• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller RAAZ..... (Completed)

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
wonderful updates dost bas renuka ki yahi galti aur uska sabkuch khatam ho jayega dhire dhire kahin isme kisi ki koi chaal to nahi hai..aaj kai update diye maja aa gawa
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Agle din subah subah hi mujhe ek naukar ke zariye ye pata chal gaya tha ke Rajinder Rana kal raat vaapis aa gaya tha. Raj is case ki ek bahut hi important kadi tha aur main uska intezaar bhi kar raha tha ke vo aaye toh baat karun.
Par sabse bada sawal ye tha ke uski mere yahan hone par kya reaction hogi? Mujhe yahan uski maan ne bulaya tha par ab tak main ye nahi janta tha mujhe hire karne ke pichhe sirf Mrs. Rana ka hi irada tha ya ismein Raj ki bhi marzi shaamil thi. Vo ek bahtu bada aami tha aur main yun usse munh utha kar milne bhi nahi ja sakta tha. Isi ke chalte main yahi behtar samjha ke pehle uski maan se mila jaaye aur unhi ke zariye Raj se.
Main apni khidki ke paas khada case ke baare mein soch hi raha tha ke darwaze par knock hua. Bahar Liyaqat khada tha.
"Bolo ...."
"Madam ne bheja hai, boli ke aapko kaam hai"
"Kaam?"
"Haan vo Ravi Sahab ka kamra dekhna chahte the aap"
"Achha haan, bolo kab"
"Abhi dikha sakta hoon"
"Ek baat batao, ye Ravi ke kamre ko dikhana ke baare mein aisa kyun kaha ja raha hai jaise hamein kahin door jana hai? Rehta toh vo bhi ghar mein hi hoga na?"
"Nahi"
"Matlab?"
"Matlab vo udhar aage thoda ek cottage mein rehte the?"
"Vo apne parents se alag rehta tha?"
"Ghar ke pichhe hi ekdam pahad ke chhor par ek guest house bana hua hai. Vo jagah Ravi Sahab ko badi pasand thi isliye unhone apna kamra vahin shit kar liya"
"Kitni door hai?"
"Ghar ke pichhe ki taraf koi 200 metre ki doori par"
"Theek hai chalo"
Main chalne hi laga tha ke phir kichh soch kar apna irada badal diya. Behtar yahi tha ke main Raj se pehle baat kar leta. Ho sakta hai mera yahan hona uski marzi ke khilaff ho. Aur agar aisa hua toh mera uske bhai ke kamre mein yun thaak jhaank karna use bilkul pasand nahi aayega.
"Ek kaam karte hain, shaam ko dekhte hain"
"Theek hai" Kehkar vo vaapis laut gaya.
Maine abhi darwaza lock kiya hi tha ke mere cell ki ghanti baji. Call Inspector falana falana ki thi.
"Negi Sahab, kaise hain?"
"Sir koi ladki dhoondh rahi hai aapko yahan"
"Kya?"
"Ye idhar taxi stand ke paas, aapka naam lekar taxi walo se puchhti phir rahi thi ke is naam ka koi rehta hai Ranas ke guest house mein"
"Kaun thi?"
"Pata nahi. Main toh yahan khada chaai pi raha tha, aapka naam lekar palta toh vo ek taxi mein beth kar ja chuki thi"
"Dekhne mein kaisi thi?"
Usne mujhe huliya bataya.
"Achha vo, theek hai janta hoon use"
"Theek hai sir, maine socha ke bata doon aapko. Vo taxi mein bethkar shayad aapke guest house ki taraf hi aa rahi hai"
'Theek hai, thanks"
"Achha sir case mein kuchh pata chala?"
"Nahi kuchh bhi khaas nahi, vaise thoda time hoga aapke paas?"
"Chhote se town mein posted hoon sir, sara din time hi time rehta hai. Bataiye"
Maine use us gaon ka naam bataya jo mujhe Inspector Sharma ne bataya tha, jahan ke uske mutaabik Sunanda aur uski maan rehte the.
"Haan janta hoon Sir, idhar paas mein hi hai ek chhota sa gaon"
"Mujhe jaha hai vahan, soch raha tha ke agar aap saath chal lete toh"
"Case ke baare mein hi baat karni hai kisi se?"
"Ji haan"
"Bataiye kab chalna hai?"
"Main soch raha tha ke ....." Main baat poori kar bhi nahi paya tha ke darwaze par knock hua.
"Negi Sir main aapko thodi der mein phone karta hoon" Kehkat maine phone rakha aur darwaza khola. Bahar Kamini khadi thi.
"Surprise" Mere darwaza kholte hi vo chillayi.
"Tu yahan itni jaldi?" Maine muskurate hue kaha.
"Yaar itni dull reaction? Zara toh khush ho jao mere surprise pe"
"Surprise thodi der pehle tha"
"Matlab?"
"Abhi tu taxi stand par mera naam liye puchhti phir rahi thi na, vahan se kisi ne phone karke bata diya tha mujhe ke koi ladki mujhe puchh
rahi hai vahan"
"Aur tumhein samajh aa gaya vo main hoon?"
"Is huliye ki duniya mein koi aur ho bhi nahi sakti?"
"Shit yaar" Vo andar aayi aur sofe par apna bag phenkte hue boli "Surprise ki band baja di"


