• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Badshah ~ A Tale Of Useless Boy

211
419
63
Mind Blowing Update Bro ❤️❤️❤️
 
  • Like
Reactions: Neni

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,877
15,617
144
up-----------1

delhi ke mehnge tareen ilake me kai acre ki boundry wall ke beecho beech bani kothi bhano pratap singh ne kisi raja maharaja ke mahal se kam nahi banai thi. desh bhar me kothi ka shohra tha. dekhne wale kothi ko dekh bhano pratap singh ki amarat ka bakhubi andaza laga sakte the. senkdo ke hisab se naukar aur guards 24 hrs maujud rahte. boundry wall par kai morche banaye gaye the. koi parinda bhi kothi ke andr par nahi maar sakta tha.

bhano pratap singh ke bad raj laxmi parivar ki mukhya thi.

kothi ko kisi dulhan ki tarah sajaya gaya tha. aaj kothi ke andr desh bhar ki jani mani hastiyan maujud the. koi neta ho ya bada businessman.. sabhi maujud the.

raj laxmi ke bade pote vijay pratap singh ki shadi thi aaj komal rani ke sath. barson se ho rahe komal rani par jaan leva hamlon ke chalte komal rani aur vijay pratap singh ki shadi ki ja rahi thi. vaise bhi ab koi nahi raha tha komal rani ke parivar me. ek maa thi. jane wo mar chuki thi. ya dushmano ki kaid me thi. uska abhi tak koi ata pata nahi chal paya tha.

komal rani 24 ki ho chuki thi. uski shadi ki umar ho chuki thi. 5 saal se kothi ke andr akeli ji rahi thi. vaise to sab the. lekin uska koi apna koi khas nahi tha. raj laxmi ne yehi soch kar apne pote vijay pratap singh ki chahat ko dekh kar komal rani ke sath uski shadi ka nirnay lia tha. komal rani shadi nahi karna chahti thi. uski apni koi choice nahi thi. lekin shadi uski majburi bana di gai. na karti to usay mazbut sahara nahi mil pata. yehi baat raj laxmi ne komal rani se kahi. to bohut zayada force karne par komal rani maan gai thi. koi nahi tha uska apna uski zindagi me. koi nahi tha. jo uski zindagi ka faisla le sake. le de ke yehi ek parivar bacha tha. kothi se nikal kar ji nahi sakti thi. andekhe dushmano se jaan ko khatra tha.

raj laxmi ke parivar ke vijay pratap singh hi sabse badhiya mard tha. personality me aur rakh rakhao me number 1 tha.. komal rani ko vijay se mohabbat nahi thi. lekin koi bhi humsafar chahiye hi tha. so usne haan kar di.

kothi ko charon orr se, andr bahar se fully protect kar dia gaya tha.. kothi ke andr aur bahar kai gaurds the. neta aur bade bade businessmen bhi aaye hue the. to police bhi bhari matra me maujud thi. koi dushman hamla na kar de.. yehi soch kar suraksha par pura pura dhayan dia gaya tha.

ye baat bhi raj laxmi ke mind me thi. dushman komal rani ki uske pote se shadi nahi hone denge.. ye sochte hue raj laxmi ne koi chance nahi lia tha. senkdon gaurds aur itne hi police wale kothi ki suraksha kar rahe the.

asha to nahi thi. dushmano itni suraksha ke hote hue koi neech harkat karne ki koshish karta. lekin dushmano se kuchh bhi umid rakhi ja sakti thi.

kothi ke saamne hi khule lawn me shadi ka shandar mandap tayar kia gaya tha. pandit betha apne mantar padh raha tha. vijay pratap singh wahan betha hua komal rani ka intezar kar raha tha. komal rani se shadi uski life ki sabse badi chah thi.

thodi der guzri. fir komal rani parivarik ladkiyon ke jhurmat me jhilmilate libas ke sath aati dikhai di. vijay pratap singh ne jo komal rani ko dekha. to dekhta hi rah gaya. ab tak komal rani simple dress me hi rahi thi. aaj pahli bar saj dhaj ke sath aai thi. vijay pratap singh komal rani ki sundrta dekh apne hosh khone laga.

hosh to har dekhne wali ankh ke kho rahe the. kon tha. jo komal rani ki sundrta ko dekh mann hi mann me komal rani ki sundrta ki tareef na kar raha ho.. lakhon me hi nahi croro me ek thi komal rahi.....

vijay pratap singh ko hosh tab aaya. jab komal rani ko uski bagal me bitha dia gaya.. vijay pratap singh mohit hua komal rani ki sundrta ko apne itne karib dekh raha tha. soch raha tha. ye husan ki moorat aaj puri tarah uski ho jane wali hai.. kitna bhageshali ha woh..

vijay pratap singh sar jhatak mann me badbadaya---- mai konsa isse kam hon. ye lawaris ha aur main.. future ka badshah. komal rani kya bechti ha mere aage.

lekin komal rani ki sundrta ko dekh uski raal tapakne lagi thi. komal vijay pratap singh ko na dekh kar bina koi bhav chahre par laye palken jhuka kar beth gai..

raj laxmi komal rani aur apne pote ko dekh khushi se phuli nahi sama rahi thi. lekin iske bawajud woh kothi ki suraksha par bhi pura pura dhayan de rahi thi. jaise jaise samay beet raha tha. raj laxmi ko lag raha tha. ab bina kisi dikkat ke shadi samapt ho jayegi.

lekin nahi.. aisa nahi ho paya.. achanak se hi hawa me kai helicopters ke shor ki awazen sunaai dene lagi. raj laxmi samet sabhi sar utha kar upar dekhne lage. dekhte hi dekhte 8 helicopters ne puri kothi ko charon orr se gher lia.. kai mahman to cheekhte hue idhar udhar khisak liye.. raj lazmi aur uske parivar ke sabhi mard vijay pratap singh samet uth kar khade ho gaye.. komal rani ke dil ki dhadkanen jaise tham kar rah gai thi. wo soch rahi thi. itne helicopters ek sath. dushmano ne is baar bada khatarnak plan tarteeb dia hai usay pane ke liye. jaan se maarne ke liye.. wo bethi bethi apne mukdar ko soch puri jaan se kanp kar rah gai..

raj laxmi gaurds ko orders dene lagi.. lekin wahan kai neta aur desh ke jane mane businessmen bhi the. wo nahi chahte the. wahan ladai ho. warna shayad ladai me wo jaan se chale jaye..

raj laxmi unki sun pahli bar khud ko bebas samjhne lagi. warna wo jan de deti. khud mar jati.. parivar ka ek ek sadasay mar jata. lekin helicopters par aaye dushmano ki ek na chalne deti. lekin kothi ke andr wo aur uska parivar ekela nahi tha. desh ki jani mani hastiyan wahan maujud thi. wo man mani nahi kar sakti thi.

tabhi helicopters se announcement hone lagi. hum yahan jung karne nahi aaye han. hamari kisi se koi dushmani nahi hai.....

aisi hi kai baaten aur usne kari... fir 2 helicopters aur aate hue dikhai diye.. wo dono helicopters kothi ke andr pandap se kuchh doori par khuli jaga par zameen se 20 gaz upar thahar gaye..

dekhne walun ne dekha.. to ascharyachakit rah gaye.. helicopters ke khule darwazon ke 12 ladkiyan ek sath gymnastic ke kartab karti hui neeche kood padi.. kaiyon ki to cheekhen nikal gai.. kai hairani se helicopters se kood kar neeche gir rahi ladkiyon ko dekhne lage.. komal rani bhi hairat se sabhi ladkiyon ko dekhne lagi..

wo sari ladkiyan hathu ne ajib si guns thame mandap se kuchh aage 6 6 karke sides khadi ho gai..

raj laxmi unke paas pohchi.. aur kadak awaz me boli-- kon ho tum.. aur meri rajdhani me is tarah aane ki tumhari himmat kaise hui... vijay pratap singh ki shadi me rukawat paida hui thi. wo bhi chalta hua raj laxmi ke karib aa pohncha tha..

wo bhi khandani rob aur akad ke sath bola --- jan se maar donga ek ek ko.. jin pairon par aai ho. unhi pairon par wapis chali jaao..

shalini singh uska pati mahindr singh aur parivar ke dusre sabhi sadasy ladkiyon ko hairat aur guse se dekh rahe the. inke aane se unke khandan ki nek nami par ungli uthne wali thi. unke aane se shadi me rukawat padne wali thi. matlab khandani ki izzat mitti me milne wali thi.

zayada tar nafrat se sabhi ladkiyon ko dekh rahi thi. 12 ladkiyon me adhi foreigner thi..

ek ladki bade hi thahre hue andaz me boli -- sorry.. hum apne boss ke siva kisi ka order nahi manti..

mahindr pratap singh bhi gonjdar awaz me bola --- kon ha tumhara boss. kaha ha tumhara boss..

ye sun sari ladkiyon ke chahron par ek muskan ubhar aai.. wo sabhi saamne hawa me khade ek helicopter ko dekhne lagi.. tabhi us helicopter ke andr se ek ladka bade hi mahirana andaz me neeche kood pada.. uska chahra dhaka hua tha. personality me wo wahan maujud ek ek vyakti se kahin badhkar tha. uske hathu ka saaf rang uski chaal wahan maujud sabhi afard se juda thi..

zameen par thaharne ke bad wo bade hi shahana andaz me chalta hua 12 ladkiyon ke karib pohnchne laga. raj laxmi samet sabhi aane wale ko badi hairani se dekh rahe the. yahan ladkiyan hi nahi aane wala ladka bhi hairat angez khubiyon ka maalik tha. jitna unchi se ladkiyan fir ye ladka kooda tha.. kamal kar dikhaya tha..

kuchh to dil hi dil me tareef ke pul bandh rahe the.. ladke raj laxmi ke saamne na khada ho kar vijay pratap singh ke samne ja khada hua...

itne me CM jo keh shadi me special aaye the. wahan aaye aur mask boy se bole.

cm --- mere state me aise illegal andaz me aana allow nahi ha.. kon ho tum..

aane wale ne cm ko dekha.. mask se bahar dikhai de rahi thi uski ankhon me chamak paida hui.. wo cm se bola --- sir! aap mere liye bohut hi respected person han. isliye bass itna hi kahunga.. plz aap is matter me kuchh mat boliye

cm mind kar gaya -- mai state ka cm hon.. mujhse aise baat karne ki tumhari himmat kaise hui...

