• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
27,576
55,881
304
UPDATE 131

Maa aap aur Di ko shaadi mein aana hoga.

Atul ne khamoshi ko tod kar kaha...Kaha kuch der pehle sab khush thhe Atul aur Nisha ko saath dekh kar...Lekin Atul ki iss baat ne sabhi ko niraash kar diya...Khaas kar Atul ke Papa ko.

Atul:- Sirf aap dono.

Iss baar Atul ne Gaurav aur Papa ko dekhte hue kaha jo jakhm me namak daalne ka kaam kar raha tha.

Fir se ek khamoshi chhaa gaya...Maa aur Di bhi kuch bol nahi paa rahe thhe aur Gaurav aur Papa kuch bol nahi sakte thhe.

Atul:- Di, kya Nisha aapke room mein reh sakti hai kuch din ke liye?

Nidhi:- Haan...Jarur.

Bas itna hi bol paayi Nidhi...Kaha wo sasural se Atul ko milne aayi thi...Uski khushi dekhne aayi thi itne saalo ke baad lekin Atul...Wo Atul ke liye khush to bahut thi dono ko saath dekh kar lekin Atul ki ye kadwi baat...Ye baaton me bhi alag hi dard tha.

Atul fir apne room ki taraf jaane hi wala tha ki.

Gaurav:- Bhai.

Himmat kar ke Gaurav ne Atul ko rokne ki koshish ki.

Atul waapas mud kar Gaurav ko ghurta hai.

Gaurav:- Kam se kam Papa ko bhi bula leta.

Atul:- Mujhe fir se shadi nahi tudwana hai.

Papa ki taraf dekhte hue Atul ne kaha.

Gaurav:- Tujhse ye ummeed nahi tha.

Niraash aawaj me Gaurav ne kaha.

Atul:- Accha, Bura ka gyan de bhi kaun raha hai?

Atul hanste hue bola.

Gaurav:- Haan bura tha mai...Lekin iska ye matlab nahi ki aur bhi galtiyan karu aur kisi ki galti par chup rahu ye soch kar ki kabhi mai bhi galat tha.

Atul ne kuch nahi kaha.

Gaurav:- Maanra hun maine tere saath galat kiya hai...Nafrat karta tha tujhse...Lekin Papa...Unki kya galti?

Atul:- Galti unka nahi...Mera tha...Maine hi kuch jyada expectation kar liya tha unse...Ye expectation ki ek pitaa ko unke santaan ki prati farz nibhaane ki...Lekin shayad ye kuch jyada tha.

Puch Papa se...Kabhi wo mere kisi success ke liye khush thhe? Kabhi mera kisi iccha ko dil se pura kiya? Puch.

Hamesha tujhe hi apna beta maana hai unhone...Ye galat nahi...Apne beta se pyar karna galat nahi...Lekin bhedbhaaw?

Puch? Ye biased hai ya nahi? Puch?

Atul ki aawaj me jamaane bhar ka gussa tha...Bolna to aur bhi chaahta tha wo lekin bola nahi.

Gaurav:- Mujhe puchne ki jarurat nahi.

Ye sun Atul gusse mr bhi muskuraata hai ye soch kar ki Gaurav ke paas uske sawaal ke jawaab nahi hai.

Gaurav:- Kyu ki mai jaanta hun kitna pyar karta hai ye tujhe...Dekha hai, mehsus kiya hai...Puchne ki jarurat nahi hai.

Hamesha chaaha maine tere liye Papa ke dil me nafrat paida karu...Tera galtiyan dikha kar bahut baar tujh par gussa hone ke liye majbur karne ki...Lekin Papa me kabhi badlaaw nahi aaya...Ye jitna pyar mujhse karte hai utna tujhse hi karte hai.

Atul:- Tera ye joke itna bakwas hai ki mujhe hansi bhi nahi aa raha hai.

Gaurav:- Agar tu Papa ko galat samajhta hai to tu bhi galat hi hai.

Atul kuch nahi bola...Bas gusse se Gaurav ko ghurta raha.

Gaurav:- Papa ko tu jaanta hi hoga...Wo kabhi jyada baatein nahi karte...Bas jarurat ki hisaab se...Tujhe lagta hai ki Papa tere utna karib nahi thhe...To mai pucchta hun ki tune Papa ke karib jaane ki koshish kabhi kiya?

Atul iss sawal par kuch bol nahi paaya.

Gaurav:- Mai jaata tha...Haan makshad alag tha...Lekin fir bhi jaata tha...Issi liye tujhe lagta hai ki Papa sirf mujhse hi pyar karte thhe.

