Update 18
Ab aman aur annu dono ghar pahuche to raat ho gayi thi...annu is safar se kaafi thak gayi thi to wo aate hi so gayi lekin ab problem ye tha ki annu ka ghar 1bhk tha...matlab sirf ek room tha aur ek chota sa hall jo hall kum verandah jyada lagta tha...aur annu so gayi thi bed par to aman wahi jamin par so gaya....ab suru hui raat jo aman ke liye bahut badi hone wali thi kyonki is room me laga hua tha AC jo room ko dheere dheere karne laga thanda aur aman kampne laga jab use jada thanda lagne laga to wo apne bag se ek fata hua chadar nikala use odh liya fir do tin purane shirt aur pant nikala usko ek ek karke ek ke upar ek pahan kar jamin par sikud kar so gaya...
Subah jab annu ka nind khula to jamin par aman ko sote hue dekhi...aur uski halat dekhkar annu ko rona aa gaya...aisa lag raha tha jaise koi bhikhari thand me apne kapde pahan fati chadar par so raha ho....wo bhi aisa ladka jo aaj se 3-4 mahine pahle tak gadde dar bed par makhmal ki chadar odh kar sota tha...aaj wo jamin par sikud kar so raha tha....
Annu apne ashoon ko poch kar dheere se boli aman....
Lekin aman to so raha tha....
Annu fir se boli aman....lekin aman fir bhi nahi utha....to annu thoda jor se boli amannnn to aman hadbada kar utha....use laga sayad wo annu ke room me so gaya hai isliye annu gusse me hai....
Aman- sorry mam mai wo galti se yahan so gaya...mai bhool gaya tha ki aapke room me koi aur aata hai to aapko achha nahi lagta.....ye bol kar aman jaldi se apna chadar aur jhola uthaya aur room se bahar chala gaya aur fir jaldi se apne upar ke 3-4 kapde khol kar use jhola me dala aur jhadu lagane laga..fir ghar me pocha lagaya aur breakfast banane laga....ye dekh kar to annu ke dil par ek aisa jhatka laga ki wo bas dekhti rah gayi...aman aisa behave kar raha tha jaise wo annu ka koi naukar ho jise subah subah malik ne khub data ho.....idhar aman breakfast me roti aur aalo ka sukha sabji bana kar table par rakh diya aur khood bahar veranda me baith gaya...jab annu table par baithi to dekhi aman veranda me jamin par baitha hai..
Annu-tum bhi khalo aman....
Aman- ji mam...
Ye bolkar aman pahle kitchen gaya apna hath dho kar aaya aur do roti apne haath me liya uspar kuch sabji dala aur jamin par kone me baith kar khane laga....
Annu ko samjh hi nahi aa raha tha ki wo kya kare....usne kabhi socha hi nahi tha ki koi ladka 2-3 mahine me itna kaise badal sakta hai....kal tak jo malik bankar rahta tha nidar hokar ghumta tha..aaj wo naukar bankar dar dar kar ji raha hai....
Annu ne to socha tha wo use college me admission karwa degi aur hostel me rakhwa kar paise de degi aur sab chije thik ho jayegi....lekin aman ne to jab 10 hazar bhi lene se mana kar diya annu se wo bhi kaam karne ke baad to wo saal ka ek lakh kaise lega wo bhi bina kaam ke padhne ke liye ....aur to aur aman ki halat dekhkar annu soch rahi thi ki akhir jindagi kitne rang dikha sakti hai logon ko....
Uske baad annu college chali gayi aur aman fresh hokar apne kapde pahankar ghar me baith gaya aur apne jhole se kuch kitab nikal kar padhne laga...ye kitab exam ke taiyari ki thi kyonki aman jald se jald kisi sarkari noukari me jana chahta tha jo 12th pass logon ko leta ho...post koi bhi ho us se fark nahi padta...aur aman din bhar kitab padhta raha....aur jab shaam hui to kitab apne jhole me rakh kar annu ke aane ka intezar karne laga....aur jab thoda andhera hua to annu bhi aa gayi...annu ke aate hi aman raat ka khana banane laga...idhar annu ne dekha ki aman ne uske ghar ko achhe saaf suthra kar diya tha...fir raat hui aur raat ke khane ke samay bhi wahi hua...annu table par khayi aur jab usne aman ko bola to wo jamin par baith kar khaya....ab aayi sone ki baat....kyonki aman jamin par soye ye annu ko achha nahi lagta tha aur annu abhi bhi aman ko apne bed par sulane se hichak rahi thi kyonki wo use na hi pati maanti thi aur naa hi pyaar karti thi.use bas aisa lagta tha ki usne galti ki hai jise wo sudhar rahi hai...
