Kya baat hai maza aa gaya padh kar ravi ne sach bol hi diya sir ke samne ab dekho alok kya karta hai ravi ke sath aur ravi kaise sorry bolta hai monika ka ko dekhane wali baat hogi waiting nextUpdate 77
Ravi aakhir tha to dariyadil hi. Bade bujurgon ki kahi baatein use ab samajh aa rahi thi. Gussa insaan ke sochne samajhne ki shakti cheen leta hai. Jo insaan nahin chahta gussa usse wohi kaam karwata hai. Ravi ko ab apne kiye par pachtawa ho raha tha.
Itna wo gir sakta hai, itni ochi harkat wo kar sakta hai use vishwaas nahin ho raha tha. Use apne upar sharmindgi jaisa lag raha tha. Wo kabse aisa ban gaya. Wo to yaaron ka yaar tha. Koi bhi jara si takleef mein ho to turant uski help ke liye pahunch jaata tha. Aaj use kya ho gaya tha. Usne aisa kyun kiya? Ravi ki antaratma use jhakjhor rahi thi.
Usne faisla kar liya tha ki sir ko wo sabkuch bata dega. Halanki iska parinaam bahut bhayanak ho sakta tha. Ho sakta hai use sabke saamne lajjit hona pade, uska majak banaya jaye, use list se hata diya jaye yaa use college se restricate bhi kiya jaa sakta tha lekin use apni soch ko darkinar karte huye sach batane ka faisla kar hi liya aur sir ke free hone ka intezaar karne laga.
Thodi der mein hi sir free ho gaye aur result announch karne ke liye bol diya. Ravi chaunk pada kyunki usne to socha tha ki result baad mein announce hoga to wo akele mein sir ko sab bata dega lekin yahan to winner announce kiya jaa raha hai iska matlab use abhi sir ko sab sach batana padega. Uska dil bahut joron se dhadak raha tha lekin ab wo peeche nahin hat sakta tha. Usne man pakka kiya aur mauke dekhne laga ki kab wo sach bole.
Jaisa ki sabne andaaja lagaya tha teacher ne pehle third prize fir second prize aur fir Ravi ko first prize ke liye amantrit kiya. Prize ko agle din hi batne the principal sir ke haathon lekin sir ne filhaal sabko result bata diya tha. Ravi ko jab paas bulaya gaya to uske haath paanv phool rahe the. Dhadakte dil aur paseene se lathpath chehra lekar wo ghabrata huya sir ke najdeek gaya.
Sir ne use shabasi dete huye uski tareef ke pul baandhne shuru hi kiye the ki Ravi ne unhe tok diya “Sir mujhe aapse aur sab doston se ek baat kehni hai”
“Haan haan beta kaho kya kehna hai”
“Jis inaam ka hakdaar main hoon hi nahin wo main nahin le sakta”
“Tum kehna kya chahte ho Ravi saaf saaf kaho. Kahin Monika ki baat sach to nahin thi”
“Haan Sir wo sach keh rahi thi. Huya ye ki usne mere saath prank khela tha jiska badla lene ke liye hi maine ye sab kiya.”
“Kya badla lene ke liye tum kisi ke career ko bhi daanv par laga doge. Kitna gir gaye ho tum. College mein tumhari ginti ache ladkon mein hoti thi lekin tum…”
“Mujhe maaf kar dijiye sir. Ye majak itna bada ban jayega mujhe iska jara bhi andaaja nahin tha. Main uska dil nahin dukhana chahta tha aur na hi mujhe uske career mein upar uthne mein koi objection hai”
“Fir tumne aisa kyun aur kaise kiya?”
“Gusse mein insaan pagal ban jaata hai aur wohi mere saath huya. Aur kaise kiya wo huya yoon ki jab Monika reel dhulwane ke liye gayi to maine uska peecha kiya. Jahan usne reel dhulwayi khuskismati se wo mera dost tha. Fir to mera kaam asaan ho gaya aur maine apne dost ko samja diya ki wo reel abhi dene ki bajay raat mein de. Koi bhi bahana bana de. Meri dosti ki khaatir usne aisa kar diya.”
“Fir maine use in photos ki ek copy karne ke liye bola aur us par abhi ka time dalne ke liye bol diya aur Monika ki file par raat mein jab de tab ka aur is tarah meri file uski file se pehle banker tayyar ho gayi”
“Fir maine aapko ye file submit kar di aur aap bhi samay dekhkar meri baat sach maan baithe”
TADAKKK ki awaaz ke saath sir ka haath ravi ke gaal par pada aur uske gaal par ungliyan chap gayi. Lekin Ravi ne chupchap sab seh liya aakhir galti ki thi to saja bhi bhugatni hi thi.
“Sir mujhe maaf kar dijiye. Aayinda aisi galti kabhi nahin hogi”
“o mujhe bewkoof banana ka poora plan banaya huya tha tumne. Tumhari wajah se maine us masoom ladki ko kitna bhara bula kaha. Mujhe pehle hi samajh jaana chahiye tha ki wo ek achhi photo grapher hai aur tumhara door door tak isse koi lena dena nahin hai”
“Maafi mujhse nahin us ladki se mango jiska tumne dil toda hai. Main tumhe isliye principal sir ke paas nahin le jaa raha hoon kyunki tum ek acche aur brilliant student ho aur sabke saamne sach bolne ka sahas dikhaya hai”
Idhar Ravi sab ke saamne apni galti sudhar raha tha to udhar Monika ghar pahunch gayi aur seedhe apne kamre mein jaakar rone lagi. Naukron naukraniyon ne use dekha to use samjhane lage lekin usne kisi ki nahin suni to tab care taker ne kaha ki jaakar iske bhai ko bulao wo hi inhe samjhayenge. Hamari baat ye nahin sunengi.
Kisi naukar ne jaakar Monika ke bhai ko khabar di to wo sab kaam waam chod kar daudta huya Monika ke paas ja pahuncha. Usne Monika ke sar par pyaar se haath fera aur uska chehra apni taraf ghumaya.
Lagatar rone se Monika ki aankhen laal ho chuki thi. Chehra aisa ho gaya tha jaise kisi ne use bahut maara ho. Aur ye sach bhi hai kyunki use maar to andruni padhi hi thi. Usne Monika ka chehra apne haathon mein liya aur uske aansu poochte huye bola “Kaun hai wo jisne meri pyaari behan ki aankhon mein aansu laye. Tum jaanti ho na main sab bardhast kar sakta hoon lekin tumhari aankhon mein aansu nahin. Mummy papa ka pyaar kabhi mila nahin humein to hum dono hi to ek doosre ke sahare hain. Kisna kiya ye sab. Batao mujhe. Uski to wo haalat karunga ki uske farishtey bhi use nahin pehchaan payenge”
Monika ne rote rote poori baat use bata di. Ye sunkar uske bhai ka khoon khaul utha aur tuarant wo wahan se uthkar chala gaya.
Monika ko turant ye ehsaas huya ki ye usne kya kar diya. Kahin uska bhai Ravi ko jaan se na maar de. Usne apne bhai ko awaaz dekar rokna chaha “ALOK Bhaiyaa” lekin uski awaaz deewaron se takra kar reh gayi.
To be continued....