Lekin maine khud ko special kabhi feel nahi kiya iss maamle mein...Wo tujhse fir bhi utna hi pyar karte thhe.

Atul abb Gaurav ki baat seriously sunne laga.

Gaurav:- Aur tera MBBS mein admission ki vakt !!! Haan tera aur Papa ke bichaar alag thhe...Tera complaint ye tha ki Papa tere wish ke khilaaf hai.

Tu apni jagah sahi tha...Lekin Papa bhi galat nahi thhe...Unhone apne time ke struggle dekha hai...Unhe laga ki tu business ko continue karke accha khasa paisa kama sakta hai.

Tu chahta to Papa ko acche se samjha sakta tha...Lekin ek do baar samjhaya...Papa convinced nahi hue to apne dimaag me ye baat set kar li ki Papa teri wish pura karna nahi chaahte aur unhe aur samjhane ki koshish hi bekaar hai.

Atul abhi bhi bas Gaurav ki baat sun raha tha.

Gaurav:- Ek baat kahu...Agar jitna time tu Nisha ko deta tha usse aadha Papa ko deta to aaj baat aur hoti.

Atul:- Aeeee....

Gusse me chikha Atul.

Gaurav:- Sach baat hai ye...Aur waise bhi gu sirf unhi se baat karta tha jo tujhe pyar dikhate thhe...Maa, Di, Nisha aur tere dosto ke alawa kisi se tune kabhi time spend kiya hai?

Atul iss baar bhi kuch bol nahi paaya.

Gaurav:- Ghamand to tujh me tha...Iss baat ki ghamand ki tu sahi hai aur tujhe unki koi jarurat nahi jo tujhe matlab naa de.

Agar Papa ke saath thoda bahut time spend karta to pata chalta kitna pyar karte hai ye tujh se...Agar Papa me kuch kami hai to ye ki ye apne feelings ko acche se jaahir nahi kar paate.

Yaad kar...Tera pocket money...Tujhe lagta hoga ki ye tujhe Maa se milta tha...Lekin Papa hi Maa ko vakt se dete thhe...Ye keh kar ki tujhe koi kami nahi hona chaahiye...Bahut baar dekha hai maine khud hi...Tera har demand bike, laptop, Mobile, Internet, Sports, Tour...Kisi me bhi bina koi sawal kiye pura kiya hai.

Lekin tujhe...Tujhe to sabut chahiye.

Aur tujhe lagta hai ki unhe tera success se koi matlab nahi...Jab tu yaha se chala gaya tab maine kayi baar suna hai Papa ko apne dosto ke saath baat karte hue...Bahut taarif karte thhe ye teri acchaayi ki, teri success ki.

Lekin tu...Jab tak nahi sunega nahi dekhega vishwas nahi karega.

Aur Papa ka tere liye pyar ka ek aur example...Jab tunr Nisha se shadi ki baat Papa ko bataya...Kuch vakt lene ke baat ye maan gaye mere lakh bhadkaane ke baawjud...Tere liye apni dushmani tak bhula diya.

Atul:- Aur shaadi kisne toda tha?

Gaurav:- Papa ne...Lekin saamne kaun hai ye bhi to dekh...Mere plan ne Papa ko majbur kar diya ye faisla lene me.

Pehle bhi bata chuka hun...Ye hum teeno se barabar pyar karte hai.

Maine haalat aisa bana diya aur Papa ko bataya ki Nisha ki Papa ne mujhe unke ghar me maara aur Papa ko bhi bahut baatein sunaya.

Tere liye Papa mere saath galat nahi kar sakte thhe...Aur maine Nisha ki Papa ko villain ki tarah dikhaya...Aur ye bhi ki tujhe Nisha se bhi acchi ladkiyan mil jaayengi.

Warna Papa love marriage ke against nahi thhe...Maine bhi love marriage kiya hai aur Di ne bhi...Tera bhi hone wala tha...

Atul gusse se Gaurav ko dekhta hai ye sun kar ki usne saajish kiya tha dono ko alag karne ki...Ek baar fir wo pal yaad aa gaye.

Gaurav:- Aur Papa jitna pyar karte hai utna hi naaraj bhi hote hai...Jab maine ye sachaayi unhe bataya to unhone mujhe aaj tak maaf nahi kiya ye jaan kar ki anjaane me tere saath naa insaafi hua hai...Aaj tak sidhe munh kabhi Papa ne mujhse baat nahi kiya hai uss din ke baad.

Atul ko bhi realize hua ki usne bhi aaj kal Papa ko Gaurav ke saath baat karte nahi dekha hai.

Gaurav:- Agar tujhe lagta hai Papa itne galat hai to Maa aur Di se hi puch le.

Atul dono ko dekhta hai.