annu bahut der sochi to use kuch idea aaya...jo kal hi kiya jaa sakta tha isliye wo so gayi lekin aaj usne AC band kar diya tha lekin kya fayda kyonki aman to aaj verandah me soya tha....agle din annu subah 5 baje hi uth gayi aur chupke chupke aman ke pass gayi aur aman ke jhole se uske kapde dekhkar uska size dekha aur apne mobile me likh kar chali gayi
..aur baki din waise ho bita bas shaam ko annu pahle mall gayi aur do set kapde jute underwear baniyan kharidi fir ek furniture ki dukan jakar ek bada wala sofa kharidi taki uspar aman aram se so sake saath hi ek kambal bhi kharid li....aur raat ko ghar pahuchi...raat me aman khana bana chuka tha...furniture dukan wale ne furniture lakar annu ke room me laga diya tha...wo bhi bed ke ek bagal me....ab annu aman ko bulati aur use kuch kapde diye...
annu- ye kapde le lo tumhare saare kapde purane ho gaye hai...
aman- mam aapko mere liye ye sab karne ki koi jarurat nahi hai...agar aapko kuch karna hi hai to jaldi se jaldi divorce ke saare kaam karwa dijiye .annu ye sunkar chup ho gayi...bas itna hi boli ki dekho kapde le aayi hoon ab lautana muskil hai isliye please ye le lo .....
aaj pahli baar annu ke mooh se please nikla tha wo bhi aman ke liye....lekin aman maan hi nahi raha tha to annu boli-dekho mai chati hoon tum ab saman ki shopping khud se kiya karo aur uske liye tumhe kapde chahiye honge kyonki in fate kapdo me ghumoge to meri beijjati hogi isliye ye kapde le lo ise pahan kar kal se sabji aur saman lane jana....annu ye bolna nahi chahti thi lekin use koi aur idea sujha hi nahi isliye usne ye bol diya...
aman-ji mam...
Uske baad annu khana khayi table par lekin aman aaj bhi jamin par hi khaya ab sone ki baari aayi to annu ne aman ko daat kar bola sofe par so jana samjhe... jamin par verandah me sone ki koi jarurat nahi hai...kyonki use pata tha pyaar se bolne par sayad aman na maane...isi tarah ab din gujarne lage the lekin annu ko koi idea nahi mil raha tha ki kaise aman ko padhne ke liye raji kiya jaye... .aise hi din bit rahe the ki ek din achanak annu ki mulakaat uske bachpan ke ek friend se hui jo is samay isi ilake me inspector tha aur uska naam suNil tha...aur dono baat karte karte annu ke ghar aa gaye....jahan verandah me aman apne fate purane kapde me baitha hua tha....sunil abhi civil dress me tha police wale dress me nahi tha lekin jab wo aman ko dekha to use ajib laga....
sunil annu se bola- ye koun hai tumhare ghar me koi noukar hai kya....
Ab annu kaise bolti ki ye aadmi koi aur nahi uska pati hai...isliye annu koi jawab nahi diya...
Sunil-ise mahine ka kitna rupya de deti ho...
Annu- kya...
Sunil-ise kitan rupya de deti ho mahine ka...
Annu hichkichate hue boli-wo wo 10 hazar...
Sunil-chouk kar- 10 hazar lekin ye to jada hai...
Annu- nahi ye mere jaan pehchan ka hai na isliye...
Ye sab baat aman sun raha tha saath hi wo dekh raha tha ki annu kitna uncomfortable hai aman ki baat karne me
Idhar sunil aman ke pass aya aur robdaar awaz me bola- suno e ladke...achhe se rahna aur annu madam ka achhe se khyaal rakhna ...agar teri sikayat aayi yo jan le ki mai is area ka inspector hoon...jail me dalkar aisi dhulayi karunga aur itne case tere naam kar dunga ki poori jindagi jail me bitayega...ye sunkar aman bahut dar gaya...
Sunil-aman ko-tujhe pata nahi hai jab koi annu mam ke saath aata hai to tujhe unki baat nahi sun ni chahiye ghar se bahar darwaze par baithna chahiye..naukar hai na tu...to achhe naukar ki tarah rah aur achhe se ghar me kaam kar samjha....
Ye sun kar to aman bahut dar gaya tha aur uske pair kaamp rahe the....jab ye annu ne dekha to use bahut boora laga...aur wo sunil se thodi der baat karke use kisi bahane se bhej di....
Annu aman se- sorry wo mujhe nahi pata tha ki wo tumse aise bartaav karega...
Aman- isme uski kya galti...mai noukar hi to hoon...is ghar ka...bas aapse request hai meri sikayat mat kar dijiyega aap unse...
Fir aaj ka din bhi bit gaya aur aaya agla din jab annu late se uthi...aur hadbadi me bina breakfast kiye main gate ko lock karke chali gayi....aur kismat dekho aaj ghar me khane ka chawal daal bhi khatm tha..aaj shopping ke liye jana tha aman ko........