- 5,758
- 13,139
- 189
UPDATE 116
2 Days Later
Sameer hotel me apne room me khidki ke paas khada tha…Wo baahar ki taraf dekh raha tha…Lekin uska dhyaan baahar ki taraf bilkul bhi nahi tha…Wo apne soch me khoya hua tha…Ek gehri soch jo usko 2 din se bechain kar raha tha.
Sameer:- (In his mind) Ye kya ho raha hai mujhe…Kabhi itna bechaini nahi hua…Lekin ye 2 din se lag raha hai ki life me kuch miss kar raha hu…Kuch karne ka man nahi karta aur naa hi baahar ghumne ka…Dono ke saath ghumne se bhi yahi feel ho raha hai ki jaise mai koi duty nibhaa raha hu…Ye tour bilkul bhi tour nahi lag raha hai…Bahut bore feel ho raha hai…Pata nahi kab tak aise hi bore hota rahunga.
Shaayad ghar se dur aane ki vajah se aisa hua hoga…Lekin ghar se to bahut baar dur raah hu mahino tak…Ye 2 din me itna bechaini home sickness ki vajah nahi hai…Kuch aur hi baat hai jo mujhe samajh me nahi aa raha hai.
Agar aise hi yaha raha to pakka paagal ho jaaunga…Mujhe yaha se nikalna hi padega.
Itna sochne ke baad Sameer ne time dekha…Shaam ka 5:00 am baj raha tha.
Sameer:- (In his mind) Abhi dono soo rahe honge sin bhar ki thakaan ki vajah se…Kal hi bataaunga dono ko abb mai yaha aur ruk nahi sakta.
Lekin vajah kya bataaunga…Iss bare me socha bhi nahi hai…Lekin yaha aur din beeta bhi nahi paaunga…2 din beeta liya wo bhi bahut hai…Saaf keh dunga ki mai yaha aur nahi ruk sakta…Agar dono ne mana kiya to bhi unki baat nahi maanunga…Abb bahut ho gaya.
Sameer ne decide kar liya ki wo kal pakka yaha se chala jaayega.
Wo time pass karne ke liye apna mobile on karta hai…Mobile on karte hi screen me Priya ka 2 missed call dekhta hai…Dono hi missed call kuch ghante pehle ka tha.
Sameer:- 2 missed call aaya hai…Aur mujhe pata bhi nahi chala…Ye tour sach me bahut hi ghatiya aur manhoos tour hai mere liye…Kuch bhi accha nahi ho raha hai iss tour me.
Itna kehne ke baad Sameer Priya ko call lagaata hai…Lekin Priya ki mobile switch off hone ka reply aata hai…Wo ek do baar aur try karta hai lekin same reply…Switch off.
Sameer ko samajh me nahi aa rha tha ki aisa kyu ho raha hai…Aaj se pehle to kabhi phone karte vakt Priya ka mobile switch off hone ka reply nahi aaya tha…Lekin abhi kya hua uske mobile ko.
Issi bare me sochte hue Sameer 15 minute tak wait karta hai…15 minute baad usne fir phone kiya lekin wohi reply…Issi tarah Sameer ek ghante tak try karta hai lekin phone nahi lagta.
Abb Sameer ko bechaini ke saath ghabraahat bhi hone lagta hai.
Sameer:- Ek ghante tak phone switch off hi hai…Kahi koi problem to nahi hai…Abb to dar bhi lag raha hai.
Kya karu…Kuch samajh me bhi nahi aa raha hai...Kis tarah se ghar ke bare me pata karu.
Ghabraahat me Sameer ka dimaag acche se kaam bhi nahi kar raha tha…Mushkil se usse apne Maa ko phone karne ka idea aaya.
Usne jaldi se Maa ko phone lagaya…Maa ne jaldi hi phone uthaa liya…Sameer ne bhi apne ghabraahat par kaabu karke ghar ke bare me puch liya…Jab uski Maa ne bataya ki sab thik hai tab usse thoda raahat mila…Kuch der baat karne ke baad usne phone cut kiya.
Sameer:- Thanks God…Sab kuch thik hai…Shaayad battery low hone ki vajah se Priya ka phone switch off ho gaya hai…Mai bhi kuch jyada hi dar gaya tha.
Itna keh kar Sameer ne mobile ko bed ke ek kone me rakh kar rest karne laga.
In Rajesh's Room
Mahesh bhi Rajesh ke room me abhi abhi aaya tha…Din bhar Sameer ke saath rehne ki vajah se dono thik se baat bhi nahi kar paaye the…Dono ko abhi iss bare me baat karne ka mauka mila tha.
Rajesh:- Yaar bahut late kiya tune…Mai 15 minute se tera hi wait kar raha hu.
Mahesh:- Ek phone aaya tha…Ussi me thoda vakt lag gaya.
Rajesh:- Kya socha tune Sameer ke bare me?
Rajesh ne sidha matlab ki baat kiya.
Mahesh:- Matlab?
Mahesh ko Rajesh ki baat saaf samajh me nahi aaya.
Rajesh:- Tu kya soch raha hai…Kya agle chaal chalne ka vakt aa gaya hai?
Rajesh ne agla kadam uthaane se pehle ek baar Mahesh se puch lena thik samjha.
Mahesh:- Shaayad haa…Maine Sameer ka bechaini to ye 2 din me saaf mehsus kiya hai…Yakin ke saath to nahi keh sakta lekin mujhe lagta hai ye sahi vakt hai hame apne kaam karne ka.
Rajesh:- To fir chal Sameer ke room me.
Mahesh:- Lekin risk bhi bahut hai…Sameer ko pata chal sakta hai ki ye hamaara planning hai…Agar usse pata chal gaya to hame usko vishwaas dilaana bahut mushkil ho jaayega.
Mahesh ne thoda darte hue kaha.
Rajesh:- Tu kitna darta hai yaar…Mera yakin kar aisa kuch nahi hoga…Hamne pehle hi acche se planning kar liya hai ki hame kya karna hai…Tu dar mat…Apni baat kuch iss tarah se kahunga ki usse ham par bilkul bhi shak nahi hoga…Aur ye mat bhul ki ye hamaara farz bhi hai.
Rajesh be Mahesh ko yakin dilate hue kaha.
Mahesh:- Abb suruwaat kar hi diya hai to ending bhi kar hi dete hai.
Itna kehne ke baad Rajesh aur Mahesh dono Sameer ke room ki taraf chale jaate hai.
Sameer ke room ke pass pahunch kar Rajesh gate knock karta hai…Gate locked nahi tha aur thoda sa khul jaata hai…Rajesh gate ko thoda aur dhakka de kar khol deta hai aur bina puche hi andar chala jaata hai…Mahesh bhi uske piche piche aa jaata hai.
Dono ko ek saath room me aata dekh kar Sameer ko samajh nahi aata ki dono iss vakt iss tarah se kyu aaye hai.
Sameer:- Tum dono…
Sameer isse aage kuch bolta usse pehle hi Rajesh ne kaha.
Rajesh:- Ek jaruri baat bataana tha…Issi liye aaye hai.
Rajesh ne serious ho kar kaha.
Sameer bhi sochne laga ki aise achanaak Rajesh kya bataane aaya hai…Aur wo bhi jaruri baat.
Sameer:- Kya baat hai?
Sameer ne bhi serious ho kar pucha.
Rajesh:- Mera Divya se baat hua tha kuch der pehle…Usne Priya ke bare me bataya…Priya apne ghar jaana chaahti hai…Aur wohi se tujhe divorce degi.
Rajesh itna keh kar chup ho gaya…Abb wo Sameer ka reaction dekhna chaahta tha.
Sameer ne jaise hi ye baat suna usko bahut bada jhatka laga…Wo kuch bhi react nahi kar paa raha tha…Priya ka divorce dene ki baat se uske dimaag me bahut saare soch aur sawaal paida kar diya.
Sabse pehle to usse Priya ka iss achaanak se liya hua faisla ka vajah samajh me nahi aaya…Lekin dusre hi pal uske dil me achanak ye dar aaya ki Priya abb usse dur jaa rahi hai…Pehli baar Sameer ne ye dar mehsus kiya tha.
Sameer apne soch me vyast tha aur dusri taraf Rajesh aur Mahesh uske chehre ki bhaaw ko gaur se dekh rahe the.
Rajesh:- Sameer.
Thodi tej aawaj ke saath Rajesh ne bulaaya…Lekin Sameer Rajesh ki baat sunne ki haaalat me nahi tha.
Uske baad Rajesh Sameer ke paas pahunch kar uske kandhe ko hilaa kar bulaata hai…Tab Sameer hosh me aata hai.
Sameer:- Ha…Kya hua.
Udaasi se bhari hui aawaj ke saath Sameer bola.
Rajesh:- Kya hua…Tu kuch pareshaan sa lag raha hai?
Rajesh ne aag me ghee daalte hue kaha.
Sameer:- Nahi…Kuch bhi to nahi.
Sameer apne dil ki haal chupaane ki koshish kar raha tha…Lekin uski aawaj uske dil ki haal ko acche se bata raha tha.
Rajesh:- Lekin tu itna darte hue aur dheere se kyu bol raha hai?
Sameer:- Thoda mood off hai yaar.
Sameer abhi bhi apne dil ki haal chupaane ki koshish kar raha tha…Usse Rajesh ki sawaalo par bahut gussa aa raha tha…Lekin wo apna gussa dikhaa bhi nahi sakta tha…Priya ki divorce wali baat ki vajah se usse bahut buraa lag raha tha aur wo kisi se baat bhi nahi karna chaahta tha.
Mahesh:- Kahi tujhe Priya se pyar to nahi ho gaya?
Sameer sambhal nahi paa raha tha ki Mahesh ne ek aur sawaal puch diya…Iss sawaal ne Sameer ko fir se soch me daal diya…Ek baar fir wo apne aur Priya ke bare me sochne par majbur ho gaya…Lekin iss baar maahaul aur vakt kuch alag tha.