• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,781
37,584
219
Are bhai ji apne hi kaha tha ki ye story to compete h,, to mne pdf se padi,,,, vese pdf ko phone me padne me thodi dikkat ayi,,, lekin update ka intezar nahi hua champ bhai:bigboss1::rock1:
googly............. champ bhai :lol1:
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Are bhai ji apne hi kaha tha ki ye story to compete h,, to mne pdf se padi,,,, vese pdf ko phone me padne me thodi dikkat ayi,,, lekin update ka intezar nahi hua champ bhai:bigboss1::rock1:
Koi baat nahi...Aapko story pasand aaya yahi bahut hai mere liye. :thanks: Aap chahe to mere aur bhi stories padh sakte hai yaa fir running story Ek Bhool 2...Jo kal se start hoga.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 79


Sameer:- Maa aapse ek baat puchna tha?

Sabhi ke lunch karne ke jaane ke baad Sameer ne akele me Mrs. Sharma se pucha.

Sameer ne aaj office se leave liya tha aur ghar me hi rehne ka decide kiya tha...Kuch dino tak ka thakaan aur ghutan se baahar nikalne ke liye usne ghar me hi reh kar aaram karne ka socha tha.

Mrs. Sharma:- Ha beta...Bol kya baat karni hai?

Mrs. Sharma ko thoda hairaani hua...Sameer ki aawaj me kuch pareshaani aur gehra soch unhe najar aa raha tha.

Sameer:- Priya ke baare me baat karna hai aapse.

Mrs. Sharma ki hairaani Sameer ke baato ke saath saath badhta hi ja raha tha.

Mrs. Sharma:- Kya puchna hai Priya ke baare me?

Kuch der sochne ke baad Mrs. Sharma ne Sameer se pucha.

Sameer:- Maa Priya ne bataya tha ki wo aapse baat karti hai...To mujhe ye puchna tha ki wo mere baare me bhi aapse koi baat karti hai kya? Mera koi shikayat karti hai kya?

Sameer ne kal raat se apne dimaag me aa raha soch ko sawal ke roop me apne Maa se puch liya.

Mrs. Sharma:- Nahi usne koi shikayat nahi kiya...Usne to tere baare me koi baat bhi nahi kiya...Ham dono ke bich me bas aise hi time pass wali baat hoti hai.

Kabhi kabhi mai uska haal chaal puch leti hu to kabhi kabhi wo puch leti hai...Kabhi kabhi kisi cheej ke baare me baat kar lete hai...Wo bechari bhi yaha akeli mehsoos kar rahi hogi.

To maine socha ki mai bhi din bhar akeli hi rehti hu to usse baat kar leti hu...Wo akela bhi mehsoos nahi karegi aur time pass bhi ho jaayega.

Uska yaha apna koi nahi hai to itna to karna hi padega.

Itna keh kar Mrs. Sharma ne apni baat khatm kiya aur Sameer ki taraf dekhni lagi.

Sameer ko bhi samajh me kuch nahi aa raha tha ki kya jawaab de...Priya ka uska shikayat uski Maa se nahi karne ki vajah se Sameer ke dil me Priya ke liye aur izzat badh gaya tha...Aaj Sameer ko Priya ki ek aur acchayi dikh gaya.

Sameer:- Bilkul accha kiya aapne.

Itna keh kar Sameer chup ho gaya...Usse samajh me nahi aa raha tha ki kya kahe.

Sameer:- Maa Priya kaisi hai? Matlab wo aapko kaisi lagti hai?

Kuch der chup rehne ke baad Sameer ne apni Maa se pucha...Sameer ne puch to liya...Lekin puchne ke baad Sameer ko ehsaas hua ki Sameer ne kya puch liya hai.

Sameer ko khud par yakin nahi hua ki ye usne kya puch liya aur kaise puch liya...Sameer yahi soch me padd gaya...Uska iss soch ko Mrs. Sharma ki aawaj ne toda.

Mrs. Sharma:- Bahut hi acchi aur sanskari ladki hai...Jab bhi usne mujhse aur tere Papa se baat kiya hai hamesha hume izzat hi diya hai...Kabhi koi badtameezi nahi kiya aur humaari baato par kabhi aisa react nahi kiya jisse ye laga ki wo hamse bhi naraaj hai.

