• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Pyaar mohabbat sab kismat ka khel hai

Riverman

Member
259
3,295
123
Update 21
Aman aur nikita dono hairat me the...aman isliye kyonki annu use gale lagaakar ro rahi thi wahi annu isliye ki ye annu aur aman ko kya ho gaya hai....
Fir annu uthi aur aman ko boli- chalo ghar...
Aman- koun sa ghar...
Annu- apna ghar....
Ye bolkar annu aman ka haath pakdi aur ghar ki taraf aane lagi..saath hi nikita bhi aa rahi thi...aate samay annu ne online kuch khane ka order bhi kar diya mobile se.... fir tino ghar aa gaye...aman apne adat ke mutabik baramade me hi baith gaya wahi annu pahle nikita ko apne room me le aayi...aur nikita fresh hone chali gayi....
Idhar jo online khana order kiya tha wo bhi aa gaya...usme se ek plate annu khayi..ek nikita aur ek aman...lekin nikita bade dhyaan se aman ko dekh rahi thi...kyonki wo kone me baith kar chup chap kha raha tha ....akhir khata bhi kyon na din bhar se bhookha jo tha bechara....annu to college me breakfast aur lunch ki thi...lekin aman to bhukhe pet hi ghar ka sara kaam kiya tha...
Aman ka pet bharte hi use nind aane laga to vo verandah me hi so gaya kyonki wo nahi chahta tha nikita jis room me hai wahan wo soye..waise bhi sofe par bhi wo kam hi sota tha jab annu daat kar sulati thi tab hi sota tha...
Aman to jamin par padte hi nind ki wadiyon me kho gaya...idhar nikita annu ko dekhe jaa rahi thi....
Nikita- ab bataogi ye sab kya chal raha hai yahan...wo aman hai tumhara pati....uski halat ye kaise ho gayi...aur wo jamin par kyon kha raha hai...jamin par kyon so raha hai....uske kapde aise kyon hai....mujhe in sab ka jawab chahiye abhi turant....
Annu kuch nahi boli- bas sar jhuka kar baithi thi...
Nikita- dekho annu mujhe sab sach jan na hai...yaa to tum batao nahi to mai kahi aur se pata laga lungi....aur mai ye to janti hi hoon ki in sab ke baare me mujhe nahi maloom matlab tumhare ghar me kisi ko nahi maloom....isliye shaadi ki agli raat se aajtak jo kuch hua hai mujhe sab jan na hai...itna hi nahi agar shaadi ke pahle bhi kuch hua hai to wo sab bhi jan na hai aur mujhe ek lafj bhi jhooth nahi chahiye....aur agar tum nahi bataogi to kal hi mai maa papa ko yahan bula lungi...ab soch lo aur batana suru karo....
Fir annu ne suru se lekar aaj tak 1at day college se lekar shaadi ladayi aman ka college se suspension fir aman ke maa papa ke death fir bombay aur divorce sab chije batayi....
Sari baate sunte sunte to nikita apna sar pakad kar baith gayi...
Nikita- ye kya kiya tune....kyon kiya tune aisa...
Annu-kyonki mai aman se pyaar nahi karti aur mere jindagi me goal hai jo mujhe achieve karna hai...
Nikita-haan to kar na achieve apne goal kisne mana kiya hai lekin tune iski jindagi barbaad kyon ki...