mask boy hasa --- hahaha... sir. aap cm han.. 2 4 saal cm rahenge.. fir aam admi ke jaise baki ki zindagi jiyenge.. lekin main... main badshah hon.. parte dum tak badshah rahunga.. isliye plz khamosh...

fir vijay pratap sinsh ko dekh bola ---- jo meri ha. tum usay apni nahi bana sakte.

vijay pratap singh mask boy ki ankhon me ankhen daal kar bola ---- matlab kya ha tumhara..

mask boy mandap me bethi hairan pareshan komal rani ko dekh bola ----- komal.. kal bhi meri thi.. aaj bhi hai....

fir wo dono baahen phela kar charon orr ghumta hua bola ---- komal i love you.. jab se tumhe dekha hai.. tumhara deewana ho gaya main.. mere dil ki ek ek dhadkan me tum ho.. marte dum tak tum hi tum rahogi.. mai badshah hon to tum mere dil ki malika ho..... dunya ki koi takat tumhe tumhe mujhse juda nahi kar sakti....

komal badshah ki baaten sun hairat ki inteha ko pohnchi usay dekhne lagi.. aaj tak kisi ne usse pyar ka izhaar nahi kia tha. kahan ye aane wala badshah ban usay apni malika bol raha tha..

vijay pratap singh taish me aa gaya. helicopters par aai force ko bhul wo badshah ki shirt pakad kar ghuseela lahje me bola --- jaan le loonga mai teri saale.. komal meri hone wali patni hi nahi.. hamare khandan ki izzat bhi hai.. koi aera ghera uska naam bhi le.. to mai uski zubaan guddi se nikaal kar khench daalun.. fir se komal ka naam na lena tum....

badshah ne apne sath aai ladkiyon ko dekha. jo honto par shant muskan liye apne bos ko dekh rahi thi...

badshah vijay pratap singh ko dekh bola ---- dunya me wo hath salamat nahi raha. jo mere collar ki orr badha.. tumne meri shirt pakdi.. mai fir bhi tumhe maaf karta hon. jante hon kyu..

jante ho kyun.......

itna bol badshah ne apne chahre se mask noch phenka.. badshah ka chahra dekh raj laxmi do kadam peeche ho gai.. hairat me aai ankhen phaad kar badshah ke chahre ko dekh rahi thi..

vijay pratap singh aur wahan parivar ke khade sabhi sadasy paglon jaise face banaye badshah ko dekh rahi thi..

tabhi shalini singh ki cheekh sunaai di... wo "suryaaaaaaaaaaaaa.. mere laal" cheekhti hui bhaagi..... aur badshah ke saamne ja khadi hui.. roti ankhon se apne bete ko dekhne lagi..

badshah ne shalini singh ke aate hi do kadam peeche hata liye the. shalini singh roti hui apne bete surya ko dekh rahi thi..

wahi komal rani ab aur bhi hairani se surya ko badshah ke roop me dekh rahi thi..

wahi surya ke pita mahindr singh surya ka chacha surya ki bahnen sab ajib ankhon se surya ko dekh rahe the..

surya cheekhta hua bola ----- main hon.. is parivar ka sabse useless ladka.. itna useless ki.. meri hi maa aur dusre sabhi mujhse thukna bhi pasand nahi karte.

shalini tadap kar aage badhi -- nahi nahi mere bete.. aisa mat kaho.. tumhare jane ke bad mai ek pal bhi chain se nahi so pai hon.......

surya hasta hua bola -- hahaha.. kya karti ho aap shalini singh ji... mere jaise do kodi ke ladke ke liye aap bechain rahi... nahi nahi.. mujhe aap ki baaten bahla nahi sakti. pahle mai useless ladka tha. mand buddhi tha.. koi mujhe janwar samjhta to mai janwar ban jaya karta tha. koi mujhe kohlo ke bail ke jaise treat karta to mai bail ban jaya karta. mai tha hi kyaa.. kon tha. koi hasti nahi thi meri.. koi hasiyat nahi thi meri..

lekinn aajj.. khair mai bhi itni baaten kahan kar raha hon.. mujhe aap me se kisi se koi bhi baat karne ki ichha nahi hai.. mai yahan apni jan apni komal ke liye aaya hon..

itna bol surya chalta hua mandap me bethi komal rani ke paas ja pohncha.... komal rani usay dekh ghabra kar uth khadi hui thi..

surya ka bada mann hua.. wo sone ki is murat ko chho kar dekhe.. lekin nahi chhoo sakta tha.

surya -- jaisa prem mai aap se karta hon komal rani.. aapki marzi ek bina mai aap ko chhoo bhi nahi sakta..... aap ko apna banana mere mann ki sabse badi aarzo hai.. lekin mai kuchh bhi apni marzi anusar nahi karunga.. dil par kisi ka zor nahi chalta.. mere dil par mera zor nahi chal saka. to mai aapke dil par kya zor chalaaon.. mai bas itna hi chahta hon.. aap ye shadi na karen..

komal rani koi aam ladki nahi thi. uska parivar desh ka nami girami khandan tha. wo us parivar ki sadasy thi.. ab tak khamosh rahi thi. bohut kam boli thi. lekin dil ki kamzor nahi thi.. surya ke kai roop usay dekhne ko mile.. lekin surya tha to isi parivar ka sadasy..

komal rani ki madhur awaz surya ke kano me padi ---- kyun.. main na karun mai ye shadi....

surya ne komal rani ki ankhon me dekha. fir bola ----- kya aap apni maa ko paye bina shadi kar sakti han. kyaa aap apne parivar ke dushmano ke nash se pahle shadi jaise bandhan me bandh sakti ha. kis dil se aap shadi ki surat milne wali khushiyon ko celebrate kar sakti han.. aur fir jo dil me na ho. kaise usay apna tan man sonp sakti han..

komal rani ko surya ka baat karne ka andaz bhane laga.. apni maa ki baat sun wo bechain hui. apne parivar ke katilon bare sun uske andr aag jalne lagi.. fir surya ki dil wali baat par uske dil ki dhadkano me thodi si hulchal machi..

komal rani ne side dekha.. raj laxmi aur parivar ke sabhi sadasy khade surya aur usay dekh rahe the. shalini singh ke bad ab surya ke dono bahnen ki ankhen bhegi hui thi.

komal rani ---- dil to mera tumhare liye bhi nahi dhadakta ha. fir tum bhi to mujhe nahi pa sakte ho.

surya --- ye dil ki lagi hai komal rani.. bhagwan ki kripa se mere pass wo hai. jo

surya apni dadi raj laxmi ki orr dekh kar komal rani se bola --- in sab ke paas bhi nahi hai.. mere pas nahi ha to aapka dil nahi hai.. aapke dil me mera nam nahi hai..

komal rani ---- dil par zabardasti to naam nahi likha ja sakta

surya --- pyar me zabardasti hoti bhi kahan ha

komal rani --- badi badi baaten karna seekh kar aaye ho

surya --- aur bhi bohut kuchh seekh kar aaya hon..

komal --- to batao..

surya ---- aapka dil jeetne ke liye mai wo sab kar jaaunga. jo aapka dil jeetne ke liye mumkin ho saka.

komal rani --- mai ab bhi nahi samjhi. tum mere dil jeetne ke liye kya kar sakte ho.. aur fir tum mera dil jeetoge hi kyu.. mai kitni badi hon tumse..

lekin wo surya ko apna saamne khade pa kar khud ko surya se bohut chhoti mahsus kar rahi thi.

surya --- pyar umar nahi dekhta komal rani.... mujhe aapka dil jeetna hai. uske liye mere pass ek hi rasta hai

komal rani -- konsa rasta?

surya ---- aapko is layak banaonga.. aap khud se apne dushmano se badla le sakenge.. agar aapki ichha hui.. mai aapki mother ko bhi dhund nikalunga.. lekin mera chahta hon. aap is kaabil ban jayen.. aap ko meri sahayata ki zaruarat na rahe.. apne dum par apni mother ko bhi talash karen.. aur apne parivar ke katilon se gin gin kar badla len.. aapka dil jeetne ka bass yehi ek rasta meri samjh me aata hai...

komal rani ka dil dhadkane laga.. apni maa ke liye machalne laga. apne parivar ke katilon ke jalne laga. fi wo dukhi lahje me boli -- mai ek nazuk si ladki hon. kuch bhi to nahi kar sakti.....

surya -- agar mujhse vishwas kar saken.. to sab kuchh mujhpar chhod den.

surya ne apna hath badha dia..

komal surya ke hath ko dekhne lagi. jo halke se kanpne laga tha..

komal rani ko hairani hui.. itna strong hote hue bhi surya kanp raha tha.. itni badi force le kar aaya tha. itne shahana andaz me aaya tha. lekin uska hath thamte hue kanp raha tha..

komal rani itne barson me pahli bar dil se muskurai.. fir usne apna hath surya ke hath par rakh dia.. surya ko yakeen nahi aaya.. wo hath uske hath me hai.. jis ki chah barson se wo dil me paal raha tha.. surya ka dil bhi zor zor se dhadakne laga. uski ankhen nashe se band hone lagi. dunya ki sabse badhkar dil ko bhane wali ladki ka hath uske hath me tha..... usay khud par garv mahsus ho raha tha..

komal rani khansti hui boli -- sab dekh rahe han surya..

surya ne hadbada kar ankhen khol den. jhat se komal rani ke hath se apna hath alag karta hua apne hath ko dekhne laga. fir beakhriyar apne hath ko chum gaya..

komal rani ko aisa laga. jaise surya ne bhari mahfil me uske hath ko chum lia ho. pahli bar uske dil ki dhadkano me jaise koi naghma goonja..

surya --- to fir chalen mere sath.

komal rani ---- kahan.. mai jab se is kothi me aai hon. surakshit rahi hon. bahar jaungi to mere andekhe dushman mujhe jaan se mar denge.

surya muskuraya---- dunya me koi aisa nahi hai. jo badshah se takra sake.. mai surya hon aapke liye. sab ke liye.. lekin mai dushmano ke liye badshah hon. mujhse takrana to door ki baat mera saamne karne wale ki pant geeli ho jati ha..

itna bol surya komal rani se soory bolne laga.. sorry main shabdo ka galat istemal kar gaya..

komal rani surya ko hairani se dekhne lagi. sochne lagi. kitna samman de rha ha surya usay... usay dil ko khushgawar ahsas hua.. uske dil ne kaha. wo surya ka hath ankhen band karke thaam le.. uski har baat maan le.