Tera galti ka vajah aur jimmedaar kabhi hume nahi maana...Uska naraajgi sirf tujhse hai...Hamse nahi...Hame bhi apne parents jaisa hi respect deti hai.

Kabhi kabhi ghar me koi kaam me bhi apna haath bataa deti hai...Baat aur kaam se hi pata chalta hai ki kitna sanskari ladki hai wo.

Sach me tujhse bahut bada bhool ho gaya hai beta...Tune ek acchi ladki ke baare me aisa galat soch liya aur bina jaane itna bada bhool kar liya.

Mrs. Sharma ne apna baat khatam kiya aur fir Sameer ki taraf dekhne lagi...Lekin iss baar Sameer ne koi jawaab nahi diya.

Wo fir se apne soch me dub gaya aur ye sochne laga ki wo Priya ke baare me ye sab kyu sochne laga.

Sameer ko chup dekh kar Mrs. Sharma bhi apne room ki taraf jaane lagi...Unhe Sameer ki khaamoshi aur soch ke baare me jyada to pata nahi chala...Par unhe itna jarur pata chal gaya ki Sameer ka soch Priya ke liye badalne laga hai.

Jaate jaate Mrs. Sharma ne Priya ki ek aur acchayi aur khasiyat Sameer ko bata diya.

Sameer bhi khud se hi ye sawal puchte hue apne room ki taraf jaane laga ki kyu wo Priya ke baare me itna sochne laga hai...Aur kaise usne apni Maa se wo baat puch liya...Bahut sochne ke baad bhi Sameer ko jawaab nahi mila...Aur wo apne room me chala gaya.

After Few Days


Ek raat Sameer apne office se ghar pahuncha...Aaj wo apne normal time se thoda late ho gaya tha...Ghar me enter karne ke baad usne dekha ki dinner ready hai aur sabhi dining table par baithe hai.

Sameer bhi jaldi se fresh ho kar aa gaya aur nich dining table par khaane ke liye baith gaya.

Sameer khaana khaa hi raha tha ki uske kaano me Mr. Sharma ki aawaj pada.

Mr. Sharma:- Kal Priya apne ghar jaana chaahti hai.

Mr. Sharma ki baat sunne ke baad Sameer ko bahut kush hua...Bahut dino ke baad Mr. Sharma ne usse kuch kaha tha.

Apne Papa ke baat sunne ke baad Sameer Priya ki taraf dekha...Priya ne koi reaction nahi diya...Uske baad Sameer ne Mr. Sharma ki taraf dekh kar kaha.

Sameer:- Ok...Mai kal Priya ko bus stop tak chhod dunga.

Sameer ne Mr. Sharma ki baat samajh liya aur usne khud hi keh diya ki wo Priya ko bus stop chhod dega...Lekin usko ye pata nahi tha ki Mr. Sharma usko bas itna bi nahi kuch jyada kehne wale hai.

Mr. Sharma:- Sirf bus stop tak chhodna nahi hai...Tum Priya ko uske ghar le jaaoge aur uske saath hi wapas aaoge.

Mr. Sharma ki baat sunne ke baad Sameer ne Mr. Sharma ki taraf dekh kar haa me sir hilaa diya aur Priya ki taraf dekh kar pucha.

Sameer:- Kitne dino ke liye jaana hai?

Priya :- 2 hafte ke liye...Bahut din ho gaya Maa se mile hue...Iss liye soch rahi hu ki ek baar Maa se bhi mil leti hu.

Sameer:- Ok...Office me leave ke liye phone kar deta hu.

Sameer ki baat par Priya ne bhi haa me sir hilaa diya.

Dinner karne ke baad raat me Sameer aur Priya ne decide kiya ki wo subah 6:00 am par bike me Priya ke ghar ke liye nikal jaayenge.

Bas kuch hi din hua tha kismat ka khel ne Sameer aur Priya ki life me itna bada tufaan laa diya tha...Abb kismat inn dono ke life me ek aur khel khelne wala tha Priya ki ghar me jo Sameer aur Priya ke rishta me bahut bada badlaaw laane wala hai.

Priya ke ghar ke liye ye safar dono ke dil ki bich duriyan ghatane wala tha aur saath me ek dusre ke liye ek alag hi feeling dono ke dil me paida hone wala tha.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 80


Dusre din subah jaisa decide kiya tha thik ussi tarah subah 6:00 am par Sameer aur Priya Sameer ke bike se nikal gaye Priya ki gaanw ki taraf.

