• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
priya aur sameer kareeb aate ja rahe hain..............
is safar se hi jab itna badlav aa gaya to 2 hafte me bahut kuchh badal sakta hai

lekin kya sameer priya ke papa ko badal payega

ya priya ke papa hi............sabkuchh badalkar rakh deinge

dekhte hain
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Priya ke Papa ke baare me bhi jald hi pata chal jaayega...Keep supporting.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Second part ka intezaar rahega,, champ bhai
Ek Bhool 2 iska 2nd part nahi...Alag ho story hai...Aur uss story me 1st update bhi post kar diya hai...Ye raha link.

https://xforum.live/threads/ek-bhool-2.9199/

Ummeed hai iss story me aap saath bane rahenge.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 82


Priya ki Papa ke gusse se dekhne par Sameer ko kuch fark nahi pada...Andar se to wo bhi bahut gussa tha lekin usne apne gussa ko dabaa ke rakha tha.

Sameer:- Kya hua Sasurji...Bahut gusse me najar aa rahe hai...Kahi kisi se daru ke dukaan me jhagada to nahi ho gaya daru ki dukaan me aapka.

Sameer ne Priya ki papa ka majaak udaate hue kaha...Wo jaan bujh kar unko gussa dilaa raha tha taaki apne man ke bhadaas nikaal sake.

Aur hua bhi waisa hi...Sameer ki baato se Priya ki Papa ka gussa aur badh gaya...Unhone gusse se Priya ki taraf dekha aur kaha.

P. Dad:- Isko chup rehne ke liye kaho...Tabhi se bakwas kar raha hai...Abhi mai gussa me hu aur iski baato se aur gussa aa raha hai...Mai mehmaano ke saath bura bartaaw nahi karta hu iska matlab ye nahi ki ye kuch bhi bolta rahe aur mai iske har bakwas sunta rahunga.

Priya ki Papa ki aawaj me bahut gussa najar aa raha tha...Lekin Sameer ko isse kuch matlab nahi tha.

Priya kuch bolti isse pehle hi Sameer ne kaha.

Sameer:- Sasur ji baat ham dono ke bich me ho raha hai...To aap Priya ko bich me kyu ghaseet rahe hai.

Sameer ki har ek baat se Priya ki Papa ka gussa badhta jaa raha tha.

P. Dad:- Priya aakhiri baar keh raha hu isko chup karwaao...Warna mujhse bura koi nahi hoga...Tab se bakwaas kiye hi jaa raha hai...Abb to baap beti ki baato ke bich me bhi ghus raha hai.

Priya Sameer ko kuch kehne hi wali thi ki Sameer ka gusse se bhara hua aawaj waha maujood sabhi ke kaano me sunaayi diya.

Sameer:- Baap...Baap kehte hai aap khudko...Aap dalal hai dalal...Apni hi beti ka dalal...Aap khud ko baap kehke baap shabd ka majaak mat udaaiye.

Priya ke Papa jitni tej aawaj me baat kar rahe the usse kahi guna jyada aawaj me Sameer cheekha...Sameer ki baat se sab khaamosh ho gaye.

Priya aur Priya ki Maa bhi dar gayi thi...Unhe andaaza ho gaya tha abb bahut bada jhagada hone waala hai Sameer aur Priya ke papa ke bich.

Sameer:- Aap baap ke naam me hi nahi insaan ke naam me bhi kalank hai.

Fir se Sameer ki aawaj sabke kaano me pada...Sameer ki gussa bhi har pal badhta hi jaa raha tha...Sameer ka gussa dekh Priya ki Papa bhi ek pal me liye chup ho gaye.

Unhone Sameer ki taraf dekha...Sameer ka iss vakt jo roop tha wo dekh kar to koi bhi dar jaata...Aankh aur chehra gusse me laal tha aur uski aankh Priya ki Papa ki taraf tha...Koi bhi ye dekh kar bata sakta tha ki kitna nafrat tha unn laal aankho me...Wo to Sameer tha jo khud par kaabu karke shaant baitha tha.

P. Dad:- Tum bhi to kam nahi the...Tumne hi idea diya tha shaadi ka...Mujhse jyada jaldi tumhe tha shaadi ka...Tum bhi barabar ke jimmedaar ho iss shaadi ke liye...Aur jab tum iss shaadi ke chakkar me fans gaye to abb mujh par bhadak rahe ho.

Priya ke Papa ne shaant aawaj me Sameer ka majaak udaane ke lahje me kaha.

Sameer:- Jitna socha tha uss se bhi jyada gire hue hai aap...Abb bhi iss tarah se baat kar rahe hai jaise ye shaadi karwa kar bahut bada kaam kiya hai aapne.

Aap jaise gire hue insaan se to baat karna hi bekar hai...Mai hi apna time waste kar raha hu ek dalal se baat karke.

Sameer ka gussa kam hone ka naam nahi le raha tha...Usne dalal shabd par jor dekar bola tha.

P. Dad:- Tum mujhe dalal kehna band karo.

Priya ki Papa ne chhidhte hue gusse me jawaab diya.

Sameer:- Kyu hakikat sun nahi paa rahe hai...Aap dalal hai aur rahenge...Ye mai nahi sabhi maante hai aur kehte hai.

Sameer jo koshish me laga tha wohi karne jaa raha tha...Usne to pehle hi soch liya tha Priya ke Papa ko unke hi najto me giraayega.

P. Dad:- Tumhaara to mai.

Itna keh kar Priya ke Papa Sameer ki taraf badhe hi the ki Sameer bhi aage badh kar apna haath unke chaati me rakh kar unhe rokte hue bola.

Sameer:- Kya soch kar aage badh rahe hai aap...Mujhe maarenge...Haath laga kar to dikhaaiye...Haath aur paanw tod kar rakh dunga...Aur budhaape me hadsi judta bhi nahi.

