• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance 8TH SEMESTER ! (Completed)

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,065
43,019
354
Chapter-31:A Unconscious Break
Update-105
.
"Nisha ne phone par kaha ki main tumhe uski email id de du aur tum usase email par baat karo..."Mere dwara chhanchhundar bole jane par wo jal-bhun kar boli...
"ye tum ladkiyo ke paas dimag nahi hota kya...ab email-email khelne ka kaun sa junoon Nisha ko sawar ho gaya hai..."
"ladkiyo ke paas tum ladko se jyada dimag hota hai aur Nisha ne aisa isliye kaha kyunki uske dad ne uspar pabandi laga rakhi hai, wo ab na to kisi se baat kar sakti hai aur na hee kisi se mil sakti hai...mera andaza sahi tha ,you are a champu "
"us dayan ki email id kya mujhe sapne me aayegi..."
"i have her email id..."apna chhati chauda karte hue Sonam aise boli jaise olympic me gold medal jeet liya ho aur na chahte hue bhi meri nazar uske seene par ja padi...
"Varun,tumhara dusara dost bhi mujhe line maar raha hai...."
"kya Arman,ek to ye teri madad karne aayi hai aur uspar tu ise uncomfortable kar raha hai..."Sonam aur mere beech khade hokar Varun ne mujhe ghura...
"main ise uncomfortable kar raha hoon ya ye mujhe uncomfortable kar rahi hai..."
"hey Mr. main koyi aisi waisi ladki nahi hoon ,samjhe..."Varun ko samne se dhakka dekar Sonam ne meri aankho me aankhe dalte hue fire kiya....
"waise mera sawal ye tha ki Nisha ki email id main kaha se laun..."maine turant topic change kiya aur mudde par aaya...
"maine kaha na ki uski email id mujhe maloom hai..."Sonam bhi mudde par aate hue boli"actually...uski email id maine hee banayi thi..."
Nisha ki email id Sonam ne banayi hai ye jaankar main thodi der tak intezaar karta raha ki ab wo mujhe Nisha ki email id degi...lekin wo chup chap khadi mujhe dekhti rahi aur jab kuchh der tak aur wo ek lafz tak nahi boli to main kheej utha...
"Nisha ki email id batane ka kya logi "
"oh , sorry..main bhool hee gayi thi.."
"apun ka style hee kuchh aisa hai ki ladkiya mujhe dekhkar sab kuchh bhool jati hai..."
"aisa kuchh bhi nahi hai..."ek kagaj par Nisha ki email id likhkar Sonam boli"ab main chalti hoon..."
"Sonam...ruko,kuchh baat karni hai tumse...akele me"
"kaisi baat karni hai tujhe
"waha mauzood teene human ne mujhse puchha...Sonam bhauchakki thi,Arun ,Sonam ko dekhkar laar tapka raha tha aur Varun aankho me angare liye bas Sonam ke jaane ka intezaar kar raha tha,taki wo meri thukayi kar sake....
"Varun,waisa kuchh bhi nahi hai mere bhai,jaisa tu soch raha hai "Varun ko ek konte me lejakar maine samjhaya ki main Sonam se Nisha ke baare me kuchh puchhana chahta hoon,jisase jo uljhan is samay mere dimag me hai ,wo sulajh jaye....
.
"Kab se Nisha ko janti ho..."balcony me aane ke baad maine Sonam se pahla sawal kiya...
"lagbhag tab se jabse hum dono ne school jana shuru kiya,we are childhood friends..."
"tab to ,tum mujhe Nisha ke bare me bahut kuchh ya phhir ye kahe ki sab kuchh bata sakti ho..."
"aur tumhe aisa kyun lagta hai ki main aisa karungi..."mere thik bagal me khade hokar wo boli"main Nisha ke bare me sabkuchh janti hoon,lekin iska matlab ye nahi ki main tumhe uske baare me kuchh batane wali hoon....tumhara ye ghatiya plan flop hai..."
"yaha baat flop ,hit,superhit,blockbuster,all time blockbuster ki nahi hai...yaha baat Nisha ki hai..tumhe andaza bhi nahi hai ki is waqt Nisha kis halat me hai,isliye mujhe uske baare me sabkuchh janana jaroori hai..."
Sonam kuchh der tak waha chup chap khadi sochati rahi aur phhir deewar ki taraf jakar nakhoon se deewar ko kharochane lagi....
.
"puchho...kya puchhana chahte ho..."meri taraf platkar usne kaha..
"sabse pahle ye batao ki kya tum ab bhi Nisha ke ghar jakar usase mil sakti ho..."
"No...yadi maine aisa kiya bhi to uske maa-baap meri khatiya khadi kar denge..."
"maine thik aisa hee socha tha,ab ye batao ki kya tum Sonam ke sath college me padhti thi..."
"haan,hum dono ek dusare ke best friend the..."
"to phhir Mujhe ye batao ki Vishwakarma aur Nisha ka kya relation tha..."
"tum Vishwakarma ko jante ho... "
"kal hee use jana hai..."
"Nisha hamesha se hee akeli rahi thi,uske maa-baap sirf name ke maa-baap the...wo aksar mujhse kahti ki use koyi pyar nahi karta...jabki usne kisi ke sath kabhi jara sa bhi galat nahi kiya aur phhir uski Zindagi me Vishwakarma name ka ek toofan aaya ,jisne pahle shanti se Nisha ko apne jaal me phhasaya aur phhir Nisha ko badnaam karne laga...usne pure class ke samne Nisha ko randi kaha tha, Vishwakarma ke dhokhe se Nisha lagbhag puri tarah mar chuki thi...lekin college ke aakhiri dino me kuchh chamatkar sa hua, Nisha ko dekhkar aisa lagne laga...jaise ki use jeene ki koyi vajah mil gayi hai,jaise ki usne apne liye ek sahara dhoondh liya ho,wo sahara tum the Arman...yadi tum Nisha se na mile hote to shayad wo ab tak zinda nahi bachti...yadi tum uski zindagi me nahi aaye hote to shayad abtak wo ghut-ghut kar mar gayi hoti ya phhir suicide kar leti..."
"phhir usne mujhse jhooth kyun kaha ki uski zindagi me main pahla ladka hoon..."Nisha ke ateet ne jab mere dil ko cheer dala tab maine apna agla sawal kiya...
"Arman,koyi shaks nahi chahega ki uski ek galti ki vajah se uske aaj aur aane wala kal par bura prabhav pade aur shayad isiliye Nisha ne tumse aisa kaha...Vishwakarma,Nisha ke zindagi ki sabse badi galti thi jiski saza wo bhugat chuki hai...aur ab wo nahi chahegi ki uski zindagi ka sabse bura daur uske aaj ke achchhe daur ko khatm kar de..."
"thanks,ab tum ja sakti ho..."balcony ke bahar aasman ki taraf dekhte hue maine Sonam ko jaane ke liye kaha...
"Arman..."waha se jate hue Sonam boli"yadi tumne zindagi me kabhi koyi galti ki hogi to tumhe iska ahsaas jaroor hoga...aage tumhari marzi..."
.
Sonam ke jane ke baad main bahut der tak aasman ko niharta raha...aaj bahut din baad suraj ne apne darshan diye the,badalo ko bhedati Suraj ki kiran mere andar ek naya josh ,ek naya utsah bhar rahi thi...maine table par rakhe us kagaj ko uthaya jispar Nisha ka email address tha aur turant Nisha ko mail kar diya ki, main Sonam se mil chuka hoon.....
Ab mujhe wo sab beete pal yaad aa rahe the,jab Nisha har waqt mere peechhe paglo ki tarah padi rahti thi...main samajh chuka tha ki uska wo rubab sirf ek dikhawa,sirf ek chhalawa tha...taki main ye na jaan paun ki wo mujhe dil-o-jaan se pyar karti hai...shayad use dar tha ki kahi main uski mazboori ka Vishwakarma ki tarah fayda na uthau...lekin main aisa nahi tha..beshak mujhme kayi burayi hai lekin main dusaro ke armano ki kadra karna janta hoon..isiliye shayad mera name Arman pada ya phhir yun kahe ki mere name Arman hone ki vajah se main is shabd ki paribhasha,is Arman shabd ka matlab samajh paya...aur mujhe maloom hee nahi balki iska ahsas bhi hai ki adhure Armano ka gam kya hota hai.... Pahle jaha main Nisha ki call ko ignore karta tha wahi ab main chahta tha ki ab wo mujhe ek call kare to main uski aawaz sun loon...pahle jaha main kisi na kisi bahane Nisha ke messege ko taal deta tha ab main wahi computer screen ke samne pichhale ek ghante se apni email id kholkar uske messege ka intezaar kar raha tha...main dekhna chahta tha ki wo apni khushi ko shabdo me kaise bayan karti hai...mere liye apne left side me dhadak rahe dil ki dhadkano ko wo kis tarah shabdo me utarti hai...aur yadi in short kahe to "now,i am madly love her "
_____________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,065
43,019
354
Update-106
aur yadi in short kahe to"now,i am madly love her "
.
Nisha ke reply ke intezaar me ek aur ghanta beeta lekin mera inbox ab tak khali tha, maine table par ek side rakha hua wo kagaj ka tukda uthaya ,jis par Nisha ki email id likhi hui thi,aur use padhne laga....
"Nisha_love_Arman@live.com" padhte hue mere hontho par ek muskan chha gayi aur maine ek aur email Nisha ko tapka diya.....
.
"abey oye,4 ghante ho gaye computer screen ke samne baithe hue...bol to tujhe hee mail kar du..."Ek chair kheechkar Varun mere bagal me baitha aur khane ki plate mere samne rakh di"le bhar le.."
"main to khana khane ke baare me bhool hee gaya tha..."khane ki plate ko lapak kar maine kaha"Arun kaha hai..."
"pata nahi,wo bola ki kuchh jaroori kaam aa gaya hai..."