Sameer ko rashta acche se maalum tha Priya ke gaanw ka...Sameer pehle bhi bike se hi Priya ki gaanw gaya tha...Safar ka suruwaat karne ke baad Sameer aur Priya ke bich ek khaamoshi chhaa gaya tha.

Iss khaamoshi ko toda Priya ki hairaani ne...Hairan ho kar Priya ne pucha .

Priya:- Tumhe mera gaanw ka rashta kaise pata hai...Tum jis tarah se bike chala rahe ho usse to yahi lagta hai ki tumhe raasta pehle se hi pata hai...Kisi bhi turn par na mujhe puch rahe ho aur nahi koi chalte hue log ko.

Sameer:- Ek baar pehle bhi bike se hi tumhara gaanw gaya tha.

Sameer ko acchi tarah pata tha usne kya kaha hai...Wo jaanta tha Priya uski baat par bahut gussa ho jaayegi...Fir bhi dar kar aur himmat ke aath usne sach bata diya.

Priya:- Ohh ha...Mai to bhul hi gayi thi uss manhus vakt ko jab tumhara mere gaanw me aane ke baad mera jindagi me itna bada tufaan aa gaya.

Priya ki aawaj me bahut gussa tha...Sameer ko Priya ki baat par bahut bura laga...Fir bhi wo kuch nahi bola aur dimaag shaant rakh ke bike chalane par dhyan dene laga.

Ek baar fir Sameer aur Priya ke bich khaamoshi chhaa gaya...Priya Sameer ke saath gusse ki vajah se baat nahi karna chaahti thi to Sameer bhi Priya ko aur gussa na aa jaaye uss par iss dar ki vajah se chup tha.

Laghbhag 3 ghanta baad Sameer ne apna bike ek dhaabe ke paas rok diya.

Priya ne iss baar aur bhi hairan ho kar pucha.

Priya:-Abb kya hua...Bike kyu roka?

Priya ki aawaj me abhi bhi thoda gussa aur naraajgi tha.

Sameer:- Bahut der se bike chala raha hu...Thoda thak gaya hu aur shaayad tumhe bhukh bhi lag raha hoga...Subah se kuch khaya bhi nahi hai...Iss liye socha thoda khaane ke baad aaram karke fir chalte hai.

Sameer ki iss baat par thodi der chup rehne ke baad Priya boli.

Priya:- Bhukh tumhe lag raha hai aur naam mera le rahe ho ki mere liye bike rok diya.

Sameer:- Mujhe bhukh bilkul bhi nahi laga hai...Subah ka 9:00 am hi hua hai...Aur itni jaldi khaane ka mera aadat nahi hai...Tumhaare liye hi iss dhaabe par ruka hu warna aaram karne ke liye kahi par bhi bike rok sakta tha.

Sameer ne to sach hi kaha tha lekin Priya ne iss baat ko Sameer ka ego samajh liya sach nahi maanne ka aur Priya bhi apne jidd par add gayi aur chhidhte hue boli.

Priya:- To mujhe bhi nahi khaana...Mujhe bhi bhukh nahi laga hai...Tum kahi par baith kar rest kar lo...Lekin thoda jaldi karna...Mujhe ghar bhi jaana hai.

Sameer ne fir se shaant aawaj me samjhaate hue kaha.

Sameer:- Sach me mujhe bhukh nahi laga hai abhi...Mai jaanta hu tumhe jarur bhukh lag raha hoga...Mujhe pata hai tumhara khaane ka time table...Abb apna gussa please khaane par mat nikaalo...Agar tumhe lagta hai ki mai apne ego ki vajah se tumse jhuth bol raha hu to mai nahi khaaunga...Lekin tum please apna ego aur gussa khaana par mat nikalna.

Iske baad Priya ne kuch nahi kaha aur chali gayi dhaabe ke andar...Sameer bhi piche piche chala gaya.

Kuch der andar baithne ke baad Priya ne samosa aur tarkaari ka order diya...Usne Sameer ko bhi kuch khaa lene ke liye kaha magar Sameer ne mana kar diya.

Kuch der me Priya ka samosa bhi aa gaya...Priya aaram se khaane lagi...Sameer bhi idhar udhar dekhne laga...Kabhi najar chura kar Priya ko bhi dekh leta tha...Aisa karne me usko majaa bhi aa raha tha...Lekin samajh nahi paa raha tha kyu wo iss tarah se Priya ko dekh raha hai.