Chup chaap niche baith jaaiye.

Sameer ne gusse.me bahut tej guraaya...Itna tej ki waha maujood sabhi dar gaye...Priya ke Papa bhi.

Sameer:- Apni asliyat sunne me sharm aur gussa aa raha hai...Aur khud ko bachaane ke liye mujh par iljaam laga rahe hai.

Ha maanta hu maine bhool kiya tha..Jindagi ke sabse bada bhool jis vajah se mai khud ko maaf bhi nahi kar paa raha hu...Pata nahi koi mujhe iss bhool ke liye maaf karega ya nahi...Lekin mai maanta hu...Mujh me maane ka himmat hai ki maine bahut bada bhoop kiya hai.

Apna bhool pata chalne ke baad maine koshish kiya tha apna bhool sudhaarne ka...Sab kuch sahi chal raha tha lekin bich me aapne apna taang adaa diya aur mujhe majboor kar diya Priya se shaadi karne ke liye.

Shaadi ho jaane ke baad bhi maine bahut koshish kiya apna bhool sudhaarne ka...Lekin abb mere vash me kuch nahi hai.

Aap khudko mujhse compare kar rahe hai.

Aap pita hai Priya ke...Lekin aapne kiya kya hai...Bachpan se abb tak usko sirf taklif hi diya hai...Kabhi baap hone ka farj nibhaaya tak nahi...Pehle hi keh chuka hu aap baap ke naam me ek kalank hai aur dharti ka ek bojh...Aapse jyada to shaayad maine Priya ka madad kiya hai ye 2 months me.

Bahut fark hota hai apno me aur paraaye mai.

Aap to Priya ka apna hi the...Uska Pita the...Pita ka sthaan aur kartavya aapko pata nahi hai...Aapne Priya ke saath jo kiya hai wo to ek dalal hi karta hai...Paisa ke liye apne beti ko bechne chale the.

Mai to ek paraya tha Priya ke liye...Aaj ka duniya hi aisa hai ki log matlabi ho rahe hai...Apne faaidee ke liye kuch bhi karne se piche nahi hat te...Agar mai Priya ke liye galat sochta aur karta to dosh mera nahi hota...Jamaane ka dosh maana jaata...Kyuki iss jamaane me dhokhe baajo ka kami nahi hai.

Apno ka dhokha dena aur paraaye ka dhokha dene me bahut fark hota hai...Paraaye to dhokha dete hi hai lekin apne bahut kam dete hai jaise aap jaise ghatiya log.
Iss liye kabhi bhi bhul kar mujhe apne jaisa kabhi mat samajhna...Mai galat hu lekin aap jaise ghatiya sharaabi nahi.

Mere baare me kuch bolne se pehle ek baar aap khud ko puchiye ki aap hai kya.

Puchiye apne antaraatma se...Aapko sirf yahi jawaab milega...Aap ek sharabi hai...Aise sharaabi jisko sharab ke alawa kuch nahi dikhta...Na hi apne pariwar aur nahi maan samman.

Aap ko dekh kar bas ek hi baat sochta hu...Kaise jee rahe hai abb tak...Kya aapko apne hi jindagi se ghin nahi aa raha...Aap jee to rahe hai lekin hai ek jinda laash aur dharti ka bojh...Jiska iss duniya me koi kaam hi nahi hai...Bekar hai aapka jindagi.

Naahi koi izzat nahi koi samman...Pure gaanw me badnaam hai aap...Gaanw ki baat chhodiye aapke ghar me hi koi aapko izzat nahi deta...Ghar ki baat chhodiye aap to khud ki hi najaro me gir gaye honge.

Sab kuch tabaah kar diya aapne aur aapke daru ki aadat ne...Priya ka bachpan se lekar abb tak ka jivan kaisa hoga ye mai soch bhi nahi sakta...Nahi aapne apne patni ke saath accha kiya hoga...Dono ki jindagi me aapki vajah se ghutan, taklif aur badnaami chhod kar kuch bhi nahi hoga.

Ek baar aap apne patni yani ki Sasu maa ki taraf dekhiye...Aapke siwa unka kaun hai sahara...Aapke hi khaatir iss ghar me hai barso se...Bahut expectations tha shaayad unhe jab wo aapse shaadi karke aayi thi...Lekin aap ki sharaab ki aadato ne unka saara sapna tod diya hoga...Ek baar insaan baniye aur dekhiye inke chehre ko...Aur kahiye aapne sahi kiya hai inke saath.

Inhone to aapka barso se saath diya ye jaante hue bhi ki aap kitna ghatiya hai...Chaahti to aapko chhod kar jaa sakti thi...Apna jindagi ko naye tarike se suru kar sakti thi...Lekin aapko iss haal me nahi chhoda...Ek umeed hoga unka ki aap kabhi na kabhi to sudhrenge hi lekin ye umeed kabhi pura nahi ho saka.

Inhone aapke liye itna kuch kiya lekin kya aapne kabhi bhi inke liye kuch kiya hai. Siwaay dard, aansu aur taklif chhod kuch nahi diya hoga aapne inhe.

Aap to sharaab ke nashe me iss tarah dub gaye the ki aapko apni beti bhi kabhi dikhaayi nahi diya hoga...Kabhi Priya ka bachpan aur uska masoomiyat nahi dikha hoga...Agar dikhta to aapne ek pita ka dharm aur kartavya nibhaaya hota...Bachpan to chhodiye jawaani me bhi aapne Priya ka dalali hi kiya hai...Isse jyada paap ek pita kabhi kar hi nahi sakta.

Khair chhodiye inn sabhi baato se kuch nahi hone wala hai.

Aapko dekh kar sochta hu ki aap kitne besharm insaan hai...Jisko apna sharm aur izzat ka kuch matlab nahi...Gaanw me koi aapka respect nahi karta...Sabhi aapko sharaabi aur bewda ke roop me jaante hai...Koi izzat nahi hai aapka.

