- 5,758
- 13,146
- 189
UPDATE 119
Sameer dhire dhire Priya ki taraf jaane laga…Wo aage badhte hue bas yahi soch raha tha ki usko kya kehna chaahiye aur kaise kehna chaahiye…Usne to pehle bahut kuch soch liya tha ki wo kaise propose karega lekin abb Priya ko saamne dekhte hi uska confidence bahut ghat gaya…Ek dar bhi usko sata raha tha ki agar wo Priya ko mana nahi paaya to Priya hamesha usko chhod kar chali jaayegi.
Yahi sab sochte hue wo Priya ke paas chala gaya.
Priya:- Ha Sameer kaho…Kya kehna chaahte the tum.
Priya ne thoda confuse ho kar kaha…Wo jab se chhat me aayi thi tabhi se Sameer ke bare me hi soch rahi thi…Sameer 3, 4 din pehle hi aa gaya iss baat se Priya bahut khus thi…Ye baat uske liye kisi surprise se kam nahi tha…Lekin dinner ke vakt wo Sameer ke expression samajh nahi paa rahi thi…Sameer kabhi khus dikhta tha to kabhi pareshaan…Aur message me chhat me milne ke baat usse aur confuse kar raha tha.
Bas wo itna hi samajh paayi thi ki Sameer pareshaan sa hai aur chhat me koi important baat bataane wala hai…Aur yahi baat jaane ke liye wo Sameer ka besabri se intejaar kar rahi thi.
Sameer:- Ek baat bataana hai tumhe.
Sameer ne dhire se aur thoda dar ke saath kaha…Priya ke saamne aate hi wo acche se apni baat keh bhi nahi paa raha tha.
Priya:- Kaho?
Priya ne thoda utshuk aur chintit ho kar pucha…Sameer ka itna dhire se bolne se Priya ko lag raha tha ki kuch serious baat hai jo Sameer keh nahi paa raha hai.
Dusri taraf Sameer bhi fir se himmat jutaa raha tha apne dil ki haal bataane ke liye…Wo koshish to kar raha tha apne dil ki baat ko jubaan pe lane ke liye lekin wo baar baar naa kaamyab ho raha tha.
Wo frustration me baar baar idhar udhar dekhne laga lekin fir bhi apne dil ki haal bata nahi paa raha tha.
Baar baar yahi dar Sameer ke man me aa raha tha ki Priya uske feeling ke bare me kya sochegi, Agar usne inkaar kar diya to fir kya hoga aur fir Priya ko khone ka alag sa dar.
Wo to ye bhi nahi jaanta tha ki Priya uske bare me kya sochti hai…Abb Sameer khud ko hi kos raha tha itna der se pyar ka ehsas hone ke liye…Wo man hi man yahi keh raha tha ki "Kash thoda aur vakt milta mujhe…Pehle ye jaane ki koshish karta ki Priya mere bare me kya sochti hai aur fir mai bhi Priya ko apne pyar ka ehsaas dilaa kar acche se propose kar deta…Lekin abb wo mauka bhi nahi hai mere paas…Kaise apne dil ki haal bataau kuch samajh me nahi aa raha hai."
Sameer yahi baat soch raha tha…Uske sabhi planning par uska ye dar bhari pad gaya…Priya ko apne dil ki haal bataana to dur uski hontho se koi aawaj bhi nahi nikal paa raha tha…Wo bas idhar udhar dekh kar khud se hi shikaayat kar raha tha.
Dusri taraf Priya bhi Sameer ki iss ajeeb si harkat ko gaur se dekh rahi thi…Sameer ki aisi harkat dekh usse kuch bhi samajh nahi aa raha tha ki Sameer ko aakhir hua kya hai aur kyu aisi ajeeb harkat kar raha hai…Sameer ke chehre me dikh raha dar aur frustration uske samajh me bilkul bhi nahi aa raha tha.
Priya:- Sameer.
Jab 15 minute beet gaya aur Sameer ne kuch nahi kaha tab Priya ko hi usse bulaana pada.
Sameer:- Ha.