komal rani --- kaha lejaoge mujhe

surya -- aisi jaga.. jahan koi aapka saya bhi na pa sake...

komal rani -- to fir mujhe le chalo.. zindagi agar tabdeeli chahti ha to main bhi khud ko badalne ka pura pura prayas karungi.. dekhungi. zindagi mujhse kaisi kaisi prikshaen aur leti hai.. pura parivar kho chuki hon mai. jitna nuksan uthana tha maine utha lia..

komal rani surya ke sang mandap se utarne lagi.. komal rani ke surya ke sath jane ki baat par hulchal mach uthi.. komal rani ek dulhan thi. kuch hi der me uski shadi vijay pratap singh ke sath hone wali thi.

lekin shadi khatai me pad gai thi... komal rani surya ka hath thame chalne lagi.. raj laxmi kaise sahn kar pati.. vijay pratap singh ya kisi ke liye bhi surya ki amad fir komal ka shadi na karte hue surya ke sath jana pasand nahi aya.

raj laxmi surya aur komal rani ke beech aa gai.. dono ko pahle to sakht nazron se dekhne lagi. fir narm padte hue boli ---- surya bete.. komal beti ko youn leja kar tum khandan ki izzat mitti me milane ja rahe ho. nahi.. mai aise tumhe komal rani ko lejane nahi de sakti...
Bhai Surya ke sath hua kya tha past me ye to aapne btaya hi nhi
 
  • Like
Reactions: Alanaking and Neni

Loser X

Member
231
589
94
Great start bro 💯💯
 
  • Like
Reactions: Neni

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,877
15,617
144
up-----------4

komal jab surya ke saamne pohnchi.. surya gufa se bahar pathar ki bani ek chair par betha tha. komal rani ko apne karib paya. to nazar utha kar usay dekha. jaise hi surya ki nazar komal rani padi. wo ek jhatke me uth khada hua.. uska moh hairat se khula rah gaya ha.

wahin komal rani khud me simatne lagi.. komal rani ke sath aai ladkiyan ek dusri ko dekh khilkhila kar hasti hui wahan se jane lagi..

surya -- komal ji ye aap hi han.. maa kasam.. aap aise lag rahi han.. jaise akash se apsara dharti par utar aai ho.

surya kuchh der komal rani ka deedar karne ke bad khud par kabu pate hue komal rani se bola tha.. komal rani maare sharam ke gadhi ja rahi thi. woh dhire se boli

komal rani -- maine bohut mana kia.. lekin wo.. kisi ne meri ek nahi suni.. aur mujhe meri ichha anusar youn bana dia..

surya komal rani ko pairon se lekar upar tak dekhne laga.. komal rani kisi princess ke jaise dress me thi.. bada hi sundr aur chamakta hua light blue colout ka dress usne pahn rakha tha.. balon ko badi khubsoorti ke sath sanwara gaya tha.. upar se dunya ke anmol patharon se bana bada hi sundr necklace uske gale me tha.. sar par ek taj ke jaise heeron jada jaisa kuchh pahn rakha tha.. wahan pahadon me paye jane walun bohut hi sundr phoolon se banaye gaye gajre komal rani ki gori chitti kalaiyan me apni puri aab o taab ke sath maujud the..

surya ko apni saans rukti hui mahsus hone lagi.. wahin komal rani apni baat ka jawab na pa kar surya ko dekhne lagi. jaise hi uski nazar surya par padi. ghabra kar usne apni palken jhuka leen. uska dil zor zor se dhak dhak karne laga.. surya usay aise aashiqana andaz me dekh raha tha. komal rani taab na laa pai.. woh surya ki ankhon me nahi dekh saki.. sharam itni usay aane lagi.. sar utha pane ki kshamta kho bethi.. wo sharam se larzne lagi..

kahan woh barson apne parivar ke sath rahi thi. parivar ke khatam hone ke bad kothi me ek pheeki zindagi guzarti aai thi.. kahan kuchh hi ghanton me uska sab kuchh badal kar rah gaya tha.. woh surya ko dekh, uski baaten sun uspar bharosa karti uske sath aa gai thi.. surya ne uske liye aisi chahat aur iradon ka izhaar kia tha. chahat ko nakaar iradon ko jaan woh pure mann se uske sath in pahadon me chali aai thi.. uske dil ko koi rog nahi tha.. apni maa ke missing hone, apne parivar khatam hone ke bad dil me feelings jaisa uske andr kuchh rah hi nahi gaya tha..

lekin ab.. ab to surya ki jageer me thi woh.. jahan uska purana koi jaanne wala nahi tha. wahan thi.. jahan ka surya king tha.. aur sab ki nazron me woh is chhoti si saltanat ki queen....

surya ki uske liye chahat.. fir aisa banna sanwarna aur ab surya ka usay prem ki aisi shiddat ke sath taadna.. komal rani dil ki dhadkano me hazaron alag tarah ke saaz bajne lage.. kuch bhi tha. woh surya ki aisi nazron ko face nahi kar pa rahi thi... woh ladkhaane lagi.. woh girti.. usse pahle hi surya ne jaldi se usay thaam lia.. komal rani ko pathar ki seat par bitha kar khud side khada uske kadmon me beth gaya..

surya madhoshi me bola -- mai dunya walun ki nazar me badshah hon. ek aisa insan hon. jiski ankhon me dekh pana. uska saamna kar pana ksii ke liye mumkin nahi hai. lekin.. maa kasam.. mai aapko dekhne ki kashamta khud me nahi pata.. bhagwan ne aap ke jaisi koi bhi nahi banai.. itni sundr. itni haseen.. aisi saaf suthri.. nahi koi nahi ho sakti.. dunya me koi hai to woh aap han.. mai khush naseeb hon. bhagwan ne aap ko mere liye banaya..... aapki chahat mere dil me paida ki.

surya jazbat me dooba komal rani ka ek hath thaam gaya.. lekin komal rani kasmati hui door ladkiyon ko dekh apna hath chhudwa gai.. dhire se boli.. surya. plz surya.. hosh me aao.. dekho to sab dekh rahi han... mujhe ajib lag raha hai... plz uth jaao..

surya hosh me aaya.. khud ko komal ke pairon me dekh woh idhar udhar dekhne laga.. fir ek lambi gahri saans lekar chhodta hua bola..

surya -- sorry.. mai.. bahak gaya tha.. lekin apne shabdo par afsos ka izhaar nahi karunga.. ye shabd nahi the. mere dil ki sada the. sach kahta hon komal ji.. aap hi aap han meri zindagi me... lekin maine jo wada aap se kia tha. mai us par hamesha kayam rahunga.. mai lagi se khud ko nahi rok sakta.. haan par mai us din ka bechaini se intezar karta rahunga.. jab aap ke dil ki dhadkano me mai hi mai honga

komal dhire se -- lekin abhi mere dil ki dhadkano me tum nahi ho. plz uth jaao. mujhe ajib lag raha ha

surya uth khada hua.. wahan ek nahi do pathar ki chair thee.. lekin surya dusri par nahi betha. khada hi raha.. khamosh raha.. komal uske kuchh aur bolne ka intezar karti rahi. jab surya nahi bola to sar utha kar surya ko dekhne lagi.. surya sar jhukaye sochon me gum usay dikha..

komal rani -- surya.. ye tumhari rajdhani ha. tum khade ho mai bethi hon. le sahi nahi hai.. ya to tum bhi beth jaao. ya fir mai khadi ho jati hon

komal uth kar khadi hone lagi. surya jhat se bol pada -- nahi.. komal rani ji.. aap bethiye.. mai ab tak kuchh zayada hi kar chuka hon.. bina aap ki permission ke aap ke barabar beth nahi sakta..

komal muskura padi -- kyaa khayalon me gum yehi tum soch rahe the

surya -- nahi...

komal -- fir

surya dusri chair par bethta hua firse komal ko nihaarta hua bola -- woh.. mai ab tak aapke deedar ke nashe se nikal nahi paya hon

komal rani firse ghabra kar side dekhne lagi

komal rani -- tum bar bar ek si baaten kyu kiye ja rahe ho surya

surya -- kyaa karun.. barson aap se door raha hon. lekin ek pal ke liye bhi aap meri ankhon se ojhal nahi hui han. apka chahra kabhi meri ankhon se kabhi hata hi nahi. dil ki dhadkano me aap ke kothi me sune sare shabd aaj bhi roz e roshan ki tarah goonj rahe han..

komal rani badbadai.. kaise koi kisi ko itni shiddat se chah sakta hai

surya -- mai

komal rani firse chaunki. wo dhire se badbadai thi.. lekin surya ne sun lia tha.. komal ka moh aise ho gaya tha.. jaise uski chori pakdi gai ho

surya -- mai sargoshiyon me ki gai baaten bhi sun leta hon..

komal rani hairat se surya ko dekhne lagi... aisa kaise ho sakta ha

surya dhire se muskuraya -- meri zaat me bohut kuchh aisa hai.. aap vishwas nahi kar paayengi..

komal rani -- for example

surya -- aap se mai kuchh bhi kaise chhupa sakta hon.. bata dunga.. balki sab kuchh dikha dunga.. woh jo maine sari dunya se chhupa kar rakha hai.. aap to mere dil ki ek ek dhadkan me hann. kaise kuchh bhi aapse chhupa kar rakh sakta hon..

komal rani - to bata do na

komal rani badi ada se boli thi. aisa khud se bol gai thi. ab usne khud par dhayan dia. to hadbada kar chahra fer gai.. woh khud me sochne lagi. wo kyu surya se aise bol gai. woh kisi ke saamne aise to nahi aaya karti..

surya -- aap abhi aai han.. pahle aap ko nazuk si doll se pathar me tarasha jayega.. sath hi sath aap sab kuchh janti bhi jaayengi..

komal rani -- kab.. kab mujhe moam se pathar bana rahe ho..

surya -- komal ji aap mallika han.. mere dil ki bhi.. aur yahan maujud sabhi ki.. jab bhi aap ka hukam hoga.. agya ka palan shuru ho jayega..

komal rani surya ko ghoor kar dekhne lagi.. surya samjh rha tha. woh zayada komal ko dekhega.. to komal usay kam dekhegi.. wo khul kar na to bol payegi.. aur hi usay dekh payegi.. isliye surya ab idhar udhar dekh kar baat kar raha tha..