A. Mom:- Nahi wo shadi ke vakt wali baat ko chhod kar tere Papa galat nahi thhe.

Atul kuch bol nahi paya.

Gaurav:- Haan pyar dikha nahi paaye...Iska matlab ye nahi ki ye pyat hi nahi karte thhe...Pitaa hone ki har ek jimmedaari nibhaya hai Papa ne...Bas apna pgar jataa nahi paaye...Yahi kami thha Papa me aur aaj bhi.

Aaj bhi wo tujh se baat karne ki himmat nahi jutaa paa rahe hai.

Gaurav:- Tu hi soch...Samajhdaar hai tu...Kya Papa ki anjaane me hua galti itna bada tha ki unhe 6 saal ki naarajgi sehna chaahiye?

Pehle mai galat tha...Aur agar abb tune maaf nahi kiya to abb galat tu hoga.

Gaurav ki iss baat ne Atul ko sochne par majbur kar diya.

Gaurav:- Maa ka pyar ko to sabhi mahaan maante hai...Aur wo hai bhi...Lekin Pita ka pyar? Wo underrated hai...Aur kayi baar unhe sabut bhi dena padta hai.

Maa ki aansu to sab ko dikhta hai lekin Pita ke haatho ka ghaaw aur jakhm? Kya uska koi mol nahi.

Maa bacche ko pyar se paalti hai, pyar se bada karti hai...Lekin Pitaa...Wo bhi to har jimmedaari pura karte hai.

Maa ka pyar mahaan hai aur hona bhi chahiye...Lekin Pitaa ka pyar ko bhi kam nahi sochna chahiye...Aakhir yahi dono to hai jo hume ek behatreen jindagi dete hai.

Kabhi sochna iss baare me...Aur ye bhi ki Papa ne tere jimmedaari me koi kami rakha hai ya nahi?

Agar maaf kar sakta hai to maaf kar dena.

Itna keh kar Gaurav chup ho gaya...Uske aankho se bhi aansu aane lage.

Ghar me maujud sabhi ke haal waisa hi tha...Sab chaahte thhe Atul Papa ko maaf kar de...Aur shayad Atul khud bhi.

Kabhi socha nahi tha Gaurav ki baat usse sochne par majbur karega...Lekin aaj...Aaj to sahi baat kaha tha usne.

Ek najar Atul ne Papa ko dekha jo Atul ko aas bhari najro se dekh rahe thhe.

[Friends abb story mein 2 update aur baaki hai...Ye update thoda long ho gaya...Issi liye kal iska continuation update post karunga.]
बहुत ही बेहतरीन।।

आज पहली बार कोई अच्छा काम किया है गौरव ने
आज खुल कर बात की गौरव ने। अगर वो यही पहले कर लेता तो आज हसलात ये नहीं होते जो बने हुए हैं।।
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
27,576
55,881
304
UPDATE 132

Kal fir agar tere bacche bhi tere saath waisa hi kare to ye mat kehna ki galti unki hai...Shikayat karne ka hak tere paas nahi rahega?

Atul ko chup dekh Gaurav ek baar fir bola.

Atul kuch der aur sochta raha...Ek baar sabhi ki taraf dekha...Sab usse ummeed bhari najron se dekh rahe thhe.

Abb Atul utth kar Papa ke paas pahuncha aur jhuk kar unke pair chhu liya.

Papa bhi usse uthaa kar gale laga lete hai.

Dono ke hi aankhon mein aansu thhe...Ek sukoon.

Atul:- Bacchon ki baat to bahut der ki hai...Unki baare mein kuch socha bhi nahi.

Pehle jo galat karne jaa raha hun wo karne se khud ko rok raha hun.

Fir Atul apni Papa ki taraf dekhta hai...Shayad hi unhe itna khush kabhi usne dekha tha...Dil se ek bahut bada bojh utar gaya tha.

Atul:- Papa...Aaj bhi yaad hai mujhe...Aap mere kitne bade se badi galtiyan maaf kar chuke hain.

Bachpan mein aap ke dost ke hi paise churaana ho yaa fir pados ke ek ladke ko peet peet kar hospital mein admit karaana ho.

Ghar mein aaye mehmaan ko pareshaan karna ho yaa fir gussa nikaalne ke liye ghar ke hi saamaan ka tod fod jaise naye tv aur laptop.

Bahut shararat kiya bachpan mein...Lekin aapne hamesha mujhe maaf hi kiya tha.

Abb sab kuch yaad aa raha hai.

Aap ne hamesha mujhe maaf hi kiya hai toh kya mai aapki ek galti maaf nahi kar sakta jo anjaane me hua aur usme kahi naa kahi mera bhi galti tha.

