• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance 8TH SEMESTER ! (Completed)

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,210
43,122
354
Update-180
Quote:
"tu Kahi Esha ko to phone nahi kar raha,....wo dekh uske mobile ka screen har thodi der baad lapp-lupp, lapp-lupp ho raha hai...."
.
" kya bola be..."
"samne dekh to...."
"ek second...."maine call disconnect karke phhir se us unknown number par ghanti mari aur Esha ke screen ki light mere mobile se jate hue ring ke sath ,lapp-lupp hona shuru ho gayi....iske baad maine back to back 2-3 call kiye aur jo natiza mere samne aaya use dekhkar main chakkar bhi kha gaya aur bahut khush bhi hua...
main chakkar kyun kha gaya, ye to sabhi jante hai aur main bahut khush kyun hua, mere khayal se ye bhi batane ki jaroorat nahi hai ,lekin jaisa ki ladkiyo par mera bharosha naam-matra ka bhi nahi tha ,isliye mere shaq ki ungali sabse pahle Divya ke taraf gayi.....
"jaroor ye us baboochad R.Divya ki karamat hogi...warna meri Eshu janeman aisa kaise karegi... ,Divya...sali ,dayan...lekin yadi ye kaam Divya ka na hua to....phhir ? "
"beta ,jaroor kuchh lafda hone wala hai...main to shuru se hee kahta tha ki ye ladki kuchh thik nahi...pahle to tune meri baat nahi mani, ab bhugat..."
"tu ye bol to aise raha hai ,jaise tu bada samajhta hai ladkiyo ko...tabhi Divya ne gand dikha di..."
"are ho jata hai kabhi-kabhi...it's okay baby....aur waise bhi maine kam se kam Divya ka doodh to dabaya tune kya dabaya...."
"maine....maine...."sochte hue maine kaha"main aisa -waisa ladka nahi hoon..."
"mera lund hai tu...ab bhi maan ja, warna tu ek din aisa thukega, aisa thukega ki phhir dobara kabhi thukne ke layak nahi rahega...."
"janeman yahi to tum jaise chhote aadmi aur mujh jaise bade aadmi me fark hai ki tum khatro se ghabrate ho aur main khatro se khelta hoon..."
"tum dono ab shant ho jao,warna yahi par juta marunga...lawde ke balo...jab dekho laundiyo ki tarah ek-dusare se bhidte rahte ho..."mujhe aur Arun ko ek-ek ghusa jamakar Saurabh ne shant karaya....
.
Jabse mujhe pata chala tha ki savere-savere mere mobile par call Esha ke hath me pakde mobile se aaya tha tabhi se main us call ke aane ki vajah ko lekar apni theory bana raha tha...jisme ek theory ye bhi shamil thi ki 'Esha ko mujhse pyar ho gaya hai.... '
Waise to mere bahut sare anuman the lekin sahi kaun sa anuman tha iska jawab sirf Esha de sakti thi...lekin auditorium me sabke samne usase is baare me baat karna mujhe kuchh jancha nahi isliye main waha se apne dosto ke sath bahar aaya aur waise bhi ab to anchoring ki practice me sath hee rahna hai ,isliye main jaldbazi kyun karu......
.
humare recess yani lunch ka pura time Principal sir aur Chhatrapal ji kha gaye the aur idhar hum log bina kuchh khaye-piye wapas class me pahuche....humare class me kuchh log aise the jo apne ghar se tiffin late the ,jinme ladke-ladkiya dono shamil the....ab canteen jane ka time nahi tha aur next class badi important bhi thi ,isliye maine unhi kuchh logo par hamla karne ka socha,jo rojana apne sath apna lunch box late the...lekin yaha bhi ek dikkat thi ,wo ye ki laundo ki tiffin humare class me aate tak saaf ho chuki thi ,isliye maine ladkiyo par apna jaal feka...
ladkiya sach me badi bholi hoti hai,unse maine do-char achchhi baate kya kar li, unhone mujhe apna tiffin de diya, ye sochkar ki Arman se unki dosti ho gayi hai .lekin unhe ye pata nahi ki kal se main phhir unhe batti dene lagunga.....
.
har hafte humari spoken english jaise hee ek, do ghante ki class laga karti thi, jiska title tha'Value Education...' last week VE ke class ke time main ghar me baitha rotiya tod raha tha isliye aaj ki VE ki class meri first class thi...
VE ke teacher Chhatrapal Ji the aur laundo ne bataya tha ki VE ki class wo ekdum friendly mood me lete hai....bole to Chhatrapal Singh humare liye ek teacher cum friend the.
.
"yar mujhe aisa kyun lag raha hai ki Chhatrapal Gurudev ne hume kuchh homework diya tha..."apna sar par jor dalte hue Arun bola...
"home work nahi hostel work bol..."
"haan...wahi samajh...."ek baar phhir apne dimag par jor dalte hue Arun ne kaha"mere khayal se koyi 2-3 topic diya tha unhone aur kaha tha ki next class me presentation dena hai..."
"tab to aaj mast bejjati hogi...maine to book khol kar bhi nahi dekha...."Saurabh thoda ghabrate hue bola aur gate ki taraf apni najar daudayi ki Chhatrapal sir aaye ya nahi....
"dar mat...koyi aisa ghisa-pita topic hee milega...kuchh bhi bak dena..."apni baanhe uthate hue main taav me kaha aur isi ke sath Chhatrapal ji ne class me entry mari....
.
"maine kal kuchh topic diya tha...sorry mera matlab last class me maine kuchh topic diya tha , jispar sabko ek-ek karke yaha samne aakar presentation dena hai aur jo-jo first ,second, third aayega...use meri taraf se special prize milega....to shuru karte hai...."puri class ki taraf ek baar dekhkar unhone apni ungali Sulabh par atkayi aur bole"Sulabh aa jao aur iske baad Saurabh tum taiyar rahna..."
.
Sulabh ne ekdum bhadakte hue full english me presentation diya aur wapas lautate waqt ek sher bhi maar diya aur yaha sala mujhe yahi samajh nahi aaya ki topic kya tha
Sulabh ke presentation ke baad Saurabh samne gaya lekin bina kuchh bole...jaise gaya tha,waise hee wapas aa gaya aur yahi kuchh haal Arun ka bhi hua aur ab agli baari meri thi.....
"shuru ho jao...5 minute hai tumhare paas...."Chhatrapal ne meri taraf dekhkar mujhe apna presentation shuru karne ke liye kaha....
"kis topic par presentation dena hai sir..."
"kis topic par presentation de sakte ho..."unhone puchha...
"koyi sa bhi topic de do..."jabarjast confidence ke sath maine kaha...
" 'Ethics in business are just a passing fad ?'...is par shuru ho jao..."
.
"ye kaisa bhayankar topic hai jiska ek word bhi familiar nahi lagta...sale ne pura confidence hee down kar diya..."class me chal rahe fan ki taraf dekhte hue maine bahut socha, english ke words ko tod-marod kar kuchh samajhna chaha lekin mera dimag har baar out of syllabus chilla raha tha...
"sir koyi dusara topic nahi mil sakta kya..."raham bhari aankho se main Chhatrapal ki taraf dekha....
"koyi baat nahi...dusara topic choose kar lo..."
"dusara topic boliye..."
" 'Capitalism is very flawed system but the others are much worse ?'....is par shuru ho jao..."
.
Presentation ka dusara topic sunkar abki mera haal pahle se bhi badtar ho gaya kyunki Chhatrapal Singh dwara pura topic bolne se pahle hee mere 1400 gm ke dimag ne 'Out of syllabus' ki bell baja di aur maine turant na me apni gardan hilayi....
"kya hua ,teesara topic chahiye..."
"yes sir..."
"phhir ye lo teesara topic
'Should the public sector be privatized ' "
"sir, darasal baat ye hai ki main last week ki class me absent tha..."teesere topic ko sunkar maine turant kaha"next class me pakka "
"very good...aise karoge anchoring..."
"aapke topics hee kuchh jyada khatarnak the...mujhe laga ki koyi general sa topic milega...warna main prepared hokar aata..."
"tumhe kya laga ki main yaha facebook vs. Twitter...advantage and disadvantage of facebook....jaise behad hee bakwas topic pe discussion karwaunga...bade bhai, it's value eduction which is related to our economics....is subject ko dhyan se padh lo beta, zindagi sudhar jayegi...chalo jao "
.
Chhatrapal Ji ke shabdo ke teer se ghayal hua main apni jagah par pahucha aur udas hokar baith gaya, lekin jaise-jaise karyakram aage badhta gaya waha mere jaise 10-12 ladke aur nikal gaye...isliye class ke khatm hote tak Chhatrapal singh ke shabd roopi baado ke zakhm bhar gaye aur main khushi-khushi chhutti hone ke baad bahar nikla.....
.
"yar ye autonomous ka matlab to abhi tak pata nahi chala....."college se nikalte waqt Saurabh ne notice board me nazar marte hue kaha aur wahi rook kar Autonomous ka matlab dekhne laga...
" Autonomous ka matlab ab exam ke paper humare hee college me banenge, answer sheet bhi yahi check hogi humare baklund teacher ke hatho...ab chal..."Saurabh ka collar pakad kar maine use kheechte hue kaha"tu ek kaam kar Saurabh...Arun ko lekar chup chap hostel nikal...main teri bhabhi se baat karke aata hoon...."
"to jana , Arun se kyun dar raha hai..."
"abey wo ek number ka jhatu hai,yadi maine use ye baat batayi to bolega ki wo bhi mere sath jayega...isliye usko lekar tum jao, hum thodi der me aao...."
.
Saurabh ekdum gau tha aur aise mauko par wo mere bahut kaam aata tha...us din Saurabh,Arun ko bahla-fuslakar mere bina hostel le gaya...lekin mujhe maloom hai ki Arun ne kam se kam char baar to jaroor puchha hoga ki 'Arman kaha marwa raha hai'
Kya yaraana hai humara
.
Saurabh ko Arun ke sath bhejkar main seedhe parking me pahucha, jaha is waqt bahut bheed thi . Us bheed me mere class ke kayi launde the aur unhi me se maine ek ka mobile lekar Esha ke aane ka intezaar karne laga....
Esha parking place me akele aayi kyunki Divya ke driver ne use parking se bahar hee pick up kar liya tha aur yahi mere liye Esha se baat karne ka ek sunahara mauka tha....Esha ko car ki taraf badhte dekh maine ek baar phhir us unknown number ko apne dost ke mobile se dial kiya...
"hello...kaun..."car se thodi door rook kar Esha ne apne driver ko 5 minute rukne ka ishara kiya aur mujhe boli"who are you..."
"kabhi socha nahi tha ki aap jaisi ijjatdar ladki mujhe savere-savere call karke pareshan karegi..."
"aap kaun..."
"aaj subah hee ki baat hai...yaddasht achchhi ho to flashback me jakar yaad karo ki aaj subah kise phone kiya tha..."
"Arman..."ghabrate hue Esha parking ki bheed me idhar-udhar dekhne lagi aur tabhich maine hawa me apna hath uthkar uska dhyan apni taraf kheencha.....
________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,210
43,122
354
Update-181
Quote:
"Arman..."ghabrate hue Esha parking ki bheed me idhar-udhar dekhne lagi aur tabhich maine hawa me apna hath uthkar uska dhyan apni taraf kheencha.....
.
Mujhe waha parking me door khada dekh Esha ki saanse ruk gayi...uske chehre ka rang apni chori pakade jaane ka karan aur mujhe waha dekh kar apna rang badal raha tha...kisi pal wo mujhe dekhkar hasne ki koshish karti to kisi pal wo ekdum sincere banne ki acting karti thi ,is beech uska mobile uske kaan par aur uski aankhe mujh par constant thi...
Esha ko aise maha vilakshad sithiti me dekhkar maine halki si muskan dekar use relax dilaya ki wo itna na dare...main uski jaan nahi lene wala hoon aur kamaal ki baat hai ki wo mere us muskan ke peechhe ke arth ko samajh gayi....
.
"main waha aaun..."Mobile ke jariye Esha se baat karte hue maine puchha....
"nahi...matlab kyun..haan, aa jao..."hadbadate hue, shabdo ko tod-marod kar wo boli"aa jao..."
"yesss..."andar hee andar main khushi ke mare 5 feet upar kood gaya aur mobile jiska tha,use dekar Esha ki taraf haste-muskurate hue chal diya....