komal rani surya ko dekhti rahi.. uski nazar gahri hoti chali gai.. surya ka mardana chahra.. usay bohut bhaa rha tha. woh usse 5 baras chhota tha.. lekin woh khud ko usse chhota smajh rahi thi.. halat ke sard o garam ne surya ko umar se bohut bada bana dia tha..

komal rani - surya... mai yahan a gai hon to.. jab chahu moam se pathar me dhalna shuru ho jaaongi.. lekin maine aj se pahle tumpar kabhi dhayan nahi dia.. tum surya ho. dadi maa raj laxmi ke pote ho.. mai tumhare bare me isse zayada kuchh nahi janti.. mai tumhe shuru se jaanna chahti hon. tab se janna chahti hon. jab tum is dunya me aaye the.. hamare paas samay hi samay ha.. tum batao apne baare me..

komal rani ki baat sunkar surya ke chahre par jo pahle regular ek chamak thi. khushi ki tah ne chahre ke ek naqsh ko dhanp rakha tha.. komal rani ne surya ko uska guzara kal yaad karne ko kaha to surya ke chahre ke sare rang pheeke padne lage..

komal rani -- sorry maine tumhare purane zakham kured daale. kasam se mera aisa koi irada nahi tha..

surya ne komal ko dekha.. fir ankhen band karta hua khud ko relax karta.. ankhen khol gaya.. komal rani ne dekha.. kitni jaldi surya ne apni ankhon ke bhavo par kabu pa lia tha.. wo aur bhi hairan hui.. bhala itni jaldi koi khud par kaise kabu pa sakta hai

surya -- aap mujhse han ki nahi.. lekin mere seene me dhadak rahe dil ki har ek dhadkan aap ke dum se hai.. maine pahle bhi kaha tha. mai dunya se khud ko chhupa sakta hon. lekin aap se nahi.. mai to apna guzra ek ek lamha aapko khul kar bataonga.. sahi bhi aur galat bhi..

komal rani -- galat bhi.. matlab?

surya -- kon hai dunya me.. jisse sab kuchh theek hi hua ho.. har insan zindagi me kuch sahi karta hai kuchh galat... lekin matlab parast log dunya walun ke saamne sahi bayan karte han.. galat ko chhupa jate han.. lekin aap mere dil ki rani ho. mere sab sahi galat ka aap ko pata hona chahiye.. mai apna galat chhupa kar kabhi aap ko pa nahi sakunga.. aur aap ko pana meri zindagi ki sabse badi aarzo ha. kahen to mere jeene ki aarzo hi aapko pana hai.. ek baar aap ko pa lia.. fir maut bhi aa jaaye to koi gham nahi..

komal rani ne hath badha kar jhat se surya ke moh par rakh dia -- maren aap ke dushman.. fir kabhi mere saamne marne ki baat mat karna..

surya apne honto par komal rani ke narm hath ko pa kar firse madhosh hone laga tha. uski rag rag me nashe utarne laga tha.. surya ki ankhen band hoti chali gai.. komal rani ne pahle to dhayan nahi dia. jab dia to jhat se apna hath hata gai.. usay ajib si jalan ka ahsas apne hath me hone laga tha. surya ke garm honto ka sparsh jaise uske hath ki unglion se hota hua uske sharir me daudne laga. komal apne andr aise ahsas ke janam lete hi ghabra gai..

woh hairan thi. kitne kam samay me uske andr hulchal si machne lagi thi.. woh aisi ladki to nahi thi..

kuch der ki khamoshi ke bad komal rani ne darte darte surya ko dekha.. dekha to paya surya upar aakash me door talak dekh raha tha..

surya fir khawab ki si halat me bola -- jab mera janam hua to mai bhi parivar ke dusre bachhon ki tarah khush naseeb tha. dunya me sabse pahla sparsh jo maine paya.. wo sparsh maa ka tha.. dunya me sabse pahle kisi ko jana to woh maa thi..

lekin.....
Lajawaab update
 
  • Like
Reactions: Alanaking and Neni

Amrit_#0

Active Member
1,786
3,872
143
up-----------3

surya komal rani ko lekar apni heli force ke sath uttarakhand ke pahadon me ja pohncha tha. komal rani itni der se khamosh bethi rahi thi. bohut kuchh uske mann me chal raha tha. zindagi me pahli bar wo khud ko mabzut hathu me feel kar rahi thi. warna jab tab raj laxmi ki kothi me rahi thi. har dum dhadka laga rahta tha. jane kab uske sath kya ho jaaye. surya ka sath pa kar usay wo khud ko bohut surakshit feel kar rahi thi. bohut kuchh surya bare sochti ja rahi thi. surya ne jitni bhi baaten kothi par kari thi. komal rani un sari baaton ko yaad kar rahi thi. surya ke uske liye vicharon ne komal rani ke andr hulchal macha di thi. wo bhi kabhi is layak ho sakti ha. khud ki kabhi raksha kar sakegi. apni maa ko talash kar sakegi. apne parivar ke katilon se inteqam le sakegi. ye sari baaten ek deewane ka khawab hi samjhi ja sakti thi. lekin komal rani ka dil bol betha tha. wo surya ke ek shabd par ankh band kar ke bharosa kar le. aur usne kar lia tha.

jab heli force apni manzil pohnchi. to surya ne usay mukhatib kia

surya -- hamari manzil aa gai hai komal rani ji.

komal khayalon se bahar aai. surya ko dekh neeche dekhne lagi. fir charon orr dekhne lagi. hairat se boli -- tum yahan in pahadon me rahte ho.

surya muskuraya -- haan... ye bhi mera ek thikana hai.

komal rani -- ek thikana. matlab kya hua tumhara is baat ka

surya serious hota hua bola -- komal ji.. aap ne apni zindagi ke 19 saal apne parivar ke sath guzare. baki ka sara samay dadi maa ke charno me guzara.. hamari dunya sadharan nahi hai. kisi ek bande ko power mil jaaye to uski zindagi me aane wala har dushman ser par sawa ser bankar saamne aata hai

komal rani uljhi nazron se surya ko dekhne lagi -- mai abhi bhi nahi samjhi hon surya

surya ke honto par meethi muskan ubhar aai -- thanks. aapke honto ne mera nam lia.

komal rani jhat se apne hont bhench gai. wo aisi to nahi thi. surya ki baaton par wo bar bar hadbadane lagi thi. apne hont aise band kar gai. jaise galati se surya ke bol gaye the.

surya -- nahi.. komal ji.. aap ke in honto se nikla ek ek shabd mere liye amrit ha. mere nam ka aapke honto se nikalna to mere liye saanson ke jitna khas hai.. plz apne in payare honto par sakhti mat kariye.

komal rani surya ki ankhon me dekhne lagi.. itni der me helicopter force land kar chuki thi. surya pahle utra.. fir komal rani ko ek mallika ke jaise protocal deta hua jhuk kar ek hath badha gaya..

tabhi komal ne dekha.. helicopters me aane wali force me pilot tak female thi. wahan pahle se bhi kuchh females maujud thi. wo sab ki sab do sides me khadi ho gai. pahle se maujud females ke hathu me phuloon se bhare tokde maujud the. komal rani ko kadam kadam kar hairat ke jhatke lag rahe the.

surya ka hath abhi tak badha hua tha. komal rani ne apne sawagat ke liye khadi females ko dekh kar surya ko dekha.. komal rani ko sach me aisa laga. jaise wo is chhoti se riyasat ki mallika ho. komal rani ne apna hath surya ke hath me de dia..

helicopters ke par tham chuke the. pahadon me ab sannane ka raj tha. koi awaz thi to surya ke dil ke dhadakne ki awaz komal rani ke kaano me sunai de rahi thi. komal rani ne bade aitmad ke sath apna hath surya ke hath me de dia. aur badi shan ke sath heli se neeche utarne lagi..

jaise hi wo neeche utari. usne chaha apna hath surya ke hath se hata le. lekin yahan koi mard nahi tha. yahan sab surya ki force se wabasta ladies hi thi.. aur fir wo surya ka dil nahi dikha sakti thi. uska maan gira nahi sakti thi.. usne apna hath nahi hataya.

surya ko laga.. jaise wo komal rani ko jeetne ki pahli seedhi paar kar chuka ho.
wahan kabhi kai females ne phoolon ki barish shuru kar di.. kuchh lady force ne gun se firing karni shuru kar di.....

sach me komal rani ka sawagat QUEEN ke jaise kia ja rha tha.. komal rani sab ko ek nazar dekhti hui surya ke sath chalti hui ek gufa ke andr ja pohnchi. gufa ko andr se dekh komal rani hairan rah gai..

komal rani ke moh se tareefi shabd nikalne lage -- woww.. surya ye to sach me dunya ki sabse amazing place ha. kitna sundr ha cave... kitna decorate kia hai ise tumne. shayad hi kisi king ka aisa palace ho.

surya ke sath keval 4 ladkiyan han. baki sari bahar hi ruk gai thi.

surya -- ye to kuchh bhi nahi hai komal rani ji.. apke liye aisa palace banaya ja raha hai. dunya me kisi shah ne apni rani ke liye nahi banaya hoga.

komal rani -- lekin mai to tumhari rani nahi hon.

surya -- nahi.. rani to aap han mere dil ki. mai badshah hon. aapke dil ka badshah ban saka ya na ban saka. lekin aap umar ki akhri manzil tak RANI bankar jiyengi. mai khud ko khush naseeb samjhonga. agar mai aapke dil me utar saka to.. lekin fir bhi ek chahne wala bankar, aapka hamesha saya bankar jeeta rahunga. dil par zor nahi chalta.. dil ko zor zabardasti apne vash me nahi kia ja sakta. mai us din ka besabri se intezar kar raha hon. jis din aap ke dil ki ek ek dhadkan mera naam pukaregi.

komal rani ko ab sharam si aane lagi.. surya ki regular prem bhari baten usay ajib si lagne lagi thi. pahle kothi thi. ab surya ki rajdhani me thi. ye baat bhi uski sharam ko bohut badha rahi thi. wo apne premi ke paas thi. jahan sab ye janti thi. wo yahan ke badshah ke premika hai..

wo surya ki baat ka jawab na de kar idhar udhar tahal kar gufa ko andr se dekhne lagi. surya ko talne ka usay yehi bahana mila.. surya komal rani ko katrate dekh mand mand muskurane laga.

gufa ko achhe se dekhne ke bad komal rani mudi aur surya ko dekh palken jhuka kar dhire se boli -- yahan sari females hi kyun ha. koi bhi male kyun nahi hai yahan.