A. Dad:- Nahi tera galti nahi tha...Har bacche ka iccha aur hak hota hai ki uske Maa Baap usse bahut pyar kare aur uska khayal rakhe.

Lekin mai...Uss vakt thoda busy tha aur paiso ki jarurat mein kaam me itna vyast ho gaya ki tujh par utna dhyan nahi de paaya.

Mai excuse nahi de raha hun uss vakt mai galat tha...Busy hone ke baad bhi thoda vakt nikaalna chahiye tha...Jo nahi kar paaya aur uss vakt shayad samajh bhi nahi paaya.

Dhire dhire tu bada hota gaya...Tu apne Maa aur Didi ke karib tha jo hamesha tera khayal rakhti thi...Mai bas tera jarurat hi pura karta tha...Vakt nahi nikalta tha.

Gaurav ye khud mere paas aata tha...To iske saath baatein kar lets tha...Aur issi vajah se shayad tujhe laga ki mai sirf iss se pyar karta hun.

Pyar to sabhi ko karta hun lekin shayad dikha nahi paaya...Pehle se hi mai jyada baatein nahi karta tha...Shayad yahi mera sabse badi galti saabit hua...Pyar karna hi kaafi nahi jataana bhi padta hai.

Dhire dhire humare bich baatein aur bhi kam hone laga...Shayad baatein karne mein bhi jhijhak si hone laga tha...Mai bas ek pitaa ki jimmedaari ke roop mein tera jarurat pura karta chala gaya...Vishwash bhi shayad kam hota chala gaya hum dono ke rishte mein.

Aur dekhte hi dekhte anjaane me kya se kya ho gaya.

Atul:- Taali ek haath se nahi bajta...Mai bhi anjaane me hi sahi galti mein shamil tha...Aap mere paas nahi aaate thhe to mai bhi aapke paas nahi jaata tha.

Attitude problem...Shayad kuch jaldi hi ye baat dimaag mein baith gaya tha...Bahut pehle hi ye sochta tha ki agar koi mujhe ignore kare to mai bhi usse ignore karunga.

Aap ko bhi karne laga...Bas jarurat ki baatein hi karta tha aapse.

Shayad uss vakt attitude ko bhul kar thoda samajhdaari se kaam chalana chahiye tha.

Issi tarah dono Baap Bete apna gile shikwe dur karte hai...Dono ke dil se ek bojh utar gaya tha aur uski jagah liya tha sukoon ne...Ek khushi ne.

Gaurav:- Bhai ho sake to mujhe bhi maaf kar de.

Ek paschataap bhari aawaj me Gaurav ne kaha.

Atul bas usse ghurta raha.

Gaurav:- Iss maamle mein tujhe jor jabardasti nahi kar sakta...Kyu ki mai shayad uss laayak bhi nahi hun.

Atul:- Lagta haj abb tu bhi koi gheesa pitaa kahani sunaane wala hai.

Gaurav:- Shayad aisa lag sakta hai tujhe...Lekin jo kuch bhi bolunga sach hi bolunga.

Gaurav ne ek lambi saans liya aur bolna suru kiya.

Bachpan se hi tu mujhe pasand nahi tha...Kabhi tujhe apna bhai maana bhi nahi...Hamesha se nafrat karta aaya hun.

Chhoti si umar me hi kuch aise dosto ka saath mila jo kisi ke bhi jindagi tabaah karne ke liye kaafi ho.

Chhote se bade har tarah ke dost thhe...Unke saath uthna baithna, badmaasi karna yahi sab mera kaam hota tha.

Unse hi suna tha ki ghar mein do bhai hona acchi baat nahi hai...Maa aur Papa ka pyar bant jaata hai...Paise aur sab kuch aapas mein bat jaata hai.

Aur jab tu paida hua tab ye baat sach bhi laga...Dekhta tha ki Maa ka dhyan mujh se jyada tujh par hai...Aisa lagta tha jaise Maa to mujhe bhul hi gayi hai...Aur jab tu thoda bada hua to mera khilauna bhi tera ho gaya.

Tabhi se wo baatein sach lagne laga...Acche se sahi galat samjhane wale kam thhe aur kaan bharne wale jyada.

Aur jab jawaani ke time me aaya tab ye duriyan bahut badh gaya...Pehle hi aise doston ka sangat mein kaafi bigadh chuka tha...Bahut jald cigarette, gaanja aur daaru bhi suruwaat kar diya tha.

Aur aise mein tera dakhal andaazi mujhe bilkul bhi pasand nahi tha...Har bit te din tujhse aur bhi nafrat hone laga tha.