Itna kehkar Sameer utth ke khada ho gaya aur apne room ki taraf jaane laga.

Fir usse kuch yaad aaya aur kaha.

Sameer:- Jaanta hu meri baat aap samajh nahi paayenge ya fir samajhna nahi chaahte...Lekin isse mujhe koi fark nahi padega...Sirf aapko fark padega.

Aur tab padega jab aap aur buddhe ho jaayenge...Jab aap ko koi sahara ki jarurat hoga tab padega...Aapne kisi ko apna samjha hi nahi hai aur nahi kisi ke liye accha kiya hai...Koi aap ka saath nahi dega tab...Tab jaakar aap khud ko akela mehsoos karenge...Lekin tab koi aapka saath nahi dega...Uss vakt aapko apna galti dikhega aur uss vakt aap khud ko kosenge, pachtaayenge aur apni sharabi hone par khud se nafrat karenge.

Lekin koi faaidaa nahi...Koi aapka saath nahi dega...Aap akele me khud ka galti mehsoos karenge...Tab yaad aayega aapko ki aapne Priya aur Sasu Maa ke saath kitna naa insaafi kiya hai...Tab aap issi paschataap me mar jaayenge.

Aur aapka ye maut ka koi keemat nahi hoga...Sab sochenge ek bewda mar gaya aur dharti ka bojh kam ho gaya...Aapke hone aur nahi hone se kisi ko kuch fark nahi padne wala hai.

Issi liye kehta hu aap ek baar aayine ke saamne khade ho kar sochiye aap kya hai kaise hai aur kya kar rahe hai...Ek baar apni acchaayi aur buraayi ke baare me bhi sochiye.


Itna keh kar Sameer apne room me chala gaya...Gussa abhi bhi uske chehre se saaf jhalak raha tha...Usko yakin tha ki uska itna sab kuch kehne ke baad Priya ke Papa par kuch to fark pada hi hoga.

Sameer to apne badla lene ke liye Priya ke Papa ko unke najaro me giraana chaahta tha lekin iss baat ka anjaam aisa hone wala tha ki wo soch bhi nahi sakta tha...Jo bhi hone wala tha accha hi hone wala tha.

Sameer ke jaane ke baad Priya aur uske parents ke bich ek gehra sannata chaa gaya tha...Koi kuch bol nahi paa raha tha...Sabhi ko pata tha Sameer ne jo kaha hai bilkul sach kaha hai bhale hi kehne ka tarika kaisa bhi ho.

Kuch der baad Priya bhi apne hi kamre me aa gayi...Sameer ki taraf dekha usne jo abhi gehra soch me duba hua tha...Priya iss vakt usko kuch kehne ke haalat me nahi thi iss liye apne bed par sone ke liye chali gayi...Usko samajh me nahi aa raha tha ki jis tarah se Sameer ne uske Papa se baat kiya wo sahi tha ya nahi...Lekin maahaul aur haalat ko dekh kar usne abhi chup rehna hi behtar samjha.

Kuch der baad Priya ke Maa aur Papa bhi apne room me chale gaye sone ke liye.

Raat ke 12:00 am baj raha tha...Lekin kisi ko bhi neend nahi aa raha tha dinner me hua tamasha ke vajah se.

Priya ki Papa bhi Sameer ki baat sunne ke baad soch me padd gaye the...Jab unko chhain nahi mila to utth kar khade ho gaye aur Priya se baat karne uske room ki taraf chale gaye.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 83


Priya ki Papa Priya ke room ke paas pahunch gaye...Wo gate knock karne hi wale the ki kuch soch kar haath piche khinch liya.

Unhone mobile me time dekha to raat ke 12:00 am baj raha tha...Unhe laga ki Priya abhi so rahi hogi...Aur iss vakt usko jaga kar baat karna thik nahi hai...Unhone socha wo kal subah hi baat karenge Priya se.

Issi soch ke saath wo apne room me chale gaye sone ke liye...Lekin neend unke aankho se koso dur tha...Puri raat bina soye hi beet gaya...Saari raat wo sirf Sameer ki kahi hui baatein hi soch rahe the.


Subah karib 7:00 am par Priya ki papa fir se Priya ki room ke paas chale gaye...Unke chehre me ek aisa bhaaw tha jo kisi ne shaayad pichle 25 saal se nahi dekha hoga...Unke chehre ko dekh kar aisa lag raha tha wo khud se sharminda hai.

Wo Priya ka room ka gate knock karne hi wale the ki fir se apna haath waapas khinch liya...Iss baar wo himmat nahi kar paaye...Wo Priya ko kaise face karenge aur kya baat karenge yahi soch baar baar unke dimaag me aa raha tha...Aur jab ye khayal unke dimaag me aaya ki unko Priya ke saath Sameer ko bhi face karna hoga to unka jo bhi himmat tha wo ek hi pal me gaayab ho gaya.

Kuch der aur koshish kiya unhone gate par knock karne ka...Lekin nahi kar paaye...Wo Priya ke room ke paas idhar udhar tehalne lage aur himmat jutaane ka koshish karte rahe.

Aise hi 1 ghanta aur beet gaya lekin wo himmat jutaa nahi paaye.

Kareeb 8:00 am par Sameer ne gate khola...Raat me der se sone ke kaaran uski aankh abhi bhi laal tha...Wo fresh hone hi nikla tha ki uska najar paas me hi khade Priya ki Papa par pada...Priya ki Papa ko apne room ke paas dekhte hi wo chaunk gaya...Usse unka waha rehne ka vajah samajh me nahi aa raha tha.