Priya khaa hi rahi thi ki usne dekha thoda aage 2 bacche khade the...Aur wo dono hi Priya ki aasha ki najar se dekh rahe the Priya ko khaate hue...Bacho ko dekh kar aisa lag raha tha ki bahut vakt ho gaya hai unhe kuch khaye hue.

Priya ko ye dekh kar bahut bura lag raha tha...Usne socha ek to thand ka mausam hai aur upar se dono hi bhukhe hai...Priya se abb akele khaaya nahi jaa raha tha.

Priya ne dono hi bacche ko apne paas bula liya...Aur dono ke liye bhi samosa ka order de diya.

Tab tak Priya apna Samosa khaa chuki thi...Baccho ko bhi usne apne haatho se hi khilaana suru kiya.

Paas me hi baitha Sameer ko ye sab dekh bahut hairaani ho raha tha...Usne kabhi socha hi nahi tha ki Priya itni acchi aur caring bhi ho sakti hai...Shaayad wo khud bhi public me ye sab nahi kar paata.

Sameer abb bas Priya ki taraf dekhne laga...Aur saamne ka drishya me kho gaya...Priya ka ye roop Sameer ko bahut pasand aaya...Wo abb Priya me kho hi gaya...Iss baar usne khud se bhi nahi pucha iss tarah Priya me khone ki vajah...Iss baar usne apna dil ka baat suna aur Priya ki aur hi dekhta reh gaya.

Kuch hi der me Priya ne dono hi bachho ko pet bhar khila diya...Khaakar uthne ke baad baccho ne Priya se kaha.

Bacche:- Shukriya didi...Bahut vakt ho gaya tha kuch khaaya hua...Aap nahi hoti to pata nahi aur kitna intejaar karna padta.

Priya ne baccho ki sir par pyar se apna haath ferte hue pucha.

Priya:- Kuch aur khaaoge.

Bacche:- Nahi didi...Aapne itne pyar se khilaya pet bhar gaya.

Iske baad Priya ne dono hi bacho ko kuch chocolates kharid kar pyar se bhej diya.

Dusri taraf Sameer ye sab dekhne me itna kho gaya tha ki usse to ye bhi pata nahi chala ki kab bacche chale gaye aur Priya uski taraf hairani se dekh rahi hai.

Priya:- Sameer kya hua tumhe?

Priya ne Sameer ke kandhe ko hilaa kar pucha tab Sameer hish me aaya.

Sameer:- Nahi nahi...Kuch nahi.

Sameer bhi hosh me aate hi hadbada kar ye bol diya.

Priya ko bhi Sameer ki harkat me bahut badlaaw najar aa raha tha kuch dino se...Lekin usne iss baat ko ignore kar diya.

Abb Sameer aur Priya ke bich fir ek khaamoshi chhaa gaya...Sameer ko khud par hi gussa aa gaya aur wo khud se hi ye sawal puchne laga ki wo kyu iss tarah se Priya me khota chala jaa raha hai.

Sameer bina kuch kahe aage badh gaya aur dhaabe wale ko paisa dene ke baad jaa kar bike me baith kar Priya ka intejaar karne laga...Priya bhi jaldi hi aa gayi aur Sameer ke piche baith gayi.

Sameer ko jab laga ki Priya acche se baith gayi hai tab bina kuch baat kiye Sameer ne bike ko teji se chalana suru kar diya.

Kuch aage jaa kar Sameer ne iss khaamoshi ko todte hue kaha.

Sameer:- Priya aaj tumne jo bhi kiya...Bahut hi accha kiya.Shaayad mai bhi chaah kar ye sab nahi kar paata...Sabhi logo ke saamne ye sab karne me thoda sharm bhi aata hai aur iske liye bahut himmat bhi chaahiye.

Priya:- Isme himmat nahi insaniyat chaahiye...Agar dil me sacchayi ho aur thoda sa bhi insaniyat hai to duniyadaari se koi fark nahi padta...Maine bhi iss baare me kuch nahi socha ki duniya wale kya sochenge...Jo accha laga wo kiya.

Bahut dino ke baad ek aatm santusti mila aur khusi hone ka mauka...Dusro ki madad karne ka bhi ek alag hi maja hota hai aur unn bacho ki muskaan ko dekh kar to aaj itna khus lag raha tha ki picchle kuch dino ki apni saari ghum bhul gayi.