Tu bhi mujhse nafrat karne laga...Tera mujhse naa darna aur har baat ka jawaab dena...Ye humaari dushmani ko kaafi aage le gaya.

Upar se dosto ki baaton ka asar ki Papa ki sabhi property hum dono mein divide ho jaayega...Issi vajah se Papa ke dil mein tere liye nafrat gholna suru kar diya aur tujhe ghar se nikaalne ka planning suru kar diya.

Lekin ussi vakt Riya se pyar ho gaya...Uski pyar mein itna andha tha ki kuch bhi kar leta tha bina soche samjhe...Mai to isse bahut pyar karta tha lekin ye mujhe kyu pyar karti hai aaj tak samajh mein nahi aaya...Naa hi iske paas paison ki koi kami tha aur naa hi kisi cheej ka.

Khair, ye chahti thi ki tera shaadi Preeti se ho...Iss liye ghar se nikaalne ka plan cancel kar tujhe Nisha se alag karne ki koshish mein lag gaya.

Atul:- To ab ek raat mein kaise badal gaya?

Gaurav:- Badlaaw ek raat ki nahi hai...Kayi saal ki hai.

Jab tu ghar chhod kar gaya to mai bahut khush tha...Sab kuch mere hisaab se chal raha tha.

Ek din Papa ko business mein bahut loss ho gaya...Haalath aisa tha ki ghar chalana bhi mushkil ho gaya tha.

Uss vakt...Mera wo koi dost mera kaam nahi aaya...Khushi mein to sab saath deta hai lekin gham mein? Ek pal mein pata chal gaya kaun apna hai aur kaun paraya !!!

Tu bhi itna dur chala gaya tha ki shayad hi kabhi wapas aata.

Majburi mein mujhe kaam sambhalna pada...Tab dhire dhire pata chala jindagi kya hota hai?

Sangharsh kisse kehte hai? Majburi kisse kehte hai? Bure din kisse kehte hai?

Sab kuch sikh gaya ussi pal mein...Ye bhi pata chala ki jindagi sirf saajish nahi hota hai...Aur jindagi itna aashaan bhi nahi jitna mai sochta tha.

Jab kaam karte gaya tab pata chala jindagi ko imaandaari se jeena kitna mushkil hota hai...Mushkil to hota hai lekin alag hi sukoon milta hai.

Kisi tarah apne ghar ko sambhaal raha tha...Aur ussi vakt Aarav ka janm hua...Soch liya tha ki isse galat raaste par jaane nahi dunga...Jo galtiyan khud kiya tha wo usse karne nahi dunga.

Ghar aur Aarav ko sambhalte sambhalte mujh mein bahut badlaaw aaya...Maa se baat karta to sirf ek hi baat pata chalta...Wo tujhe fir se iss ghar mein dekhna chaahti thi.

Tab jaake ehsas hua kitna bada galti hua hai mujhse...Tere saath hamesha galat kiya wo bhi dusro ke kehne par...Har baar mujhe khud ki hi galti dikhne laga...Nafrat sa ho gaya khud se ki be wajah tera jindagi tabaah kar diya.

Maine jis kisi ka bhi nukshaan kiya tha unn sab se maafi maanga...Papa se bhi sach keh kar maafi maang liya...Lekin mujhe maafi nahi mila.

Aur fir issi paschataap mein aaj bhi jee raha hun ek ummeed ke saath ki humaare pariwar mein sab kuch thik hoga...Abb nahi chahiye mujhe koi paisa koi property jo har cheej kharid sakta hai lekin khushi nahi, sukoon nahi aur naa hi chhain.

Mujhe tu chahiye Atul apne chote bhai ke roop mein...Bachpan to miss kar diya lekin jab dusra mauka mila to chahta hun abb bade bhai ka farz nibhaane ka.

Itna keh kar Gaurav chup ho gaya aur Atul ko dekh fir bola.

Gaurav:- Agar tu mujhe maafi ke laayak samajhta hai to please maaf kar dena.

Atul kuch der sochta raha aur fir Di ki taraf dekha...Shayad abhi bhi usse Gaurav par bharosha nahi tha aur aise hi fir wo Gaurav par vishwash karna nahi chahta tha.

Maa ki taraf dekha toh wo bhi ummeed bhari najron se Atul ko dekh rahi thi.

Di ki taraf se bhi ishara mein jawaab aaya ki Gaurav sach keh raha hai.

Atul kuch der soch hi raha tha ki usse ek phone aaya...Phone Ajay ka tha.

Wo phone pick karne baahat jaane laga...Raaste mein Gaurav ki kandha par haath rakh usne apna jawaab de diya.

Gaurav ne sukoon mein aankhein band kar liya...Maa ki bhi aankho se aansu aa gaye...Unka sapna pura ho gaya...Pura pariwar ek hone ka.

Atul:- Kaha hai wo?

Nafrat bhari aawaj mein Atul ne pucha.

Ajay Atul ko Ravi ke paas le gaya.

Gusse mein Ravi par do chaar mukkon ka barsaat kiya Atul ne...Fir bhi.

Ravi:- Kitna bhi maar...Lekin mujhe afsosh nahi...Khush hun ki tera itna vakt barbaad kar diya.

Atul bas usse gusse se dekhta raha...Andar hi andar wo kuch soch raha tha.

Ravi:- Ek baat bata...Aakhir mere pyar mein kya kami tha jo Nisha mujhe nahi tujhe pyar karti thi?

Iss baar Ravi ki baaton mein dard tha.

Atul:- Tujh jaise ghatiya insaan se kaun pyar karega...Tu insaan ghatiya, tera pyar ghatiya aur tera pyar ka choice bhi ghatiya.

Agar tu sach mein Nisha se pyar karta to uski khushi ke liye sochta...Uske pith piche saajish nahi karta.

Aur tu mera pyar se compare karta hai...Nisha jab suru mein mujhse baat nahi karna chahti thi to mai usse dur hi rehta tha...Hamesha uska respect kiya.

Tera pyar mein Nisha ke liye khushi aur sammaan hai hi nahi...Hamesha tune khud ka socha...Pyar nahi tera junoon tha ye.

Fir Atul chup ho gaya aur Ajay ko side mein bulaa kar.

Atul:- Abb isse aur mauka nahi de sakta...Agar mai kuch karne laga to ye pakka mar jaayega.

Tu hi kuch kar iska...Physically nahi mentally...Ek khauff bitha de iska dimaag me jisse ye kabhi ubhar hi na paaye...Aur kuch karne ka soche bhi nahi...Aur baad mein uss Rohit ka bhi. (Atul ka classmate jisne Nisha aur Ravi ki shaadi ki jhuthi photo Atul ko dikhaya tha.)

Iss baar Atul ki har ek baaton mein nafrat tha...Wo apne gunehgaar ko maaf karne ka mood mein bilkul bhi nahi tha.

[Abb bas ek short and sweet update baaki hai aur fir story complete.]
बहुत ही बेहतरीन कहानी महोदय।।
अतुल ने बहुत ही अच्छा काम किया जो उसने माफ कर दिया अपने भाई और पापा को। दोनों पश्चाताप की आग में इतने जले हैं कि उनका सारा पाप धुल गया है।।
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
27,576
55,881
304
UPDATE 133 (FINAL)

6 YEARS LATER

6 saal baad kaafi kuch badal gaya tha sabhi ki jindagi mein...Atul apne pure family ke saath gaanw shift ho chuka tha...Atul aur Nisha dono hi ussi hospital mein as a doctor kaam karne lage thhe.

Hospital ke alawa dono ka apna clinic bhi tha...Jaha free time mein dono kaam karte thhe...Iske alawa Gaurav ne bhi apna business suru kiya tha.

Kul milaa kar puri family sukh aur shaanti se jee rahe thhe...Pariwar mein sab kuch thik chal raha tha Gaurav aur Riya ko chhod kar...Abhi bhi dono mein khas jamta nahi tha.

Gaurav sirf 2 cheej ka hi intejaar kar raha tha aaj bhi...Ek yaa to Riya puri tarah se badal jaaye aur dusra yaa fir Riya usse chhod kar chala jaaye...Lekin dono mein se kuch bhi nahi ho raha tha aur naa hi Gaurav ko kuch khas matlab tha...Wo to Riya se iss tarah tang aa chuka tha ki abb wo ye bhi jaanna nahi chaahta tha ki Riya ke dil mein kya hai...Uska dhyan abb sirf Aarav, family aur business par tha.

Riya bhi abb pehle ki tarah Gaurav par hak jamaa nahi paa rahi thi aur naa hi apna kuch bhi marji chala paa rahi thi...Abb wo bhi sirf Aarav par hi dhyan deti thi.

Atul ke Papa aur Maa bhi apne bacchon aur pota poti ke saath vakt bitaate thhe.

Shreya ka bhi gaanw ke hi ek ladka ke saath shaadi ho gaya tha...Suruwaat mein kaafi mushkil hua usse aage badhna lekin Atul ke liye wo aage badh hi gayi apne dil ke aage majbur hone ke baawjud bhi. :(
Dhire dhire wo bhi apne life mein settle ho gayi aur apne pati ke saath khush rehne lagi.