"cigarette-daru lene gaya hoga sala..."
"Arun ko gali bakna band kar aur samne dekh ,shayad usne reply kar diya hai..."
Maine turant plate neeche rakh kar computer screen par nazar gadaya..Nisha ne reply kar diya tha....
"Jail me kaisa lag raha hai,janeman..."
"bahut achchha,main to itni jyada khush hoon ki bata nahi sakti...tum sunao "
"apun to bas maze me hai...waise tumhara name kya hai..."
"meri email id me mera name hai..."
"are main to original name puchh raha hoon...Dayan"
"facebook par id hai tumhari..."
"nahi..main to anpadh gawar hoon,meri id facebook me kaise hogi..."
"link mail karo..."
"kuchh lafda hai,log in karte waqt kuchh error aata hai..."
"no problem, Arman mujhe tumse kuchh baat karni hai..."
"haan bolo..."
"mera mobile chheen liya gaya hai..."
"to mail kar de...ladkiyo ka dimag hamesha ghutano me kyun rahta hai "
"nahi..mujhe baat karni hai..."
"tera wo hitler baap gala daba dega mera yadi main use tere aas-paas dikh bhi gaya to..."
"koyi nahi...raat ko 12 baje jab sab so jayenge tab main call karungi ,mere paas ek extra mobile hai abhi ke liye bye..."
"DAYAN RUK JA KIDHAR KAT RELI HAI"maine jaldi se use messege bhejkar uske reply ka intezaar karne laga...lekin uske baad Nisha ka koyi messege nahi aaya...aur wo raat ko call karegi is ummid me maine computer shut down kiya aur bistar par let gaya....main chata tha ki jald se jald raat ke 12 baje aur Nisha ka call aaye...abhi raat ke 8 hee baje the ki mujhse thodi door rakha mera mobile bajne laga aur main lapak kar mobile ke paas ja pahucha aur call recieve ki...
"haan murgiyo ke ando ka sirf ek truck pahucha hai ,dusara abhi tak nahi aaya,bhai dekho maal kaha fasa pada hai..."
"wrong number..."maine kaha aur call disconnect kar di...lekin uske agle hee pal ek baar phhir usi number se call aaya....
"are yar dekho maal kaha fasa hai, yadi dono truck nahi aaye to main teri biwi ko aakar chodunga..."
"*** chuda apni tu,BC yadi dobara call kiya to phone ke andar ghuskar gand marunga,sale harami ,bakchod..."galiya bakte hue maine mobile bistar par patak diya...
"beta abhi to char ghante baki hai...mujhe to dar hai ki 12 baje tak kahi tu pagal na ho jaye..."ek pair bistar se neeche hilate hue Arun bola
"time pass kaise karu..."
"apun ke paas ek sujhav hai..."beech me Varun bola...
"na..nahi....never..."Varun ka ishara saajhkar maine kaha..
"haan...abhi...isi waqt..."
"abey har time tujhe main kahani sunate rahu kya...sale main bhi insan hoon...bolte-bolte mera bhi muh thak jata hai"
"yahi to pyar hai pagle...
"
.
man thoda bhari tha aur bechain bhi...isliye ek small peg maarkar main bistar par baitha aur mere agal-bagal Arun-Varun takiye par tek dekar pasar gaye...
.
Gautam ke tournament me jaane ke baad ek bahut bada kand hua...aisa kand jisne mujhe ek pal ke liye dotarfa baant diya tha,matlab ki mere sharir ke do hisse...main kuchh palo ke liye confuse ho gaya tha ki kiska sath du aur kiska sath chhodu......
Gautam ab bhi tournament ke chalte bahar tha aur main ,Arun ke sath canteen me baitha hua tha....Arun apni wali ko line de raha tha aur main apni wali ko...farak sirf itna sa tha ki Arun wali Arun ko mast responce de rahi thi aur meri wali mujhe dekh tak nahi rahi thi.....
"wo dekh paas wali table khali ho gayi,chal udhar chalte hai..."Arun ka hath pakadkar maine kaha aur use uthane laga...
"abey marwayega kya..."apna chhudakar Arun bola...
"dar mat aaja.."
"abey chal ja..."
"aana na kutte.."
"nahi aaunga kamine.."
"lawda muh me de dunga,aaja nahi to..."
"main gand mar lunga teri...chup chap baith ja nahi to..."
"bhool mat ki main Arman hoon... "
"aur tu bhi mat bhool ki main Arun hoon "
"teri to....kaiku kha rela hai ,chal na...tera bill main bhar dunga..."
"kya sach me "
"maa kasam "
"ab rulayega kya pagle,chal aaja..."
aur phhir hum dono uthe aur canteen par idhar-udar nazar maarkar Esha ke paas wali table par baith gaye....
"waiter do plate samosa, do pepsi aur do pani pouch lana jaldi se..."taav dekar Arun cheekha...
Arun ke cheekhne ke baad main kuchh aisa sochane laga jisase Esha meri taraf dekhe aur mujhse ladayi kare...
"yar Arun,tune meri billi dekhi hai kya..."
"ab ye billi kaun hai..."
"abey wahi,jiska rang gora hai...baat-baat par gussa ho jati hai..."maine haste hue kaha aur aankhe tirachhi karke Esha par nazar dali...uske chehre ka rang is samay gusse se laal hua ja raha tha...
"tumne kaha tha ki yadi main tumhari friendship request accept kar lungi to tum mujhe pareshan karna band kar doge...aur mujhe billi bhi nahi kahoge..."
"main aajkal gajini ban gaya hoon,sab kuchh bahut jald bhool jata hoon..."uske samne baithte hue maine kaha....
"tu Esha ko billi bolta hai
"jor jor se haste hue Arun bhi waha se utha aur jakar Divya ke side me baith gaya....
Arun ko hasta dekh ,Divya bhi has padi aur finally Esha ki halat dekhkar main bhi muskura utha...jab tak Arun hans raha tha,jab tak Divya hans rahi thi...tab tak to Esha shant thi...lekin jaise hee main hansa to uske andar mano jwalamukhi phhoot gaya aur wo gusse me boli...
"main billi to tum billa..."
"chal aaja phhir konte me "
Aage Esha kuchh kahti ya phhir main kuchh kahta ,uske pahle hee hostel ke 3rd year ka ek ladka apne kuchh dosto ke sath waha aaya aur ek jhatke me table par rakhe pani ke glass ko uthakar Divya ke muh par pura pani daal diya....ek pal ke liye to main jaise sakte me aa gaya ki ye kya hua......
"teri maa ki....."Divya ki ye halat dekhkar Arun us ladke ki taraf palta,jisne ye harkat ki thi...."Naushad Sir,aap...."hostel me rahne wale senior ko dekhkar Arun bola....uska gussa Naushad ko dekhkar ek pal me thanda ho gaya tha,...
"tu chal abhi ja yaha se,mujhe apna private matter suljhana hai..."Arun ko khada karke Nausnad uski jagah baith gaya aur hostel ke dusare seniors ne mujhe bhi waha se jane ke liye kaha....
"bheege honth tere...pyasa dil mera..."gungunate hue Naushad ne apna hath Divya ki taraf badhaya...
"Sir...wo meri dost hai,.."Naushad ka hath pakad kar Arun bola...
is waqt Divya aur Esha ka bhi chehra feeka pad chuka tha, dono ki aankho me dar ki ek lahar daud rahi thi...jiska andaza maine laga liya....
"teri dost hai to kya apun ko thappad maregi...aaj to main isko nahi chhodunga...sale dono bhai-bahan apne baap ke dam par bahut uchakte hai..."Naushad ne apna hath chhudakar Arun ko aankhe dikhayi
.
canteen me mamla bigadte dekh ,waha kaam karne wale beech-bachav ke liye aage aaye,lekin un sabko Naushad ke dosto ne wapas bhaga diya aur canteen me maujood sabhi students ko waha se jane ke liye kaha....
"aaj to **** hokar rahega...wo bhi ek ka nahi do-do ka..."kahte hue Naushad ne Divya ka hath pakad kar use apni taraf kheech liya.
___________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,065
43,019
354
Update-107
"aaj to **** hokar rahega...wo bhi ek ka nahi do-do ka..."kahte hue Naushad ne Divya ka hath pakad kar use apni taraf kheech liya.
.
Yadi is waqt waha Naushad ki jagah koyi dusara ladka hota to main turant usase bhid jata,lekin yaha situation alag thi...Naushad hostel me rahta tha aur sath me mera senior bhi tha aur barso se chale aa rahe rule ke anusar mujhe Naushad ka sath dena chahiye tha...bhale hee galti kiski bhi ho....
Naushad ke changul se Divya khud ko chhudane ki koshish karti rahi,lekin wo kamyab nahi ho payi...
"itna fudak mat,abhi teri sari garmi utarta hoon..."
"ye galat hai..."himmat karke maine Naushad ko Divya se door kiya...
"teri maa ki...tu hota kaun nai be mujhe sahi-galat samjhane wala...shayad tu bhool raha hai ki main tera senior hoon...chal ja yaha se warna main bhool jaunga ki tu Arman hai aur mere hostel me rahta hai..."kahte hue Naushad ne mera collar pakad liya...
"Naushad bhai...aakhir baat kya hai..."shant lahje me maine Naushad se puchha...
"maine aaj subah iska hath kya pakad liya,sali ne sabke samne ek jordar tamacha mere gaal par de mara...lawdi bahut uchak rahi thi.." dhakka dekar Naushad ne mujhe waha se jane ke liye....