nice magar ek baat samajh mein nahin araha,do teen din se Raj se baat karna chahta hai yeh magar wo to bol nahin sakta nah to kia jawaab dega issko?
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Jis tarah se charmarate hue darwaza khula tha usse mujhe laga tha ke koi hindi horror films ki tarah ek darawna sa kamra hoga. Bahut purana, dhool chadha hua par aisa hua nahi.
Darwaza ek dining room mein khula jahan har cheez ekdam saaf suthri aur saleeke se rakhi hui thi.
"Yahan abhi bhi koi rehta hai kya?" Kamini ne andar dekhte hue sawal kiya.
"Nahi, information ke hisaab se toh yahan Ravi ke gayab hone ke baad ab tak koi nahi raha"
"Matlab 20 saal se yahan koi nahi raha?"
"Nahi"
"Kamal hain, aur ek tum ho. Tum kisi ghar mein 20 minute ruk jao toh isse zyada gandgi phela dete ho"
"Yeah right" Maine chidne wale andaaz mein jawab diya. Ham dono ab bhi darwaze par hi khade hue the.
"Kya dhoondh rahe hain ham yahan?"
"Kuchh bhi aisa jo Ravi ki gumshudgi ki taraf kuchh ishara karta ho"
"I am not getting in there" Vo andar jhaanke hue boli.
"Wat do you mean?"
"20 saal se koi nahi raha yahan aur maine suna hai ek aise khaali gharon mein hi bhoot pret baste hain"
'Yahan sirf ek hi bhoot hai aur vo hai tu, chal andar" Main uska haath pakad kar apne saath andar khinch laya.
"Pakka koi safai karta hoga yahan" Vo andar aakar chaaron taraf dekhti hui boli.
"Oh really? Mujhe toh lagta tha ke is kamre ko hi kaafi saaf safai ka khyaal hai isliye khud hi saaf ho jata hai"
Meri baat sunkar usne jeebh nikal kar mujhe chidhaya aur phir ghoom kar kamre ka jaayza lene lagi.
"So where do we start?"
"Tu yahan dekh" Maine saamne rakhi ek table ki taraf ishare karte hue kaha "Main doosre kamre mein dekhta hoon"
"Tumhein nahi lagta ke ye kaam hamse pehle policewalo ne bhi kiya hoga?"
"Haan kiya toh hoga"
"Toh agar kuchh hota yahan toh unhein mil jata ya ho sakta hai ke mila ho aur vo le gaye hon"
"Mumkin toh hai par agar hamare desh ke policwale itne samajhdaar hote toh mere paas kaam hi nahi hota"
"Haan ye bhi sahi baat hai, toh shuru karte hain"
Jahan Ravi rehta tha vo bhi bilkul usi tarah ka guest house tha jismein main rehta tha. Ek bada sa dining hall tha jiske ek taraf kitchen bana hua tha aur khaane ke liye ek table rakhi thi. Doosri tarah living room bana hua tha jahan par bethke ke liye sofe aur saamne ek bada sa purane zamane ka TV rakha hua tha. Living room ke paas hi ek darwaza balcony mein khula tha jahan se saamne poori vaadi nazar aati thi.
Living room se lagta hua hi Ravi ka bedroom tha. Kamini ne us living room ki chhan been shuru ki aur main bedroom mein daakhil ho gaya.
Mrs. Bela ke hisaab se is kamre mein kuchh bhi badla nahi gaya tha. Har cheez vahin thi jahan Ravi ne rakhi thi aur aisa hi kuchh dikhai bhi de raha tha. Bed oar ek towel pada hua tha, theek usi andaaz mein jaise ke koi bathroom se nikal kar bed ki taraf towel uchhal deta ho. Kuchh kapde yahan vahan bikhre pade the, jotton par ab bhi dhool chadhi hui thi aur dressing table ke saamne rakhe ek comb mein ab bhi kuchh baal uljhe hue the.
Hairat ki baat sirf ye thi ke sirf Ravi ki istemaal ki hui cheezen maili thi, jaise ki uske joote, uski ek pehni hui trouser jo bed par padi thi, uske joote, magar baaki saari cheezen bahut hi saleeke se saaf ki gayi thi.
Main thodi der tak yun hi uski tables aur kamre ki cheezon mein uljha raha par kuchh bhi kaam ki cheez haath nahi aayi.
Kuchh der kamre mein dhoondhne ke baad mera dhyaan uski almari ki taraf gaya. Maine almari kholi toh usmein sirf kapde hi tange hue the, baaki kahin aur kuchh bhi nahi tha. Maine kapde hata kar unke pichhe dekha ke shayad kuchh rakha dikh jaaye par vahan kuchh nahi tha, sirf hanger mein kuchh shirts, trousers, coats aur kurte pajame tange hue the.
Almari mein kuchh nahi mila toh maine hanger mein tange kapdo ko phir seedha kiya aur almari band karne hi laga tha ke meri nazar kuchh chamaki hui cheez par padi. Jab main kamre mein daakhil hua tha toh band hone ki vajah se ek ajeeb si smell kamre mein bas gayi thi, jaisi ki aksar band kamro mein hoti hai. Isi vajah se maine kamre mein lagi ek khidki khol di thi taake smell nikal jaaye. Bahar aasman mein halki dhoop nikal aayi thi jo ke khidki se hoti kamre ke andar aa rahi thi aur almari ke nichle hisse mein pad rahi thi.
