city bus nikal gayi to main wapas apne kandhe me bag taange hue hostel se highway ko jodne wali sadak ke antim chhor par khada ho gaya aur phhir se sari duniya ko bhool kar apne andar chal rahe toofan me kho gaya....
.
kya maine Esha ke sath parking me jo kiya wo sahi tha...kahi maine apne hatho hee apne armano ka gala to nahi ghot dala...kyunki yadi Esha ki jagah koyi aur bhi hota,yaha tak main bhi hota...to apne pyar ko chot pahuchane wale se nafrat karta...aur Esha ne bhi aaj wahi kiya,...galat to main hee tha jo baar-baar uske samne khada ho ja raha tha. Usase baat karne ki meri jid ne shayad use,mujhpar aur bhi jyada gussa dila diya aur phhir parking me use dhamki dekar aana,.that was my fault,mujhe aisa nahi karna chahiye tha..kisi bhi haal me nahi karna chahiye tha...
.
lekin usi waqt mere andar se ek aur aawaz aayi ki" that was not my fault, yadi Esha ki jagah par aur koyi hota to wo beshak wahi karta..jo Esha ne kiya,i agree....lekin yadi meri jagah par bhi koyi aur hota to wo bhi wahi karta jo maine kiya tha...Arun mere bhai jaisa hai aur use koyi marne aaye to kya main chhip kar sirf isliye baitha rahu kyunki mere dost ko marne aa raha wo ladka mere pyar ka pyar hai...bilkul nahi, maine jo kiya bilkul sahi kiya..jisko jo samajhna hai samjhe,jise nafrat karni hai wo kare, apun ko zindagi guzarne ke liye sirf dost aur daru ki botal hee kafi hai...."
.
Mere andar is samay do Arman mauzood the aur dono apne-apne vichar de rahe the...ek sahi tha aur ek galat ,ye to main janta tha lekin sahi kaun hai ? aur galat kaun hai ? main ye decide nahi kar pa raha tha.mera man kar raha tha ki main sadak ke kinare lage pedo par apna sar de maru ya phhir apne baal noch dalu...kyunki dusaro se to bacha ja sakta hai lekin khud se bachne ki koyi raah nahi hoti, is waqt mere andar do Arman the..ek wo Arman tha jo Esha se behisab mohabbat karta tha to dusara Arman ,Arun ko apna khasam khas yar manta tha...un dono Arman ki ladayi se mere andar is samay ek toofan utha hua tha ki ek scooty mere samne se hokar gujari aur thodi door jakar rook gayi....
"ab ye kaun hai aur maine iska kya bigada hai...jo mujhe ghoor rahi hai..."apne chehre par scarf bandhe us ladki ko apni taraf dekhta hua pakar maine socha....
Maine apne agal-bagal ,aage-peechhe bhi check kiya ki waha mere siwa aur koyi to nahi,jise ye scarf wali item dekh rahi hai...lekin waha koyi nahi tha.. hostel ko highway se jodne wali sadak ke antim chhor par main sirf akela khada tha jiska saaf matlab tha ki wo scooty wali ladki waha khadi hokar mujhe hee dekh rahi hai....
"Arman...tum yaha"apne chehre par scarf lapete hue hee us ladki ne mujhse kaha...
scarf bandhe hue hone ke karan uski aawaz saaf nahi aa rahi thi,lekin main itna to samajh gaya tha ki ye ladki kaun hai...actually main aaj itne dino baad use dekh kar thoda shocked ho gaya tha aur sath hee use dekhkar ek muskan mere hontho par aa gayi....
.
"deepika mam, kafi dino baad dekha..."
"wait..."usne scooty ka direction change kiya aur meri taraf aane lagi mere samne scooty rokne ke baad deepika mam ne apna scarf hataya aur mujhse puchhi ki main kaha ja raha hoon....
"kuchh kaam hai ghar me,isliye ghar ja raha hoon..."
"Gautam ke baare me suna maine..."scooty side karke wo mere paas aayi
"haan,maine bhi suna...pata nahi use kisne mara,us waqt main ghar par tha..."
deepika mam se maine jhooth bola ,kyunki main nahi chahta tha ki use ye maloom ho ki mujhe bachane ke liye mere warden aur principal sir ne police se jhooth bola tha...sabko yahi maloom tha ki jab Gautam ki ladayi hui tab main hostel me nahi balki apne ghar me tha....
"to,kitne baje ki train hai..."
"6'O clock.."
"ek kaam karo tum mere sath chalo..mera room railway station ke aage hee hai to tumhe waha chhodte hue chalungi..."kuchh der sochne ke baad deepika mam boli...
"ye sahi rahega thanks...."bolte hue main deepika mam ke sath unki scooty ki taraf badha....
.