.
mujhe mere nature ke hisab se is waqt bilkul bhi nervous ya hichkichana nahi chahiye tha, lekin mere kadam jaise-jaise Esha ki taraf badh rahe the...waise-waise Esha ki tarah mujhpar bhi sharm ki ek parat baithati ja rahi thi...jabki is waqt kahi se bhi meri galti nahi thi.
Subah call Esha ke mobile se aaya tha,lekin choro ki tarah sharma main raha tha....us waqt meri waisi halat ka exact reason to mujhe nahi maloom lekin mujhe jitna palle pada uske hisab se Esha aur meri mulaqat aaj tak takrar, ladayi,jhagde ke karan hui thi...lekin aaj pahli baar main Esha se bina kisi takrar ,bina kisi ladayi-jhagde ke milne ja raha tha...isiliye aaj, jab college me mere kuchh hee din baki the ,tab main thoda sharma raha tha.
.
Esha ke paas jakar main kuchh der tak chup khada raha aur wo bhi mere paas aane se apne honth bheech rahi thi....
"hi...i am Arman..."
"i know that who are you..."
"toh...main ye kahna chahta tha ki.....kya kahna chahta tha
"Esha ko dekhkar main bola"ek minute rukna...main sochkar batata hoon..."
Mujhe bahut achchhe se maloom tha ki mujhe ,Esha se kya baat karni hai..lekin main is waqt ghabra raha tha ki kahi Esha bura na maan jaye...kyunki Esha ke apne liye aisi situation ka intezaar main pichhale char salo se kar raha tha aur ab jakar jab mere wo Arman pure ho rahe hai to main nahi chahta tha ki mera ek sawal mere Armano ko bikher de....lekin wo call wali baat karni to jaroori thi,warna humari aage baat hee nahi hoti...isliye thoda lajate hue, thoda ghabrate hue ki wo mere is sawal par naraz ya udas na ho jaye maine usase kaha....
"Subah ,tumhare mobile se ek call aaya tha...jisme mere khilaf F.I.R. karne ki baat ki jaa rahi thi..."
"haan...uske liye sorry..."
"sorry bolne ki koyi jaroorat nahi hai...ye sab hansi mazak to chalta rahta hai, main bura nahi manta...tum chaho to raat ko 1 baje bhi mujhe aise dhamki bhare call kar sakti ho...lekin main kuchh aur hee puchhna chahta hoon..."
"puchho..."
"main ye puchhna chahta hoon ki aaj achanak...is tarah mujhe call kaise kar diya...matlab ki....aise mujhe call karke dhamki dene ka khurapati khayal kaise aaya..."
"wo actually mere mami ki ladki aayi hui hai aur aaj subah usi ne aise hee mazak me tumhe call kar diya, phhir jab main college aa rahi thi to usne bataya ki usne subah tumhe call karke dhamki di hai...Sorry Arman..."
"tabhi main sochu ki tumhari aawaz ko kya ho gaya hai...aur sunao, zindagi kaise kat rahi hai..."maine humare beech chal rahi baatchit ko subah wale call se aage badhate hue kaha, is aas me ki Esha ki life ke kuchh recent updates mujhe janne ko mil jayenge...lekin Esha late hone ka bahana karke car me baith gayi...
.
Esha ke waha se jaane ke baad bhi main bahut der tak waha kisi bhatakti atma ki tarah khada hokar Esha ke sath wale pal ko remind karke muskurata raha....lekin tabhich mere 1400 gm ke brain ne mujhse puchha ki"yadi wo call Esha ki mami ki ladki ne kiya tha ,to phhir use mere baare me kaise maloom chala...kyunki koyi bhi insaan kisi dusare insaan ka mobile uthakar yun hee koyi number dial karke mazak nahi karta....iska matlab mujhe call karne wali ladki ko mere baare me maloom tha .ek aur sawal jo mere andar utha wo ye ki itne bhayankar kand ho jaane ke baad bhi Esha ke mobile par mera number kaise save tha aur usne mera number save karke kyun rakha tha...."
"koyi baat nahi beedu...ab to har din ek ghante Esha ke sath riharsal karna hai,wahi puchh liya jayega...Arman, you are so smart "khud ki tareef karte hue main hostel ke andar ghusa aur seedhe warden ke room me jakar aaj raat ke programme ke baare me discuss karne gaya....
.
warden ke room me is waqt 2-3 ladke ghuse hue the ,jo PC me facebook chala raha the...
"kya kar rahe ho be lawdo aur sir kaha hai..."
"Principal sir round par aaye the Arman bhaiya...unhi ko bahar tak chhodne gaye hai..."
"ek baat batao..."waha baithe ladko me se ek ko uthakar main uski chair par baitha aur bola"tum logo ko koyi kaam-dhandha nahi hai kya ,jo jab dekho tab fb me bhide rahte ho...last semester clear hai kya..."
"are aap bhi baitho...chinese ladki se chat kar raha hoon..."
"chinese ladki se "
"hao ,kal hee meri friend bani hai...ektarfa maal hai..."
"photo dikha uski..."apni chair PC ki taraf sarkate hue maine screen par nazar mari...
Maine us ladki ke profile pic dekhi ,laundiya ekdum current thi aur online bhi thi.us waqt jab main us chinese ladki ki photo dekh raha tha tabhi mere juniors me se ek ne uski profile pic me chinese language me kuchh likha...jise kuchh der baad hee us chinese ladki ne like bhi kiya...
"tujhe chinese aati hai kya be "
"are khak chinese aayegi mujhe...main to dhang se Hindi bhi nahi likh pata..wo to main us ladki ke upar wale comment ko copy kiya aur last me Madarchod likh kar post kar diya..."
"dhat teri ki "haste hue maine kaha"matlab tune us ladki ko gali di aur usne tere comment ko like bhi kiya...
"itna hee nahi...kal maine use kaha ki.. kya wo mera lund chusegi...reply in yes or no' , aur jante ho uska kya jawab tha... "
"kya..."
"wo boli 'yes..' iske baad usne bhi mera messege copy karke mujhse puchha ki.. 'kya main uska lund chusunga' ...sali bakchod "
"lage rah..."haste hue main khada hua aur bola"jab sir aa jaye to mujhe aawaz de dena...."
.
Us raat kisi karan vash humara daru programme jama nahi,isliye agle din main ekdum correct time par college pahucha aur bag class me patak kar seedhe auditorium ki taraf bhaga.....
Auditorium me is waqt kuchh 5 ladkiya aur itne hee ladke the...ab jab mujhe apne college ki golden jubilee me anchoring karni thi to ye jaroori tha ki in bakchodo ko laat maarkar bahar karna padega...sath me ye dar bhi tha ki kahi ye hee mujhe disqualify na kar de...un students me se jo mere junior the unhone mujhe 'good moring' wish kiya aur jo students mere hee batch ke the unhone meri taraf dekha tak nahi, siway Esha ke .
Auditorium me is waqt chhatrapal sir ko chhodkar hum sirf 11 hee the,isliye jiska jaha man ho raha tha...wo wahi baith raha tha, maine bhi kuchh der idhar-udhar dekha aur aakhir me himmat karke akeli baithi Esha ke paas jakar chup-chap baith gaya...
"sab aa gaye...to phhir shuru karte hai"stage se neeche utarkar Chhatrapal sir ne sabko ek sath,ek taraf baithne ke liye kaha aur phhir bole"Anchoring kisi bhi function ya show ki jaan hoti hai ,isliye aap me se main jinhe bhi select karunga,unhe apni jaan laga deni hai...kyunki aisa bada function ab is college me ya to 25 saal baad hoga ya 50 saal baad...hume to khush hona chahiye ki hum sab iska hissa bane,isliye is saal ko yadgar banane ka ek behtareen avasar anchoring ke through tum logo ke paas hai...."
Chhatrapal ji kuchh der ke liye ruke aur tab tak hum sab ek taraf, ek sath baith gaye the....apni kuchh der pahle wali jagah chhodte waqt mujhe Chhatrapal sir par bahut gussa aaya tha kyunki main achchha-khasa Esha ke paas baitha tha aur unhone mujhe waha se utha diya tha...
.
"main 6 students ko select karunga,jisme teen ladke aur teen ladkiya rahenge...aur un 6 students ko lekar 2-2 ke 3 group banenge.har group me ek ladka aur ek ladki rahegi...abhi aaj main sabko ek page dunga, jisme Abraham Lincoln ki life ke kuchh pahalu hai...unhe aap sab yaha stage par aakar ek-ek karke bolenge...aur ek baat jo aap sabko apne dimag me bolte waqt bithani hai ki ye auditorium khali nahi ,pura bhara hua aur jitne bhi log yaha mauzood hai...wo sirf aur sirf aapko sunne aaye hai...so let's start with Arman...Arman stage par jao..."
"iski maa ka...main hee pahla ladka dikha tha ise "
.
Apni jagah se uthkar maine Chhatrapal ke hath se wo page liya aur stage par chadh gaya aur ekdum normal flow me jaisa ki mera style tha, apni normal aawaz me bola....aur Chhatrapal sir ke diye gaye pure ke pure text ko maine voice me convert karke apni jagah par wapas baith gaya....
.
Apna kaam karne ke baad main ye manne laga tha ki mera selection to pakka hai,lekin jab sabne us page ko padha tab us ek ghante ke khatam hote-hote tak meri ye dharna galat sabit hui kyunki waha ek se badhkar ek the...
.
"ab aap sab apni class me jao, kal phhir se milenge...aur ek baat , jab golden jubilee ka function hoga to uske starting me kisi ko bahut hee lambi speech deni padegi,wo bhi bina dekhe...jiska topic main tum logo ko de dunga....to koyi taiyar hai uske liye..."
Waha bhale hee mujhse kabil launde baithe the ,jo stage par jakar mujhse achchha bol lete the...lekin unme waqt-bewaqt dialogue thokne ki kabiliyat jara si bhi nahi thi aur jab Chhatrapal ke us speech wale plan par kisi ne apna hath khada nahi kiya to maine is mauke ko bhunana chaha kyunki ye Chhatrapal par apna impression dalne ka ek solid mauka tha...
.
"main taiyar hoon ,sir..."bolte hue maine pahle apna hath khada kiya aur phhir khud khada ho gaya...
"sure...kyunki college ke dino me aisa hee kuchh karte waqt main beech me atak gaya tha...soch lo.."
"101 % sure hoon...aur aap befikar rahiye main beech me kahi bhi nahi rukunga..."
"yahi confidence maine tumhara kal VE ki class me dekha tha...lekin baad me hua kya tum bakhoobi jante hai. Maine tumhare baare me bahut-kuchh suna hai jisase main is nishkars par pahuchta hoon ki aap khud ko bahut special mante ho..."
"ye Chhetru, har waqt meri lene me kyun laga rahta hai..."Chhatrapal sir ki baate jab mujhe kaante ki tarah chubhi to maine khud se kaha aur phhir wo kaanta nikalkar seedhe Chhetrapal ke seene me ghusate hue bola"Sir, darasal baat ye hai ki log aapko special tabhi mante hai ,jab aap koyi aisa kaam kar dete ho..jo wo nahi kar pate...chalta hoon sir, topic aapse class me le lunga, have a nice day "
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,210
43,122
354
Update-182
Quote:
"Sir, darasal baat ye hai ki log aapko special tabhi mante hai ,jab aap koyi aisa kaam kar dete ho..jo wo nahi kar pate...chalta hoon sir, topic aapse class me le lunga, have a nice day "
.
Chhatrapal ko apna attitude dikha kar main Auditorium se nikla aur class ki taraf badha....
Maine Chhatrapal ko aakhir me jo jawab diya ,use sunkar Chhatrapal ji muskuraye to jaroor lekin khunnas me....Chhatrapal ke prati mere is ravaiye se waha mauzood sabhi students mujhe aise dekhne lage jaise wo bahut dino se bhookhe ho aur main unka khana hoon....lekin kisi ne ek lafz bhi mujhse nahi kaha, kyunki wo jante the ki Arman ko chhedne ka matlab khud ko ghayal karna hai....
Auditorium se bahar nikal kar jab main apni class ki taraf aa raha tha tabhi mujhe iska andaaza ho gaya tha Chhetru se maine audi. me akad kar jo baat ki uski khabar bahut jald pure college me fail jayegi aur us khabar ko sunne ke baad ye bhi ho sakta tha ki mujhse jalne walo ki list me Chhatrapal ke kayi die hard fan bhi jud jayenge....kyunki Chhatrapal Sir, humare college ke most loving teacher the aur meri tarah unki bhi ek lambi-chaudi fan following thi
.