"chalo beta..Arun-Arman ,dono bahar jao...ye humara matter hai..."hostel ke dusare seniors jo waha Naushad ke sath aaye the,unhone hume jabarjasti pakad kar canteen se bahar kar diya...
jab mujhe aur Arun ko hostel ke seniors canteen se dhakka dekar bahar kar rahe the,tab ek waqt ke liye meri nazare Esha se mili...wo is waqt andar tak dari hui thi,lekin kuchh bolne,kuchh kah pane ki himmat usme nahi thi...jab mujhe dhakkar dekar canteen se bahar nikala ja raha tha to Esha ki aankhe mujhse madad ki guhar laga rahi thi...uski safed surat laal rang ki murat me tabdil hone lagi thi...maine kabhi kalpana tak nahi ki thi ki main Esha ko is halat me dekhunga...aur maine jab kuchh nahi kiya to uske aankh se aansu ki kuchh boonde uske gaal ko bhigoti hui uske hontho se hote hue zameen par gir padi....lekin main phhir bhi kuchh nahi kar paya,kyunki isase hostel ke ladke hee mere khilaf ho jate aur ye Naushad wahi ladka tha jisne Varun ko marne me meri madad ki thi...mere dil ke is waqt do tukde ho chuke the,ek hissa mujhse kah raha tha ki main Naushad ki baat maankar chup-chap yaha se chala jaun..to dil ka dusara hissa mujhe dhikkar raha tha,mere dil ke dusare kone se aawaz aa rahi thi ki Canteen me jo kuchh ho raha hai,jo kuchh hone wala hai,usase do zindagiya barbaad ho jayegi aur us barbaadi ka jimmedar main rahunga...isliye main un dono ki madad karu.....
.
Main ek rule ke liye ye sab kuchh nahi hone de sakta tha aur ye condition aisi thi ki mera 1400 gm ka brain bhi thapp pada hua tha...mujhe koyi tarqeeb sochane ke liye kuchh waqt lagta par kambakht waqt hee to nahi tha mere paas....uspar se meri kahi hui chand lines jo maine khud Esha se kahi thi wo mujhe yaad aa gayi....
"tere ishq me yadi koyi mere seene me khanjar khop de....
ya phhir dil nikal kar use angaro ke beech rakh de,
mujhe iski parvah nahi,lekin yadi teri aankho se...
aansu ka ek boond bhi nikla to wo mere liye kayamat hai...."
.
"Arman,kuchh kar na,warna aaj jo hone wala hai uska anjaam bahut bura hoga..."
"well...pahle ek baat bata, tu maar khane se darta to nahi..."
"koshish karunga..."
"to chal aaja,ek plan hai mere paas..."
"kaisa plan..."
"plan ye hai ki Esha aur Divya ko kaise bhi karke canteen se nikalna hai aur seniors par hath bhi nahi uthana hai aur to aur hume iska bhi khayal rakhna hai ki Un dono items me se koyi bhi bahar jakar Naushad aur uske dosto ki shikayat na kare.."
"kya ye mumkin hai..."
"ofcource ,yaad hai maine kya kaha tha ki kabhi ye mat bhoolna ki main Arman hoon "
"bhaiya ji,apni badayi baad me karna,pahle ye batao ki plan kya hai..."
Maine Arun ko pakda aur Canteen ke gate par jo ki aadha khula hua tha uspar puri taqat se Arun ko dhakel diya...gate se takrane ke karan ek jordar aawaz hui...
"BC,tujhe yaha se jane ke liye kaha tha na...."Arun ko Canteen ke andar dekh Naushad ne apne dosto ko galiya bhi baki ki unhone canteen ka gate kyun band nahi kiya...
"main bhi hoon idhar..."Canteen ke andar kisi hero ki tarah entry marte hue maine kaha..."sala jab bhi Action wala scene hota hai, mera goggles mere sath nahi rahta...:angry :"
"waise tera plan kya hai,mujhe ab tak nahi pata..."kapde jhadte hue Arun khada hua...
"Plan ye hai ki tu jake Naushad ke upar kood pad,main bakiyo ko dekhta hoon..."
"sale,maine kabhi sapne me bhi nahi socha tha ki tu itna ghatiya plan bhi banata hai...Naushad to aaj mera kachumar bana dega..."lambi saans bharte hue Arun ne kaha aur seedhe jakar Naushad ke upar kood pada...
Arun ke dwara kiye gaye achanak is hamle se Naushad ne apna control kho diya aur ek taraf gir pada...Naushad ke girne ke sath hee Divya bhi ek taraf gir padi aur maine turant jakar Divya ko sahar dekar uthaya aur Esha ke sath use waha se bhag jane ke liye kaha.....lekin is waqt mere samne hostel ke teen seniors khade the....
"do ko to main rok lunga,ek ko tum dono sambhal lena...."
"lekin kaise..."hafte hue Divya boli...
"tum dono ke upar ka mala khali hai kya, itne saare glass ,plate table par rakhe hai...sab fod dena uske upar..."
"thik hai..."
Aur maine aisa hee kiya...do ko maine badi mushkil se sambhala aur teesare ke sar par Divya aur Esha ne kanch ki glass fod dali aur waha se bhag gayi....dono ko bhagte dekh main bhi waha se utha aur bahar jakar un dono se kaha ki...wo dono ye baat kisi ko na bataye aur jakar parking me khadi apni car par aaram kare main ,thodi der me unse milta hoon....
Waise un dono par yakin karna ki wo dono waisa hee karengi jaisa ki maine unhe kaha hai...is par yakin karna thoda mushkil tha...khair iske aalawa koyi dusara rasta bhi to nahi tha...khud ko majboot karke main wapas canteen me ghusa...jaha Naushad aur hostel ke teeno senior Arun ki thukayi karne ke liye taiyar khade the...
"listen...gentlemen and gentlemen..."pahle maine apne hatho ki ungaliya chatkayi aur phhir gardan...uske baad maine apne shirt ka collar khada kiya ,jisase un sabko aisa lagne laga ki main unse bhidne ke liye taiyar hoon...lekin mera plan kuchh dusara tha..maine ek baar aur apni ungaliyo ko dusare angle se foda aur phhir kaha"Naushad bhaiya,hum dono maar khane ke liye taiyar hai "
.
Mujhe andaja tha ki ab Naushad aur uske dost hum dono bahut jamkar kutayi karenge...unke gusse ko dekhkar bhi yahi lag raha tha...lekin unhone aisa nahi kiya,unhone hume jyada nahi sirf do-teen thappad aur char-paanch ghuse hee mare aur dhamki di ki wo log aaj raat me hum dono ko jaan se maar denge....
"chal uth,abhi plan ka ek aur hissa baki hai..."Arun ko zameen se uthate hue maine kaha...
"gand maraye tu ,aur tera plan...bose dk,hath mat laga mujhe..."karahte hue Arun uthkar baith gaya"sale ye canteen wale bhi maha MC hai,jo lafda shuru hote hee yaha se khisak liye..."
"ladki chahiye to maar khana hee padta hai..."
"are land mera...sale tujhe collar upar karte dekh maine socha tha ki tu ab in sabko marega lekin tu to ek number ka phhattu nikla...haye ram! Us BC Naushad ne seedhe ek laat pet par de mari hai...lagta hai mere liver phhat chuke hai...tu aaj ke baad mujhse baat mat karna..."
"abey itna bhi nahi mara un logo ne,jo tu aise laundiyo ki tarah ro raha hai...sale tu desh ki sewa kaise karega phhir,desh ke liye tu jaan kya dega jo itni si maar na sah saka..."
"are bhad me jaye desh...lawde jab tu Divya aur Esha ko lekar yaha se bhaga tha,tabhi un charo ne milkar mujhe jamkar thoka,...."
"le pani pee ,sham ko daru pilaunga...aur tu kahe to abhi ,isi waqt Divya se bhi baat karata hoon..."
"daru-pani chhod,pahle Divya se baat karwa...jiske liye maine itni maar khayi hai..."mere kandhe ke sahare khada hote hue Arun karahte hue bola"waise ye bata ki ab Divya mujhse impress to ho jayegi na..."
"beta Divya impress tab hui hoti ,jab tu pit kar nahi peet kar aaya hota...."
"tu sale dost ke name par kalank hai..."
"aur ye kalank zindagi bhar nahi chhutega... "
.
Waha se hum dono parking ki taraf badhe aur main raste bhar yahi dua karta raha ki Esha ,Divya ke sath wahi maujood ho...kyunki ye mere 1400 gm ke dimag me upaje plan ka hissa tha aur yadi aisa nahi hua to phhir ek bahut bhayanak toofan aane wala tha,jise main chahkar bhi nahi rok pata...par meri kismat ne yaha par mera sath diya ,jaisa ki aksar deti thi....kabhi-kabhi to mujhe shaq hone lagta ki main kismat ka gulaam hoon ya kismat meri gulaam hai....
.
"billi darwaja khol..."Car ke sheeshe par knock karte hue maine kaha aur Arun ko wahi khada kar diya lekin uske agle pal hee Arun zameen me bikhar gaya,usase apne pairo par khada bhi nahi hua ja raha tha....
.
"sharir ka jo ek-do hissa sahi-salamat hai,tu uska bhi bharta bana daal..."zameen par pade-pade wo mujhpar cheekha...
"sorry yar,maine dhyan nahi diya..."
maine Arun ko sahara dekar wapas uthaya aur car ke andar use baithane ke baad main khud bhi car ke peechhe wali seat par baith gaya...
"chalo..."car ke andar baithkar maine Divya se car chalane ke liye kaha...
"kaha chale..."peechhe palat kar Esha boli...
"America chal,japan chal,chine chal,pakistan chal...jaha marzi ho waha chal...lekin is waqt yaha se chal...billi kahi ki,dimag to hai hee nahi "
Divya ne car start ki aur car ko college ke main gate ki taraf teji se daudane lagi...
"abey tune in dono ko to bacha liya,lekin ab sawal ye hai ki Naushad aur pure hostel se hume kaun bachayega....ab to na ghar ke rahe na ghat ke...matlab ki na city walo ke rahe aur na hostel walo ke...jaha jayenge thuk kar aayenge...Arman tune to mujhe jeete jee maar diya.."
"kya yar tu bhi aise toofani situation me aisa sada sa dialogue maar raha hai...aur hostel walo ki fikar chhod de ,kyunki abhich mere bheje me ek new plan aayela hai..."
