Update : 13 (Pehla Kadam)
Thodi der baad jab Aryan fresh hokar aata hai, toh voh verma se sawal karta hai “toh doctor, ab aur bhi kuch batana reh gaya hai ya hum jaaye”
Verma “haa, muje ek baat pata chali hai, kuch aisa hai jo mere samaj me nahi aa raha”
Sunil “aisa toh kya hai jo aapke samaj me nahi aa raha..??”
Ab aage…
Verma “yeh bada hi vichatara hai, kese kahu”
Aryan “ab bol bhi de”
Verma gehri saans lete hue hai “yeh pehli baar aisa hua hai, inn tino ki maut ekdusre ko khaane se hui hai, sivay iss ladki ke” voh payal ki lash ki aur ishara karte hue kehta hai “iss ladki ki maut dil ke cheere jaane ki vajah se hui h, voh lakdi sidhe uske dil ke bicho bich se nikali thi”
Yeh sunkar Aryan aur Sunil bhi chaunk jaate hai, unhe bhi kuch samaj me nahi aa raha tha ki voh kese iss baat ko maan le, Aryan “yeh kese ho sakta hai doc..?? matlab ki bina hathiyaar ke koi khoon kese kar sakta hai…?? Kuch toh hoga na doc, like jeher se maarna, gala dabana yaa fir kuch aur”
Verma naa mein apna sar hilate hue kehta hai “nahi Aryan, aisa kuch bhi nahi hua hai, maine har ek chiz check ki hai, kisi ki bhi body me poison hone ka ek bhi lakshan nahi mile, aur naa hi sharir par inn ke alawa koi nishan hai”
Sunil “par doc sahab, koi bhi kisi jinda insaan ko kese kha sakta hai..??:
Verma “yahi toh mai bhi samaj me nahi paa raha”
Aryan “aur jo naakhun ka takuda jo aapko uske sharir se mila tha, voh andar kese gaya”
Verma “voh jabardasti se andar ghusaya gaya tha, aur kese kiya yeh nahi pata, par itna jarur keh sakta hu ki usko marne se pehle iss ladki ne apne haatho se uska murder kiya hai” voh neha aur sachin ki aur ishara karta hai
Aryan “mere toh kuch bhi samaj me nahi aa raha. Iss tarah ke khoon ke baare me naa toh maine kabhi pehle dekha hai aur naa hi kabhi suna hai”
Kuch der ke liye vanha par sannata cha gaya tha, Sunil “mere hisab se ab hume chalna chahiye” voh Aryan ki aur dekhte hue kehta hai
Aryan ko bhi ab yahi sahi lagta hai “thik hai doc, agar aapko kuch pata chalta hai toh batayega” aur fir voh sunil ke saath police station ki aur jaane ke liye nikal padta hai
Voh dono raste me hi baate kar rahe the, Aryan “itne bhayanak tarike se kaun mar sakta hai..??”
Sunil “sach kahu toh bhai mera toh sar chakrane laga hai, koi itna bereham kese ho sakta hai” voh dono isi tarah se baat karte hue police station pahuch jaate hai
Lekin Aryan yaanha aakar bhi chain ki saans nahi leta, voh apne banaye hue list ki taraf dekhne lagta hai, Aryan “228 log jo bahar se aaye the unke baare me hum kuch nahi keh sakte, aur yeh jo 84 log hai usme se 75 logo ki report hume mil gayi hai, yaanki bache 9..inki maut kese aur kab hui uski hamare pass koi jaankari nahi”
Sunil “tu kya karna ka soch raha hai”
Aryan unn naam ko dekhte hue kehta hai “tere report ke hisab se 5 log ese hi jinki maut usi jungle me hui thi lekin unhone koi report darj nahi karwayi thi, aur baaki bache 4 log kaun hai iska na toh gaanv valo ko pata hai aur naahi hamare pass unka koi record hai”
Tabhi patil vanha par aata hai, “sahab ji, aapne jo kaam diya tha voh ho gaya hai” fir voh rukte hue kehta hai “voh 4 log yanha honeymoon manane ke liye aaye the, unke naam Payal, Rakesh, Sachin aur Neha hai” aur unke documents Aryan ko saump deta hai
Aryan “aur voh gaadi ke baare me kuch pata chala..??” voh apne pehle hi din par hui ghatna ke baare me kehta hai
Jab voh log vapas aa rahe the, tab unh eek car paid me ghusi hui mili thi, lekin uss car me koi nahi tha, aur naahi kahi par khoon ke nishan mile the
Toh Patil ko kehkar Aryan uss car ke owner ki details nikalwane ke liye kehta hai
Patil ek paper dete hue kehta hai “saab, voh Delhi ke rehne vale the”
Aryan uss paper ko dekhta hai, aur naam dekhkar uske chehra ka rang hi udd jaata hai “yeh toh Rahul bhaiya ki car hai”
Sunil “tu janta hai ise..??”