Sameer ne bhi achaanak se Priya ki taraf dekh kar jawaab diya aur fir apna chehra hata liya…Abb wo Priya se aankh bhi nahi milaa paa raha tha.
Priya:- Tum thik to ho na.
Priya ki aawaj me abb Sameer ke liye fikar tha…Sameer ko aise Priya ne kabhi nahi dekha tha…Sameer ke chehre me maujood dar, confusion aur frustration Priya ko bilkul bhi samajh me nahi aa raha tha…Sameer ne usko chhat me kuch kehne ke liye bulaya tha lekin yaha to Sameer khud hi ajeeb sa behave kar raha tha.
Sameer:- Ha…Haa…Mmai thik hhun.
Sameer ne haklaate hue jawaab diya…Abb to usse Priya ko jawaab dena bhi mushkil ho gaya tha.
Priya:- Tum kuch bechain lag rahe ho…Koi problem hai?
Priya ka ye sawaal se Sameer ka haalat aur kharaab ho gaya.
Sameer:- Nahi…Kkoi problem nahi hai.
Sameer ne ye baat to keh diya…Lekin uska haklaane ki vajah se aur idhar udhar dekhne se hi Priya ko pata chal gaya ki Sameer jhuth bol raha hai aur kuch chupa raha hai.
Priya:- Tum mujhe kuch bataane waale the na…Lekin tumhe dekh kar to lag raha hai ki tum khud me hi confuse ho aur hakla kar bol rahe ho.
Sameer ko abb Priya ko propose karna to dur usko jawaab dena bhi mushkil ho raha tha…Abb usse pata chal gaya ki wo Priya ko apne dil ki baat to nahi keh paayega…Wo khud se hi niraash ho kar topic change karne ke liye sochne laga.
Sameer:- Shaayad thakaan ki vajah se aisa ho raha hai…Pata nahi kyu abb baat karne ka bhi man nahi kar raha hai.
Aawaj me ek niraasha ke saath Sameer ne kaha…Ye kehte vakt Sameer ko khud par hi bahut gussa aa raha tha lekin wo kuch bhi nahi kar paa raha tha...Itna keh kar usne apna sar jhuka liya.
Priya:- Mai paani le kar aati hu.
Itna keh kar Priya niche jaane lagi.
Sameer khud ko hi apne khayaalo me kos raha tha aur wo Priya ki ye baat nahi sun paaya.
Jab usne dekha ki Priya yaha se jaa rahi hai to usse laga ki Priya uske jindagi se hi dur jaa rahi hai…Aur issi dar se usse ek alag hi himmat aa gaya aur usne thoda tej aawaj me kaha.
Sameer:- Priya…I love you.

Ek dard bhari aawaj me Sameer ne Priya ko propose kar hi diya…Priya ka uske jindagi se dur jaana usse bardaast nahi ho raha tha…Aur issi vajah se uski aankho me thodi aansu bhi aane laga.
Sameer ko khud vishwas nahi ho raha tha ki usne ye kaise keh diya…Lekin usse thoda raahat bhi mila ki usne apne dil ki baat aakhir keh hi diya hai…Abb wo bhagwan se pray bhi kar raha tha ki Priya uske pyar ko apna le.
Dusri taraf Priya ko yakin hi nahi hua apne kaano par…Lekin wo jaanti thi ki usne kuch galat suna nahi hai…Sameer ka ye proposal sun kar wo bahut khus ho gayi…Aur yahi to wo 3 shabd tha jisse sunne ke liye wo itna bekarar thi…Abb jaake usse Sameer ka uss bechaini ka matlab samajh me aaya.
Lekin usse ye abhi bhi samajh me nahi aa raha tha ki Sameer agar usse pyar karta hai to itna dar kar kyu propose kar raha hai…Khair wo abhi iss baat ko sochna nahi chaahti thi...Abb usse raha nahi gaya…Usne bhi piche mud kar Sameer ko dekha.