Maine jhuk kar neeche ki taraf gaur se dekha toh vo ek behad chhoti si chaabi thi jo ke dhoop ki vajah se chamak rahi thi.
Maine chaabi utha kar dekha. Vo itni chhoti thi ke kisi kamre ke lock ki toh ho hi nahi sakti thi aur shayad isi vajah se kabhi kisi ki nazar uspar nahi padi thi. Agar vo dhoop ki vajah se chamki na hoti toh shayad main bhi na dekh pata. Maine chaabhi utha kar ek baar ulat pular kar dekha aur phir chaaro taraf kamre mein nazar daudayi, vo tala dhoondhne ke liye jismein ke ye chaabhi fit hoti thi.
"Mila kuchh?" Main khada kamre mein nazar dauda hi raha tha ke Kamini darwaze se andar daakhil hui.
"Haan?" Main uski aawaz sunkar chaunka.
"Udhar kuchh nahi hai, i mean actually kuchh nahi hai. Table ki drawers sab khaali padi hain aur drawing room mein bas sab ghar mein zaroorat ki cheezen hi hain"
"Ok" Main uski baat sunkar apni jagah se hila aur kamre mein tehalta hua koi aisa lock dhoondhne laga jismei ki ye chaabi fir hoti ho.
"TUmhein mila kuchh?" Kamini ne mujhe yun dhoondhte dekha toh puchha.
Jawab mein maine use vo chaabi dikhayi.
"What is this? A Key" Vo mere kareeb aayi aur chaabi apne haath mein lekar dekhne lagi.
"Yep, a small one"
"Where did you find it?"
"In the almirah, neech giri padi thi almirah ke andar"
"And what are we looking for now? The lock that this key opens?"
"Yep"
"Isnt that being a little too optimistic?"
"How do you mean?"
"I mean tumhein ye chaabi neeche giri padi mili, it could be a key to any lock anywhere. And it could be the key to a lock that dont exist anymore. I mean aise hi koi chaabi ho sakti hai ye, zaroori toh nahi ke kaam ki ho"
"Nahi bilkul zaroori nahi hai par mera kaam aisa hi hai. Aksar aisi hi chhoti chhoti cheezen jo log nazar andaz kar dete hain mujhe anjaam tak le jaati hai. Agar chaabi is kamre mein hai toh chances hain ke lock bhi ho sakta hai. Looking at they key, ye kisi darwaze ki toh ho nahi sakti, right?"
"Right"
"Ye kisi chhote se drawer, locker ya kisi box ki chaabi hai"
"All right" Usne kaha aur khud bhi mere saath kamre mein kuchh aisa dhoondhne lagi jismein vo chaabi fit ho sake. Aadhe ghante ki mashakkat ke baad hamare haath kuchh nahi aaya.
"Tumne ek baat notice ki?" Achanak Kamini ne mujhse kaha.
"Kya?"
"Is jagah ko dekh kar lagta nahi ke yahan koi rehta tha?"
"Matlab?"
"Matlab ke saari cheezen hain toh yahan par kya tumne dikhai diya ke bas zaroorat bhar ki hi hai. I mean everything is in limitation. Kapde bhi bas thode se hi hain, kahin koi bag nahi hai, koi aisi cheez nahi jo aap ek ladke ke kamre mein paane ki ummeed kar sakte hain, except for this guitar"
"Yeah i noticed that too aur is baat ka ek hi matlab ho sakta hai"
"Kya?"
"Ke Ravi iske alawa aur kahin bhi reh raha tha"
"Kahin aur?"
"Yep, aur mere hisaab se vo jagah main bungalow ke andar hai. Uska main room ghar ke andar hi tha, is jagah ko vo as secondar accomodation use kar raha tha, to be alone for a while, aur jahan tak mera khyaal hai vo yahan bethkar shayad ye guitar vagerah practice karta hoga, away from any disturbance"
"Yep, i agree"
"I will need to ask Mrs. Rana about his other room"
"Yeah, maybe there we can find a lock which this key fits in" Kamini chaabi ki taraf dekhti hui boli.
"Maybe, or maybe not"
"Wait a minute" Kamini chaabi ko gaur se dekhti hui boli.
"What?"
"See this" Usne chaabi meri taraf badhayi, "Is taraf, yahan dekho"
Maine gaur se dekha. Chhoti aur purani hone ke karan chaabi par se vo number halke mit se gaye the jiski vajah se pehle meri nazar nahi padi thi par jab gaur se dekha toh uspar likha 73 number saaf dikhai diya.
"What do you think it means?"
"Means this key is a part of a series and so would the lock be. A place where are a lot of lockers or boxes"
"Bank?"
"Yep"
Tab hi darwaze par aahat hui. Hamne palat kar dekha toh guest house ke bahar ke darwaze par Liyaqat khada tha.
"vo maine ghar ka darwaze khula dekha toh check karne chala aaya tha"
"Nahi it was just us" Main Ravi ke kamre se nika kar living room mein aaya "Ek baat bataiye"
"Ji puchhiye"
"Ravi iske alawa bhi kahin rehta tha?"
"Ji rehte toh yahin the par unka sara saman unke ghar ke andar wale kamre mein tha. Yahan toh vo bas zaroorat bhar ka saman hi rakhte the"

