Chapter-50:Horrible Birthday
Update-190
Mere college me ya phhir kahe ki sabhi college me launde sirf teen hee chiz aisi hai jisase sabse jyada ghabrate hai...pahla exam ke dino me ,dusara jis din exam ka result aane wala hota hai aur teesara tab jab unka birthday hota hai....humari chhoti si toli me jiska bhi birthday hota uske liye bahut bada cake to laya jaata tha lekin phhir birthday boy ko thok-thok kar cake ka sara paisa wasool bhi kar liya jata tha. Jiska birthday hota tha usko sab milkar sale aise marte jaise janmo janam ki dushmani ka badla le rahe ho...10, 15 ,20 kitne bhi launde ho ,wo sab ek sath birthday boy ke upar toot padte aur pichhwade ko maar-maar kar aise suza dete the ki jaise kisi ne nanga karke pichhwade me ghanto hunter barsaye ho....iske baad na to baithte banta tha aur na hee sote...phhir koyi pichhwade par hath bhi rakh le to aisa dard hota jaise kisi ne dhardar chaku ghusa diya ho....
waise to sab khushi me marte the lekin kuchh launde ,jinko khane ke liye cake nahi milta tha,wo phhir birthday boy ko khunnas me marte the....birthday ke din thukayi ka prakop to itna tha ki college me kayi launde apne fb account se birthday hide kare hue the...
.
Saamne board par 'Happy Birthday Arman...'likha dekh meri saanse ulti chalne lagi...kyunki mere dimag ne turant aage hone wali thukayi ka ek drishya mujhe dikha diya tha...
Mere class me ghuste hee launde mujhe gale lagakar birthday wish karne lage to wahi ladkiya meri taraf apna hath badhakar mujhe'happy birthday' bolne lagi...lekin apun ne apne class ki laundiyo se hath milana to door, thanks tak nahi kaha ,are thanks kahna to door main unko palatkar dekha tak nahi ,warna sali lunch time pe fudak-kar mere saamne khadi ho jayegi aur party-party ki guhar marne lagegi
Ladkiyo ko maine jis tarah ignore kiya uske thik ulta laundo se gale milkar 'thanks yar...thanks bhai' kaha.
mujhe birthday wish karte hue jo mujhe mazbooti se,jakad kar gale lagata(for ex. Arun, Saurabh, Sulabh) ,main uski taraf dayadrishti se dekhta tha kyunki yahi wo launde the,jo mujhe thokne wale the....bole to jo jitni mazbooti ke sath mujhe gale lagata ,wo baad me utni hee mazboot laat mere pichhwade me marne wala tha.....
.
"aaj to beta main nukile jute pahan kar aaya hua hoon...tera khoon kar dunga..."mere baithte hee Arun ne daant dikhate hue mujhe dusari baar happy birthday kaha....
"main to lohe ke rod se pelunga beta isliye gand me me tel-malish pahle se kiye rahna..."Arun ke sur me sur milate hue Saurabh ne bhi mere dil ki dhadkane badha di...
lekin mere dil ki dhadkane badhkar rukne ko tab hui ,jab Sulabh ne mujhse kaha ki wo aaj raat , january ke thand se kadakte mahine me ek balti pani mere upar daal dega....."
"tum logo ne mujhe marne ke liye apne ye jo alag-alag expection bana kar rakhe ho na, usko wapas wahi daal lo,jaha se nikale ho....pichhale teen saalo me to mera kuchh ukhad nahi paye aur abki baar bhi main koyi na koyi jugat laga kar bach hee jaunga...."
"are laand mera bachega...tu dekh aaj raat ko...aur beta mafi maang ,warna hostel ki chhat se seedhe neeche fekunga..."Saurabh ne kaha...
"chal be...dekh lunga tujhe..."
.
Us din canteen me laundo ne pel ke meri jeb khali karwayi, fale apne paise se jitna wo canteen me hafte bhar me khate the, utna wo us ek din me kha gaye....aur jab bill pay karne ki bari aayi to meri aankho ke saamne andhera chhane laga...sabke saamne meri bezzati na ho ,isliye main uthkar counter ke paas gaya aur counter me baithe hue aadmi se baad me bill dene ki request ki...
"aise thode hee chalta hai bhaiya ki jeb me maal nahi aur pet bharkar chal diye....kal,parso, narso,sarso...kuchh nahi, bill to aaj hee dena padega,wo bhi abhi..."
"maan ja yar, kal de dunga..."
"paise do nahi to complain karunga..."
"ek baat batau, main jeb me paise lekar nahi chalta...tu kahe to check sign karke de deta hoon...bank se jakar nikal lena..."
"apne ko to cash chahiye..."
"wo to nahi hai...phhir ek aur kaam kar atm swap kar le..."wallet se atm nikalte hue maine kaha...jabki mujhe maloom tha ki atm swap karne wali machine canteen me nahi hai....
"ye sab bakheda tum apne paas hee rakho,apne ko to cash chahiye..."