P. Dad:- Beta...Priya se thodi der kuch baat karna chaahta hu.

Priya ke Papa ne himmat karke kaha...Sameer ko unki iss baat me bahut fark najar aa raha tha...Lekin usne kuch khaas dhyan nahi diya...Bina kuch bole chal diya fresh hone.

Sameer ke jaane ke baad hi Priya ke Papa ne room ki gate ke paas pahunche aur knock kiya.

Prya:- Gate khula hi hai...Locked nahi hai.

Andar se Priya ka chhidha hua aawaj aaya...Priya ko laga ki gate par knock Sameer kar raha hai.

Priya ki baat khatam hone ke baad hi Priya ke Papa gate khol kar andar chale gaye.

Saamne Priya abhi bhi bed me eti hui thi...Priya ki Papa ki najar Priya ki peeth ki taraf tha.

P. Dad:- Priya tumse kuch baat karna hai.

Priya ki Papa ne himmat karke kaha...Ye aawaj sunke Priya chaunk gayi...Bahut din ho gaya tha jab Priya ne apne Papa ke munh seapna naam suna tha...Ye pehli baar tha jab Priya ki Papa ki aawaj me unke beti ke liye pyar tha.

Priya jhatke se utth kar baith gayi aur apne Papa ki taraf dekhne lagi...Priya ko vishwas hi nahi ho raha tha tha ki saamne uske Papa khade hai...Ek pal ko to usko laga ki kahi wo koi sapna to nahi dekh rahi hai...Jab usse yakin hua ki ye sach hai to uske dimaag me aaya ki aakhir kya baat karna chaahte hai hske Papa uske saath aur wo bhi itne saalo ke baad.

P. Dad:- Aaj apna galti kabool karne aaya hu tumhaare paas.

Priya ke Papa ne himmat jutaa kar kaha...Ye kehte hi unhone Priya se najre chura liya...Unke paas abb itna himmat nahi tha ki Priya ki aankho me aankh daal kar apni galtiyon kabool kar paaye.

Priya to ye sunte hi chaunk gayi...Usse vishwas nahi ho raha tha apne kaano par...Uski Papa aur apni galtiyan kabool kare ye to usne apne sapne me bhi nahi socha tha...Jab usne apne Papa ki chehre ko dekha to chehra me sharmindagi tha...Lekin jab uski najar apne Papa ki aankho me gaya to usne gusse ke sath kaha...Priya ki Papa ki aankhein raat bhar na sone ki vajah se laal tha.

Priya:- Lagta hai aaj subah aapne kuch jyada hi pee liya hai...Baad me baat karenge.

Priya ki aawaj me apne Papa ke liye nafrat saaf jhalak raha tha...Bahut din baad Priya ne apne Papa se baat kiya tha...Kabhi baat karne ka jaroorat bhi nahi pada tha...Lekin jab aaj baat kar rahi thi to uske baato me nafrat saaf jhalak raha tha.

P. Dad:- Har baar laal aankho ka ye matlab nahi hai ki mai sharaab pikar nashe me hu...Iss baar mera aankh laal iss liye hai kyu ki kal raat bhar mai soo nahi paaya Sameer ki baat aur apna 25 saal pehle ki jindagi ko yaad karte hue.

Priya ki Papa ki aawaj me sharmindagi tha...Aaj pehli baar apni beti ke munh se khud ko sharaabi sunna unko chot pahuncha raha tha...Isse pehle to unhe koi parwaah nahi tha.

Priya:- Kya fark padta hai...Aapka galti kabool karne se kuch badal to nahi jaayega.

P. Dad:- Jaanta hu beti...Bahut galtiya kiya hai maine inn 25 saalo me...Galti nahi shaayad Paap kiya hai...Aur aaj mai khud ko itna gira hua mehsoos kar raha hu ki tumse maafi tak nahi maang sakta...Kaun si munh se maangu maafi...Aur mere paap maafi laayak bhi nahi hai...Mujhe praayaschit karna hoga apne galtiyo ka.

Priya ki Papa ne Priya ki nafrat ka parwaah kiye buna hi apni baat aage kehna chaalu kiya...Unki aawaj sunne ke baad Priya ko bhi yakin ho gaya ki wo sach me apna galti kabool kar rahe hai...Koi dikhaawa nahi kar rahe hai.

Lekin Priya ko inn sabhi baato se kuch fark nahi pada...Chaahe uske Papa jitna bhi galtiyan kabool karle aur jitna bhi praayaschit karle uski beeti hui jeevan ko waapas to nahi laa sakte the.

Jab bachpan me usko uski Papa ki jaroorat tha tab uski Papa apne sharaab ki duniya me vyast the...Uski choti choti farmaaish aur jidd ko pura karne ke liye uske Papa uske paas nahi the...Yaha tak ki uska haal chaal puchne ke liye bhi uske paas uske papa nahi the...Uske Papa ko to ye tak pata nahi tha ki unka ek beti bhi hai aur unka kuch jimmedaari bhi hai apne beti par.

Priya ka bachpan to baap hone ke baawjood anath jaisa bita tha...Baap ka farz bhi uske Maa ne hi puraa kiya tha...Jab bhi wo apne Papa se pyar aur ek aasha ke saath baat karne jaati usse apne Papa ki taraf se sirf daant aur maar hi milta tha.

Kabhi Papa ka pyar aur saath Priya ko nasib nahi hua jiske liye wo tarasti thi...Bachpan se hi usne Papa ke bagair jeene ka sikh liya tha.

Bachpan kya Jawaani tak kabhi bhi uske Papa ne uske saath dhang se baat nahi kiya tha aur ek baar bhi apna beti nahi maana tha...Uske Papa uske ghar me ek mehmaan ki tarah the jika uss ghar ke koi bhi sadasya se koi rishta nahi tha...Agar unka kisi se koi rishta tha to sirf sharaab ke saath.