Very interesting. Bank locker ki chabhi hogi to wo 15 crore bank k locker mein hoga:D
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Chapter 9 - A Failed Marriage

"Aap kab aaoge Papa?" Us raat main apne bete se phone par baat kar raha tha toh usne mujhse puchha.
"Bahut jaldi aaoonga beta"
"Mere liye kya laoge?"
"Mere bete ko kya chahiye?"
"Mummy chahiye, mere sab doston ke paas Mummy hai, mere paas toh hai bhi nahi" Usne badi masoomiyat se kaha aur mujhe laga jaise ek pal ke liye mera kaleja phat padega.
Maan baap ke liye unke bachchon se badhkar duniya mein shayad aur kuchh nahi hota par jaane kyun kabhi kabhi zindagi ki is bhaag daud mein ek pati patni ek doosre se itna door ho jaate hain ke apne bachchon tak ka khyaal nahi rehta. Kyun kabhi kabhi dilon mein itni kadvahat bhar jaati hai ke masoom bachchon ki meethi baatein tak us zehar ko dil se nahi mita sakti. Kyun do aise log jinhone bade pyaar se kabhi ek nayi zindagi ki shurat ki thi ek doosre se itna alag ho jaate hain ke ek ghar mein rehkar bhi ajnabhi hote hain.
Aisa hi kuchh mere saath bhi meri shaadi shuda zindagi mein hua tha. Ek aisi khoobsurat aurat jise main apni jaan se zyada chahta tha, jise main kabhi bade pyaar se apni biwi bana kar apne ghar laya tha, jiske har naaz, har nakhre ko main apni palkon par rakhta tha kab mujhse itni door hoti chali gayi mujhse ehsaas hi nahi hua. Aaj agar sochta hoon ke galti kahan thi, kiski thi toh hazar koshish ke baad bhi is baat ka jawab nahi dhoondh pata.
Mujhe aaj bhi achhi tarah se vo din yaad hai. Us din ki har ghatna mere dil-o-dimag mein kisi movie ki tarah chhapi hui hai, kyunki vo pehla din tha jab mere aur Renuka ke rishte mein darar padi thi.
Main ek mall ke bahar khada Kamini ka wait kar raha tha. Use kuchh shopping karni thi aur meri maan ne zabardasti mujhe uske saath chalta kar diya tha. Kamini hamesha mere ghar ka hissa rahi. Bhale hi mere maan ke baap ki marzi ke mutaabik maine usse shaadi nahi ki par kabhi usko apne se door samjha bhi nahi. Vo hamesha meri achhi dost rahi aur yahi vajah thi ke us din main uske saath shopping ke liye bhi chala aaya tha.
Uska wait karte karte main gaadi mein betha bore ho raha tha toh Renuka ko phone mila diya.
"Hey Sweet, shopping ho gayi?" Usne mujhse sawal kiya.
"Arrey nahi abhi kahan. Kamini aayi hi nahi abhi tak. Us manhoos ka wait hi kar raha hoon filhal toh"
"Vo aisi hi hai. Pehlo ghanto wait karati hai aur phir ghanto lagati hai shopping karne mein"
"Isliye toh main tumhein keh raha tha ke please uske saath chali jao"
"Yeah right taaki tumhari jagah main phas jaoon?" Vo haste hue boli "Uske saath shopping jaane se toh janab meri tauba"
Shuruat ke kuchh dino mein Kamini aur Renuka ek doosre ko pasand nahi karte the aur shayad aisa karne ka unke paas ek valid reason bhi tha. Vo dono ek hi ladke se pyaar karti thi, be-intehaan. Kamini ko Renuka ka yun meri zindagi mein daakhil hona pasand nahi aaya tha aur is baat ko lekar vo kaafi din mujhse bhi naraz nahi rahi thi. Aur kyun pasand aata bhala, Renuka usse us ladke ko chheen le gayi thi jise Kamini bachpan se chahti thi, jisse vo shaadi karna chahti thi.
Aisa hi haal Renuka ki taraf bhi tha. Use maine Kamini ke baare mein sab bata diya tha toh usko hamesha khatra laga rehta tha ke Kamini kahin mujhse usse na chheen le.
Dono ke beech mujhe lekar ek cold war si chalti rehti thi jo meri shaadi tak qayam rahi par jab Renuka shaadi ke baad mere ghar aa gayi toh cheezen dheere dheere badalne lagi. Kamini ka mere ghar bahut aana jana tha jiski vajah se shaadi ke baad use Renuka se bhi milna padta tha aur dheere dheere dono ne ek doosre ko accept kar liya. Yahan tak ke dono mein khaasi dosti ho gayi aur aksar shopping ke liye vo saath hi jaane lagi.
"Achha suno i got to go, baad mein baat karti hoon aapse" Phone ke doosre chhor se Renuka ki aawaz aayi.
"Kahan ho abhi?"
"Office mein hi hoon, filhal ek bahut zaroori conference hai uske liye jana hai. Presentation maine hi deni hai"
"Chaliye theek hai, all the best for your presentation. Luv you"
"Love you too, bye" Kehkar usne phone rakh diya.
Peshe se Renuka ek vakeel thi aur criminal law practice karti thi. Usne Delhi ki ek bahut hi mash-hoor law firm join kar li aur aksar din bhar kaam mein uljhe rehna ya shaam ko der se ghar aana ek aam baat thi.
Renuka se phone karke maine Kamini ka number milaya.
"Kahan hai yaar?"
"Bas pahunch gayi, 10 min aur"
"Aadha ghanta ho gaya mujhe yahan khade khade"
"Bas aa gayi, Traffic mein phasi hui hoon"
Usse baat karke maine phone rakha hi tha ke meri gaadi se kuchh door ek gaadi aakar ruki. Driver seat ka darwaza khula, ek aadmi bahar nikla aur agle hi pal passenger seat ka darwaza khol kar meri biwi us gaadi se bahar nikli. Vo biwi jisne abhi 2 minute pehle mujhse phone par jhooth bola tha ke vo shehar ke doosre kone mein apne office mein hai aur ek meeting mein presentation dene ja rahi hai.
