- 5,758
- 13,146
- 189
UPDATE 85
P. Dad:- Apno se aur gaanw walo se mila hua dhokha aur haar ne mujhe itna tod diya tha ki mujhme itna taakat nahi bacha ki aage badh paau.
Aage badhta to bhi kiske liye...Koi apna najar nahi aaya mujhe iss khudgarz duniya me...Ek baat pata chal gaya tha ki iss matlabi duniya me mujh jaisa insan ke liye koi jagah nahi hai.
Apna kehne ke liye koi nahi tha...Abb ek patni aur ek beti thi...Tumhari Maa ne bhi mujhse baat karna band hi kar diya tha...Pata nahi kya tha uske dimag me aur kya expectation tha uska mujhse.
Mujhe laga ki wo bhi mujhe chhod kar chali jaayegi...Bas ussi ka intejaar tha mujhe...Khud ko taiyar kar liya tha puri tarah se akela ban jaane ke liye.
Jab bhi tumhara chehra dekh leta tha suruwat me to kaafi mushkil hota tha khud ko tumhe dekhne ke liye...Lekin kisi tarah khud par kabu kar leta tha...Mai nahi chaahta tha jab bhi tumhe tumhaare Maa le jaaye to mai fir se kisi ke liye udaas aur pareshaan ho jaau...Pehle hi aadat daal lena chaahta tha akela jeene ke liye.
Mai intejaar karta raha lekin wo jaa hi nahi rahi thi...Thoda thoda hairaani to ho raha tha lekin kabhi vajah pucha nahi.
Issi bich mai apni sharb ki aadat me iss tarah ulajh gaya ki mere aas paas kya ho raha hai iss baat ka bhi pata nahi chal raha tha...Mai daru pee raha tha ya daru mujhe pee raha tha ye baat mai nahi samajh paaya uss vakt.
Dhire dhire daru ki lat ki vajah se maine khud ko hi kho diya...Apna character, soch aur apni saari khaasiyat kho diya.
Teri Maa se bhi koi baat cheet nahi hota tha kuch baato ke alawa...Wo apne jarurat ke saaman ke liye paise maangti thi aur mai de deta tha...Kabhi iske alawa kuch baat nahi kiya.
Dhire dhire tu badi hoti gayi...Aur bolne bhi lagi...Tu kabhi kabhi aati thi mujhse baat karne ke liye lekin mai tujhe khud se alag kar deta tha...Iss baar pehle wali vajah nahi tha.
Iss baar daru ka asar tha...Mai abb itna sakht aur nirdayi ban gaya tha ki mujh me sahi aur galat samajhne ka taakat nahi raha...Yaha tak ki mujhe ye bhi yaad nahi rehta tha ki meri koi beti bhi hai...Daru ne mujhe itna nirdayi bana diya tha ya fir ye kehna bhi galat nahi hai ki maine khud ko itna nirdayi bana liya tha ki mujhe teri masoom chehra aur aankho ki aansu ka bhi koi fark nahi padta tha.
Jab tu thoda aur badi ho gayi aur school jaane laayak ho gayi tab pehli baar teri Maa ne mere saath ladaayi kiya...Mai nahi chaahta tha ki tu padhe...Puraane khayalaat to nahi lekin mai ye jarur jaanta tha ki jab tu padhegi tab guardian ke roop me mujhe bulaaya jaayega.
Bas yahi vajah tha...Abb mai koi bhi jimmedaari nahi uthaana chaahta tha kisi ke liye bhi nahi...Tang aa gaya tha mai inn sab chijo se.
Khair uss vakt teri Maa jeet gayi aur maine haar maan liya...Jyada vahas karne se accha ki tera admission hi kara deta hu aur maine gaanw ke school me hi tera admission kara diya.
Uske baad jyada kuch nahi hua...Teri Maa mujhe chod kar nahi gayi lekin hamaare bich ke dooriyan bahut badh gaya...Uske chehre me mai apne liye gussa aur nafrat aane laga tha...Lekin mujhe koi fark nahi pada...Wo abb apne jaroorat ke saaman ke baare me mujhse baat nahi karti thi...Subah ek paper me likh deti thi aur mai bhi paisa rakh deta tha.
Isse jyada kuch nahi hota tha hamaare bich...Ha kabhi kabhi ladaayi ho jaata tha tere padhaayi aur baaki ke baato ke liye.
12 tak to tune gaanw se hi padha...Uske baad jab BBA ke liye shahar jaane wali thi tab fir se ladaayi hui...Shaayad tujhe nahi pata ye baat lekin yudh hi hone wala tha hamaare bich.