"chus le mera phhir...kal lena paise..."
Canteen wala jaise-taise maan to gaya lekin use manane me mujhe aadha ghanta lag gaya...mere dost kha-peekar class ki taraf chale gaye aur unke jaane ke baad main ek dusari table par baithkar gahri chinta me dooba hua tha ki inke paise kaha se aayenge, abhi to sala raat me hostel wale daru piyenge...wo alag...jee to karta hai ki do-teen din ke liye kahi bhaag jaun,fala sara lafda hee khatam
"oye...do ras-malayi bhej idhar..."gahri chinta se ubarne ke liye maine order diya"sala ye birthday...birthday na hokar ,ek aafat ho gayi hai...inke birthday aane do, BC 5000 ka to main akele nasta karunga aur 10,000 ka daru piyunga, phhir lawde dusari baar se party lena bhool jayenge...."
"chammach kya papaji lakar denge, ja bhagkar chammach lekar aa..."Canteen me kaam karne wale launde ko maine hadkaya, jab wo bina chammach ke do ras-malayi meri table par rakhkar chala gaya...
.
ras-malayi ka raspaan karne ke baad jaise mujhe thoda sukoon mila aur maine ek jordar angadayi maarkar jamhayi li to mujhe Aradhna canteen me apne saheliyo ke sath baithi hui dikhayi di....Aradhna ko maine kal Esha ke karan dhamkaya tha,lekin aaj jab Esha se baat-chit shuru ho gayi to maine socha ki isase bhi baatchit shuru kar hee lete hai,waise bhi galti iski nahi thi....isliye maine Aradhna ko do ungaliyo se ishara karke apne paas bulaya...mere bulane par Aradhna to waha aayi hee sath me uski saheliya bhi usi ke sath waha aa gayi...ab sabke saamne Aradhna se waisi baat karna jaisi baat main karne wala tha, wo main karta to mere aham ke liye ye dharm sankat hota, isliye maine hadka kar Aradhna ki saheliyo ko waha se bhagaya aur Aradhna ko apne paas baithne ke liye bola....
.
"dekh...ye gaal fulakar mat baith,main kal thoda upset tha ,isliye tujhpe baras pada tha..."Esha ne jo subah auditorium me mujhe kaha tha, wahi maine Aradhna ko chipka diya....
"iska matlab aap mujhe sorry bol rahe ho "
"sorry maine kab kaha ...wo to main explain kar raha tha ki main tujhpar kal kyun bhadka tha...ab fut yaha se..."
.
Us din jab main canteen ke bill aur raat ko hostel me hone wale kharche ko lekar pareshaan tha tabhi kuchh aisa hua,jisne mujhe apaar khushi di aur wo apaar khushi mujhe Esha ke messeges ke karan hui thi....bole to usne apun ko messege bhejkar birthday wish kiya tha....
"Arun...muh me lund lega to ek khushi ki baat batata hoon..."Esha ka messege padhne ke baad chalti hui class ke beech me maine Arun se kaha...
"bose dk ,dheere bol...warna ye chhatrapal tere muh me lund dega..."mere pet me ek mukka marte hue Arun bola"aur tu khush kyun ho raha hai..."
"ye dekh...teri bhabhi ne mujhe birth day wish kiya hai..."mobile desk par rakhkar maine Arun ko Esha ka messege dikhaya...
" tu lawde khush to aise ho raha hai,jaise usne i love you likhkar bheja ho..."
"beta tu samajh nahi raha hai...aaj usne mujhe birthday wish kiya, phhir dheere-dheere karke good night, good morning ke messege karegi aur phhir ek din aisich wo 'i love you' ka messege bhi mujhe tapka degi...i know.."
"laad mera know...i love you, ka messege bhejane ke liye...Gautam zinda hai abhi...uske bachpan ka pyaaaaaaaar...."
"muh band kar sale...aur tu yadi ladkiyo ke baare me itna hee janta to Divya se gand thodi hee marwata...beta dekh lena, wo ek na ek din i love you jaroor bolegi...kyunki maine filmo me dekha hai ki aksar ladkiya apne bachpan ke dost se set to hoti hai,lekin college me unhe kisi dusare ladke se sachcha pyar ho jata hai..."
"dekh lena tu...Esha ke naam par chudega ,phhir mat bolna ki maine tujhe aagaah nahi kiya tha..."
"muh band kar be lodu, tujh jaisa chhota aadmi aisi chhoti hee baat karega...sale kabhi to kuchh achchha bola kar..."kahte hue maine apna chehra Arun ki taraf se ferkar board ki taraf kar liya....
.
us din Esha ne do aur messege kiye, jinme se ek me usne likha ki' sorry,mujhe tumhe birthday wish nahi karna chahiye tha' aur dusare me likha ki' kya tum mujhse parking me miloge...'
"badi ajeeb ladki hai yar...kahi iska dimag stak to nahi gaya, na jaane kya-kya sochate rahti hai...."Esha ke messeges padhne ke baad maine kaha....
_____________________________