• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
sry champ bro fr mis undrstndng..
awsm update aaj chain ki need aayegi..thank u fr this update..waiting fr tmrw..have a gud night.
Thanks Agent bhai for your support and comment...Keep supporting.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 121


Room me pahunchte hi Sameer bed par gir gaya…Uska muskuraata hua chehra hi uske khushi bayan kar raha tha…Wo bed par lait te hue hi aaj uske aur Priya ke bich ke baat ko yaad kar raha tha…Ye baatein yaad karte hue uske chehre ka muskaan aur badh jaata hai…Priya ka uske pyar ko apnaane ki baat yaad karte vakt usko ek alag hi sukoon milta hai.

Dono ko alag hue kuch hi der hua tha lekin Sameer ko abhi se Priya ki kami mehsus ho raha tha…Lekin usse yaad aata hai ki waise bhi kal uska dating hai…Wo kisi tarah khud ko samjhaa kar mana leta hai ki itna utaawala hona bhi thik nahi hai.

Issi tarah raat ke 2:00 am baj jaata hai lekin usko neend bilkul bhi nahi aa raha tha… Raat ki yaadein aur apne aur Priya ki future ke bare me hi soch kar wo vakt gujaar raha tha.

Achanak hi usse Rajesh aur Mahesh ka planning ka yaad aaya…Uske chehre ka muskaan ek pal me hi gaayab ho gaya…Bina koi der kiye usne Mahesh ko phone lagaya.

Karib 5 ghanti bajne ke baad Mahesh ne phone uthaaya.

Mahesh:- Hello…Kaun hai?

Mahesh ki aawaj se hi pata chal raha tha ki wo gehri neend se uthaa hai.

Sameer:- Mahesh!!!

Gusse ke saath Sameer ne kaha.

Sameer ka naam sunte hi Mahesh ka neend jaise gaayab hi ho gaya…Sameer ki aawaj me usne gussa to mehsus kar liya lekin wo fir bhi befikar tha…Usse pehle hi pata tha ki jab bhi Sameer ko unn dono ke plan ke bare me pata chalega…Wo waise hi react karega.

Wo utth kar baith gaya aur bola.

Mahesh:- Yaar itni raat me phone kyu kiya…Bahut gehri neend me soo raha tha…Subah phone kar leta.

Sameer:- Pehle ye bata tu mujhe uss bakwas tour par kyu le gaya tha?

Sameer ne sidha mudde ki baat kiya.

Mahesh:- Accha to tujhe sab pata chal gaya.

Mahesh ne thoda hanste hue pucha.

Sameer:- Hans mat…Aur sidhe sidhe bata tune mujhse jhut kyu bola ki Priya mujhe divorce de rahi hai aur apne ghar jaa rahi hai?

Sameer ka gussa kam hone ka naam nahi le raha tha.

Mahesh:- Agar sidha sidha jawaab jaana chaahta hai to sun…Wo sab tere bhalaayi ke liye hi tha.

Sameer:- Bhalaayi mera foot…Kamine tu nahi jaanta teri uss jhut se mujhe kitna bada jhatka laga tha…Ek raat nahi soo paaya…Raat bhar ye dar satata raha ki Priya ka mere jindagi se jaane ke baad mera kya hoga…Kaise jee paaunga uske bina.

Aur jab ghar waapas aa raha tha tab bhi hamesha man me yahi dar tha ki kya Priya mere pyar ko apnaayegi ya mujhe chhod kar chali jaayegi…Pure 2 din mera dimaag kharaab ho gaya tha iss dar ki vajah se aur dil ka to puch hi mat…Kaise maine khud par kaabu kiya hai wo sirf mai hi jaanta hu.

Aur ghar pahunchne ke baad Priya ko propose karna to dur usse baat tak nahi kar paaya…Kissi tarah darted arte propose karna pada.

Aur ye sab ki vajah hai tum dono naalaayak ki bakwaas majaak ki vajah se? Agar ye tum dono ki koi saajish tha to tum logo ke saath bilkul bhi accha nahi hoga aur agar ye majaak tha to bahut hi ghatiya majaak tha...Tum dono ne mere pyar ka iss tarah se majaak udaa kar bilkul accha nahi kiya.

Sameer ka chehra gusse se laal ho raha tha aur uski gussa uski aawaj se saaf mehsus kiya jaa sakta tha.

Dusri taraf se Mahesh ne Sameer ki gussa ka parwah kiye bina hi jawaab diya.

Mahesh:- Pehle ye bata…Tujhe Priya se pyar ka ehsas kab hua?

Thodi der sochne ke baad Sameer ne kaha.

Sameer:- Jis din tum dono ne aa kar wo ghatiya majaak mujhse kiya.

Sameer ki aawaj me abhi bhi gussa tha.

Mahesh:- Aur tune Priya ko ghar pahunchte hi kyu propose kiya? Tu aaram se bhi usko propose kar sakta tha?

Sameer:- Wo bhi tum dono ki jhuth ki vajah se…Mujhe dar tha ki agar maine uss vakt Priya ko propose nahi kiya hota to wo shaayad mujhe chhod kar chali jaati…Agar tum dono ne wo majaak nahi kiya hota to mai Priya ko apne hi style me planning ke saath propose karta.

Mahesh:- Abb thande dimaag se soch…Hamne kyu tujhse jhuth bola aur tera kya bhalaayi hua?

Kuch der sochne ke baad Sameer ne kaha.

Sameer:- Tu baat ko ghumaane ki koshish mat kar…Sidhe sidhe bata tum dono ne mujhse wo jhuth kyu bola?

Mahesh:- Shaayad tu soch nahi paayega…Chal mai hi bata deta hu.

