• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance 8TH SEMESTER ! (Completed)

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Update-124
"yadi zinda bach gaya to tera jeena haram kar dunga deepika randi, apni chut aur gand me meri ye warning bachchadani tak thus le..."scooty ke paas deepika ko khada dekh kar maine kaha...
"pahle zinda bach to sahi, chutiye..."
.
"ghar jakar upar wale se yahi dua karna ki main aaj zinda na bachu..."deepika se main bola"kyunki yadi main bhoole se bhi zinda bach gaya,yadi bhoole se bhi meri aankh dobara khul gayi...yadi bhoole se bhi main dobara kabhi bhi college aaya to tu kisi ko muh dikhane ke layak nahi rahegi aur tu zindagi bhar yahi sochegi ki us din main Arman ke khilaf kyun gayi..."
"achchha, pair kabra me hai lekin phhir bhu duniya dekhne ki baat kar raha hai..."muskurate hue deepika mam ne mujhe dekha aur ek flying kiss dekar waha se chali gayi....
mujhe lakar yaha fasane wali to chali gayi thi ,ab main waha akela bacha tha...maine aas-paas khade logo ko dekha ,wo sab waha khade mujhe dekh to rahe the,lekin meri help karne ke liye unme se koyi bhi aage nahi aaya....khair ye koyi buri baat nahi kyunki agar unki jagah main hota to main bhi wahi karta,jo is waqt waha khade log kar rahe the....
maine ek nazar mujhe marne aaye gundo par dali aur dekhte hee dahshat me aa gaya...mujhe kaise bhi karke waha se bhagna tha, lekin jisne mere sar me kuchh der pahle kaskar hamla kiya tha use main aise hee nahi chhodne wala tha...tabhi mere galo par kuchh mahsoos hua aur maine apne hath se apne gal ko sahlaya to maloom chala ki mere sar par kuchh der pahle jo rod pada tha uski vajah se bleeding shuru ho gaya hai....maine apne dusare hath se chehre aur sar ko sahlaya aur jab mere dono hath meri aankho ke samne aaye to unpar ek taza khoon ki parat jami hui thi, sahasa mera khoon mere mathe se hote hue meri aankho tak pahucha.....jiske turant baad maine decide kiya ki mujhe ab karna kya hai....Gautam ke baap ke gunde koyi filmi gunde nahi the jo ek-ek karke mujhse ladne aate ,wo sab ek sath meri taraf badhe....kuchh der pahle jisne mere sar par rod mara tha uske hath me wo rod ab bhi mauzood tha ,jise mazbooti se pakde hue wo meri taraf badh raha tha....
"tu to gaya aaj coma me..."chaywale ki dukan se maine chay ki ketali uthakar seedha uske sar par jor se de mara jiske hath me mere khoon se sana lohe ka rod tha....
"aaayyyiii...maro MC ko.."karahte hue usne apne sathiyo se kaha....
.
us haramkhor ke sar ko chay ki ketali se fodne ke baad main peechhe muda aur apni rooh ki puri taqat lagakar waha se bhagne laga ,bhag to wo bhi mere peechhe rahe the lekin meri raftaar aur unki raftaar me is samay khargosh aur kachhuye ke daud ke barabar fasala tha...sale mote bhainse
"aa jao ladduo , tum logo ko shayad pata nahi ki maine paida hone ke baad chalna nahi direct daudna shuru kiya tha,is khel me to tumhara baap bhi mujhe nahi hara sakta..."unki taraf palatkar maine un sabka mazak udaya aur phhir se tez raftaar me daudane laga.....
Gautam ke baap ke gundo ki lagbhag aadhi fauj peechhe rah gayi thi aur jo bache hue aadhi fauj mera peechha kar rahi thi ,unki halat bhi marne ki tarah thi....ab mujhe is bhag-daud me maza aa raha tha kyunki bhagte waqt beech-beech me main ruk jata aur peechhe mudkar un gundo ko maa-bahan ki galiya deta,jisase wo phhir se mere peechhe bhagne lagte....isi bhagam-bhag ke beech un gundo me se kuchh zameen par dharashayi ho gaye to kuchh jaha the wahi kisi chiz ka sahara lekar khade ho gaye...ab mere peechhe sirf 4-5 gunde hee the....bhagte hue main ek patli gali me ghusa aur bade se ghar ki deewar par khud ko tika kar aaram karne laga....lekin jo 4-5 log mere peechhe pade the wo bhi hanfte hue waha pahuch gaye jiske baad maine us ghar ka gol-gol round lagana shuru kar diya aur baki bache un 4-5 logo ko bhi lagbhag adhmara sa kar diya.....
"usain bolt ko janta hai..."unme se ek ke paas jakar maine puchha, kyunki mujhe maloom tha ki wo jab khud ko nahi sambhal pa rahe hai to mujhpar kya khak hamla karenge...
"nahi ,kaun usen balat...hhhhh..."ek ne hafte hue kaha
"BC, yadi tu haan me jawab deta to solid dialogue marta...anpadh sale.."
"yeeeee...."wo mari hui aawaz me cheekha
"chal be ,side chal..."usko zameen par girate hue main waha se khisak liya.....
.
"ye sahi jagah hai...yaha thoda aaram kar leta hoon..."apne sar par hath phhirate hue maine khud se kaha , bleeding ruk chuki thi aur main ab tak hosh me tha...jisase mujhe rahat mili ,lekin sar ab bhi rod ke jordar prahar se dukh raha tha....main is waqt ek chhote se ground me tha,jaha kuchh ladke cricket khel rahe the....
"pani hai kya...pani"unke paas pahuch kar maine unse pani manga...
pahle to wo ladke mujhe dekhkar ghabra gaye aur ek dusare ka muh takne lage...lekin baad me unme se ek ne thode door par rakha apna bag uthaya aur pani ka ek botal mujhe thama diya...
"thanks bhai..."lambi-lambi saanse bharte hue maine uske hath se botal le li aur botal ka thakkan khol kar shuru me pani ke kuchh ghoot apne gale se neeche utara aur phhir baad me baki bache pani se apna face saaf karne laga....mere sar par kayi jagah khoon balo se chipak gaya tha aur maine jab apne sar par pani dala to mera pura chehra khoon se san gaya...mere sar me jis jagah rod padi thi waha jab mera hath gaya to joro ka dard hua ,jiske baad maine turant apna hath waha se hata liya aur khoon se sani shirt utar kar wahi ground me fek di....
.
maine ek baar phhir cricket khel rahe un ladko ka shukriya ada kiya aur waha se door jaha baithane ka intezaam tha udhar chal pada....rod mujhe lagbhag 15-20 minute pahle pada tha lekin uska asar ab ho raha tha. ground par chalte samay achanak hee meri aankho ke samne dhundhalapan chhane laga aur thodi door paidal chalne ke baad mere hath-pair bhi jawab dene lage...main ladkhadane laga tha , kayi baar to zameen par bhi gira...lekin jaise-taise main us jagah pahuch hee gaya jaha baithane ka intezaam kiya gaya tha.....
"hello ,Amar bhai...main Arman...Arman bol raha hoon,bahut bada panga ho gaya hai mere sath...Gautam ke baap ke aadmiyo ne railway station jate waqt mujhpar achanak attack kiya aur main badi mushkil se unhe chakma dekar idhar ek ground par pahucha hoon...aap turant idhar aa jao, aur haan sath me jitne ho sake utne ladko ko bhi le aana...."ground ka address batate hue maine Amar se phone par kaha...
"aaj aaya hai beta line par, ab to tu gaya....main Amar nahi Naushad bol raha hoon,wo kya hai na beta ki Amar ka mobile is waqt mere paas hai....tune sabse badi galti ki Amar ko phone laga kar aur usase bhi badi galti ki mujhe us jagah ka address batakar jaha tu abhi geedad ki tarah chhipa hua hai...tu to gaya beta kaam se, tujhe mujhse panga nahi lena chahiye tha..."
"sorry for that day, i need help..."apni bachi kuchi energy waste karte hue main bola...
"*** chuda BC..."
"hello....hello...hel...."
