22. Truth, Reality & Guesses
Update 22
"To ye hai meri kahani.. aur is tarah mai is show mai aaya.. isliye mai
keh raha hu ki ye show wo nahi hai jo dikhta hai.. hum log is waqt
sach mai maut ke muh mai hai.." harshit ne kaha. Apne sapne se lekar
holi, hospital aur wo form wali baat sari usne bata di. Sab log use
gherkar khade the aur jaise hi usne apni baat khatam ki waha
sannata chha gaya. Kisi ko kuch samajh nahi aa raha tha ki harshit ki
kahani par kya ya kaise react kare. Jaha moni aur rahul ki dar ke
mare kapkapi chhut rahi thi wahi adi, pooja aur priya ko harshit par
taras ke sath gussa bhi aa raha tha.
"Tere sath itna kuch ho gaya.. aur tune hum mai se kisi ko bhi kuch nahi bataya?? Tere liye hum sirf naam ke dost hai na??" Narazgi bhari awaaj mai adi bola.
"Tune aaj to ye baat bol di.. agar aage kabhi aisa kaha to mera mara muh dekhega.. maine tum logo ko bas isiliye nahi bataya kyuki mai nahi chahta tha ki tum log meri vajah se pareshan ho.. par tab mai ye nahi janta tha ki tum log bhi is show ka hissa ban jaoge.." harshit ne khade hote huye kaha. Uski awaaj mai dard saaf jhalak raha tha.
"Huhhh... bada aaya pareshan karne wala.." aditya ne kaha aur phir ek pause ke baad bola, "ek baat bata mujhe.. wo bona dikhta kaisa tha?? Kya wo chhota sa laal bona tha jiski badi-badi safed aankhe angaro ki
tarah jalti ho?? Baal ekdum hare ho bilkul ghaas jaise??"
"Ha.. par tuj... ek minute.. kya tune bhi usko dekha hai??"
"Haa... humne dekha use.. abhi thodi hi der pehle.. make-up room mai..
agar us waqt mai sheesha na todta to na jane..." kamre mai chehalkadmi karte huye adi bola. Uski awaaj se saaf lag raha tha ki wo kuch
soch raha hai.
"Mai nahi janta ki us bone ka aur is namurad fear-trap ka mere bhai
sameer se kuch lena-dena hai bhi ya nahi.. par itna to mai samajh
chuka hu ki sam fear-trap mai nahi hai.. ye bas ek chaal thi unki
mujhe is game.. is show mai bulane ki.." harshit ne vault par ek hath
tikakar khade hote huye kaha.
"Aur tumhe aisa kyu lagta hai ki wo tumhe is show par bulana chahte
the??" Avinash ne shakki nigaho se use dekhte huye kaha.
"Wo to mai bhi nahi janta.. par iska relation us shimla wali ghatna se
jarur hai.." apne hath ki angoothi ko ragadte huye harshit bola.
"Ye to apni angoothi ko kyu ragadta rehta hai?? Ab iska bhi koi raaj
hai kya??" Pooja ne usko tokte huye kaha.
"Purani aadat hai.. jab bhi kuch samajh nahi aata ya khud ko helpless
mehsoos karta hu.. apne aap hath is,angoothi par chala jata hai.."
harshit ne phir se use ragadte huye kaha.
Avinash na jin kis khayal mai gum tha. Uska dhyan harshit ki baato
par kam aur apne man mai uth rahe ek sawal par jyada tha. Avi ko aise gum dekhkar tanu ne uski kamar par chupke se ek jordar chimti kati to wo hadbada gaya.
"Kya hua avi??" Ek shararti muskan ke sath tanu ne poocha.
"K..kuch nahi.. shayad chinti ne kaata.." avi ne ek nazar gusse se uske
upar dali aur phir apni kamar sehlate huye bola.
"Bhaiya... wo wali baat bhi to batao na.." moni ne harshit ke paas vault
ke upar baithte huye kaha.
Use baithta dekh harshit ne vault se,apna hath hata liya. Moni ke
baithte hi rahul bhi waha aa gaya aur vault par baithne ke liye jagah
banane laga. Ab vault par to itni jagah thi nahi ki wo dono araam se
baith sake par bachpana ye kaha dekhta hai. Moni ko khiska kar kisi
tarah wo bhi baith hi gaya. Dono mai se koi bhi theek se nahi baith pa
raha tha lekin mazal ki dono mai se koi hat jaye.
"Kaunsi baat bhaiya??" Vault par adjust hote huye rahul ne poocha.
"Mai, moni aur pooja jab waha us security-room mai the tab moni ne
mujhe ek baat batayi.. ek vajah jiske karan yaha kahi cameras nahi
hai.." harshit ne pehle moni, rahul aur phir baki sab ki taraf dekhte
huye kaha.
"Ha ye baat to maine bhi notice ki thi.. yaha kahi bhi koi camera nahi
hai.. maine ankit ko bola bhi tha.. par iski vajah kya hai??" Tara ne
thoda aage khisakte huye kaha.
"Wo isliye kyuki inhe cameras ki jarurat hi nahi hai.. hamari har
harqat ko wo dekh sakte hai bina cameras ke bhi.. waha security
room mai ek computer screen par hum teeno bhi dikh rahe the.. bilkul close-up ka shot tha.. chehre ke theek samne ka.. lekin hamare aage to kya poore room mai kahi koi camera nahi tha.." harshit ne kaha.
"Y..yani ki wo log hume is waqt bhi dekh rahe honge??" Tanu ne haklate huye poocha.
