- 5,758
- 13,139
- 189
UPDATE 88
Shruti:- Hello Sameer.
Phone uthaate hi Shruti ka bechain aawaj Sameer ke kaano me pada.
Sameer:- Ha Shruti...Bolo.
Sameer ne bina kisi bhaaw ke saath jawaab diya.
Shruti:- Tum abhi kaha ho aur kal se tumhara phone kyu nahi lag raha hai.
Shruti ki aawaj me naraajgi tha...Kal se Sameer ko phone nahi lagne ki vajah se wo thoda pareshan bhi thi.
Sameer:- Priya ke saath uske ghar aaya hu...Yaha network problem hai issi liye phone nahi lag raha tha.
Sameer ko to Shruti se iss vakt baat karne ka man hi nahi tha...Lekin wo chaah kar bhi aisa nahi kar sakta tha...Usne bas Shruti ka sawal ka jawaab dene ka hi socha...Isse jyada wo kuch baat nahi karna chaahta tha.
Shruti:- Tum uske ghar gaye ho aur mujhe bataya bhi nahi...Aisa kya kaam pad gaya tha jo tum abhi uske ghar me ho.
Shruti ki aawaj me gussa saaf mehsoos kiya jaa sakta tha...Sameer Priya ke saath Priya ke hi ghar me hai ye baat usko bilkul bardaast nahi ho raha tha.
Sameer:- Parso hi pata chala ki Priya ghar aana chaahti hai to usko lekar kal aa gaya...Bahut din ho gaya tha usko apne ghar gaye hue bhi...Haalat hi aise hai ki agar wo waha rehti to ghutan mehsoos karti issi liye kuch dino ke liye yaha apne ghar aa gayi.
Sameer Shruti ka gussa samajh sakta tha...Agar abhi wo iss vakt uske saath acche se baat nahi karta to ek aur tufaan ka aane ka khatra ka pata usse chal gaya tha.
Usne jaise taise khud ko sambhala taaki wo jyada berukhi se Shruti se baat na kare...Aur sambhaalne ke baad acche se samjhaane ka koshish kiya.
Lekin Shruti ka gussa kam hi nahi ho raha tha...Gusse me ek baar fir se usne kaha.
Shruti:- Lekin mujhe to tum bata sakte the na ki tum Priya ke saath jaa rahe ho.
Sameer:- Dimaag me ye baat aaya hi nahi.
Sameer ko bhi nahi pata chala ki usne kya keh diya hai...Usne to sach hi kaha tha...Lekin jab iska ehsas hua to der ho gaya...Ek aur gusse se bhari Shruti ki aawaj uske kaano me pada.
Shruti:- Waah Sameer...Yahi hai tumhara pyar...Ye tumhe koi chhoti baat lagti hai...Tumhaara shaadi hone wala hai mujhse...Aur tum itna badi baat chupaate ho mujhse...Tumhari hone wale patni hone ki vajah se hak hai mere paas ki tumhaare baare me jaan saku.
Tum kya karte ho, kisse baat karte ho, kaha jaate ho ye sab jaane ke hak hai mere paas.
Lekin tum to acche se jawaab tak nahi de rahe ho...Ek dam berukhi se baat kar rahe ho jaise tumhaara fikar karna mera gunaah hai.
Pehle hi mere saath dhokha kiya tumne aur Priya se shaadi kar liya...Tumhaari baat maan liya ki galti aur anjaane me ho gayi shaadi...Kisi tarah khud ko mana kar ek mauka diya tumhe apne bhool sudharne ka...Lekin tum to abhi bhi mujhse cheating kar rahe ho uss Priya ke aur paas jaa kar aur usse najdiki badha kar.
Tum to bahut hi ghatiya insaan nikle Sameer...Mera sacha pyar ka ye sila diya tumne...Kitna badal gaye ho tum Sameer.
Shruti ne bahut gusse me apni baat kaha....Usse bardaast nahi ho raha tha Sameer Priya ke ghar gaya hai aur abb Sameer usko pehle se jyada ignore karne lag gaya hai...Gusse me usne kya kya kaha ye usse khud pata nahi chala.
Sameer ko paane ke liye aur Priya ko raaste se hataane ke liye usne kitna mehnat kiya tha lekin aaj Sameer ka Priya ke paas hone se usko bahut gussa aa raha tha aur ye gusse me usne bahut kuch bol diya jo usse nahi bolna chaahiye tha.