Mera dus hazar ka mobile mere hath se chhut kar neeche gir gaya, ab meri zuban thakne lagi thi,hath-pair ne kaam karna band kar diya tha...main khud ke pairo par khada hona to door apne sharir ke kisi hisse ko thik se hila tak nahi pa raha tha...jaise-jaise suraj dhal raha tha waise-waise ek ghana andhera meri aankho ke samne failta ja raha tha....main kisi ko aawaz dena chahta tha, main kisi ko madad ke liye pukarna chahta tha...lekin na to waha is waqt koyi tha aur na hee mujhme kisi ko aawaz dene ki taqat bachi thi...ground par cricket khelne wale ladke kab ke apne-apne ghar ja chuke the...sale madarchod, kyunki yadi kabhi mere samne aise khoon se sana koyi vyakti pada hota to main uski madad jaroor karta, itni insaniyat to ab bhi baki thi mujhme ki main use hospital tak pahucha deta ya phhir mobile se 108 dail karke ye khabar to de hee deta ki yaha ek insan marne ki kagar par hai...main Arman ,umra 19 saal...main bhale hee kisi ke armano ki fikra nahi karta lekin kisi ke jaan ki kadra karna mujhe aata hai nahi to ab tak Varun ,mujhpar fir karne wale first year ke wo do ladke aur Gautam ,aaj is duniya me nahi hote.........
______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Update-125
main Arman,umra 19 saal...main bhale hee kisi ke armano ki fikra nahi karta lekin kisi ke jaan ki kadra karna mujhe aata hai nahi to ab tak Varun ,mujhpar fir karne wale first year ke wo do ladke aur Gautam ,aaj is duniya me nahi hote.........
.
Mujhe us waqt nahi pata tha ki aaj jo meri aankhe band hongi to phhir kab khulegi...khelegi bhi ya nahi ,mujhe ispar bhi sandeh tha...jaise-jaise raat ka pahra badh raha tha mujhe thand lagni shuru ho gayi thi lekin na to main apni dono hatheliyo ko ragad kar garmi ka ahsaas kar sakta tha aur na hee kisi ko madad ke liye aawaz de sakta tha...thak-haar kar jordar thand se thithurte hue maine apni aankhe moond li ,tab mujhe mere ateet ki kitab ke kayi panne yaad aane lage...
mujhe ab bhi yaad hai ek baar jab mujhe joro ka bukhar hua tha to kaise pura ghar meri dekh bhal me bhida hua tha...tab mujhe jo bhi pasand hota main wo mangta aur meri farmaish puri kar di jati thi...maine kayi baar thik hote hue bhi aisa natak kiya,jaise main ab bas marne hee wala hoon aur gharwalo se ye kahta ki mujhe ye chahiye .
mujhe ab bhi yaad hai ki jab meri tabiyat kharab thi to mera bada bhai ghanto mere samne baithkar mujhe latest news sunata rahta ,jisme mujhe ratti bhar bhi interest nahi tha aur jab main apne bade bhai ki news sunkar jamhayi marne lagta to wo gudguda kar meri sari neend bhaga deta tha.....
.
"dhoondho sale ko,usne phone karke isi ground ka address diya tha..."
is aawaz ne mujhe mere ateet ki kitab se wapas lakar vartman me la patka,jaha mera pura sharir lahu-luhan hokar pada hua tha...maine aawaz ki taraf nazar daudayi to paya ki kuchh log hatho me tourch liye ground ke andar dakhil hue hai...waise to mera sar bahut joro se dard kar raha tha ,lekin maine itna andaza to laga liya tha ki ye log wahi gunde hai aur ye yaha mujhe taalash rahe hai....
.
"Naushad ne sach me inhe bata diya, yadi aaj zinda bach gaya to sabse pahle Naushad ko ragdunga baad me deepika ko...."unhe apni taraf aata dekh maine socha.
jaise -jaise wo gunde mere karib aa rahe the mujhme thodi bahut taqat aane lagi thi..maine apni aankhe idhar udhar hilayi to maloom chala ki mujhse thodi door par ek bada sa patthar rakha hua ,jiske peechhe yadi main chhip jaun to zinda bach sakta hoon....zameen par ghisat-ghisat kar jab main us patthar ki taraf ja raha tha to mere andar sirf ek hee khayal tha ki sabse pahle main Naushad ki khatiya khadi karunga aur phhir deepia randi ko college se bahar nikal fekunga....mujhe in dono par hee bahut jyada gussa aa raha tha kyunki deepika mam ne mujhe is lafde me fansaya aur jab main isase bach gaya to Naushad ne aakar mujhe wapas fansa diya.....
.
Aakhir kar main us bade se patthar tak pahuch hee gaya ,wo gunde tourch lekar us patthar se thodi door tak aaye aur phhir chale gaye, unhe waha se jata dekh maine rahat ki saans li lekin mujhe ye nahi pata tha ki halat abhi aur badtar hone wale hai....maine un gundo ko jata dekh sukoon ki saans to li lekin main un gundo me shamil us ek ko nahi dekh paya jo andhere me apni tourch band kiye thik usi pattar ke upar khada tha ,jiski oolat me main leta hua tha....mujhe iska ahsaas tak nahi hua ki ek shaks thik mere upar hai. Uske upar hone ka ahasas mujhe tab hua jab wo koodkar mere samne aaya....usne hath me mujhe marne ke liye hockey stick type ka kuchh pakad rakha tha ,jise usne pahle pahal mere gaal me halke se touch kiya aur phhir mere sar me de mara.....is baar bhi dimag puri tarah jhanna gaya aur ek tej dard mere sar me utha..uske baad wo nahi ruka aur non-stop mere hath-pair...sar, pet ,seene me hamla karta raha....kuchh der baad uske sathi bhi waha pahuch gaye aur wo sab bhi mujh par ek sath baras pade....
mujhe bahut jyada dard ho raha tha, main dard se cheekhna chahta tha...lekin aawaz thi ki gale se upar nahi aa rahi thi...mere sharir ke har ek ang ko buri tarah se peeta ja raha tha bina iski parvaah kiye ki main mar bhi sakta hoon...wo mujhe tab bhi marte rahe jab mujhe hosh tha aur shayad mujhe unhone tab bhi bahut mara hoga jab main behosh ho chuka tha....
.
mujhe nahi pata ki main kaise bacha, mujhe kisne bachaya,mujhe kisne hospital me admit kiya...jab,mujhe hosh aaya to main nahi janta tha ki maine aaj kitne dino baad apni aankhe kholi hai.....maine to us din pakka soch liya tha ki jab mujhe hosh aayega to main yamraj ke samne khada hounga aur do devdoot mujhe swarg me le jaane ke liye mera intezaar kar rahe honge...us din ground par maine ye bhi soch liya tha ki swarg me jakar sabse pahle main swarg ke raja Indra ki maal ko set karunga
lekin mere in armano par pani tab phhir gaya jab maine dekha ki main ek hospital me hoon aur mere sharir ke kayi hisso me na jaane kaisi-kaisi bhayanak machines lagi hui hai ,jo meri har movement par alag-alag aawaz kar rahi thi.....
.
"sorry swarg walo..."upar dekhkar maine kaha"tum logo se baad me milunga ,lekin udas mat hona kyunki main jald hee kuchh logo ko swarg bhejne wala hoon...."
______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Chapter-35:two Sore Truth
Update-126
.
Jab mujhe hosh aaye hue kuchh waqt beet gaya to maine sabse pahle ye check kiya ki mere sharir ka kaun-kaun sa ang kaam kar raha hai....
gardan...barabar daye-baye ,upar-neeche hil rahi thi...dono pair bhi sahi salamat the lekin kayi jagah taake lage the, ek hath me plaster chadha hua tha,lekin dusara hath bilkul mast tha,..lekin jab main apne dusare hath ki hatheliyo ko hilata-dulata to halka sa dard ubhar raha tha....mere dono shoulder ke sath-sath mere kamar ko kisi chiz se bandh kar rakha hua tha,wo shayad isliye kyunki meri haddiya buri taah toot chuki thi jise wapas apni jagah set karne ke liye ye sab intezaam kiya gaya tha....mere sar par kya-kya karamat doctor logo ne ki hai ye main nahi janta tha lekin jaisa ki mujhe ahsaas ho raha tha us hisab se sar par bhi kayi jagah shayad taake lagaye honge...maine apna ek hath jo thoda-bahut hil dul sakta tha use uthakar apne sar par phhiraya to dang rah gaya kyunki mere sar ke sare baal ,jo ki mere handsome hone me aham bhumika nibhate the ,unko saaf kar diya gaya tha...yani ki main is waqt ek hospital me apne hath-pair, kandhe,sar aur peeth tudwa ke leta hua tha....mujhe kisi chiz ka jyada gam nahi tha siway iske ke mere baal ab mere sar par nahi hai aur main takla hoon
"sala kitna dhansu hear style tha mera,mahino ki mehnat ek pal me ye sale uda le gaye...inki to "andar hee andar hospital walo ko gali dete hue maine khud se kaha...
is sadme se ubharne me mujhe thoda waqt laga aur thode waqt ke baad maine apne agal-bagal jhanka to paya ki waha aur bhi kayi log lete hue hai...lekin sab ke sab behosh the ya phhir so rahe the.