Annu- mujhe us samay thode pata tha ki mai galat kar rahi hoon...maine ise do baar college me ladte dekha tha aur shaadi ke pahle se mujhe pata tha ye college me ladai jhagde ke liye famous hai...mujhe laga sab isi ki galti hai...wo to kuch din pahle mujhe rohit se pata chala ki iski galti nahi thi...uske liye mujhe bura laga...mujhe isliye bhi bura laga ki jab isne paise mange tab mai nahi di...ise galat samjha...wo sa. Galti hi to sudharne ke liye ise wapas bombay se yahan layi hoon...
Nikita- jhooth bolkar.....
Annu- to mai kya karti...mujhe koi idea aa hi nAhi raha tha...aaj to wo galti se college ka frustration ispar nikal gaya...uske kiye mujhe bura lag to raha hai na...ab kya karu.
Aap hi batao meri kya galti hai...
Nikita- tumhari bahut saari galtiya hai chalo ek ek karke ginte hai..ab bas sirf tum mere sawalon ke jawab dete jana...
Annu- puchiye...
Nikita- tumhari shaadi ke itne din ho gaye lekin aaj tak tumne kabhi aman ko pyaar nahi kiya...kyon?
Annu- kyonki mai chahti thi pahle wo apne pairon par khada ho jaye...
Nikita- tumne aan tak kabhi aman ki kisi kaam me madad bhi nahi kiya ....kyo?
Annu- kyonki wo khud itna bada hai sara kaam khud hi kar sakta hai...
Nikita-tum aman ko apna pati nahi manti...kyo?
Annu-wo bhi to mujhe nahi manta apni patni...wo mane tab na...
Nikita-wo to manta hai tumhe apna...
Annu- in tin mahino me usne bhi to kuch nahi kiya...
Nikita- kuch nahi kiya matlab...kya nahi kiya usne...use khana banana nahi aata tha fir bhi tumhare liye breakfast banaya raat ka khana banaya..ghar ka sara kaam kiya...
Annu-mai bhi to kaam karti thi college me padhati thi paise kamati thi...
Nikita-yahi to fark hai tum me aur aman me tum kaam karti thi apne liye apne future ke liye lekin aman ne kaam kiya parivaar banane ke liye tumhe khush karne ke liye...
Aaj bhi dekh lo tum ise layi ho bombay se...ek mahine me tumne kya kiya aman ke liye kuch nahi bas soch hi rahi ho kya karoo...kya karoo lekin aman tumhare liye khana banata hai ghar saaf karta hai tumhari daat bhi sunta hai...lekin usne tumhe kuch nahi bola....
Annu-dekho bhabhi mai ye nahi kahti ki mujhse galti nahi hui hai lekin aman bhi mere saath nahi rahna chahta hai...aur mai jabarjasti use apna pati bana kar nahi rakhna chahti hoon...waise bhi humari ek arrange marriage thi un unarrange tarike se...na to mai us se pyaar karti hoon na wo mujhse pyaar karta hai...
Nikita- tum itni sure kaise ho...
Annu- kyonki na hi usne kabhi mujhe pyaar kiya aur naa hi kabhi pyaar jataya...itna hi nahi mere sirf ek baar kahne par usne divorce ke liye haa kah diya...agar wo saath rahna hi chahta to usne ek baar me hi divorce paper par sign kaise mar diya itna hi nahi jab mai bombay gayi thi aur use boli ki mujhe abhi tak divorce nahi mila hai to usne ye tak bola ki wo khud judge se bolega ki hume jaldi se jaldi divorce de diya jaye....ab aap hi batao iska matlab mai kya samjhu......mai maanti hoon ki maine aman ko galat samjha jo nahi karna chahiye tha..wo ek achha ladka hai iska matlab ye thode ma hua ki wo mujhse pyaar bhi karta hai....
 

Arjun Singh 72

Well-Known Member
8,137
15,028
143
Awesome update
Aandhe hone par samne Jo rahta h wo bhi nahi dikhta same annu ke sath ho rha h pahle hi wo apni mentality bana le thi
Keep posting
 

Chinturocky

Well-Known Member
4,398
12,813
158
Andhi hai ya aankh band karke baithi hai.
 

Riverman

Member
259
3,295
123
Update 22
Annu ki baat sunkar to nikita ko aur bhi gussa aa raha tha...
Nikita-tum pagal ho kya...ya tumhe samajh me nahi aata meri baat....
Annu-maine aisa kya kiya...mai to aman ka bhala hi chahti hoon...lekin kar hi nahi paa rahi hoon...
Nikita samajh gayi ki annu aise nahi man ne wali....sath hi wo kuch bate aman se bhi confirm karna chahti thi...aur aapko bata doon nikita ek psychotherapist bhi thi....isliye usne annu ko bola tum so jao...tum ne koi bhi galti nahi ki hai....mujhe nind aa rahi hai..baaki ki baat kal karege....
Aur annu nikita so gayi...subah sabse pahle nikita aur aman hi uthe the... aur nikita subah se hi dekh rahi thi aman kya kya kar raha hai...subah jab annu uthi to nikita annu ko kuch bolkar college jabarjasti bhijwa di taki use time mil sake aman se achhe se baat karne ka...jab annu college chali gayi tab nikita aman ke pass gayi....
Nikita- aman tumne khana kha liya hai..
Aman-ji nahi mam....
Nikita- arey mai mam kab se ho gayi mai ristey me bhabhi hoon tumhari...kyunki mai annu ki bhi bhabhi hoon...
Nikita- tum sayad mujhe nahi jante hoge...yaad hai tumhari shaadi me hum mile the...lekin wahan ka mahol thik nahi tha isliye achhe se nahi mil paye the...
Aman bas haa me sar hila deta hai...
Nikita- chalo khate hai...
Aman- ji mam...
Nikita- fir mam...arey bhabhi hoon tumhari... bhabhi devar ka to hasi mazak ka rista hota hai aur tum formal bana de rahe ho...
Aman is baar kuch nahi bola...
Nikita- chalo suru karte hai breakfast...tum bhi lo...
Aman apne aadat ke mutabik apne haath me do roti liya jispar bhujiya dala aur kone me baith gaya...
Nikita bhi usi ki tarah apne haath par ek roti li uspar bhujiya daal kar aman ke bagal me baith kar khane lagi...
Aman- mam aap upar table par baith jaiye...mai garib hoon...aur is ghar ka naukar bhi...
Nikita haste hue boli-haan ye baat to hai waise pati jitne bhi hote hai sab noukar hi to hote hai..lekin garib nahi hote...garibi amiri paise se thodi na dekha jata hai dil se dekha jata hai aur dil se to tum bhi bahut amir ho...
Ye sunkar aman thoda sa muskuraya...
Aaj bahut din baad aman muskuraya tha... muskurata bhi kyon nahi... 3-4 mahine e pahla koi mila tha jo usse achhe se baat kar raha tha... ab nikita ko laga ki aman thoda comfortable ho raha hai...
Nikita kuch sochi fir boli- mujhe yakin hi nahi hota ki aaj mai kis aman ko dekh rahi hoon ...shaadi me maine ek aise aman ko dekha tha jo dulhe ka car rukwa kar ek adhe ghante nachte rah gaya tha...na kisi ka dar na koi fikar....kitni achhi shaam thi na wo..har koi khushaal tha....
Nikita ki baat sunkar ek baar ko aman bhi apne us purane jindagi ko yaad kiya jo wo piche kuch mahino se bhool hi gaya tha...
Ab nikita ne pucha wo question jiska wo jawab chahti thi aman se...
Nikita-waise mujhe ye samajh nahi aata tum annu ko divorce dene ke liye raji kyon ho gaye... tum to annu se pyaar karte the na... ye baat nikita ne apne man se bola tha ye check karne ke liye ki aman ke man me kya feeling hai nikita ke liye....
Aman ye question sunkar ek baar nikita ki taraf dekha...
Nikita- jaruri nahi ki tum mere question ka jawab do agar nahi dena chahte to koi baat nahi...mai to bas jan na chahti thi....kyonki tumhe nahi pata lekin mai apne pati se saas sasur se tumhare aur tumhare maa papa ke baare me bahut achhi bate suni hai...tumhare maa papa se to mai mili bhi hoon...