Aaj bahut dino ke baad main deepika mam se mila tha isliye scooty par jab main unke peechhe baitha to unke pichhwade ke ek touch se hee mera agwada khada ho gaya....sala itni buri condition me fanse hone ke bawjood tharak pan mere andar se nahi gayi thi
deepika mam ki ek khas adat jo mujhe hamesha se uski taraf aakarshit karti thi aur wo thi unke perfume ki mahak...jo is waqt seedhe mere rom-rom me ek hot ladki ke paas hone ka ahsaas kara rahi thi,...main thoda aur aage khisak kar deepika mam se chipak gaya aur apna ek hath uski jaangh par rakh kar dabane laga...meri is harkat par deepika mam kuchh nahi boli aur chup chap scooty chalati rahi,...is dauran maine pura maza liya aur kayi baar peechhe se uske gardan ko kiss bhi kiya....
.
"cigarette piyoge..."scooty ko dheema karte hue deepika mam ne mujhse puchha...
"haaaaiiinnnn..."
"maine puchha cigarette piyoge ya nahi..."abki baar usne scooty rok kar puchha...
"main cigarette sirf daru ke sath leta hoon..."
"aur main chay ke sath.."bolte hue wo neeche utar gayi aur paas hee bane ek chay wale ke paas jakar do chay ka order diya...
"ye chay-way rahne do..."
"okay..."us chay wale ki taraf dekhkar wo boli"bhaiya ek light dena aur ek chay..."
.
Deepika mam lagbhag 5 minute tak cigarette ki kash marti rahi aur main sadme me tha aur deepika mam ko apni aankhe fad-fad kar dekh raha tha....thodi der baad jab uski cigarette aur chay khatam ho gayi to usne ek aur chay with cigarette ka order diya....
"iski to...ek aur round mar rahi hai "
"Arman...ek kaam karna..."Cigarette ke kash marte hue usne mujhe apne karib aane ke liye kaha
"bolo..."
"wo samne...medical store dikh raha hai na..."usne sadak ke dusari taraf ishara karte hue mujhse puchha...
"sab samajh gaya...abortion ki goliya lani hogi,right"
"jake condom le aao taki mujhe abortion na karana pade "
Deepika ke dwara mujhe condom lane ke liye kahne se main samajh gaya ki wo aaj raat mere sath kuchi-kuchi khelne ke mood me hai lekin 6 baje meri train thi isliye main chahkar bhi uske sath nahi rah sakta tha isliye maine thoda sharmate hue kaha...
"mam, shayad aap bhool rahi hai meri 6 baje ki train hai "
"oye..kis bhram me jee raha hai, main tere sath nahi balki kisi aur ke sath palang todne wali hoon...ja jakar condom lekar aa aur seedha ek packet lekar aana ,baar-baar condom lene dukan jana mujhe achchha nahi lagta..."
"sali kutiya "badbadate hue main condom ka ek pura packet lene medical store ki taraf badh gaya....
______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Update-123
"sali kutiya "badbadate hue main condom ka ek pura packet lene medical store ki taraf badh gaya....
.
Kisi Medical store me condom kharidane ke liye jane wale sabhi human beings mere khayal se do tarah ke hote hai...ek wo jo ekdum bindas bejhijhak hokar conom le aate hai aur ek wo jo condom kharidate waqt thoda sharmate hai...
main khud ko bindas banane ki har mumkin koshish kar raha tha aur jo line mujhe medical store wale se kahni thi uski maine kayi baar practice bhi kar li thi...lekin na jaane kyun medical store ke paas aakar main sharmane laga, mujhe us medical store wale se condom magne me jhijhak mahsoos ho rahi thi...aisi jhijhak pahli baar kisi medical store se condom kharidne wale ladke ke andar aana badi normal baat hai lekin ye jhijhak tab aur badh jati hai jab aap ,jaha pahli baar condom kharidne ja rahe ho ,waha achanak se bheed badh jaye....un logo ke beech mujhe condom magne me sharam aa rahi thi lekin maine khud ko mazboot kiya aur apni lines teen-char baar revise karke us medical wale ki taraf dekh kar bola...
"bhaiya condom dena to... "
Mera aisa bolna tha ki waha khade sabhi logo ne kuchh der ke liye mujhe dekha aur phhir halki si smile unke hontho par aa gayi....
"kya chahiye aapko..."Medical wale ne mujhse puchha...
"condom dena..condom "
"kitna doon ,ek ,do..."
"pura ek packet dena "
ye sunte hee waha khade logo ke hontho par phhir se ek smile chha gayi...waha khade logo ka mujhe dekhkar aise muskurana mujhe pasand nahi aaya aur main chahta tha ki jald se jald condom lu aur yaha se chalta banu....
"kis brand ka chahiye..."medical wale ne ek baar phhir mujhse puchha...
"jo sabse achchha ho..."