Mai tere aage ke padhne ke khilaaf tha aur wo tujhe har haal me padhana chaahti thi...Ek baar fir se mai hi haar gaya...Tu padhne chali gayi...Uske baad sab kuch pehle jaisa ho gaya...Mai apne duniya me vyast aur tu aur teri Maa apne duniya me.
Issi tarah teri Maa ki vajah se fir se tu MBA bhi padh paayi...Fir se mera haar ho gaya...Haarne ka to aadat hi pad gaya tha.
Fir se tera MBA khatam hone tak waisa hi chalta raha jaisa chalta aa raha tha.
Aur aakhiri baar mai apne jimmedaari nibhaane gaya na chaahte hue bhi tera padhaayi ke baare me.
Waha mai gaya hi tha ki mujhe Sameer mila...Usne mujhe tere baare me bataya...Ye bataya ki tu kisi ladke ke saath koi pyar ki chakkar me hai aur padhaayi me bahut kamjor hai...Mujhe tujh par tera iss jhooth ki vajah se bahut gussa aaya.
Usne mujhe tera shaadi ka idea diya jo mujhe bilkul bhi pasand nahi aaya...Mai nahi chaahta tha ki teri shaadi me mai dahej du...Ek to ye gunaah hai lekin vajah ye nahi tha...Mai kisi ke saamne jhukna nahi chaahta tha ki mai usko paisa de kar tera shaadi karwaau.
Tab Sameer ne mujhe ye bataya ki agar mai tera shaadi kisi bewda se karwaunga to ulta mujhe hi paisa milega...Pata nahi kya hua tha uss vakt mai maan gaya.
Jab ghar me aakar iss baare me socha to galat laga aur maine wo plan mere dimag se nikal diya ko tera shaadi kisi bewda se karaunga...Lekin gaanw me jo izzat baaki tha isse nahi gawana chaahtw tha iss liye tera shaadi karana jaruri ho gaya tha.
Maine jab iss baare me apne wo ek louta dost ke saath baat kiya to usne kaha ki uska beta Pratap tujhse shaadi karne ke liye taiyar hai...Koi dahej ki baat nahi hua aur isme mujhe koi burai bhi najar nahi aaya...Maine turant ha kar diya.
Uss vakt mujhe tera aansu fir nahi dikha...Bahut pehle hi maine tera aansu ko najar andaaj kar diya tha...Abb mujh me koi emotion ka fark nahi padta tha.
Mai aaj tak tere Maa se haarta hi aaya tha...Lekin iss baar maine haar nahi maana aur har haal me shaadi karwana chaahta tha isse pehle gaanw walo tak tere aur shahar ke kisi ladke ke pyar ke baare me pata chale.
Pata nahi gaanw walo ke saamne mai kya tha aur kya sochte the...Lekin mai kabhi galat nahi tha iss samaaj ke liye...Lekin agar tera prem kahani sabke saamne aa jaata to sach me mai unke liye majak ke patra ban jaata jo mai nahi hone dena chaahta.
Ek sharabi hone ke baawjood apna izzat ka khayal tha uss vakt...Pata nahi kitna gira hua insan ban gaya tha uss vakt jo apne beti tak ka fikar nahi kiya maine.
Jab shaadi ka vakt aaya to achanak hi wo Sameer aa tapka...Aur aate hi mujhe shaadi rukwane ki baat karne laga...Gussa to itna aa raha tha ki uss vakt to usko wohi maar deta usse lekin kisi tarah apne gusse par kaabu rakha.
Ek to bakwas idea diya tha college me...Agar wo idea maan kar ek bewda se tera shaadi karwa deta to apni hi beti ka jindagi barbaad karne ka paap lagta...Aur meri vajah se teri jindagi nark se bhi bura ban jaata.
Pratap ko maine jitna jaana tha usse to yahi lagta tha ki wo ek accha ladka hai...Iss bich maine tera wo pyar...Kya naam tha uska Karan uske baare me pata lagaya...Pata chala ki wo ek ghatiya type insaan hai...Pyar par to pehle hi vishwas utrh chuka tha aur iss baat ne mera yakin aur badha diya.
Pehli baar socha ki abhi tak tere liye padhaayi ka jimmedaari to uthaaya hi hai...Abb shaadi ka jimmedaari bhi utha hi leta hu aur tujhe vida kar deta hu...Isa tarah se mera kartavya bhi khatam ho jaata aur mai aage ki jindagi sukun ke saath jee kar mar sakta tha.
Lekin Sameer ka waha aana aur sach bataane se mujhe bahut gussa aaya...Uski iss baat se mujhe laga ki usne mere saath khel khela aur mujhe bewkoof samjha.
Ye baat mujhse bardast nahi hua...Koi mujhe itna bada bewkoof kaise samajh sakta hai aur aakhiri vakt me aa kar mujhe hukum deta hai shaadi rukwane ke liye jaisa ki mai uska gulam hu...Aur to aur wo mujhse paise ka baat bhi kar raha tha.
