• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,706
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

mashish

BHARAT
8,032
25,931
218
Final Chepter :-: The Rise Of Glaxian:- A







Hurriyent ka safar sanyog ka safar tha... Jahan pahle Roffa space station mila... Jahan par pahla kadam rakhte hi Jivisha ko aabash ho chuka tha ki yahan kayi nishkriya patthar hai... Wahin Nischal ka Hurriyent bhi kayi naye tathyon ko samne laya tha. Uska Hurriyent planet pahunchna aur ek aise samuday se milna jo Wishper planet par bhi tha...


Kuchh baton ki samiksha Nischal ke dimag me thi aur uska poora mantham ek alag hi disha me, aakhir universe traveller ke apne hi fayde hain. Alag-alag grahon ki bahut si bahu-prachalit lok katha jo dimag me hoti hai...


Sari taiyariyon ke sath Jivisha mahal me bhi ghusne ke liye poori tarah se taiyar thi.… Jahan na sirf kayi lakh Nilbhut samuday ki aatamyen Jivisha judi hoti balki Saatvik Aashram ke Aacharya aur sabhi sanyasi bhi uske sath khade the.…


Har koi Decca ke uss darshnaik parivar ke sodh ki jankari par kaam kar raha tha jisne architecture aur jamin ke istamal ko samjh'kar mahal ke nirman ki poori roop rekha khinch di thi... Aur Jivisha uske upar poora mashtishk bana'kar, dimag ke uss hisse me safe ghusne se le'kar urja ke shrot ko khinch'kar nikalne ke liye taiyar thi, jiske dum par wo mrit mashtisk mahal tika tha...


Hone wale yudhh ki taiyari alag-alag hisson me thi, aur har koi ussi ke hisab se kaam kar raha tha. Yudhh ki poori taiyari.… Mahal, Surpmarich, Astak, Far Universe ke anumanit humla, ya Dark Universe ke jahaji bede se lekar uske vayu sena ka middle universe me hona, aur uss mahal ke tootne ke baad uss mahal ke malik se har front par hone wale yudhh ki lagbhag taiyari, tay samay me poori ho chuki thi...


Halaanki inhi badi-badi taiyariyon ke bich Astak ke sath yudhh me chuk ho gayi... Perfect planning jaisa kuchh bhi nahi hota. Har musibat me fansna yojna ka ek hissa nahi hota… khas'kar Nischal yudhh me maidan me jis paristithi me fansa tha, uska aaklan khud Nischal aur Serin ne bhi nahi kiya tha…


Kabhi-kabhi satranj ke khel me jab najar raja par hoti hai, tab sah aur maat ke iss khel me najar pyade se chuk jaati hai jo haari hui baji ko bhi palat sakta hai...


Apne 200 carore viiman aur 200 carore sainikon ko Dark Universe ke bahar rakhna, Nischal aur Serin ke plan ka hissa tha… Vardali ke hathon apni sari taiyari ki suchna bhijwana wo bhi yojna ka hissa tha, taki Astak aur Surpmarich ki jo bhi yojna ho wo pridicted ho...


Dark Universe ke bahar surveillance rakhna tatha Arhcemia ke dimagi tarangon ko kabu karna, yah bhi sochi samjhi yojna ka hissa tha, taki andhere me jab inki taiyari ho rahi ho, tab Vardali jab apni jankari kuchh facts ke sath de, tab ye apni ran'niti banaye. Ek Napa tula ran'niti jiske hisab se Nischal aur Serin ne 3 hisson me taiyari ki thi aur teeno hisse alag-alag kaman me swatantr roop se kaam karte…


Yah Vardali ki hi suchna thi, jo usne Astak ko bataya tha ki Nischal aur uski team ko yakin hoga ki core planet ke mahal me koi rani nahi sab Astak ke sath yuddh me honge.. taki sabhi Raniyan mahal me hi Mile, ek bhi Astak ke sath yudhh ke maidan me na jaye, khas'kar Arhcemia.


Ye Vardali ki hi suchna thi ki yadi aise kisi planet par hum lade, jahan kisi bhi prakar ke ammunation aur artillaery ko nature me ghola ja sake, to Nischal ka sabse majboot hathiyar, technology, usme wo aundhe muh gir jayega aur usse jamin par aana hi hoga... Taki iss suchna ke baad Astak apni vansaj fauj ko jyada se jyada ladai ke maidan me hi rakhe, usse middle Universe ke ore na bheje…


Vardali, Astak ke sath hone wali yudhh me, Nischal ke taiyari ka wah hissa thi, jisne Nischal aur Serin ki poori niti tay karna aasan kar chuki thi… aur taiyari ka sabse aakhri hissa tha Astak ke vishal bede ki commanding ko hi tabah kar dena...


Vardali ki information aa chuki thi ki vansaj Kiyuke ki jagah ab Joy sena ki command sambhalega... Arhcemia ke sath-sath Surpmarich ke hath me bhi ab sabhi vansajon ka dimag hai, jise 2 jagah se control kiya jayega... Ek core planet ke mahal se Arhcemia aur Pratham dwara... Doosra York planet ke maidan se Joy dwara...


Yah sena itni vishal thi ki yadi isse command me rakha gaya to natije kafi bhayawaah ho sakte the... Fir ek hi baat hoti kitna maroge... Aur yadi kahin ye log Middle Universe ke planets par land karna shuru kar dete, fir sawal yah hota... "Kaise bachaoge apne logon ko"….


Sabse mushkil jimma Luna ke pass hi tha, kyonki Dark Universe me shikast hoti to nuksan simit hota... Aur yadi kahin Middle Universe ke air strike me Luna dushman ke vishal viman ke bede ko nahi sambhal pati to uss nukshan ki kalpna bhi nahi ki ja sakti thi... Fir yadi Dark Universe me jung jit'kar bhi aate to uss jit ka kya matlab rahta... Isliye ab bhi mukhya bindu wahi tha.… "Sena ke command ko samapt karna"… Aur iski poori jimmrdari uthayi thi Jivisha ne"...


Wah nirantar apne ander ki kshmtaon ko nikhar rahi thi... Wah niratar apne Aashram ke sampark me thi... Wah nirantar Prithvi se madad le rahi aur prithvi par madad bhej rahi thi...


Bina koi jaldbaji kiye Jivisha apni taiyariyon me lagi hui thi... Haan lekin sabhi pahlu aur humle ki ran'niti ke baare me vichar karte waqt bahut purani Dakshat ki khoj najarandaj ho gayi.… Pahla "Vegparivartak" jo Viggo ki gati ko shunya kar sakta hai aur Dusra "Astak Zahar" jo blood flow ke jariye jaise hi kisi Viggo ke sine me chadhta uski mirtyu ho jati...


Ye wahi Astak zahar hai, jo kabhi Ruki aur Suko ne Nischal ke sine me lagbhag utar hi diya tha, lekin usse pata nahi tha ki Serin ne wo Astak zahar ko badal diya tha.… Iss baar Nischal ki ye chuk uski jaan lene wali thi. Nischal aur Serin ki taiyari ke ye bahut hi risky hissa hota hai, jahan ye dono wahi karte hain jo uska dushman pridict kar raha hota hai... Fans gaya tha veg parivartak aur Astak zahar me...


Yah yudhh jab shuru hua, Surpmarich, Adharv aur Savdha teeno hi viprit duniya ke Dark universe me the aur wahin se poori ladai dekh rahe the... Adharv aur Savdha iss ladai ko dekh'kar hanste huye jaam lahrate... "Kaise-kaise kartab dikha rahe hain ye mul duniya wale"..


Haan lekin Adharv ke chehre par gusse ke bhav tab aa gaye, jab usne pahli jhalak Jivisha ka dekha... Ahankar se bhade uske shabd the..... "Mere kul ki ek ladki ab bhi bachi hai"…


Savdha, pyar se Adhrv ke honth chumti... "Tumhare kul ki hai tabhi to bekuff hokar mahal me ghusi... Dekhne to do ye kya-kya kar sakti hai"…


Yudhh ke pahle minute se hi Jivisha mashtishk mahal par aise haavi hui ki Surpmarich, Adharv aur Savdha ko afsos sa ho raha tha ki unhe sunischit nahi hona chahiye tha ki mul duniya wale mashtishk mahal ka kuchh nahi kar sakte... Dark universe ke mahal ki haalat aisi ho gayi ki dono duniye ke raste ke connection ban rahe the aur bigad rahe the...