Jab main class pahucha tab tak dusara period chalu ho chuka tha isliye maine andar aane ki permission mangi....
"kaha gaye the..."
"Anchoring ki practice karne Auditorium me gaya tha..."
"sach, jhooth to nahi bol rahe..."Power Plant subject ke teacher ne mujhpar apna khauff plant karne ki koshish karte hue bole"main Chhatrapal ji se class ke baad puchhunga aur yadi unhone mana kiya to tumhari khair nahi...come in..."
"Bakchod, MC...lawde ka baal..."badbadate hue main class ke andar aaya hee tha ki Power Plant Engg. wale sir ne mujhe phhir roka...
"kya kaha tumne...huh"
"kuchh nahi...thanks kaha aapko...thank you sir..."
"ok..ok..jao apni jagah par baitho..."
.
Main jakar apni jagah par virajmaan ho gaya aur hamesha ki tarah aaj bhi Arun mere side,Saurabh...Arun ke side me aur Sulabh...Saurabh ke side me baitha hua tha....Is waqt meri izzat mere dosto ki nazar me achanak hee badh gayi thi aur wo charo mujhe aise dekh rahe the jaise main border par badi hee ghamasan ladayi ladkar aaya hoon....
"kya hua aaj..."PPE ke sir,jab kuchh likhne ke liye deewar ki taraf mude to Arun ne puchha...
"kaha kya hua..."
"abey wahi...Auditorium me kya hua..."
"kuchh khas nahi hua...jab waha pahucha to chhetru ne ek panna hath me thama diya aur bola ki stage me jakar bako....usne ye bhi kaha ki Auditorium pura bhara pada hai hume aisa imagination karna hoga...sala kya bakwas trick hai...ekdum flop :"
"phhir..."
"phhir kya...bak diya sab kuchh. "
.
PPE wale sir board me ek lamba-chauda diagram bana rahe the,jiske chalte unka agwada board ki taraf tha aur idhar hum dono pure waqt baat karte rahe .
Recess ke waqt hum log class se bahar aa rahe the ki kal jis ladki ka tiffin maine khaya tha usne mujhe aawaz dekar kaha ki "main ,uske sath uska tiffin share kar sakta hoon" lekin us ladki ka chehra dekhkar mera pet bina khaye hee bhar gaya....kal ki baat kuchh aur thi,jo maine uske sath usi ki jagah par baithkar uska lunch share kiya tha.
"mujhe bhookh nahi hai aur meri tabiyat bhi kuchh thik nahi lag rahi...isliye tum akele thoos lo,mera matlab akele kha lo..."
"kya hua...bukhar hai kya.."
"nahi cancer hai... "(apne kaam se kaam rakh be )
Us ladki se bhookh na hone ka bahana karke main class se bahar nikla to paya ki mere dost mujhe akele chhodkar canteen chale gaye the...bakchod kahi ke .khair koyi baat nahi, hota hai kabhi-kabhi...isme bura manne wali kaun si baat hai...
khud ko control karte hue main bhi canteen ki taraf badha ye sochkar ki aaj to pel ke khaunga kyunki aaj to canteen ka sara saman mere liye free tha....
Canteen ke andar ghuskar maine Arun aur baki sab kaha baithe hai ,ye dekhne ke liye sabse pahle aankho se puri canteen chhan mari...lekin wo sab kahi nahi dikhe...
"ye log kidhar kat liye ,aaye to idhar hee the..."hairan-pareshan hote hue maine socha aur jakar ek aisi table ki taraf badha...jo ekdum khali tha .Waha baithkar maine Canteen wale ko char samose, ek full plate chow mein, ek egg roll ke sath aadha liter wala ek cold drink mangaya aur ye sochte hue main khushi-khushi khane laga ki in sabka bill mujhe nahi dena padega....
is beech waha Esha bhi apne friends ke sath aayi.Esha ko dekhkar mera dil kiya ki main abhich aadhe liter wale cold drink ki bottle lekar apni jagah se uthu aur uski friends ko waha se bhagakar Esha ke samne wali chair par baith jaun aur hum dono ek hee cold drink me do straw daalkar ek sath puri bottle khali kar de....how romantic : lekin main ye nahi kar paya kyunki waha Esha ke sath R.Divya bhi virajmaan thi....kul milakar kahe to meri love story se Gautam ke chale jaane ke baad ye R.Divya hee ekmatra kaanta tha jo mujhe Esha ke karib aane se rok raha tha....
Jab maine sab kuchh kha-peekar khatam kar diya to maine ek dakar li aur canteen ke counter par baithe hue aadmi ko hath dikhaya ,jiske jawab me counter wale ne bhi hath dikhaya.jiska matlab tha ki mera bill pay ho gaya hai....iske baad maine time dekha.
"lunch khatam hone me abhi bhi aadha ghanta baki hai, tab tak kya pakad kar hilau...sale ye log bhi kaha mar gaye..."Canteen ke gate ki taraf dekhte hue maine kaha...
waha khali baithkar maine 10 minute aur khud ko bore kiya aur mauka milte hee aankhe churakar Esha ko dekh leta tha....meri isi luka-chhipi ke khel me meri nazar kal wali ladki par padi,jiska name Aradhna tha.....
"kyun na 20 minute isi ke sath bitaya jaye..."Aradhna ko dekhkar maine ek pal ke liye socha aur phhir dusare hee pal Aradhna ke paas gaya. waha Aradhna ke sath do ladkiya aur bhi thi...jo mere is tarah achanak se waha aa jaane par thoda ghabra gayi....
"aap logo ko bura na lage to kya main inse 2 minute baat kar sakta hoon..."sharifo wali style me maine Aradhna ki dono friends se kaha...
"who are you ,huuuu...aur kya baat karni hai tumhe...huuu"waha Aradhna ke sath baithi dono ladkiyo me se ek ne mujhse aise puchha jaise unka senior main nahi ,balki wo meri senior hai....
"tum mujhe nahi janti... "
"wahi to puchha ,who are you...huuu...aur tum kya koyi superstar ho jo main tumhe janungi...huuu"
" tu pahle apna ye huu-puu band kar warna yahich par tera sara huu-puu nikal dunga...chashmish kahi ki..."
"are ajeeb gunda gardi hai...."
"oye chal uth yaha, dimag kharab mat kar...bahut ho gaya ye tera huu-puu...ab yadi tune ek shabd bhi aage kaha to....."
"tum dono jao na yaha se, kyun senior se jubaan lada rahi ho...main inhe janti hoon ye bahut achchhe hai..."main apni baat puri karta usase pahle hee Aradhna bol padi....
"ooohhhh ,to ye humare senior hai...tujhe pahle batana tha na ye...bewkoof kahi ki..."Aradhna par bhadakte hue us chashmish ne mujhe sorry kaha aur phhir apni dusari chashmish dost ko lekar waha se uthkar dusare table par chali gayi....
.
"hi, Sir..."mere waha baithte hee Aradhna ne bade pyar se kaha....
aur sach kahu to ye sunkar mujhe ek pal ke liye rona aa gaya kyunki ye pahli baar tha,jab kisi ladki ne mujhse itne pyar se baat ki thi warna aaj tak mere college ki lagbhag sabhi ladkiyo ne mujhe facebook me block maar ke rakha hua hai....
"any problem sir..."mujhe apni taraf ektak dekhta hua pakar Aradhna ne puchha...
"koyi problem nahi hai aur ye tu mujhe sir mat bola kar..."
"kyun Sir..."
"kyunki Sir, word sunkar mujhe aisa lagta hai jaise meri umra 35 + ho..."
"ok sir..."
"bola na, sir mat bol... "
"thik hai sir..."
"phhir boli tu...ek baar me samajh nahi aata kya..."
"thik hai ,ab nahi bolti...to phhir aapko bhaiya bolu..."
"bhaiya.... , ek baat batao ,tum ladkiyo ko bhaiya bolne ki itni jaldi kya rahti hai aur khabardar jo mujhe bhaiya bola to...."
"to phhir kya aapko ,aapka name lekar pukaru..."
"bilkul nahi....aur sun..."Uski taraf thoda jhukte hue maine kaha ,lekin wo meri taraf jhukne ke bajay wapas aur peeche ho gayi...
"ye aap kya kar rahe ho..."
"iski maa ka....abey main tujhe kiss nahi kar raha,balki kuchh kahna chahta hoon...isliye apna kaan idhar la..."
"par kyun..."
"are aana paas..."maine jor dete hue kaha.
Mere itna adhik jor dene par Aradhna thoda sa mere najdeek aayi tab maine usase kaha...
"wo mere peechhe ek ladki green colour ki dress pahne hue baithi hai... dikhi tujhe.."
"kaun...Esha mam.."
"haan wahi...tu kaisi janti hai use..."
"kal mulaqat hui thi unse...tabhi unse jaan-pahachan hui thi..."
"chal thik hai,ab ye bata ki wo kidhar dekh rahi hai..."
"wo to apne mobile me dekh rahi hai..."
" ,chal koyi baat nahi..chalta hoon...thanks"udas hote hue maine usase kaha aur waha se uthne ke liye taiyar hee hua tha ki Aradhna ne mujhe pakad kar wapas baitha liya....
.
Aradhna ki ye harqat mujhe kuchh odd si lagi kyunki jaha kuchh der pahle mere samne uski jubaan dhang se nahi khul rahi thi ,wahi ab eka ek usne mera hath pakda aur baithne ke liye kaha....
"kya hua "
"wo kal wale ladke canteen me aaye hai...mujhe unse dar lagta hai..."
"dar mat,mera name bata dena..."
"matlab ? Main kuchh samjhi nahi..."
"itna hee samajhti to phhir ladki hee kyun hoti...unse bol dena ki tu meri girl friend hai...phhir wo tujhe kuchh nahi karenge...aur sun..."phhir se Aradhna ke karib jakar maine kaha"aur jab tu unhe ye batayegi ki tu meri girl friend hai to ye dekhna ki teri us Esha mam ka reaction kya hota hai... ab chalta hoon,bye"
__________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,210
43,122
354
Chapter-47: Two Suspicion
Update-183
Quote:
"aur jab tu unhe ye batayegi ki tu meri girl friend hai to ye dekhna ki teri us Esha mam ka reaction kya hota hai... ab chalta hoon,bye"
.
Auditorium me maine bhale hee chhatru ke samne lambi-lambi haank di thi lekin Recess ke baad main chhatru ko diye gaye apne hee challenge se ghabrane laga tha...aur jaise-jaise Chhatru ka period aa raha tha, meri halat aur bhi khasta ho rahi thi...
Chhatrapal sir hume do subject padhate the ,pahla subject tha 'Value Education' ,jisme har hafte unki sirf ek class rahti thi aur dusara subject tha Engineering economic ,jisme wo hafte bhar me 5 baar apne darshan de dete the...ek to Chhatru khud boring tha ,upar se uske dono boring subject....unke period lene ke baad pure class ki halat aisi ho jati thi ,jaise ki sab abhi-abhi apne sharir ka aadha blood donate karke aaye ho....bole to thakan me ekdum doobe hue.
Engineering Economic ka aaj second last period tha aur main chah raha tha ki Chhatru apni class lene na aaye,warna wo mujhe topic dekar ,kal tak yaad karne ko kahega...
"aur uchak...Auditorium me to bade shaan se bol raha tha ki ,sir class me topic de dena...ab kya hua..."jaise hee EE ka period shuru hua, maine socha"ek kaam karta hoon, Sir ko class ke baad khopche me le jakar bol dunga ki sir, ye sab mere se nahi hoga...aap kisi aur ko dekh lo....lekin phhir to ghor bezzati hogi...kaha phans gaya yar..."
.
Aur phhir Us din Chhatru ke class me na aane ki meri request ko bhagwan ne accept kar liya ,kyunki Chhatru us din apni class lene nahi aaya....Chhatru ke class me na aane se use chahne wale jaha dukhi the,wahi kuchh log mere jaise bhi the ,jinhe atyant prassanta hui thi...lekin sabse jyada khush to main tha...
.
Ab jab Chhatrapal sir ji ne class bunk kiya to mera sara dar door hua aur main Esha par pure man se concentrate karne laga..tab mere saamne kal wale sawal phhir se paida ho gaye ,jinhe maine kal parking me Esha ke jaane ke baad socha tha....
.