Aryan sunil ki aur dekhte hue kehta hai “haan, yeh mere dost ka bada bhai hai” fir voh sochte hue Rahul ke bhai ko phone karta hai
Kuch der baad
Aryan ke baat karte hai Vikram ka call aata hai, aur voh uss baat karke vahi apni kursi par baith gaya
Sunil “inn logo ke baare me kya karna hai” voh bache hue 4 logo ke baare me kehta hai
Aryan kuch sochte hue kehta hai “bina naam aur ata pata ke hum kuch nahi kar sakte, par ek baat muje yeh samaj me nahi aa rahi hai, inn charo ki hamare pass koi details nahi hai toh yeh gaanv vaale kese jante hai..??”
Sunil “bhai tu sach keh raha tha, yeh case me bahut badi saajish rachi jaa rahi hai”
Aryan “uss sarpanch se milna padega, ab vahi kuch bata sakta hai inn charo ke baare me”
Sarpanch ke ghar ke bahar
Aryan aur Sunil dono hi Vikram ke saath baithkar chay pee rahe the. Vikram haste hue kehta hai “muje pata chala tha ki aap kal yanha aaye the”
Aryan “haa, bas jungle ke case ke silsile me aapse baat karne ke liye aaya tha”
Vikram “dekho beta, main manta hu ki tumhare sar par iss case ko solve karna ka khoon savar hai, par isse kuch haasil nahi hone vala”
Aryan “muje aisa kyu lag raha hai ki aap kuch chupa rahe hai..??”
Vikram vese hi haste hue kehta hai “mai tere bhalayi ke liye hi keh raha hau, kyunki yanha jitney bhi inspector aaye the, voh sab ke sab…….”
Aryan uski baat ko kaatkar khud hi puri kar deta hai “ha ha ha, janta hu main, jaanta hu ki voh saare inspector maare gaye the”
Vikram “fir bhi tu yeh case solve karne me juda hai, mera farz that oh maine kaha, baaki mai police ki madad karne ke liye taiyaar hu, kya puchna tha”
Aryan “yahi behtar rahega” fir voh rukkar kehta hai “dekhiye, kuch baate ese hai jo muje pata chali hai, lekin voh thoda mere samaj ke bahar hai”
Vikram “haa bolo”
Aryan “dekhiye, jo yanha mere pehle inspector tha, usne ek chitthi chodi thi, koi 4 log ese hai jinke maut toh hui thi, par uski koi bhi details police vaalo ke pass nahi hai, par unke baare me gaanv vale jante hai, par sala koi naam nahi bata raha ki voh marne vale kaun the”
Vikram “bhai, yeh kese ho sakta hai, mera matlab ki agar koi mara hai aur uski jaankari police valo ke pass nahi hai, yeh nahi ho sakta”
Aryan “pata nahi, ushi ke silsile me mai aapke pass aaya tha, us chitthi me 2 logo ke naam likhe hue the, shayad unn char mese ek ladka tha aur ek ladki, par voh kya haina ki chuhone uss paper ko jara kha liya hai, toh naam nahi pata chal raha, aap kuch jante hai ese kisi ke baare me..??”
Yeh sunkar Vikram thoda hadbada jaata hai, Vikram ki yeh harkat Aryan dekh leta hai par voh kuch kehta hai nahi, Vikram “are nahi nahi, muje kuch bhi nahi pata, agar pata hota toh mai pehle hi tumhe bata deta”
Uske baad Aryan kuch der sarpanch se baat karta hai, aur fir voh dono vanha se nikal jaate hai, raste me Sunil puchta hai “bhai, tune sarpanch se juth kyu bola ki yeh sab tumne nahi kiya, aur voh do naam”
Aryan “maine toh ese hi tukka lagaya tha, par shayad Vikram iss baare me kuch toh jaanta hai, uski harkat dekhi thi maine, ek pal ke liye sahi..par uske chehre par darr muje saaf dikhayi de raha tha”
Sunil “par voh toh keh raha tha ki use iss baare me kuch bhi nahi pata”
Aryan “juth bol raha tha, tune uske phone ko tap karne ko bol diya haina..??”
Sunil ha mein apna sar hilate hue kehta hai “haa bhai, uske jitney bhi phone hai voh sab tap ho rahe hai”
Aryan “good” uske baad yeh dono kuch der ke liye police station me kaam karte hai, aur fir raat ko apne apne ghar chale jaate hai
To be continued…