Priya ne ye baat muskura kar kaha...Sameer iss baat par kuch jawaab nahi de paaya...Wo abb gaadi chalane ki taraf dhyan dene laga...Aaj fir Sameer Priya se impressed ho gaya aur hotel wali baat ko soch kar muskuraane laga.

Laghbhag 1 ghanta aur bike chalane ke baad Priya ne Sameer se pucha.

Priya:- Sameer tum thik to ho?

Sameer:- Ha bilkul thik hu...Kya baat hai?

Sameer ne bhi hairaani me puch liya.

Priya:- Nahi tum jis tarah se bike chala rahe ho usse yahi lagta hai ki tum bilkul bhi thik nahi ho...Pehle bike teji se chala rahe the...Abb bahut slow chala rahe ho aur aisa lag raha hai ki bike tumhaare control me nahi hai.

Sameer ko bhi laga ki abb uska chori pakda gaya hai iss liye jhuth bolne se koi faaidaa nahi...Darte hue aur himmat karke usne sach bol diya.

Sameer:- Bhukh lag raha hai.

Sameer ki baat par maasumiyat tha.

Priya:- Tabhi to keh rahe the ki tumhe bhukh nahi laga hai...Abb kya hua?

Priya ne thoda gussa aur haitaani ke saath pucha.

Sameer:- Ye mera time nahi hai khaane ka...Lekin bike chala kar thak gaya hu...Iss liye bhukh lag gaya itni jaldi.

Priya:- Koi baat nahi...Aage bhi dhaaba hoga...Gaadi rok kar khaa lena.

Sameer ne bhi dhire se kaha.

Sameer:- Thik hai.

Fir kuch der baad dono ek dhaabe me pahunch gaye...Waha par Sameer ne pet bhar khaana khaya aur thoda Priya ko bhi saath me thoda khaane ke liye mana liya.

Dono hi dhaabe se nikalne ke baad bahut khus najar aa rahe the aaj ki iss safar ki vajah se...Kuch der rest karne ke baad Sameer fir se bike chalaane laga aur fir dono ke bich ek khaamoshi chaa gaya.

Sameer ne abb bike ko teji se chalaana suru kar diya aur bike tabhi ruka jab dono Priya ke ghar ke saamne pahunch gaye...Sameer ne ghadi me time dekha...Uss vakt 1:00 pm baj raha tha.

Priya ki gaanw aur ghar me aane ke baad Sameer ko kuch alag hi mehsus ho raha tha...Ek baar fir apne galti ki pal yaad aane laga aur khud par aur Priya ke Papa par bahut gussa aa raha tha.

Bike ki aawaj sun kar Priya ki Maa aur Papa dono baahar nikale.

Priya ne apni Maa ka pair chua aur gale lag gayi.

Kuch der baad Sameer ne bhi Priya ki Maa ki pair chuaa lekin usko Priya ki maa se aankhe milaane me sharam aa raha tha.

Priya ki Maa ki pair chhune ke baad Sameer ne wo kiya jisne waha maujood sabhi ko chaunka diya.

Sameer ne aur aage badh kar Priya ke Papa ke bhi pair chuu liya...Sameer ki iss harkat se Priya aur Priya ki Papa bhi buri tarah chaunk gaye...Unhe samajh nahi aa raha tha Sameer ki iss harkat ki piche ki vajah.

Pair chune ke baad Sameer ne gusse bhari najar se Priya ke Papa ko dekha aur apna gussa par kaabu karte hue aage badh gaya.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 81


Sasural me Sameer aur Priya dono ko saath me rehne ke liye ek room mila...Priya apne parents se iss baare me kuch nahi kehna chaahti thi to Sameer kuch keh nahi sakta tha...Dono ne socha kuch dino ke liye compromise karenge.

Dono apne safar ki vajah se bahut thak gaye the...Raaste me hi dono ne pet bhar kar naasta kiya tha to dono ne waha par kuch khaaye bina hi fresh ho kar soo gaye.

Shaam ke karib 5:00 pm me Sameer jaaga...Jaagne ke baad jaldi se fresh ho kar wo fir se room me aaya...Wo apne bed par baith kar room ko acchi tarah se dekhne laga...Aise hi idhar udhar dekhte vakt Sameer ka najar Priya par pada.