"itna chup kyun hai be, kahi chaddi geeli to nahi kar di tune..."meri tapasya me rukavat dalte hue Arun ne khali class me mere itna chup rahne ka karan puchha....
"ab yadi ise kahunga ki bas aiwen hee...to ye lawda dimag chat jayega aur phhir mujhe chain se baithne nahi dega..."Arun ki taraf dekhte hue maine kaha"main soch raha tha ki 'Why is the Earth an ellipsoid'...isliye please chup rah... "
.
Arun ko chup karakar main wapas apni tapasya me leen ho gaya aur Esha ki ajeeb harqato ka smaran karne laga....lekin mujhe koyi aisa dhang ka jawab nahi mila,jo mere andar uthe mere un do sawalo ka jawab deti ho....lekin maine haar nahi mani aur ek baar phhir se apni sadhna me leen ho gaya....
.
"abey itna mat soch...google me dekh le ki Earth ellipsoid kyun hai..."
"thanks...ab chup rah..."
"yar tujhse ek baat kahni thi..."
"sun raha hoon bol..."
"pahle meri taraf to dekh..."mera thobda pakad kar Arun ne apni taraf ghumaya aur bola"main aajkal kuchh jyada hee sperm donate kar raha hoon....koyi tareeka hai kya ,jisase main apni is donation me katauti kar saku..."
Arun ne jab mera thobda apni taraf ghumaya tabhich mera dil kiya ki ghuma ke ek hath use jad du aur uska thobda bigad doon...lekin phhir maine khud par control kiya aur uspar bhadakte hue bola...
"ise rokne ka sirf ek hee tareeka hai, tu apna lund kaat de...aur mujhe ab disturb mat karna ,warna ye kaam main khud kar dunga..."
.
Arun iske baad kuchh nahi bola ,yaha tak ki usne mujhe phhir mudkar dekha bhi nahi...jiska fayda mujhe ye hua ki main bade itminaan se apna jawab dhoondane me laga raha...lekin mujhe door-door tak jawab nahi mila....tab maine socha ki aaj phhir Parking me Esha se milte hai, jisme Divya ka ,Esha ke sath na hona...condition apply hoga....
kal ki tarah maine aaj bhi College ke off hote hee Saurabh ko pataya taki wo kuchh bahana maarkar Arun ko apne sath le ja sake aur aaj mera bahana bana 'Chhatru ke sath important talking '
Arun aur Saurabh to kal ki tarah hostel chale gaye lekin R.Divya kal ki tarah aaj pahle nahi nikli....aaj dono sath me hee apne ghar ke liye ravana hue,jisase college ke baad Esha se parking me baat karne ke mere plan ne wahi dam tod diya....
" maa di ladali Divya ,lawdi jab dekho tab beech me apni gand fasati rahti hai...randi ,chhinar kahi ki...ye mar kyun nahi jati, MC...ek din in dono bhai bahno ka Qutl mere hatho jaroor hoga..."Divya ke tareefo ke pul badhte hue main hostel chala gaya....
.
Anchoring me participate karne ka ek bada fayda mujhe hua tha,wo ye ki ab raat ko main limit me daru peene laga tha, taki subah main nashe me sota na rahu...kyunki Anchoring ki practice har din first period ke time hee hoti thi...
har din Auditorium me chhatru ,hume Abraham Lincoln ke jeewan ke wahi panne roj pakda deta aur stage par ek-ek karke sabse bulwata tha...jab kayi din tak aise hee beet gaye to mujhe Chhatru ke anchoring ke is method se nafrat hone lagi, lekin main chhatru ko kabhi kuchh bol nahi paya...main stage par jata zaroor tha lekin Chhatrapal ke prati ek khunnas me sab kuchh bolta tha....Yadi Chhatrapal ko mujhe neecha dikhane ka koyi ek mauka milta to wo us ek mauke ko do mauko me tabdil karke mujhpar war karta aur main....mujhe to jante hee hoge ,main bhi uspar apne dialogues ki firing karta tha...
.
Pichhale kuchh dino se Aradhna bhi Auditorium me practice karne ke liye aane lagi thi...wo is college me aur hum sabke ke beech nayi thi...isliye wo shuru me thoda-thoda ghabrati thi lekin phhir baad me usne apne andar bahut had tak sudhar la liya tha....Auditorium me mere aur Aradhna ke beech bahut baatein hoti, wo dheere-dheere mujhse khulti ja rahi thi aur beech-beech me jab uska mujhe chidhane ka man hota to mujhe 'Arman Sir' kahkar bulati...
.
Jaha kal ki aayi laundi ,Aradhna mujhse dheere-dheere khul rahi thi,wahi Esha ab bhi mujhse baat karne me katrati thi...wo mujhse jab bhi baat karti to uske andar ek ghabrahat hamesha rahti thi....
waise to main pichhale hafte hee Esha se baat karne ki soch raha tha ,lekin abhi tak ain waqt aane par talne ke karan abhi tak Esha se baat nahi kar paya tha, isliye maine socha ki aaj Esha se apne un do sawalo ka jawab maang hee loon....
Mera pahla sawal ye tha ki 'Esha ne mera no. apne mobile par kyun save karke rakha hua hai...' aur dusara sawal ye ki ' Esha ki mami ki ladki ko mere baare me pata kaise chala'
___________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,210
43,122
354
Update-184
Quote:
Mera pahla sawal ye tha ki 'Esha ne mera no. apne mobile par kyun save karke rakha hua hai...' aur dusara sawal ye ki ' Esha ki mami ki ladki ko mere baare me pata kaise chala'
.
Waise mere ye dono sawal jyada ahmiyat to nahi rakhte the lekin inhi do sawalo ke karan mujhe ek aas dikhayi de rahi thi ki Shayad... Esha ke left side me main bhi hoon. mere ye dono suspect bhale hee mere ummid ke mutabiq mujhe parinam na de lekin mujhe koshish to karni hee thi kyunki mera personally aisa manna hai ki zindagi ke safar me success wahi hota hai ,jo ghane andhere me bhi ek chingari ki buniyaad par us andhere ko door kar de, na ki wo jo us bhayankar andhere se darkar laut jaye...
.
Auditorium me main aaj 10 minute pahle hee pahucha.us waqt waha Chhatrapal Sir ko chhodkar sabhi aa chuke the yani ki 10 minute pahle aane par bhi main har din ki tarah aaj bhi late tha....
"hi...good morning."Esha ke side wali seat par baithkar maine kaha...
"hii..."
"tum log yaha itna pahle aakar kya karte ho...kahi aisa to nahi ki tumlog raat ko ghar jaate hee nahi..."
"tumhara kya matlab ki main raat ko yaha ruki thi..."mujhse bahas karne ke mood me Esha boli...
"kuchh nahi yar, mazak kar raha tha..."bahas shuru hoti ,usase pahle hee bahas ko khatm karte hue maine kaha...
"mujhe mazak bilkul bhi pasand nahi..."
"mujhe bhi mazak nahi pasand...waise mera ek sawal hai..." agal-bagal dekhte hue pahle maine ye confirm kiya ki humari baat koyi sun to nahi raha aur jab ye confirm ho gaya to maine dheere se kaha..."tumhare mobile me mera number kyun hai.."
"tumhara number kyun hai ka kya matlab "apni aankhe badi-badi karte hue Esha ne ulta mujhse hee sawal kiya....
"darasal main ye puchhana chahta hoon ki...hum dono ke beech ek samay kafi ghamasan takrar hui thi aur ek ladki ko jaha tak main janta hoon uske according tumhare paas mera number nahi hona chahiye..."
"tumhara no. mere mobile me us ghamasan ladayi ke pahle se hee save tha...aur mujhe yaad bhi nahi raha ki tumhara no. mere mobile me save hai,wo to us din Devika ne na jaane kaha se tumhe call kar diya...that's all "
"ye Devika kaun ? "
"Devika meri mami ki ladki hai ,jisne tumhe call karke dhamki di thi...."
"aisa kya....khamkha main kuchh aur samajh baitha tha , lekin phhir yaha ek aur sawal paida hota hai ki tumne mera no. pahle kyun save kiya tha...matlab ki jab main apne mobile par kisi ka no. save karta hoon to kuchh sochkar hee karta hoon...tumne kya socha tha "Esha ko lapete me lete hue maine usi ke jawab me usi ko phansa diya...khud ko bahut hoshiyar samajh reli thi
"tumhara maine kyun save kiya tha.. ."Stage ki taraf Esha dekhkar sochane lagi...aur main idhar apni chalaki par khud ko shabashi de raha tha....
"mujhe yaad nahi..."
"ye to koyi jawab nahi hua..."
"ab mujhe yaad nahi to kya karu...waise bhi tum kitni purani baat puchh rahe ho aur main bhool gayi ki maine tumhara number kyun apne mobile me save kiya tha..."
.
bol le jhooth, billi....mere pahle suspect ko charo taraf se dharashayi karne ke baad main Esha par apne dusare sawal ka prahar karta ,usase pahle maine Esha se kaha"ek aur sawal hai mera...dil pe to nahi logi.."
"yadi tumhara dusara sawal bhi pahle wale ki tarah wahiyat raha to behtar hee rahega ki mat puchho...kyunki main ab koyi jawab nahi dene wali..."
"thik hai....main ab ye puchhna chahta hoon ki tumhari mami ki ladki Devika ko mere baare me kaise pata chala,jiske baad usne mujhe call kiya..."
"maine pahle hee kaha tha ki usne shararat karne ke liye mera mobile uthaya aur achanak hee tumhare no. par call kar diya..."
"Devika ki age kya hogi..."
"kyaaaa...."
"age...matlab umra, devika ki umra kitni hogi..."
"20 , lekin tum ye kyun puchh rahe ho.."
"wo baad me bataunga...pahle ye batao ki kya wo psycho hai ya phhir thodi si satki hui hai...."
"wo meri cousin hai ,jara dhang se uske baare me baat karo...ye satki hui ka kya matlab hota hai..."
"sorry...par tumhe ajeeb nahi lagta ki ek 20 saal ki padhi-likhi ladki ,jise koyi dimagi beemari nahi hai...wo tumhare mobile se aise hee kisi ka no. dial kar deti hai aur phhir baad me tumhe apni us kartoot ki jaankari bhi de deti hai...ye baat kahi se hazam nahi hoti Esha...sach batao..."
"mujhse ab baat mat karna...."waha se uthkar Esha jate hue boli...
"jiska dar tha, wahi hua....ye to bura maan gayi..."waha par chup-chap baithkar main Esha ko waha se jate hue dekhta raha.
mere pahle sawal ka jo jawab Esha ne diya tha, mujhe uske us jawab par bhi shaq tha...lekin ab to wo baat karne ko bhi taiyar nahi thi. Lekin aaj main thaan ke hee aaya tha ki apne ye dono sandeh door karke hee rahunga, isliye main apni jagah se uthkar Esha ke daye taraf phhir se baith gaya....
"tu to bhadak gayi,isiliye main tujhe billi kahta hoon...aur sun jyada gussa hone ki jaroorat nahi hai,warna abhich apun pure college me ye baat faila dega ki tune mujhe subah call karke black mail kiya...black mail matlab mai apni taraf se koyi bhi kahani jod dunga aur tu to janti hee hai ki main kahani banane me kitna mahir hoon...isliye Esha ji aapse namra nivedan hai ki aap mujhe mere dusare prashn ka spasht uttar de...."
"tum mujhe dhamki dene ki koshish kar rahe ho...."apni aawaz tez karte hue Esha boli...
"main dhamki dene ki koshish nahi kar raha...main to dhamki de raha hoon aur aawaz thoda neeche rakho, warna shuruat yahi se ho jayegi..."
.
Auditorium me baithe sabhi students jab humari taraf hee dekhne lage to Esha ka mujhpar ufan marta hua gussa thoda thanda hua aur wo apne daant chabate hue dheere se boli...
"college khatm hone ke baad parking me milna ,abhi Chhatrapal sir auditorium me aa gaye hai, samjhe...."
"is chhatru ki to...."main peechhe palta to dekha ki Chhatru apni kalayi me bandhi ghadi me time dekhte hue samne stage ki taraf aa raha tha....
.
Chhatrapal ji har din ki tarah aaj bhi samne khade ho gaye aur sabse wahi karwaya ,jo pichhale ek hafte se ho raha tha...pahle-pahal to maine Chhatrapal ke dwara ek page pakda kar mic me bulwane ki technique par maine kuchh khas gaur nahi kiya...lekin baad me maine dhyan dena shuru kiya aur jo baat mujhe pata chali wo ye ki Chhatru humari practice ke pahle din se hee selection karne laga tha....