Agar hum jhuth nahi bolte to tujhe Priya se pyar ka ehsas ussi din nahi hota…Tujhe Priya se bahut pehle hi pyar ho gaya tha…Lekin tu samajh nahi paa raha tha…Aur jab tujhe laga ki Priya tujh se dur jaa rahi hai to achaanak tujhe apne pyar ka ehsas hua…Jab koi hamse dur chala jaata hai tabhi hame uss cheej ki kimat pata chalta hai.

Bol agar maine kuch galat kaha hai to?

Sameer:- Nahi…Sahi bol raha hai tu.

Mahesh:- Hamaara pehla kaam tha tujhe tere chupe hue feelings ko baahar nikalna.

Aur dusra kaam tere munh se Priya ke saamne tere dil ki haal nikalwana…Mai tujhe acche se jaanta hu Sameer…Tujhe apne pyar ke ehsas hone ke baad bhi tu Priya ko propose nahi kar paata.

Tu Priya ke feelings samajhne me hi lamba vakt laga deta fir bhi issi uljhan me reh jaata ki Priya tujhse pyar karti hai ya nahi aur Priya tere pyar ko apnaayegi ya nahi…Tu agar Priya ko propose kar paaya hai to tere dar ki vajah se…Warna bahut vakt lag jaata tujhe…Aur ek baat yaad rakhna pyar me jaldbaazi aur deri kabhi nahi karna chaahiye.

Bas dost hone ki vajah se tera indirectly madad kiya hai hum dono ne…Abb tujhe bhi realize ho gaya hai ki tune bilkul sahi vakt me Priya ko propose kiya hai…Warna divorce ka time aa jaata aur tu apne pyar ki izahaar karne ka raasta dhundta rehta.

Itna keh kar Mahesh chup ho gaya aur Sameer ki jawaab ka intejaar karne laga.

Mahesh ki baat sunne ke baad Sameer ne uski baat ko acche se socha…Aur usko bhi laga ki Mahesh sach bol raha hai.

Sameer:- Thanks yaar…Tune itna kuch kiya aur maine tujhe itni raat ko jagaa kar daant diya.

Iss baar Sameer ki aawaj me thoda sharmindgi tha.

Mahesh:- Koi baat nahi…Mujhe bilkul bhi bura nahi laga…Pehle hi prepare kar liya tha khud ko tere gusse ka saamna karne ke liye…Puchne ki jarurat nahi hai ki Priya ne tere proposal ka kya reply diya hai…Teri baato se hi pata chal gaya ki usne haa me hi jawaab diya hai…Abb teri bhi jindagi set ho gaya hai…Mai bahut khus hut um dono ke liye.

Mahesh ne muskura kar kaha.

Sameer:- Lekin maine to kabhi nahi kaha ki Priya ne haa me jawaab diya hai.

Mahesh:- Common sense yaar…Agar Priya ne naa kaha hota to tu gusse me nahi udaas ho kar phone karta.

Mahesh ne hanste hue kaha.

Sameer:- Pyar ke bare me bahut accha common sense hai tera…Pyar me kiska kya haal hota hai acche se pata hai tujhe.

Mahesh:- Bhul mat ek jamaane me mai bhi Romeo tha…Tum dono (Sameer aur Rajesh) se pehle mujhe pyar hua tha…Wo baat alag hai ki wo ladki bewafa nikli.

Itna keh kar Mahesh chup ho gaya…Dusri taraf se Sameer ne kuch nahi kaha…Usse samajh me nahi aa raha tha ki usse kya kehna chaahiye…Usse lag raha tha ki uski vajah se fir Mahesh ka bhara hua ghaaw taaja ho gaya hai.

Mahesh:- Chup kyu ho gaya.

Sameer:- Kuch nahi yaar…Bas aise hi.

Sameer ne topic change karne ki koshish kar raha tha.

Mahesh:- Ek naya surprise deta hu tujhe…I am also in Love.

Mahesh ka ye surprise sun ke Sameer chaunk gaya…Achanak hi uske munh se nikla.

Sameer:- Kya, Kab aur Kaise?

Mahesh:- Shaant ho jaa bhai…Hai ek ladki mere hi pados me Sneha…Wo mujhe bahut pehle se hi pyar karti thi…4 month pehle propose kiya usne…Uss vakt to maine mana kar diya iss dar ki vajah se ki kahi dusri baar bhi bewafaayi na mile…Lekin dhire dhire ehsas hua ki mujhe bhi usse pyar ho gaya hai aur iss baar yakin hai ki Sneha muje dhokha nahi degi.

Mahesh ne bhi utsaah ke saath Sameer ko apne dil ki haal sunaaya.

Sameer:- To pehle mujhe bataya kyu nahi?

Mahesh:- Tune bhi mujhe tere aur Priya ke bare me kyu nahi bataya?

Sameer:- Kyu ki 2 hi din to hua hai mujhe Priya se pyar ka ehsas hue.

Mahesh:- Mera bhi wohi jawaab hai…1 hafta pehle hi mujhe bhi apne pyar ka ehsas hua tha…Aur maine bhi Sneha ko apne pyar ke bare me bataya.

Tujhe bataane hi wala tha ki Rajesh ne mujhe bataya ki usse shak tha ki tujhe Priya se pyar hua hai…Issi liye socha pehle tera bhi jindagi set kar deta hu fir tujhe apne pyar ke bare me batata hu.

Sameer:- Bahut baatein chupaane lage ho tum dono mujhse.

Mahesh:- Tere bhalaayi ke liye hi…Itna to jaan hi gaya hoga tu ki wo tour kisi ko bhi pasand nahi tha…Rajesh ko bhi Divya se dur hona pada din ke liye…Mujhe bhi Sneha se wo bhi tere liye.

Sameer:- Abb kya keh sakta hu mai…Tum dono mahaan ho aur mai lucky hu ki mujhe tum dono mahaan praani apne dost ke roop me mila.