Bachpan se lekar jawani tak Priya ke Maa ne hi uske liye Maa aur Baap dono ka kartavya nibhaaya tha...Priya aaj jo bhi thi unki hi pyar aur mehnat k vajah se hi thi.

Jawaani ke vakt me bhi jab gaanw me kuch awara ladke usko chhedte thhe tab bhi iss baat ka shikaayat wo apne Papa se nahi kar paati thi...Uss vakt bhi Papa apne jimmedaari nahi nibhaa paaye...Kisi tarah khud hi apna rasha kare wo apne jindagi me aage badhti rahi.

Upar se gaanw bhar me sabhi uska majaak udaate the ki wo ek bewda aur sharaabi ki beti hai...Gaanw me izzat bhi naa ke barabar tha...Apne baap ki saza usko aur uski Maa ko bhugatna pad raha tha...Bas ek Maa ka hi sahara tha jis vajah se wo saari duniya se ladti hui aage badh paayi thi.

Priya ko abb wo din yaad aa raha tha ki itni mushkilon se usko paala, usko padhaya aur uski jindagi ko kisi laayak banaya...Priya ko aaj apni Maa ki taklif aur himmat yaad aane laga...Aaj ek baar fir Priya ke dil me apne Maa ke liye Pyar aur izzat firse badh gaya aur saath hi apne Papa ke liye nafrat bhi.

Jab Priya ke Papa ne uske marji ki khilaaf uska shaadi karaya uski Maa aur usko emotionally blackmail karke tab se to Priya ko pita shab se vishwas hi utth gaya tha.

Ek pita ka kaam hota hai apne bache ko mushkil se bachana,uska hifaazat karna, uska taakat banna aur saari duniya se uske liye ladna lekin Priya ke Papa ne apni beti ko bachana to dur apne faayida ke liye usko hi bech diya.

Uski jindagi ke saath khilwaad karne ke liye jitna gunehgaar wo Sameer ko maanti thi usse kayi jyada apne Papa ko.


Ye sab bat yaad aate hi Priya ko apne Papa se bahut nafrat hone laga.

Abb uske Papa apne galti kabool karke maafi maang rahe hai...Aise kaise wo apne Papa ko maaf kar sakti thi itna sab kuch ho jaane ke baad....Maafi maang rahe hai to bhi kab jab kuch baaki hi nahi raha.

Ye sab baat yaad karte hi Priya ki aankho me aansu ke saath nafrat ki bhaw aa gaya.

P. Dad:- Sharaabi aur bewda mai jaan boojh kar nahi bana...Haalato se majboor ho kar mujhe banna pada.

Lekin mai is baat se inkaar nahi karunga ki maine galat kiya...Bahut galat hu mai...Jindagi me bahut galtiya kiya hai...Lekin sirf 3 insaan ke saath...Tum, Tumhaari Maa aur Sameer...Jiska ehsaas mujhe kal rat ko hua Sameer ke baat sunne ke baad.

Maine jo galtiya kiya unme kuch mera sharaab ki aadat, gair jimmedaari aur laaparwahi hai to kuch majbooriyan aur haalaath jisne mujhe majboor kar diya.

Aaj issi baare me baat karna chaahta hu beti...Please meri baat ek baar sun lena.

Priya ki Papa ki issi baat ne Priya ko uske khayal se bahar nikala...Aur usne apne Papa ko dekha jinke chehre me sharmindagi aur ankho me aansu tha.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 84


P. Dad:- Tumhe lagta hoga na mai kitna galat aur gira hua insaan hu...Tumne jabse hosh sambhaala hai aur mujhe dekha hai tab se tumne mujhe ek sharaabi aur bewda hi samjha hoga...Ha tumhara soch sahi hai...Hu mai ek bewda...Aur iska mujhe kal tak koi pacchtaawa bhi nahi tha...Paschataap...Wo bhi kiske liye...Kabhi kisi ko apna nahi maana maine daru ko chhod kar.

25 saal ho gaye mujhe sharaab se dosti kiye...Aur abhi tak yahi mera saathi hai...Ek saccha saathi...Jisne abhi tak mera saath nahi chhoda...Mera dukh me saath diya hai...Ateet ki unn kadwi yaadein jispar agar kisi ne malham lagaya to sirf wo daru hi hai.

Daru hi ek jeene ka sahara ban gaya mere liye...Aur sahara se kab aadat ban gaya pata hi nahi chala...Ek aisi aadat jisse mujhe hamesha chhain aur sukoon hi mila...Kabhi iss aadat par mujhe afsos nahi hua.

25 saal pehle ki baat hai...Aaj jo mai hu 25 saal pehle mai thik iska ulta tha...Daru ko kabhi haath bhi nahi lagaya tha uss vakt...Iss gaanw ka sabse padha likha insaan tha...Hamesha dusro ka care karta tha...Man me kabhi koi paap anahi tha aur naa hi kisi ke liye koi bura chaaha...Insaan tha aur insaaniyat par yakin karta tha.

Sabhi ka madad karta tha...Aur uss vakt aisa lagta tha ki sabhi mujhse khus hai aur mujhe pyar karte hai, izzat dete hai lekin ye sab ek dikhaawa tha, chhal tha.

Apne ghar ka mai bada beta tha...Mujhse chote mere do bhai bhi the...Maa ka saath bachpan me hi chhut gaya tha...Ek Papa the...Jinhone kabhi hamaara parwaah kiya hi nahi...Sirf paise ke hi piche bhaagte rahe...Paiso ki koi kami nahi tha hamaare paas...Khet aur jameeno ki bhi koi kami nahi tha.

Papa ka hote hue bhi unka pyar kabhi nahi mila...Hame ek bada sa mahal me rakh kar naukaro ka hawale karke chal pade paisa kamane.