Priya ekdam shaant baithi thi...Chehra me ek gambhir bhaaw najar aa raha tha...Aisa lag raha tha wo kisi gehri soch me hai.

Sameer ne ek pal ke liye to socha ki Priya se uske soch ke baare me pucch liya...Lekin agle hi pal usne apna ye soch jhatak diya aur apna najar Priya par se hata kar chup ho gaya.

Sameer ko lag raha tha Priya abhi gehri soch me hai...Aur agar iss vakt usko kuch puch liya to kahi Priya uss par bhadak na jaaye.

Kuch pal ke liye dono ke bich ek khaamoshi chhaa gaya...Iss khaamoshi ko Priya ne toda aur Sameer se ek sawal pucha.

Priya:- Aaj tumne aate hi Papa ka pair chhua?

Priya ne bahut gambhir aawaj me pucha...Uski aawaj se pata chal raha tha ki kuch der pehle wo yahi baat soch rahi thi.

Priya ki sawaal ka jawaab dene se pehle Sameer ek baar muskuraya aur bola.

Sameer:- Isme hairaani ki koi baat nahi...Jaan bujhkar maine unka pair chua....Aisa nahi hai ki maine unhe maaf kar diya ya fir mai unka izzat karta hu...Ek alag makshad ke saath maine unka pair chua.

Sameer ki aawaj me Priya ke Papa ke liye bahut nafrat tha aur usne ek ek shabd chabaa kar bola.

Sameer ki baat khatam hone ke baad Priya Sameer ko ghurne lagi...Wo Sameer ki baat ka matlab samajh nahi paayi.

Sameer:- Unhone ye shaadi kara kar accha to bilkul bhi nahi kiya...Mujhse panga lekar unhone aur bhi galat kiya hai...Uss vakt to mai majbur tha lekin abhi nahi hu...Unhe itni aasani se chhodunga bhi nahi.

Pair chhuna to ek bahana tha...Maine unka pair iss liye chuya taaki mai unhe mentally disturb kar dena chaahta tha...Wo abb jarur soch me padd jaayenge ki maine unka pair kyu chhua....Jis tarah se mujhe meri galti yaado ke jariye sata raha hai...Ussi tarah unhe bhi yaad karna hoga unki galti...Unko bhi pacchtaawa hona chaahiye unki galti par...Din raat unko bhi ghutna chaahiye apni galti yaad karke.

Badla ke liye maine ye raasta chuna hai...Chaahta to unhe buri tarah se peet kar apna dil ka bhadaas nikaal sakta tha...Lekin aisa karne se kuch faaidaa nahi...Wo ek ya do din baad ye sab bhul jaayenge aur isse Mera sanskar ka bhi apmaan hoga.

Unse acchi tarah izzat ke saath niptunga...Mai laat aur ghusaa ki jagah apna jubaan ka istemaal karunga...Jubaan se jo chot dunga wo jindagi bhar unko yaad rahega...Unko bhi unki hi najro me giraa kar hi rahunga.


Itna keh kar Sameer fir se chup ho gaya...Abb uske chehre me gussa aur nafrat saaf mehsoos kiya jaa sakta tha...Sameer ka chehra ka junoon dekh aisa lag raha tha ki jo usne kaha hai wo karke hi rahega.

Sameer ka chehra me gussa dekh Priya bhi ek pal ke liye chaunk gayi...Kuch pal pehle Sameer ekdam shaant tha aur muskura raha tha...Lekin agle hi pal uske chehre me itna gussa dikh raha tha ki uska pura chehra laal ho gaya tha.

Kuch der intejaar karne ke baad Priya ne kaha.

Priya:- Tum ye nahi kar paaoge...Papa ke paas agar thoda bhi sharmindagi baaki rehta to mere saath ye sab bilkul bhi nahi karte...Agar tum unhe kuch keh bhi doge to wo chup chaap sun lenge aur agle din wo ye sab bhul kar gir apne life aur daru me busy ho jaayenge...Tumhari baato se unhe koi fark nahi padega.

Priya ki aawaj me bhi apne Papa ke liye gussa saaf mehsoos kiya jaa sakta tha...Priya Sameer se baat karte vakt bhi apni Papa ko izzat nahi de rahi thi...Yahi baat gawahi de raha tha ki Priya apne Papa se kitna naraaj hai aur nafrat karti hai...Lekin usse ye nahi pata tha ki uski Papa ki vajah se uske life me ek aur bada tufaan aane wala hai...Aur ye tufaan uska aur Sameer ki life me bahut bada badlaaw laane wala hai.

Sameer:- 2 hafta hai mere paas...Itne dino me unhe itna torture kar dunga aur unko unki hi najaro me giraaunga ki wo bhi apne galti ko yaad karke pacchtaayenge.

Sameer se abb aur control nahi hua...Gussa itna badh gaya tha ki wo Priya ke saamne nahi reh paa raha tha...Wo Priya ko apna nafrat aur gussa dikhana nahi chaahta tha...Iss liye wo room se kuch der ke liye baahar chale jaana chaahta tha.

Wo gate ke paas pahuncha hi tha ki piche mud kar Priya se kaha.

Sameer:- Waise pair chhune ki kuch faayida bhi hai...Maa kehti hai ki agar hum kisi dushman ke pair chhute hai to naa chaahte hue bhi usko apna haath ashirvaad dene ke liye bhi uthaana hi padta hai...Kisi ke bhi pair chhu lo wo hume aashirvaad hi dete hai uss pal...Chaah kar bhi ya na chaahte hue bhi.

Waise bhi apno se bade ke pair chhune se ham aur chhote nahi ho jaate hai.

Sameer ne apne gusse me kaabu rakh kar Priya se kaha...Wo abb jaane hi wala tha ki girse ruk kar bola.

Ek aur baat kehna hai...Maine to tumhe sab kuch bata diya ki mai tumhaare papa se badla le kar hi rahunga...Pata nahi tumhe ye baat accha lag raha hai ya bura...Agar bura bhi lage to mujhe iss baar koi fark nahi padega...Kyuki iss baar mai apna sabse bada dushman ke saath lad raha hu aur apne dushman se haarne ki aadat aur chahat mujh me nahi hai.

Abb isse aage Sameer apne gusse par kaabu nahi rakh paaya...Jab usse ye mehsoos hua wo room se nikal kar baahar chala gaya.


Priya bas Sameer ko dekhti reh gayi...Priya ko abb purana Sameer dikhne laga...Jo gussa me aur kisi se badla lene ke liye kisi bhi hadd tak jaa sakta hai...Iss baar Sameer ke saamne Priya ke Papa the...Priya ko dar lag raha tha ki Sameer kahi kuch galat na kar baithe firse.

Dinner Time


Raat ke 8:00 pm ke karib Sameer, Priya aur Priya ke Maa khaane ke liye baithe the...Priya ki Papa abhi baahar gaye the...Sabhi khaana suru hi kar rahe the ki Priya ki Papa bhi aa gaye.

Sameer:- Aaiye Sasur ji...Aapka hi intejaar kar raha tha.

Sameer ne majaak ke saath apne Sasur ka swagat kiya...Majaak to sirf Priya ki Maa aur Papa ko lag raha tha...Sach to sirf Priya aur Sameer hi jaante the ki iss majaak ke piche kitna nafrat hai.

Priya ki Papa ne Sameer ki baat par kuch nahi kaha aur wo bhi khaane ke liye baith gaye.

Sameer:- Aaj to aisa lag raha hai suraj paschim se ugga hai...Aapka chehra aur harkat dekh kar to aisa lag raha hai aap aaj talli nahi hue hai...Kya abb aap ko daru ka swaad accha nahi lag raha hai ya fir aaj daru ki dukaan band ho gaya.

Sameer ne hanste hue majaak karte hue kaha...Abb usne apna mission suru kar diya.

Priya ki Papa abb Sameer ki taraf hairani aur gusse ke saath dekhne lage.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Friends aaj 3 updates post kiya hai...Padh kar apna feedbacks jarur dijiye.
 
Last edited:

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,781
37,584
219
priya aur sameer kareeb aate ja rahe hain..............
is safar se hi jab itna badlav aa gaya to 2 hafte me bahut kuchh badal sakta hai

lekin kya sameer priya ke papa ko badal payega

ya priya ke papa hi............sabkuchh badalkar rakh deinge

dekhte hain
 

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,803
31,030
304
Koi baat nahi...Aapko story pasand aaya yahi bahut hai mere liye. :thanks: Aap chahe to mere aur bhi stories padh sakte hai yaa fir running story Ek Bhool 2...Jo kal se start hoga.
Second part ka intezaar rahega,, champ bhai
 
Top