Ek pal ke liye toh mujhe apni nazron par yakeen nahi hua, laga ke shayad dhokha hua hai. Par agle hi pal mehsoos bhi ho gaya ke koi dhokha nahi tha, mere saamne meri biwi hi khadi thi.
Mujhe samajh nahi aa raha tha ke kaise react karun. Renuka ke saath vo ladka kaun tha ispar toh mera dhyaan gaya hi nahi, aur sach kahun toh maine ye tak nahi socha ke uske saath koi ladka hai, kaun aur kyun toh bahut door ki baat thi. Renuka se main be-intehaan mohabbat karta tha, khud se zyada bharosa tha uspar isliye ye khyaal toh mujhe chhu kar bhi nahi guzra ke vo mujhe dhokha de rahi hai. Hairat sirf is baat par ho rahi thi ke abhi 2 min pehle usne mujhse jhooth kyun bola tha.
Un dono ne gaadi lock ki aur Mall ke andar ki taraf badh chale. Main bhi apni gaadi se bahar nikla aur vahin khade khade cell nikal kar phir Renuka ka number dial kiya. Cell ki ghanti baji toh vo Mall ke gate ke paas ruk gayi aur bag se cell nikal kar meri call dekhi. Agle hi pal uske chehre ke bhaav badal gaye.
Hadbadhat mein usne apna cell us ladke ko dikhaya aur phir dono na jaane kya baat karne lage. Zahir baat thi ke vo yahan meri call receive nahi kar sakti kyunki uske jhooth ke hisaab se use ek conference room ke andar hona chahiye, kisi mall ke saamne nahi jahan phone par mujhe shor aur gaadiyon ki aawaz saaf sunai deti.
Vo ladka use kuchh keh raha tha aur Renuka ek haath se apna sar pakde cell ki taraf dekh rahi thi. Aur phir kuchh soch kar usne meri call disconnect kar di aur cell mein kuchh type karne lagi. Mera andaza tha ke vo koi message type kar rahi hai aur andaza sahi nikla. Kuchh seconds baad mere cell par uska message aaya.
"In a meeting. Cant talk. Will call you later"
Maine jawab diya.
"Something urgent, need to talk for a min"
Mera message uske paas pahuncha toh uske chehre ki pareshani aur badh gayi. Usne phir cell ladko ko dikhaya, shayad mera message padha rahi thi, aur jawab type karne lagi.
"Cant step out. Sorry"
Maine message padha aur is baar mera gussa jaise aasman chhu gaya. Mujhe samajh nahi aa raha tha ke vo mujhse jhooth kyun bol rahi hai. Maine ek baar phir uska number milaya par is baar cell switched off mila. Usne apna phone band karke bag mein rakha aur dono Mall mein daakhil ho gaye.
Main kuchh der vahan yun hi sakte mein khada dekhta raha. Kya sochun, kya karun kuchh samajh nahi aa raha tha. Meri aankhon ke theek saamne meri biwi jispar main jaan chhidakta tha kisi aur ke saath thi aur mujhse saaf jhooth bol rahi thi.
Kuchh der baad apni gaadi ke lock check kar main bhi unke pichhe pichhe mall mein aa gaya. Gate se andar aane ke baad main chaaron taraf dekha par vo dono mujhe kahin dikhai nahi diye. Main soch hi raha tha ke kis taraf jaoon ke mera phone phir baja. Call Kamini ki thi.
"Main pahunch gayi, tumhari gaadi ke paas khadi hoon bahar. Tum kahan ho?"
"Tu ruk vahin, main abhi aaya bas"
Kehkar maine call disconnect kar di aur andaaze se ek aur badh chala. Nazar meri chaaron taraf unko hi dhoondh rahi thi. Koi 10 min bhatakne ke baad mera phone phir baja. Call phir Kamini ki hi thi.
"Arrey aa raha hoon yaar, ruk thodi der. Besabri kyun ho rahi hai"
"Policewale khade hain yahan tumhari gaadi ke paas"
"Policewale?"
"Haan. Main road par No Parking mein gaadi chhod gaye ho tum. Kam se kam Mall ki parking mein toh laga dete"
Mujhe yaad aaya ke main road par hi gaadi rok kar Kamini ka intezaar kar raha tha aur phir jaldbaazi mein vahin gaadi khadi chhod aaya tha.
"Tu sambhal, main aaya bas abhi"
Ye Mall kaafi bada tha aur agle aadhe ghante tak main usmein yun hi bhatakta raha par Renuka aur vo ladka mujhe phir dikhai nahi diye. Mall ki har shop, har restaurant mein maine jhaank kar dekha par vo dono kahin dikhai nahi diye. Kayi baar Renuka ka number try kiya par phone band hi mila. Thak haar kar main phir Mall se bahar aaya. Kamini meri gaadi ke paas khadi thi.
"Ye lo" Main gaadi ke paas aaya toh usne mere haath mein ek paper ka tukda thama diya.
"Kya hai ye?"
"No Parking mein gaadi khadi karne ka chalan jo mujhe bharna pada. The kahan tum aur meri call bhi receive nahi kar rahe the?"
Maine uski baat ko ansuna kar us ladki ki gaadi ki taraf dekha. Vo vahan se ja chuki thi.
"Yahan ek white color ki car khadi thi"
"Kahan"
"Vo vahan, us laal wali gaadi ke saath" Maine Mall ki parking mein khadi ek laal gaadi ki taraf ishara kiya.
"I dunno, why?"
"Tune jaate dekhi?"
"I dont think so. 15 min se toh vo policewale hi mera dimag kha rahe the, dhyaan nahi diya maine"
"Jab tu aayi tab thi yahan?"
"Kya gaadi?"
"Haan"
"I dont know yaar, dhyaan nahi diya maine. Itni gaadiyan khadi hai yahan par. Kiski gaadi thi?"
Maine uski baat ko phir ansuna kar diya.
"Chal chalen?"
"Kahan?"
"Ghar"
"Meri shopping?"
"Phir kabhi kar lenge yaar, abhi chal"
"Par kyun, kya hua? Kiski gaadi thi vo" Vo kehti reh gayi aur main gaadi ka darwaza khol kar andar ja betha. Cell nikal kar Renuka ka number milaya, phone ab bhi band tha.
"Kise phone kar rahe ho? Hua kya hai?" Kamini jhunjhlati hui mere saath gaadi mein aa bethi.