Surpmarich ke hathon me tha ek lamba kala sa dansh.. jiska nichla sira patla sa tip tha aur upar 7 rekhaon me failte huye aada tirchha gola'kar shape. Uska upri sira thoda mota tha jiske niche ek chhota sa muh bana hua tha, uske ander ek kaala patthar laga hua tha...


Surpmarich ne jaise hi dansh hath me uthaya, Atharv uska rasta rokte... "Baba kahan ja rahe ho"..


Surpmarich:- Unhe masthisk mahal ka raaj pata chal gaya hai... Iss se pahle ki wo mahal ko barbaad kar de, mujhe turant uss paar jana hoga...


Savdha:- Baba lekin dark universe ke mashtishk mahal me chhed-chhad ho raha hai... Uss paar nikalne wale raste badal rahe hai... Ek bhatka rasta lenge to kayi salon tak fase rah sakte hain…


Surpmarich:- Main hi prakriti hun... Aur mashtishk mahal ka har bharm meri gulaam hai kyonki ye meri rachna hai…


Adhrva:- Thik hai baba aap jao... Aur mahal surakhsit karo... Aaj akele chha jana aur ye namune jo uchhal kud kar rahe hain... Sab jab ek jagah baithe kar apne jit ka jashn mana rahe ho, tab unke logon ke samne pahle un sabko maarna, fir wahan ke logon me sandesh pahuncha dena... "Jinhe maara gaya wo to bus gulaam the... mamuli se kide-makode, jaise ye marne wale tumhare heros kide-makode hain, aur aap hai uske bhagwan"...


Savdha:- Jao dikha do baba jinhe wo alag-alag naam se jante hain... Wo bhagwan kaun hai.…


Surpmarich apna kaala danah le'kar akela nikla... Jivisha lagatar mashtishk mahal me aisa udham machaya hui thi ki Surpmarich ko iss paar se uss paar nikalne me lamba waqt lag gaya... Iss bich Jivisha poore core planet jit'kar mashtisk mahal ke sabhi aatma ko uss jaal se chhutkara deti hui, mashtisk ke kendr tak pahunch chuki thi.


Arthav bilkul shant ho'kar sab dekh raha tha. Lekin uski pyari patni Savdha apne pati ke ore dekh'kar najron se hi dhutkaar di ho jaise.… "Itna shant kaise ho sakte ho Adharv"…


Patni to sabko pyari hoti hai lekin Savdha to jaan thi Adharv ki. Muskurate ussne bus itna hi kaha tha…. "Baba uss paar nikal jayenge aur un sabhi ko saja denge... Hum shayad ye mashtisk mahal bacha na paye... Baba wahan gaye hain wo sabko saja de'kar aur mashtisk mahal ka nirman kar'ke laut aayenge...


Savdha:- Adharv ye purvanuman apne pass rakho aur mahal ko bachao... Aatama ki majbooti do usme jabtak baba Mul Duniya me pahunch nahi jate ..


Adharv, Savdha ki baat sun'kar ussi waqt Astak ko wo roop diya jis wahjah se mahaj kuchh hi der me wo apne 2000 caror vansajon ko nigalta chala gaya. Na kewal vansajon ko nigla, balki asankhya kide makode ko bhi jamin se nigal gaya... Har wo jiv jisme pran the sabko Astak nigalta chala gaya.…


Lekin Astak se huye yudhh me Nischal aur Serin ko jab Savdha ne dekha tab uske muh se bhi "Waahhh" nikal gaya...


Adharv hanste huye... "Kya hua iss gulaam par dil aa gaya kya"


Savdha:- Karnaame hi aise kiye hain isne... Kya usne tumhara dil na jita..


Adrava:- Haan adbhut kashmta hai dono me... Humare yahan aise ek bhi ladake nahi aur shayad mul duniya me bhi in dono jaise ladake na honge...


Savdha:- Baba ko bolti hun inhe gulaam bana'kar le aaye...


Adharv:- Baba ko ye bhi bol dena mann me maze lene ki ikchha jodon par hai..


Savdha:- Tum bhi na Adharv... Ye to chori chhupe wala kaam hai... Yahan ke andheron me...


Adharv, apni patni ki shrarati ikchha par hanste huye kahne laga... "Pahle mashtisk mahal ko bachane ka tumhara gussa aur ab ye tumhari dilfek tammnayen, dono me se ek bhi poori nahi hogi"…


Savdha:- Dono hi poori hongi Adharv aur tumhara purvanuman aaj main galat sabhit kar dungi...


Savdha apni baat kah'kar Astak ko mashtisk mahal ki poori urja hi de dali... Jabtak Astak khada, tab'tak masthisk mahal ko koi gira na sake... Jivisha mashtisk mahal ke core point tak pahunch chuki thi. Apne sath 20 lakh striyon aur Saatvik Aashram ke phunche sabhi logon ka jod laga di lekin wahan lage patthar ko hila nahi payi thi.


Itna kam tha jo Astak ke chabaye arbon log uske muh se pet me jate aur sab mahal ke charo ore jama hote gaye… takriban 200 carore aatmayen jab ikattha ho gayi, sabhi sangathit roop se ek baar aur humla kar chuke the...


Yun to Jivisha kahar ban'kar sab par baras rahi thi, lekin iss baar jo aatmayen mahal ki raksha ke liye aayi thi, wo pasine chhuda rahi thi, upar se unki taadat thi ki kam hone ka naam nahi le...


Savdha apni lalaat unchi karti, khil, khila'kar hansti hui Adharv ke chehre par hath ferti hui... "Bus ek baar baba ko wahan pahunchne ki der hai"…


Adharv ki sukoon bhadi muskaan ab bhi kam nahi hui thi... Wo bus muskura'kar jata raha tha ki, mashtisk mahal jayega, Baba mul duniya pahunchenge aur un sab ko ikattha marenge…


Yudhh ke maidan me Nischal ke jit ke sath hi, Jivisha ko ehsas sa hua ki mahal kamjor hua hai... Ek naag dansh aur apni poori kashmta ko sanyukt karti hui Jivisha ne naag-dansh ko wahin core point ke pass gaad kar, poore jagah ko hi bandhi aur iss baar apne hath ke ishare se hi wo 2 patthar khinch chuki thi...


Patthar khinchte hi aisa laga jaise 2 lahren takra'kar visphot ke sath pani ko hawa me bikher deti hai, waise hi wahan ke charo ore ka sama tha... Atharv ka pahla purvanuman satya hua tha... Mashtishk mahal ke toot'te hi dono duniya ka rasta bhi toot gaya tha, lekin kuchh waqt pahle hi far Universe me Surpmarich apne sabse shaktisali mashtishk mahal me pahuncha tha aur uska gussa apne uffan par...


Vyakul sa mann tha Surpmarich ka... Gusse me bilbila raha tha aur ab bus sabke ek sath hone ka intzar kar raha tha... Surpmarich aaj bhag'kar ek bhi shikar nahi karna chahta tha... Naa hi chahta tha ki uska ek bhi shikar ko dushman ki purv suchna ho aur wo bhag jaye...


Surpmarich apne gusse se sabko bhasm to karna chahta tha, lekin chuhe-billi ka khel shuru kar'ke apne kisi bhi shikar ko ek din aur jivit dekhna, usse ganvara nahi tha. Luna ki poori baat wo sun chuka tha aur bus intzar kar raha tha... Har kisi ko relax ho'kar aaram se jit ke jashn me samil hote dekhna.…


Idhar takriban 3 ghante baad hi Jivisha aur Nischal ke viman Viggo viman ke sath lage... Sabhi Viggo viman me pahunche lekin ek ore se Nischal gayab tha to dusri ore se Jivisha. Dono hi bhag'kar hall me mile aur mil'kar jo jhappatte maar'kar ek dusre ke gale lag'kar chipake the... Aahh haaa !!! Sukoon ke sagar me gote laga rahe the...