Sameer ne bhi majaak karte hue kaha.

Mahesh:- Acha thik hai…Bakai ki baatein fir kabhi karenge…Abb mujhe sone de…Bahut neend lag raha hai.

Itna keh kar Mahesh ne phone cut kar diya.

Phone katne ke baad Sameer ne phone ko bed ke side me rakha aur lait kar upar ceiling ki taraf dekhne laga.

ABb uske chehre me ek aur santushti tha…Aaj usse pyar milne ke saath saath ye bhi pata chal gaya ki uska Rajesh aur Mahesh ke saath dosti me kitna gehraayi hai.

Kuch der baad usne mobile me time dekha…2:30 am baj raha tha…Usse subah ki dating ki yaad aaya…Aur usne sone ke liye light off kar diya.

At Coffee Shop On 11:00 am


Sameer aur Priya dono hi 11:00 am me taiyaar ho kar paas ke hi ek coffee shop me baithe the.

Sameer bas Priya ko hi dekhe jaa raha tha aur Priya Sameer ke bolne ka intejaar kar rahi thi.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 122


Sameer ki najar Priya se hat hi nahi raha tha…Sameer ki najar me Priya aaj baaki ke dino se bahut jyada khubsurat thi…Wo Priya ko dekhne me itna khoya tha ki wo khuch bol bhi nahi raha tha…Aise hi Priya ko dekhte hue hi wo ek haath se coffee uthaata hai aur apne honth se laga kar ek ghunt peeta hai.

Coffee uske munh me jaate hi wo cup ko table me rakhta hai aur jitna bhi coffee uske munh me tha usse pura thuk deta hai.

Sameer:- Thuu…Aah thuu.

Sameer ne kuch iss tarah se kaha jaise usse coffee bilkul bhi pasand nahi aaya…Sameer ki aise thukne se Priya ka bhi najar Sameer par chala jaata hai aur Sameer ki aise achaanak response se wo thoda ghabra jaati hai.

Priya:- Kya hua…Tum thik to ho?

Sameer:- Ha thik hu…Ye coffee bahut kadwi hai.

Sameer ne apni jeebh ko hontho par firaate hue kaha…Uska aisa reaction aur chehre ki bhaaw se pata chal raha tha ki abhi tak coffee ki kadwi test uske jeebh se gaya nahi hai.

Sameer ki baat sunne ke baad Priya achaanak se khil khilaa kar hasne lagti hai…Priya ka aisa hasna Sameer ko ajeeb lag raha tha…Jab Sameer chaunkte hue Priya ko dekhta hai to Priya aur bhi jyada hasne lagti hai.

Sameer:- Kya hua? Aise kyu has rahi ho?

Priya:- Buddhu…Jab tak coffee me sugar nahi milaaoge coffee kadwi hi hogi naa.

Priya ne Sameer ki coffee ke plate me rakhe hue sugar ke packet ko dikhaa kar kaha…Ye keh kar Priya aur hasne lagti hai…Abb Sameer ko bhi apna mistake pata chalta hai…ur wo khud me hi thoda sharmindagi mehsus karte hue apne sar ke picche apne haath se maarta hai aur fir Priya ki taraf dekhta hai.

Priya ko khil khilaa kar hansta hua dekh wo bhi muskuraata hai.

Priya:- Shaayad pehli baar coffee peene aaye ho.

Hansne ke baad Priya ne puchaa.

Sameer:- Nahi coffee to mera favourite hai…Regularly peene aata hu.

Priya:- Issi liye sugar dale bina coffee pee rahe the.

Priya bhi Sameer ka majaa lene ke mood me thi.

Sameer:- Lekin kisi pari ke saath peene pehli baar aaya hu…Aur ussi vajah se sugar par dhyaan nahi gaya…Ye 2 sugar ke packets ka mere Pari ke saamne kya aukaat.

Ye baat Sameer ke dil se nikla…Sameer ki iss baat me Priya ke liye bahut pyar tha…Sameer ki baat sun kar Priya bhi sarma gayi aur Sameer ka pyar mehsus kar wo bahut khus hui.

Fir Sameer ne sugar ke packets ko faad kar coffee me milaaya.

Sameer:- Abb tum bhi coffee start karo…Thanda hone ke baad majaa nahi aayega.

Itna keh kar Sameer ne fir se coffee peena suru kiya…Aur fir coffee ko table me rakh kar waiter ko kuch sugar packets aur order karta hai.

Waiter 4 packets sugar table me rakh kar chala jaata hai.

Priya:- Ek cup coffee me itna sugar.

Thoda hairaani ke saath Priya ne pucha.

Sameer:- Coffee abhi bhi kadwi hai…2 packet aur milaata hu.

Itna keh kar Sameer coffee me 2 packet sugar aur daalta hai.

Sameer coffee peen eke liye haath uthaata hi hai ki Priya ki ajeeb najro ko dekh kar ruk jaata hai.

Sameer:- Kya hua?

Priya:- Soch rahi hu…Tumhe to kadwi cheejein bahut pasand tha.

Itna keh kar Priya thoda muskuraane lagti hai…Sameer ko Priya ki baat ka matlab bilkul bhi samajh me nahi aa raha tha.

Sameer:- Kadwi cheejein aur wo bhi mujhe pasand…Bilkul nahi…Khaana to dur ki baat hai uss taraf dekhta bhi nahi hu.

Priya:- Yaad karo…Ek baar tum daaru peekar ekdum mast ho kar ghar aaye the…Daru bhi to kadwi hi hoti hai na.

Abb Sameer ko Priya ki baaton ka matlab samajh me aaya…Aur saath hi wo manhoos vakt bhi.

Sameer:- Accha uss bare me baat kar rahi ho…Life me first and last bottle tha wo mera…Tension kam karne ke liye piya tha lekin itna ghatiya laga ki agli baar se chuaa tak nahi.