surya apne sath khade 4 girls ko dekh kar muskuraya -- fir komal rani se wahin khade khade bola -- mere dil me aap hi aap han. jab se aap ko dekha. maine jana ye dunya bohut sundr ha. warna to pahle mujhe shabd sundrta ka bhi pata nahi tha. aap ko dekh lene ke bad mujhe dunya bhar ki sundrta se prem ho gya. mujhe mardon se nafrat nahi hai. haan par mujhe mahilaon se lagao zayada ho gaya hai..

komal rani ko surya ki ye baat ajib lagi.. wo khamosh rahi

surya dhire dhire chalta hua komal rani ke saamne aa khada hua -- aap ka prem mere dil me jaga to mujhe sivaye prem ke kuchh nahi soojha. yahan jitni bhi mahilaen maujud han. wo isliye nahi han.. mai un sabhi se prem karta hon. ye sab kisi na kisi angle se pahle se kamzor thi. in ka dunya me koi nahi tha. koi inki sahayata karne wala nahi tha. dunya ke powerful log mardon ki force bana kar hukumat kar rahe han. aise me mai dunya se nirali force bana raha hon. ek to apke prem ke chalte dunya ki har nari mere liye samman layak hai. dusre jaise aap abhi kamzor ha. khud ki raksha nahi kar sakti. desh bhar me, dunya bhar me kai ap jaisi kai aisi han. jo apni izzat tak ki raksha nahi kar sakti. main aisi kamzor mahilaon ko strong kar khud ke dum par jeena sikha raha hon.

komal rani ko khud par jaise garv hone laga. ek aisa ladka usay chahta ha. jiska dil aur vichar sundr bhi han aur strong bhi.

komal rani - kya yahan mujhe koi khatra nahi ho sakta

surya -- nahi. yahan aap ko koi khatra nahi ho sakta.

komal rani -- itni badi heli force ke sath hum yahan aaye han. kaise army walun se, hamare desh ki secret agencies se ye baat chhupi rah sakti ha. wo jaan gaye to mere dushman bhi jaan sakte han. aise me wo sab ekjut hokar attack kar sakte han. ab tak maine ye jana ha. mere dushman bohut powerful han. kamzor hote to kabke fanaa ho chuke hote.

surya -- aap chinta mukt rahiye komal rani ji.. mai bhi dushman ko kabhi kamzor nahi samjhta. mai to pahle se jaan chuka hon. aaj ka insan powerfull banne ke liye najane kya kuchh karta fir raha ha. meri nazar hr ek baat par hai. ab rahi baat.. hamari army aur secret agencies ki.. to is area me 100km ki range me koi bhi detector kaam nahi kar sakta.. jaanne walun ne ye to jana hoga. hamara route kahan ha. lekin hamari manzil wo kabhi nahi pa sakte. haan agar wo hamari technology ko takkar de sake. to fir zarur hum unki nazron me aa sakte han.. ye mera ek chhota sa headquarter ha.. ise abhi banaya ja raha ha. warna main headquater kahin aur banaya ja raha ha.. jis find out kar pana, ya wahan mujhe ya mere kisi chahne wale ko nuksan pohncha pana kisi ke liye mumkin nahi rahega.. sabse khas baat. mere rahte ya meri force ke rahte koi aap ka baal bhi baka nahi kar sakta.

komal rani gahri nazron se surya ko dekhti hui ekdum se nazren fer gai. surya ki ankhon me usay apne liye chahat ke hazaron jungo jagamate hue dikhai diye the.

komal rani -- mai fresh hona chahti hon..

surya ne force ki ladkiyon ko ishara kia. wo komal ko sath liye ek side me aage badh gayi.

-----

vijay pratap singh ghayal sher ki tarah tadap raha tha. ab tak jane kitne hi doston ne fone par bazahir hamdardi se baat kari thi. lekin dar parda vijay pratap singh ko ye bata dia tha. us jaise jayale ke moh se uska apna hi bhai niwala chheen kar le gaya tha. ye baat vijay pratap singh bardasht nahi kar pa raha tha. theek ha surya komal ko isiliye sath nahi le kar gaya tha. wo komal rani se shadi karne ja rha tha. lekin wo komal se maom se pathar banane, fir uski komal ki maa ki talash aur dushmano se badla lene layak banane ke liye le gaya tha. ye baat bhi vijay pratap singh jaise mard ke liye ek challenge ka darja rakhti thi. wo konsa sa kisi se kam tha.. wo bhi to komal se shadi karne ke bad usay strong bana sakta tha. uski maa ko talash kar sakta tha. uske dushmano se badla le sakta tha. power me wo kisi se kam tha kyaaaa...

daru ke glass par glass gale me undelte hue vijay pratap singha aisi hi baaten soch rha tha.

fir wo kisi se faisle par pohnchne ke bad mobile nikal ek bande ko call karne laga

vijay -- surya kothi se nikal kar kahan kahan gaya. kya kuchh krta raha ha. mujhe ek ek baat ki report chahiye. kaise wo itna powerful ban gaya. kuchh bhi chhupa nahi rahna chahiye...

order dene ke bad wo kamre se nikla.. drawing room me usay apni dono bahne aur chacha ki betiyan dikhi.. vijay ko dekh sab uth kar khadi ho gai. vijay ne laal laal ankhon se sabko ghoora.

vijay -- kya tum sab bhi samjhti ho.. mai kayar hon. komal par mera nahi us useless surya ka haq hai.. nahi.. komal meri thi meri hai aur meri hi rahegi.. suna tum sab ne.. komal se shadi keval mai hi karunga. wo surya jo tees maar khan bankar aaya tha. mai dhund nikalunga.. komal ko usse chheen laaunga.. jaisa surya ne kaha. vaisa hi mai sab kar ke dikhaunga.. suna tum sabne.. meri is baat ko likh kar rakhna tum sab..

sari bahne vijay ko bada samman deti thi. usse darti bhi thi. jaisi insult uski hui thi. wo sab aur bhi usse khaufzada ho gai thi. payal singh karate me black belt thi. lekin vijay se chhoti hone ki bina usse darti thi.

payal singh kabhi surya ke karib nahi rahi thi. wo aaj surya ka badshah wala roop dekh pagal ho gai thi. usay yakeen hi nahi raha tha. uska bhai jo dabbo aur useless ladka hua karta tha. wo ek king bankar kitne shahana andaz me heli force ke sath kothi par aaya aur bade hi dabang tarike se khud ko introduce karwata komal ko filmi style me apne sath le gaya tha. jahan payal hairan thi. wohi usay apne kiye par badi sharmindgi bhi ho rahi thi.

vijay wahan se chal pada. payal ne apni bahan priya aur cousins ko dekha. uske andr ghutan badhi. wo wahn se jane lagi.

priya -- didi. kahan ja rahi ho

priya boli to to uski awaz me dard tha. haare hue jawari ka sa swar tha.

payal apne hont bhench nam ankhon ke sath 'naah' me sar hila kar wahan se chalti bani.

priya sisak padi -- haaye.. main apne bhai ke sath kaisi nainsafi karti rahi.. kaise mai uska saamna kar paaongi.

chacha ki betiyan kiran aur avantika ek sath boli -- hum ne bhi hamare bhai ko hamesha ek naukar se zayada ahmiyat nahi di.

priya khud ko hi laan taan karti hui boli -- mera to saga bhai tha. hum ek maa se the. fir bhi mai usse door rahi. usay ek naukar se zayada nahi jana. wo humse naraz hokar humen chhod kar chala gaya tha. ek bar bhi mere dil ne uski chah nahi kari.. shame on me.. mujhe to sharam se doob marna chahiye..

koi kisi se nazar nahi mila pa rha tha. mahindr aur sunrinder apne kamron me band the. surya ke bhai aur chacha ke bete bhi soch rahe the. kitna galat kia sabne surya ke sath.

vijay pratap singh raj laxmi ke pass ja pohncha. door knock karne laga

raj laxmi -- kon?

vijay -- badi maa.. mai hon vijay.

raj laxmi ne door khola. vijay raj laxmi ka khushi se damakta chahra dekh hairan rah gaya.

vijay - badi maa.. mera dil khun khun ho raha ha aur aap han kitni khush dikh rahi han. kyun.. mujhe bataiye badi maa. kyaa meri shadi toot jane par apko zara bhi dukh nahi hua. wo kal ka do takey ka surya meri hone wali patni ko sath le gaya. kahan gai aap ki aan baan aur shan. kahan gaye aap ke adarsh.. kahan gaye aap ke rules.. mujhe bataiye badi maa.. maine hamesha aapke har faisle par sar jhukaya ha. aap ne bhi kabhi koi nirnay aisa nahi lia. jisse hamare dilon ko thes pohnchi ho. lekin aaj.. badi maa.. aaj aap ne sahi nahi kia. surya ki tarafdari karke apne rules hi nahi tode han aapne. mujhe bhi meri nazron me do kodi kar dia hai..

raj laxmi shant khadi vijay pratap singh ki kadwi baaten sun rahi thi. vijay khamosh hua to wo boli -- jaao.. sab ko haal me ikatha hone ko bola. mai aa rahi hon. wahan tumhe tumhari baaton ka jawab bhi dungi. aur apne ek ahm elaan bhi karungi..

vijay jo bade josh me raj laxmi ke pass aaya tha. raj laxmi ka thanda mizaj jaan hairan rah gaya.

raj laxmi -- jaao.. jan kar sabse kah do.. aaj ka din bohut khas hai.

raj laxmi ne darwaza band kar dia. vijay pratap singh kuchh shan band door ko ghoorta raha.. fir wahan se chal pada..