"is samay time kya hua hai , ghadi bhi nahi tangi hai kahi..."jis room me main tha ,us room ki deewaro ko maine chhan mara, lekin is samay time kya hua hai,ye maloom chal sake ,iska waha koyi intezaam nahi tha...jis bed par main leta tha usase thodi door par ek doctor(female ) chair par baithi kisi file ke panne palat rahi thi...
.
"janeman....."ek ghuti hui si aawaz us lady doctor ko dekh kar mere muh se nikli,jise main khud hee dhang se nahi sun paya....
maine ek aur baar us lady doctor ko pukara ,jo apron pahne hue mujhse thodi door par baithi hui kuchh padh rahi thi..meri aawaz wo doctor to nahi sun payi lekin mere hilne dulne se na jaane kaisi-kaisi bhayanak machine ,jo ki mere mere body se connected thi,wo chu-chu..tu-tu ki aawaz karne lagi aur finally us doctor ne meri taraf nazar mari.....
.
"bolo mat, ruko main tumhare family ko inform karti hoon ki tumhe hosh aa gaya hai..."mere paas aate hue wo boli...
waise to usne mujhe na bolne ke liye kaha tha, lekin maine time puchhane ke liye ek baar phhir apna muh fada aur ghuti hui aawaz me usase time puchha...
"2 baj rahe hai...aur tum kuchh mat bolo..."
"teri dayi ki chut, problem mujhe hogi ya tujhe...jyada hoshiyari mat chod warna sari doctor giri gand me thel dunga..."usne jab apna dialogue dobara repeat kiya to maine usko dekhkar andar hee andar khud se kaha aur ek baar phhir se apna muh fada" AM ya PM..."
"hmmm...."
"2 AM ya 2 PM"abki baar maine apna pura jor lagakar kaha aur ye bolne ke baad hee nidhal hokar bed par lambi-lambi saanse bharne laga...
"maine bola tha na,bolne ki koshish mat karo...now relax, main tumhare relatives ko inform kar dungi..."
"sali randi... ja chut mara BC"
.
uske baad jo meri jo aankh lagi wo mujhe nahi pata ki kab khuli...aur jab meri aankh dobara khuli to mujhe sirf itna pata tha ki main dusari baar jaga hoon...maine kuchh der tak apne hath-pair hilaye ,jisase mere body se connected wo bhayanak machines phhir se apna alarm bajane lagi aur ek nurse turant mere paas aayi....
"apne hath-pair mat hilao..."mere pair ko pakad kar seedha karte hue usne kaha...jisase ki mera matha ek baar phhir garam ho gaya...
"lawda mera hath-pair hai ,main hilau chahe na hilau...tu kaun hoti hai mujhe tokne wali..."sochate hue maine ek baar phhir se apne pair ko tedha kiya ,jise seedha bed par karte hue us nurse ne na jaane mere pair par kya bandh diya aur ek dawai se bhari syringe mere pichhwade me ghusa di....
"tu ruk, hosh aane de...phhir yahi syringe tere gand me dalungaaaaa...."jamhayi marte hue main badbadaya aur phhir se so gaya....
.
next time jab meri neend khuli to pichhali baar ki tarah is baar bhi mujhe sirf itna hee maloom tha ki meri aankh pahle bhi khul chuki hai....mera pair ab bhi kisi chiz se bandha hua tha aur wo nurse jisne mere pichhwade me sui ghusayi thi wo is samay kisi dusare patient ke pichhwade me sui daal rahi thi...
"abey mujhe hosh aa gaya hai,koyi jakar mere gharwalo ko iski khabar dega ya main khud jaun unhe ye batane "apni puri taqat ikattha karke main cheekha,lekin aawaz utni tez nahi thi ,jitni ki aksar me cheekhane se hoti thi...lekin waha mauzood sabhi logo ko sunayi de...itni tez to thi hee...
"wait..."us patient ke pichhwade me syringe daalkar us nurse ne waha mauzood dusari nurse se kaha ki wo mere relatives ko ye khabar de de....
.
ab mujhe andaza ho chala tha ki ab se kuchh der baad kya hone wala hai..jaise maine socha tha uske hisab se kisi hindi movie ki tarah meri maa sabse aage daudate hue mere paas aayegi ,uske aankho me khushi ke aansu honge ...then mere pita ji meri maa ke baad entry marenge, wo khush to honge lekin react aise karenge,jaise unhe koyi farak hee nahi padta uske baad mera bada bhai entry marega aur ye jante hue bhi main thik se baat nahi kar sakta wo mujhse bahut saare sawal karega...mere bade bhai ke sawal ke bam-bari se jab main ghayal ho jaunga to phhir meri maa jiske aankh me is waqt bhi khushi ke aansu honge,wo mere bhai ko dategi aur mere pita shree se falana mandir me falana bhagwan ke name par dan-dakshina karne ko kahegi....
.
Aisa maine bed par pade-pade socha tha lekin lagta hai ki shani aur mangal ab bhi mujhse khafa-khafa hai kyunki mujhse sabse pahle milne ke liye na to meri maa aayi aur na hee mere papa....mujhse sabse pahle milne do log aaye...ek tha mera bada bhai Vipendra aur dusara tha mera gay dosit-Arun.......
_____________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Update-127
mujhse sabse pahle milne do log aaye...ek tha mera bada bhai Vipendra aur dusara tha mera gay dosit-Arun.......
.
Vipin bhaiya ko dekhte hee main samajh gaya tha ki ab sawal-jawab ki jordar bam-bari hone wali hai...isliye maine tay kar liya tha ki ab main 2.2 x 1 x 0.7 m ,size wale bed par chup-chap leta hua sirf sar hilaunga aur aise show karunga jaise ki main kuchh bol hee nahi sakta,jaise ki main gunga hee ho gaya hoon.....Arun aur Vipin bhaiya mere samne aaye ,maine dono ko dekha aur Arun dekh kar mera kaleja jal utha ki uske ke sar par baal hai uske baad maine ek aur chiz aisi dekhi jise dekhkar mera kaleja aur bhi jala...wo tha un dono ki halat, pitayi meri hui thi, sare sharir par zakhm khakar main bistar par leta hua tha ...lekin dard un dono ki aankho me main saaf dekh sakta tha.Arun aur bade bhaiya ki aankho me khushi aur dukh ka bada ajeeb combination tha.jise samajhne ke liye mujhe thoda waqt laga. Wo dono bahut khush isliye the kyunki aaj maine na jaane kitne dino baad apni aankhe kholi thi....aur mujhe mere zakhmo ke sath dekhkar wo dono bahut jyada dukhi the, us ek pal me dono ki ye halat dekhkar dil kiya ki sala abhi bistar se uthu aur Gautam ke baap ka murder kar du,deepika ko nanga sadak par daudau aur Naushad ko hostel me hee dafna du...wo ek pal sala pura filmi mahol tha aur aise filmi moment me ubayi marne wala main khud bhi kuchh der ke liye bhavnao me bah gaya tha...kuchh der tak to waha aisi hee situatkon rahi aur us ek pal me main ye bhi bhool gaya ki mujhe apna muh nahi kholna hai,chahe dharti palat jaye ya phhir aasman ulat jaye, lekin maine apna muh khola,aankho me nami late hue apna muh khola...
.
"sorry bhaiya...."
Mere dwara sorry bolne par mera bada bhai ab gusse me aaya lekin mujhse kuchh nahi bola....
"mujhe nahi pata tha ki baat itni aage badh jayegi..."maine dobara Vipin bhaiya ki taraf dekh kar kaha...
"gharwalo ko kuchh mat batana aur mummy-papa se tujhe kya kahna hai ye Arun tujhe bata dega..."
itna bolkar mera bada bhai waha se chalta bana.meri halat aur mujhe hosh me dekh kar mera bada bhai kuchh jyada hee emotional ho gaya tha aur main janta tha ki yadi wo thodi der aur udhar mere paas rukte to ek dhansu boring scene banate...
"kya hal hai be takle..."Vipin bhaiya ke jane ke baad Arun bola"ab muth kaise marega beta...tera ek hath to kuchh hafto ke liye gaya kaam se aur dusara hath is kabil nahi hai ki tu muth maar sake..."
"maine socha tha ki tu thoda bahut dukhi hoga meri ye halat dekhkar "
"abey dukhi to main ab hua hoon,tujhe hosh me dekhkar..."apni chair ko mere taraf aur paas khiskate hue Arun bola"jab tak tu mare hue ki tarah leta tha na to main bedam khush tha,maloom hai kyun..."