Jab Priya ne Sameer ko dekha tab Sameer ka chehra hi bata raha tha ki wo kitna sach bol raha hai…Lekin Sameer Priya se aankh nahi milaa paa raha tha…Usne apna sar jhuka liya.
Lekin agle hi pal uske man me khayal aaya, "Maine to apne dil ki baat keh diya hai…Abb jo hoga dekha jaayega…Agar Priya bhi mujhse pyar karti hai to wo mera pyar ko apna legi warna mai kar bhi kya sakta hu…Mujhe aise dar kar sar ko jhukaana nahi chaahiye…Pyar kiya hi hai to kyu daru…EK baar aankh me aankh daal kar apna feelings kehta hu…Aage uski marji"
Fir Sameer ne apna sar upar uthaaya aur Priya ki aankh me aankh daal kar kehna suru kiya.
Sameer:- Ha sach hi suna hai tumne…Pata nahi kyu, kaise aur kab se lekin tumse pyar ho gaya mujhe…Jab se tumhe acche se jaana hai aur apne bhool ka ehsas hua hai tab se tum mujhe acchi lagne lagi thi…Khud par hi gussa aata hai aur afsos hota hai ki maine tumhe pehchaane me galti kar diya aur tumhe apna dushman bana liya tha.
Lekin jab se maine asli Priya ko pehchaana tab se mera soch tumhaare liye ek dam se badal gaya…Ek pacchtawa sa hone laga tha ki maine itni acchi ladki ke saath aisa kiya…Mai to apne hi najro me iss tarah gir gaya tha ki khud hi upar uthhna nahi chaahta tha…Mai khud ko maaf nahi kar paa raha tha…Lekin fir bhi tumne mujhe maaf kar diya…Ek mauka diya khud ki najro me upar utthne ka.
Mai tumhe apna dushman manta tha lekin tumne mera uss bhool me bhi saath diya jab mujhe kisi ka saath ka bahut jarurat tha…Aisi haalat me bhi mujhe apna dost maana tumne…Shaayad issi vajah se mere dil me tumhaare liye respect bahut badh gaya.
Aur vakt ke saath tumhaari aur acchaiyon ka pata chalne laga…Khaas kar tumhaara mera Maa aur Papa ke saath behavior...Tumne hamesha unka respect hi kiya tumhaare saath itna galat hone ke baawjood…Iss vajah se tum mujhe aur accha lagne lagi.
Aur jab mai tumhaare saath tumhaare gaanw jaa raha tha tab jab tum baccho ko khilaa rahi thi tab mujhe pata chala kit um dil se kitni acchi ho aur tum sach me ek nek dil ladki ho.
Aur fir tumhaara mujhe maaf kar dena aur roj mujhse baatein karna…Ek baar gaanw me jab mujhe haath me chot laga tha tab tumhaara mujhe care karna…Mera sabhi problems me saath dena…Shaayad yahi vajah se mujhe tumse lagaaw sa ho gaya hai…Tumse dosti karne ke baad mera tumhaare liye soch ek dam se badal gaya…Tumse baatein karna itna aaccha lagta tha ki hamesha chaahta tha ki tumse baatein karta rahu.
Jab bhi chhat me tumse baat karta tha tab dil ko ek alag sa sukoon milta tha…Saari tension aur problem bhul jaata tha aur tumse baat karne me kho jaata tha…Tumse apne feelings aur dil ki baatein share karne me bhi ek sukoon nilta tha…Aur shaayad issi vajah se umhaara aadat sa padd gaya hai abb mujhe.
Tum me wo saari baat hai jo mujhe apne patni ke roop me chaahiye…Tumhaara mujhe samajhna, mujhse acchein se baatein karna, meri feelings ko samajhna aur sahi galat bataana, mera saath dena…Jimmedaarion ka ehsaas hona aur mere Maa aur Papa ko izzat dena aur sabse badi baat ki tum ek saaf dil ladki ho…Shaayad yahi vajah hai ki mujhe tumse pyar ho gaya.
Itna keh kar Sameer chup ho gaya…Priya usse hi dekh rahi thi…Sameer ka baatein aur uske liye taarif sun kar wo bahut khus ho gayi thi aur thodi si sarma bhi rahi thi.