"Manforce du, chalega..."
"daudega...."
"which flavour..."
"koyi sa bhi de de "khisiyate hue maine kaha ,jiske baad medical wale ne satt se condom ka ek packet nikala aur jhatt se mujhe de diya....
.
"kamal hai ,chode koyi aur uski protection ke liye condom lene main dukan jaun... "Medical store se wapas us chay wale ki taraf aate hue main bola, jaha deepika mam cigarette ke challe banakar dhua ,hawa me uda rahi thi....
Wapas aate samay maine door se dekha ki deepika mam kisi se mobile par baat kar rahi thi lekin mujhe apni taraf aata dekh usne hadbadate hue call turant disconnect kar di...deepika mam ki is harkat se main thoda chauka jaroor lekin phhir baat ko hawa me udakar uski taraf badha....
.
"ye lo mam, pura ek packet hai..."condom ka packet dete waqt mujhe phhir se deepika mam dwara mujhe dekhkar call disconnect karna...yaad aa gaya
"thanks Arman dear..."deepika mam ne condom apne bag me dala aur meri taraf dekhkar eka ek muskurane lagi....
"ye bin badal barsat kaise ho rahi hai...bole to is muskan ka kya raaz hai..."
"bas yun hee..."bolte hue deepika mam ne chaywale ko ek aur cigarette with tea ka order diya...jiske baad main kabhi us chay wale ki taraf dekhta to kabhi deepika mam ki taraf....
"ye teesara round hai "
"yah ! I know, abhi to do round aur baki hai..."
"sach "
Deepika mam ke order par us chay wale ne chay aur cigarette lakar deepika mam ko diya aur cigarette jalakar deepika mam dhua mere chehre par fekane lagi....deepika mam ka yun baar-baar mere face par cigarette ka dhua chhodne se mere andar bhi cigarette peene ki ichchha jag gayi aur jab mujhse raha nahi gaya to maine kaha...
"ek kash idhar bhi dena..."apna hath deepika mam ki taraf badha kar maine cigarette manga...
"sorry ,main apni cigarette kisi aur ke sath share nahi karti..yadi tumhe chahiye to dusari kharid lo..."
"ye niyam kisi aur ke liye bacha kar rakhna..."deepika mam jab mere chehre par cigarette ka dhua chhod rahi thi to maine unke hath se cigarette chheen li aur bola"ek baat puchhu..."
"kya..."meri is harkat par mera khoon kar deni wali nazar se mujhe dekhte hue wo boli...
"jab main wapas yaha aa raha tha to aapne mujhe dekhkar call disconnect kyun kar diya....main aapka husband to hoon nahi jo mujhse apne affair chhupao..."
"haan...."lambi-lambi saanse bharte hue deepika mam boli"tumne sach kaha ,tum mere husband to ho nahi ,jo main tumse apna affair chhipa kar rakhungi, wo mere naye boyfriend ka call tha aur tumhe bura na lage isliye maine turant call disconnect kar diya...."
.
"sali mujhe chutiya banati hai..."usko dekhkar maine man me kaha....
maine aisa jaanbuchkar kaha tha ki" main uska husband to hoon nahi ,jo wo mujhse apne affairs chhipayegi..." taki main uska dimag padh saku, jab shuru-shuru me maine deepika mam se call disconnect karne ke baare me puchha to wo ghabra gayi thi lekin mere dwara affair wali baat chhedne par usne eka ek rahat ki saans li thi aur phhir mujhse boli ki uske boyfriend ka call tha,...aisa bolte waqt koyi bhi deepika mam ko dekhkar ye bata sakta tha ki deepika mam jhooth bol rahi thi,...uska gora chehra laal ho gaya tha ,jab maine usase call disconnect karne ka reason puchha tha...ab jab deepika mam ghabra rahi thi to jaroor koyi ghabrane wali baat usne phone par kisi se ki hogi,aisa maine andaza lagaya aur mujhe dekhkar uska call disconnect karna matlab wo nahi chahti thi ki main uski baat sunu ya phhir ye bhi ho sakta tha ki wo mujhse related hee kisi se baat kar rahi thi, lekin sawal ab ye tha ki kisase ?
.
Abhi tak us chay wale ke dukan me baithkar maine ye gaur kiya tha ki deepika mam adhik se adhik samay tak mujhe yaha par rokne ki koshish kar rahi thi...main jab bhi use waha se chalne ke liye kahta to wo chay wale ko ek aur chay ka order dekar mujhse kahti ki"itni jaldi railway station jakar kya karoge,abhi to sirf 5 baje hai aur waise bhi main tumhe drop karne ja hee rahi hoon na..."