Armaan bikhar rahe the aur dono bekhyali me honth se honth lagaye chumne lage.… Sabhi bacche apne maa aur baba se milne pahunche, lekin koi bhi hall me pahunch na paya tha.… Surpmarich khun jalata khud se kahne laga…. "Bus ye aakhri milan hoga tera... Bus jaldi sab ek jagah jama ho jao"…


Dono na jane kitni der tak bus honth se honth lagaye, ek dusre me sama'kar chumte rahe.… Jivisha, Nischal se alag hoti... "Kya counting badhani hai ya 3 baar ka lifetime achievement award jitna hai"…


Nischal, utsukta me Jivisha ko idhar-udhar hath lagate, uske kamar me chikoti kaat'te... "Chalo jaldi... Abhi se le'kar subah tak sala iss counting ko triple to kar hi dena hai"…


"Hihihihi... Besharm kahin ke... Wo to achha hua poore hall ko bandh diya warna bacche aa jate"…


Nischal chidhte huye.… "Ja'kar sabhi bacchon ko guruji ke pass de aao"…


"Areee bus baba... Chalo abhi celebration sabke sath, fir baad me apna celebration lekin uss se pahle... Jaraa thande thande pani se nahane ka luft utha len... Aur haan love mujhe lagta hai pani se jyada hak to tumhe hai mujhe chhune ka.... Tumhe nahi lagta kya???"..


Nischal ke aankhon me dil chhap gaya ho jaise. Jivisha ko uthaya, honth se honth jud gaye aur dono sidha apne kamre ke bathroom me...


Wahin hall ke sabhi raste par bacche khade the... Bitti aur Gopan poore raste par hi aag lagate... "Hall ka rasta kisne block kiya hai, abhi kholo... Maa, baba... Sun rahe ho"…


Pichhe se Nandni aur Ansh uss section ke me khade sabhi bacchon ke pass pahunchte... "Secret meeting ho rahi hai dono ki... Wo shayad block na khole chalo humare sath… iss section ko hi hall bana lete hain.."..


Bitti, Gopal aur baki sab mayus hote... "Ek baar maa se mil lete na... Baba aur aap sab to sath hi the... Unke apne bacche aane se maa hume bhul rahi hai kya??"


Nandni, apna hath aage badha'kar pyar se dono ke bade se muh ke upar apna hath ferti... "Aisa sochna bhi mat"… itne me hi kayi sare jhuke sar aage the... Nandni sab par hath ferti... "Jabtak Jivisha nahi aati tumlog Meena ke team se kyon nahi mil lete"…


"Maasi aapko bhi to meeting me jane ki der ho rahi na... Bua (Serin) bhi to gayi"… Meena apni baat kahti bada ha muh ko khol'kar "ho ho ho ho" kar'ke hasne lagi... "Aaaooowwww massi… jhatka dene se pahle bata to do"…


Nandni:- Meri baat suno sab... 1 ghante me sabhi naha dho kar taiyar hokar hall me aayenge... Hum bhi thoda fresh ho le...


Sabhi bacche haan karte huye nikal gaye.. Mina jhat se ek hi baar me Ansh aur Nandni ke sath lapet'ti... "Aap dono thik hai na"..


Ansh aur Nandni dono sath me... "Haan baba thik hun... Tu kaahe itna emotional ho rahi hai"..


Meena:- Kuchh nahi bus kuchh bhi achha nahi lag raha... Sab sath me milte hain …


Sabhi apne-apne kamre me the aur apne sathi ke sath pyar bhare pal bita rahe the, siway Serin aur HuYu ke... Kyonki dono kuchh jyada hi romance ke mood se the aur darvaja lock kar'ke bus shuru the..


Poore Viggo viman me computer ji ka announcement hone laga… 10Pm sharp (yahi koi lagbhag sawa ghanta (1.15 hour) baad) Serin, HuYu, Shwetna, Ansh, Nandni, Air commander Canon, Saras ke sath main (Nischal) aur Jivisha 15 minute ki meeting lenge aur thik 10.15 PM ke baad hum jaise hi Middle Universe ki seema me honge, sab hall me aa jaye poore middle universe ke sath jashn-e-sham manane...


HuYu, Serin ke hoth kaat'te... "Tere bhai ko aur koi kaam nahi… aaj ki raat sab ko aaram karne deta... Kal nahi kar sakta tha ye sab kaam"…


"Abhi tum apne kaam par dhyan lagao… bhatko mat... Abhi samay bahut hai humare pass"…


Idhar Nandni aur Ansh bhi poore masti me... Ansh thoda chidhte..."Hume kyon bula raha... Kaun sa hum war hero hai... Khud hi sabhi meeting le'kar bahar wo jashn manate aur ander hum"…


Nandni:- Mujhe ab bhi Meena ka khyal aa raha.… Kitni mayus thi wo...


Ansh:- Mayus Bitti aur Gopal ke sath aur sab bhi dragon babies the... Bus wo khul'kar kah nahi paye ..


Nandni:- Jivisha jab sabko sath me gale lagayegi, tabhi sabko sukoon aayega...


Ansh:- Filhaal tum mujhe kaske gale lagao... ..


Nandni bath tub me utarti… "tum khud hi yahan kyon nahi aa'kar, gale laga lete baby"…


Raat ke thik 10 baje... Sabhi hall me baithe the... Hall area ko bada sa maidan bana diya gaya tha… charo ore lamba chauda jagah...


Sabhi aaram se apne-apne sathi ke bahon me baithe the... Jivisha sabko badhaeyan deti... "Ek bada yudhh samapt hua hai.. main chahti hun ek baar hum uss mahal par bhi discuss kar le... Astak ke core planet me basa wo mahal insano ke ander kayi sari vikrut mansikta ke sath-sath usse kurur bana deta hai aur ek waisa hi mahal Zoren me bhi hai"…


HuYu:- Mujhe lagta hai ki waisa hi ek mahal Far Universe me bhi hoga aur wahin se sab oprate hota hoga... Tabhi to uss daur me Astak jaisa vishal sena lekar aaye the… ho na ho Astak jaisa samrajya hoga far universe me...


Nischal:- To kya sirf 3 hi honge... Humne universe ke 3 hisse me 3 mashtisk mahal ko dekha hai… Halanki Far Universe ka confirm nahi lekin fir bhi yadi Universe ke uss hisse me ho sakta hai to kisi aur hisse me kyon nahi…


Saras:- Maine jo dekha waisi fantasy to kisi book me bhi nahi thi... Kya in sab ka koi center point hai, jo insano ke ander aisi shaktiyan daal deta hai... ..


"Tum sab thode sahi aur thode galat aakalan ke sath discussion kar rahe ho... Uss mahal ka rachyata aur iss Mul duniya se lekar Viprit Duniya ka bhagvan Surpmarich, tumhare samne khada hai... Marne se pahle apni jigyasa jahir kar do"…


Hawa se jaise awaj aa rahi thi. Issi awaj ke bich ek jhonka sa aaya jisme kewal kaale kan (particles) the. Parat dar parat kaale-kaale kan judte chale gaye... Awaj uski charo ore gunj rahi thi… jaise hi uski awaj band hui, samne ek poorn kala sawaroop khada tha, jiska chehra poora ujla... Apna poorn swaroop me Surpmarich sabke bich khada tha.


Sabhi samjhne ki kosis kar rahe the ki ye hai kya... Matr chhanik waqt hi kaha jaye aur itne me uske hath ka wo kaala dansh, jo dekhne me hi kisi shaitan ki takat samete huye lag raha tha... Surpmarich ne wah dansh ko bhumi par patka aur sab ke sab kewal apne aankhe ghuma pa rahe the lekin kuchh bolne ya karne ki haalat me nahi the...


Fir Surpmarich ek poora itihas 10 minute tak sunata raha aur sabhi sunte rahe... Poore 18 mashtisk mahal ki jankari batayi jisme se ek abhi se kuchh der pahle in logon ne mil'kar samapt kar diya tha…


Bade se maidani hall me, viggo viman par majood sabhi log jut chuke the... Dragon babies Luna, lakho crew member, lekin panje matr ke ishare se hi sabhi tej jhatka kha'kar pichhe huye…


"Aaj maut inki aayi hai... Tum sab ko bus tamasha dekhna hai... Haan to aur koi sawal tum logon ke diamg me mahal ko le'kar… bolte kyon nahi"…


"Inke muh hath khol'kar dekho... Jo bhi tilishm tumne kiya ek baar hata'kar dobara kosis karo... Fir apni haalat dekhna tu shaitan"… Luna ki awaj charo ore gunji..


Surpmarich attahas bhadi hansi hanste huye... "Tumhari baat bhi sahi hai ladki, warna main hi bhagwan hun, tum sab ko pata kaise chalega"…


Dansh ko ek baar usne hawa me gumaya aur kuchh meter ke dayre ko baandhte, agle hi pal usne sabko azad kar diya... Nischal aur Serin ek dusre ko dekhti... "Bhai tu aakhri hi hai na... Yaar har yudhh ke end me Surpmarich se hi ladte rahenge kya?"


Jivisha:- Sahi kaha baby... Waise sun oye kapti... In insano ko to dayre se bahar kar… inhe to hum sath lekar aaye the..


Juvisha, Canon, Saras, Nandni aur Ansh ko dekhti hui kahne lagi...


Surpmarich:- Jo yahan hai wo sab marenge... Haan ye dono (canon aur saras) nahi the aaj marne ki list me, lekin inhe tumhare sath baithne ka khamiyaja bhugatna hoga... Ab kya bakwas hi hogi ya apne bhagwan ke hath se mukti paoge…


Nischal aur Serin ne ek najar dekha... Nischal ne Serin ka hath pakad kar usse hawa me uchhal diya aur apna hath aage badhaya tha... Idhar Jivisha khadi hokar apne dono hatha hawa me karti viman se hi energy khinchna shuru hi ki thi...


Jahan ek ore Nischal apna hath aage badhaye... Wahin Serin apna hath niche kar'ke Nischal ko bhi uchhalne ko taiyar aur idhar Jivisha tej jhatke dene ko taiyar thi... Nandni wahin bus apni ungli se bijli ka path bana rahi thi...


Nischal aur Serin ke hath milne wale the… Jivisha hath jhatakne wali thi aur Nandni jhatka tay kar'ke command dene wali thi... Ek chhanik padaw second ka chhita hissa jiske agle pal sab ek sath humla karte, tabhi.…


"Dhammm dhamnnn dhammnnn dahammmm"... Wahan maujood sabhi ek sath upar-niche deewar se takra rahe the… bus takrane ki awaj aa rahi thi. Dayre ke bahar khade logon ko takrane ki aawaz to aa rahi thi lekin kuchh dikh nahi raha tha. Wahin sabhi dragon babies ka dil pahle se bhar aaya tha. Apne sine me dard jaisa mehsus karte wahin baith gaye... Aanshu the ki apne aap hi nikal rahe the...


Pata nahi kitni raftar thi upar niche dhap-dhap takra hi rahe the... Khun ke chhinte upar aur niche bikhar rahe the...


Surpmarich ne dansh aage badhaya, kisi ek ka gala hath me, aur agle hi pal uske sarir se gala alag kar'ke, chehre ko hawa me uchhal diya... Dayre ki seema se lag'kar ye pahla gala Jivisha ka hawa me...


Tej hi dahar thi Adhmya aur uske poore pariwar ki... Viyog aur dard me sabhi dragon babies bilbila uthe... Wahan maujood sabhi logon ke aakhon se aanshu rukne ka naam nahi le rahe the... .


Dhap dhap teji se upar niche sabhi takra rahe the. Serin aur Nischal uss speed me dekh tak nahi pa rahe the... Chain fenk'kar kitni hi kosis kiye, lekin chain thi ki mano kisi kaam hi nahi rahi aur na to jamin hath lag rahi thi na hi chhat...


Bahar khade logon ka viyog kam nahi hua tha ki dusra sar bhi wahin Jivisha ke karib aa'kar laga... Nischal ka sar... Nischal ka sar dekh'kar to wahan maujood sabhi ke hausle hi toot gayaaye Ho... Sab ke sab ek sath ghtno par baith'kar apne master Serin ko jindgi ke liye gidgidane lage...


"Hahahaha... Aise hi ro kar fariyad karo apne bhagwan se... Shayad tum sab ke liye dil me daya aa jaye lekin inki mirtyu atal hai, kyonki ye mirtyu iss bhagwan ne likhi hai...


Dur baitha Adharv hanste huye Savdha ko chhedte.… "Mere hi purvanuman ko chunauti… ab to meri sharaten tumhe jhelni hogi"..


Savdha:- Huhhhh !!! Baba ko dekhne do abhi... Pareshan mat karo… in janvaron ko ehsas karwa gaye bhagwan kaun hai...


Idhar Surpmarich unki roti fariyad ko sun'kar agla sar pesh kiya... Nandni ki thi wo... Sabhi fariyadi, usse rukne aur Serin ko chhodne ki minnaten karne lage... Siway Nilbhut ke sabhi ro rahe the… Jivisha aur Nischal ko dekh'kar to pahle hi unki aatma kalap gayi thi bus khud ko Shwetna ke liye majboot bana rahe the...


Jyada intzar nahi karna para kyonki Ansh ke sar ke baad Shwetna ka sar hi hawa me tha….. Sabhi rote rahe fariyad karte rahe.... Dragon babies apne maa-baba aur maasi-mausa ka sar hawa me dekhte hi achet ho gaye the... Adhmya, Nischal ko dekh bilbila raha tha… Daharte huye usne na jane kitni baar humla kiya hoga uss dayre par… aur har baar na jane kitna tej jhtka kha'kar uska sarir kaam karne layak na bacha ho...


Adhmee aur uske bachhe rokte rahe lekin pal-pal jaise uske aankhon ke samne Nischal aur apna bachpan yaad aata raha... Sath me daurna... Nischal ka hawa me chhalang lagana… Sath me Serin ke sath 2-2 serious wala hath karna, jisme gusse me wo Serin ko ghayal tak kar deta tha... Ek dost ander fasa tha aur jise bachane ke liye eklauta Adhmya kosis karta raha... Baki sab to kata gala dekh'kar hi hatash the...


Fir ek-ek karke sare sar hawa me lagte gaye aur sabse anth me aaya Serin ka sar... Issi ke sath Surpmarich sabke samne apna dansh patakte.… "Apne naye bhagwan ke samne jhukoooo... Tum jaanvaron ka main hi palanhar hun. Apne palanhaar ke sam'maan me jhuko"


Charo ore gol-gol sar ghum rahe the… Dayra khulte hi Adhmya hawa me uchhal'kar Surpmarich ke itne karib pahunch gaya ki uske poore muh me hi uaka sar aane wala tha, lekin agle hi pal wo bhid ke upar gira... Dayra khulte hi sabne ladne ki sochi hi thi aur Surpmarich par humla karte, uss se pahle hi matr hath bhar ke ishare se, Nilbhut samuday ko bhi pura ghutno par le aaya wo Surpmarich…


"Hum jhuk kaise sakte hain jab humara mukhiya nahi jhuka… Adhmya chacha, lagao dahar"… Gopal sar uthane ki kosis karte huye kahne laga...


Adhyma jo chot khaya bhid me ja gira tha, uske sharir me jaan nahi bachi thi... Sharir bilkul dhila sa para hua tha... Surpmarich lagatar hanste huye kahta ja raha tha... "Gulaami ki zindgi hi kismat hai tumhari, apne bhagwan ke aage jhuke raho"… Dur baithe uski beti aur jamai bhi inki haalat par hans rahe the...


Issi bhich ek tej dahar hui.… Aur ussi ke sath uth khade huye the sabhi dragon babies... Surpmarich apne hath ka poora jod laga diye lekin fir bhi sabhi dragon babies uth khade huye. Gopal hawa me poora aag lagata hua apna sar uncha kiya... Bitti aur Meena katar me sabse aage khade... Aankhon ke kinaron se unke aanshu lagaatar bahte ja rahe the…


"Tum sab ki ye harkat kahin tumhari jaan na lele bacche"…. Surpmarich chillaya… .


"Mere baba kahte hain, mirtyu hi ek matr satya hai, jo sabko aani hai dhurt Surpmarich"…


Agle hi pal tej dahar ke sath Adhmya ke bete Mohan aur Sohan dur se chhalang laga chuke the. Surpmarich khud me hairan sa tha, kyonki ye dono sher bhi itne karib pahunche the ki iss baar panjon ki halki kharoch uske kandhe par thi...


Surpmarich gusse me maut ka tandav shuru karne ja raha tha... Uss hall me maujood har kisi ko teji se upar uthaya hi tha.… thik tabhi ussi waqt... Nayjo samuday ki ladkiyan jo iss viman par mehman thi, wo Surpmarich ko ghere khadi thi... Har kisi ki aankhon se Kiran nikal raha tha siway 1 ladki ke... Sabhi kiran floor par pad rahi thi aur Surpmarich ke charo ore se gol ghere khadi thi..


Jaise hi wo gol ghere khadi hui, tabhi poore bhid se Surpmarich ke shaktiyon ka prabhav hat gaya... Surpmarich shant khada bus dekhta raha...


Nayjo samuday ki ladki Deevu, apne kamar ke thik upar kuchh nishan dikhati hui kahne lagi... "Hum apne samuday se toot chuke hain, Apna wo dansh de do hum chale jayenge"…


Surpmarich:- Tumhari shaktiyan kamal ki hai, lekin tum 10 minute se jyada nahi bandh sakti... Tumhe jo chahiye wo main tumhari himmat aur mehnat se khush ho'kar de dunga... Lekin in sab ke gale me fossil stone kahan se aayi...


(Surpmarich un 6 stone ke bare me puchhne laga jise Roffa Space Station me dekh'kar Jivisha ko laga tha ki iss stone ko usne kahin dekha hai)


Deevu:- Hume bhi nahi pata ki ye Fossil stone inke pass kaise aaye... Maine iss viman par mage stone aur pious stone, energy stone, aur inke alawa lagbhag 6 aur stone ki maujoodgi feel kar sakti hun... Kafi shandaar collection hai... aur haan 2 taza stone ki charcha to ki hi nahi jo wo veer le'kar pahunchi, jisne tumhare mahal ko barbaad kar diya…


Surpmarich:- Kya fayda un collection ka, jab uske gun aur kshmtaon ka bhi gyan nahi... Mujhe in stone me koi ruchi nahi...


Deevu:- Aan haan !!! Isliye najar niche Fossil stone par hai...


Surpmarich:- Baaten bahut hui, tumhe bus ye dansh chahiye na... To le lo...


Deevu:- Meri sathi ke ore badhao…


Surpmarich:- Circle ke bahar dansh to waise bhi nahi jaeyega… Hatti bachon ne mujhe hi bandh diya...


Deevu:- Hatti bhi hai ye bacche aur man mauji bhi...


Deevu apni ek sathi ko aage bheji dansh lane, jaise hi circle par uss ladki ke paun pare... Niche raushni tooti aur agle hi pal sabhi Nayjo samuday ki 18 ladkiyan hawa me thi aur sabhi ke aankh bahar...


Sabhi 18 ladkiyan hawa me gol circle banaye tangi hui thi. Aankhon ke niche khun ki moti dhar bahti hui niche aa rahi thi. Kajeja chir dena wala dard bhari chinkh unke muh se nikal rahi thi… aur Surpmarich hanste huye.… "Pratidwandi kisi khiladi ko banati murkhon, rachayita ke sath khelne ke dushparinam tumhe pahle sochne chahiye the… aur wahi haal ab main karne wala hun tum sabka. Mamuli janvar ne mujhe chhu liya"..
super se bhi uper
 
  • Like
Reactions: Naina

Tiger 786

Well-Known Member
6,288
22,803
188
Final Chepter :-: The Rise Of Glaxian:- C





Fir Jivisha apne dono hath falayi aur hath se hath judte chale gaye... Jivisha apni badi si nili aakhen Surpmarich ke aankon me daalti.… "Hum log "Galaxian" hai aur ye poora brahmand humara hai... Ek wada main khud se karti hun.… Tu marne se pahle sunta ja... Vish-Nilayani ki wo adhuri ikchha main poori karungi…. Apne anterman se manaa kar uss Adharv ko wahin rahe apne pariwar ke sath… love maro iss dharti ke bojh ko... Hume aur bhi bahut se kaam hain"…


Jivisha ek kadam pichhe aayi, Nischal ek kadam aage aa'kar... "Koi aakhri ikchha Bhagwan ji"…


Surpmarich:- Khud to achhe aur jimmedar kahte ho to mujhe bhi barabar ka mauka do... Aur.…..


Surpmarich apni baat kahne ke madhya me tha... Issi bich Nischal ek chhoti si raftaar, unchi si chhalang aur Surpmarich ka bolta hua sar kat'kar niche gir gaya...


Nischal Kate chehre ke pass ghutno ke bal baith'kar apna khanjar saaf karte…. "Barabar ka mauka do, mere hath khol do. Abe mashtishk mahal bana diya tune, hum kya murkh hain jo samne khade ho'kar kahenge, haan aa 2-2 hath karte hain... Sala tu to palak jhapakte hume sula dega. Isliye nahi de sakta tha aisa mauka re".

"Wo dekh chinkhte abhage Nayjo, tu fasa kya, tujhe kam aank gaye. Wo to meri love ko jab bharosa ho gaya ki haan teri shaktiyan ab gayi, tab usne raushni ko laangh kar maarne kahi. Bahut chalak aurat hai wo bhi.. sala tu samjha hi nahi. "

"Tu nahi samjh paya ki tu jo yahan khada hai wo tu khud nahi aaya balki bulaya gaya hai. Astak aur tere mukhaute ki poori planning meri thi to meri pyari patni aur uske atoot mitrvar ne mil kar poora focus master par kiya tha. Sala kuchh der apne clone Surpmarich ke pass baith jata. Sach kahta hun pasine chhudwa diye the usne. Uss ke pass tere jaisi shakti na thi lekin main to uske dimag ka fan ho gaya re gadhe…"

"Pahle mujhe aur Serin ko laga tha ki ye dono mitr hume andu-jhandu ko maarne ka plan karva rahe hai. Lekin Jisa ne kaha tha, "love ye gulaam Surpmarich jyada khatarnak hai usse humare bare me har baat pata hai. Usse bus kisi tarah sambhal lene tab dekhna ki kaise uska master bilkul bewakoofon ki tarah jholi me aa gidega. Wahan mat chukna warna wo gulaam apne malik se mil gaya fir humara astitv nahi rahega."

"Uss waqt laga ki hume tasalli se rahi thi lekin abhi poora yakin ho gaya. Tu itna bada gadha ki apne sath-sath apne khandan aur uske takat ka pol patti khol gaya. Hum to dialogue bol'kar bhadas nikalne ke sath time pass kar rahe the aur tu ek ke baad ek falana takat aayega kahta chala gaya.. Sale gadhe tere viprit duniya me akl ki kami hai pakka"

"Warna aise mauke par hum dialogue baji karte hi nahi, vishwas maan. Dil me dar rahta hai ki kisi vidhi dushman baag gaya to fir se lamba mehnat kar'ke pakdo, plan karo aur tab jakar kahani khatm hogi... Example tera wo gulaam wala Surpmarich…"

"Jaise hi meri biwi ko laga tu marne layak ho gaya, fir suna nahi kya boli... "Maar do love dharti ke bojh ko, hume aur bhi kaam hai... Utni der se kaam nahi yaad aaya."

"Baki maine apne logon ko ek hi baat sikhayi hai... Pahle gala kaat do... Fir baad me to baat hoti rahegi, jaise itminan se tujhse kar raha... Kya samjha… agli baar jab paida lena tab meri ye theory yaad rakhna"..

"Yahan se sare kachre saaf karo... Humare war heroes ke shav, poore samman aur poore sharir ke sath tabut me rakho... Poore desert planet par main, Middle Universe ke sabhi heroes ka sangrahalay banwaunga... Jahan humre war hero ka apna ek ghar hoga aur uss ghar me hogi uss war hero ki poori yadon ke sath poori jeevni... Lekin uss se pahle… OMU ke bahadur sena nayika Luna ke naam ek jaam... Luna tum hum sab me best ho"…


Turant hi wahan ka mahol saaf kiya gaya... Soft aur hard drink serve hone laga... Luna ko bich me khada kiya gaya aur Jivisha usse hawa me upar kar dee... Taliyan, Seety aur hooting se poora mahol gunjne laga... Jaam ka daur aadhe ghante tak chalne ke baad, Nischal ne Viggo viman ka poora command hi Luna ke sath me saunpte…. "Ek sahshakt commander ka uska apna commanding viman... Aaj se iska complete command tumhare hath me"…


Luna:- Lekin Sahjade... ..


Nischal:- Vigyan kisi ek ki milkiyat nahi honi chahiye. Khoj koi bhi kare uska laabh sabko milna chahiye... Ab OMU ki sena nayika jarra hum chalen control room... Kuchh baten apne logon se karni hai...


Nischal, Luna ke sath pahuncha, sath me Shwetna bhi thi... Kewal yahi 3 log the... Nischal... "OMU ke Director aur Army chief se.… "kya main request kar sakta hun ki war ki official announcement main karun"…


Shwetna:- Sahjada hum itne formal kab se ho gaye...


Luna:- Hum sab ko aapke aur master Serin ki capability pata hai… log aap dono ko ek Viggo ya Dakshat ki kshmta se aankte hain... Lekin mai aapki trainee hun aur aap dono ko achhe se janti hun. Aap dono humare sacche leader ho, jisme apne logon ke netritv ki poori kshmta hai... Aap aise requet na karo...


Nischal:- Ye sab baten fir kabhi hogi... Dono se sirf ek hi baat kahunga... Koi bhi law se badhkar nahi hona chahiye, fir wo naam koi bhi ho... Anaitik aur aniti apno ke bich bhi ho to uska virodh karna chahiye... Iska pratyaksh udharahan Astak tha, jiska virodh Vardali nahi kar payi thi... Khair… OMU se connect karo...


Poora Organization hi Luna ka intzar kar raha tha. Wo jaise hi connect ki, Shwetna sabse aage aa'kar.… "Humne apni poorn kashmtaon ke sath yuddh lada, aur yudhh jin natijon ke liye lade, hum usme jit hasil kar chuke hain... Ek jaam jit ke naam toast karne se pahle..… Hum sab ke chahete aur war hero Nischal kuchh baten hum sab se karenge"…


Nischal screen ke samne aaram se baith'te...


"Aap sab ko badhai ho. Aap sab ne jin natijon ke liye apne logon ko, apne karibiyon ko iss yudhh me bheja, wo sab apne lakshya me kamyab laute. Jo nahi laute unke liye humare aankhon me aansu aur dil me garv hoga. Sath me ek ikchha ki kisi din main bhi unke tarah ladte huye kisi veer ki maut marun".


"Akele kuchh bhi sambhav nahi. Kewal Nischal hi kar sakta hai ye Nischal ka ghamand hoga. Kewal Serin kar sakti hai ye Serin ka ghamand hoga. Haan ye kaam Nischal ka hai ye Nischal karega. Ye kaam Serin ka hai wo Serin ko karne do aur ek yudhh kewal sahi anusashan aur poorn yojna se hi jiti ja sakti hai. Fir chahe aap ke samne koi bhi dushman kyon na ho"


"Iss yuddh ko kayi hisson se yojnabadhh kiya gaya. Kayi hisson me log bante the aur kayi log alag-alag yojna par kaam karte, ek sammilit parinaam le kar aaye hain. Main har uss team ka sukrgujar hun jo yojna se lekar uss par kaam karne ke liye sahi logon ka chunav kiya. Isse hi to complete team work kahte hai aur aaj kaa natija humari poori team ke naam hai. Kuchh chehre samne hai to kuchh parde ke pichhe se apna yogdan dete rahe aur iss natije ko sambhav kar diya."


"Main bata dun aap sab ko, humari ladai Astak aur Surpmarich ke sath-sath uske master se bhi thi aur vishwas maniye viprit duniya ka rahne wala wo master kitna kharnak ho sakta hai iska andaja aap iss baat se laga sakte hain ki itihaas me ek baar wo aaya aur poore middle universe ko hi nahi baki universe ke 18 hisson ko tabahh kar gaya tha. "


"Aap sab ko jaan kar garv hoga ki humne middle universe ke ek poorane doshi, Astak aur Surpmarich ke master ko uski aakhri manjil tak pahuncha diya hai. Aur ye poori ladai inhi 3 bindu par kendrit thi. 2 ka aap ko pata tha teesra humne chhipa kar rakha tha"


"Yudhh ke natije to maine bata diye ye ek adhikarik ghoshna thi jo koi bhi bata deta main to in sab ke alaawa kuchh aur baat karne aaya hun"..


'Maine khud ko kabhi ek war hero nahi mana aur naa hi kabhi uss roop me dekha... Main ek Universe traveller aur khojkarta hun aur Meri bahan Serin ek shandar sena prasikshak, yojnakarta aur uss se bhi umda ek khoj karta"….


"Aap sab ko Nischal me, bhale ek viggo Sigma ki kashmtayen dikhti hogi... Ya fir master Serin me ek kushal Dakshat yudhh ladaka.. Meri Priya Vish-Jivisha ko aap sab kisi chamtkar ki tarah dekhte honge... Lekin sach to ye hai, ki hum picture me isliye hote hain, kyonki humari maut koi aur mar jate hain, yah kah'kar ki "mujhme wo kshmta nahi, jo aap sab me hai... Aap jinda rahe to poora samaj jivit rahega, main jivit raha to kewal mera parivar"…


"Maarne walon ko to bus ek mauka chahiye... Hum mare, aur hamare sath hamari vir'gatha ki kahani jo aage badh rahi thi wo bhi mar gayi... Fir Nischal ko sirf iss baat ke liye jaana jaata, ki koi ek Viggo Sigma tha… Ya Serin ke liye kah dete ki koi ek kushal Dakshat thi."


"Humari vir'gatha hi hume hero banati hai aur sach maniye wo gatha kaiyon ke balidan ki kahani hoti hai, jo hanste huye humari maut mar jaate hain aur hume hero bana jate. Hum hero to ban jate hain lekin kisi ko bhi uss sacche hero ki kahani nahi pata hoti, jo sare viprit natijon ko badal kar hume hero bana jata hai...


"War hero... Ye shabd hi mithya hai… khud ko tasalli dene wale kuchh shabd, kyonki sach to ye hai ki hume hero banane ke liye kitno ke balidan hote hain, jinhe koi jaan hi nahi pata… Ye wo log hote hai jinhe hum par bharosa hota hai ki hum jinda rahe to poore community ke liye laabhdayak honge."


"Hum jaise log isliye tasveer me dikh jate hain, kyonki dusron ki apeksha hum me mahaj kuchh jyada kashmta hai…. Lekin vishwas kijiye, jis din hum jaise kshmta wale corrupt hote hai... Ye war hero uss waqt bhi sina tane khade milenge... Aap ko ek corrupt powerful insano se azad karane ke liye, ye hai inke sahas ki kahani aur apne samaj ke prati zazba."…


"Koi takatwar na to kabhi war hero tha aur na ho sakta hai... Wo to bus 1000, 2000 jyada jane le sakta hai, bus itna hi fark hai"


"Humari chaheti sena nayika Luna ko thoda shak hua tha, jab earth se chhote air craft pahunche… naman hai humare pahle war hero ki jodi... Canon aur Saras ki... Inke yudhh ke kisse kahne baithun to shayad raat bit jaye... Dushmano ko humare bade-bade viman se jyada dard inke chhote ne vimano diya tha. Jamin par jahan Astak ki vishal fauj hum par hawi thi. Dushmano ke hazar caroron ki tukdi ko palak jhapakte tabaah kar diya... Yah kahani thi aam se 2 insan aur uske real heroic team ki, jo kushal commander ke netritv me, kisi bhi yudhh ke parinam ko hi badal kar rakh de"…


"Humare war hero Nilbhut samuday ke Aerobok, jiski matr 2 carore ki tukdi khadi thi sina tane, 2000 carore narbhakshiyon ke bhid me... Jamini ladai me kandhe se kandha milaya…. Apne se kayi guna vishal sainik ko fauj thi jo daudti to pata nahi chalta tha kab maut kuchal kar chali gayi... Lekin date rahe... Mujhe aur Serin ko hamesa bacha'kar nikalne ka safe passage dete rahe".…


"Khud sena ke commander the, lekin ek aisi ladki ki baat maan'ne se pichhe na hata, jise yudhh ka anubhav bilkul nahi tha…. Lekin ye Aerobok ki durdarshita thi, jo usne unhe bhi sun'na jaroori samjha, jo yudhh se takaluff nahi rakhte... Suna, vichar kiya aur uss poori niti me usse hi commander maan'kar follow kiya.… Humare real war hero, jinhe post se jyada iss baat ki fikr hoti hai ki dushman ko kaise dhul chatayi jaye, fir wo idea koi ek chhota baccha hi kyon na de raha ho"…


"Nandni aur Ansh... Iss war hero ki to Khair baat hi nahi... Inke bare me bahut jyada baten nahi sirf itna hi, ye kisi ko bhi surprise kar sakte hain aur ye dono bilkul sadharan se insan hai, jiski kshmta huamre ashadharn takaton se bhi upar hai... Ye dono to meri aur meri patni ke dream heros hain"…


"Kuchh dream heros aur bhi hai jinki kshmta aur unke kaam OMU se bhi kahin upar hai. Ye apne aap me itna bada sangathan hai jiski barabari OMU nahi kar sakta (Sattvik Aashram)... Lekin un heros ka jikr mai na hi karun to jyada behtar hai... Kyonki achhai aur burai ki ladai me, sabse jyada unhe hi toda gaya, lekin fir bhi wo apna astitv banaye rahe... Apne aatm bal par khade rahe, aur jinme kshmtayen hain unki kshmtaon ko nikharte rahe"…


"Kuchh war heros aise bhi the, jihone apne poorn jivan kaal me kuchh nahi kiya... Ulta kisi ki galat mansa ke bahkawe me khud narbhakshi ban gaye aur na jane kitne insano ko chaba gaye... Galat ya sahi ka kya aaklan kare, jab koi sipahi aise order follow kar raha ho... Wo apne sena ka anushan banaye tha... Haan main apne ek dost Jatin ki baat kar raha jiska hriday pariwartan ussi waqt ho gaya tha, jab wo kisi brutal sena ke command me tha"...

Pahle kisi ki galat niti ko jhela aur baad me ek dhurt Surpmarich ke clone ko jhela... Jisne usse ek ayogya shashak sabit kiya... Uski galti hi kya thi. Pahle apne kurur shashak ke order follow karne ki. Order follow karna kisi bhi shashan vayvastha me kab se galat maana jane laga, haan lekin satta parivartan me wo doshi to hoga hi... Dusra Jab ek sidhh purush Surpmarich kisi ka gulaam ho sakta tha to kya ek shashak ki mati brhamit nahi kiya ja sakta? Uski jagah koi bhi hota to yahi hota... Galat kahan tha wo... Haan lekin usse jarra bhi afsos nahi tha in sab baton ka, kyonki uska bhi yahi manna tha ki"...

"Insan kitna bhi achha kyon na ho lekin satta me baith'kar apne logon ko hi nahi bacha paya, jabki waise dimag par kabu karne wale to satta me pahle se kabij the purv Shashan ke dauran. Mujhe uske lautne ke bare me soch'kar apni taiyari rakhni chahiye thi jo main nahi rakh paya isliye main ek ayogya shashak hun"

"Ek real war hero jisne ek hi ikchha mujhse jatayi thi... 'Mere 2 bacche hain aur maine apne jivan me, earth ke mission operation se lekar Zoren ke Dirdh aayu rastr ki satta sambhali thi... Lekin ek aisa kaam nahi kiya jiss se wo proud feel kar sake... Ek hi sapna bacha hai... Ek gravanvit maut ke sath apni pachtave se bhadi jivan ko alvida kah sakun.'.

"Marne ka aisa zazba sirf ek real war hero ke pass hota hai... Mukhauta utarne ke baad orignal Surpmarich aaya aur bina koi mauka diye aap jinhe apna war hero samjh rahe hain, unka gala kaat'kar hawa me lahra diya aur ye najara Viggo viman me har kisi ne dekha" ..

"Jatin aur uske sathiyon ko apni kashmta pata thi aur apne kshmta ka aisa prayog kiya, ki ek maha sidhh insan jo kali takton ka aisa varish tha, jise hum milkar nahi hara nahi sakte the... Isliye humari jagah ek sochi samjhi maut Jatin aur uski poori team mara, sirf iss viswas me ki jitna waqt wo humare bahrupiye ko maar'kar sab ko tourcher karne me lega, utne waqt me hum apna maksad saadh lenge'...


"Iss yudhh ka mukhya target na to wo Surpmarich ka clone tha aur na hi wo gulam Astak... Ye dono to mukhaute the jiska malik koi aur hi tha, aur hume ye bhi nahi pata tha ki jo Surpmarich humare pass hai wo mahaj uska clone tha aur humara mukhya mujrim to kahin aur baithkar na sirf oprate kar raha tha balki ungli par humari duniya ko nacha raha tha"... .

"Astak aur Clone Surpmarich ka malik aaj maara gaya kyonki humare war hero Jatin ek aisa behrupiya tha, jisne uss maha sidh vikrut purush ko, shak tak hone nahi diya ki jise wo maar raha hai, wo asli nahi nakli hai... Jatin jisne hamesa mujhe ek malik aur khud ki sewak hi samjha... Aaj meri maut mara… Wo hai asli war hero"...

"Hum to dusron ke balidan se uncha huye hain… unke bina huamre koi astitv nahi... Isliye main ek adhikarik ghoshna karta hun jiski ikchha meri patni pahle jata chuki hai... Desert planet Nischal ka official pata hoga, jiske dwar hamesa poore universe ke liye khule honge... Wahan hun banayenge war hero sangrahalay, jahan humare real war hero ko poora universe karib se jaanega... Jaanega poora Universe, kaise wo lade aur kaise maujooda haalaat me unke dwara wo kaam na hua hota to kya natije hote... Unke bacche apne abhibhavak par garv kar sake … hum sab garv kar sake... Aisa ek sangrahalay hoga"


"Aur sabse aakhri me main ye jaam apne 2 heros ke liye uthata hun... Luna aur Shwetna... OMU ke dono shrave sharva... Ye dono apne kshetr ke legend hai... Pani aur jamin ki malik Shwetna aur poora aakash to kewal Luna ka hai... In dono ke hote na to koi aapki jamin le sakta hai, na hi pani aur na hi aaksah… ek jaan huamre sabhi war heros ke naam"...


Nischal ki baat ko jaise sab mehsus kar rahe ho... Bhavuk kshn the aanshu har kisi ke aankhon me. Jashn, jaam aur ek vijayi raat thi... Har kisi ko jaise fakr sa mehsus ho raha tha...


Jshan Viggo viman se le'kar, Middle Universe ke har planet ke har rastra me manaya ja raha tha... Shwetna aur Luna ki meeting kuchh jyada hi khinch gayi aur kafi der baad un dono ne apne doston ko join kiya...


Jshan manate huye sab kab nind ke aagosh me pahunche unhe bhi pata nahi chala. Poore hall me hi log ludhke pare the... Koi idhar chit to koi udhar palat. Subah ke karib 11 baje, bacchon ke shor ne sabko thoda-thoda padeshan kiya..


Nischal aur Jivisha dono mithi angdai lete, ek dusre ke honth sparsh kar, muskurate huye dekhne lage.… "Taiyar ho jao… in sabko chhodte hain aur hum 1 mahine ki honeymoon par nikalte hain" … Jivisha, Nischal ki arji sun'kar hansti hui, Nischal ko aankh maari aur badi hi adaa se Nischal ke chehre par apni hath ferti... "Bina kisi ke jaankari ke chalo"….


Syren sound….. dhimi aaawz.. fir syren ka volume plus... Aur Plus.. aur bhi jyada plus... Plus... Kaan faad syren sound..


Itne tej ki sabhi jaag gaye... Samne se je rera re baba... 30 hi-profile armed agents, jaise kisi surksha agency ke ye fit, muscular, mustaid, rera wale agents ho, jinke aas-pass hone se feeling aa jaye ki koi badi hasti ab aane wala hai... aur har koi ussi feeling ke sath tak'taki lagaye raste par najren bichhaye the...


Agents daurte huye aaye aur deewar ke dono kinare gun tane phail gaye... Sabhi bus yahi soch rahe the ki ye aa kaun raha hai... Sabse bade VIP Shwetna aur Luna to pass me ludhki padi thi, jo usbasi leti, angdai le rahi, fir ye VIP kaun aa raha??...


Tabhi jhannatedar kisi adhikari ke poshak me, bilkul taro taza hokar pahunch rahe the, Ansh aur Nandni…. Bilkul hi-profile rera tha dono ka... Aisa jaise marvel ke Nick fury bane ho... Filmi kida to waise bhi inhe paida hone ke sath ki kaat liya tha…


Apne mausa aur massi ka first look dekh'kar dragon babies hooting karne lage… Nandni upar se shant ander se muskurati kewal najro ke ishare se sabhi bachhon ko shant karwa dee...


Nandni kisi ek agent ko dekhi, aur wo kisi rattu tote ki tarah…. "Aap sab ka OMU headquarter me swagat hai… Aapke samne hai Organisation of Middle Universe (OMU) ke Intelligence director Nandni aur deputy director Ansh"...


Tabhi Nandni poore attitude me apne hath upar karti… "Tum sab apne kshetr ke bahut bade naam ho sakte ho... Koi Sahjada ho sakta hai, to koi master, to koi queen, to koi prince... Lekin OMU ke najar me bus ek sipahi ho. Humare pass 17 mastisk mahal ki official report hai... Middle Universe me ye mahal Zoren Grah par hai aur dusra Prithvi par... Baki ke 15 mastisk mahal, jahan Astak jaise mahal ke upasak hone ki poori-poori ummid hai, wo universe ke 15 alag alag hisson me hai"…

"Main OMU ki intelligence aur operations head hone ke nate "The Glaxian" team ki ghosna karti hun, jiska first assignment hoga, aprakritik mashtisk mahal ko brahmand ke nakshe se mita dena, taki Prellel World ka poora rasta band ho jaye. Sath hi sath iss mahal se mili takat ko hum dekh chuke hain, jo amanviya aur aprakritik chijon ka srijan karti hai. Isliye mahal ke sath uske upasak ko bhi khatm kar dena hai"

"Nischal, Jivisha, Serin, HuYu, Sohan, Mohan, Gopal, Bitti, Meena, Sonu, Monu, aur inke kuchh sathi, ek team ka hissa hain."

"Aap sab headquarter me report karenge, jahan 2 aur swatantr team ke sath, ek official OMU ki Glaxian team se aap sab ki mulakat hogi, jo mere single command ke ander iss assignment ke liye niklegi."

"Be sharp at 2 PM. Maan'ne ya na maan'ne ke liye ye koi proposal nahi hai. It's an order".


Nischal, Jivisha, Serin, HuYu sab ke sab stabdh... Iss chhodi ko subah-subah kya ho gaya… Nandni gayi aur ye log sabhi uske tevar par hanste huye taiyar hone ke liye nikal gaye...



Wahin Viprit duniya me Adharv aur Savdha ek bade se minar par khade the... Kale lahrate libas me, dono uss minar par khade... Niche jahan tak najar jaye fauj hi fauj... Aur sabse aage ke katar me uske sabse karibi log...



"Kisi ne Baba ko mul duniya me maar dala hai... Kya hum itne kamjor ho gaye ki koi bahri duniya ka insan humare baba ko maar daale, aur hum iss duniya me sok manaate rahe"…


"Badla.. Badla... Badla... Badla.. Badla .. Badla… Badla... Badla.… Badla"


Charo ore maidan se badle ke naara gunjne laga... Adrav sabko hath dikhate...


"Unka gala chirkar khun se hum Mul Duniya ki dharti ko sinch'kar, wahan ke cahappe chappe par "Maracian Samrajya" ka naam likh denge... Rohela, Maya, Naveed aur Soram.. apni tukdi ke sath khoj dalo chappa-chappa iss viprit duniya ka, aur dhundh nikalo mul duniya ka wo rasta, jo kabhi koi band nahi kar paye… Hum wahan apne kahar se unhe samjhayenge ki kya galti wo kar gaye"...
Picture abi baki hai mere dost lagta hai nain bhai agle part bi likho ge.intezar rahe ga.ek bemesaal storie puri hui
 
  • Like
Reactions: Naina

Tiger 786

Well-Known Member
6,288
22,803
188
Nain bhai puri storie ke darmian naina ji nishchal or hella ki jodi banati rahi par apne banane nahi di jodi🤣🤣
 
  • Haha
Reactions: Naina

TAKSHAK

Member
331
740
108
Part 2 bhi shandar raha.... Last ki ladkai well planed rahi....
Hurriyat ki chhipi dunia bhi chhipi na rah saki....Viggo ab akela nhi rha... mast planning thi... khair dusare viggo bhi mil gaye.... ek vilupt hoti prajati sabke samne rahi...
The master n Glaxian ki story bhi badhiya tarike se plot ki gayi timing bhi badhiya rhi... overall story superb rahi.... paisa wasool rahi....

Story padhite waqt bahut si batein dimag me ati gayi ager iss story me hoti to kya hota.... ya age ki plotting hogi...jaise ki....
Astak k sir katte hi Hella n Messa ki entry ka hona...(orja ko le kar). Aur uske sir ko bachana jo ki kosikaon ka bana hai... fir Astak mahal me Hella vs Jivisha ka yudh jisme Jivisha ke pran n shakti ko Hella k andar dalna... jisme Arhcemia n astak k akhri waqt me pastave ki aag me marete hui jivisha ko hella me zinda karna aur marna. Adharv n company k marne ka raaz Astak se lena.... Arhcemia ki kahani jo apne mul grah se dark universe tak ka safar btana... etc etc..
Surpmarich k marte hi uske particle se Nandni ka effected hona...aur dragon babies ka kataleaam... wo bhi Desert plant pe... Nischal ko Nandni ko majboori me marna ya memory erase karke earth bhejna... Ansh ka marna... fir Surpmarich k manas roop ko kaid karna aur black hole k anant duniya me fek dena... jo fir se ane ka bol jaye...
Aur bhi bahut kuch chal raha hai.... anyway part 3 n Bhavar 2 ka intezaar rahega.... dekhte h kya hota h....
 
Last edited:
  • Love
Reactions: Naina

AvniTaneja

अहमस्मि योधः
79
421
53
nain11ster ji kaafi well planned aur well thought story thi aap ki. Sach mei read kar ke maza aa gaya. Is forum par aap ke jaise kaafi kam hi writer hai. Kaafi aap aur aap ke jaise jo writer hai unhe koi sponsor kar ke unki in stories ko main stream media mei published kar pata toh yeh stories aur bhi famous ho jaati isse aap jo sabhi is story ko itna behtar karne ke liye time dete hai uski bhi value aap ko mil jaati par koi nahi. Kabhi na kabhi zaroor aisa hoga mei yeh good wish karti hu aap aur aap ke jaise writers ke liye.

Please aise hi aap ham sabhi ko stories dete rahiye.
 
  • Like
Reactions: TAKSHAK and Naina

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,347
304
Nain bhai puri storie ke darmian naina ji nishchal or hella ki jodi banati rahi par apne banane nahi di jodi🤣🤣
Ab Kya hi bolu tiger sahab... Nischal aur hella ke khwahisein aur sapne jaise adhure hi reh gaye....
jaise dhalti shaam ke ant mein
dubte suraj ko dekh likhi gayi phir ek adhuri ankahin dastan...
 
  • Like
Reactions: Tiger 786

Lucky..

“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
6,668
25,554
219
  • Like
Reactions: Rawat@7

Rawat@7

Bad Is Never Good Until Worse Happens.
737
1,026
139
Fantastic story.
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,347
304
Last edited:
Top