Chhatrapal sir speech ke dauran ekdum samne wali row par baith jate aur samne wali ki tone ,bolne ki style aur interest par gaur karte the. Sabhi students practice ke pahle din se hee us din ka intezaar kar rahe the ki kab Chhatrapal sir unme se 6 ko select kare aur 2-2 ki team bana kar 3 group banaye aur wo apni final practice shuru kar sake....lekin jaisa mera manna tha uske anusar wo 6 log to aaj se 2-3 pahle hee select ho chuke the.....jiski jaankari sirf aur sirf chhatru ko thi....
.
Iski bhanak mujhe tab lagi jab Chhatrapal sir daily humse Abraham Lincoln ki jeewani hume stage me bulakar padhwate the .kyunki na to Lincoln ji ke upar hume koyi essay likhna tha aur na hee golden jubilee ke mauke par Lincoln ji ka koyi topic tha....actually Chhatrapal in 7 dino me ye observe kar raha tha ki kis students ka interest kitna hai aur yadi meri soch sahi hai to wo unhi students ko select karega jinhone pure hafte full interest ke sath apni speech di ho....
Main Chhatrapal ke is trick ko bhaanp gaya tha ya phhir dusare shabdo me kahu to aisi hee same to same trick mere school me bhi mere teacher apply karte the aur yadi teesare shabdo me kahu to ' Anchoring karne ka ye mahafamous tareeka hai' jo har us bande ko maloom hoga ,jisne google me thodi si mehnat ki hogi.....
.
Aradhna ko count karke ab total 12 students ho gaye the,jinme se 6 ko select karna tha aur 6 ko Auditorium se bahar ka rasta dikhana tha...kuchh ladke jo khud ko oversmart dikhate the wo pichhale ek-do dino se Lincoln ji ke baare me bolte waqt jamhayi le lete the to kabhi-kabhi apna hath-pair khujlane lagte the. Un Over-smart ladko me kuchh ladke aise bhi the,jo ek-do teen se Chhatrapal sir se ye puchhane lage the ki ,wo unhe 2-2 ke group me divide kyun nahi karte....matlab saaf tha ki in sabko Chhatrapal buttkick karne wala tha.
Jis din maine Esha se sawal puchha us din bhi taqriban 4-5 students ne Lincoln ji ke baare me wahi purani speech dene me aana kani ki...kuchh ne to boring tak ka darja de dala...lekin unme kuchh aise bhi students the jo Chhatrapal ke die-hard fan the aur unhone Auditorium me kabhi apna muh nahi khola aur unme main bhi shamil tha....
.
Us din last period me mere mobile me Esha ne ek messege tapkaya ki wo chhutti ke baad parking me mera intezaar karegi...Esha ke is messege ke turant baad main ye samajh gaya ki mujhe pichhale kayi din ki tarah aaj bhi Arun ko chodu banakar ,Saurabh ke sath bhejna hai....
"Arun, tere mobile me messege pack hai kya..."
"ye messege tum jaise geedad karte hai, bhai sher hai isliye direct call karta hai...."
.
Arun se naa me jawab milne ke baad maine apne hee mobile se Esha ko messege send karne ka socha aur likha ki 'Divya ko apne sath mat rakhna,warna main wapas laut jaunga...'
College khatm hone baad main parking ki taraf badha ,jaha Esha apni car ke bahar khade hokar mujhe idhar-udhar dhoondh rahi thi aur Divya ja chuki thi....
.
"hello..."ek pyari si smile marte hue maine kaha"to bina samay ganwaye seedhe point par aa jao..."
"ek minute....mujhe sochne do....haan, yaad aa gaya. You Know Arman ,you are a hot topic of discussion in our college as well as in our home....."
"meri english utni buri bhi nahi hai lekin kasam se kuchh bhi samajh nahi aaya...."
"tum mere ghar me aur Gautam ke ghar me discuss karne ka ek hot topic ho...aur jis din devika ne tumhe call kiya uske ek din pahle hee main tumhare baare me usase baat kar rahi thi...is tarah se wo tumhare baare me jaan gayi..."
"sach...."main bas itna kah paya kyunki jo baat Esha ne mujhe batayi thi ,wo mere liye bilkul nayi thi.isliye uspar yakin karna mushkil ho raha tha.
___________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,210
43,122
354
Chapter-48: A ~langar~ Football Match
Update 185

Mujhe itna to maloom tha ki main apne bure karmo ke chalte college me bahut famous hoon lekin main itna famous hoon ki is shahar ke sabse rahis gharo me mere baare me baat hoti hai ,ye main nahi janta tha.....Esha ke us jawab par maine yakin to nahi kiya tha,lekin andar hee andar khud par garv bhi kar raha tha....
Esha ki baat sunkar mera seena turant do inch chauda ho gaya aur dil kiya ki goggle lagakar koyi dialogue maru lekin phhir kuchh sochkar maine apna ye goggle laakar dialogue marne ka vichar chhod diya aur Esha se aage puchha....
.
"main itna jyada popular hoon ,jaankar khushi hui....waise mere baare me kya discuss karte ho tum log...."
"mere aur Gautam ke ghar me aisa koyi din nahi hota,jab tumhe bura-bhala na kaha gaya ho...tum yakin nahi karoge par sab log tumse be-inteha nafrat karte hai..."
"mujhe bhi kuchh aisi hee ummid thi... "
Us din Parking place me Esha ko apne shabdo ke jaal me phansa kar maine bahut kuchh jaan liya.jaise ki beech-beech me Esha ki mom Esha se puchhati hai ki 'wo lafanga sudhra ya ab bhi waisi maar-peet karta hai....'
Mujhe lekar Esha aur Gautam ke ghar me same situation rahti hai ,bole to mera name jehan me aate hee unke muh se mere liye galiya barasati hai....khair ye sab dil pe leni ki baat nahi hai aur na hee bura manne ki baat hai kyunki ye sab to human nature ki properties hai....
.
"wo sab to thik hai Esha, lekin kya tumhe nahi lagta ki aise hee kisi ke bhi samne apne ghar ki private baaten share karna galat hai...."
Jab main apni burayi sunkar pak gaya to maine Esha ko rokne ke liye kaha,kyunki wo non-stop mere dil par dande pe dande mare ja rahi thi.Mere tokne ke baad Esha ko jaise apni galti ka ahsaas hua aur usne apna hath apne hontho par rakh liya.....
"tumhare gharwalo ke mere prati uchch vicharo ki jaankari to mujhe ho gayi, lekin ab ye batao ki mere baare me tumhara kya sochna hai...matlab ki kya tum bhi apna dil kholkar meujhe bura-bhala kahti ho..."
"main nahi bataungi...ab main ek lafz bhi aage nahi bolungi..."
"bata de billi, warna main.....main...."
"warna kya...tum mujhe phhir se dhamki de rahe ho..."
"chal thik hai jaa..."
"main kyun jaun, tum jao..."
"are ja na..."
"pahle tum jao..."
"aisa kya, le phhir main nahi jata,bol kya karegi billi..."
"phhir main bhi nahi jaungi, billu,bilav,billa...."
"khisak le idhar se ,ye main last warning de raha hoon....warna "
"warna kya...haaaann ,bolo warna kya...kya kar loge tum..."mujhe challenge karte hue Esha ek kadam aage badhi.....
"kamal hai yar,ise to mujhse dar hee nahi lagta..."Esha ke ek kadam aage badhne ke baad maine khud se kaha aur Esha ki'warna kya...' ka jawab sochane laga....
"Esha ,dekh ab to chup-chap yaha se jati hai ya main apni super power dikhau..."
"jab tak tum nahi jaoge, tab tak main bhi nahi jaungi..."
"tu jaa yaha se nahi to main tujhe kiss kar lunga...phhir mat bolna ki maine aisa kyun kiya...."
.
Mere kiss karne wale jawab ka Esha ke andar jabardast reaction hua aur wo turant apni car me baithkar waha se chali gayi.....
"mujhse argument karti hai,ab aa gayi na line pe... "
.
Golden Jubilee ke function ke liye ab taiyariya joro se chal rahi thi.Singging,dancing etc. Jaise programme ki practice to college ke samay hee ho jati thi ,lekin sports wagerah ki practice college ke baad shuru hoti thi...har branch ki ek-ek team bana di gayi thi, jo ki ek tay kiye hue din me dusare branch se bhidne wali thi...in short kahe to college me is samay competitive mahol tha, jisme College ke lagbhag aadhe se adhik students jhulas rahe the....College ke us competitive mahol se mere khas dost Arun,Saurabh ki tarah sirf wo hee log bache the,jo Golden jubilee ke is golden mauke par kisi bhi field me active nahi the....
8th Sem. me aate tak mujhe aur hostel me rahne wale mere kuchh dosto ko shaam ke waqt koyi sa game khelne ki aadat lag chuki thi,jisase humari sharir me ek nayi energy ghus jati thi aur phhir raat ko hum log pel ke daru peete the....lekin aajkal hum jis bhi ground me shaam ke waqt energy lene jaate waha branch wise launde practice karte hue milte the,isliye ab humara ground humare hostel ka corridor bana....jaha hum log Cricket,football bade aaram se khelte the......
.
"main,Arman bhai ki team me rahunga..."Pandey ji ko jab Arun ne apni team me liya to Rajshri Pandey ekdum se chilla utha....
"mar MC, jaa chus le Arman ka..."Pandey ji ka collar pakad kar use Arun ne meri taraf dhakela aur bola"bhag lawde meri team se...."
"Saurabh darling meri taraf..."maine apni team ke agle khiladi ko select kiya...
"to phhir ye kallu kanghichor meri taraf..."Kallu ko hath dikhate hue Arun ne kaha"aa ja be kaliye..."
.
Maine aur Arun ne 4-4 laundo ki team banayi aur corridor me football khelne ke liye aa pahuche....is beech ek aur launda waha aaya aur usne bhi khelne ki ichchha prakat ki....
"jaa pahle apne liye koyi jodidar lekar aa...aise me to ek taraf 5 aur ek taraf 4 launde rahenge..."us ladke se Arun ne kaha...
"sun be Arun...tu rakh le ise, tum jaise gandul 5 kya 50 bhi ho jaye tab bhi mujhe koyi fark nahi padta..."
"main kyun rakhu, tu hee rakh le aur beta gandul kaun hai ye to match ke baad hee pata chalega,jab main tera hath-pair tod dunga..."
"thik hai phhir...aaja be,idhar khada ho ja..."us naye launde ko apni taraf aane ka ishara karte hue maine khud se kaha"ek baar phhir se Arun ko chodu bana diya , i'm so smart...ab to 100 main jeet ke hee rahunga...."
Jab corridor me dono team tainat ho gayi to main sabse pahle Rajshri ke paas gaya aur bola.."tu jaa ke goalkeeping kar be lodu aur beta yadi ek baar bhi football is paar se us paar gayi to soch lena..."
"Arman bhai..aap fikra mat karo...ek baar main Rajshree kha loon,uske baad to Koyi mayi ka laal mujhe hara nahi sakta..."
Pandey ji ko goalkeeper banane ke baad main Saurabh ke paas gaya aur bola"sun be, tu defence karna aur jo koyi bhi football lekar tere paas aaye, sale ka hath-pair tod dena....main forward khelunga..."
.
Waise to mujhe football khelna nahi aata tha lekin jaise humlog langar dance karte the,waise hee hum log langar football khel rahe the,jaha koyi rules nahi...bas football goal honi chahiye ,uske liye chahe koyi sa bhi tareeka apnaya jaye....jab main apni team ki taraf se forward khelne aaya to mujhe dekhkar Arun bhi forward khelne ke liye aage aa gaya....Kallu Kanghichor mujhe cover karne ke liye mere paas hee khada tha aur Arun mere thik samne mujhe galiya de raha tha.....
"three....two....one...start"
teen tak ki ginti samapt hone ke baad maine football ko apni pahli hee kick me Arun ke thobde ko nishana banana chaha, lekin football se mera pair hee touch nahi hua bole to Arun ke thobde ko bigadne ka maine ek sunahara avasar miss kar diya aur kallu football lekar aage bada...
"Sauraaabh....aage mat jane dena, muh me laat marna is kaliye ke..." apna pura dam lagakar main cheekha...jiske baad kallu dar ke mare jaha tha ,usne football ko wahi chhoda aur wapas laut aaya....