Sameer ne munh bigaadte hue kaha.

Priya:- Accha hai ki uske baad tumne chhuaa nahi aura age se chhuna bhi mat…Warna…

Priya ki baato me warning sa tha.

Sameer:- Warna kya…

Sameer ne bhi pyar se pucha.

Priya:- Warna taangein tod dungi.

Sameer:- Accha hi hai…Fir mai chal nahi paaunga…Aur tum mere paas aakar pyaar se apne haatho se khaana khilaaogi.

Sameer ne iss baar Priya ko bahut hi pyar se dekhte hue kaha lekin Priya ne gusse wala look diya.

Sameer ne fir sab samajhte hue bhi darne ki acting kiya…Sameer ki aisi acting dekh Priya ki hontho se bhi muskaan chhut gaya.

Fir dono coffee ke kuch ghunt peete hai.

Priya:- Iss baar permission de rahi hu…Aage se jyada sugar khaane ko nahi milega…Diabetes hone ke chances hai.

Priya ne fir se warning dete hue kaha…Andar se usse bhi Sameer se aise baat karne me bahut majaa aa raha tha…Sameer ka usko pyar jataana, uske jhuthe gusse par bhi darne ki acting karna aur pyar se usko jawaab dena Priya ko bahut accha lag raha tha.

Priya ki baatein sunne ke baad Sameer apne sar me haath maarta hai aur

Sameer:- Bahut khatarnaak ladki se pyar kar liya…Pyar ka ek hi din hua hai aur abhi se biwi ki tarah dhamki mil raha hai.

Priya:- Biwi hi to hu…Wo bhi 6 months pehle se.

Priya ne muskura kar kaha lekin jab usse apne baato ka matlab pata chala to fir usne sarm se sar jhuka liya.

Sameer:- So my dear wife…Aapke sawaalo ka jawaab hai mere paas…Ye ek do sugar ka packet mera kuch nahi bigaad paayega…Sameer baahar se bhi majbut hai aur andar se bhi…Aise hazaar sugar ka packets khaa lunga ek hi baar me lekin fir bhi mera kuch nahi hoga.

Sameer ne ye sab to keh diya lekin usse khud hi nahi pata tha ki usne kya bakwaas kiya hai…Fir bhi ye bakwaas Priya ki hontho me muskaan lane ke liye kaamyaab ho gaya.

Priya:- Sach mein

Sameer:- Ha…Bhale hi six pack banaya nahi hai…Lekin taakat ki bhi koi kami nahi hai…Yaad hai Ramesh aur Pratap…Akele hi dono ko acche se peet diya tha.

Sameer ne ye baat to aise hi keh diya tha lekin kehne ke saath hi wo ekdam se serious ho gaya…Ramesh aur Pratap ka naam yaad aate hi usse apne bhool ka main vajah aur planning karne walo ki yaad aa gaya jo wo apne khushiyo me bhul raha tha.

Priya:- Chaahe kitna bhi taakat ho tumhaare paas…Lekin mere saamne koi faaidaa nahi…Mai jo kahungi wohi tumhe bina koi sawaal jawaab ke maana padega.

Sameer:- Tumhaare saamne aaj tak mera kuch chala ha kya jo aage chalega…Abhi se hukum mil raha hai to karna to padega hi.

Sameer ne pyar se jawaab diya…Ramesh aur Pratap ki vajah se wo itne acche vakt aur maahaul ko bigaadna nahi chaahta tha…Lekin usne itna soch liya ki jald hi dono se wo jarur milega.

Priya:- Bahut samajhdaar ho gaye ho.

Sameer:- Tumhaara pyar ki vajah se hi iss kaabil hua hu.

Sameer ka har ek jawaab me itna pyar bhara hua tha ki wo Priya ko sarmaane me majbur kar hi deta tha.

Sameer apne coffee ke cup me dekhta hai fir Priyake cup me…Dono apna apna coffee pee chuke the.

Sameer:- Coffee bhi khatam ho gaya…Ek aur cup order karu?

Priya:- Nahi…Abb ghar chalo…Baaki ki baatein ghar me karenge.

Itna keh kar Priya utthti hai…Usne apne aas paas dekha pura ka pura coffee shop khaali tha…Aaj Sameer se iss tarah se akele me baat karke aur Sameer ka uske liye pyar aur uske feelings ka respect dekh kar wo bahut khush ho gayi…Ye coffee shop ka dating uske liye khaas aur yaadgaar dino me se ek ban gaya.

Fir dono wohi coffee shop me kuch photos lete hai aaj ki iss din ko hamesha ke liye yaad karne ke liye…Photos khichne ke baad Sameer sochne lagta hai.

Sameer:- (In his mind) Aaj itna special din hai hamaare liye lekin maine kuch khaas nahi banaya iss din ko...Bas kuch der ke liye coffee shop me aa gaya...Ye bhi koi celebration hai...Aisa to roj kar sakte hai...Mujhe aaj kuch special karna chaahiye taaki ye din hamesha ke liye yaad rahe.

Kuch to surprise dena chaahiye Priya ko...Special surprise.

Fir Sameer soch leta hai ki usse Priya ko kya surprise dena chaahiye...Uske chehre me smile aa jaata hai aur abb wo aaj raat ke intejaar karne lagta hai.

Aur fir dono apne ghar ki taraf chale jaate hai...Priya aaj ke iss coffee shop dating se khus thi aur Sameer aaj ki din ko aur bhi special banaane ki koshish me laga hua tha.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 123

At Night


Khaana khaane ke baad Sameer Priya ko apne saath chhat par le aaya.