Aaj bhi Atul aur Shreya ka dosti bahut hi khaas tha...Dono hi ek dusre ke ghar ke function mein shaamil hote aur jarurat padne par ek dusre ka saath dete.

Aur dono ek aur kaam mein ek saath hote...Shreya ki Papa par jor jabardasti karne ke liye...Kisi bhi tarah dono unko dawaai khilaa hi dete unke marji se yaa fir unke marji ke khilaaf :D.

Nisha ke mil jaane se Atul ka khushi ka koi thikaana hi nahi tha...Shaadi ke 6 saal baad bhi Atul ka deewanapan mein koi kami nahi tha...Aaj bhi naye naye tarike se wo apna pyar Nisha ko jataata tha...Uski har khwahish pura karta tha...Nisha se alag hone ke baad jaanta tha wo ki Nisha kya ehmiyat rakhti hai uski jindagi mein...Agar kabhi dono mein ladaai hota bhi to dono pyar se ek dusre ko manaate. :love:

Shaadi hone ke baad dono kabhi kabhi Nisha ki gaanw bhi jaate thhe waha ki jarurat mand logon ki sewa karne.

Atul aur Nisha ki social life bhi kaafi accha chal raha tha...Atul ka dosti Ajay, Shreya aur Aamir se kaafi gehra ho gaya tha to kabhi kabhi wo Rahul sir se bhi mil leta...Kabhi kabhi Kajal se bhi baatein ho jaata tha phone mein.

Wohi Nisha ka Anjali se dosti fir se kaafi accha ho gaya tha aur College ke kuch aur friends ke saath bhi.

Dono hi apno mein aur dosto ki khushi dekh bahut khush thhe.

Aise hi ek din apna duty khatm karne ke baad Atul apne ghar aata hai.

Gate mein pahunchte hi usse hairani hota hai.

Atul:- Ye aap?

Nisha ki Papa ko apna samaan ke saath dekh wo hairaan tha.

N. Dad:- 2 din reh liya...Abb jaane ki soch raha hun...Tumse milne hospital hi aane wala tha.

Atul:- Kuch din aur reh lete.

N. Dad:- Fir kabhi aaunga?

Atul kuch bolta usse pehle hi.

N. Dad:- Ye mat sochna ki tumhe aise hi chhod dunga...Time time par supervision karta rahunga tumhara...Bhulna mat tum bhi ek beti ka pitaa ho...Mujhse bhi accha parwarish karna hoga tumhe Meera ka.

Baat to unhone mushkuraate hue kiya lekin unki baaton mein ek dhamki bhi tha...Atul bhi muskuraate hue.

Atul:- Niraash nahi karunga :D

Muskuraate hue Atul ne jawaab diya.

Fir wo apne Sasur ke paas aa kar unke pair chhu kar unhe vidaa karta hai.

Papa mai dawaa nahi khaungi!

Ek pyari si aawaj mein Meera apne Papa ki taraf aate hue boli.

Atul:- Kaun khila raha hai meri pyari si beti ko dawaa?

Atul ne Meera ko apni baaho mein utha kar pucha.

Meera:- Maa.

Naraajgi bhari aawaj mein Meera ne kaha aur Nisha se munh fer liya.

Atul:- Ye galat baat hai Nishu...Meera dawaa nahi khayegi.

Meera:- Thank you Papa.

Atul:- Wohi dawaa mai Meera ko injection laga kar dunga.

Ye sunte hi Meera Atul par toot padti hai...Aur jor jor se Atul ki kandhon par mukko ki barsaat karne lagti hai.

Meera:- Papa aap bahut bure hain...Doctoe hai to kya injection laga denge...Maa aap acchi hai...Bahut acchi hai...Sweet mom.

Meera ki baat aun Nisha , Atul ke saath ghar ke sabhi hasne lagte hai.

Atul:- Agar dawaa nahi khaaogi to bukhar se theek kaise hogi tum...Aur theek nahi hui to ice-cream kaise khaogi?

Ice-Cream sunte hi.

Meera:- Mai khaungi dawaa.

Baat ke saath saath Meera ki aawaj bhi badal gayi.

Nisha:- Aur Harsh (Atul ka chhota beta) ke saath kaun khelega?

Abhi chalne aur muskuraane ki koshish karte hue Harsh ki taraf dekh Meera boli.

Meera:- Mai.

A. Dad:- Aur apne Dada ke saath Tv kaun dekhega?

Meera:- Mai.

A. Mom:- Aur Dadi ki kahani kaun sunega.

Meera:- Mai.

Gaurav:- Aur maine jo dairy milk laya hai wo kaun khayega?

Meera:- Mai.

Riya:- Aur mere saath shopping par kaun chalega?

Meera:- Mai.