Dukh to bahut hota tha...Maa ka pyar to kabhi mila hi nahi aur Papa ka pyar ke liye bhi taraste the jo kabhi nahi mila...Paisa aur aiso aaram ka koi kami nahi tha...Papa se jo bhi cheej maangte the wo laa dete the...Lekin kabhi hamaare saath unhone vakt nahi bitaya...Kabhi pita ka pyar aur saath nahi mila.

Jab bhi iss baare me unse baat karta tha to hamesha kehte the ki wo hamare liye hi to wo paisa kama rahe hai...Hamaare liye hi to wo itni mehnat karte hai...Jab mai kehta ki hame pisa ki nahi aapka pyar ka jarurat hai to daant aur maar hi padta tha.

Wo kabhi nahi badle aur apne soch par hi kaayam rahe...Issi tarah ek din wo ham sab ko chhod kar duniya se hi chale gaye.

Lekin jaane se pehle unhone hame akele jeena sikha diya tha...Jaise taise maine khud ko sambhala aur aage badhne ka soch liya...Aur mujhe apne chote chote bhaiyo ko bhi sambhaalna tha...Unka jindagi bhi sawarna tha aur unko kisi laayak banana tha.

Mai apne bhaiyo se bahut pyar karta tha...bas wo hi to reh gaye the mere jindagi me Maa aur Papa ke jaane ke baad...Mai hi dono ke liye Maa aur Papa tha...Unko paalne me maine apne taraf se koi kami nahi rakha tha...Khud bhi padhta tha aur unhe bhi padhata tha...Ghar ka saara kaam bhi khud hi karta tha...Duniyadaari bhi acche se samjhaya...Duniya ki acchayi aur buraayi ke baare me bhi bataya.

Mai jo kuch bhi kar sakta tha wo sab maine kiya...Apne farj ko imaandaari aur khushi ke saath nibhaate gaya.

Unki khushi me hi mera khushi tha...Apne bhaiyo ke saath jee raha tha khushi khushi.

Issi tarah din beet ta gaya...Aur mai B.Sc padhne shehar me aa gaya...Apne bhaiyo ko itna kaabil bana diya tha ki wo akele bhi reh sakte the...Aur ghar me kuch naukar bhi the unka khayal rakhne ke liye.

Shehar me padhaayi ke dauraan hi mujhe ek ladki se pyar ho gaya tha...Tumjari Maa uss ladki ki dost thi...Tumjari Maa mujhe kabhi pasand nahi thi...Pata nahi kyu wo hamesha hi mujhe apne pyar ke khilaaf bhadkaati rehti thi.

Kehti thi ki mai jis ladki se pyar karta hu wo acchi ladki nahi hai...Wo mere paise ke liye mujhse pyar ka naatak kar rahi hai...Bahut baar samjhaaya usse ki uske baare me kuch mat kahe lekin wo maanr ko taiyaar hi nahi thi...Piche hi padd gayi thi...Aaj tak nahi samajh paaya hu wo aisa kyu karti thi....Aur kyu mere piche lagi hui thi.

Khair mai usse ignore karke apne pyar aur sapno me hi vyast hone laga...Har din mera pyar aur deewanapan badhta hi jaa raha tha...Mujhe kabhi aisa nahi laga ki wo ladki kise mai pyar karta hu wo mujhe dhokha de rahi hai.

Shaayad uss vakt kuch jyada hi sharif tha iss liye uski niyat kabhi pata nahi chala.

Vakt teji se aage badh raha tha...Mera soch se bhi tej...Mera maana tha ki sabhi log mere baare me accha hi sochte honge...Kyuki maine kisi ke saath galat nahi kiya tha...Balki jitna ho sakta tha utna sabhi ka madad karta tha...Lekin kya pata tha ki hads se jyada sharif banna bhi khud me hi ek gunaah hai.

Vakt teji se chalne laga ya mai piche reh gaya pata hi nahi chala...Apne pyar aur duniya me iss tarah kho gaya tha ki mere aage piche kya chal raha hai wo bhi pata nahi chal raha tha.

Ek din mujhe uss ladki ka bewafaayi ke baare me pata chala...Lekin bahut der ho gaya tha...Uski bewafaayi ke baare me tab pata chala jab mai uske pyar me paagal ho gaya tha...Kitna sapna dekha tha maine ham dono ke liye...Pal bhar me saara sapna bikhar gaya...Dil toot gaya...Mera sacha pyar ke saat itna ghinauna majaak kiya usne...Lekin mai kuch nahi kar paaya.

Jab usko pucha iss baare me to ekdam sidha jawaab mila...Tuhaare paise ke liye pyar ka naatak kiya tha...Itna bol kar chali gayi aur kabhi piche mud kar nahi dekha.

Bewafaayi ke baad suruwaati pal kitna mushkil se bitaaya ye to sirf mai hi jaanta hu...Dil me ek dard aur aankho me aansu ke siwaay kuch nahi tha...Sambhaalna mushkil tha lekin sambhalna pada...Apne liye nahi apno ke liye.

Jab mujhe apne bhai ka yaad aaya to socha agar mai hi aise rahunga to unka kya hoga...Kya jawaab dunga unhe...Yahi ki jisne unhe haalato se ladna sikhaaya aaj wo khud hi haar gaya...Ek bewafaayi ki vajah se itna tut gaya ki wo iss tarah se gair jimmedaar ho gaya.

Jab ye khayal apne dimaag me aaya to soch liya ki pehle ki tarah sambhal jaaunga...Thoda koshish karne ke baad sambhal bhi gaya...Uke baad maine bhi apni jindagi me kabhi piche nahi dekha...Uss ladki ko bhul kar aage badh gaya.

Apna padhaayi khatam karne ke baad mai waapas apne gaanw aa gaya.

Jaha se mere jindagi puri tarah se badalne laga...Bahut jhatka milne laga sab ek ke baad ek.