Jaise hi Priya ne door se apna kadam chhat ki taraf rakha uske aankhe hairaani se fail gaya…Wo aage ka najaara dekhti reh gayi…Sameer Priya ko aise achanak se statue hota dekh Priya ka haal samajh gaya…Uske chehre me bhi muskaan aa gaya aur wo Priya ke paas aa kar khada ho gaya.

Jab kuch der baad Priya hosh me aayi tab usne Sameer ki taraf mud kar pucha.

Priya:- Sameer ye sab….Kya hai?

Priya ki aawaj me hairaani aur khushi tha.

Sameer:- This is all for you…My love.

Sameer ne Priya ki aankho me dekh bahut pyar se kaha.

Priya aage kuch nahi keh paayi…Wo itna khus thi ki uski munh se koi aawaj nahi nikal raha tha…Wo bhi Sameer ki aankho me dekhne lagi…Sameer ki aankho me uske liye bahut pyar tha…Usne fir apna najar jhuka liya aur fir jaakar Sameer ke gale lag gayi.

Sameer ne ye expect to nahi kiya tha lekin Priya ka gale lagte hi usne bhi Priya ko apne baaho me bhar liya.

5 minute tak dono ek dusre ki baaho me hi rahe…Dono me se koi bhi kuch nahi bol raha tha…Bas dono ek dusre ki pyar ko mehsus kar rahe the.

Fir Priya Sameer se alag ho gayi aur usne Sameer ki aankho me dekh kar pucha.

Priya:- Itna pyar?

Sameer:- Isse bhi jyada…Agar puchogi kitna to abhi bata nahi sakta…Pyar ke bare me jyada to nahi jaanta…Kuch hi din ka ehsas hua hai pyar ka…Lekin dil kehta hai ki bahut pyar karne laga hu tumse…Har pal tumhaare saath rehne ka man karta hai, tumse baat karne ka man karta hai…Tumse to ek pal bhi dur raha nahi jaata…Ajeeb si bechaini man me aane lagta hai…Tum mere dil ki gehraai me bas gayi ho.

Pata nahi aisa kya jaadu kar diya tumne mujh par…Aisa lagta hai tumhaare bina mera jindagi adhuri hai…Tumse milne ke baad aur tumse pyar hone ke baad hi mai iss sukoon ko mehsus kar paaya hu…Thanks a lot Priya for coming in my life and loving me.

Ye kehte vakt Sameer ki aankho se aansu aa gaya…Khushi ki aansu…Priya bhi Sameer ki baato me apne liye pyar mehsus kar rahi thi…Aaj usko khud par garv tha ki Sameer se pyar karna uske life ke sabse acche decision me se ek tha. Ye decision usne soch kar liya nahi tha apne aap ye sab ho gaya tha.

Sameer:- Are kaha mai tumhe bore kar raha hu…Chalo…Chal ke apne naye life ka suruwaat karte hai.

Itna keh kar Sameer apna haath Priya ki taraf badha deta hai…Priya bina kuch kahe Sameer ka haath thaam leti hai aur Sameer ke saath halne lagti hai.

Priya aage Sameer ka kiya hua sajaawat ko dekh rahi thi.

Aage ek table par choti size ki par khubsurat cake rakha hua tha…Sameer ne puri chhat ko rangi birangi lights se sajaa diya tha…Red, Blue, Green aur White color ki light me wo cake ka tukda aur chamak raha tha.

Aisi khubsurat najaara dekh Priya ko Sameer par bahut pyaar aa raha tha.

Dono abb cake ke paas pahunch jaate hai aur Priya dekhti hai ki cake me likha tha "New Journey of our Love".

Ye padhne ke baad Priya Sameer ki taraf dekhti hai.

Sameer:- Jab se mujhe tumse pyar ka ehsas hua hai maine apna jindagi tumhaara naam kar diya hai…Aage ki jindagi tumhaare saath jeena chaahta hu…Ek nayi jeevan pyar aur ek dusre ke saath se bhara…Kya tum bhi mere saath aage ki life me mere saath dogi?

Sameer ne apne pyar izahaar karne ke saath murkhata se bhara hua question puch diya.

Jawaab me Priya Sameer ki kandho me dheere se punch kar ke kehti hai.

Priya:- Paagal…Tumse pehle maine tumhe apna maan liya tha…Lekin tum to naa samajh ho…Kabhi mere dil ki haal samajh hi nahi paaye…Tum se pyar karti hu…Tumhaara saath dene me bhala kya aitraaj ho sakta hai mujhe.

Priya ne shikaayat karte hue kaha.

Sameer:- Ha tha na samajh…Lekin abb nahi hu…Tumhaare pyaar ne thoda samajhdaar bana diya hai…Bas dekhte jaao samajh jaaogi mera pyar aur dekhogi kitna pyar karta hu mai tumse.

Itna kehne ke baad Sameer ke chehre me smile aa gaya.

Priya:- Wo to abhi bhi dikh raha hai.

Priya ne dheere se kaha lekin Sameer ne uski ye baat sun liya…Ye baat sunne ke baad uska smile aur badh gaya.

Sameer:- Tumne kaha tha ki tumhe mujhse pyar ka ehsas pehle hua tha…Bataao na…Tum kabse mujhse pyar karti ho…Aur kaise mujhse pyar hua tumhe.

Sameer ne utshukta ke saath pucha.

Priya:- Fir kabhi…Aaj iss pal ko jee lene do.

Priya ki baat sun kar Sameer ne sehmati me sar hila diya…Wo bhi iss pal ko acche se jeena chaahta tha.

Kuch pal ke liye dono ke beech ek khaamoshi chaa jaata hai…Dono kabhi kabhi ek dusre ko dekh lete the lekin koi kuch nahi bol raha tha.

Fir Sameer apna mobile nikaal kar ek romantic gaana bajaata hai aur mobile ko table par rakh deta hai.

Sameer:- Abb cake kaat te hai.