Ek baar to main kuchh der ke liye ye maan bhi leta ki deepika main aise hee kah rahi hai aur main bevajah hee chhoti si baat ko tul de raha du...lekin jabse maine use, mujhe dekhkar call disconnect karne ke baare me puchha tha tab se wo pahle ki tarah normal behave nahi kar rahi thi...wo kuchh ghabrayi hui si lag rahi thi....
"sach sach batao mam ki us waqt tum kisase baat kar rahi thi..."uski taraf jhuk kar maine gambhir hote hue puchha...
"kisi se to nahi, kyun..."
"ab hume chalna chahiye ,5:30 baj chuke hai aur chay wale ki chay bhi khatam ho chuki hai shayad..."bolte hue main khada ho gaya
"baitho na, kuchh der yaha ruk kar baat karte hai..."mera hath pakad kar mujhe baithate hue deepika mam boli...
"had ho gayi ab to "uska hath jhatak kar main gusse se bola"tujhe nahi jana to mat ja..lekin meri 6 baje ki train hai...main nikalta hoon..."
.
"oye ladke sun..."kisi ne peechhe se mera kandha pakad kar kaha..
"kaun..."
"tera baap,peechhe mud..."
Ye sunte hee main gusse se ubalne laga aur turant peechhe muda...peechhe mudkar main kuchh dekhta ,kuchh samajhta ya phhir kuchh kahta usase pahle hee mere mathe par samne se kisi ne jordar prahar kiya aur main wahi apna sar pakad kar baith gaya, jisne bhi mujhe mara tha usne puri timing aur power ke sath mara tha,jisase ki mere kaan me is waqt seetiya baj rahi thi aur pura sar dard ke sath jhanna raha tha...kuchh der tak to main wahi neeche apne sar ko pakad kar baitha raha aur jab samne ki taraf nazar dali to kuchh dikha hee nahi,apni aankho ko ragadkar maine samne dekhne ki ek aur koshish ki lekin nateeza pahle ki tarah tha,mujhe ab bhi kuchh nahi dikh raha tha...
.
"kaun..."badi mushkil se main itna bol paya....
Jiske baad kisi ne mujhe pakad kar uthaya ,mujhe upar us MKL deepika ne uthaya tha, kyunki main uske perfume ki khushaboo ko mahsoos kar sakta tha....
"kaise ho Arman..."mere kandho ko sahlate hue deepika randi ne apna muh khola"tum puchh rahe the na ki maine kisko call kiya tha aur tumhe aata dekh call disconnect kyun ki thi...to suno, maine Gautam ke father ko call karke ye bataya ki uska shikar mere sath hai...maine unhe is dukan ka address bhi bataya aur jab tumhe aate hue dekha to hadbadahat me call disconnect kar di taki tumhe maloom na ho ki main kisase baat kar rahi...ab tum ye bhi samajh gaye hoge ki main tumhe kyun jabarjasti yaha rok rahi thi..."
"50 de BC..."maine kaha...
"kya "
"condom tere baap ki dukan se laya hoon kya,chal nikal 50
"deepika mam ki taraf hath badhate hue maine kaha, ab mujhe halka-halka kuchh dikhne laga tha...
"is situation me tum 50 mang rahe ho..."
"haan , tu jaldi se 50 de..."
"ye le bheekhari apne 50 "apne purse se ek note nikal kar deepika mam ne mere hath me thama diya...
"ab ek paapi bhi de de..."
main nahi janta ki us samay meri in harkato se deepika aur mujhe marne aaye Gautam ke baap ke aadmi kya soch rahe the,waha aas-paas khade log kya soch rahe the...unka reaction kya tha....kyunki meri aankho ke samne is waqt dhundhla-dhundhla nazara tha aur us dhundhale-dhundhale nazare me kisi ke face ke reaction ko dekh pana mumkin nahi tha...
"lagta hai dimag par padne se asar kuchh jyada ho gaya hai..."
"lawda chusegi to sahi ho jayega, le chus na us din ki tarah..."
Main aisi harkat teen vajah se kar raha tha pahla ye ki deepika ka sabke saamne mazak bana saku,dusara mujhe kuchh sochane ke liye thoda time mil raha tha,teesara main is jugad me tha ki kab main thik se dekh paun aur dekhte hee yaha se khisak lu...uske baad deepika ki koyi aawaz nahi aayi aur jald hee mujhe sahi se dikhna bhi shuru ho gaya tha...maine dekha ki mujhe marne ke liye ek nahi..do nahi balki ek achchhi-khasi fauj aayi thi...sala main kohi super hero hoon kya,jo Gautam ke baap ne itne aadmiyo ko bhej diya
"yadi zinda bach gaya to tera jeena haram kar dunga deepika randi, apni chut aur gand me meri ye warning bachchadani tak thus le..."scooty ke paas deepika ko khada dekh kar maine kaha...
"pahle zinda bach to sahi, chutiye..."
_______________________
 
Top