Sabse pehla jhatka...Tumhaari Maa ke roop me.

Ek din uske pitaji aaye hamaare ghar uke liye rishta lekar...Lekin maine mana kardiya...Maine kabhi usko pasand kiya hi nahi tha...Uski dost ki bewafaayi ke baad to bilkul bhi nahi.

Lekin mujhe apne bhai aur dosto ke saamne jhukna hi pada...Dono bhai ne ujhe mana hi liya shaadi ke liye...Maine aaj tak unka koi baat nahi taala tha iss liye ye baat bhi unn dono ke liye maan hi liya...Gaanw k bujurgon ne bhi kaha shaadi kar lene ke liye aur ladki bhi bahut acchi aur sanskaari hai.

Maine bhi sabhi ki baat maan liya aur kar liya shaadi.

Shaadi ke baad jindagi 1 saal tak to normal bi chalta raha...Tumhari Maa mere liye kya sochti hai wo na tab pata chal paaya na abb pata chal raha hai...Aakhir kya tha uski najaro me...Uski baato se to aisa lagta ki kabhi wo mujhse pyar karti hai aur kabhi nahi...Aaj tak issi uljhan me hu mai.

Mujhe tumhaare Maa e pyar to kabhi nahi hua tha...Lekin fir bhi mai apna jimmedaari acchi tarah se nibha raha tha.

Life issi tarah se aage badh raha tha...Paiso ki to koi kami tha nahi lekin fir bhi mai gaanw ki school me padhaane laga...Gaanw ki baccho ko padhaane me ur unke saath vakt bitaane me bahut accha lagta tha...Unka padhaayi ka kharcha bhi mai hi uthaata tha...Kisi tarah khud bhi khus rehna chaahta tha aur dusro ko bhi khus rakhna chaahta tha.

Lekin jindagi ka sabse bada jhatka bhi bahut jald hi mil gaya...Wo bhi apne hi bhaiyon se...Kisi tarah se unhone mujhse dhokhe se property ka saara papers sign karwa liya aur mujhe hi ghar se nikaal diya.

Mujhe to uss pal vishwas hi nahi hua...Laga ki ek bura sapna hai...Kaash wo sapna hi hota...Jab pata chala ki ye hakikat hai to bahut dukh hua...Jindagi ka sabse bada dukh...Itna to uss ladki ka bewafaayi se bhi nahi hua th jitna mere bhaiyo ki gaddari ki vajah se.

Jinn bhaiyon ko mai apna sab kuch maanta tha...Bilkul apne baccho jaise paala tha...Kabhi bhi koi mushibat ka saamna karne nahi diya...Khud ko taklif aur musibat me daal kar unka hifaazat kiya tha...Lekin unhone kya kiya...Mujhe hi beghar kar diya...Mera mehnat ko mera pyar ko meri kurbaani ko ek majaak bana diya.

Mujhe to daulat ka kabhi shauk nahi tha...Ek baar maang lete sab kuch unka naam kar deta.

Lekin nahi un kamino ne dhokha diya mujhe...Bahut dukh hua...Jab apne hi dhokha deta hai to bahut bura lagta hai.

Kisi tarah khud ko sambhal kar apne patni ke saath idhar udhar bhatakta raha...Jaan pehchan walo ke paas gaya kuch dino ke liye rehne ke liye...Lekin kisi ne jagah aur saath nahi diya.

Kisi ne madad nahi kiya mushkilo ke vakt me...Mai unn sabhi ke paas gaya jinko maine madad kiya tha lekin sab bhul gaye aur dudh me se makhi ki tarah nikal kar fenk diya.

Bahut bura laga...Ek baar sochne par majboor ho gaya maine kya kiya aur mujhe kya mila.

Sabhi ke liye accha kiya lekin sabhi ne mere saath hi galat kiya...Mera acchayi aur sharaafat ka ye jawaab diya.

Gaanw me kisi ne saath nahi diya...Samajh gaya vakt ke saath sab badal gaye hai aur unka asli chehra bhi dikh gaya hai.

Bas road par bhatak raha tha ki tabhi mujhe mera ek dost mila...bas usne hi mera madad kiya...Usne hi mujhe ek bank account ka yaad dilaaya...Paisa dekha to 20 lakhs ke laghbhag tha.

Bas wo hi bacha tha mere paas...Kisi tarah se uske baad ek chota sa ghar liya gaanw me hi...Ye wahi ghar hai jaha abhi ham reh rahe hai...Aur wahi bank ke paise ke byaj se sabhi ghar ka kharcha chalne laga.

Mai apne saath hua dhokha ko yaad karne laga...Dimaag me badla lene ka khayal aaya...Lekin kaise leta...Koi bhi mere saath nahi tha siwaay uss dost ka...Do dost mil kar kya kar sakte the...Abb unka (bhaiyon) ka power itna badh gaya tha ki unn tak pahunchna bhi naa munkin tha.

Uss time jab maine tere Maa se iss baare me kuch kaha to wo kuch nahi boli...Aur vakt to uski baatein kaan me dard paida kar deta tha lekin jab mai usse baat karna chaahta tha to khaamosh rehti thi...Bas itna kehti thi ki sab kuch thik ho jaayega.

Aise kaise thik ho jaayega...Jab kuch karunga hi nahi to...Mujhe uss par gussa aane laga aur baat karna bhi band kar diya usse...Uss vakt to ye bhi lagta tha ki usne mujhse shaadi paise ke liye kiya hai aur abb mere paas kuch baaki nahi hai to abb mujhse piccha chhudana chaahti hai...Mujhe bhi kuch parwah nahi tha...bas uake jaane ka intejaar karne laga.

Bas sochne me hi apna dimaag lagata tha ki kisi tarah unse badla le paau.

Lekin kabhi mauka hi nahi mila.

Kuch din baad pata chala ki tera Maa pregnant hai...Tabhi mera bujha hua chhota sa aasha badh gaya...Socha ki agar beta hua to badla lene ka tarika mil gaya hai.

Socha ki bhale hi mai mar jaau lekin mera badla nahi marna chaahiye...Apne beta ko iss tarah paalunga ki uske dil me unn logo ke liye badla ke feelings paida karwaunga aur baaki ka accha sanskar bhi dunga.

Lekin mujhe niraasha hi haasil hua...Jab tumhara janam hua.

Mere saare sapne mitti me mil gaya...Aur mai puri tarah se haar gaya.

Mujhe apna beijjati aur gaddari baar baar yaad aane laga.

Jine ki iccha bhi khatam ho gaya...Aakhir kiske liye jita...Koi bhi to apna nahi tha...Apno ne hi dhokha diya...Jinda maar diya...Ek patni thi jo baat bhi nahi karti thi.

Jindagi se pareshaan ho gaya tha...Lekin itna kaayar bhi nahi tha ki aatmahatya kar lu...Issi liye mai apne dost ke paas gaya...Wo daru ka dukaan chalata tha aur ussi ke paas se daru ki aadat daal liya.

Kisi tarah apne gam ko bhulaana chaahta tha aur dhire dhire karke khud ko mitaana chaahta tha...Isa duniya ki moh maya se baahar nikalna chaahta tha.

Uske baad mai apne daru ki aadat me iss tarah vyast ho gaya ki mujhe kuch pata nahi chala mai kaun hu aur mere paas kaun hai...Saara gaanw mujhe bewda kehkar hansta tha...Lekin mujhe koi fark nahi padta tha...Unki tarah mai nich aur kamina to nahi tha.

Daru ki nasha me mai iss tarah kho gaya ki kabhi pata bhi nahi chala ki meri ek choti beti bhi hai...Jisse mai uske koi galti ki bina saja de raha hu...Pata nahi kyu maine tere saath itna galat kiya.

Shaayad darta tha ki kahi tu bhi baaki ke log ki tarah to nahi niklegi...Jo mera kaam ho jaane ke baad apne raaste se hata degi.

Bhaiyo ki dhokha ki vajah se itna dar gaya tha ki kisi par bhi yakin nahi karna chaahta tha...Insaaniyat par se viswaash utth gaya tha...Uske baad mai apne tarike se jeene laga...Naa koi sapna naa koi iccha...Sab kuch khatam ho gaya.

Apne bhaiyo se badla lene ka soch bhi bhul gaya...Bhagwan par chhod diya sab kuch...Aur bhagwan ne insaaf bhi kiya...Aaj ek ko paralysis hai to ek andha ho gaya hai

Daru hi mera sahara tha jeene ka...Apne gam ko bhulne me daru ne hi saath diya...Kabhi kabhi sochta tha ki abhi tak teri Maa mere saath kyu hai...Lekin agle hi pal mai ye khayal jhatak deta tha ye sochkar ki mujhe kya matlab.

Uske baad mera aur teri Maa ke bich sirf itna hi hota tha ki wo raat ko mere liye bhi khana bana deti thi aur mai chup chap khaa kar so jaata tha.

Kabhi usse baat nahi kiya aur naa hi tujhse...Apni patni aur beti ke liye ek ajnabi ban gaya...Shaayad ye mera sabse bada galti tha.

Uss vakt to afsos nahi hua lekin aaj ho raha hai.

Itna keh kar Priya ke Papa chup ho gaye aur Priya ki taraf dekhne lage.

Priya ki aankho aur chehra me gussa, dard aur hairaani teeno ke mile jule bhaaw tha.

Wo aage bolne hi wale the ki Priya ne kaha.

Priya:- Aap kehte hai ki aapki koi galti nahi kiya lekin aapne mera shaadi Sameer se karwaya jabardasti kya wo aapka galti nahi tha...Aur iss baat ka bhi jawaab dijiye ki aaj 25 saal baad aisa kya ho gaya ki aapko apna ateet ke baare me bataaana pada aur mujhse baat karna pada.

Priya ne gusse ke saath kaha...Uske chehre me jo hairaani aur dard tha wo usne chipaa liya.

Priya ki Papa ne fir se sar jhuka kar kehna suruwat kiya.

P. Dad:- Tumhaari shaadi Sameer se karwana hi mera galti nahi hai...Aur bhi galtiya kiya hai maine jo uss vakt pata nahi chala...Lekin aaj afsos ho raha hai.

Aur mai yahi sab bataane aaya hu ki ek hi raat me aisa kyu hua ki mai tumhe sab kuch bataane chala aaya.

Iske baad Priya ki Papa bolte chale gaye...

Note:- Friends abb bas 1 update aur uske baad story main plot me aa jaayega...Ye bhi plot ka hi hissa hai aur story ke liye jaruri bhi...Next update me saari sawal ka jawaab mil jaayega...Aur Priya ki Maa ki khaamoshi ki jawaab bhi...Vajah bada nahi hai...Simple hi hai...Mai ye nahi keh raha hu ki Priya ki Papa ekdam sahi aur ekdam se galat hai...Haalat ne unhe kaisa banaya uss baare me likhne ki koshish kar raha hu.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Friends 3 updates are posted till 84...Please read and give your valuable feedbacks.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,778
37,577
219
agar kisi ke sath bura hua hai to use doosron ke sath bura karne ka to hak nahi mil jata............

priya ke papa ki is dukhbhari kahani se bhi mujhe koi hamdardi nahi hui

dekhte hain agla update kya batata hai
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
agar kisi ke sath bura hua hai to use doosron ke sath bura karne ka to hak nahi mil jata............

priya ke papa ki is dukhbhari kahani se bhi mujhe koi hamdardi nahi hui

dekhte hain agla update kya batata hai
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Keep supporting.
 
Top