- 200
- 577
- 109
Update.. 14.. rohan..
Nidhi dar ke mare bed ke ek kinare bethi hui thi.. esa lag raha tha ki maut uske samne hi baithi ho.. pasine se nahai hui nidhi poori rat so nahi paai, subeh me jab woh der tak soti rahi and nashta karne ke lie niche nahi aai tab surya ne maid ko upar bheja nidhi ko jagane ke lie.. maid jese hi upar aai usne dekha ki nidhi bed ke ek kinare sikud kar soi hui hai usne kambal odh rakha hai fir bhi kaanp rahi thi.. esa lag raha tha ki jese woh kisi dar ke kaaran ese kaanp rahi hai.. maid ne jese hi usko chhua woh chaunk gai uska badan angaro jese dehak rha tha and woh bekhayali mein badbada rahi thi, ‘’ woh laut aaya hai.. woh hame maar dega.. woh sab tabah kar dega koi nahi bachega.. ‘’
Maid ne use jhakjhor kar jagaya par jese hi use hosh aaya woh rohan naam le kar behosh ho gai.. woh maid singhaniyas ke family me last 15saal se thi woh bhale hi singhaniyas ke sare raaz na janti ho par use un sab ka bharosa prapt tha.. usne singhaniya brothers ko jaldi se upar bulaya jese hi surya ne nidhi ke sar ko chhua woh bhi chaunk gaya and jese hi usne nidhi ke muh se rohan ka naam suna woh bhi thoda dar gaya.. (that’s why rebel have said everyone will have to pay for what they have done) ..
Surya ne apni feelings par control kia and usne jaldi se doctor ko call kar ke bula lia.. thodi der me hi doctor aa gaya and usne nidhi ka check up kia and usko dawai and injection de kar room se bahar aa gaya and singhaniyas se puchha, “yeh rohan kaun hai.. usne nidhi ke man par esa dar banaya hua hai ki woh nind me bhi usse dar gai thi shayad.. do something jisse apki sister ka dar khatam ho ya fir uska mind is matter se divert ho jaye..” itna keh kar doctor chala gaya..
Surya gusse me chillate hue, “ rohan.. rohan rohan.. kab pichha chhutega is naam and us rohan ke khauf se.. hamari life par yeh grehan ban kar beth gaya hai.. usne pehle hi hame bahot nuxan kia tha uski maut ke baad bhi ham usne jo nuxan hame kia hai woh recover nahi kar paaye hain.. chalo maan lia ki hamne use us din maar dia tha par usne marte hue bhi hamare dar ko khatam nahi hone dia tha.. “
Shamsher : tum us waqt yahan nahi the warna tum yeh nahi bolte.. is kahani ki shuruat bhi nidhi ki wajah se hui thi and us kahani ka ant bhi nidhi ke haatho hi hua tha.. par uske naam ka khauf aaj bhi hamari nind uda deti hai and uske hone ka soch kar bhi maut ka dar hamare dil dimaag ko hila deta hai..(ab is story mein rohan ka flashback chalega jo ki is story ka main base hai.. enjoy it..)
Flashback..
Year 2015, month june ..
Location shah company..
Yeh company rohan ne apni swargiya bua shanti shyamsundar shah ke naam par banaya tha.. shanti bua ne rohan ko apne bade bhai raghav ki maut ke baad apni santaan ki tarha paala tha.. shanti bua ki 2 betiya thi jinki unke bachpan me hi kisi bimari ke chalte maut ho gai thi.. shanty bua and fufa ji ne rohan ko apne beta maan kar use har jagah par support kia tha and unhone uski shaadi uski pasand ki ladki gulshan se karwai thi.. kismet ki bat thi ke jis din rohan and gulshan ki pehli santaan sanjana peda hui usi din usko ashirwaad dete hue chal base..
Waqt bitta gaya rohan ki company world ki top ten companies me shumar ho chuki thi par woh apne maa papa ( bua and fufa ji) ki legacy ko bhula nahi tha usne un dono ke naam par kai sare hospitals schools animal shelters animals ke lie hospitals etc sab banwaya tha.. usne crime ko mitaane ke lie sarkar and police ki madad karne ke lie kai sare gadgets and weapons bana kar unhe die hue the.. woh khud bhi ek achha ninja warrior tha par who jab tak zaruri na ho hathiyar nahi uthata tha..