Priya bhi apna sar sehmati me hilaa deti hai.

Sameer chaaku uthaa kar Priya ke haath me deta hai aur uske haath ko utha kar cake ke paas le jaata hai…Priya cake kaatne lagti hai aur Sameer Priya ke haath ko upar se press karta hai…Sameer ka haath ka sparsh apne haath me paate hi Priya ko kuch alag sa feeling aata hai.

Cake ka pehla tukda Priya Sameer ko khilaati hai…Sameer thoda sa tukda khaa kar fir Priya ko baaki ke piece khilaa deta hai.

Cake ka third piece fir Priya Sameer ko khilaati hai…Iss baar Sameer cake khaane ke saath Priya ki ungliyo me apna jeebh fira deta hai.

Priya ke liye ye bilkul unexpected tha…Sameer ki aisi harkat se wo thoda sarmaa jaati hai aur apna ungli Sameer ke munh se baahar nikaal kar dusre haath se Sameer ko dheere se maarte hue kehti hai.

Priya:- Badmaas.

Fir Sameer Priya ko cake khilaata hai…Iss baar Priya bhi masti me Sameer ke ungliyo ko thoda sa kaat deti hai.

Sameer:- Ouch.

Sameer ki cheenkh thoda tej tha…Usse jyada dard to nahi hua lekin wo aise hi jyada dard hone ka acting karta hai.

Priya:- Kya hua…Jyada dard to nahi hua na…Dikhaao mujhe apna ungli.

Itna keh kar Priya jaldi se Sameer ka ungli apne haath me lekar dekhti hai…Ungli me daant ka thoda sa nishaan tha…Ina bhi nahi ki Sameer itna cheenkhe.

Wo Sameer ki taraf dekhti hai…Sameer ko hansta dekh usse thoda gussa aata hai.

Priya:- Mujhe sataane me majaa aata hai na tumhe.

Itna keh kar Priya munh fulaa leti hai.

Sameer:- Sataane me nahi…Tumhaara ye cute expressions dekhne me majaa aata hai…Aur sataata hu to mana bhi lunga.

Itna keh kar Sameer Priya ko gudgudi karne lagta hai.

Priya :- (Hanste hue) Abb bas bhi karo.

Sameer:- Pehle keh do tumne mujhe maaf kar diya.

Priya:- (Hanste hue) Achha baba…Maaf kiya…Abb to chhodo.

Fir Sameer Priya ko gudgudi karna band kar deta hai.

Kuch pal to dono shaant rehte hai lekin agle hi pal ek dusre ko dekh fir se hasne lagte hai.

Fir dono issi tarah pyar bhari baatein karke cake khatam karte hai.


Sameer:- To kaisa laga ye surprise celebration?

Priya:- Bahut shaandaar…Maine to ye sab expect bhi nahi kiya tha…Mai to coffee shop ki dating se hi khus thi…Lekin iss surprise ne sone me sugandh ka kaam kar diya…Aaj ka din mai kabhi nahi bhul paaungi…Thanks Sameer…Aaj ke din ko itna khaas banaane ke liye.

Priya ki baato se hi pata chal raha tha ki wo kitna khus hai.

Sameer:- Pyar me no sorry no thanks.

Sameer ne majaak karte hue kaha.

Sameer ki baat sunne ke baad Priya Sameer ko ghurne lagti hai.

Sameer:- Dopahar me socha ki coffee shop me to ham regular jaate rahenge…Isse aaj ka din kuch khaas nahi hoga aur bahut jald bhul jaayenge iss din ko…Lekin iss tarah ka celebration bahut hi kam hoga aur aaj ke din hameshaa yaad rahega…Jo hame hamaare pyar ke suruwat ka yaad dilaata rahega.

Sameer ne iss surprise ke piche ki vajah bata diya.

Priya ne iss baar koi jawaab nahi diya…Wo Sameer ki taraf pyar se dekhne lagi…Fir Sameer ka bhi najar Priya par aa kar atak gaya…Dono ek dudre ki aankho me khone lage…Fir Sameer ka chehra dhire dhire Priya ki taraf badhne laga.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 124


Dono bas ek dusre ki aankho me hi dekh rahe the…Dono ko ek dusre ki aankho me bas apne liye pyar aur chaahat hi dikhaayi de raha tha…Dono ek dusre ki aankho me khone lage…Madhoshi me Sameer ka chehra Priya ki taraf badhne laga…Fir kuch hi pal me dono ka honth jud gaya.

Honth judte hi dono ko aise feel hota hai jaise dono ko current ka ek tej jhatka laga ho…Dono ke liye ye pal bahut hi khaas tha…Apne life ka first kiss wo bhi aise romantic pal me…Dono apne kiss me khone lagte hai…Pehle to dono me normal kiss hi hota hai fir dono ka kiss intense hone lagta hai…Dono ek dusre ko apne baaho me kas ke pakad lete hai aur utni hi tej dono me kissing hone lagta hai.

Agar dono ko saans lene me mushkil na hota to shaayad hi ye kiss kabhi rukta…Jab dono ko saans lene me mushkil hota hai tab dono apne apne honth piche khinch lete hai aur lambi lambi saansein lene lagte hai.

Iss bich fir Sameer aur Priya ki najar ek dusre se takraata hai aur dono ek dusre ko iss tarah se dekhte hai jaise ye kiss anjaane me ho gaya hai aur dono ne expect hi nahi kiya tha.

Sameer ke chehre me ek alag sa chamak aur apne liye pyar dekh Priya fir sarma jaati hai…Wo apni najar niche jhuka leti hai aur fir waha se bhaag jaati hai niche apne room ki taraf.

Ek pal to Sameer ko samajh me hi nahi aaya ki ye kya hua lekin jab wo samajh jaata hai tab uske chehre me muskaan aur fail jaata hai.