Aman apni maa papa ki baat sunkar emotional ho gaya aur kuch bund uske ankhon se chalak gaye....
Nikita- sorry agar maine kuch galat bol diya to.....
Aman- arey nahi mam aapne kuch galat nahi bola wo bas maa papa ki yaad aa gayi...
Nikita mahol ko thoda light karne ke liye has kar boli- ye galat baat hai tum fir mujhe mam bol rahe ho...
Aman bas chup raha...kuch der dono chup rahe...
Nikita- ek question ka jawab doge...
Aman-puchiye...
Nikita- tumhe is halat me dekh kar kya tumhare maa papa khus rah payenge.... unhone ek sher ko janm diya tha...wo humesha kahte the mera beta heera hai heera...lekin ab na to mujhe koi sher dikha na heera...mujhe to dar se bhara ek bachha dikhta hai tum me...akhir aisa kya hua jo tum itne badal gaye...
Aman ye sun kar rone laga....
Nikita ne usko chup karaya...
Nikita- kuch to bolo aman kuch to bolo....
Aman- kyon aap mere dard ko baar baar jagana chah rahe hai...please ye sab mujhse mat puchiye...
Nikita -achha baba kuch nahi puchungi...lekin ek sawal jarur puchungi...
Aman- pleaseeee ...
Nikita - waise tum jo apne jhole me mithayi chupa kar rakhe ho wo mujhe bhi khilao...
Aman chouk kar bola - usme koi mithayi nahi hai...
Nikita- jhooth mat bolo..maine subah dekha tha tumhe kuch nikal kar khate hue...
Aman- sach me bag me kuch nahi hai...
Nikita- achha mujhe dikhao apna bag...
Aman- nahi....
Nikita- mai janti thi mithayi tum sirf khud kha rahe ho mujhe nahi de rahe ho.....
Aman- sach me bag me mithayi nahi hai...
Nikita- nahi hai to dar kaisa dikhao jhola...
Aman apna jhola nikita ko de diya..
Nikita us bag ko bas ek bar upar upar se dekh li..use pata chal gaya ki is jhole me aman ke certificate hai aur sarkari exam ke taiyari ki book hai...
Nikita kuch yaad ki aur boli arey haan ek form nikla hai government job ka uske liye 12th pass criteria hai...tum dekhna chahoge...
Ye baat sunte hi aman ke ankhon me ek chamak aa gaya...jo nikita ne dekh liya...
Nikita- waise ye tumhare kaam ki nahi hai...tum to graduation kar rahe ho tumko to aur achhi job mil jayegi...
Aman-aap please bata do koun sa form hai please...
Nikita-arey wo form tumhare liye nahi hai...post bhi koi khaas nahi hai...
Aman-please bata dijiye....koi bhi post ho chalega...
Nikita- mai ek shart par bataungi...tumhe bas mere ek question ka jawab dena hai aur mai bata dungi....itna hi nahi agar koi help lagega to wo bhi mai kar dungi...
Aman ye sunkar khush ho gaya...
Nikita- ab mujhe batao tum annu se pyaar karte ho to use divorce kyon de rahe ho...
Aman- ye batana to nahi chahta tha lekin baat job ki thi wo bhi aisi job ki jo use apne papa ke sapno ka ghar wapas dilane ki ek sidhi(ladder) thi...
Aman- mai pyaar karta hoon annu se lekin mai kya karu mai unhe ek baar chocolate lakar diya tha tab unhone mujhe bahut data tha fir ek baar I love you card bhi dene ki kosis ki thi lekin wahan bhi kismat ne mujhe dhokha de diya...fir padhayi bhi ki achhe ladke ki tarah rahne ki bhi kosis ki lekin waha bhi kismat ne dhokha hi diya....ab marte samay papa maa ne bola tha annu ko jo chahiye de dena...aur jab papa aur maa ka haath mere ek haath me tha to wahi dusre haath me divorce ka letter....ab aap hi boliye agar mai apne maa papa ki promise bhi poora nahi karta to kya karta....kyonki annu ko divorce me hi khushi milti.....abhi bhi to mai yahan isliye hi hoon ki use divorce mil jaye....aur wo khush rahe
...ye bolkar aman phir rone laga...aur fir ashoon poch kar bola ab to bata dijiye koun sa form nikla hai....
Nikita use ek form bata deti hai jo aaj hi aate samay newspaper me nikita padhi thi...fir apne mobile me search karke form dikha deti hai....aman khush ho jata hai...aman ko khush dekhakar nikita ko bhi sukun milta hai.....
 