---------

kothi ka haal sabhi family membres ke sath khas banaya gaya tha. jab bhi sabhi ko ek sath salah mashwara karna hota tha. wahin beth kar kia karte the..

raj laxmi ek badi chair par bethi thi. parivar ke sabhi sadasy uske saamne sofon par bethe hue raj laxmi ko dekh rahe the.

raj laxmi bari bari sab ko nazar bhar kar dekhne ke bad unche swar me boli

raj laxmi -- jab tak mere sar ka taj bhano salamat raha. mai ek sanskari patni bani rahi. jahan meri zaruart hui. wahan maine apna role ada kia.. bhano pratap singh jab tak rahe. parivar me sare faisle wahi lete rahe.. mai aur tum sab unke har faisle par sar jhuka kar amal kia karte the. unke dehant ke bad tum sab ne mujhe parivar ka mukhiya maan lia. unke jane ke bad maine koi bhi faisla apni ichha anusar nahi lia. parivar ki bhalai ke liye mujhe jo sahi laga. maine wo kia. bhagwan ki kripya aur tum sab ke pyar ke karan mai apni zimmedari nibhati rahi. lekin....

raj laxmi itna bol khamosh hui. fir kuchh shan sabhi ko dekhne ke bad boli

raj laxmi -- lekin.. parivar ki mukhe sadasy hote hue bhi maine kuchh galiyan ki. tum sab ne bhi ki. surya bete ke sath insaf nahi kar pai. wo mera pota tha. usay na pyar de saki aur na hi samay. parivar ke dusre ladkon ki tarah usay ladka na samjh kar, parivar ka sadasy na samjh kar naukaron ka sa bartav karti aai.

raj laxmi ki is baat par shalini singh sisak padi. rah rah kar wo khud ko koos rahi thi.

raj laxmi -- aksar insan ki zindagi me achanak na samjh me aane wale badlav aa jaya karte han. aise bhi badlav aa jaya karte han. jinhe hamare mann hamare vichar sweekar nahi kar pate. lekin badlav aane par khud ko badle bina rah pana mumkin nahi rahta. mujhse pahle bhano pratap singh is parivar ke HEAD the. unke bad main HEAD bani.. aaj achanak se surya ne aa kar mujhse meri post chheen li. usne khud ko mujhse bartar sabat kar dikhaya. ye kothi nahi hai. ek aisa qila ha. jiske andr ghus pana mumkin nahi. lekin surya pratap singh ne qile jaisi kothi ki sari suraksha ko mitti me mila kar, komal rani ko leja kar khud ko sabat kar dikhaya. woh mera hi ek ang ha.. mujhe meri haar par dukhi hona chahiye. sharam se mar jana chahiye. lekin koi bahar ka aisa karta to zarur mai sharam se mar jati. lekin surya jaisa bhi hai. isi parivar ka beta hai. surya ne khud ko sabse bartar sabat karke mujhse meri post chheen li hai.

itna bol raj laxmi apni chair se uth khadi hui..

raj laxmi -- main ab tak is chair par isliye bethi thi. kyunki bhano ke bad ye mere bhage me aa gai thi. lekin surya ne mujhse is kursi par bethne ka adhikar chheen lia ha. so ye HEAD OF THE FAMILY wali CHAIR mai uske liye chhod rahi hon. woh jab kabhi bhi aayega. is chair usay khali milegi.

itna bol raj laxmi sab ko bari bari dekhne lagi. sab raj laxmi ki baat par hairan the. lekin vijay pratap singh ke andr hi andr jwalamukhi dahakne laga tha.

vijay -- nahi.. badi maa.. nahi.. mujhe aapna ye faisla sweekar nahi hai.. aap is kursi par nahi bethna chahti.. na sahi.. lekin surya hi is chair par bethne ka iklota haqdar hai.. mai nahi maan sakta.

raj laxmi ne hath utha dia..

raj laxmi -- abhi meri baat khatam nahi hui hai vijay..

vijay na chahte hue bhi khamosh ho gaya

raj laxmi -- bhano ke bad mai hi ab tak is parivar ki raksha karti aai hon. HEAD OF THE FAMILY hone ke bate main hi sare faisle leti aai hon. lekin ab mai HEAD OF THE FAMILY nahi rahi. meri nazar me surya HEAD OF THE FAMILY hai.. tumme se koi agar khud ko is kursi ke layak samjhta hai to woh khud ko sabat kar sakta ha. khud ko surya se bartar sabat kar ke dikha de. mai khushi khushi usay ye chair sonp dungi.

vijay - wo kal ka ladka surya kya bechta hai mere saamne. aur fir usne abhi tak khud ko sabat hi kahan kia ha. wo ab tak kahan raha. kiske under raha. humme koi nahi janta.. aapne ye chair surya ke liye chhod di hai. lekin aap ne is baat par dhayan nahi dia. kyaa waaki me surya badshah ha. kya wo waaki me itna powerful ha. jaisa yahan aa kar woh khud ko show karwa gaya ha. kyaa wo kisi ka paltu nahi ho sakta.

paltu shabd par shalini ka kaleja jaise chhalni ho gaya. woh apni chair par uth kar cheekh padi

shalini singh -- vijay!!.. sharam karo apne hi chhote bhai ke liye aise shabd istemal kar rahe ho.

vijay -- mai aap se maafi maang loonga maa. lekin maine jo kaha. usay aap ya koi bhi galat sabat kar de.. surya ko humne dekha. uske sath keval ladkiyan hi dikhai deen. dunya me kitni organizations han.. jo dunya par raj karne ke liye apne mohre dunya bhar me nahi phelaya karti. kyaa pata.. surya bhi kisi organization ka mohra ho.. wo khud me kuchh na ho.. uski lagaam kisi aur ke hath me ho. wo khud ko badshah kah raha tha. kyaa aap kah sakti han maa. uske sath aane wali sari ladkiyan uske under kaam kar rahi han. kyaa aisa nahi ho sakta.. surya aur wo sari ladkiyan aur sare helicoptres ki dushman desh ki orgazination ya fir kisi gangster gang ke ho sakte han.. aise me surya na keval HEAD OF THE FAMILY wali kursi ke layak nahi ha. woh hamare parivar me wapis se shamil hone layak bhi nahi hai.. barson se hamara parivar rajaon maharajaon ki tarah jeeta aaya hai.. rajaon ke jaise humen samman dia jata ha. hum bhi raja bankar praja ki dekh rekh karte han. jitna khud khate han.. usse kahin badhkar daan kar dete han.. kyaa surya daan karne layak ha.. kyaa wo khud ke dumm par bhi kuchh hai.. kyaa woh kisi ka kharida hua mohra to nahi.. hai kyaaa aapke pass mere kisi bhi uttar ka.. kyaaa koi aur mujhe mere uttar ka jawab de sakta hai...

vijay pratap singh ki baaten sun raj laxmi samet sabke vicharon me jaise tufani hawaon ke jhakkad chalne lage. pahle surya ko dekh aur jaan kaise wo sab aatmaglani me vyast ho gaye the. apne kiye par sharamsar the. khud ko apni hi nazron me gira hua mahsus kar rahe the.

lekin ab.. ab halat ka dusra rukh saaamne aaya to surya ke liye apne bartav ko soch surya ke badle roop ko zayada soch rahe the...

mahindr pratap singh uth kar khada ho gaya.. sab ko dekhta hua bola -- sab ki tarah main bhi khud ki nazron me jaise gir gaya tha. apne ek bete ko beta na maan kar khud par afsos kar raha tha. aaj surya ek naye roop me aaya ha. agar to uska ye naya roop uska khud ke dum par hasil kia hua hai to main ek baap hone ke bate usse apne kiye ki maafi maang lunga. bhale uske liye mujhe kitna bhi jhukna pade.. lekin agar vijay bete ki baton ke anusar surya agar kisi dushman desh ki org ya gangster gang ka koi mohra hai to main usay kabhi apna beta sweekar nahi karunga. surya ko khud ko sabat karna hoga.

surindr -- hamare adarsh ek samman han. hamara jeena bhale hi alag ho. lekin hamari soch ek hai. hum kuchh bhi aisa nahi karenge. jisse hamare purkho ki nek nami par koi ungli uthaye. main bhi surya pratap singh se prem karta hon. uske sath hui zayadtiyon par sharminda hon.. lekin .. agar mera bhatija surya ek bura ladka hai. dushman desh se mila hua hai to mai uska chacha bankar nahi.. usse ek desh premi bankar milunga.. hamare beech woh tabhi shamil ho sakta hai.. jab woh sacha aur khara sabat hoga..

shalini singh ab dohre dard se tadapne lagi thi. ek to bete se barson door rahi thi. usay uske hisse ka pyar nahi de saki thi. upar se jaisi baaten sun rahi thi. uska dil ro raha tha. kahin uska surya buron me mil kar bura to nahi ban gaya. kahin wo parivar ki nek nami par dhabba to nahi bann kar laut aya..

raj laxmi ke bhi vicharon me vijay pratap singh aur mahindr surindr ki baaten sun hulchal mach uthi thi..

woh mann me badbada rahi thi.. nahi.. hamara khun itna gandha nahi ho sakta.. nahi.. mera dil nahi manta.. surya bete.. kab firse rabta karoge.. dekho.. yahan tumhare charitr par hi ungli nahi uth rahi. sab ko lag raha hai. tum mujrim ban khandani khun me gandh milane ka karan ban rahe ho.. aa jaao. khud ko sabat kar dikhao. bata do.. tum bhano pratap singh ke sache janasheen ho..

raj laxmi samjh rahi thi. uske jaise sab ke mann me surya ke prati galat fahmiyan janam lene lagi han. lekin usay yahan kuchh to bolta tha..

raj laxmi -- vijay.. surya ki tarah tum bhi mere bete ho.. surya komal rani ko le ja kar usse shadi nahi kar raha.. tumhari shadi tooti ha. lekin tum chaho to ab bhi tum komal ko apni bana sakte ho

sab firse raj laxmi ko dekhne lage.

vijay pratap singh khil utha tha. usay laga.. wo haqiqat ka sahi rukh sabko dikhane me kamyab raha hai

raj laxmi -- vijay.. maine ye kursi surya ke liye chhod di hai.. ab is kursi par ya to surya bethega.. ya wo.. jo khud ko is ke kaabil sabat kar dikhayega. komal ko gudiya se lohe ki banane ke liye, komal ki maa ki talash aur komal ke khandan ke katilon ke sarvanash ke liye surya komal rani ko lekar gaya hai.. mai tumhe khuli chhoot deti hon.. khud ko sabat kar dikhaao.. surya tumhe jahan kahin bhi mile.. usse komal rani ko apne kabze me karo.. jaise vichar surya komal rani ke liye rakhta hai.. jaise irade surya ne komal rani ke liye zahir kiye han.. tum bhi khud ko surya ke mukable par khada kar sakte ho. lekin meri ek baat kaan khol kar sun lena.. is ladai me tum dono bhaiyon ka khun nahi bahega.. komal rani par halki si bhi aanch nahi aayegi..

vijay pratap singh jaise jung jeet gaya tha. wo khushi se deewana ho gaya.