His wife is cheating on him or koyi aur baat hai? Magar jhoot kyun bola Renuka ne? :dazed:
 

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
immortal bhai update deo :love:
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Chapter 10 - Pratap Rana

Agle din subah meri kuchh zyada hi jaldi aankh khul gayi. Kuchh der tak toh main bistar par leta karwaten leta raha, dobara sone ki koshish mein, par jab aankh lag kar nahi di toh main uthkar drawing room mein aa gaya.

Mausam mein halki thandak thi jo mujhe living room ki khidki kholte hi mehsoos hui. Bahar abhi tak andhera hi tha. Maine ghadi par nazar daali, subah ke 5 baj rahe the.

Main chaai banane ke iraade se kitchen ki taraf badha par phir irada badal kar apne joote pehne or early morning walk ke liye ghar se nikal gaya. Kamini abhi tak padi so rahi thi aur main janta tha ke morning walk ke naam par usko uthana bekaar tha. Vo marti mar jaati par itni subah bistar nahi chhodne wali thi.

Main bina koi jacket daale ek t-shirt aur pajama pehne bahar aa gaya tha. Bahar thodi door chal kar hi thandak ke ehsaas se mere haath kaanpne lage aur mujhe apni galti ka ehsaas hua. Haathoh ko seene par baandhkar main us pahadi subah ka aanand leta hue dheere dheere aage badha.

Kaafi farak hota hai hamari aam shehri aur pahadi zindagi mein. Jahan subah hote hi aksar shehron mein doodhwale, akhbaar wale bhaag daud karne lagte hain vahin yahan pahadon mein aisa kuchh bhi nahi tha. Yahan toh sadak par door door tak koi nahi tha, bas main hi akela tehal raha tha.

Kuchh der baad hi aasman mein halki roshni hone lagi aur pedon par chidiyon ke chehchehane ki aawazen aane lagi. Jaise is khamosh wadi mein kudrat ne apna hi ek saaz chhed diya ho.

Kuchh door chal kar main sadak kinare pade ek bade se patthar par beth gaya aur subah ke is khoobsurat aur khamosh nazare ko khamoshi se betha dekhta aur sunta raha.

Aur phir jaane kahan se is Khamoshi ko bhang karti hui ek dhamake ki aawaz hui.

Is tarah ke dhamake main pehle bhi sun chuka tha. Bandook maine khud bhi kayi baar chalai thi aur goli chalne ki aawaz se bakhubi wakif tha. Ye aawaz ek rifle se aayi thi par itni subah yahan goliyan kaun chala raha hai?

Hairat mein main khada hokar chaaron taraf dekhne laga. Phir se goli ki aawaz aayi, is baar thoda aur zor se.

Maine chaaron taraf nazar ghuma kar dekhne ki koshish karne laga ke goli chala kaun raha hai par roshni ab bhi kaafi halki thi aur pedon ke beech toh jaise ab bhi raat ka hi andhera phela hua tha. Lakh koshish ke baad bhi mujhe kuchh nazar nahi aaya.

Aur ek baar phir goli chalne ka dhamaka hua, aur is baar pehle dono baar ke muqable aawaz kaafi zordar thi yaani jo koi bhi goli chala raha tha vo dhere dheere mere kareeb aa raha tha. Aur achanak ek dhamaka mere dimag mein hua,

"Kahin ye goliyan mujh par hi toh nahi chalayi ja rahi?"

Ye khyaal aate hi main fauran us bade se patthar ke pichhe dubak gaya. Goli chalne ki aawaz se jo pehle aas paas pedon par bethe panchhi chehcheha rahe the ab udkar bhaag chuke the aur hawa mein phir se khamoshi chha gayi thi. Aur us khamoshi mein mujhe pedon ke beech neeche gire patton par kisi ke chalne ki aawaz saaf sunai dene lagi. Jo koi bhi tha, ab mere aa paas hi tha. Maine apni gardan halki si uper uthayi taaki patthar ke pichhe se dekh sakun ke kaun hai par tabhi us shaks ne zor se mera naam pukara.

Is baat ne mere is shak ki pushti kar di ke goliyon ka nishana main hi tha, par kyun?

Us aadmi ne ek baar phir mera naam pukara. Mujhe samajh nahi aa raha tha ke kya karun. Jahan uske haath mein bandook thi vahan mere paas toh ek chhota sa danda bhi nahi tha. Khaali haath us patthar ke pichhe chhipa betha tha.

"Kya vo janta hai ke main is patthar ke pichhe hoon?" Maine dil hi dil mein socha, "Kya dekha tha usne mujhe"

"Main janta hoon tum us patthar ke pichhe chhipe ho" Us aadmi ne jaise itni door se hi mere khyaal padh liye "Dekh liya tha maine tumhein. Bahar aa jao"

"Ab kya karun?" Main phir soch mein pad gaya, "Patthar ke pichh se nikla toh ye goli maar dega par yahan chhipa raha bhi toh kitni der tak, vo yahan aake goli maar dega. Bhaag loon kya? Par ye mujhpar goli chala kyun raha hai?"