Iss baar Shruti ki baat sun kar Sameer khud par kaabu nahi kar paaya.
Sameer ne bhi ek dam gusse ke saath jawaab diya.
Sameer:- Sabse pehle to maine tumse kabhi pyar kiya hi nahi...Yo ye bolna band karo ki mera pyar kaisa tha...Ye shaadi kar raha hu to tumhaari aur apne Papa aur Maa ke khusi ke liye...Abb tum kya keh rahi thi ki tumne mujhe ek mauka diya hai mera bhool sudhaarne ka...Agar tumhe aisa lagta hai to nahi chaahiyrle tumhaari ye meharbaani.
Dusri baat agar maine Priya se shaadi kiya hai to iska vajah bhi tum khud hi ho...Tumhaari galat informations ki vajah se mai Priya se badla lene chala gaya tha aur he sab ho gaya...Na tum mujhe kuch galat baatein bataati aur na ye sab hota.
Ek baar tum khud ko aaiyne me dekho aur bataao ki tum kya ho...Priya ki jindagi me iss tufaan ke piche tum bhi ek bahut badi vajah ho...Lekin tumne kabhi usse maafi nahi maanga...Maana ki tum dono ka ek dusre se accha banti nahi hai lekin fir bhi tum apna galti maan nahi rahi ho.
Aur ye cheating kaise hua...Maana ki tumse shaadi hoga mera baad me...Lekin ye jaruri bhi to nahi ki mai tumhe apna har chota sa chota matter bataata hi rahunga...Kabhi kabhi tensions ki vajah se baat dimaag se nikal jaata hai aur nahi bata paata hu.
Iska matlab ye to nahi ki mai tum se daant khaata rahu..Mera bhi kuch self respect hai aur mai ye baat bilkul bardaast nahi kar sakta hu...Abhi bhi aisa hi hua hai...Dimaag se ye baat nikal gaya ki jaate vakt tumhe bata deta hu.
Lekin iske baad to tum shak hi karne lag gayi ki mai tumhe cheat kar raha hu...Mai Priya ko pahunchaane aur waapas laane ke liye yaha par aaya hu...Aur ye ek tarah se mera jimmedaari bhi hai...Jab tumne mujhse pucha to maine saaf saaf bata diya...Agar nahi batata to ye cheating hota.
Tumhe to shak karne ka bimaari ho gaya hai...Jo karna hai karo lekin mera dimaag kharab karna band karo...Kabhi kabhi to lagta hai ki maine tumse shaadi karne ka faisla lekar koi galti to nahi kar diya.
Itna keh kar Sameer ne phone kaat mar bed me fenk diya...Uske chehre gusse se laal hota jaa raha tha.
Paas me baithi chehra me hairaani saaf dekha jaa sakta tha...Usse Sameer ka itna gussa wo bhi Shruti ke liye dekh kar sach me bahut hairaani ho raha tha.
Himmat karke usne Sameer se kaha.
Priya:- Itna gussa kyu ho gaye...Kya kaha Shruti ne.
Sameer:- Shak kar rahi thi mujh par...Aur mujhse badtameezi se baat kar rahi thi...Abhi se ye haal hai to pata nahi baad me kya hoga.
Sameer ne bahut gusse me jawaab diya.
Priya:- Shruti ki jagah koi bhi ladki hoti to shaayad wo bhi yahi karti...Shaayad tum jyada hi gussa ho gaye iss chhoti se baat ko lekar.
Lekin abhi Sameer kuch bhi baat samajhne ke mood me nahi tha.
Sameer:- Na ye baat chhoti hai aur na mera gussa be vajah.
Agar galti mera hota hai to mai kisi ki bhi kadwi baatein sun leta hu chaahe mujhe jitna bhi bura lage...Lekin abhi mera kya galti tha.
Usne gusse ke saath mujhse baat kiya...Maine seh liya aur usko samjhaate hue baat kiya...Lekin wo dhire dhire mera character ke baare me bolne lagi...Keh rahi thi mai usse cheat kar raha hu...Soch samajh kar bolna to dur sidha shak karti hai...Hadd hota hai shak ka bhi.
Sameer ne bahut gusse ke saath kaha...Uska gussa dekh Priya samajh gayi ki wo abhi kuch nahi sunega aur naa hi samjhega...Priya ne socha ki Sameer ko kuch pal ke liye akela chhod dena hi thik hoga.