"kyun ? "
"kyunki tab main tere sare copy-kitab ko bechkar mast paise banata...tere kapdo se main apna room saaf karta...khamkha zinda ho gaya be tu "
"chal chhod ye sab aur ye bata ki bade bhaiya ne ye kyun kaha ki main mom-dad se kuchh na kahu..."
"kyunki bade bhaiya ne sabko yahi bata ke rakha hai ki tera accident ek truck ke sath ho gaya tha...."
"kya yaha ke doctors itne kabil hai jo inhe mera ilaaz karte waqt maloom nahi chala ki mera accident nahi balki jordar thukayi hui hai "
"doctors ko sab pata hai lekin bade bhaiya ne baat daba li aur tu bhi baat daba lena....chodu ki tarah sab ugal mat dena...samjha..."
"ok, baby..."
.
Bade bhaiya ne mera kaam aasan kar diya tha kyunki ab mujhse koyi nahi puchhane wala tha ki mujhe kisne mara aur kyun mara....sath hee sath isase meri ijjat bhi bach rahi thi, kyunki accident to aaye din hote rahte hai .isme koyi badi baat nahi thi....Arun thodi der tak aur mere sath raha aur phhir waha se chala gaya .Arun ke jane ke baad mere mom-dad ne entry mari aur mujhe aur bhi jyada emotional kar diya....unke baad mujhse milne ke liye jaise puri india ki public hee aa gayi ...ek jata nahi ki dusara iske pahle hee pahuch jata...mujhse milne-julne walo ko mujhse baat karne ke liye saaf mana kiya gaya tha...mujhse milne mere lagbhag sare relatives aaye the aur unhone jab andar aakar mera haal chal puchh liya to phhir mere dosto k jamawada lagna shuru ho gaya...Varun, Naveen,Sulabh,Saurabh,Amar Sir even apna bhopu bhu tak mujhse milne aaya tha, itne logo ko ek sath dekhkar seena jaise garv se chauda ho gaya tha aur aise laga jaise ki bas kuchh hee der me main ekdum se thik ho jaunga....lekin sach to isase koso door tha.kuchh sach aise the jise main pahle se janta tha aur kuchh sach aise the jinhe janna baki thi...
.
sabse milne ke baad main thak haar kar apne 2.2 x 1 x 0.7 Meter ke bed par ek hath se sar sahlate hue ek nurse ko aawaz diya kyunki mera sar ab halka-halka dard kar raha tha...maine nurse ko apne sar ke dard ke baare me bataya jiske baad usne mujhe ek laal color ki tablet di
"pani kidhar hai..."
"ise muh me rakh kar chusana hai.."
"kya "
"seedhe se muh me rakho aur chuste raho..."
"okay..."(lawdi ye tere nipples nahi hai jo chusta rahu, ye tablet hai...jo kadwi hoti hai..)
.
Us laal color ki tablet ko muh me rakhne ke baad maine chusna shuru hee kiya tha ki mere muh ka pura taste badal gaya aur maine tablet nikal kar hath me pakad liya taki mauka dekhkar chauka mar saku,,.lekin thodi der baad mujhe dhyan aaya ki idhar to koyi mauka hee nahi hai...ye ICU tha ,jaha dhool ka ek kad bhi nahi tha aise me tablet ko udhar fekna matlab khud ke gale me fanda dalna tha....phhir maine socha ki kyun na tablet ko bistar ke neeche chhipa doon ,lekin tabhich mere bheje ne mujhe aisa karne se rok diya aur bola ki yadi maine aisa karne ki koshish bhi ki to wo bhayanak machine phhir se apna rag alapana shuru kar degi...tab mujhe Arun ka dhyan aaya ki abhi tablet ko idhar hee kahi chhipa deta hoo aur jab Arun aayega to use dekar bahar fikwa dunga...kitna hoshiyar hoon main
.
Us din raat ko meri aankho se neend gayab thi kyunki rah-rah kar mujhe deepika aur Naushad ke kartoot yaad aa rahe the...Naushad ka to phhir bhi samajh me aata hai lekin deepika ne mujhe kyun fansaya ? Aur Gautam ke baap ke sath uska kya rishta hai ? Ye mere samajh se pare tha...lekin is samay mere andar ek chiz Naushad aur deepika ke liye ekdam same aur equal thi aur wo thi mera gussa ,un dono se mere badla lene ki chahat. Mujhe maloom tha ki is waqt jaise main unke bare me soch raha hoon waise wo bhi mere hee bare me soch rahe honge and according to my sixth sense ,un dono ki gand buri tarah se fat chuki hogi kyunki un dono ne hee ye socha tha ki main zinda nahi bachunga...lekin hua thik ulta ...
kuchh aur bhi chize meri zindagi me ulti ho chuke thi jiska mujhe andaza nahi tha....main hospital me har din subah uthata ,kuchh khata-peeta aur phhir so jata...dopahar me main phhir uthta ,phhir kuchh khata-peeta aur so jata...uske baad main direct sham ko uthkar din ki aakhiri khurak lekar phhir se so jata tha.....hospital me mere din aise hee beet rahe the ki mujhe ek dil ko cheer dene wali baat pata chali...
is samay Arun mere sath baitha bakchodi kar raha tha ki maine usase puchha....
"abey aaj tarikh kya hai..."
"umm...mere khayal se aaj 26 hona chahiye..." andaza lagate hue Arun ne kaha..
"bakchod hai kya 25 October ko to ye kand hua tha jab main ghar ja raha tha...mere khayal se aaj 2-3 November hoga...kyun ? "Arun ko dekhkar maine sochate hue kaha"sala 28 November se exam hai third semester ke aur main yaha bed par leta hua hoon "
"Arman...."
"haan bol.."
"Exam khatam ho chuke hai aur aaj 26 December hai, tu lagbhag 2 mahine tak come me raha tha...."
_______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Update-128
"Exam khatam ho chuke hai aur aaj 26 December hai, tu lagbhag 2 mahine tak coma me raha tha...."
.
"ye to mujhe bhi maloom tha ki tu 2 mahine tak coma me tha...lekin mujhe ye nahi maloom tha ki tera truck ke sath accident nahi balki Gautam ke baap ke kahne par teri thukayi hui thi....in short mujhe to tune Esha aur Gautam ke bare me kabhi bataya hee nahi tha...."Varun bola...
"Vipin bhaiya ne situation handle kar liya tha...wo nahi chahte the ki mom-dad ko meri ladayi ke bare me pata chale...."
"bahut bade-bade jhande gade hai bhai tune teri college life me..."
"ek minuter rook..."main waha se utha aur Arun ka mobile manga ,taki Nisha ko call karke uske dad ka haal-chal jaan saku....Nisha ko call karne ki ek aur vajah ye bhi thi ki mujhe ab kuchh bechaini si mahsoos ho rahi thi aur aisi situation me ek ladki jo aapke dil ke karib ho wo kuchh aisa kar jati hai ki dil ko sukoon sa milta hai....
.
"ab kya halat hai..."
"main thik hoon,mujhe kya hua hai..."
"tere bare me nahi tere baap...sorry uncle ji ke bare me puchh raha hoon..."
"wo bhi ekdum thik hai,sham tak leave mil jayegi..."
"sex karegi,bahut man ho raha hai..."aisa maine jaan buchkar kaha taki Nisha mujhe fatkare jisase mujhe thoda sukoon mile....
"expiry medicine mere dad ne khayi lekin lagta hai asar tumhare upar ho raha hai....ye koyi waqt hai ye sab baat karne ka...tumhare andar zara si bhi insaniyat aur samajh nahi hai kya jo sex karne ko kah rahe ho...idhar mere dad tumhari vajah se beemar pade hai,meri maa udas hai aur tum sex karne ko kah rahe ho...boys are always......"
"hello...hello...Nisha,lagta hai ki network kharab hai...tumhari aawaz sunayi nahi de rahi hai..main baad me call karta hoon..."bolte hue maine call disconnect kar diya aur ek lambi saans lekar wapas baith gaya.....
"le be Arun ,apna mobile tham aur beta yadi Nisha ki call aaye to khud ko Arman batakar usase mat bhid jana...samjha"phhir maine Varun se kaha"haan bol ,tu kya bol raha tha..."
"Arman ,main ye bol raha tha ki tune college life me bahut sare jhande gade aur gadwaye hai....main bhi aisi hee college life jeena chahta tha...jisme hardam twist and turn ho...Esha jaisi ek ladki ho ,jise pane ki chahat ho lekin raste me uska premi aur us premi ka gund baap khada ho...thoda fight-sight ho...lekin apun apni college life me aisa kuchh nahi kar paya ,meri college life to ekdum boring beeti hai ,itni boring ki yadi main tum logo ko sunana chalu karu to tum dono behosh hokar coma me chale jaoge...."
"hum Engineers ki baat hee kuchh aur hai .kyun be Arman "Arun garv se bola...
"yes... "
"uske baad kya hua...matlab ki tune deepika aur Naushad se badla liya ya nahi...."
.
.
"Exam khatam ho chuke hai aur aaj 26 December hai, tu lagbhag 2 mahine tak come me raha tha...."
Ye sunkar na to mera muh khula aur na hee meri aankhe shocked hokar badi hui,jaisa ki mere chaukne ke dauran mere sath hota tha...main do mahine coma me tha,ye jaankar main bahar se normal tha matlab ki main thik usi tarah 2.2 x 1 x 0.7 m ke bed par leta hua tha,jaise ki pichhale kayi dino se tha....main bahar se bhale hee normal dikh raha tha lekin mere andar ek bhuchal sa aa gaya tha us waqt...mujhe aisa laga jaise mere sar par phhir se kisi ne rod de mara ho...mera sar is samay thik usi tarah jhanna raha tha...us waqt meri halat aisi thi jaise ki abhi-abhi kisi ne mere sar ke baal ko ,jo ki nahi the, pakad kar jor se kheencha ho aur main ,mere sar ke baal kheechane wale ko chup-chap dekhne ke siway aur kuchh nahi kar sakta...is beech mere body se connected machines apna rag aalap rahi thi , aur us samay mujhe sirf un machines ki aawaz mujhe sunayi de rahi thi....
"sach me main do mahine tak coma me tha ya tu mazak kar raha hai..."dusari taraf dekh kar maine Arun se puchha...
"haan yar..."
.
Jab kuchh dino pahle mujhe hosh aaya tha to apne sharir ke zakhmo ko dekhkar maine ye socha tha ki main kitna strong hoon,jo itani pelayi ke baad bhi mere hath-pair lagbhag sahi salamat hai...maine ye socha tha ki un MKL gundo me shayad utna dam nahi tha ki wo mujhe apang bana sake...lekin sach ye tha ki main us din bahut bure tarike se unke fande me fansa tha kyunki do mahine baad bhi mere pair par kayi zakhm hare the aur ek hath me plaster chadha hua tha...kamar aur peeth bhi kisi chiz se bandh ke rakhi gayi thi....lekin yaha samasya ye nahi thi ki unhone mujhe itni buri tarah se mara balki yaha samasya ye thi ki third semester ke exam main nahi de paya matlab ki is semester me mujhe pura ek saal ka padhna hoga...aur to aur main ek-do mahine baad hee yaha se discharge hone wala tha to mere paas ab kul milakar 4-5 mahine hee baki the,jinme mujhe ek saal ka pura padhna tha....main bahut der tak shant raha aur phhir Arun se bina kuchh bole so gaya...sote waqt mujhe kayi sapne bhi aaye aur wo sare sapne exam hall ke the...maine sapne me dekha ki main exam hall me gumsum sa apni seat par baitha kuchh soch raha hoon...waqt nikalte ja raha hai,lekin main hoon ki bina kuchh likhe na jaane kin khayalo me khoya hua hoon....aur phhir achanak kisi ne mere kaan me jor se chillaya ki "tu fail ho gaya hai...tu marne wala hai..."
Us aawaz ne mujhe buri tarah dara diya aur maine jab us aawaz ki taraf apna rukh kiya to apne usi dost ko waha khade hue paya,jiski maut ka sapna maine apne school me dekha tha....
.
"Arman..."kisi ne mujhe pakad kar jor se hilaya...
"bhaiya...."hafte hue maine aankhe kholi aur Vipin bhaiya ko samne dekhkar rahat ki saans li...
"kya hua...tabiyat to sahi hai..."
"haan...sab sahi hai...bas garmi kuchh jyada lag rahi thi..."apne mathe ke paseene ko saaf karte hue main bola"abhi time kya hua hai..."
"raat ke 9 baj rahe hai, khana laya hoon tere liye....le kha le..."bolte hue bhaiya ne tiffin khola...
"mummy,papa kaha hai..."
"kuchh din ke liye ghar gaye hai...do teen din me wapas aa jayenge..."
"i am really sorry ,bhaiya..."jab maine khana kha liya to bola...
Lekin Vipin bhaiya ne kuchh nahi kaha ,wo kuchh der tak mujhe dekhte rahe aur phhir waha se chale gaye....
.
dopahar ki lambi neend ke baad ab neend meri aankho se koso door thi, us sapne ko to main bhool chuka tha...lekin lakh koshisho ke bawjood ye baat mere jehan se nahi utar rahi thi ki maine third sem ka exam miss kar diya hai...mujhe Naushad aur deepika mam par ek baar phhir se gussa aaya aur dil kiya ki Vampire bankar un dono ko kaat dalu,kyunki wo dono hee mujhe is halat me pahuchane ke jimmedar the....
"sala kitni achchhi life chal rahi thi lekin Arun ke ek kiss ne sab kuchh khatam kar diya, yadi main us din Gautam ko nahi marta to ye naubat hee nahi aati..."
"neend nahi aa rahi hai kya...."mere sirhane ke paas khade hokar us nurse ne mujhse puchha ,jisne mujhe kal sui lagayi thi...
"main thik kitne din me ho jaunga..."
"din nahi ,mahine bolo...kuchh mahine lagenge thik hone me..."
"andazan bata sakti ho ki kitne mahine lagenge..."
"aap abhi so jao , kal subah doctor se puchh lena...."bolkar wo aage badh gayi....
.
Mujhse ab bhi har din bahut se log milne aate rahte , kuchh meri fikra ki vajah se aate the to kuchh bas formality nibhane ke liye...abhi tak mera is taraf dhyan nahi gaya tha lekin achanak hee mera dhyan MTL bhai ki taraf gaya to main thoda hairan ho gaya kyunki jaha tak mujhe yaad hai MTL bhai mujhe dekhne,mera haal-chal puchhane ke liye ek baar bhi hospital nahi aaye the...jo apne aap me hee ek chaukane wali baat thi...main apne 1400 gm ke dimag ko flash back me le gaya ye confirm karne ke liye ki kya sach me Sidar mujhse milne nahi aaya ya phhir wo mujhse milne aaya tha,lekin ab mujhe yaad nahi hai....
"Pandey uncle,Varma ji,sharma ji,Mathematics wale saxena sir, dixit sir,Varun,Bhu,Naveen, Sulabh,Saurabh,Amar sir, class ke sabhi ladke-ladkiya...Vipin bhaiya ke kayi dost....jab ye sab mujhe yaad hai to phhir Sidar kyun yaad nahi hai...now i am sure ki MTL bhai abhi tak mujhse milne nahi aaye hai....shayad ghar me honge ,"maine aisa andaza lagaya...lekin apne samne baithe Arun se puchh hee baitha ki Sidar abhi tak aaya kyun nahi....
"k..kya bola tune..."
"hakla kyun raha hai..maine puchha ki sidar abhi tak aaya nahi..."
"aaya tha na, tujhe yaad nahi hoga..."
"sach ...kya mujhe sach me ye yaad nahi hai ki MTL bhai mujhse milne aaye bhi the ya nahi..."
"aaye the na..."apne sukhe hontho ko daanto se dabate hue Arun ne kaha....
aisa bolte waqt wo kabhi upar dekhta to kabhi neeche,kabhi daye dekhta to kabhi baye...usne baat ko talne ke liye mujhse mere ghav ke baare me puchhna shuru kar diya...lekin uski is harkat se mujhe ye hawa lag gayi thi ,launda jhooth bol raha hai....
.
"Arun, tu to mere sath hamesha rahta hai to kya tujhe ye nahi maloom ki mujhe human reaction ke bare me thodi-bahut jaankari hai...tere haav-bhav se saaf maloom chal raha hai ki tu jhooth bol raha hai....khair koyi baat nahi ,ICU se jane ke baad MTL bhai ko call karke bol dena ki Arman unhe puchh raha tha...."
"thik hai...thik hai...main bol dunga, main bol dunga...."
"tere speaker se ek hee line do-do baar kyun nikal rahi hai...maine kaha na koyi baat nahi..."
"Arman...actually baat ye hai ki...."apne honth ko apne daant se chabate hue Arun ne meri aankho me dekha aur kuchh bolkar apni aankhe band kar li....