"Arrey bhai tum par goli nahi chala raha hoon" Usne ek baar phir jaise mere khyaal sun liye, "Bahar aa jao, main toh chidiya maar raha tha, bird hunting. Ye dekho"

Maine patthar ke pichhe se gardan nikal kar dekha. Usne wakai haath mein mari hui do teen birds pakad rakhi thi. Maine rahat ki saans li aur patthar ke pichhe se uth kar khada hua.

"Hello " Vo aadmi muskurata hua meri taraf aaya. Vo koi 60 ke aas paas ka lamba chauda shakhs tha. Chehre par robdaar moonchhen, badi badi aankhen, gora rang. badi chhati, tandrust jism. All and all, ek raubdaar personality. Par pata nahi kyun usko dekhte hi pehli nazar mein hi main use na=pasand karne laga. Ek ajeeb sa gussa aa raha tha mujhe uspar, ajeeb chid si ho rahi thi. Shayad is vajah se ke thodi der pehle hi usne meri achhi khaasi subah ka satya-naash kar diya tha. Shayad isliye ke abhi thodi der pehle mujhe lag raha tha ke vo goliyan mujh par chala raha tha.

"Tum khamkhwah dar rahe ho yaar, main tumhein goli kyun maarunga" Vo mere kareeb aaya aur meri taraf haath badhaya.

"Aap mujhe kaise jaante hain?" Maine uska haath milaya.

"Sakshi ne bataya tha. Ek nazar mein dekhte hi pehchan gaya main tumhein" Usne is tarah se kaha ke mujhe pehchan kar jaane kaun sa bada teer maar liya.

"Aur aap?"

"Mujhe nahi pehchana?" Vo phir aise bola jaise ke ye mera farz tha ke mujhe uski pehchan ho. Paida hote hi mujhe maan shabd se pehle uska naam bolna chahiye tha. Jaise vo koi bahut bada superstar tha.

"Maaf kijiyega" Main thoda kheejte hue bola "Aapki koi film maine dekhi nahi"

"Ha ha ha" Vo zor se dil khol kar hasa "Pasand aaya mujhe tumhara sense of humor. Ham Pratap Rana hain"

Uske bolne ka andaaz aisa tha jaise ke mujhe ye sunte hi uske pairon mein gir jana chahiye tha.

"Sakshi ke Papa" Usne baat aage jaari rakhi.

"Ji haan, bataya tha usne mujhe aapke baare mein"

"Aur hamein tumhare baare mein bataya tha. Ham subah aksar aate hain idhar shikar par" Vo mujhe rifle dikhate hue bola.

"Chidimaar sala" Maine dil hi dil mein socha.

"Ham jaante hain tum kya soch rahe ho, chidimaar sala, hai na?" Use jaise phir se mere khyaal sunai de gaye.

"Nahi, aisa kuchh bhi nahi" Main nakli hasi hasta hua bola.

"Koi baat nahi, sab hamein dekhke yahi bolte hain"

"Toh kya galat bolte hain?" Maine phir dil mein socha.

"Aur nahi, galat nahi bolte" Usne jaise phir mera dimag padh liya.

Main andar tak kilas utha. Main sochta hoon toh koi aawaz aati hai kya?

"Haath mein bandook uthaye ek buddha pedon par chidiya maarta phir raha ho toh use chidimaar hi kahenge, kyun hai na?" Vo hasta hua bola.

Jawab mein main sirf muskura kar reh gaya.

"Kaisi lag rahi hai ye jagah?" Usne apne haath mein pakdi rifle ko ghuma kar apne kandhe par taang liya. Doosre haath mein uske 3 mari hui chidiyan thi jinhein usne pairon se pakad kar rakah tha. Shayad kabootar the par unse goli lagne ke baad aur khoon se sane hone ki vajah se pehchan pana zara mushkil tha.

"Khoobsurat hai" Maine mari hui chidiyon ki taraf dekhte hue kaha.

"Dont worry, inhein main paka kar khaoonga nahi" Usne jaise phir mera dimag padh liya kyunki main soch hi raha tha ke vo in kabooraton ko uthaye kyun ghoom raha hai, "come on, help me"

Usne thoda aage badhkar bandook ko usi patthar par rakh diya jiske pichhe main chhipa hua tha aur kabootaron ko neeche zameen par. Phir usne apni jeb se ek bada sa swiss knife nikala aur pairon se zameen ko daba daba kar dekhne laga.

"Aajkal thoda baarish ho rahi hai isliye aaram se dafnane ke liye jagah mil jaati hai" Vo zameen ka jaayza lete hue bina meri taraf dekhe kahe ja raha tha, "Varna aksar badi mushkil ho jaati hai aisi jagah dhoondhne mein jo aaram se khodi ja sake"

"I think i will leave" Maine uski baat ko ansuna karte hue kaha.

"Arrey ruko ek min" Vo ek jagah par ukdoon beth gaya aur swiss knife ki madad se zameen mein gaddha khodne laga, "Bas zara ye nipta loon"

"I am kind of getting hungry" Maine jawab diya, "Think i will go and grab a bite to eat"

"Yahan thoda aage hi chaai ki dukaan hai ek, khul jaati hai subah subah. Badi mazedaar chaai banata hai, aaloo ke paranthe bhi. Vahin chalke nashta karte hain. Main toh apni roz subah ki chaai vahin pita hoon"

"Matlab roz subah 3-4 kabootar shaheed karta hai sala" Maine dil hi dil mein socha.

"Nahi shikar par roz nahi aata" Usne ek baar phir usi baat ka jawab diya jo main soch raha tha, "Ye toh bas kabhi kabhi mood ki baat hai. Par haan roz subah ki chaai main usi dukaan par pita hoon"

Mere dimag mein kayi khyaal aaye par maine sabko door kar diya. Kuchh sochunga aur buddha sala phir taad jaayega.