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,065
43,019
354
Update-108
"kya yar tu bhi aise toofani situation me aisa sada sa dialogue maar raha hai...aur hostel walo ki fikar chhod de,kyunki abhich mere bheje me ek new plan aayela hai..."
.
Mera mobile ek baar phhir baj utha aur maine ghadi me time dekha...ghadi ka sabse chhota kaanta ab bhi sirf 9 par atka hua tha,lekin phhir bhi mujhe aisa laga ki shayad ye call Nisha ne ki hogi....main turant bistar se utha aur koodkar table par se apna mobile uthakar screen par nazar dali...number unknown tha lekin kuchh jana-pahchana sa lag raha tha....
"hello..."
"kya yar Balram bhai...maal abhi tak nahi pahucha, bhai murgiyo ke ando wala ek truck aakhir hai kidhar....kab tak intezaar karu..."
Ye sunte hee maine number par nazar dali aur samajh gaya ki kyun mujhe ye number jana-pahchana sa lag raha tha...
"kya bola,maal abhi tak nahi pahucha..."
"are nahi pahucha...warna kya main jhooth bolta ,tere chakkar me main ek se gali bhi kha chuka hoon..."
"ek kaam karo, apne dono ande nikal kar bhijwa do..."
"oye balram kya bak raha hai..."
"beta agar agli baar se is number par call kiya to tere ande nikalkar tujhe hee khila dunga...bakchod sale,anpadh...phone rakh lawde"
.
"kaun tha..."Arun ne mera laal hota hua chehra dekhkar puchha...
"pata nahi sala koyi ande wala hai...galti se baar-baar mujhe hee call laga deta hai...chodu sala"
"are hata us ande fande wale ko aur tu aage bata ,phhir kya hua..."Varun ne mujhe pakda aur pakad kar seedhe bed par kheech liya...
"Arun ki sangat me tu bhi gay type harkat karne laga hai..."
"koyi baat nahi...tu aage bata.."
.
.
"tum dono aaj canteen me jo hua,uska jikra kisi se bhi mat karna...apne aap se bhi nahi..."jab Car college ke bahar pahuchi to maine Esha aur Divya se kaha...
"aisa kyun...hum to iski shikayat Principal se karenge..."Esha se turant peechhe palat kar jawab diya...
"aur main iski shikayat apne dad se karungi..."Divya ne bhi peechhe palat kar jawab diya...
"pahli baat to ye ki Divya tu aage dekh kar drive kar aur dusari baat ye ki "Esha ki taraf dekhkar maine kaha"sun billi,yadi aisa hua to un dono ka career kharab ho jayega lekin mujhe unke career ki bilkul bhi parvah nahi hai darasal baat ye hai ki yadi ye mamla college me uchhala to iska result ye hoga ki Naushad aur uske dost college se nikale jane ke sath-sath jail bhi jayenge..."
"to isme problem kya hai..."Divya ek baar phhir peechhe mudkar boli...
"tu aage dekh ke car chala na
warna kisi ko thok-thak diya to satyanash ho jayega..."
"Divya ne sahi kaha,isme problem kya hai...unke sath aisa hee hona chahiye..."Divya ka Samarthan karte hue Esha ne kaha"don't worry ,hum tum dono ko involve nahi karenge..."
"sun re felino...is case me hum dono kabke involve ho chuke hai...aur main aisa isliye kah raha hoon kyunki Canteen me humari thukayi karne ke baad unhone hume jaan se marne ki dhamki di hai..."
"aawwww...."main apni baat complete nahi kar paya tha usase pahle hee dono ne aawww karke mujhe rok diya....
"kya aawwwww , "
"phhir to tumhe bhi police me complain karna chahiye..."Divya teesari baar peechhe mudkar boli...
"tu aage dekh ke car chala na...main bahra nahi hoon, bina meri taraf dekhe tu kuchh bolegi tab bhi main sun lunga... "main ek baar phhir Divya par chillaya aur jab Divya aage mud gayi to bola"dekho tum dono samajh nahi rahe ho...yadi un dono par case hua to hostel wale humare khilaf ho jayenge aur phhir mere sath-sath Arun bhi shahid ho jayega..."
"to isase hume kya lena-dena..."
"wah ! Yadi yahi baat hum dono ne us waqt sochi hoti,jab Canteen me tu Naushad ke shikanje me thi...to shayad ye situation aati hee nahi...yadi dimag nahi hai to mat chala ,jitna bol raha hoon utna kar...kam se kam mere bhai jaise mere is dost ki halat par to raham khao papiyo...dekh nahi rahi iski halat..."
"hii Divya..."Divya ne jab car ke mirror me Arun ko dekha to Arun chahkta hua bola..
"hii Arun..."mirror me dekhkar Divya ne jawab diya...
"abey tum dono apna hi,bye...band rakhoge..kuchh der ke liye"
"okay,hum tum dono ki baat manne ko taiyar hai..."aage mudte hue Esha ne kaha...
"thanks my felino..."
"pahle billi ab felino..iska matlab kya hua...lekin ye name achchha lagta hai,Felino"
"jyada khush mat ho billi,Felino ko Spanish me billi hee kahte hai..."
.
Uske baad hum dono car se utar gaye aur un dono ko jane ke liye kaha....
"abey tune kaha tha tere paas ek idea hai ,Naushad ke kahar se bachne ka..."
"haan, hai na..."
"mujhe bhi bata wo idea kya hai.."
"Sidar..."maine muskurate hue kaha .
uske baad maine Sidar ko call kiya aur use sari ghatna batayi...shuru-shuru me MTL bhai mujh par bhadak uthe aur bole ki duniyabhar ke sare lafde me main hee kyun fasta hoon...lekin baad me meri request par wo hostel aane ke liye taiyar ho gaye,unhone mujhse ye bhi kaha ki jab tak wo mujhe call karke hostel aane ke liye na kahe main hostel ke aas-paas bhi na dikhu....MTL bhai ki call ke baad main aur Arun lagbhag char ghante tak bahar hee rahe aur phhir raat ke 7 baje Sidar ka call aaya....
.
"chal,hostel chalte hai...Sidar pahuch gaya hai..."
"mujhe ab aisa kyun lag raha hai ki humne canteen me jo kiya,wo hume nahi karna chahiye tha..."
"tujhe aisa isliye lag raha hai,kyunki teri puri tarah se phhat chuki hai...ab chup-chap hostel chal warna mere hatho shahid ho jayega..."
.
Jab hum dono hostel ke andar dakhil hue to hostel me rahne wala har ek ladka hume ghoor kar dekh raha tha,unke chehre se aisa lag raha tha ki jaise wo mujhse kahna chahte ho ki unhe ,mujhse aisi ummid nahi thi...
Arun ke sath main seedhe Amar sir ke room me ghusa jaha Sidar,Amar ,Naushad aur uske canteen wale dost baithe hue the...
"aa gaya sala, BC harami..."mujhe dekhte hee Naushad ne galiya baki...
Naushad ka is tarah se sabke samne gali bakna mujhe pasand nahi aaya aur maine bhi us gandu ko apne tever dikhate hue bola"MC ,chup rah...tu Senior hai ,sochkar main canteen me maar kha gaya...lekin yadi ek lafz bhi aur bola to yahi patak-patak kar chodunga aur tu mere lund ka ek baal bhi nahi ukhad payega..."
"maar MC ko, dayi chod de sale ki.."Arun bhi gusse se bhadak utha...
"bas bahut ho gaya..Naushad tu chup rah aur tum dono bhi apna muh sil lo...warna teeno ko marunga..."Sidar ne tez aawaz me kaha,jiske baad hum sab shant ho gaye....
"Arman pahle tu bol ki,tu hostel walo ke khilaf kyun gaya...ye jante hue bhi ki Naushad ne Varun ko marne me tera sath diya tha..."
"ek minute MTL bhai...pahle main aapko ek example deta hoon..."Sidar ke paas jate hue main bola"yadi aaj canteen me undono ladkiyo ki jagah par Vibha aur meri jagah par aap hote....to kya aap kya karte..."
"tu baat ko ghuma raha hai Arman...sach ye hai ki na to main waha tha aur na hee Vibha..."
"sawal ye nahi hai ki mai kya kah raha hoon,sawal ye hai ki main kahna kya chahta hoon...instrument wahi hai,obstacle bhi wahi hai...bas observer dusara hai to kya hum us instrument ki theory badal dete hai, nahi na...bas main yahi samjhana chahta hoon,that's all"
.
.
"ektarfa beedu..."Varun mujhe beech me hee rok kar bola"aaj tune sabit kar diya ki tu mera dost hai..."
"thanks "bolte hue maine ghadi me time dekha...ghadi ka sabse chhota kaanta ab 10 me aane ko bekarar tha,..
"ek baat kahu ,tune Sidar ki source ka bahut solid tarike se istemaal kiya hai..."
"that's true..jab tak wo humare sath raha , maine uska istemaal bahut achchhe se kiya tha..."bolte hue main bistar se cigarette ka packet lene ke liye uth khada hua...
"tune ye kyun kaha ki tune uska istemaal tab tak kiya,jab tak wo tere sath raha..."
Varun ke is sawal ka jawab dena mere mushkil kamo me se ek tha,lekin use sach to maloom hee padta,aaj nahi to kal main khud use ye sach batane hee wala tha...maine ek cigarette sulgayi aur lamba kash lene ke baad bola..
"maine aisa isliye kaha kyunki Sidar ab zinda nahi hai..."
__________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,065
43,019
354
Update-109
"maine aisa isliye kaha kyunki Sidar ab zinda nahi hai..."
.