Arun ne jo kuchh bhi kaha tha wo mere kaan ko garam lohe ki rod ki tarah bhedta hua mere kano se paar ho gaya....dil ke dhadkano ki raftaar had se jyada tez ho gayi jiski vajah se mere body se connected machino ne ek baar phhir apna rag alapna shuru kar diya tha...ICU ke us air conditioner room me bhi mera pura sharir ek pal me bahut jyada garam ho gaya aur mera dimag phhir se jhanna utha aur maine ek baar phhir se Arun ke kahe shabdo ko mahsoos kiya....
"Sidar bhai ,ab zinda nahi hai...do din pahle unki ek accident me maut ho chuki hai..."
_____________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Update-129
"Sidar bhai ,ab zinda nahi hai...do din pahle unki ek accident me maut ho chuki hai..."
.
Mujhe kuchh samajh nahi aaya ki Arun ne is waqt jo kaha uspar main kaise react karu....ye ab tak ki ek aisi ghatna thi jise main sabse buri ghatna kah sakta tha, mere dil ki dhadkane ek baar phhir se record tod speed ke sath chalne lagi thi....Sidar ke maut ke baare me sunte hee mujhe ek pal me wo pal yaad aane lage ,jo maine uske sath bitaye the....us ek pal me jab mujhe uske is duniya me na hone ki khabar maloom hui to mujhe sach me bahut dukh hua, dil aur dimag dono se dukh hua....
Sidar se meri pahli mulaqat tab hui thi,jab mujhe uski sabse jyada jaroorat thi, us ghatna ko ek saal se adhik beet chuka tha lekin mujhe ab bhi yaad hai ki meri ragging lekar kaise Varun aur uske dosto ne mera bura haal kar diya tha aur tab mere us bure waqt me mera sath dene ke liye ek anjaan shaks aage aa gaya, jisase main pahli baar mila tha....uske baad jo hua wo sab jante hai ki Sidar ke dam par maine kaise meri ragging lene walo ko kutte ki tarah ghaseet-ghaseet kar mara tha...lekin abhi-abhi mujhe jo khabar mili wo ye thi ki Sidar ab zinda nahi hai.....
.
mujhe ab bhi yaad hai ki kaise main first year me sher bana ghooma karta tha, is buniyaad par ki yadi kuchh lafda ho jayega to MTL bhai mujhe bachane ke liye apni puri taqat laga denge, mujhe ab bhi yaad hai ki kaise main canteen me bhar pet khane ke baad bill Sidar ke account me dalwa deta tha...lekin unhone mujhse kabhi ek lafz bhi is bare me nahi kaha aur na hee mujhse puchha....lekin abhi-abhi mujhe mere khas dost ne bataya tha ki Sidar ab mar chuka hai....
.
mujhe ab bhi achchhe se yaad hai ki jab Police station me mujhpar F.I.R. hone ki vajah se mere paseene chhut rahe the to us waqt achanak Sidar beech me aaya aur mujhe bacha le gaya...uske baad usi ki madad se maine, mujhpar F.I.R. Karne wale first year ke dono ladko ko bahut mara tha aur bina kisi pareshani ke us pure jhamele se nikal gaya tha...lekin ab sach ye tha ki mere canteen ka bill pay karrne wala,mujhe sare jhamelo se bedag nikalne wala Sidar ab zinda nahi hai....
.
mujhe dukh is baat ka nahi tha ki ab mujhse ek strong support chhut gaya hai, balki mujhe dukh is baat ka hai ki mera ek sabse achchha dost...jo mujhe har waqt kayi naseehat diya karta tha,jise main apne bade bhai ke saman manta tha,use main ab kabhi nahi dekh paunga....ab meri puri zindagi me shayad hee Sidar jaisa koyi mile ,jo bina kuchh soche, bina apni parvah kiye...mere har achchhe-bure kaam me kandhe se kandha mila kar chalega...ab shayad hee mujhe kabhi koyi mile,jiski naseehat,jiski seekh ko main manunga, sach to ye tha ki maine ek bade bhai ke saman apna ek dost kho diya tha...
Sidar me wo sabhi khoobiya thi jo hamesha se main Vipin bhaiya ke andar dekhna chahta tha...Sidar meri galat harkato par mujhe direct fatkar nahi lagata tha ,balki sabse pahle wo mujhe meri us galat harkat ki vajah se khadi hui museebat se nikalta aur phhir jab sab kuchh sahi ho jata to mujhe samjhata ki mujhe aisa nahi karna chahiye...lekin ab sach to ye tha ki ab mujhe sahi tareeke se samjhane wala koyi nahi tha.....
.
"kahi Sidar ki maut meri vajah se to nahi hui...yadi aisa hua to meri zindagi har din bad se badtar hota jayega...kyunki aisa hone par main bhale hee uski maut ka jimmedar na thahraya jaun...lekin mera dil aur dimag mujhe jeene nahi dega ki Sidar ki maut ka jimmedar main hoon...."
dil ki dhadkane is waqt kam hone ka naam hee nahi le rahi thi...balki wo to samay ke sath badhte hee ja rahi thi....
"ye sab kaise hua..."ghabrayi hui aawaz me maine Arun se puchha..
"NTPC me kuchh hafte pahle strike shuru hui thi power supply ko lekar...jisase NTPC ko lagatar loss ho raha tha aur jab ye baat Sidar ko maloom chali to usne strike shuru kar di ,jisme NTPC ke kayi bade officers uske sath the...."
"phhir..."
"aur phhir do din pahle pure college me ye khabar fail gayi ki strike karne wale aur police ke beech jhadap ho gayi hai...us jhadap me kayi log mare gaye ,jisme se ek humara Sidar bhi tha...."
.
bolkar Arun chup ho gaya aur main bhi gumsum sa bed par leta raha....bahut der tak hum dono me koyi kuchh nahi bola aur phhir Arun ne hee chuppi todi...
"Sidar bhai ki body ab bhi isi hospital me hai...."
"what "chaukte hue maine Arun ki taraf dekha....lekin kuchh bola nahi ,mere is tarah se chaukane ka karan mera khas dost Arun meri shakal dekh kar hee jaan gaya ,wo aage bola...
"Sidar ki maut ke baad warden ke muh se ek bahut bada sach hume maloom hua Arman,jisne hum sabko jhakjhor ke rakh diya tha.."
"kya..."apne seene par hath phhirate hue maine puchha...maine apne seene ko isliye sahlaya kyunki aage jo sach Arun batane wala tha ,wo sach,sach me bahut kadwa hoga...aisa maine andaza laga liya tha....
"Sidar ek anath tha, use anath bachcho ko palne wali association ne pal-posh kar bada kiya tha aur is kabil banaya ki wo apne pairo par khada ho sake....college me ye sach sirf humare Principal aur hostel warden ko maloom tha aur Sidar ki maut ke baad ye sach sabke samne aaya to sabka kaleja apne muh ko aa gaya....kisi ko yakin nahi ho raha tha ki Sidar ek anath tha..."
.
Sidar ke anath hone ki khabar se jaha ek taraf mere kaleje ka dukh dugna ho gaya wahi dusari taraf mujhe ,mere kayi chhote sawalo ka jawab mil gaya tha...main aksar MTL bhai se puchha karta tha ki wo chhuttiyo me ghar kyun nahi jate ?, kya unhe hostel me akele warden ke sath rahne me jyada maja aata hai ? Kya aapke ghar wale aapko kuchh nahi kahte ?
Aise na jaane kitne sawal main MTL bhai se aaye din puchhate rahta tha aur jawab me wo har baar mere in sawalo ko muskura kar taal dete the....aur aaj jab mujhe sach maloom hua to mujhe unki us muskurahat ke peechhe chhipe us dard ka ahsaas hua,jise unhone kabhi kisi ke samne zahir nahi kiya tha..... maine na jaane kitni hee dafa anjaane me aise sawal karke unka dil dukhaya tha....mujhe ab bhi yaad hai ki ek baar unhone mujhse kaha tha ki "Arman yadi tu janam se mera chhota bhai hota to mujhe bahut khushi hoti....i love you yar..."
.
"to kya tum logo ne anath bachcho ko sahara dene wali us association ko Sidar ke bare me khabar nahi di..."
"do din pahle hee unko ye news humne de di thi ki Sidar ki maut ho chuki hai lekin wo Sidar ki body ko lene ab tak nahi aaye hai..."
"i want see him...now"
"kya..."jhatka khate hue Arun bola
"haan, i want to see MTL bhai...."
_____________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Chapter-36:Retaliation(Eye for Eye)
Update-130
.