Abb chhat me rehne ka uske paas aur koi vajah nahi tha…Dil me sukoon aur khushi aur chehre me muskaan ke saath wo bhi apne room me chala jaata hai.

Room me pahunch kar wo time dekhta hai…Raat ka 1:00 am baj raha tha…Abb wo sone ke liye bed me lait jaata hai.

Lekin neend uski aankho se aaj bhi koso dur tha…Baar baar usse Priya ki yaad aur aaj chhat me dono ke bich ke romance ka yaad aane lagta hai…Usne jitna socha tha ye din aur raat usse bhi jyada romantic aur special ho gaya tha dono ke liye.

Dono ko alag hue kuch pal hi hua tha ki Sameer ko Priya ki yaad aur uski kami fir se mehsus hone laga tha…Shaayad naye naye pyar ka nasha tha…Aaj usse iss room me Priya ki kami ka mehsus hone lagta hai…WO sochta hai.

Sameer:- (In his mind) Pyar ho gaya, shaadi to pehle hi ho gaya lekin bad luck biwi hi room me nahi hai…Bahut complicated life ho gaya hai…Agar Priya ke room matlab mera puraana room me shift ho jaau to koi problem to nahi hoga…Priya ko bhi koi aitraaj nahi hoga lekin Maa aur Papa ko kya jawaab dunga.

Ye baat sochte hi Sameer ek dam se serious ho jaata hai.

Sameer:- Maa aur Papa ko aur Priya ke Maa aur Papa ko bhi bataana hai iss pyar ke bare me aur iss shaadi ko official karaane ke liye…Lekin kya sabhi maanenge.

Shaayad Priya ke parents to maan jaayenge…Gaanw se aate vakt to dono mujhse acche se hi baat kar rahe the…Shaayad Maa bhi maan jaayengi…Unke liye mere khushi se badh kar kuch bhi nahi hai…Aur Priya ke saath bhi unka accha relation hai…Lekin kya Papa maanenge?

Pehle hi wo mujhse itna naraaj the mere uss bhool ki vajah se…Abhi jaise taise sab kuch thik hua hai…Kahi iss pyar ki baat par wo fir se gussa na ho jaaye…Sab mera hi galti hai…Pehle Papa se kuch kehne ke liye ek baar bhi nahi sochna padta tha…Jabhi bhi kisi cheej ki jarurat hota tha khul ke sab kuch keh deta tha…Lekin abb haalat aise ho gaya hai ki kuch kehne ke liye bhi 10 baar sochna padta hai.

Abhi koi jaldbaazi karna thik nahi hai…Dhire dhire Maa aur Papa ko iss rishte ke liye manaane ki koshish karunga…Ha lekin manaunga jarur…Tab tak mera aur Priya ke bich me accha khaasa romance bhi ho jaayega.

Ye kehne ke baad Sameer ke chehre me muskaan aa jaata hai…Iss muskaan me uska khushi, apne iss naye mission ke liye josh sab kuch tha.

Next Day at 11:00 am

Agle din Sameer aur Priya bike se nikal padte hai ek nayi safar par…Karib aadha ghanta bike chalaane ke baad Sameer bike ek jagah par rokta hai.

Bike se utarne ke baad Priya apnea as paas ke najaara dekh bahut khus ho jaati hai…Jungle jaisa sunsaan jagah…Charo taraf hariyaali aur badi badi ped (tree) aur saamne ek chhoti si nadi (river).

Priya:- Ham kaha aaye hai?

Khushi aur utshukta ke saath Priya ne pucha.

Sameer:- Fishing karne.

Sameer ne saamne nadi ki taraf dekhte hue thoda hans kar jawaab diya.

Priya:- What?

Hairaani se Priya ne jawaab diya.

Sameer Priya ki taraf mud kar dekhta hai aur Priya ki aisi reaction dekh usse hansi aa jaata hai.

Sameer:- Kya lagta hai tumhe kyu aaye hai ham yaha?

Sameer ne iss baar kuch romantic tarike se pucha.

Priya:- Mujhe kya pata…Tum lekar aaye ho yaha tumhe hi pata hoga.

Priya ki iss jawaab par Sameer ne apna sar haath maarke kaha.

Sameer:- Yaar tum bahut unromantic ho…Itni si baat samajh nahi paayi…Socha yaha akele me taaja aur thanda hawa ke saath pyar bhari baatein karenge aur saath me nature ka maja bhi lenge.

Sameer ki baato se hi pata chal raha tha ki aaj wo kitna excited hai.

Jawaab me Priya Sameer ko ghurne lagti hai.

Sameer:- Kya hua?

Sameer ko Priya ki aise ghurne ki vajah samajh me nahi aaya.

Priya:- Unromantic kisko bola tumne?

Priya ki aawaj me shikaayat tha.

Sameer:- Oh sorry…Galti se nikal gaya hoga munh se…Abb chalo na…Thodi baatein bhi kar lete hai…Pehle hi late ho gaye hai.

Sameer ko aise utaawla hota dekh Priya ke chehre me bhi muskaan aa gaya.

Dono saath aage chalte hai aur nadi ke paas baith jaate hai.

Dono ko waha baithe hue 5 minute ho gaya tha lekin dono me se koi kuch nahi bol rahe the.

Priya Sameer ke bolne ke intejaar me thi aur Sameer chup ho kar nadi ki taraf dekh raha tha.

Priya:- Abb chup kyu ho gaye? Tumhe to baat karna tha na?

Priya ki aawaj me iss baar halka gussa tha.

Sameer:- Khaamoshi ki bhi apni jubaan hota hai madam…Aur issi jubaan se abhi aapke saath baat kar raha hu.

Sameer ki aawaj me firse pehle ki tarah Priya ke liye pyar tha.