Arun ye sach pahle se janta tha lekin Varun ko ye sach ek jhatke me maloom chala tha ,isliye Varun is waqt jhatka khakar shant baitha tha,Sidar ab zinda nahi hai...ye sunkar Varun ki aankhe badi ho gayi,muh khula ka khula rah gaya aur dimag shunya ho gaya tha....wo kafi der tak mujhe cigarette ke kash lete hue chup-chap dekhta raha, wo shayad is waqt soch raha tha ki main Sidar ke death par itna normal behaviour kaise kar sakta hoon....par sach ye nahi tha, sach ye tha ki main khud bhi bahut bechain hua tha,jab mujhe Sidar ke maut ki khabar mili thi...us pal,us samay,us waqt jab mujhe ye badjaat aur manhoos khabar mili to mujhe yakin hee nahi ho raha tha ki Sidar ab nahi raha ,jab tak ki maine apni aankho se khud Sidar ke body ko nahi dekha tha....main ye soch kar chal raha tha ki ye sab jhooth hai,Sidar aise ,kaise mar sakta hai...lekin mere yakin karne ya na karne se sach nahi badal jata aur na hee mujhme aur kisi aur me itni kabiliyat aur taqat hai ki wo sach ko badal kar rakh de.....
Varun ab bhi ekdum khamosh tha aur main cigarette ke kash par kash liye ja raha tha...jab cigarette khatm hui to maine cigarette ko apni ungaliyo ke nakhoon me fasaya aur door rakhe dustbin par nishana lagakar uchhal diya....
"goal..."
"yar,main kabhi Sidar se nahi mila lekin phhir bhi uske baare me sunkar sadma sa laga hai...kuchh karne ki ichchha jaise khatm si ho gayi hai..."badi Mushkil se Varun sirf itna hee bol paya...
"kisi se judne ke liye usase jaan-pahchan jaruri nahi...judav dil se hota hai,surat se nahi..."
"ye sab ekdum achanak se kaise hua...Sidar ki maut kaise hui ?"
"mere khayal se mujhe dheere-dheere karke sab batana chahiye...lekin yadi tu chahta hai ki main direct Sidar ke death point par aaun,to mujhe koyi problem nahi..."
"nahi...dheere-dheere karke bata.."
Maine ghadi me time dekha ,is waqt 10:30 baj rahe the,lekin Nisha ki call ka abhi tak koyi aata-pata nahi tha,isliye maine kahani aage badhayi.....
.
"Sidar bhai,ye aapko baato me fasa raha hai....yaha question ye hai ki Arman aur Arun humare khilaf kyun gaye...jabki maine in dono ko pyar se samjhaya bhi tha ki waha se chale jaye..."Naushad ne apna jaal feka...
ab tak Amar sir ke room ke bahar hostel ke lagbhag sabhi ladke mauzood ho chuke the, jo deewaro,darwajo aur khidkiyo par apne kaan lagakar band darwaje ke peechhe kya ho raha hai...ye sun rahe the...Naushad ke is sawal se main ek baar phhir shikange me fasne laga tha aur mujhe jald se jald kuchh na kuchh karna tha...is waqt Amar sir ka ye room kisi adalat ki tarah tha,jaha judge ke taur par MTL bhai the, Naushad yaha kisi pidit ke taur par tha,jisne mujh par case thoka tha....yaha aur asaliyat ki adalat me farak sirf itna tha ki dono party apni vakalat khud kar rahi thi...matlab ki Naushad mujh par aarop par aarop dekar mujhe mujrim sabit karne par tula hua tha aur main un aarop se bachne ki koshish me khud ki pairavi kar raha tha.....
.
Naushad aur uske dosto ka kahna tha ki maine hostel ki barso se chale aa rahe niyam ko toda hai,jiski saza mujhe milni chahiye aur mera kahna tha ki maine niyam isliye toda kyunki ye us waqt jaroori tha..kyunki koyi bhi niyam ,kanoon kisi ki zindagi se bade nahi hote....
"Sidar bhai,main to bolta hoon ki ,aap yaha se jao aur in dono ko humare hawale kar do...salo ko sab sikha denge..."Naushad ne kaha ,jiske baad uske dosto aur room ke bahar khade hostel ke ladko ne uska samarthan kiya....
"ek minute ,MTL bhai...maine aaj canteen me jo kiya wo sab Naushad aur uske dosto ki bhalayi ke liye kiya....ab aap socho ki ye dono jo karne ja rahe the,uske baad inka kya haal hota...."
"kya hota,koyi kuchh nahi ukhad pata mera "Naushad beech me bola..
"sun be Naushad...jitani der tak ijjat de raha hoon...le le warna abhi NSUI ke laundo ko bulwakar marwa dunga..."uske baad maine Sidar ki taraf dekhkar kaha"MTL bhai, yadi aaj canteen me ye sab apna kaam kar diye hote to bahut lamba case banta, college se nikale jate...saat saal jail me sadte aur to aur ye bhi ho sakta tha ki ye charo kal ka suraj nahi dekh pate kyunki Esha aur Divya ,humare college ki koyi mamuli ladki nahi hai...jinke maa-baap apni duhayi lekar police station me bhagte phhirenge...ek ka baap is shahar ka bahut bada businessman hai to dusare ka baap is shahar ka don...wo dono milkar Naushad aur iske chutiye dosto ko kutte ki maut marte, inka lund kaat dete aur jab kal subah hota to inki lash kisi anath ki tarah sadko par padi rahti....aur phhir nateeja ye hota ki inke gharwalo ko police ke chakkar katne padte..."maine Amar sir ke room ka darwaja khola aur jo-jo log darwaje par kaan lagaye hue the,meri is harkat ke karan wahi gir gaye aur un sabko dekhkar maine kaha"ab tum sab hee batao ki sahi kya hai aur galat...aur rahi hostel ke seniors ki respect ki baat to in charo se puchho ki canteen me maine kya inpar ek bhi baar hath uthaya ? Ye mujhe aur Arun par apni frustation nikalte rahe,hume marte rahe...lekin humne kuchh nahi kaha,yaha tak ki inse maar khane ke baad maine aur Arun ne un dono ladkiyo ke pair pakad kar in charo mahapursho ki harkat par maafi bhi mangi aur unse request bhi ki..ki wo ye baat kisi ko na bataye aur unhone humari baat maan bhi li hai...that's all aur mere khayal se ab kahne aur sunne ko kuchh nahi bacha hai...Am i right MTL bhai..."
.
Phhir kya tha...jaha kuchh der pahle hostel ke ladke mujh par naraj the wo ab mujhse khush the,hostel ke sabhi ladke..included my kamine friends Arun aur Saurabh(jo meri tareef kabhi nahi karte ) bhi meri tareef kar rahe the...hostel ke sabhi lafango ne Naushad aur uske dosto ko chodu,gandu kaha...kuchh ne unke pichhwade par ek do laat bhi mari....
Adalat ka faisala mere paksha me hua aur jab MTL bhai ,raat ko apne ghar ja rahe the to unhone mujhe bulaya...
.
"kafi achchha plan banaya tune..."
"koyi plan nahi banaya Sidar bhai...jo sach tha ,wahi bola..."
"Arman ,apne shabdo ke jaal me kisi aur ko fasana...mujhe pura yakin hai ki tune ye sare equation sirf isliye jode,taki tu un dono ladkiyo ko bacha sake aur phhir baad me khud ko...sabse pahle tu canteen se bahar aaya aur mere khayal se tu confusion me tha ki hostel wale ka sath do ya phhir un dono ladkiyo ka,..uske baad tune Esha ka sath dene ka socha aur undono ko canteen se bahar bhaga diya...tune Naushad aur uske dosto par hath bhi nahi uthaya taki tu mere aur sare hostel walo ke samne apna paksha mazboot kar sake...tune mujhe apne plan me tabhi shamil kar liya tha,jab tu Esha aur Divya ko bachane ke liye canteen me ghusa aur mere khayal se tune un dono ko ye bhi kaha ki wo dono canteen wali baat kisi ko na bataye,jisase ye mamla rafa-dafa ho jaye...aur phhir tune mujhe call kiya kyunki tu janta tha ki hostel wale meri baat manenge aur tu ye bhi janta tha ki main teri hee side lunga...Am i right ,Arman Sir "
"sach to yahi hai lekin mujhe laga nahi tha ki aap sach jaan jaoge..."
"ek baat yaad rakhna Arman ki is hostel me tere ab char dushman ho gaye hai...ye char ,chalis me tabdil na ho jaye...iska khayal rakhna..good night, ab main chalta hoon..."
"main kabhi ye nahi sochta ki mere dushman kitne hai...main hamesha ye sochta hoon ki mere dost kitne hai....yadi ye char,chalis me badal jaye...to main koshish karunga ki mere do dost, 200 me badal jaye...wo kya hai na MTL bhai ki zindagi me jab tak maar-dhad jaisa action,adventure na ho to zindagi jeene me maja nahi aata... good night and take care..."
________________________
 

Jitu kumar

Active Member
1,946
6,495
143
Awesome story bhai,
maine abhi padhna start hi kiya hai,
first update super tha,
ab aage padhne ke baad review deta hoon
 
  • Like
Reactions: The Immortal

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,065
43,019
354
Chapter-32:A Mortal Step.
Update-110
.
Meri nazar ab bhi tik-tik karte deewar par lagi ghadi par atki hui thi...ghadi ka sabse chhota kaanta bas 1 par pahuchane hee wala tha,lekin Nisha ki call ka ab tak koyi nam-o-nishan nahi tha...pahle mujhse baat karne ki bechaini Nisha ko thi lekin ab main bechain hua ja raha tha....main is ummid me abhi tak jaag raha tha ki shayad wo mujhe ab call kare, kyunki ho sakta hai ki use 12 baje tak time na mila ho...ya phhir uske mom-dad uske aas-paas ho....jab meri ye halat hai to na jaane us dayan ka kya haal ho raha hoga...mujhe to aisa lagta hai ki yadi is waqt main uske samne aa jaun to khushi ke mare wo kisi dayan ki tarah mujhe noch dale....