"Yakeenan... hum to kabhi unki nazro se gayab huye hi nahi.. agar unse bachna to bas ek hi tareeka hai.."
"Kyaaaaaa??" Sabne ek sath poocha.
"Jald se jald us omni-letter ko dhoodo aur aage badho.. aage badhna
hi is game mai bachne ka ekmatra tareeka hai.." thoda pause lekar
harshit bola.
"Par wo letter to hum mai se kisi ko bhi nahi mil paya hai ab tak..."
ankit ne thoda nirash hote huye kaha. Wo kya baki sab bhi nirash ho
chuke the aur us par harshit ki kahani sunkar to un sabki aur phat
chuki thi.
"Mujhe lagta hai ki mujhe malum hai letter kaha hai..." Avinash ne
kaha to sabke bujhe chehro par ek halki si chamak aa gayi.
"Kaha?? Kaha hai wo letter??" Tara ne poocha.
"Usi cheez mai jiske upar ye dono baithe hai.." moni aur rahul ko
ghoorte huye avi bola. Uske kehte hi wo dono vault se aise koode
jaise usme current laga ho.
"Is vault mai??" Harshit ne vault ke paas jate huye kaha. Usne handle
ghumaya to dekha ki wo locked hai.
"Locked hai.. ye ek script-vault hai.. jahir hai yaha scripts rakhi jati
hai... scripts kisi bhi show ya movie ki jaan hoti hai.. isliye use leak
hone se bachane ke liye use sabse safe rakha jata hai.. kyu hai na.."
avi ne apni baat shuru ki.
"Tumhara point kya hai?? Saaf-saaf kaho.."
"Mera point ye hai ki hamare show ki script wo omni-letter hi hai..
aur use safe rakhne ke liye ye vault best hai.. isliye mai 100% yakin ke sath keh sakta hu ki letter isi vault mai hai.. par dikkat ye hai ki ye locked hai.. aur ise kholne ke liye hume chabiya chahiye.."
"Chabiya se,tumhara kya matlab hai?? Ek chabi se nahi khulegi kya??"
"Dekho yaha iske darwaje par 4 key-hole hai.. mujhe pakka yakeen
hai ki jab tak charo chabiya hamare paas nahi hongi.. ye vault nahi
khulega.."
"Yani ki hume pehle iski chabiya dhoodni hogi.. par koi guarantee nahi
hai ki letter isme ho hi.." Tara ne apne bag se pani ki bottle nikalte
huye kaha.
"Hey.. hume ek chabi mili thi.. make-up room mai.. mirror ke peeche
chhipayi gayi thi.. ho sakta hai ki shayad is vault ki hi ho.." achanak
aditya apni jeb se wo chabi niklate huye bola.
"Ek chabi to hume bhi mili thi props-room mai.. pehle to laga tha ki us
room ki hi hai.. par use lagane se pehle hi darwaja khul gaya tha..
shayad ye bhi vault ki ho.." apni jeb se dusri chabi nikalte huye ankit
bola.
Avi ne ek-ek karke dono se chabiya li aur unhe gaur se dekhne laga.
Jaha aditya ki chabi par '2' likha tha to wahi ankit ki chabi par '4'
likha hua tha.
"Ye to vault ki hi chabiya lagti hai.." apne man mai sochte huye avi ne
un chabiyo ko unke number ke hisab se vault par laga diya. Uski
dhadkanein kafi tej chal rahi thi aur chehra ek dum gambhir tha par
jaise hi usne chabiya ghumayi uske chehre par ek halki si muskan utar
aayi.
"Ye chabiya vault ki hi hai.. ab to mujhe pakka yakin ho gaya hai ki
letter isi mai hai.. bas 2 chabiya aur chahiye bas.. aur letter hamare
hath mai hoga.." khade hote huye avi bola. Uske chehre par ab ek alag hi utsah tha.
"Par baki dono chabiya hum dhoodenge kaha?? Wo to kahi bhi ho sakti hai.." Tanu ne thoda chintit hote huye kaha.
"Ha sahi kaha.. par jaise ye do chabiya mili hai.. baki do bhi jarur
milengi.. bas hume waha dhoodna hoga jaha humne abhi bhi nahi
dekha hai.." avi ne use himmat dene ke liye uske kandhe par hath
rakhte huye kaha. Kandhe par hath lagte hi tanu ne use azeeb nazro
se ghoora to usne apna peeche hata liya.
"Yaha is floor par aage ek galiyara hai.. waha ho sakta hai kuch mil
jaye.." aditya ne kaha to sabka dhyan uski taraf ho gaya.
"Waha.. neeche.. props-room ke samne.. ek canteen thi.. waha humne
check nahi kiya tha.." aditya ki baat sunkar ankit bola.
"Ohh great.. do chabiya.. aur do hi location.. chabiya jarur inhi dono
jagaho par hongi.." avinash ne kaha.
"Bhaiya canteen ka naam sunkar mujhe to bhookh lag aayi.. please kya
hum log pehle kuch kha lein??" Rahul ne kaha jo abtak kafi shant khada tha.
"Ha bhaiya... bhookgmh to mere ko bhi lag rahi hai.. please pehle kuch kha lete hai.." moni ne bhi uski baat ka samarthan karte huye kaha.
Waise bhookh to sabhi ko lag rahi thi kyuki yaha aane ke baad kisi ne kuch nahi khaya tha isliye sabne pehle khana khane ja faisla kiya.
"Ye room apne aap akhir bada kaise ho gaya??" Khana khate huye bhi Avi ke man mai abhi-bhi yahi sawal chal raha tha.
To be continued...