Itna keh kar Sameer Priya ki taraf dekhta hai…Priya usse thoda gussa ke saath ghoor rahi thi…Sameer ko samajhne me der nahi lagta hai ki Priya jhutha gussa dikhaa rahi hai.

Sameer:- Majaak kar raha tha…Aur ye bhi dekh raha tha ki meri biwi ko kitna jaldi gussa aata hai…Baad me bachne me aasani hoga.

Sameer ne itna pyar se kaha ki Priya ka wo jhutha gussa bhi gaayab ho gaya.

Sameer:- Priya…Tumne kabhi apne hobby ke baare me nahi bataaya…Bataao na…Tumhe kya kya karna pasand hai.

Abb Sameer ne matlab ki baat pucha.

Priya:- Hobbies…Jyada to nahi hai…Gaana sunna, gaana…Acchi khaana pakana, movies dekha, baatein karna, kabhi kabhi ghumne jaana…Abhi aur yaad nahi aa raha hai…Yaad aate hi bata dungi.

Priya ne smile ke saath kaha.

Sameer:- Itne saare hai aur fir bhi keh rahi ho jyada hobbies nahi hai.

Sameer ne thoda hairaani ke saath pucha.

Priya:- Jyada hai?

Priya ne fir se jhutha gussa ke saath pucha.

Sameer:- Are nahi…Mai to majaak kar raha tha…Tumhaara chaahe jitna bhi iccha aur hobby ho sabhi pura karne ki koshish karunga…Tumhaara koi bhi iccha iccha hi nahi rahega usko sach karane ki puri koshish karunga.

Samee ka Priya ki hobbies aur iccha ka respect karna Priya ko bahut accha laga...Wo khushi ke saath kehti hai.

Priya:- Mai job bhi karna chaahti hu?

Sameer:- Ye to aur bhi acchi baat hai…Itna padhne ka kya faaidaa jab wo kaam hi na aaye…Mujhe tumhaare job karne se koi problem nahi hai ulta mai khus hu.

Priya ko Sameer ki baat se ek aur khushi milta hai…Usse Sameer ki baat se lag raha tha ki Sameer job hi keh raha hai bilkul sach keh raha hai…Aur uski baato me koi bhi dikhaawa nahi hai.

Sameer:- Aur ye bhi bataao…Tumhe mujhse kya kya expectations hai?

Sameer ne fir se romantic ho kar aur utshukta ke saath kaha.

Priya:- Jyada nahi hai…Subah utthte hi mere liye coffee banaao, office jaane se pehle mere liye apne haatho se garma garam tasty lunch banaao…Mujhe office tak drop kar do…Padhne likhne me acche ho…Office ke sabhi kaam me mera help karo aur agar kabhi kahi dard ho to acche se maalish kar do.

Priya ye kehte vakt khud hi hans padi.

Sameer:- Mai husband hu tumhaara…Koi naukar nahi.

Sameer ne hairaani ke saath kaha..Usne to socha bhi nahi tha ki Priya ko usse ye sab expectation hai.

Priya:- So Mr. Romantic…Chehra latak gaya na…Waise mai majaak kar rahi thi…Tum jaise ho waise hi mujhe pasand ho…Issi liye to tumse pyar karti ho…Bas itna expectation hai tumse kit um hamesha aise hi raho aur hamaara pyar aur vishwaas bhi aisa hi rahe.

Priya ne iss baar Sameer ki aankho me dekh kar kaha…Uski baato me Sameer ke liye bahut pyar tha.

Priya ki iss baat par Sameer ko aur bhi jyada pyar aane laga.

Fir dono aise hi din bhar ek dusre se pyar bhari baatein karte rahe…Bich bich me hansi majaak aur ek dusre ko chiddhaana bhi ho raha tha.

Iss baat cheet ke dauraan Priya ne Sameer ko bata diya ki wo kyu aur kabse Sameer se pyar karti hai…Sameer ne bhi Priya ko bataya itni jaldi dar ke saath propose karne ki baat.

Aaj dono ne apne dil ki bahut si baatein ek dusre se share kiya aur ek dusre ki bahut si pasand aur na pasand ki baatein bhi jaan liya.

Abb dono ka ek dusre ke liye pyar aur bhi badhne laga.


Uss din ke baad Sameer aur Priya roj apne romantic spot (chhat) me milne lage aur kabhi kabhi coffee shop, restaurant, mandir aur nadi kinaare milne lage…Beet te din ke saath dono ka pyar aur bhi badh raha tha.

Issi tarah 1 month bhi beet gaya…Sameer ne ek acchi si job bhi dhnd liya…Aur apne Papa ke saamne ek jimmedaar beta ki pehchaan aur puraani vishwaas ko fir se jeetne ki koshish me laga hua tha.

Job me busy hone ke baad bhi Sameer Priya ke liye kisi na kisi tarah vakt nikaal hi leta tha aur dono apni taraf se ek dusre ko ehsas karaane me koi kami nahi chhodte the ki dono ek dusre se kitna pyar karte hai aur dono ki life me ek dusre ki kya ehmiyat hai.

Sameer ko abb laga ki wo apne pair me khada ho chukka hai aur uske Papa ke saath bhi pehle jaisa hi rishta ho gaya hai…Usne abb aur der karne ka nahi socha.

Wo aaj apne Maa aur Papa ko bataane wala tha apne aur Priya ke pyar ke bare me…Lekin bechara iss baat se anjaan tha ki aaj uske saath kitna bada majaak hone wala hai…Ek dardnaak majaak jo usne kabhi expect hi nahi kiya tha.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,597
34,900
219
champ bhai romance to sahi chal raha hai

lekin ye kis point par akar roka update :D

aap bhi reeaders ki bechaini ka maja lete ho


aaj ke update ka bahut bekarari se intzar hai
 
Top