"ab to had ho gayi,2 bajne wala hai aur main ullu ki tarah uske call ka intezaar kar raha hoon...kuchh der me to surya bhagwan bhi apne darshan de denge...."maine ek cigarette jalayi aur balcony par aa gaya....
.
na jaane main kis ummid me Nisha ke ghar ki taraf dekh raha tha,main is waqt pagalo ki tarah sochane bhi laga tha...main is samay ye soch raha tha ki shayad Nisha raat ko mere flat ki taraf aaye....mera dil aur dimag is waqt apni jagah se thoda khisak gaya tha jo main aisi bebuniyaad khayalat apne jehan me la raha tha...maine bahut der tak Nisha ke ghar ki taraf apni nazare gadayi rakhi is soch ke sath ki wo kahi yaha aakar laut na jaye.....
mera dil ab mere dimag par hawi hote ja raha tha...Nisha ke us ek call ki intezaar ne mere sari kshamtao par question mark laga diya tha...mujhe is samay na to raat ke teesara pahar dikh raha tha aur na hee ullu ki tarah jag raha main...mujhe to dikh rahi thi to Sirf Nisha...kabhi-kabhi mujhe Nisha ke ghar ki taraf jane wali gali me kuchh aahat sunayi deti ,mujhe aisa lagta jaise ki Nisha abhi charo taraf faile is andhere se bahar nikal kar prakat ho jayegi....
mere 1400 gm weight wale brain ka ek nuksan yahi tha ki mera dimag had se jyada creative tha...wo aksar chhoti si chhoti aahat ko kisi ka aakar dene par jut jata hai...har kahani ki ek dusari kahani hee banane lag jata hai....jaise ki is waqt ho raha tha aur yadi short me kahe to mera dimag forward ki jagah backward direction me kaam kar raha tha....
.
"ek baar Nisha ke ghar ka round maar kar aata hoon,kya pata wo apne ghar ki chhat me khade hokar mera intezaar kar rahi ho..."isi ke sath ek aur bewkoofi bhari soch mere andar aayi...
"abey pagal hai kya, itni raat ko Nisha apne ghar ki chhat par kya day & night match khel rahi hogi...tu shanti se so ja..."maine khud ka virodh kiya....
"Arman...ek baar dekh kar aane me kya jata hai...waise bhi to tu balcony me khada hokar cigarette hee jala raha hai...jyada soch mat aur chal Nisha ke ghar ke paas chalte hai..."
.
maine peechhe palat kar room ke andar dekha ,Arun aur Varun is samay gahari neend me the...maine jaldi-jaldi cigarette ke char-panch kash liye aur balcony se direct neeche kood gaya aur andhere me hee Nisha ke ghar ki taraf chal pada...Nisha ke ghar se kuchh doori par aakar main ruk gaya aur Nisha ke ghar par ek nazar dali..waise kahne ko to Nisha ka ghar is colony ka sabse bada aur alishan ghar tha...lekin is waqt raat ke andhere me Nisha ka ghar sabse bhayanak lag raha tha,..pure ghar ki lights off thi ,waha roshani ke naam par Nisha ke ghar ka chaukidar jis room me rahta tha,sirf usi room ki light jali hui thi....sabse khubsurat chiz sabse badsurat bhi ho sakti hai ,ye main abhi dekh raha tha isliye maine khud ko yaha aane ke liye kosa aur chup-chap waha se khisak liya...main ab apne flat ki taraf aa raha tha ye sochate hue ki Nisha ke dimag me is waqt aakhir chal kya raha hai aur usase bhi jyada ye ki mere dimag me is waqt kya chal raha hai...kya sochkar main itni raat ko Nisha ke ghar ki taraf gaya ki wo raat ke 3 baje chhat par khade hokar patang uda rahi hogi...uske baad main thik usi raste se flat ke andar ghusa ,jis raste se main bahar aaya tha...andar pahuchne me thoda time laga, mushkile bhi aayi par darwaje ke bahar khade hokar ghanto darwaja peetna aur Varun ko aawaz dene se ye achchha hee tha....maine PC on karke apni email bhi check ki ,lekin Nisha ka koyi mail abhi tak nahi aaya tha....
"kahi uske baap ko maloom to nahi chal gaya ki ,Nisha aur Mera chakkar chal raha hai...yadi aisa hua to phhir mera to uparwala hee malik hai..."
.
Aadhe se adhik raat to maine cigarette peene me beeta di thi aur bacha hua samay bistar par pade-pade karwate badalne me gujar gaya aur subah 6 baje jakar neend lagi lekin 2 ghante baad hee mujhe Arun ne jaga diya....
.
"uth be, 12 baj gaye..."
"kya ? 12 baj gaye...dhat teri ki..."main ekdum se uthkar baithte hue bola aur ghadi par nazar dali"abhi to 8 baje hai be
"
"chal aage bata kya hua..."chay ka ek bada sa cup mere samne rakhte hue Varun bola...
"abhi neend aaying..."bolte hue main wapas bistar par ludhak gaya...
"abey 10 baje mujhe office jana hai...isliye soch raha hoon ki teri bakwas sunta chalu...le pee.."
maine cup uthaya aur juban se lagaya "abey ye to daru hai..."shakal bigadte hue main bola
"usase kya farak padta hai..waise yadi tera man nahi to rahne de..main pee lunga..."
"na munna na...you know that i love daru more than tea....."
.
.
Esha aur Divya par mujhe bharosa nahi tha ki wo dono meri baat manegi aur apna muh band karke rakhegi...isliye mujhe har din thoda sa dar jaroor rahta ki kahi wo canteen wali baat kisi ko bata na de...canteen wale kand ke baad kayi dino tak Divya aur Esha college me nahi dikhi aur apne paas ab itna time bhi nahi hota tha ki unke class ke bahar khade hokar unka intezaar karta rahu....idhar workshop wala fauji hum par goli pe goli fire kiye ja raha tha...uska kahna tha ki har ek shop ki ek alag practical copy banani padegi aur 2 figure frame karwane honge...idhar fauji to udhar third semester ke exam bhi kuchh hafte baad dastak dene wale the....isliye samay ka mano akal sa pad gaya tha...badi mushkil se hum bathroom ko sperm donate kar pate...kyunki practical aur assignment ke panno ne hume sab kuchh lagbhag bhula sa diya tha...kabhi-kabhar aate-jate..Esha se meri mulaqat ho jati thi aur ab wo mujhe dekhkar ignore na karke ek pyari si smile deti thi ,wo bhi Gautam se chhipkar.......
.
Jaisa ki maine pahle bataya ki meri yaddasht bahut tez hai ,main chizo ko utani jaldi nahi bhoolta aur na hee unhe ignore karta hoon aur police station wala case to jab mere class ke launde nahi bhoole to bhala main kaise bhool sakta hoon...main first year ke un dono ladko ko dikhana chahta tha ki main kya hoon aur meri status kya hai....mere khayal se aise situation me duniya me sirf do category ke log hote hai....
pahla wo jo badi se badi baat ko hans kar taal dete hai aur aise behave karte hai..jaise ki kuchh hua hee nahi...jabki kisi ne achchhe se kholkar unki mari hoti hai aur dusare category ke log wo hote hai jo ek boond jaisi chhoti se chhoti baat ko Samundar bana dete hai....
Mere andar ye dono hee khoobiya thi,jinhe main according to situation ,apne sixth sense ki madad se apni is khoobi ka achchhe tarike se istemaal karta tha...maine un dono ko unki us F.I.R. Wali kartoot ke liye ek plan banaya tha aur jaisa ki aksar hota hai...is plan ki khabar sirf mujhe aur mere dimag ko thi...jab mamla ladayi-jhagda ka ho aur mere plan me Sidar shamil na rahe,ye namumkin hee tha...isliye maine apna mobile nikala aur Sidar ka number milaya....
________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,065
43,019
354
Update-111
jab mamla ladayi-jhagde ka ho aur mere plan me Sidar shamil na rahe,ye namumkin hee tha...isliye maine apna mobile nikala aur Sidar ka number milaya....
"good afternoon MTL bhai..."dusari taraf Sidar ke dwara call recieve karte hee main bola...
"mere khayal se tune mujhe good afternoon bolne ke liye to call nahi kiya hai...chal jaldi se kaam bol..."
"un do ladko ko to jante hee hoge,jinhone mujhpar aur Arun par F.I.R. kiya tha..."main seedhe point par aa gaya,kyunki ab lunch khatam hee hone wala tha aur main nahi chahta tha ki workshop wala fauji mujhpar missile dage....
"haan name se janta hoon,..."
"wo dono bahut udd rahe hai,dono ko zameen par lane ka hai "
"abhi mushkil se tu canteen wale case se bacha hai aur ab naya lafda...abey tu shanti se engineering kyun nahi karta..."
"wo kya hai MTL bhai...ki jab do ahankari log takrate hai to aisa dhamaka hote hee rahta hai...undono ko thoda sa hum hostel walo ki power dikhani hai..."
"to isme main kya karu...ladke to teri baat maan hee lenge, sabko sath lejakar un dono ko fod daal...isme problem kya hai..."
"problem ye hai ki mere hostel warden se meri jamti nahi hai aur jitna mujhe maloom hai uske hisab se humara hostel warden aapke dost ki tarah hai..."
"abey seedhe-seedhe bol ki karna kya hai....."
Maine MTL bhai ko kya karna hai,ye bataya aur uske baad apni practical copy aur drawing sheet lekar workshop ki taraf chal pada....
.
"roll number 11...."
"present sir..."bahar se main chillaya"may i come in sir..."
"andar aao aur apne hathiyar nikal kar jung ke liye taiyar ho jao..."
"main taiyar hoon sir..."
"good luck...."uske baad us fauji ne apne hath me rakhi list par nazar dali aur pura dam lagakar cheekha"roll number 12...."
.
"teri halat aisi kyun hai be,tera roll number to mere baad hee aayega..."