Sidar shayad ye bhool gaya tha ki college ke andar ki leadership aur bahar ki leadership me bahut difference hota hai...college ke andar aap kuchh bhi kar sakte hai lekin college ke bahar aapko koyi kuchh bhi kar sakta hai...Sidar se yahi chuk ho gayi,wo NTPC ki strike ko college ke andar hone wali strike samajh baitha tha,lekin wo strike karte waqt ye bhool chuka tha mamla Govt. Se tha jinke hath me police ki bagdor hoti hai...na jaane kyun mujhe aisa lag raha tha ki Sidar ki maut koyi coincidence na hokar full planning murder tha...main sirf aisa soch sakta tha kuchh kar nahi sakta tha aur is samay main Sidar ki death body ke samne khada usko nihar raha tha....ye sach hai ki maut ,marne walo ko is duniya se azaad kar deta hai lekin ek sach ye bhi hai ki wahi maut us marne wale se kayiyo ko jod bhi deti hai....pata nahi ,par mujhe Sidar ki body dekhkar na jaane aisa kyun lag raha tha ki jaise meri zindagi ki bahut badi khushi Sidar ke sath chali gayi hai.....
kisi mahan hasti ne kaha hai ki“Death ends a life, not a relationship.” aur ye sach bhi hai ,kyunki dhayi aksharo ka shabd "Maut" mujhse ,Sidar ko lakh koshisho ke bawjood bhi alag nahi kar sakta tha...main Sidar ke sath us samay bhi nahi tha jab wo college chhod raha tha aur main uske sath tab bhi nahi tha jab wo ye duniya chhod raha tha....Sidar ki maut ke teen din baad anath bachcho ko palne wali us association se ek aadmi hospital me aaya aur usne Sidar ke sharir ko unhi panch tatvo me vileen kar diya jin panch tatvo se milkar uska sharir bana hua tha aur ye meri badkismati thi ki us aakhiri waqt me main waha maujood nahi tha...kyunki hospital ke doctors ne Vipin bhaiya se saaf kah diya tha mujhe waha nahi jana chahiye.....aur us ghatna ke ek mahine se adhik beet jane par main puri tarah se thik hua , mere dono hath,dono pair ab bilkul sahi-salamat the aur pahle ki tarah mazboot bhi...mere kamar aur shoulder bhi ab pahle ki tarah strong ho chuke the...lekin hospital ke un aakhiri dino me maine doctors ko ye jataya ki abhi puri tarah se thik hone me mujhe kuchh din ka samay aur lagega...doctors ne meri x-ray report dekhi aur mujhe ,meri hatheliyo ko open-close karne ke liye kaha to maine jaan buchkar waisa nahi kiya aur kaha ki mujhe aisa karne par dard hota hai....meri x-ray report dekhkar doctors ko jab yakin ho gaya ki main ab puri tarah se thik hoon to unhone mujhe bina kisi sahare ke chalne ke liye kaha aur main jaanbuchkar thodi door chalne ke baad zameen par gira...taki unhe wo yakin ho jaye jo main unhe yakin dilana chahta tha....
"x-ray report ke mutabiq to sab kuchh sahi hai...phhir tujhe problem kaha ho rahi hai..."Vipin bhaiya ,jo ki is samay mere paas baithe the unhone x-ray report uthakar kaha...
"shayad haddiyo ko purani jagah par fit hone me kuchh time lage..."
"matlab ki mujhe kuchh din aur yaha rukna padega...."report ko ek kinare rakhte hue bhaiya ne kaha...
"are nahi...aap kyun rukoge, ab to main normal hoon,ab aap ghar jao...thode din baad main bhi hostel chala jaunga...."
"sure..."
"haan...aap jao"
"thik hai to main aaj hee raat ki train se nikalta hoon..."apni ghadi par time dekhte hue unhone kaha"Arun ko main call kar dunga ,wo kal aa jayega...."
"wo to kya ,uska baap bhi aayega..."
"kya..."
"kuchh nahi...aap jane ki taiyari karo "
.
Vipin bhaiya ko ghar wapas bhejane ke liye main itna utawala isliye tha kyunki unke yaha rahte tak main wo nahi kar pata jo main main ab karne ja raha tha...jo main ab karne wala tha uske liye bade bhaiya ka is shahar se jana bahut jaroori tha aur isiliye maine bahut jor dekar unhe jane ke liye kaha...
dusare din Arun muhse milne aaya aur aate hee usne mere bed ke bagal me rakhi table ke upar dekha ki kuchh khane-peene ka saman rakha hai ya nahi aur jab use kuchh nahi mila to mere sar ke chhote-chhote bal ko kheench kar bola...
"pura kha gaya takle,kuchh to mere liye chhoda hota...."
"abhi lunch aaya nahi ,aata hoga thodi der me...."
"chal sahi hai...waise bhi mujhe is waqt solid bhookh lag rahi hai..."
"bike par aaya hai kya..."
"aur nahi to kya hostel se 20 kilometer paidal aaunga...takle tera dimag aajkal kaam nahi kar raha hai kya..."
"good, main bahut dino se is mauke ki taalash me tha..."ek pal me koodkar khada hote hue maine kaha...
"BC... ye kya tha be...kal tak to tu dhang se chal bhi nahi pa raha tha aur aaj ekdum se kud kar khada ho gaya...."
"wo sab tu abhi nahi samjhega.."hospital dwara mujhe di gayi marijo ki dress utarte hue maine wo kapde pahne jo mera bhaimujhe dekar gaya tha....
"sala kal to ek chammach pakadte waqt tu dard se karah raha tha aur aaj to tujhe dekhkar lagta hai ki abhich apne hatho se muth mar lega...
"
"wo main nahi kar sakta..."
"kyun..."
"kyunki kal raat hee maine muth mara hai...la bike ki chabhi de..."
"chutiya hai kya...agar koyi tujhe dekhne aa gaya to..."
"abey ye ICU nahi hai jaha har 15 minutes me mujhe dekhne koyi na koyi aata rahega...itne din bed par jhoothi acting karte hue maine jo notice kiya hai uske anusar abhi ek baar lunch serve karne ke liye hospital wale aayenge aur phhir lunch dene ke ek ghante baad ye dekhne aayenge ki main goli,dawai sahi time par le li ya nahi....to jab wo khana dene aayenge to unse kahna ki main bathroom gaya hoon aur jab wo ek ghante baad dobara aayenge to ye bolna ki main phhir se bathroom gaya hua hoon....samjha"
"kuchh nahi samjha, seedhe se let ja ...aur waise tu kaha jane ki planning kar raha hai..."mere hath se chabhi chhente hue Arun ne puchha....
"yadi maine tujhe ye bata diya to tu mujhe jane nahi dega aur yadi tune bina sawal-jawab kiye mujhe jane diya to tujhe main wapas lautane par bahut badi khushkhabari dunga....soch le"bed par wapas baithkar maine kaha...
.
Arun kuchh der tak kisi soch me dooba raha aur phhir mujhe bike ki chabhi pakdate hue bola"jaha jayega,waha se khana khakar aana...kyunki tera lunch to main safa chatt karne wala hoon..."
"ok...apna mobile, wallet bhi de.."
"wo kyun..."teesari baar chauk kar Arun ne puchha...
"tere liye ladki jugad karne ja raha hoon...ab jaldi se wallet aur mobile nikal...."
.
Hospital se bahar aakar main jab parking ki taraf badha tab mujhe dhyan aaya ki maine Arun se bike ka number to puchha hee nahi aur mobile apne sath le aaya hoon to ab use call bhi nahi kar sakta....
"shayad usne parking ki slip apne purse me dali ho... "kya karu ,kya na karu ke us ajeeb si uljhan me fanse mere 1400 gm ke dimag ki batti jaise eka ek jali aur turant Arun ka wallet nikal kar check kiya ...jisme mujhe Arun ke bike ki slip mil gayi aur main bike lekar seedhe hospital se bahar nikla
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
yeh story, stories ke etihaas me swarn aksharo me ankit hai " jai ho sgp2009 bhai"


Bilkul sahi kha bhai . Mere is story post karne ka maksad hi yahi hai ki ye story aur logo tak pahunche .
Thread pe aane ke liye sukriya.
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,138
43,098
354
Update-131
Arun ke wallet me mujhe uske bike ki slip mil gayi jiske baad main bike lekar hospital se bahar aa gaya...
.