"aise tumlog maar-peet karoge to main nahi khelunga... "kallu Arun ke paas jakar mujhse bola...
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,210
43,122
354
Update-186
Quote:
"aise tumlog maar-peet karoge to main nahi khelunga... "kallu Arun ke paas jakar mujhse bola...
.
"abey Arman, 100 ke liye tu itna neeche gir jayega...maine kabhi socha nahi tha, thoo hai tujhpar..."
"abhi kal ke match me jab tu mere taraf tha ,tab to bahut bol raha tha ki maar us kaliye ko....isliye ab apni ye nautanki band kar aur game shuru kar...."maine kaha aur palat kar Saurabh ko aawaz diya "thaam le be football aur yadi ab kallu is area me aaya to uchakar uske muh me juta ghusa dena...."
.
Asliyat me main aur meri team aisa kuchh bhi nahi karne wali thi ,ye to sirf humara match jeetne ka plan tha,jo maine abhi-abhi banaya tha...jisase samne wali team ke launde humari taraf dar ke maare na aa sake....lekin match ke shuruati halat dekhkar mujhe andaza ho chala tha ki aaj to yaha world war III hone wala hai.
Kallu ko dara hua pakar Arun ne usase apni position change ki aur khel phhir se shuru hua....
main football lekar aage badha to defence karne ke liye kallu mere samne aa gaya aur maine football ko marne ke bahane uske pair me ek kick jad di jiske baad wo langdate hue saamne se hat gaya....Arun mere peechhe tha ,isliye main toofan ki tarah samne wali team ki dhajjiya udate hue aage badhta gaya lekin mere aakhiri shot ko unke goalkeeper ne rok liya....
.
"tujhe bola tha na be kaliye ki beech me mat aana, lekin tu mana nahi...ab chus..."peechhe apni team ki taraf jate hue maine kallu se kaha,jo apne pair sahla raha tha....
Arun ki team se Arun hee football ko idhar-udhar nachate hue humari taraf la raha tha . Arun ko pelne ka mera koyi plan nahi tha lekin dikkat ye bhi thi ki mujhe dhang se football khelna bhi nahi aata tha ki main use bina chot pahuchaye usase football chheen loon, isliye Arun ko pelne ke bahane se main aage badha aur seedhe jakar use apne dono hatho se pakad liya...
"Sauraaabh ,football chheen kar aage badh aur yadi kallu beech me aaya to juta utarkar seedhe muh me marna lawde ke..."cheekhte hue maine Saurabh ko aawaz di....
"ye to gaddari hai be, chhod mujhe...ye to niyam ke khilaf hai"Aankhe dikhate hue Arun bola...
"achchha beta, aaj ye niyam ke khilaf ho gaya...kal tu jab meri team me tha,tab to tu hee aise formula use kar raha tha...."
"kal ki baat kuchh aur thi...aaj ye sab nahi chalega..."
"aise-kaise nahi chalega...papa ji ka raaz hai kya...chal khisak idhar se..."jab Saurabh ne goal kar diya to Arun ko chhodte hue maine kaha...
"ab dekh beta,Arman apun kya kahar dhata hai..."
Kahar dhane ki dhamki dekar Arun apni team ke paas gaya aur unse kuchh baate karne laga.hum log 1-0 se lead kar rahe the,jise dekhkar Arun ki gand fatne lagi aur usne kallu se jakar kaha ki yadi tujhe koyi mare to tu bhi use marna....
Arun ki team ne lagbhag 5 minute tak apni planning banayi ,jiske baad kallu ek baar phhir mere paas aakar khada ho gaya aur to aur unka goalkeeper bhi kick marne ke baad humari taraf badha....Arun ki team ka ye kadam ek tarah se hairatangez karnama tha aur jab tak main kuchh samajhta uske pahle hee kallu ne mujhe jor se pakad kar deewar se sata diya aur udhar Arun ne peechhe se Saurabh ki garden pakad li ,jisase Saurabh apni jagah se hil tak nahi paya....humare baki do players ko bhi aise hee pakad kar gira diya gaya aur Arun ke team ke goalkeeper ne apne goal post se football lakar humare goal post me daal di
.
"iski maa ka...ye to football ke niyam ki dhajjiya uda di be tumne...tumhara goalkeeper kaise itna andar aa sakta hai..."hairan-pareshan sa kuchh seconds ke liye main jaise coma me chala gaya tha...
"ab bol lawde Arman,kya bolta hai...tujhe lagta hai ki sirf tu hee eklauta aisa hai...jo plan bana sakta hai...ab to tu gaya kaam se..."
Arun ke in bhayankar vakyo ko sunkar mera khoon khaul utha aur maine apni team ke charo member ko apne paas bulaya aur unhe samjhaya ki hume kya karna hai...humare 5 minute ke break ke baad humare plan ke mutabiq pandey ji ne football ko pair se kick karne ke bajay hath me pakda aur tezi se samne wale pale ki taraf bhaga...ab humara ye football match football match na hokar RUGBY match ban gaya tha, jisme ball ko hath me lekar bhagna hota hai...Pandey ji ki is harqat se Arun aur uski puri team ke hosh udd gaye aur wo pandey ji ko rokne ke liye turant daud pade...lekin tabhich pandey ji ne ball meri taraf feka,jise maine bina der kiya lapak liya aur Arun ki team ke goalkepper ko hatho se ghaseet kar football ke sath goal kar diya.....
.
"Arun lund, ab bol...kaisa laga mera plan...ab tu gaya beta..."
"ab dekh main kya karta hoon..."bolkar Arun ne phhir se apni team ko apne paas bulaya aur 5 minute tak unse discuss karta raha....
.
Discussion ke baad jab game shuru hua to ab football ka game Handball ka game ban gaya. Arun aur uske team wale pandey ji ke Rugby game ki tarah football ko lekar daude nahi balki unhone door-door me khade apne team ke laundo ko football fek kar football pass kiya aur humare nikamme goalkeeper Sir Rajshree Pandey ji ki badaulat humne bhi dusara goal kha liya.....jiske baad Arun ne phhir mujhe hekadi dikhayi....
.
Mere aur Arun ki team ke beech khela gaya wo football match ,ek football match na hokar universal match ho gaya tha, jisme kabhi koyi football khelta ,to koyi Rugby khelta aur jiska dil karta wo humare us football match ko handball ka game bhi bana deta tha. Bole to ~langar~ football match...jisme koyi rules nahi ,bas football goal honi chahiye ,jiske liye chahe koyi sa bhi saam daam dand bhed apnana pade...
"abki baar goal hone ke baad jiske adhik point rahenge,wo match jeetega...kya bolta hai..."hafte hue Arun ne mujhse kaha...
"thik hai...ye last goal..ab tak ka score barabar hai, isliye jo is baar goal dagega Match aur 100
uske..."maine bhi hafte hue kaha..."lekin uske pahle 5 minute ka break lete hai...kya bolta hai "
"main bhi yahi soch raha tha..."
humara wo langar football match taqriban ek ghante tak chala ,jisme dono team ne hath-pair se 10-10 goal dage the....isliye 5 minute ke break ke baad jo bhi team goal karti wo ek point ki lead lekar winner rahti.
apne room me aakar maine pani ka bottle khola aur pura bottle khali kar diya....lekin tab bhi aadhi pyas baki thi...mere jaisa haal waha baithe Arun, Saurabh ,Pandey ji aur un sabhi ka tha jo match khel rahe the....Pandey ji itne thak gaye ki jor-jor se hafte hue zameen par audhe let gaye aur bole ki 'Arman bhai...ab mere me himmat nahi bachi hai...aap sambhal lo...'
'ek to gaya kaam se...Saurabh tere me kuchh dam baki hai ya tu bhi tel lene jayega..."
"main khelunga...."
"chal phhir bahar aa, plan banate hai..."
Pandey ji ko wahi zameen me chhodkar main, Saurabh aur baki do ke sath bahar aaya aur plan banane laga....
aakhiri goal humari taraf hua tha, isliye football lekar humlog match start karne wale the...jab Arun ki team samne tainat ho gayi to maine Saurabh ko unke beech bheja aur apne team ke ek launde ke hath me football dekar Rugby wale game ki tarah bhagne ke liye kaha....us launde ne thik waisa hee kiya lekin half pitch par Arun ne meri team ke us launde ko pakad liya jiske turant baad plan ke mutabiq Saurabh, jo peechhe khada tha...usne Arun ki gardan ko thik waise hee daboch liya ,jaise ki Arun ne pahle Saurabh ki gardan ko dabocha tha....
Arun ki team ka goalkeeper abki baar apni hee jagah par khada raha lekin Arun ko Saurabh ke changul se chhudane ke liye kaliya aage aaya aur tabhich maine apna badla pura karne ke uddeshya se ghuma kar ek laat kaliye ko de mari aur kaliya seedhe deewar se ja bhida ,jiske baad deewar ne Sir Isaac Newton ke third law ka palan karte hue kaliye ko neeche zameen par gira diya....
"mujhse bhidta hai bose dk..ab ja ke ilaaz karwa lena..."kaliye ke sharir ko jagah-jagah se todne ke baad maine usase kaha....
Arun ko Saurabh ne phansa rakha tha aur kaliya neeche zameen par leta karah raha tha. Ab Arun ke team me sirf do log bache the aur wo dono goal post me jakar apna hath faila kar khade ho gaye....
"tum dono ko maloom nahi kya ki main basketball me mahir hoon...beta jab main us chhote se chhed me(ring) basketball ghusa deta hoon to phhir yaha mujhe goal karne se kaise rokoge be..."
Mera itna confidence dekhkar un ladko ka darr aur bhi badh gaya aur wo dono apne dono hath faila kar ek-dusare ke bagal me khade ho gaye....
humare hostel ka corridor jyada chauda nahi tha ,isliye jab wo dono apne hath faila kar khade ho gaye to pura ka pura goal post un dono ke body se thak gaya....isliye goal karne me mujhe ab badi dikkat ho rahi thi...lekin jyada der tak nahi...maine football ko apne hath me liya aur ghumakar un dono me se ek ke pet me de mara.....
"aaayyyyiiiii.....gand fat gayi be..."bolte hue wo ladka,jiske pet me maine abhi-abhi football tana tha,wo wahi apna pet pakad kar baith gaya...
ab jab ek ghayal ho chuka tha to mere liye goal karne ka kaam behad aasan ho gaya tha aur phhir maine bina samay ganwaye aakhiri goal daag diya....
.
"la de 100 "aakhiri goal karne ke baad main Arun ke paas gaya aur usase bet ke paise mange....
"le lena na baad me...kahi bhage ja raha hoon kya...."
"chal baad me de dena..."apne room ki taraf aate hue maine winner wali smile Arun ko di...lekin mere room me ghusne se pahle hee kaliya mujhe kuchh bolne laga...
"kya hua be, maine to tujhe pahle hee warn kiya tha ki mere raste me mat aana...lekin nahi,...teri hee gand me badi khujali thi..."
"lawde, mujhe kal apni bahan ko lekar hospital jaana tha...lekin ab nahi ja paunga...aaaaahhhhh"
"abey to dard se karah raha hai ya chudayi kar raha hai...dard me bhi koyi aise karahta hai kya..aaaaahhhhh "
"baat mat palat Arman...tune ye sahi nahi kiya...."
"ab jyada nautanki mat kar be kallu..."Kaliye ko sahara dekar uthate hue maine kaha "waise teri bahan college me padhti hai,ye mujhe aaj hee pata chala...kaun hai wo..."
"first year me hai...name hai Aradhna Sharma..."
"Aradhna Sharma... kha maa kasam "jabardast tarike se chaukte hue maine Kallu se puchha....
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,210
43,122
354
Chapter-49: battle for dignity
Update-187
Quote:
"Aradhna Sharma... kha maa kasam "jabardast tarike se chaukte hue maine Kallu se puchha....
.
mujhe is tarah se shocked hota dekh kallu bhi buri tarah chauka aur darne laga ki kahi main use phhir na pel doon . Main isliye itni buri tarah chauka tha kyunki Aradhna aur kallu ke face me koyi mel-jol nahi tha.
Aradhna utni gori bhi nahi thi, lekin kallu jaise nihayat kali bhi nahi thi...Aradhna avon maal bhale na ho lekin aisi to thi hee ki yadi wo chodne ka proposal de to main mana na karu wahi kallu ekdum badsurat mendhak ke jaise muh wala tha aur to aur sala kanghi bhi churata tha....