Socha ki iska paisa ka ghamand tod deta hu aur isko iska saja bhi milega...Mujhe uski baato se itna to pata chal gaya tha ki wo accha ladka hi hai...Insaan ko pehchaane ki shakti nahi bhula tha...Us vakt dimaag me yahi aaya ki iska galti ka saja isko mil kar hi rahega aur maine usko majbur kar diya usko hi shaadi karne ke liye.
Itna keh kar Priya ki Papa chup ho gaye kuch pal ke liye aur fir aage kehna lage.
P. Dad:- Abb tumhara aakhiri sawaal ka jawaab.
Aakhir ek hi raat me aisa kya jadu ho gaya ki mai tumse aakar baat karne laga aur apni galtiya ke baare me baat karne laga.
Sameer ne kal raat aisi kayi baatein mujhse kaha...Isse sunne ke baad mai sochne par majbur ho gaya aur natija aaj saamne hai.
Usne bahut saari baatein kaha jisme se 2 baato ne mujhe sochne par majbur kiya.
Tumhe lag raha hoga wo 2 baatein ye hai ki ek mai dharti ka bojh hu aur dusra jab baad me mai akela pad jaaunga tab mujhe apni galti ka ehsaas hoga aur issi liye mai tumse maafi maangne aa gaya.
Lekin ye sab nahi hai.
Wo 2 baatein ye hai ki ek mai pita ke naam me kalank hu aur dusra tumhaari Maa itne vakt se mere saath reh rahi hai.
Marne se kabhi dar nahi laga..Kyu ki ye raasta maine khud chuna tha aur iska koi afsos bhi nahi hai.
Sabse pehle to iss baat ne mujhe pareshaan kiya raat bhar ki tumhaari Maa kaise ek bewde ke saath itne vakt se rahi...Kya vajah ho sakta hai...Usko aaj tak mai samajh nahi paaya...Uska khaamoshi hi iska badi vajah tha.
Kaash kabhi to wo mujhse aache se baat karti aur mai bhi uska dil ka baat jaan pata...Lekin wo hamesha se chup hi rahi...Kabhi nahi jaan paaya usse aur uska ye khaamosh roop ki vajah se.
Jab daru peena suru kiya tab bhi wo chup rahi...Kuch nahi boli...Kya karta mai...Mujhe laga wo bhi abb mujhe pasand nahi karti iss liue mera fikar nahi karti hai...Mai gair jimmedaar hua jaa raha tha fir bhi wo khaamosh rahi...Mai galti ke upar galti karta jaa raha tha fir bhi wo khaamosh rahi...Abb mai kya karta.
Jo sahi laga wo kiya...Mai akela mehsus karne laga khudko aur iss baat ka dar tha ki wo tujhe apne saath le jaayegi uske baad to mai puri tarah se akela ho jaaunga...Iss vajah se maine khudko akela hi rakhne ka aadat daal liya.
Jab vakt bitne laga aur wo mujhe chod kar nahi gayi to mujhe ajeeb laga par baat nahi kar paaya...Ek jhijhak sa lagne laga. Aur ego bhi...Jab wo mujhse baat nahi karti to mai kyu karu...Kya kami hai mujhe...Apni duniya me khus hu isse jyada kya chaahiye.
Dhire dhire mai ye baat bhul gaya.
Aur kal hi Sameer ki baato se waapas ye sochne par majbur ho gaya...Aakhir kaise 25 saal usne mere saath khaamoshi se apna jindagi gujaara...Bahut socha...Jab sutuwat se socha to mujhe laga wo jarur mujhse pyar karti thi shaayad...Jab mai uske dost se pyar karta tha tab lagta tha ki wo mujhse pyar karti hai...Yakin nahi tha par shak tha...Lekin mai kisi aur se pyar karta tha issi vajah se ye soch apne khayal se nikal diya.
Jab mera sab kuch loot gaya aur wo khaamosh rehti thi to mujhe uska khaamoshi dekh kar laga ki paise jaate hi uska pyar ya fir jo bhi tha wo khatam...Kyuki uke dost ne bhi to mujhse paise ke liye pyar ka naatak kiya tha.
Lekin kal jab maine socha ki agar pyar khatam ho jaata to 25 saal kaise usne jee liya mere saath.
Tab jaakar mujhe pne galti ka ehsas hua...Agar usne mujhse baat nahi kiya to kya hua mujhe to baat karna chaahiye tha...Bahut galat kiya maine...Agar baat kar leta aur mujhe pata chalta ki wo bhi mujhse pyar karti hai to shaayad mai uske liye khud ko badal leta aur aaj ye nahi hota.