Last edited:

Riverman

Member
259
3,295
123
Introduction

Rajesh - mere papa - age 45 - ye ek bank me clerk hai.
Nilam- meri maa - age 41- ye ek house wife hai.
Raman yani ki mera bhai- age 27 saal -ghar ka honhar ladka bachpan se tej tarar khoob mehnati . Sarkari college se padhai ki aur abhi ek saal pahle america me job lag gaya.
Aman yani ki mai age 21 saal dekhne me thoda gora normal looking boy.
Dost - pawan , anshu , syaam , kiran
Anu - madam
Rohit senior.
Ramakant-susma inka kapde ka bussiness hai.
Maa ki najron me nakara lekin apne papa aur bhai ka dulara.
Maa ki najron me nakara isliye ki mai ek baar 10th me fail ho gaya tha aur meri mousi ka ladka usi saal 95% laya tha.tab se maa mujhe tane deti rahti hai.
Wo baat alag hai ki maine agle saal 89% se 10th pass kiya aur fir 80% se 12th. Aur abhi mai gaav ke pass wale sahar me jo yahan ka sabse achha college hai usme history honour kar raha hoon.
Papa ne jor diya tha ki mai bhi engineering karu lekin maine saaf mana kar diya aur bol diya ki mai aaplogon se door kabhi nahi jaunga bhaiya america chale gaye hai ye kaafi hai.mai hafte me 5 din college ke pass hi ek rent wale room me rahta hoon aur Saturday Sunday ghar me ma papa ke pass rahta hoon.
Bahut ho gaya introduction ab aate hai kahani par........
Mai abhi 2nd year me gaya hoon.
Aaj mai bahut khoosh tha iske 3-4 reason hai pahla ki aaj hi mere bhai aur papa ne paise milakar mujhe ek royal Enfield dilwaya hai. Dusra ki mere bhai ki shaadi fix ho gayi hai aur tisri ki mai 2nd year me pahuch gaya hoon to ab lunga ragging apne juniors ki aur sabse badi baat aaj papa ne apna ek ghar kharida hai jo unke sapno ka ghar hai. Hum sab bahut khoosh the .
Aur fir ghar ka pooja hua .aur hum sab naye ghar me pravesh kar gaye...
Ab 2 din baad bhai ko wapas jana tha america. Isliye mai bhi do din rook gaya.
Papa aur bhai ne mujhe bola ki mai ek baar bhabhi aur unke ghar walon se mil aau lekin maine mana kar diya... Wo chahte the ki ek baar mai bhi bhabhi aur unke ghar walon ko pasand kar loon lekin maine saaf bol diya jo aaplogon ko pasand hai wo mujhe bhi pasand hai aur shaadi meri nahi bhai ki ho rahi hai aur unko pasand hai matlab koi dikkat nahi. Fir 2 din aise hi hasi mazak me bit gaya aur bhai ghar se america chal diye aur mai bhi college ke liye nikla apne naye bike par poore shaan se.....
Mujhe moderator ka message aaya ki is update me underage content hai koi help kar sakta hai ki isme mujhe edit kya karna hai
 

kartik

Member
327
557
108
Aisi mam biwi kisi ko naa mile kanjoosh makkhi choosh.....waiting next
 

Chinturocky

Well-Known Member
4,398
12,813
158
Shayad ab Bhabhi hi annu ko kuchh samjha paaye. Kahani bahut hi rochak hoti jaa rahi hai.
 
  • Like
Reactions: LionHeart007
Top