"Nahi i dont really drink and eat outside" Maine bahana mara.

"Arrey Hindustan mein rehkar dhaabo par chaai nashta nahi kiya toh kya kiya. Ek baar saath chalo, phir kehna" Usne jawab diya toh mere paas kehne ko aur kuchh nahi bacha"

Agle 10 min tak main vahan khada use un kabootaron ko dafnate dekhta raha. Usne swiss knife ki madad se ek khasa gehra gaddha khoda aur dafnane ke baad aankh band karke jaane kya mantar se padhne laga.

"Chala jaaye?" Haathon se mitti jhadta hua vo utha aur mujhse bola.

Yun toh mujhe vo ek aankh bhi nahi bha raha tha aur shayad iski vajah ye thi ke abhi thodi der pehle mujhe ye lag raha tha ke vo mujh par goliyan chala raha hai. Kaha jata hai ke First impression is the last impression aur mujhpa uska pehla impression bandook liye ek sanki chidimaar ka tha.

"Khair, pehla impression galat bhi ho sakta hai" Maine khud se kaha aur dil hi dil mein ye sochkar uske saath ho liya ke shayad case se related koi information isse mil jaaye.

"Kaisa lag raha hai hamara chhota sa town?" Usne phir mujhse vahi sawal kiya.

"Khoobsurat jagah hai" Is baar jawab maine muskura kar diya.

"Listen i am sorry if i scared you back there" Mujhe muskurata dekh vo bhi muskura utha.

"No thats all right. Galti meri hi thi. Kuchh zyada hi jaldi dar gaya"

'Nahi aapki jagah koi bhi hota toh darr hi jata. Subah subah ka wat, halka andhera, sunsaan jagah aur agar aise mein achanak kahin nazdeek se goliyon ki aawaz aane lage toh koi bhi dar jaayega"

"Aap bhi yahin paas mein hi rehte hain na?"

"Haan yahan thoda aage hi hamara bhi ghar hai. Ravi ko dhoondhne mein koi progress ab tak?"

Uska sawal sunkar maine hairat se uski taraf dekha.

"Arrey bhai agar mujhe ye pata hai ke tum kaun ho toh zahir si baat hai ke ye bhi pata hoga ke tum yahan kya kar rahe ho"

"Yes, you are right" Maine jhenpte hue kaha "I am sorry"

"No dont worry. Sakshi ne bataya tha mujhe sab kuchh"

"And to answer your question, No. Kuchh khaas pata nahi chal paya hai"

"Aur chalega bhi nahi"

"Aap itna yaqeen se kaise keh sakte hain"

"Ravi ek hoshiyar ladka tha. Jo koi bhi vajah thi magar usne yahan se jana hi behtar samjha. Aur aisa gaya ke koi uska suraag tak nahi dhoondh saka 20 saal se. Ab tum hi batao, jo aadmi 20 saal se chhupa hua hai aur saamne nahi aana chahta, use dhoondh pana kya mumkin hai? 20 saal ek bahut lamba arsa hota hai, ab tak toh shakal bhi badal gayi hogi uski. Saamne se nikal jaayega aur pehchan mein nahi aayega"

"Shukar hai" Maine haste hue kaha.

"Kis baat ka?"

"Koi toh hai jo ye manta hai ke vo zinda hai varna yahan toh almost har koi yahi maan chuka hai ke vo mar chuka hai"

"20 saal tak koi bina bataye, bina kuchh kahe gayab rahe toh sabka aisa maan lena jayaz bhi hai"

"I agree. Mujhe toh kabhi kabhi aisa lagta hai ke mujhe Ravi ko nahi, uske murderer ko dhoondhne ke liye hire kiya gaya hai"

"There is no murderer. Ravi is alive somewhere. Or at least he was alive when he left here. Vo apni marzi se gaya hai kahin"

"Aap itna yakeen se kaise keh sakte hain?"

"Pehli baat toh ye ke agar mara hota toh der sawer laash zaroor milti uski"

"Zaroori nahi"

"Uske dost ki bhi toh mili thi"

"Kanha?"

"Yep"

"Phir bhi. Hamare desh mein hazaron log marte hain aur phir kabhi unke bodies nahi milte. Its not something new"

"Nahi, i think i know ke vo kyun gaya yahan se"

"Kyun?"

"Ek ladki ke chakkar mein"

"Kaun ladki"

"Sunanda"

"Vo jise prostitute kehte hain sab?"

"Oh so you do know about her. I am impressed"

"Thanks. Us ladki ka Ravi se kya lena dena?"

"Agar aap ladki ke baare mein jaante hain toh ye bhi jaante hain ke vo bhi Ravi ki tarah hi gayab hui thi"

"Yeah i know that"

"Dont you think its strange ke vo pehle khud gayab hui aur phir kuchh time baad Ravi lapata ho gaya?"

"It could be a co-incidence"

"No it was not. I am sure vo dono saath hi gayab hue hain"

"Aisa kyun?"

"Who knows. Maybe they were in love aur Mr. Rana kabhi is baat par na maante ke Ravi aisi ladki se shaadi kare. Isi liye vo lapata hua"

"Gayab hone ki kya zaroorat thi. Alag bhi toh ho sakta tha ghar se"
 

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
:reading::dost:
 

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
wonderful update ab se sunanda kaun chori aa gayi mujhe renuka wala update chahiye jaldi jaldi update deo aur renuka ki pitai karao
 
Top