vijay -- badi maa.. sach kahta hon. aaj se pahle maine aap ke har faisle par hamesha sar jhukaya.. aap ke har faisle ko palan kia.. mujhe kabhi bhi aapke kisi faisle par aisa nahi laga. aap ke moh se nikle shabd galat han.. surya komal rani ko lekar gaya. lekin aap kuch nahi kar saki. mujhe aapke faisle aur power ki kami par dukh hua.. lekin aap ki ab ki baaten sun aapke liye mere vichar firse pahle jaise ho gaye han.. mai bohut khush hon. aap ne pahle ki tarah is baar bhi fark kiye bina insaf kia hai.. mai aap se wada karta hon. surya ko dhund nikalunga.. komal rani ko usse hasil karonga.. mujhe bhi ab komal rani se shadi ki koi jaldi nahi hai.. ab meri zindagi ka sabse bada laksh hoga.. komal rani ko faulad bana.. uski maa ki talash aur uske parivar ki dushman nash..

shalini singh aur sab kabhi vijay ko dekhte. kabhi raj laxmi ko..

raj laxmi -- ab akhri baat.. chunki mai ab HEAD OF THE FAMILY wali chair chhod chuki hon. isliye ab se parivar ki raksha aur dushman se ladai tum sab karoge.. tum se har ek ki responsibility banti hai.. woh parivar ke ek sadasy ki suraksha par pura pura dhayan de.. surya ke khul kar saamne aane se, komal rani ke surya ke sath jane se, dushman ab khul kar war karenge..

mahindr pratap singh -- maa.. hum na pahle kabhi kayar the. na hi ab han.. dushman ko eent ka jawab pathar se dena jante han.

surinder -- maa... hamare liye khandan ki izzat aur aan baan shaan se badhkar kuchh nahi.. aap bharosa kijiye.. khandan ke kisi sadasy par aanch nahi aane di jayegi.

raj laxmi -- bat HEAD OF THE FAMILY wali kursi ki hi nahi hai. khandan ki izzat ki bhi hai. meri kai betiyan han. dushman bohut neech hai. barson se peeth peeche war par war karta chala aa raha ha. ladiyon ki suraksha badha do. neech dushman war khali jate dekh kar neech harkat kar sakta hai.

-------

shalini singh apne kamre me akeli thi. door band karti hui wo dressing table ke saamne bethi khud ko aaine me dekh rahi thi.

shalini singh -- shalini singh.. kabhi tumne socha tha. zindagi tumse aisi priksha bhi le sakti. ek side tum bete ke sath ki gai na-insafi par tadap rahi ho. dusri orr jis bete ko apne anchal ki thandi mamta bhari chhaon me nahi sula saki. aaj uske badle roop par shak me pad gai ho.

shalini singh khud ko aaine me dekhti sawal jawab kar rahi thi..

shalini singh -- mai manti hon maine bohut galat kia. par kya karti. meri mat maari gai thi. mujhe kyaa pata tha. halat ka dusra rukh aisa bhi ho sakta ha. mai to samjhti thi. mere surya jaisa bhi hai. dunya me kahin na kahin hoga. jab bhi kabhi aayega to laut par mere hi paas aayega

shalini singh ke dusre vichar -- kyaa sach me tumne itna hi socha tha..

"to aur kyaa sochti"

"fir tumhare andr ye jung kaisi chhidi hui hai.... agar sab kuchh normal hi tha. to tum itni bechain kyu ho rahi ho.. kyun tum apne andr ghutan mahsus kar rahi ho"

"ghutan.. kaisi ghutan"

"kya kabhi aisi chinta me tum aai ho.. beta chuha tha. to dhayan nahi dia. ab woh sher bankar aaya hai to tum soch rahi ho. wo desh sevak bankar lauta hai ya desh darohi.."

"nahi.. nahi.. mai aisa nahi soch rahi"

"kyun khud ko fareb de rahi ho shalini.. aaj bhi tum utni hi galat ho. jitni ki pahle thi. bete ko sheron ki tarah aate dekh tumhare andr uske liye mohabbat umad aai thi. tum usay seene se lagane ke liye tadap uthi thi.. ab jab vijay ne shak ki neev dali hai to tum dorahe par aa khadi hui ho... kyaa surya tumhari kokh se nahi janma... kyaa tumne usay doodh nahi pilaya.. kyaa hua.. jo tumne uspar dusre beton ke jaise dhayan nahi dia.. lekin uski ragon me khun ki surat tumhara doodh daud raha hai.. bhano pratap singh ka khun aur tumhara doodh kyaa hua.. kyaa doodh pani ban gaya hai.. kyaaa khun me milawat ho gai hai..."

shalini singh cheekh padi -- nahi nahi.. mera doodh pani nahi ho sakta.. ek bar bhi maine upare mann se surya ko doodh nahi pilaya.. pata nahi kyu meri matti mari gai thi. bada hone par jab pata chala. woh mand budhi hai. aise me uspar zayada dhayan na deti hui dusre bachhon pr dhayan de gai thi.. ye meri galati hai"

"fir dusri galati kyu kar rahi ho.. kyu apne doodh par shak kar rahi ho"

"shak.. mai kahan shak kar rahi hon"

"shak nahi kar rahi ho.. to kyun nahi tumne vijay ko moh tod jawab dia.. kyu nahi kaha.. surya mar to sakta hai.. lekin mujrim nahi ban sakta.. wo jaisa bhi hai.. janam to usne tumhari hi kokh se lia hai... hazaron logo ki duaon ke anchal me tum log jeete ho.. fir surya par shak kaisa..."

"nahi nahi.. mai kabhi mere bete par shak nahi karungi.."

"kyaa ek maa hokar bina kuchh bhi surya ke baare me jaane uspar yakeen kar sakti ho"

" haan kar sakti hon!"

"to fir sab ko bata do.. tumhara surya kabhi galat nahi ho sakta.. wahi hai parivar ka asli rakshak.. wahi hai.. parivar ka iklota aur sacha mahaan waris.. koi uski jaga nahi le sakta.. wahi hai.. jis ke hone se parivar ka nam parivar ki aan baan aur shaan hazaron guna badhne wali hai"

shalini singh ek jhatke me uth khadi hui -- mai sabko bataongi.. mai bataungi.. maa ka dil kabhi usay dhoka nahi de sakta. ek maa ka doodh kabhi pani nahi ho sakta. mai sabko bataungi.. surya ke prati kisi bhi mann me doubt hai to wo apne mann ko dho dale.. surya sacha bhi hai aur khara bhi....

shalini singh apne ansu poche bina kamre ka darwaza dhadake ke sath khol karme se bahar nikalne lagi...

tabhi jaise uske kadmon me bediyan pad gai... wo tham gai.. khud se badbadane lagi.. lekin kis ko safaiyan dungi.. kisse kahungi.. mera surya galat nahi ho sakta.. kyaaa mai ab tak sahi thi.. ek maa hokar apne bete ka haq maarti aai.. ab agar maine kisi ko safai di.. to sab mujhpar hasenge. kahenge. tum wahi maa ho na.. jo apne hi bete se begani bani rahi.. doodh kyaa pilana band kia.. tab se leke ab tak usay ek bar bhi nazar bhar kar nahi dekha....

shalini singh ki sari takat jaise ek hi pal me dhay gai.. uske ab ke vichar uske iradon par bhari pad gaye.. shalini singh wahi gir padi .. apna seena peetne lagi..

"haaye maine ye kyaaaa kar dia.. mere bete mujhe maaf kardo.. mai tumhari maa banne layak nahi thi.. kyu bhagwan ne tumhe meri kokh me utaar dia.. thuuu hai mujhpar... thu hai.. jo mai ek maa ke naam par kalank ban gai...."

shalini buri tarah se rone lagi.. uska rona sun sare bhagam bhag uske paas aaye. usay khule darwaze ke beech o beech rote dekh sab pareshan ho gaye..

sab ne shalini se rone ka karan poocha. lekin wo chah kar bhi kisi ko kuchh bata nahi paai.. kis moh se apna dard bayan karti... ek matra khamoshi aur andr hi andr tapak rahe ansu uska mukdar the.
Awesome update bro 💯
 
  • Like
Reactions: Neni

Amrit_#0

Active Member
1,786
3,872
143
up-----------4

komal jab surya ke saamne pohnchi.. surya gufa se bahar pathar ki bani ek chair par betha tha. komal rani ko apne karib paya. to nazar utha kar usay dekha. jaise hi surya ki nazar komal rani padi. wo ek jhatke me uth khada hua.. uska moh hairat se khula rah gaya ha.

wahin komal rani khud me simatne lagi.. komal rani ke sath aai ladkiyan ek dusri ko dekh khilkhila kar hasti hui wahan se jane lagi..

surya -- komal ji ye aap hi han.. maa kasam.. aap aise lag rahi han.. jaise akash se apsara dharti par utar aai ho.

surya kuchh der komal rani ka deedar karne ke bad khud par kabu pate hue komal rani se bola tha.. komal rani maare sharam ke gadhi ja rahi thi. woh dhire se boli

komal rani -- maine bohut mana kia.. lekin wo.. kisi ne meri ek nahi suni.. aur mujhe meri ichha anusar youn bana dia..

surya komal rani ko pairon se lekar upar tak dekhne laga.. komal rani kisi princess ke jaise dress me thi.. bada hi sundr aur chamakta hua light blue colout ka dress usne pahn rakha tha.. balon ko badi khubsoorti ke sath sanwara gaya tha.. upar se dunya ke anmol patharon se bana bada hi sundr necklace uske gale me tha.. sar par ek taj ke jaise heeron jada jaisa kuchh pahn rakha tha.. wahan pahadon me paye jane walun bohut hi sundr phoolon se banaye gaye gajre komal rani ki gori chitti kalaiyan me apni puri aab o taab ke sath maujud the..

surya ko apni saans rukti hui mahsus hone lagi.. wahin komal rani apni baat ka jawab na pa kar surya ko dekhne lagi. jaise hi uski nazar surya par padi. ghabra kar usne apni palken jhuka leen. uska dil zor zor se dhak dhak karne laga.. surya usay aise aashiqana andaz me dekh raha tha. komal rani taab na laa pai.. woh surya ki ankhon me nahi dekh saki.. sharam itni usay aane lagi.. sar utha pane ki kshamta kho bethi.. wo sharam se larzne lagi..