"aise kya dekh raha hai be, phhir se marega kya..."
"Aradhna teri sagi bahan hai ya phhir tere chacha,mama,kaka,fufa,tauji....etc. etc. Ki beti hai..."
Mere dwara aisa sawal karne par pahle tu kallu mujhe kha jaane wali nazaro se dekhne laga lekin jab use aisa laga ki wo mera kuchh nahi ukhad sakta to wo thoda mayoos aur thode gusse ke sath bola...
"Aradhna meri door ki bahan hai...tujhe usase kya..."
"tabhi main sochu ki tujh jaise kaliya ki bahan Aradhna kaise ho sakti hai..." Aradhna ,kallu ki door ke rishte ki bahan hai ye jaankar main badbadaya aur waha se apne room me aaya....
.
Mere room me is waqt Saurabh, Arun ke sath Pandey ji bhi mauzood the,jo football Match ke dauran lagi chot ko sahla rahe the...Arun ke hath aur gardan ke paas ki thodi si chamdi ghis gayi thi,wahi Saurabh sahi-salamat tha......
"dekh liya be,mujhe challenge karne ka nateeja, ab agli baar se aaukat me rahna..warna is baar gardan ke paas ki thodi si chamdi ukhdi hai,agli baar pura gardan ukhad dunga...."shanshaho wali style me main apne bed par baithate hue bola"mujhe dekh ,main kaise match ke baad bhi relax feel kar raha hoon..."
"jyada bolega to 100 ke badle me main lund ke 100 baal thamaunga..."aaine me dekhkar apni gardan ko sahlate hue Arun ne kaha"aur beta, aaine me dekh ,tera matha fod diya hai maine..."
Arun ke itna bolne ke sath hee mera hath khud ba khud mere sar par gaya aur jaise hee maine apna hath apne mathe par phhiraya to thodi si jalan hui....
"khoon nikal raha hai kya be Saurabh..."
"thodi si kharoch hai be...bas aur kuchh nahi...aur ye bata tu us kanghichor se kis laundiya ke baare me baat kar raha tha..."
"aisich hai ek item...usi ke baare me baat kar raha tha..."baat ko talte hue maine kaha...kyunki yadi main unhe Aradhna ke baare me batata to phhir unhe puri kahani batani padti ki main kaise canteen me Aradhna se mila aur wo anchoring ki practice karne bhi aati hai...blah..blah.
.
Agle din jab main college ke liye hostel se nikal raha tha to jo baat mere dimag me thi ,wo ye ki Esha ka mujhe dekhkar kya reaction hoga, wo mujhse behave kaise karegi...mujhse baat bhi karegi ya nahi...kyunki kal shaam ke waqt parking me maine use kaha tha ki 'yadi wo mujhse pahle nahi jayegi to main uski pappi le lunga' . Us waqt to maine ye kah diya tha lekin baad me jab maine ispar gaur kiya aur itminan se socha to mujhe aisa laga ki mujhe Esha ko wo nahi bolna chahiye tha....isliye main Auditorium ki taraf jaate waqt thoda ghabra bhi raha tha .
"ek kaam karta hoon, auditorium me jaate hee Esha ko bol dunga ki wo kal wali baat ka bura na mane...wo to maine aise hee mazak me kah diya tha....yesss..yahich bolunga,tab wo maan jayegi..."
Auditorium ki taraf jaate waqt maine bakayada wo lines bhi bana dali, jo mujhe Esha se bolna tha.us din Esha mujhe auditorium ke baahar akeli khadi mili aur maine dil hee dil me uparwale ka shukriya ada kiya kyunki yadi is waqt Esha mujhe kuchh ulta seedha bhi kah deti to koyi aur nahi sunta....warna yadi Esha kisi teesare ke samne mujhpar chillati to mera ahankar jo mujhme koot-koot kar bhara hua hai...wo apni insult hote hue dekh turant bahar aata aur jiska natiza Esha ki sabke saamne ghor bejjati ke roop me nikalta....
"good morning, yaha khadi mera intezaar kar rahi thi kya
"hamesha ki tarah haste-muskurate hue maine kaha....is ummid me ki Esha bhi haste-muskurate hue jawab degi...
"tumse koyi matlab ki main yaha khadi hokar kya kar rahi hoon...apne kaam se matlab rakho..."chidchidepan ke sath Esha ne mera swagat kiya....
Kasam se yadi us waqt waha Esha ki jagah koyi aur ladki hoti ,yaha tak ki Angelina Silva ki jagah Angelina jolie bhi hoti aur wo mere good morning ka aisa chidchida jawab deti to main seedhe ghuma ke ek lafa marta ,lekin wo ladki Esha thi isliye main shant hee raha....ye sochkar ki shayad uska mood kharab hoga.
.
"pakka ,aaj uncle ji ne kiraye ke paise nahi diye honge...isiliye itna bhadak rahi hai. lekin tension mat le ,main bahut rahis hoon....bol kitna rokda doon...tu kahe to blank check sign karke de du..."Esha ka mood thik karne ke irade se maine aisa kaha....lekin Esha par iska ulta hee asar hua.
Esha aur bhi jyada mujhpar bhadak gayi aur usne kuchh aise baate bol di ,jo seedhe teer ke mafiq mere dil me chubhi, wo boli...
"tumhe lagta hai ki main tumse baat bhi karna pasand karti hoon...haaannn , tum jaise ladko ko main achchhi tarah se janti hoon, jaha koyi rahis ladki dikhi nahi ki uske peechhe pad gaye....Gautam ke sath tumne jo kiya ,uske baad to mujhe tumhari name se bhi ghin aati hai...aur jitna rupaye tumhare garib maa-baap tumhe ek mahine me bhijawate hai na utna to main har din bar,pub wagerah me tip de deti hoon...bloody nonsense...pata nahi kaha-kaha se chale aate hai,bhikhari..."
.
Esha ke muh se aise-aise lafz sunkar mujhe pahli baar me to yakin hee nahi hua ki Esha ne mujhse hee wo sab kaha hai...mera kaan aise sann hua jaise kisi ne jor se mere kaan me jhapad de mara hoon....ekpal ke liye mujhe samajh hee nahi aaya ki main kya karu, lekin Esha ne aise-aise shabd bol diye the ki mere ahankar ne mere pyar ko turant maat de di aur main bola...
"dekho, mere mobile me call teri taraf se aaya tha na ki maine tujhe call kiya tha...isliye aisa sochna bhi mat ki mujhe tujh jaisi ladki se baat karne me ratti bhar ki bhi dilchaspi hai...wo to Auditorium me dekha ki tujhse baki ladkiya baat nahi karti isliye taras khakar tere paas do din kya baith gaya, do chaar baate kya kar li...tune to uska ulta-seedha hee matlab nikal...fool kahi ki...aur tune mere maa-baap ko garib kaha ? teri to...abey jitne paisa teri puri garib family ek mahine me udati hai hai na utna to mera sirf daru ka bill rahta hai....aur tu khud ko bahut rich samajhti hai..."jeb se goggle nikal kar pahante hue maine kaha"jitni ki tu nahi hogi,utne ka to sirf mera goggle hai..ab chal side de, andar wo chhatru mujhse anchoring ki tips lene ke liye mera intezaar kar raha hoga..."
Maine turant Esha ko pakad kar ektaraf khiskaya . Mere dwara apni insult hote dekh Esha ki aag aur bhi bhadak gayi aur jab maine use chhua to wo cheekhte hue boli"don't touch meeeeee...."
"sorry ki maine tujh jaisi ko chhukar apna hath ganda kar liya aur sun ,agli baar mujhse jubaan sambhal kar baat karna warna aisi bejjati karunga ki 24 hours mere lafz jhapad ki tarah kaan me bajenge...ab mujhe ghoorna band kar,warna mera mood kharab hua to ek-do jhapad yahi laga dunga....sali attitude dikhati hai..."
.
Esha ke sath ghamasan ladayi karke main auditorium me ghusa aur pahli baar mujhe Esha ke sath misbehave karne ka koyi malaal nahi tha, balki mera dil kar raha tha,abhich bahar jaakar uspar MC,BC,BKL,MKL...ki bhi varsha kar doon...lekin maine jaise-taise khud ko control kiya aur Auditorium me ek kone me chup-chap baithkar khud ko thanda karne laga....
"sali khud ko samajhti kya hai, abhi mood kharab hua to dayi chod dunga, lawda samajh ke kya rakhi hai mujhe..."
Main bahut der tak ek kone me akele baith kar Esha ko bura-bhala kahta raha lekin mera gussa tha ki thanda hone ka naam hee nahi le raha tha...Auditorium me baki students bhi aa gaye the bas Chhatrapal kisi kone marwa raha tha....
"aaj us BC Chhatrapal ne jyada hoshiyari chodi to marunga MC ko...phhir lawde ki sari anchoring gand me ghus jayegi dayichod sala..."mera gussa Esha se divert hokar Chhatrapal par aa gaya .
"good morning...sir, itne akele kyun baithe ho..."
aawaz sunkar maine aawaz ki taraf apna chehra kiya to dekha ki Aradhna khadi thi aur mand-mand muskan ke sath apne hath me ek paper liye khadi thi....
"kya hai..."maine chahak kar kaha, jisase wo thoda peechhe ho gayi...
"gussa kyun hote ho sir, bas itna hee to puchha ki aap akele kyun baithe ho..."
"tujhse koyi matlab ki main yaha kone me baithu ya samne stage par leta rahu...mera man main chahe to auditorium ke chhat par jakar baithu, tujhe kya...aur yadi tune agli baar mujhe sir kaha to tera gala daba dunga...ab bhag yaha se..."
Jo gussa Esha ya phhir Chhatrapal par utarna chahiye tha, wo us bechari Aradhna par utar gaya...kisi mahan aadmi ne sahi hee kaha hai ki har waqt ungali nahi karni chahiye...aur Aradhna ne wahi ungali karne wala kaam kar diya tha. Mera aisa raudra roop dekhkar Aradhna waha se turant bhag khadi hui aur main wahi tab tak baitha raha jab tak chhatrapal ne mera name lekar mujhe stage par nahi bula liya.....
Aaj Chhatrapal ne apne un 6 students ko select kar liya tha, jo golden jubilee ke function me anchoring karne wale the aur un 6 students me se main aur Esha bhi the...Aradhna ko Chhatrapal ne additional ke taur par select kiya tha,taki by chance yadi koyi kisi karanvash function me na paye to Aradhna uski bharpayi kar de.....
.
jin 6 students ko Chhatrapal ne select kiya tha, unme se 3 ladke aur 3 ladkiya thi aur ab 2-2 ke group banne wale the.
According to Chhatru, har group me ek ladka aur ek ladki rahne wale the ,isliye main is samay stage par khada hokar yahi dua kar raha tha ki Esha mere sath na phhanse warna mere hatho uska khoon ho jayega....lekin us MC chhatrapal ne wahi kiya, jo main nahi chahta tha...sale ne mujhe Esha ke sath jod diya aur hath me do page pakda kar mic ke paas jaane ke liye kaha....
________________________
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,210
43,122
354
Update-188
Quote:
lekin us MC chhatrapal ne wahi kiya, jo main nahi chahta tha...sale ne mujhe Esha ke sath jod diya aur hath me do page pakda kar mic ke paas jaane ke liye kaha....
.
Meri kismat bhi ekdum jhand hai. Jo main chahta tha, Chhatrapal ne same to same waisa hee kiya tha...matlab ki main select bhi ho gaya tha aur meri jodidar Esha bani thi...lekin mujhe ab ye pasand nahi aa raha tha....jab Chhatrapal ne 7 ko select karke bakiyo ko auditorium se bahar ka rasta dikhaya to maine socha ki Chhatru ke paas jakar ye kaha jaye ki 'Sir, mujhe Esha ke aalawa kisi aur ke sath rakh dijiye' lekin phhir maine aisa nahi kiya...
maine aisa isliye nahi kiya kyunki mera pyar Esha ke liye umad aaya tha balki isliye kyunki mujhe pura yakin tha ki Esha ,Chhatrapal sir ke is selection par objection jaroor uthayegi...Aur jab Esha ye kaam karne hee wali thi to phhir main kyun apna naam kharab karu kyunki waise bhi mera naam bahut jyada kharab hai.
.