"udhar dekh...sala wo fauji aaj goli nahi missile fire kar raha hai...ek ki usne drawing red pen se laal kar di matlab 5 number gaye,...us ladke ka drawing to mujhse thik-thak hee tha,jab uski ye halat hai to mera kya hoga...yahi sochkar main pareshan ho raha hoon...."
"main to bach jaunga "
"kaise...apni drawing sheet dikha to..."
"abey ,tune abhi tak ek chiz notice ki ya nahi..."jab Arun ne meri drawing sheet ki taraf apne hath badhaya to maine uske hath ko rok usase puchha...
"are idhar phhati padi hai aur tu gol-mol sawal kar raha hai..."
"apna fauji har ek bande ko exact 15 minutes tak remand par leta hai,na ek second kam aur na hee ek second adhik...."
"tujhe kaise pata..."
"abki baar jab roll number 10 wala ladka jaye to time dekh lena...uski table par rakhi stop watch tab chalu hoti hai jab koyi student apni file kholkar rakhta hai aur wo 15 minutes tak us student par bomb fodta hai aur phhir bejjati karke bhej deta hai aur phhir baad wale student ko 10 seconds ke andar hee waha pahuchna hai,jiske baad us fauji ki stop watch phhir chalu ho jati hai....."
"ye sab kya us chhote kad wale fauji ne tere apne me aakar kaha "
"roll number 9 tak to wo yahi karta aa raha hai "
"aur yadi uske paas pahuchne me 10 seconds se jyada waqt lag gaya to..."
"to phhir wo us ladke/ladki ki practical copy aur drawing sheet ko chod dega...isliye mardo ki tarah lambe-lambe kadam badhana...warna waha pahuchne se pahle hee chud jayega...samjha...."
.
Thodi der tak Arun shant raha lekin phhir mere paas aakar bola"yar Arman, usne abhi-abhi ek ki writing kharab hone ki vajah se C+ grade diya hai....meri writing to usase bhi kharab hai main kya karu...
,kuchh jugad jama na"
"ek jugad hai..."
"kya..."
"wo jugad kya main tujhe chilla-chilla kar bataunga... kaan idhar la..."
Arun ko jugad batane ke baad main ekdum seedha khada ho gaya ,kyunki agla roll numner mera hee tha.....chutiye the shuru ke 10 students jo drawing sheet ko upar rakh kar le ja rahe the, maine drawing sheet ko sabse neeche rakha aur ab mujhe kaise bhi karke 15 minutes tak bina drawing sheet dikhaye us fauji ke war ko sahna tha...kyunki meri drawing sheet to ekdum safed thi...matlab ki usme koyi drawing hee nahi thi aur yadi wo fauji bhool se bhi mera wo karnama dekh leta to mujh par atomic attack kar deta aur yahi vajah thi ki jab Arun ne meri drwaing sheet dekhne ke liye apna hath aage badhaya to maine uska hath rok diya tha,kyunki main nahi chahta tha ki wo gala phhadkar mujhpar chillaye ki"Arman to ekdum kora kagaj hai... "
.
"roll no. 11...."apni ghadi par 10 seconds ka samay dekhte hue usne mera name pukara...
Aur main 6 second me hee uske paas pahuch gaya....jab fauji meri practical copy dekh raha tha tabhi maine army wala matter chhed diya...jiske baad usne meri practical copy aur drawing sheet ek taraf rakhwa di aur mujhse usi matter par baat karne laga...wo is discussion me itna kho gaya tha ki mujhe ,usko yaad dilana pada ki "lieutenant Sir,15 minutes ho gaye hai "
"roll no. 12...."fauji ne phhir se apni stop watch shuru kar di aur usi waqt Arun ke paas jakar maine dheere se kaha ki ..."Navy ke baare me isase baat kar...lekin pahle practical copy dikha dena,taki use shaq na ho"
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,065
43,019
354
Update-112
Arun ke paas jakar maine dheere se kaha ki..."Navy ke baare me isase baat kar...lekin pahle practical copy dikha dena,taki use shaq na ho"
.
"apun ko to bas thoda hint chahiye tha ,baki dimag to mere paas bhi hai....ab tu dekh is fauji ko kaise chakma deta hoon..."
Arun ne chalte-chalte apni sari practical copy ek hath me aur drawing sheet ko dusare hath se pakad liya aur table par baithe us fauji ke paas jakar bola...
"bharatmata ki jai..."
"jai ho bharatmat ki..."eka ek fauji jaise khushi se jhoom utha aur Arun ki taraf dekhkar bola"mujhe tumhare jaise joshile ladko ki jaroorat hai...khair apni practical copy dikhao"
Arun ne apni practical copy ek ke baad ek dikhani shuru kar di...shuru me jaha fauji Arun se ekdum khush hua tha ,wahi ab Arun ki writing dekhkar uske chehare ka rang badalne laga tha....
"tum jaise joshile jawan ki itni kharab perfomance "afsoos jahir karte hue us fauji ne apna chashma utar kar table par rakh diya....
"hath me goli lag gayi thi sir,warna meri writing ka pure class me kya pure college me koyi shani nahi hai..."
"hath me goli lag gayi thi,matlab..."wapas apna chashma lagate hue fauji ne puchha...
"matlab ki main hostel me gir gaya tha...aur kal raat bhar dard sahte hue jaise-taise kaam complete kiya hai..."
"Excellent, my boy....Excellent...mujhe tumhare jaise joshile ladko ko dekhkar apne din yaad aa jate hai...."
"to ab main chalu..."
"bilkul jao aur number ki parvah mat karna...."
"thank you sir..."
Apna collar upar karte hue Arun mere paas aaya
"beta Arman, shart laga le...workshop me to tujhse jyada number paunga...."
"tune raat bhar mehnat ki ,sara din practical copy ko neeli syahi se bharne me bitaya,...phhir 4 se 5 ghante me tune drawing banaya ,isliye yadi tu 1-2 number adhik pa jata hai to isme kaun si badi baat hai..."
"dekh apni haar maan le..."
"kabhi nahi....bilkul bhi nahi..."
"sale ghamandi..."
"chal...chalkar Saurabh aur Sulabh ko is jung ko jeetane ka upay bata dete hai ,warna wo dono kham kha shahid ho jayenge...."
Jab humara kaam khatam hua to hum dono Saurabh aur Sulabh ki taraf badh gaye, dono ka roll number last me aata tha,isliye is waqt dono aapas me baat-chit karne me magan the
.
"Sulabh ,main tujhe us fauji se bachne ka trick batata hoon...."Sulabh ke samne jakar maine shaan se kaha...
"rahne do Arman Sir, mujhe us fauji se bachne ke liye kisi trick ki jaroorat nahi hai..."
"jab wo pakad kar chodega tab tujhe samajh me aayega,..."
"lund mere paas bhi hai...matlab ki drawing ekdum correct hai,writing meri solid hai, file bhi complete hai aur mujhe sab yaad hai...."
"chal thik hai,tu nikal...Saurabh uncle aapko trick batau ya aapki bhi file complete hai,drawing sahi hai,writing solid hai aur sab kuchh yaad hai..."
"padhne ,likhne se kiska bhala hua hai yar , tu to mujhe trick bata...."
.
"Arun tujhe first year ke wo do ladke yaad hai ,jinhone f.i.r. Kiya tha..."workshop se bahar aane ke baad maine Arun se puchha...
"*** ki chut un dono ki, badi mushkil se bacha tha last time...atma sharir se nikalne hee wali thi ki Sidar ne aakar sab sambhal liya...yaad mat dila wo kand..."
"main un dono ko thokne ka soch raha hoon...."
"kya...."Arun jaha tha wahi rook gaya aur sath me Saurabh aur Sulabh ke bhi pair wahi jam gaye...wo teeno mujhe aise dekh rahe the, jaise ki abhi-abhi maine unhe koyi bahut buri khabar sunayi ho...jispar unhe yakin nahi ho raha tha....
"kya kaha tune..."aage badhte hue Arun ne mujhe ghoora...
"tune kaha ki tu un dono ladko ko thokne wala hai..."abki baar Saurabh ne mujhe ghoora aur aakhir me mere aakhiri dost,Sulabh ne bhi mujhe gusse se ghoora....
.
"har baar Sidar tujhe bacha nahi payega...."Saurabh ne ek mukka marte hue kaha...
"aur main tere is kand me tere sath nahi hoon..."dusara mukka jadte hue Arun bola aur phhir Sulabh se teesara mukka jadte hue kaha"chhodna mat un dono ko...."
"are gazab...jiyo mere laal..."dil kiya ki Sulabh ko pakad kar kiss kar loon,lekin sala wo ladka tha..isliye main wahich par rook gaya
.
Saurabh aur Arun ko manane me bahut dimag khafana pada aur ye main pahle se janta tha ki wo dono mujhe aisa hargiz nahi karne denge aur wo dono kaise manenge...ye mujhe achchhi tarah maloom tha...maine Saurabh se kaha ki main use Vibha mam ki chut dilaunga aur Arun se kaha ki use main Divya ki chut....sorry chut nahi chummi dilaunga...aur wo dono ek second me maan gaye....
"to kya unhe unke hee class me ghuskar marne ka plan hai..."Sulabh apne shirt ki baahe upar uthate hue bola...
"no...aur tu ja..."Saurabh bola"main nahi chahta ki tere jaisa brilliant launda ,humari vajah se mushkilo me pade..."
"tere chahne aur na chahne se kya hota hai... "
"main bhi aisa chahta hoon..."
"aur main bhi yahi chahta hoon ki tu yahi se wapas laut jaye..."
Arun aur mere dwara Saurabh ki baat ka samarthan karne par Sulabh chidh gaya aur hum teeno ko gali dete hue waha se chala gaya....
"lagta hai sala bura maan gaya..."Sulabh ko jate dekh Saurabh ne muskurate hue kaha"lekin mujhe maloom hai ki wo aaj raat phone jaroor karega,ye janne ke liye ki kya hua..."