Mera pahla target tha Naushad,kyunki Naushad ko sabak sikhane ke liye aaj se achchha mauka mujhe kabhi nahi milta aur is waqt sari situation ,sari condition same waisi hee the jaisa ki maine socha tha...yaha tak ki atmospheric tempreture bhi
hostel ki taraf jate waqt main usi medical store ke paas ruka,jaha se maine deepika ke liye condom kharida tha
"ek pad dena...."medical store wale ladke se maine kaha
"kaun sa doon, whisper ya phhir stayfree...."
whisper aur stayfree ka name jab us medical store wale ladke ne liya to mujhe apni galti ka ahsaas hua lekin main apni galti sudharta usase pahle hee wo medical store wala ladka bol pada...
"i know..girlfriend ke liye chahiye na...bhai ek suggestion hai ,phone karke puchh le usase ki uski pasand kya hai matlab ki kis brand ka pad wo use karti hai...."
Uske aisa bolne par maine apni aankhe chhoti ki aur use kuchh seconds tak ghoorta raha.dil kiya ki sale ka sar pakad kar sare baal noch dalu aur apni tarah takla bana doon...dil kiya ki seedhe uska sar pakdu aur bahar kheenchkar uspar laato ki barish kar doon....lekin maine aisa nahi kiya kyunki mujhe apni energy Naushad ke liye bacha kar rakhni thi...
"gauze pad dena bole to patti aur ruyi bhi dena...."
Jab maine usase ladkiyo wale pad ki jagah dusara pad manga to abki baar usne apni aakhe chhoti kar li aur kuchh seconds tak mujhe ghoorta raha....
"tu saman dega ya main dusare dukan se jakar le loon..."
"deta hoon...deta hoon..."
.
Us medical store se nikal kar main phhir se hostel ki taraf badhne laga aur jaise hee hostel ke karib pahucha to maine bike ek side rok di aur Arun ka mobile nikal kar ,Amar sir ko call kiya...
"main aa gaya hoon..."maine kaha
"kaha hai..."
"yahi S.P. Ke Bunglow se thodi door khada hoon..."
"thik hai ,wahi rook main aata hoon..."bolkar Amar sir ne phone kat diya...
.
waise to main jo bhi plan sochata hoon ,kisi ko lekar main jo bhi strategy banata hoon,uski khabar shuruat me sirf mujhe aur mere dimag ko hoti hai...lekin is baar mere strategy ,mere plan ki khabar Amar sir ko bhi thi...kyunki wo is plan me bahut important role play kar rahe the....bade bhaiya ke mobile se aksar raat ko 12 baje ke baad main Amar sir ko call karke unse Naushad ki khabar leta rahta tha aur do din pahle hee unhone mujhe bataya tha ki in dino mid term chal rahe hai aur Naushad mid term dene na jakar pure din hostel me rahta hai...yahi sabse sahi mauka tha kyunki according to my plan, maine Naushad ko hostel me thoka...ye baat jitne kam logo ko maloom chale ye utna hee mere liye sahi tha.jab mujhe sadak ke kinare bike khade kiye hue kuchh der beet gaya to maine samne ki taraf nazar dali aur Amar sir mujhe door, aate hue dikh gaye...
"kya haal hai ,Arman sir...bahut din laga diye hostel aane me..."
"hospital ki nurses ko mujhse pyar ho gaya hai,sali discharge hee nahi karti...."muskurate hue maine kaha...
"ye le khoon ki dibbi..."ek chhoti se dibbi mere hath me pakdate hue Amar sir ne kaha"ab ja aur chhodna mat sale ko...*** chod dena us BC ,MKL ki....best of luck..."
"luck to mere hee hath me hai isliye yadi bolna hai to all the best bolo..."
"thik hai bhai,jaisi teri marzi...all the best...aur sun"
"tello..."
"sirf aadha ghanta hai tere paas kyunki uske baad ladke college se hostel aana shuru kar denge..."
"don't worry..."bike start karke maine scarf se apna face bandha aur bola"mere paas jugad hai..."
.
college me seniors ke mid term chal rahe the ,isliye hostel lagbhag khali hee tha...lekin kuchh launde aise hote hai jinhe college ke mid term se koyi fark nahi padta aur wo pure din hostel me rahkar khatiya todte rahte hai.Naushad unme se ek tha. aur bhi kayi ladke the jo college na jakar hostel me mauzood the...jisme se mera dost Saurabh bhi ek tha aur use iski bhi jaankari thi ki main aaj yaha aane wala hoon....
.
aaj mahino baad hostel ko dekhkar Sidar ki yaad khud ba khud aa gayi lekin maine Sidar ki yaadon ko apne jehan se nikal kar bahar feka kyunki ye waqt kisi ki yaad me dukhi hone ka nahi tha aur jab main isme kamyab hua yani ki khud se Sidar ki yaadon ko door karne ke baad maine apne face ko scarf se baandhe hue apne room ki taraf badha,jaha mera khas dost Saurabh, mere dusare khas dost Sulabh ke sath baitha tab se mera intezaar kar raha tha,jab se maine unhe call karke bataya tha ki main hostel aa raha hoon.....jab main apne room ki taraf ja raha tha to mujhe hostel me rahne wale kuchh ladko ne dekha lekin wo itne jaldi me the ki mujhe pahchan tak nahi paye..mujhe na pahchan pane ki ek vajah shayad ye bhi ho sakti hai ki maine us waqt apne chehre aur sar ko scarf se bandha hua tha....
apne room ki taraf jate hue maine ye socha tha ki jakar un dono kamino se main gale milunga jiske baad dono shuru me mera haal puchhenge aur phhir mere sar par hath phhirakar mujhe taklu-taklu kahenge....lekin andar jakar na to main unse gale mila aur na hee unka haal puchha....
"sale ,tu mere bistar par letkar muth mar maar raha hai uth bosedk waha se..."
Mere achanak room ke andar aane se aur meri tez aawaz ke karan Saurabh baukhala gaya aur jaldi se apne paint ko,jo ki ghutno tak khisak gaya tha,use kamar ke upar late hue meri taraf badha...
"kaisa hai Arman..."apna ek hath meri taraf badhate hue Saurabh ne mera haal puchha....
"peechhe hat aur lawde mujhe chhuna mat...sala jis hath se muth marta hai usi hath se hath milata hai..."apne bistar ki bedsheet ko kinare se pakad kar maine kheencha aur uski gathari banakar Saurabh ke muh par de mara"beta ise dho dena aur Sulabh kaha hai..."
"wo bathroom me kar raha hai
"
"very good, lawda main yaha itne bade mission me nikla hoon aur tum dono yaha ye sab kar rahe ho...."
Saurabh ko maine bahut sunaya aur jab Sulabh bathroom ko sperm donate karke room me aaya to maine use bhi bahut gali baki aur phhir kaam ki baat karne lage...
"Naushad kaha hai is waqt..."uska name lete hee mera khoon khaulane laga ,kyunki ab mujhe wo sab kuch yaad aane laga tha...jiski vajah se main 3 mahine se adhik hospital me pada raha tha...us din mujhe jitne bhi zakhm mile the wo ab ek-ek karke hare hote ja rahe the....jab mere sare zakhm ek-ek karke hare ho rahe the to usi waqt Saurabh ne mujhe circular shape ka lohe ka ek tukda diya
"ye kaha se laya ,maine to dues ball manga tha..."
"college ke workshop se chori kar liya aur waise bhi ye dues ball se jyada hard aur bhari hai...jisko bhi padega uska sar phhat jayega..."
"thik hai"Saurabh ke hath se maine ball li...ball sach me had se jyada bhari thi...ball ko apne hatho me lekar maine Saurabh se rod ke bare me puchha...
"rod ka jugad nahi ho paya ,lekin hockey stick darwaje ke peechhe chhupa di hai...."
"chal koyi baat nahi..."room ke bahar aate hue main bola"aur apni aankhe khuli rakhna aur jaise hee Naushad bathroom me ghuse ,kaam me lag jana..."
.
Saurabh aur Sulabh ko hidayat dene ke baad main us floor ke bathroom ki taraf badha...Naushad ka room bathroom ke bagal me tha isliye waha se guzarte waqt maine Naushad ke room me nazar dali to dekha ki wo log din dahade daru pee rahe the....yani ki mera kaam ab aur bhi aasan hone wala tha...
main bathroom ke andar gaya aur darwaje ki olat me khada hokar apne jeb se khoon ki dibbi nikali aur use ruyi par daalkar maine rui ko achchhi tarah se khoon me bhigoya aur apne dahine hath me khoon se sani rui ko rakhkar uspar patti bandh diya....ab mujhe intezaar tha ki kab Naushad bathroom me aaye aur main uske sar par lohe ki ye ball seedhe phhek kar maru...lekin usi waqt mere dimg me khayalat kaundha ki...kahi itne bhari vajan ke ball se Naushad ki maut na ho jaye.....
_________________________
 
Top