Aarav:- Mere saath ludo kaun khelega?

Meera:- Nahi bhaiya...Mai aapke saath ludo nahi khelungi...Aap hamesha beimani karke mujhe hara dete ho.

Munh fulaate hue Meera boli.

Fir issi tarah manaa kar Atul Meera ko dawaai khila deta hai.

Ghar ka maahaul khushaal tha...Aarav aur Meera ki vajah se sabka man laga rehta...Harsh ka parwarish mein bhi sabhi bahut dhyan dete thhe.

At Night

Meera aur Harsh soo chuke thhe.

Nisha:- Kya soch rahe ho?

Atul:- Kuch khaas nahi...Kal Meera ko school mein admission karaane ka soch raha hun.

Nisha:- Kya banane ka plan hai Meera ko? Doctor yaa Engineer?

Atul:- Kuch nahi...Meera wohi banegi jo wo decide karegi...Bas hume basic education dena hai aur acche sanskaar ke saath parwarish karna hai...Baaki iski life hai...Yahi faisla karegi apni jindagi ki.

Fir Atul Harsh ko dekh kar muskuraata hai.

Nisha:- Kya soch rahe ho?

Atul:- Soch raha hun...Bada ho kar ye kitna maar khayega mujhse.

Nisha:- Khabardaar jo mere bete par haath uthaane ka socha bhi to.

Iss baar munh fulaane ka baari Nisha ka tha.

Atul:- Agar badmaashi karega to maar to khayega hi!!!

Nisha:- Nahi ye koi badmaashi nahi karega.

Atul:- Majaak kar raha tha...Atul Jr. hai ye...Mujhse bhi aage jaayega ye.

Harsh ke sir ko sehlaate hue Arul ne kaha...Aur fir Meera ko dekhte hue.

Atul:- Hum dono ko mil kar inn dono ka hi acche se parwarish karna hoga.

Nisha bhi sehmati mein sir hilaa kar.

Atul:- Aise kya dekh rahi ho?

Nisha:- Kuch nahi...Bas soch rahi thi...Aaj bhi hum dono shaadi ke fere mein liye hue har kasam ko nibhaa rahe hai...Bas yahi dua hai ki aage bhi hum dono ke bich aise hi pyar rahega.

Atul:- Are kyun nahi? Abhi toh humaara pyar ko next level mein le jaana hai.

Atul ne confidence ke saath kaha...Aur Nisha ko apne baahon mein bhar liya.

Atul:- Thanks Nisha for loving me and making my life special.

Itna keh kar Atul ne pehle Nisha ke sir ko chuma aur dhire dhire uska honth Nisha ki taraf badh gaya.

बहुत ही बेहतरीन और लाजवाब महोदय।।

अगर प्यार सच्चा हो तो पूरी कायनात उसे मिलाने पर लग जाती है। अतुल और निशा का प्यार बहुत ही अनोखा यह। सच्चा प्यार था दोनों के बीच में । दोनों के प्यार के बीच मे न जाने कितने तूफान आए कितनी रुकावटें आई लेकिन दोनों का प्यार इतना मजबूत था और दोनों को अपने प्रेम पर इतना भरोषा था कि आखिरकार कायनात को दोनों को मिलाना ही पड़ा।

आप एक बहुत ही मंझे हुए लेखक हैं प्रेम कहानी को कैसे लिखना और मिस सूत्र मे ढलना है आपको बहुत अच्छी तरह आता है। बधुत बधुत धन्यवाद इतनी शानदार कहानी हम सभी पाठकों के लिए लिखने केलिए।।
 
1,237
4,494
144

Great story champ is story ko padhte padhte to meri boDy me Oxytocin ki nafiyaan beh gyiin .
 
Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,282
150,045
304
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum

"The Ultimate Story Contest" (USC).

Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hind section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 25th February tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.

Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 1500 Rupees + Award + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 500 Rupees + Award + 2500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 5000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories) + 2 Months Prime Membership
Best Supporting Reader Award + 1000 Likes+ 2 Months Prime Membership
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report

Regards :- XForum Staff
 
Surya1

New Member
57
119
33
Awesome story.. story puri toh nahi read nahi ki mene par concept narration kaafi accha hai.. superb story
 
champions241995

New Member
20
27
13
Nice ending sir aap ki story padkar humesha rona aa jata hai thanks aisi hi likhte rahiye

Comment pahile nhi kar pa raha tha allowed nhi tha aj allowed Hua hai toh Mai comment kar raha hun sorry for late comment
 
Mking

Active Member
1,450
1,714
143
Koi tumhe ignore kar raha heI to tum bhi ignore karo use,mai sau guna jyada ignore karta hu.
 
Top