Sameer:- Lekin mai bhi bewkoof hi hu…Mujhe tumse pyar ka ehsas kab hua ye bhi pata nahi hai…Hamesha iss pyaar ko mai dosti ka naam deta raha…Hamesha se pyar se dur hi raha hu…Issi liye shaayad apne pyar ka ehsas bhi nahi hua…Lekin jab tumhe khone ka dar lagne laga tab mujhe apne pyar ka ehsas hua...Tab mujhe pata chala ki mai tumse kitna pyar karta hu aur jab mujhe ye pata chala ki tum mujhse dur jaa rahi ho to bata nahi sakta kitna bura laga tha mujhe…Aisa lag raha tha ki jindagi se sab kuch jaa raha hai aur abb mai kuch bhi nahi kar sakta hu.
Jab aur duriyan bardaast nahi hua to aa gaya tumhaare paas…Ye bataane ke liye ki mai tumse kitna pyar karta hu…Lekin pyar ka ehsas hua kuch hi din hua hai…To samajh me nahi aa raha tha ki kaise propose karu aur kaise apne dil ki haal bataau…15 minute issi bechaini me lag gaya…Tum mere bare me kya sochogi iss baat ka bhi dar tha…Maine aisa kuch kiya bhi nahi hai ki tum mujh se pyar karogi…Ulta maine tumhaare saath galat hi kiya hai.
Pata nahi mai tumhaare pyar ke laayak hu ya nahi lekin abb tumhe sacche dil se kehta hu bahut pyar karta hu mai tumse…Aur tumhaare bina mai apne jindagi me aage ka kuch soch bhi nahi sakta hu…Agar tumne mera pyar apna liya to ye mere liye bahut bada khus nasibi hai aur agar tum mujhe chhod kar jaana chaahti ho to bhi koi baat nahi…Mai tumhaara dono hi faisle ka samman karunga.
Last me bas itna kahunga ki "I love you and without you my life is nothing."
Itna keh kar Sameer chup ho gaya…Usne apne dil ki baat keh diya aur Priya ki jawaab ka besabri se intejaar karne laga aur saath hi man me dua bhi karne laga.
Priya:- Sameer mai tumhaare feelings ki respect karti hu…Lekin mai tumhaari tarah nahi sochti hu…Mai tumhe bas apna dost maanti hu aur tumhaare liye pyar jaisi feelings nahi hai mere liye.
Priya itna keh kar mud gayi aur waapas jaane lagi.
Jaise hi Sameer ne ye suna usko andar ek jordaar jhatka sa laga…Wo jo nahi sunna chaahta tha wohi sunna pada…Lekin abb wo kuch kar bhi nahi sakta tha…Wo abb thik se khada bhi nahi reh paa raha tha aur piche ki taraf chalte hue ek deewar ke sahaare khada ho gaya…Aankho me abb aansu aane laga.
Priya bhi 4 ya 5 kadam aage badhne ke baad achaanak se piche mud gayi aur daudti hue Sameer ko gale laga liya aur kaha.
Priya:- Stupid…I love you too.

Priya ne bhi feelings ke saath kaha.
Sameer ko Priya ki iss baat par jaise vishwaas hi nahi hua…Lekin Priya ko gale lagta dekh wo samajh gaya ki usne kuch galat nahi suna…Pal bhar me saara dard khushi me badal gaya aur usne bhi Priya ko jor se apne baaho me bhar liya…Sameer aur Priya dono hi iss pal ko acche se mehsus karne lage.
Karib 10 minute baad Sameer ne kaha.
Sameer:- Dara hi diya tha tumne…Aisa bhi koi karta hai kya.
Sameer ki aawaj se hi pata chal raha tha ki wo kitna khus hai…Usse jaise duniya bhar ki khushi mil gaya tha.
Priya:- Tumne ye baat bataane me itna der kar diya…Ye ussi ki sajaa hai.
Priya ki baat me Sameer ke liye shikaayat tha.