Iske baad ek aur galti hua mujhse...Galti nahi paap...Sach kehta hai Sameer...Pita ke naam me kalank hu...Aakhir kaise itna gir sakta hu ki apni beti tak ka fikar nahi kar paaya...Ek beti ke liye uska pita sabse karib hota hai...Lekin mai besharam hamesha usse dur bhaagta raha.
Kitna galat ban gaya mai...Mai bas isko haalat ko dosh nahi de sakta...Kuch galtiya meri murkhata ki vajah se hua hai...Aur kuch haalat ki vajah se.
Kaah maine uss pal thoda himmat aur apna dimmag ka istemaal karta aur tumhaari Maa se iss baare me baat karta...Lekin mai mushkil palo me ek kaayar nikla aur haalato ka saamna nahi kar paaya aur bewda ban gaya aur uske baad to maine khud ko hi kho diya...Aur na jaane kitna galat aur anyaay kiya tum dono par.
Raat bhar issi galti ko soch kar mai pareshaan tha...Aur ek baar tum dono sebaat karne ke liye tadap raha tha.
Itna keh kar Priya ki Papa chup ho gaye aur apna sar jhukaaye hi khada rahe...Wo Priya ki aankho me dekh nahi paa rahe the...Priya ki chehre me bhi koi bhaaw nahi tha...Usse samajh me nahi aa raha tha ki kya bole abb...Ussi vakt firse Priya ki Papa ki aawaj aaya.
P. Dad:- Ho sake to mujhe maaf mat karna beti...Mera paap ka saja itna chota nahi hai ki itni jaldi maafi mil sake...Aaj pehli baar mai khud ko apni hi najaro me gira hua maan raha hu...Lekin abb kuch kar bhi nahi sakta...25 saal maine barbaad kar diya...Itne vakt me tere Maa ke saath bahut bada naa insaafi kiya hai maine...Chaah kar bhi nahi laa sakta wo 25 saal ko waapas.
Na hi teri bachpan ko...Bahut man karta hai aaj wo nanhi si masoom Priya se baat karne ka, uske saath khelne ka uski ungliyon ko pakad kar chalne ke liye sikhaane ka...Pith par bitha kar school le jaane ka...Tere liye kisi se bhi ladne ka....Lekin itna majbur hu ki kuch nahi kar sakta.
Khud ki jindagi par thukne ka man kar raha hai...Bhale hi kisi ne mere saath kuch bhi kiya ho lekin mujhe tere saath itna galat nahi karna chaahiye tha...Afsos ho raha hai ki tu aisa ghatiya ghar me paida hui jaha tera pita itna ghatiya ho.
Bahut sochne ke baad abb ye faisla kiya ki koshish karunga abb ye daru ki aadat chodne ka aur baaki ka jindagi tere Maa ke saath acche se bitaaunga.
Pata nahi abb kitna jiunga mai...Daru bhi itna pee liya hai ki kabhi bhi mar sakta hu...Lekin mera maut par kabhi aansu mat bahana...Mera antar aatma bhi mujh dhikaarega...Abb to bas itna hi socha hai ki bhale hi der ho gaya hai...Bahut der ho gaya hai lekin jitna bhi jindagi baaki hai abb isse daru me nahi barbaad karunga...Teri Maa ke liye jiyunga abb...Jo shaayad bahut pehle hi kar dena chaahiye tha.
Afsos rahega ki tere liye kuch nahi kar paaunga lekin tere liye dua jarur karunga ki tu hamesha khus rahe.
Itna keh kar Priya ke Papa room se chale gaye...Wo aage bol paane ke haalat me nahi the aur nahi Priya ki kadwi baatein sun paane ki.
Priya ke Papa ke room se jaate hi Priya soch me pad gayi...Soch aur hairaani dono maujood tha uske chehre me...Bahut der tak wo apne Papa ke baare me sochti rahi lekin kabhi faisla kar nahi paayi ki aakhir kaise hai uski Papa...Kabhi usse wo bahut ghatiya lagta to kabhi majbur...Issi soch me sochti reh gayi wo lekin kuch faisla nahi kar paayi...Usse to ye bhi samajh me nahi aa raha tha ki usse apne Papa ke liye gussa hona chaahiye jo bhi unhone unn dono ke saath kiya ya fir dukhi hona chaahiye.
Jab apne Papa se uska dhyan hata to Sameer par aa kar tik gaya...Aur wo ek baar fir Sameer ke baare me sochne par majbur ho gayi...Aakhir kaun hai Sameer aur uski jindagi me aane ke baad uski jindagi kis tarah se badal gaya hai.
Abb Next update se story main plot par ek nayi suruwat ke saath.