"bura wo manta hai,jiska bur hota hai...aur hum ladko ke paas bur nahi lund hota hai...
"Arun ne ekdum shanti se ye dialogue mara...jiske baad hum haste-haste hostel ki taraf chale gaye....
.
according to our plan...first year ke un do ladko ko unke hee class ke kuchh ladke...thik usi ground par lane wale the,jaha par Varun aur uski dosto ko humne jam kar thoka tha ya phhir ye kahe ki jaha meri ragging li gayi thi...aur ye wahi jagah thi ,jaha se in sabki shuruat hui thi....jo do ladke ,un do chutiyo ko us ground par late...wo city me hee kiraye ke room lekar rahte the aur is kand ke baad unhe kuchh na ho ,isliye humara sath dene wale city ke un ladko ko hostel me shift kiya ja raha tha....jaha wo safe the....
.
"Arman Sir, wo dono ground par pahuch chuke hai...."Police station me jhoothi gawahi dene wale Rajshri Pandey ne mere room me aakar kaha....jo ki ab apne dost ke sath Sidar ka room chhodkar ,hostel me shift ho gaya tha....
"tum dono chalo...i am coming..."maine Arun aur Saurabh se kaha...
"tu kaha ja raha hai..."
"goggles to le loon...taki ladayi me main hero dikhu,villain nahi
"
_______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,065
43,019
354
Update-113
"goggles to le loon...taki ladayi me main hero dikhu,villain nahi
"
.
Hum par F.I.R. Karne wale ladke jaal me fans chuke the aur wo ground par hostel ke ladko ke beech ghire hue the...hostel se nikalte waqt maine socha tha ki un dono ladko ki chaddi is samay dar ke karan geeli ho rahi hogi aur wo sabse hath jodkar vinti kar rahe honge ki unhe waha se jane diya jaye...lekin jab main ground par pahucha to waha bilkul bhi waisa nahi tha...jaisa ki maine socha tha....first year ke wo dono ladke is waqt apne dosto se,jo ki unhe jhooth bolkar yaha laye the,unse bahas kar rahe the...wo dono waha khade hostel ke 20 ladko ko dhamki de rahe the aur sath me apne dosto ko bhi...Rajshri Pandey ko maine mamle ki jaanch karne ke liye bheja jiske baad Rajshri Pandey,Rajshri chabate hue mere paas aaya aur bola..
"are kuchh nahi,sale akad rahe hai BC, wo to hum sab aapke intezaar me ruke hue the...warna kab ka sale ko khoon se nahla dete...."
"kya bol rahe hai dono..."
"bol rahe hai ki unpe jisne bhi hath uthaya use wo chun-chun kar marenge..."
"to tum logo ne kya socha hai..."maine waha khade sabhi ladko ki taraf dekhkar puchha...
"kuchh bhi ho jaye Arman bhaiya...hum to aaj pelenge..."
"that's the spirit,..."goggles pahne hue main Arun aur Saurabh ke sath undono ke paas gaya aur waha khade sabhi ladko ko door hatne ka ishara kiya...
.
Unke taraf jate hue Maine socha ki ab wo dono ladke atleast mujhe dekhkar to dar hee jayenge aur mujhse maafi bhi magenge...lekin un salo ne is baar bhi mere sixth sense ke imagination ki hatya kar di
"Arman, hum tujhse nahi darte...tu ye yaad se apne dimag me bitha le ki ek din tu bhi yahi apne in lalluo ke sath khada hoga aur main tujhe kutte ki tarah marunga...."gusse se bhari apni laal aankhe dikhate hue un dono me se ek ne kaha...jiske baad hostel ke sabhi ladke aage badhe lekin maine sabko wapas peechhe hatne ke liye kaha....
"main to tujhse dar gaya...mujhe maaf kar de..."uski aankho me aankhe dalkar main bola"waise tune kutta mujhe kaha ya khud ko..."
"tujhe kutta kaha bhadwe sale ,MC"
Ye sunkar Hostel ke ladke aur mere dono dost ,jo us samay mere paas hee the,wo use marne ke liye aage badhe hee the ki maine ek baar phhir se sabko rukne ka ishara kiya...
"chal purani baat chhod aur ye bata,mera goggles kaisa lag raha hai...ekdum smart dikh raha hoon na main..."
"tere chutiye goggles ki tarah tu bhi chutiya dikh raha hai.."
Ye sunkar ek baar phhir sab aage badhe ,jinhe rok kar maine kaha"abey tumhi log mar lo,main yaha kya lawda hilane aaya hoon...peechhe jao sab..."
"are Arman bhaiya...chod do sale ko..."Rajshri Pandey ne Rajshri ka ek aur pouch muh me dalte hue chillaya...
Jiske baad maine us ladke ke sar ke baal ko jor se pakadkar kheencha aur use gol-gol ghumane laga...
"mere goggles ke baare me kuchh nahi bolne ka...sale khud ki shakal to gadhe ki gand jaisi hai aur mujhe bolta hai ki main handsome nahi hoon..."
jab main uske sar ke baal ko pakad kar gol-gol ghuma raha tha to Arun ne ek hockey stick li aur uske peeth par hockey stick se jordar prahar kiya...jiske baad wo ladka cheekh utha...lekin Arun nahi mana aur hockey stick se use pelta raha.....hum dono ko action me dekhkar bhala Saurabh kaise shant rah sakta hai,Saurabh ne dusare ladke ke kaan par ek mukka jada aur zameen par dhakka dekar use laato se marne laga....wo dono ladke is samay hum teeno ki pitayi se sirf cheekh rahe the ,ro nahi rahe the...jabki main chahta tha ki wo dono rote hue humare pair pakad kar humse maafi ki guhar mare...
.
Saurabh dusare ladke ke kabhi muh par to kabhi pet par laat marta aur jab wo ladka peechhe palat jata to Saurabh uske peeth par dhada dhad laat marta,...idhar maine Ek ka bal mazbooti se pakad rakha tha aur Arun apne hath me hockey stick thame uske hath-pair,peeth-pet...tode ja rahe tha....wo dono ladke adhmare se ho gaye the,lekin undono ne sorry abhi tak nahi bola tha....
"BC, teri *** ka lund...mera goggles tod diya tune..."abhi tak maine jiska bal pakad rakha tha uske naak me ek mukka jadte hue kaha aur use zameen par phhek diya....
"tu abhi apne chashme ko chhod aur inki dhunayi kar..."us ladke ke pair par jor se hockey stick marte hue Arun ne kaha....
"lawde,ghar se do books ka paisa magaya tha, uske baad maine books na kharidkar 1351
ka ye goggles kharida aur tu bol raha hai ki..... gand tod de is MC ki,taki sala jab kabhi bhi hagne baithe to ise apni galti ka ahsaas ho..."
"jo hukum mere aaka..."bolte hue Arun ne us ladko ko paltaya aur uske pichhwade par hockey stick se marne laga....
mere goggles ki maut ne mere andar dafan gusse ke jwalamukhi ko bhadka diya tha,maine Arun ko rok kar us ladke ko wapas seedha kiya aur hawa me hath uthakar kaskar ek tamacha uske gaal par mara...jisase mere paancho ungaliyo ka projection uske gaal par ban gaya...uske baad main dusari side gaya aur ek baar phhir se hawa me hath uthakar uske dusare gaal par bhi paancho ungaliyo ke nishan chhap diye...
"hath hata MC..."us ladke ne jab apne dono gaal par hath rakhe to ek laat marte hue maine kaha aur lagatar uske gaal par kaskar thappad marne laga.....
"sorry bol,..."uske muh par ek laat marte hue maine kaha....
"sorry..."dhul aur khoon se sane muh ko kholte hue us ladke ne itna hee kaha.....
.
"Arman,ek ne to sorry bol diya...lekin ye sala nahi maan raha...pata nahi is BC ke andar abhi kitna dam baki hai..."dusare ladke par Saurabh ab bhi laat barsaye pada tha....
"tu hat aur dekh ye ek minute me sorry bolega..."
Saurabh ko maine door hataya aur zameen par lot rahe us ladke ke upar dono pair se ek sath kuda..jiske baad uske muh se khoon aur sorry shabd ek sath nikla....
.
Un dono ko to main thok chuka tha,lekin mujhe ab gam mere goggles ke tootane ka tha
,kyunki iske liye maine do books ki kurbani di thi...undono ko marne ke baad main waha khada hokar apne chashme ke maut ka dukh mana raha tha ki suddenly mujhe ek idea aaya aur main turant peechhe mudkar un dono ladko ka wallet nikal liya...ek ke wallet me 100-100 ki 4 pattiya thi to ek ki wallet me 1000 aur 500 ki pattiya thi.. un dono ke wallet se kul milakar lagbhag 5000
mile,jinme se maine hazar ka ek-ek note apne dono khas dosto ko diya aur hazar ka ek note waha khade hostel ke laundo ki taraf badhakar do hazar apne jeb me rakh liye.....
"chalo...ab sab khisak lo...idhar se.."Arun ne sabko waha se jane ke liye kaha...
Jab hum sab waha se kuchh doori par aa gaye the tabhi mujhe achanak na jaane phhir se gussa aaya aur main zameen par dard se karah rahe un dono ladko ke paas pahuchkar dono ke muh me ek-ek laat jadkar bola"Arman....ye name apne jehan me bitha le aur ek baat mere andar dil aur daya nahi hai...tum dono jab bhi thik hoge,main tum dono ko phhir se marunga aur isi halat me la patkunga....yaad rakhna aaj se tum dono ke do baap hai ,ek baap ko to tum dono jante ho aur dusara baap main hoon"
"aur main teesara baap..."Arun door se hee chillaya....
.
"to ab plan kya hai..."hostel me pahuchkar Arun ne mujhse puchha...
"main soch raha hoon ki 2001 price wala goggles aaj hee mall se le aaun,jo maine last week mall me dekha tha "
_______________________
 
Top