kahan woh barson apne parivar ke sath rahi thi. parivar ke khatam hone ke bad kothi me ek pheeki zindagi guzarti aai thi.. kahan kuchh hi ghanton me uska sab kuchh badal kar rah gaya tha.. woh surya ko dekh, uski baaten sun uspar bharosa karti uske sath aa gai thi.. surya ne uske liye aisi chahat aur iradon ka izhaar kia tha. chahat ko nakaar iradon ko jaan woh pure mann se uske sath in pahadon me chali aai thi.. uske dil ko koi rog nahi tha.. apni maa ke missing hone, apne parivar khatam hone ke bad dil me feelings jaisa uske andr kuchh rah hi nahi gaya tha..

lekin ab.. ab to surya ki jageer me thi woh.. jahan uska purana koi jaanne wala nahi tha. wahan thi.. jahan ka surya king tha.. aur sab ki nazron me woh is chhoti si saltanat ki queen....

surya ki uske liye chahat.. fir aisa banna sanwarna aur ab surya ka usay prem ki aisi shiddat ke sath taadna.. komal rani dil ki dhadkano me hazaron alag tarah ke saaz bajne lage.. kuch bhi tha. woh surya ki aisi nazron ko face nahi kar pa rahi thi... woh ladkhaane lagi.. woh girti.. usse pahle hi surya ne jaldi se usay thaam lia.. komal rani ko pathar ki seat par bitha kar khud side khada uske kadmon me beth gaya..

surya madhoshi me bola -- mai dunya walun ki nazar me badshah hon. ek aisa insan hon. jiski ankhon me dekh pana. uska saamna kar pana ksii ke liye mumkin nahi hai. lekin.. maa kasam.. mai aapko dekhne ki kashamta khud me nahi pata.. bhagwan ne aap ke jaisi koi bhi nahi banai.. itni sundr. itni haseen.. aisi saaf suthri.. nahi koi nahi ho sakti.. dunya me koi hai to woh aap han.. mai khush naseeb hon. bhagwan ne aap ko mere liye banaya..... aapki chahat mere dil me paida ki.

surya jazbat me dooba komal rani ka ek hath thaam gaya.. lekin komal rani kasmati hui door ladkiyon ko dekh apna hath chhudwa gai.. dhire se boli.. surya. plz surya.. hosh me aao.. dekho to sab dekh rahi han... mujhe ajib lag raha hai... plz uth jaao..

surya hosh me aaya.. khud ko komal ke pairon me dekh woh idhar udhar dekhne laga.. fir ek lambi gahri saans lekar chhodta hua bola..

surya -- sorry.. mai.. bahak gaya tha.. lekin apne shabdo par afsos ka izhaar nahi karunga.. ye shabd nahi the. mere dil ki sada the. sach kahta hon komal ji.. aap hi aap han meri zindagi me... lekin maine jo wada aap se kia tha. mai us par hamesha kayam rahunga.. mai lagi se khud ko nahi rok sakta.. haan par mai us din ka bechaini se intezar karta rahunga.. jab aap ke dil ki dhadkano me mai hi mai honga

komal dhire se -- lekin abhi mere dil ki dhadkano me tum nahi ho. plz uth jaao. mujhe ajib lag raha ha

surya uth khada hua.. wahan ek nahi do pathar ki chair thee.. lekin surya dusri par nahi betha. khada hi raha.. khamosh raha.. komal uske kuchh aur bolne ka intezar karti rahi. jab surya nahi bola to sar utha kar surya ko dekhne lagi.. surya sar jhukaye sochon me gum usay dikha..

komal rani -- surya.. ye tumhari rajdhani ha. tum khade ho mai bethi hon. le sahi nahi hai.. ya to tum bhi beth jaao. ya fir mai khadi ho jati hon

komal uth kar khadi hone lagi. surya jhat se bol pada -- nahi.. komal rani ji.. aap bethiye.. mai ab tak kuchh zayada hi kar chuka hon.. bina aap ki permission ke aap ke barabar beth nahi sakta..

komal muskura padi -- kyaa khayalon me gum yehi tum soch rahe the

surya -- nahi...

komal -- fir

surya dusri chair par bethta hua firse komal ko nihaarta hua bola -- woh.. mai ab tak aapke deedar ke nashe se nikal nahi paya hon

komal rani firse ghabra kar side dekhne lagi

komal rani -- tum bar bar ek si baaten kyu kiye ja rahe ho surya

surya -- kyaa karun.. barson aap se door raha hon. lekin ek pal ke liye bhi aap meri ankhon se ojhal nahi hui han. apka chahra kabhi meri ankhon se kabhi hata hi nahi. dil ki dhadkano me aap ke kothi me sune sare shabd aaj bhi roz e roshan ki tarah goonj rahe han..

komal rani badbadai.. kaise koi kisi ko itni shiddat se chah sakta hai

surya -- mai

komal rani firse chaunki. wo dhire se badbadai thi.. lekin surya ne sun lia tha.. komal ka moh aise ho gaya tha.. jaise uski chori pakdi gai ho

surya -- mai sargoshiyon me ki gai baaten bhi sun leta hon..

komal rani hairat se surya ko dekhne lagi... aisa kaise ho sakta ha

surya dhire se muskuraya -- meri zaat me bohut kuchh aisa hai.. aap vishwas nahi kar paayengi..

komal rani -- for example

surya -- aap se mai kuchh bhi kaise chhupa sakta hon.. bata dunga.. balki sab kuchh dikha dunga.. woh jo maine sari dunya se chhupa kar rakha hai.. aap to mere dil ki ek ek dhadkan me hann. kaise kuchh bhi aapse chhupa kar rakh sakta hon..

komal rani - to bata do na

komal rani badi ada se boli thi. aisa khud se bol gai thi. ab usne khud par dhayan dia. to hadbada kar chahra fer gai.. woh khud me sochne lagi. wo kyu surya se aise bol gai. woh kisi ke saamne aise to nahi aaya karti..

surya -- aap abhi aai han.. pahle aap ko nazuk si doll se pathar me tarasha jayega.. sath hi sath aap sab kuchh janti bhi jaayengi..

komal rani -- kab.. kab mujhe moam se pathar bana rahe ho..

surya -- komal ji aap mallika han.. mere dil ki bhi.. aur yahan maujud sabhi ki.. jab bhi aap ka hukam hoga.. agya ka palan shuru ho jayega..

komal rani surya ko ghoor kar dekhne lagi.. surya samjh rha tha. woh zayada komal ko dekhega.. to komal usay kam dekhegi.. wo khul kar na to bol payegi.. aur hi usay dekh payegi.. isliye surya ab idhar udhar dekh kar baat kar raha tha..

komal rani surya ko dekhti rahi.. uski nazar gahri hoti chali gai.. surya ka mardana chahra.. usay bohut bhaa rha tha. woh usse 5 baras chhota tha.. lekin woh khud ko usse chhota smajh rahi thi.. halat ke sard o garam ne surya ko umar se bohut bada bana dia tha..

komal rani - surya... mai yahan a gai hon to.. jab chahu moam se pathar me dhalna shuru ho jaaongi.. lekin maine aj se pahle tumpar kabhi dhayan nahi dia.. tum surya ho. dadi maa raj laxmi ke pote ho.. mai tumhare bare me isse zayada kuchh nahi janti.. mai tumhe shuru se jaanna chahti hon. tab se janna chahti hon. jab tum is dunya me aaye the.. hamare paas samay hi samay ha.. tum batao apne baare me..

komal rani ki baat sunkar surya ke chahre par jo pahle regular ek chamak thi. khushi ki tah ne chahre ke ek naqsh ko dhanp rakha tha.. komal rani ne surya ko uska guzara kal yaad karne ko kaha to surya ke chahre ke sare rang pheeke padne lage..

komal rani -- sorry maine tumhare purane zakham kured daale. kasam se mera aisa koi irada nahi tha..

surya ne komal ko dekha.. fir ankhen band karta hua khud ko relax karta.. ankhen khol gaya.. komal rani ne dekha.. kitni jaldi surya ne apni ankhon ke bhavo par kabu pa lia tha.. wo aur bhi hairan hui.. bhala itni jaldi koi khud par kaise kabu pa sakta hai

surya -- aap mujhse han ki nahi.. lekin mere seene me dhadak rahe dil ki har ek dhadkan aap ke dum se hai.. maine pahle bhi kaha tha. mai dunya se khud ko chhupa sakta hon. lekin aap se nahi.. mai to apna guzra ek ek lamha aapko khul kar bataonga.. sahi bhi aur galat bhi..

komal rani -- galat bhi.. matlab?

surya -- kon hai dunya me.. jisse sab kuchh theek hi hua ho.. har insan zindagi me kuch sahi karta hai kuchh galat... lekin matlab parast log dunya walun ke saamne sahi bayan karte han.. galat ko chhupa jate han.. lekin aap mere dil ki rani ho. mere sab sahi galat ka aap ko pata hona chahiye.. mai apna galat chhupa kar kabhi aap ko pa nahi sakunga.. aur aap ko pana meri zindagi ki sabse badi aarzo ha. kahen to mere jeene ki aarzo hi aapko pana hai.. ek baar aap ko pa lia.. fir maut bhi aa jaaye to koi gham nahi..

komal rani ne hath badha kar jhat se surya ke moh par rakh dia -- maren aap ke dushman.. fir kabhi mere saamne marne ki baat mat karna..

surya apne honto par komal rani ke narm hath ko pa kar firse madhosh hone laga tha. uski rag rag me nashe utarne laga tha.. surya ki ankhen band hoti chali gai.. komal rani ne pahle to dhayan nahi dia. jab dia to jhat se apna hath hata gai.. usay ajib si jalan ka ahsas apne hath me hone laga tha. surya ke garm honto ka sparsh jaise uske hath ki unglion se hota hua uske sharir me daudne laga. komal apne andr aise ahsas ke janam lete hi ghabra gai..

woh hairan thi. kitne kam samay me uske andr hulchal si machne lagi thi.. woh aisi ladki to nahi thi..

kuch der ki khamoshi ke bad komal rani ne darte darte surya ko dekha.. dekha to paya surya upar aakash me door talak dekh raha tha..

surya fir khawab ki si halat me bola -- jab mera janam hua to mai bhi parivar ke dusre bachhon ki tarah khush naseeb tha. dunya me sabse pahla sparsh jo maine paya.. wo sparsh maa ka tha.. dunya me sabse pahle kisi ko jana to woh maa thi..

lekin.....
Fantastic Update bro 💗
 
  • Like
Reactions: Neni

Yasasvi3

😈Devil queen 👑
1,641
3,792

Lekinnn
......ke aage ki khni jaane ki ko utsuk h h hum sab so pls update de diya jaye
 
  • Like
Reactions: Neni
Top