Main Chhatrapal ke paas hee stage par khada tha aur jab Esha ko stage par apni taraf aate dekha to mera para phhir chadhne laga....jaha ek ore main itna garam ho raha tha,wahi dusari taraf Esha aise shant thi...jaise humari ladayi kuchh der pahle na hokar ek saal pahle hui ho....Esha ke shant bartaav ke baad bhi mujhe ummid thi ki wo Chhatru ke paas jayegi aur mere sath anchoring karne ko mana kar degi, lekin wo chup-chap stage par aayi aur mere bagal me aakar khadi ho gayi.....
"jana...jati kyun nahi chhatru ke paas aur jakar bol de ki tujhe mere sath rahna pasand nahi..."Esha jab mere bagal me khadi hui to maine cheekhe mar-mar kar khud se kaha....
Chhatrapal ne hum dono ki taraf hath kiya aur stage par thoda aage aane ke liye kaha...phhir wo hum dono se bola...
"starting ke thirty minutes tum dono anchoring karoge , ok...uske baad 20-20 minutes tak baki ke do group aayenge jiske baad tum dono phhir se anchoring karoge...."Esha ke hath me ek page pakdate hue Chhatrapal ne kaha"ye mera initial plan hai ,baki ka baad me bataunga....ab tum dono, Arman aur Esha..shuru ho jao..."
.
Chhatrapal ne 'shuru ho jao' aise bade aaram se kah diya ,jaise uske baap ka raaz ho. Esha ka to pata nahi lekin main is waqt bilkul bhi mood me nahi tha aur sabse adhik hairani mujhe is baat se thi ki Esha hum dono ke selection par koyi objection kyun nahi utha rahi, kyunki jitna maine Esha ko samjha hai uske anusar wo ek nakchadi ladki hai....lekin is waqt wo ekdum shant thi aur mere sath aise khadi thi,jaise ki hum dono ke beech kuchh hua hee na ho...sala sach me laundiyo ko samajhne ki koshish karna matlab khud ke gale me fansi lagane ke barabar hai....
.
mujhe nahi pata ki Esha us samay stage par kya sochkar Chhatrapal ke selection ka virodh karne ke bajay chup-chap khadi thi lekin mere liye ab samay ke sath beet raha har pal, har second mujhe jaise dhikkar raha tha aur jab ye asahaniya ho gaya to main khud Chhatrapal ke paas gaya....
"sir, meri us ladki se thodi si bhi nahi banti...kya aap mujhe kisi aur ke sath fit kar sakte hai ? "dheeme swar me maine Chhatrapal se kaha...
"bakwas band karo aur jakar uske sath khade raho...main yaha tumhari pasand ki ladki ke sath tumhari jodi banane ka kaam nahi kar raha hoon...samjhe,.."daant chabate hue Chhatrapal ne mujhse kaha...
"lekin sir, wo ladki mujhe zara bhi pasand nahi hai... matlab ki wo Gautam ki karibi hai aur aapko to pata hee hoga ki humare beech kya hua tha..."purani kabra khodte hue maine apna paksha mazboot karna chaha...taki Chhatrapal maan jaye.
"mujhe koyi fark nahi padta ki tum kaun ho aur wo kaun hai...yadi golden jubilee ke funtion me anchoring karni hai to usi ke sath karo...nahi to gate udhar hai,waha se bahar jao aur phhir dobara kabhi mat aana..."
.
Maine aaj tak college me sirf aise hee kaam kiye the, jisase mera naam sirf kharab hua tha lekin golden jubilee ke function me anchoring karke main thoda naam kamana chahta tha taki mere yaha se jaane ke baad log mujhe sirf meri burayiyo ke karan yaad na rakhe....wo jab bhi golden jubilee ke function ka video dekhenge tab-tab wo mujhe yaad karenge aur mere college ki ladkiya jo yadi 10 saal baad bhi mere college me aayengi wo golden jubilee ke us sunahari shaam ke video me mujhe anchoring karta dekh ,aapas me zaroor puchhengi ki' yar ye handsome boy kaun hai
' . Ye sab, jaise mera dimag me baith chuka tha aur mujhe yakin tha ki future me aisa hee hoga....isliye maine us din Auditorium me chhatrapal ki baat maan li aur uske kahe anusar chup-chap Esha ke paas jakar khada ho gaya.....lekin main tab bhi hairan hua tha aur aaj bhi hairan hoon ki aakhir Esha ne us din koyi objection kyun nahi uthaya ?
.
.
"wait...wait...wait..."Varun ne mera muh dabakar mujhe rokte hue bola"bas ek minute ruk, main moot kar aata hoon..."
"ye le...salaaa...chutiya.."
"bahut der se control karke baitha tha,lekin ab aur control nahi hota...bas ek minute me aaya..."bolte hue Varun apna lund dabate hue bathroom ki taraf bhaga....
.
"matlab ki tu ye kahna chahta hai ki Esha tere hee group me rahi...haaaiiinnn..."
"ab tu A.C.P. Pradduman jaise faltu sawal karega to main teri jaan le lunga, samjha..."cigarette ko hontho ke beech phhasate hue maine aage ki kahani bayaan karni shuru ki...
.
.
us din sala maine Chhatrapal aur Esha ko auditorium me kaise jhela, ye main hee janta hoon.yadi fala naam kamane ka laalach na hota to main seedhe auditorium se bahar aata...khair maine aisa nahi kiya,isliye is baare me jyada bolne ka koyi matlab nahi lekin usi din raat ko jab main daru peene ke baad is pure masle ko naye sire se dekh raha tha to tabhich mere daru me tann 1400 gm ke dimag me ye baat aayi ki...'kahi Chhatrapal mere sath koyi game to nahi khel raha...yadi aisa hai to phhir Chhatrapal ka background check karna padega beedu,warna ye to mic hath me pakda kar pichhwade me sariya dalega... '
______________________________
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,210
43,122
354
Update-189
Quote:
'kahi Chhatrapal mere sath koyi game to nahi khel raha...yadi aisa hai to phhir Chhatrapal ka background check karna padega beedu,warna ye to mic hath me pakda kar pichhwade me sariya dalega... '
.
Ladkiyo se mere connection ke mamle me meri 8th semester ki life baki ke semesters ke muqabale bahut hee badhiya chal rahi thi..jaha pahle ek taraf mere college me aisi ek bhi ladki nahi thi ,jo mujhe muskura kar dekhe wahi is semester ke starting me meri Esha se baat chit shuru hui to wahi dusari taraf Aradhna se bhi meri thodi-bahut pahchan hui thi, lekin kal Esha ne mujhe khud se door to kiya hee sath me Aradhna darling bhi mujhse khafa ho gayi...jiska andaaza isi baat se lagaya ja sakta hai ki pahle jaha wo auditorium me ghuste hee mujhe ek pyari smile ke sath good morning wish karti thi...wahi ab wo ek taraf apna gaal fulaye baithi hui thi....
.
"soch rahi hogi ki main uske paas jakar use sorry bolunga...chus le phhir mera sorry ke naam par..."Aradhna ki taraf dekhte hue main badbadaya aur phhir apni lines yaad karne laga....
waise to hume golden jubilee ke function me anchoring ke waqt jo-jo bolna tha, uska manual milne wala tha,lekin phhir bhi chhatrapal ne sabko saaf hidayat di thi ki practice ke dauran koyi bhi manual ko chhuyega tak nahi... humse itna hard work karane ke peechhe Chhatru ka ek logic tha taki launde function ke waqt kahi bhi na ruke....again a bakwas tricks used by chhatrapal
.
"kya main yaha baith sakti hoon..."
Aawaz mujhe pahchani si lagi aur main janta bhi tha ki is aawaz ka malik kaun hai ,lekin phhir bhi maine confirm karne ke liye upar ki taraf dekha...
"pura auditorium khali hai ,kahi bhi baith ja,kaun rok raha hai...lekin yaha mere paas nahi..."maine bina kuchh soche, bina koyi pal ganwaye Esha ko dekhte hee kah mara...
"lekin main to yahi baithungi....tumhe koyi dikkat ho to uthkar dusari jagah baith jana..."kahte hue wo thik mere bagal me baith gayi...
Esha ko apne thik bagal wali chair par baitha dekh main waha se utha aur do kursi chhodkar teesari par aa baitha aur aankhe band karke manual yaad karne laga.....
"kya kar rahe ho...hmm"
"main ye yaad kar raha tha ki maine kisko-kisko loan diya hai... ab chup rahna warna mera muh khul jayega..."Esha ko kha jaane wali nazaro se dekhkar maine kaha aur phhir aankhe band kar li...
lekin Esha mujhe disturb karne se baaz nahi aayi ,wo beech-beech me mujhe kuchh na kuchh bolti hee rahti...lekin main phhir kisi sanyasi ki tarah apni tapasya me leen hee raha,maine dobara apni aankh nahi kholi....lekin is beech main apni aankhe band karke manual yaad karne ke bajaay Esha ke baare me soch raha tha...
"ye mujhse baat kyun karne lagi...badi ullu hai yar, jab ladayi hui hai to kuchh din to nibhana hee chahiye...ya to iski yaddasht chali gayi hai ya phhir shayad ise iski galti ka ahsaas ho gaya hai aur ye mujhse ab sorry bolne wali hai "
yahi sab sochate hue maine apni aankh kholi aur Esha ki taraf dekha..maine jaise hee Esha ki taraf dekha tabhi mujhe ek jordar hichaki aayi kyunki Esha apni jagah se uthkar mere thik bagal me baithi hui chocolate kha rahi thi....uski is harqat par mera sar chakrane laga aur jitna mushkil use samajhna mere liye pahle tha ,wo mushkil ab aur bhi badh gayi thi....pata nahi Esha aisa kyun kar rahi thi..kahi Gautam se iska break up to nahi ho gaya ?
kahi ye mujhpar fida to nahi ho gayi ?
Ya phhir ye R.Divya ka to koyi mind game nahi ?
Esha ke us pyar bhare lekin khatarnaak bartaav ko dekh kar aise kuchh points mere dimag me aane lage the aur un points par main gahrayi se sochata usase pahle hee Esha ne meri taraf ek chocolate badhate hue kaha...
"kal ke liye sorry Arman, wo main kal thoda upset thi,isliye itna sab kuchh bol gayi..lekin baad me mujhe realize hua ki galti meri thi...isliye tumhare liye ye chocolate layi hoon..."
"bachcha samajh ke rakhi hai kya mujhe jo main chocolate khaunga...mard hoon seedhe jung ke maidan me goli khaunga...bol jay hind..."kadak kar maine kaha,jiske baad Esha turant khadi hui aur ek kursi chhodkar baith gayi....
"as your wish..."jo chocolate wo mujhe dene wali thi, use khud ke muh ke andar dalte hue boli"Arman, waise sorry tumhe bhi bolna chahiye...kyunki tumne bhi mujhe bahut kuchh kaha tha..."
"main ladkiyo ko sorry bol dunga to ye duniya nahi palat jayegi.... "
.
Us din ki humari practice badi jordar hui ,Esha se phhir mel-jol badh jaane ke karan main ekdum josh me tha aur uska prabhav mere perfomance me dikha, yaha tak ki Chhatrapal jo kabhi kisi ko 'good...nice' se jyada nahi bolta, usne us din meri tarif ki....
jab humare practice ka time khatm hua to Chhatrapal ne mujhe dabi me lejakar kaha ki 'yadi main chahu to Esha ki jagah kisi dusari ladki ko select kar sakta hoon ,lekin ek shart par ki perfomance girni nahi chahiye....'
Chhatrapal ne to mujhe Aradhna ke sath tak group banane ko bol diya aur sath me ye bhi kaha ki yadi Aradhna mere sath rahi to Esha ko phhir bahar baithna padega...yadi yahi offer chhatru ne mujhe kal diya hota to yakinan main ise accept kar leta lekin aaj ki baat alag thi aur aaj ka din bhi mere liye bahut khas tha...isliye maine Chhatrapal ke naye plan par turant tala mara aur class ki taraf badha.....jab main class me pahucha to waha se teacher gayab tha, bole to har period ke beech milne wale 5 minute ke gap ko kisi dusare teacher ne gapp nahi kiya tha.....main apni jagah par jakar har din ki tarah chup-chap baith gaya aur saamne board par nazar dali aur board par jo likha tha use dekhkar jaise mujhe heart attack aa gaya....maine ek baar apni aankhe mali aur phhir board ki taraf dekha...board par writing to Sulabh ki thi ,lekin naam mera likha hua tha,...mere naam ke aage do shabd aur likhe hue the aur wo do shabd the 'happy birthday'
__________________________
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )
Top