Aur Priya Sameer ko room me akela chhod kar bahar chali gayi.
Sameer room me kuch der ke liye akela raha...Aaj usse Shruti par pehli baar itna gussa aa raha tha...Usse bardaast nahi ho raha tha ki koi uske charecter par shak kar raha hai aur usko cheater bol raha hai.
Kaafi der tak ye sab soch me hi vyast raha Sameer...Fir dhire dhire uska gussa kam hone laga...Lekin usne Shruti ko maaf nahi kiya tha aur abhi bhi usse naaraj tha.
Kuch der baad Priya bhi room me aa gayi...Lekin iss baar Sameer aur Priya ke bich koi baat cheet nahi hua...Kuch der me Sameer ka gussa puri tarah se utar gaya.
Gussa khatam hone ke saath jab bhi Sameer ka najar Priya se takrata wo Priya me khone lag jaata...Bahut mushkil se wo apna najar Priya par se hatata tha.
Kuch der tak to usne khud ko control karne ki koshish kiya kyu ki wo nahi chaahta tha ki Priya ko pata chal jaaye ki wo najare chura kar kabhi kabhi usko dekhta hai.
Pata nahi Priya kya sochegi uske baad ye soch kar Sameer khud par control karne laga...Lekin jab nahi kar paaya to khud se hi gussa ho kar room se baahar nikal gaya.
Baahar nikal kar wo ek chair me baith gaya aur khud se hi sawal karne laga.
Sameer:- (To himself) Ye kya kar raha hu mai...Kyu achanak se Priya me paagalo jaisa khone lag gaya hu...Aaj se pehle to aisa kabhi nahi hua...Pata nahi kya ho raha hai mujhe...Aur kyu khud par control nahi kar paa raha hu.
Pata nahi kya hai uski inn kaali aankho me...Jo mujhe uski taraf naa chaahte hue bhi khinchta chala jaa raha hai...Abb to khud ko rokna bhi bahut mushkil ho gaya hai uski aankho me dubne se.
Ye sab sochte hue Sameer fir Priya ki yaado me khone lag gaya.
Jhatke ke saath usne khud ko khada kiya aur paas me rakha hua paani ka mug khud ke chehre par daal diya taaki acche se hosh me aa sake.
Chehre me Paani daalne ke baad wo fir khud se kehne laga.
Sameer:- Ye jo bhi ho raha hai bahut galat ho raha hai...Chaahe jo bhi vajah ho mujhe khud par kaabu rakhna hoga.
Bahut jald hamaara divorce hone wala hai aur mai uske baare me iss tarah se nahi soch sakta hu...Agar aise hi uske baare me sochne laga aur usme khone laga to sach me bahut mushibat ho jaayegi baad me.
Shruti se mera shaadi hone wala hai aur mai Priya ke baare me sochne lag gaya hu ye bahut galat kar raha hu...Abhi tak jo bhi bhool hua wo sab anjaane me hua...Lekin abb jaan bujh kar kar raha hu.
Pata nahi kaisa attraction hai ye aur jaisa bhi hai bilkul galat vakt me ho raha hai...Mujhe Priya ke baare me aisa nahi sochna chaahiye issi me saka bhalaayi hai.
Itna keh kar Sameer fir se jaa kar chair me baith gaya...Iss baar usne tay kar liya ki wo abb se Priya ke baare me aisa kuch bhi nahi sochega...Lekin ye to vakt hi bataane wala hai ki aane wale dino me uske saath kya hone wala hai.
Sameer chair par baith kar aise hi idhar udhar apna najare dauda raha tha aur aaj Shruti se hua phone me baat ke baare me soch raha tha ki tabhi usse yaad aaya ki Priya ne usse bataya tha ki jo bhi hua hai isme Shruti ki galti hai...Aur uski vajah se hi dono ka shaadi hua hai...Ye baat Sameer uss vakt puch nahi paaya tha Shruti ka phone aane ki vajah se...Lekin iss baar wo ye baat jaana chaahta tha.
Wo apni jagah se utth kar Priya ki room ki taraf jaane laga hi tha ki fir se uske mobile me phone aa gaya...Number dekha to fir se Shruti ka hi tha...Chehre me fir se gussa ke bhaaw laut aaya aur phone uthaa ke kaan ke paas laga liya aur bahut hi gusse ke saath kaha.
Sameer:- Abb kya baaki reh gaya hai?
Last edited: