If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Idhar Sonali aur Jay apne sunhere bhavisya ki kalpana mein khoye huye the to doosri taraf Ravi is firak mein tha ki kab use mauka mile aur wo Monika ko maja chakhaye. Aur kismat us par itni meharbaan thi ki use iske liye jyada intezaar bhi nahin karna pada.
College mein photography contest ki ghosna ki gayi jiske winner ko ek saal ki scholarship aur world ke best photographers ke saath kaam karne ka mauka milega. Monika ye sunkar bahut khus huyi aur usne turant hi ye mauka accept kar liya. Halanki use jarurat nahin thi kisi bhi tarah ki scholarship ki lekin jeetne ke baad aapki dhaak to jamti hi hai na. Bas yahi sab soch kar aur apne hobby ko dhyaan mein rakh kar usne apni khinchi huyi kuch photos ke saath application file dal di.
Ravi ko bhi jab ye pata chala to uske dimaag mein ek nayi khurafat ne janm liya. Usne bhi kuch photos collect ki aur apni application dal di. Aur luckily Monika aur Ravi dono ki hi files manjoor ho gayi. Ab Ravi ko to jyada shauk nahin tha photography ka jo wo ye contest jeetta use to bas kisi bhi tarah Monika ko neecha dikhana tha.
Monika ne ji tod mehnat ki. Poora jungle chaan maara. Alag alag tarah ke ped-podhe, chidiya, jaanwar, ya job hi kuch ajeebogareeb dekhti uski turant photo khinch leti. Iske liye wo hamesha apne gale mein camera latkaye ghumti rehti. Use bas ek junoon tha ki kaise bhi karke is contest ko jeete. Sab uski saheliyan uska majak udati lekin use kisi ki parwah nahin thi. Ladke waise hi us par fida the to wo kuch kehte hi nahin the balki wo to kai baar uska camera uthaye uthaye uske saath ghumte rehte the.
Ek hafte mein report pesh karni thi aur usne kaam sirf 6 din mein hi poora kar liya. Iske baad wo apni reel dhulwane ke liye ek photo studio mein le gayi jisne use shaam ko aane ke liye kaha kyunki ye kaam urgent tha to usi din dene ke liye Monika use muh maange paise de rahi thi.
Lekin shaam ko jab wo waapas aayi to studio wale ne photo dene mein apni asamartha jatayi aur use agle din dopahar ko aane ke liye kaha kyunki aadha kaam ho gaya tha isliye chahte huye bhi Monika wo reel wapas nahin le paayi aur use dopahar ko jaroor dene ki sakht hidayat dete huye wapas aa gayi.
Agle din dopahar ko usne us studio se photo collect ki aur turant ghar pahunch kar unhen file mein laga kar report tayyar karne lagi. Tayyar karte karte kab raat ho gayi use pata bhi nahin chala. Jab report khatam huyi to usne khana khaya aur jaldi sone ke liye chali gayi. Last date aaj hi kit hi submit ki jise usne ganwa diya tha lekin wo kar bhi kya sakti thi. Subah jaldi se wo uthi aur turant college pahunchi. Wahan usne dekha kai students ne apni file jama kar di hai to kai haath mein liye sir ke aane ka intezaar kar rahe hain. Use is baat ki tasalli ho gayi ki kam se kam wo akeli to nahin jo late file submit kar rahi hai.
Thodi der baad sir aaye aur thoda sa students ko jhidka late submission ke liye lekin fir unhone accept kar li sabki file aur ek ek karke sabki files bariki se check karne lage. Kayi students ko unhone shabasi di to kayi students ko unhone unki galti se avagat karaya taaki wo aage se dhyaan rakhe. Ravi ki file aane par sir chaunk gaye. Monika ko laga jaroor isne koi aaltu faaltu photos khinche hone jinhe dekhkar wo chaunk gaye. Wo to man hi man khus ho rahi thi ki sir ab Ravi ko fail kar denge aur wo uska majak udayegi.
Lekin uski ichha dhari ki dhari reh gayi jab teacher ne bolna shuru kiya.
“Ravi its just unbelievable. Ye sab tumne photos khinchi. Mujhe nahin pata tha ki itne behtarin photos bhi khinch sakte ho. Pehle to tumhara interest kabhi nahin dikha photography mein. Tum ek chupe rustam saabit huye ho hum sabke liye. Kitni sunder pics hain. Ye tumne kab aur kahan khinchi. Jara batao humein.”
“Sir, maine to ye file kal hi bana di thi. Dekhiye is packet par us photo studio wale ne date aur samay bhi likh diya hai. (Ye Ravi ne jaanbhujkar us photo studio wale se likhwaya tha aur soch samajh kar sir ko dikhaya tha)”
“Beta ye time aur samay dikhane ki kya jarurat hai. Humein vishwaas hai tum par”
“Sir aapki baat sahi hai lekin kya hai jahan maine apni reel dhulwayi thi wahan kayi aur students ne bhi apni reel dhulwane ke liye di thi. To kahin aisa na ho ki unme se koi meri photos ki copy kar le aur apne naam se pesh kar de.”
“Beta baat to tumhari sahi hai. Achha ye batao tum kahan kahan gaye aur kaise ye photos khinchi.”
“Sir, main kayi jagah gaya. Poora jungle chaan maara aur chun chun ke photos ikattha kiye. Kitna baar gira, chot lagi, bhookh pyaas sab tyaag diya lekin sirf apne kaam ko hi ahmiyat di”
Ravi taperecorder ki tarah bajta chala jaa raha tha aur Monika ka mooh hairat se khula ka khula reh gaya tha. Ab to wo yeh soch rahi thi ki uski photos achhi bhi hai ya nahin. Jitni tareef sir ne Ravi ki ki hai to yakeenan uski photos mein kuch to baat hogi.
Kab Ravi ne bolna band kar diya aur kab doosre students aate gaye jaate gaye Monika ko pata bhi nahin chala. Wo to bas inhi khyalon mein khoyi huyi thi ki pata nahin uski report sir ko pasand aayegi ya nahin. Mehnat to usne bahut ki thi lekin kya wo aaj Ravi ke saamne haar jayegi? Kya wo fir se uska majak banayega? Kya hoga jab wo haara huya chehra lekar apne bhai ke paas jayegi? Jo bhai uski aankhon mein ek aansu nahin dekh sakta uske dil par kya beetegi jab wo apni behan ko haara huya mehsoos karega?
Uska dhyaan tab toota jab uske kaanon mein sir ke cheekne ki awaaz aayi MONIKA….
Wo ek dum ghabra gayi aur jaldi jaldi mein uske haath se uski file bhi choot gayi jise dekhkar saari class hans padi. Usne kisi tarah apne aap ko sambhala aur apni file utha kar sir ke paas le gayi. Sir ne usse poocha “Tumhari tabiyat to theek hai na. Tumhara aaj class mein dhyaan nahin hai”
“Sorry Sir, meri tabiyat theek hai bas thoda sir dard hai. Is file ko banane ke chakkar mein theek se rest bhi nahin ho paya hai ab tak.”
“Chalo koi baat nahin. File dikha kar jama kar do aur ghar chali jao rest ke liye”
Monika ki file kholne ke baad sir ek baar fir chaunk gaye. Monika andar hi andar bahut khus ho gayi ki lagta hai sir ko meri file bahut pasand aayi hai. Mujhe pata tha kyunki maine mehnat bhi to bahut ki thi. Ab mujhe bhi sabke saamne shabashi milegi. Ravi to bechara buri tarah chid jayega. Uska chida huya chehra dekhkar bada maja aayega.
Lekin uski khushi kuch pal ke liye hi thi jab tak sir ki kadakti huyi awaaz uske kaanon mein nahin padi.
“Tum mujhe kya bewkoof samajhti ho. Doosron ki mehnat ko apni bata kar naam kamana chahti ho. Maine tumhe ek hosiyaar ladki samjha tha lekin mujhe pata nahin tha kit um itni hosiyaar ban jaogi ki mujhe hi bewkoof banane chal dogi”
Monika ki hairat ki koi seema nahin thi. Uski samajh mein nahin aa raha tha ki sir kya keh rahe hain. Uske muh se bas itni awaaz nikli “Sir maine kya kiya hai”
“Kya kiya hai. Doosron ki files ki copy kar ke apne naam se pesh kar rahi ho aur poochti ho maine kya kiya hai. Files banane mein kitni mehnat lagi hogi kisi bachhe ki tumhe iska jara bhi andaaza hai. Bas chal diye chori karke paas hone. Tumne mera vishwaas tod diya hai. Maine specially tumhare naam ki sifarish kit hi principal sir ke saamne lekin ab kis mooh se unke paas jaunga.”
“Socho tumhare dil par kya beetti jab koi tumhari mehnat ko isi tarah bekar karke apna naam kar le. Kaisa lagega us samay tumhe. Ab bolo bolti kyun nahin. Kyun kiya tumne aisa. Jab tumhare bas ki baat nahin thi to participate hi nahin karna chahiye tha. Kam se kam main to principal sir ke saamne jaleel hone se bach jaata.”
Monika ki aankhon se aansu beh rahe the. Badi mushkil se usne poocha “Maine kiski file copy ki hai”
“Ravi ki. Uski files ki bhi same photos hain jo tumhari files mein hai. Ek do same hoti to main soch bhi leta ki shayad tum dono ne saath saath photos khinche honge lekin poori file same hai matlab tumne copy ki hai”
Monika ko jaise ek jhatka sa laga. Usne ghoor kar Ravi ki taraf dekha to wo use muskurata huya najar aaya. Wo samajh gayi ki saari kartoot usi ki hai. Usne sir ko samjhane ki bahut koshish ki lekin sir uski baat maanne ke liye tayyar hi nahin the.
“Sir ho sakta hai Ravi ne meri file copy ki ho”
“Mujhe pata that um ye baat jaroor kahogi isliye maine dono packets par padi date aur time check kar liye the. Ravi ki file tumhari files se 4 ghante pehle ki bani hai. Iska matlab jab Ravi ne apni file studio mein de di tab tumne uski copy banwa li”
“Nahin sir ye jhoot hai”
“Shut up! Jhoot tum bol rahi ho. Ek to apni galti nahin maan rahi ho aur upar se jubaan lada rahi ho. Tum itni ochi harkat kar sakti ho ye maine nahin socha tha aur jao ab jaakar seat par baith jayo. You are removed from the list.”
Lekin Monika wahan ruki nahin aur roti huyi class se bahar chali gayi.
Fraud ravi kahi ka bichari monika ki mehnat par pani fer diya aur monika ko rula diya its bad waise ab monika kya karti hai yeh dekhana hai waiting next
Ravi aakhir tha to dariyadil hi. Bade bujurgon ki kahi baatein use ab samajh aa rahi thi. Gussa insaan ke sochne samajhne ki shakti cheen leta hai. Jo insaan nahin chahta gussa usse wohi kaam karwata hai. Ravi ko ab apne kiye par pachtawa ho raha tha.
Itna wo gir sakta hai, itni ochi harkat wo kar sakta hai use vishwaas nahin ho raha tha. Use apne upar sharmindgi jaisa lag raha tha. Wo kabse aisa ban gaya. Wo to yaaron ka yaar tha. Koi bhi jara si takleef mein ho to turant uski help ke liye pahunch jaata tha. Aaj use kya ho gaya tha. Usne aisa kyun kiya? Ravi ki antaratma use jhakjhor rahi thi.
Usne faisla kar liya tha ki sir ko wo sabkuch bata dega. Halanki iska parinaam bahut bhayanak ho sakta tha. Ho sakta hai use sabke saamne lajjit hona pade, uska majak banaya jaye, use list se hata diya jaye yaa use college se restricate bhi kiya jaa sakta tha lekin use apni soch ko darkinar karte huye sach batane ka faisla kar hi liya aur sir ke free hone ka intezaar karne laga.
Thodi der mein hi sir free ho gaye aur result announch karne ke liye bol diya. Ravi chaunk pada kyunki usne to socha tha ki result baad mein announce hoga to wo akele mein sir ko sab bata dega lekin yahan to winner announce kiya jaa raha hai iska matlab use abhi sir ko sab sach batana padega. Uska dil bahut joron se dhadak raha tha lekin ab wo peeche nahin hat sakta tha. Usne man pakka kiya aur mauke dekhne laga ki kab wo sach bole.
Jaisa ki sabne andaaja lagaya tha teacher ne pehle third prize fir second prize aur fir Ravi ko first prize ke liye amantrit kiya. Prize ko agle din hi batne the principal sir ke haathon lekin sir ne filhaal sabko result bata diya tha. Ravi ko jab paas bulaya gaya to uske haath paanv phool rahe the. Dhadakte dil aur paseene se lathpath chehra lekar wo ghabrata huya sir ke najdeek gaya.
Sir ne use shabasi dete huye uski tareef ke pul baandhne shuru hi kiye the ki Ravi ne unhe tok diya “Sir mujhe aapse aur sab doston se ek baat kehni hai”
“Haan haan beta kaho kya kehna hai”
“Jis inaam ka hakdaar main hoon hi nahin wo main nahin le sakta”
“Tum kehna kya chahte ho Ravi saaf saaf kaho. Kahin Monika ki baat sach to nahin thi”
“Haan Sir wo sach keh rahi thi. Huya ye ki usne mere saath prank khela tha jiska badla lene ke liye hi maine ye sab kiya.”
“Kya badla lene ke liye tum kisi ke career ko bhi daanv par laga doge. Kitna gir gaye ho tum. College mein tumhari ginti ache ladkon mein hoti thi lekin tum…”
“Mujhe maaf kar dijiye sir. Ye majak itna bada ban jayega mujhe iska jara bhi andaaja nahin tha. Main uska dil nahin dukhana chahta tha aur na hi mujhe uske career mein upar uthne mein koi objection hai”
“Fir tumne aisa kyun aur kaise kiya?”
“Gusse mein insaan pagal ban jaata hai aur wohi mere saath huya. Aur kaise kiya wo huya yoon ki jab Monika reel dhulwane ke liye gayi to maine uska peecha kiya. Jahan usne reel dhulwayi khuskismati se wo mera dost tha. Fir to mera kaam asaan ho gaya aur maine apne dost ko samja diya ki wo reel abhi dene ki bajay raat mein de. Koi bhi bahana bana de. Meri dosti ki khaatir usne aisa kar diya.”
“Fir maine use in photos ki ek copy karne ke liye bola aur us par abhi ka time dalne ke liye bol diya aur Monika ki file par raat mein jab de tab ka aur is tarah meri file uski file se pehle banker tayyar ho gayi”
“Fir maine aapko ye file submit kar di aur aap bhi samay dekhkar meri baat sach maan baithe”
TADAKKK ki awaaz ke saath sir ka haath ravi ke gaal par pada aur uske gaal par ungliyan chap gayi. Lekin Ravi ne chupchap sab seh liya aakhir galti ki thi to saja bhi bhugatni hi thi.
“o mujhe bewkoof banana ka poora plan banaya huya tha tumne. Tumhari wajah se maine us masoom ladki ko kitna bhara bula kaha. Mujhe pehle hi samajh jaana chahiye tha ki wo ek achhi photo grapher hai aur tumhara door door tak isse koi lena dena nahin hai”
“Maafi mujhse nahin us ladki se mango jiska tumne dil toda hai. Main tumhe isliye principal sir ke paas nahin le jaa raha hoon kyunki tum ek acche aur brilliant student ho aur sabke saamne sach bolne ka sahas dikhaya hai”
Idhar Ravi sab ke saamne apni galti sudhar raha tha to udhar Monika ghar pahunch gayi aur seedhe apne kamre mein jaakar rone lagi. Naukron naukraniyon ne use dekha to use samjhane lage lekin usne kisi ki nahin suni to tab care taker ne kaha ki jaakar iske bhai ko bulao wo hi inhe samjhayenge. Hamari baat ye nahin sunengi.
Kisi naukar ne jaakar Monika ke bhai ko khabar di to wo sab kaam waam chod kar daudta huya Monika ke paas ja pahuncha. Usne Monika ke sar par pyaar se haath fera aur uska chehra apni taraf ghumaya.
Lagatar rone se Monika ki aankhen laal ho chuki thi. Chehra aisa ho gaya tha jaise kisi ne use bahut maara ho. Aur ye sach bhi hai kyunki use maar to andruni padhi hi thi. Usne Monika ka chehra apne haathon mein liya aur uske aansu poochte huye bola “Kaun hai wo jisne meri pyaari behan ki aankhon mein aansu laye. Tum jaanti ho na main sab bardhast kar sakta hoon lekin tumhari aankhon mein aansu nahin. Mummy papa ka pyaar kabhi mila nahin humein to hum dono hi to ek doosre ke sahare hain. Kisna kiya ye sab. Batao mujhe. Uski to wo haalat karunga ki uske farishtey bhi use nahin pehchaan payenge”
Monika ne rote rote poori baat use bata di. Ye sunkar uske bhai ka khoon khaul utha aur tuarant wo wahan se uthkar chala gaya.
Monika ko turant ye ehsaas huya ki ye usne kya kar diya. Kahin uska bhai Ravi ko jaan se na maar de. Usne apne bhai ko awaaz dekar rokna chaha “ALOK Bhaiyaa” lekin uski awaaz deewaron se takra kar reh gayi.