Khair kehte hain na ki waqt har baar same nahi rehta.. ab tak gulshan ne apni ek aur beti urvi ko janam de dia tha.. ek din jab rohan gulshan and apni dono betiyo ke sath movie dekh kar ghar jaa rha tha usne dekha ki kuchh log 2 policewalo ko maar rahe hain and policewalo ki haalat bahot jyada kharab thi.. rohan niche utra and jaldi se un gundo ke pas pahocha and isse pehle ki woh log police waalo par aur hamla karte rohan ne apni ninja skills ka use karte hue ek gunde ki gardan ko ek punch maar kar tod dia.. jese hi us gunde ki gardan todi baki ke gunde rohan ki taraf lapke par kuchh hi der mein sab rohan ke haatho maar kha kar beth gaye.. rohan jaldi se unsab ke paas gaya usne gulshan ko ishara kar kar back up bulane ke lie kaha.. thodi hi der mein riyaaz (rohan ka dr.friend ) and rohan ki team 2 ambulance ke saath pahoch chuke the..
Unhone dono policewaalo ko ambulance me letaya and unki shuruati treatment shuru kar di.. rohan ne un sab gundo ko apni team ke haatho apne secret base bhijwa dia tha.. yahi pal tha jab rohan ka samna singhaniyas se pehli baar hone wala tha.. rohan ne gulshan and apni betiyo ko ghar chhoda and fir hospital aa gaya.. riyaaz use bataya ki policewalo ki halat stable hai bas ek do fractures hai.. rohan riyaz ke sath ward me gaya jahan policewaale rest kar rahe the..
Rohan unke pas gaya and unko respect dete hue salute kia.. dono ke haath me fractures the is lie woh return me salute nahi kar paaye.. rohan ne un dono ke bed ke bich bani jagah me stool le kar beth gaya and baat shuru kari..
Rohan : I am sorry main apko puri tarha se protect nahi kar paaya.. mera naam rohan hai.. mai jaha par aap par hamla hua tha us jagah se thodi hi dur ek colony me rehta hu.. mai apni family ke sath movie dekhne gaya hua tha and lautte waqt apke upar hue hamle ko dekha and apki madad karne se khud ko rok nahi paya.. kya main jaan sakta hu ki un logo ne ap par hamla kyu kia tha..
Dono policewale pehle toh chup rahe.. unke facial expressions se lag raha tha ki who rohan ko apne bare mein batana nahi chahte the.. thodi der baad unme se ek ne bolna shuru kia.. tab tak riyaaz ward me se bahar chala gaya tha..
Policemen 1.. hum normal policewale nahi hai.. hame central gov. ne raw ke head ki madad se yaha par plant kia tha singhaniyas naam ke criminal ko pakadne ya fir usko khatam karne ke lie.. par hame nahi maalum tha ki hamara mission singhaniyas ke samne disclose ho gaya hai.. fir bhi ham apne desh ki khatir apna mission pura karne me lage rahe.. aaj hame lead mili thi ke yaha par singhaniyas koi deal karne ke lie aane wale hain.. par it was a trap.. um logo ne ham par dhokhe se hamla kar dia fir bhi hamne unke aadhe drugs ko tabah kar dia tha..
Policeman 2.. jese tese kar ke ham road tak pahoche par unke gunde waha par bhi hamara wait kar rahe the unhone firse ham par hamla kar dia and kismet se tumne hame bacha lia..
Rohan : to kya karenge ab aap dono ? shayad ab aap dono wapis raw me bhi nahi jaa sakte kyu ki aapki identity and mission dono disclose ho chuke hain..
Policeman 1.. : sahi kaha tumne par ab tension yeh hai ki hamari family ka kya hoga.. agar singhaniyas ka luck sahi rha toh woh hamari family tak bhi pahoch sakte hain.. hame hamari parwaah nahi hai bas hamari family ko kisi tarha safe kar lein..
Intro time..
Tushar and ashish.. yeh dono sage bhai hai and sath me dono raw ke secret agents bhi hain.. par ab inka ek mission and unki secret identity disclose ho jane ki wajha se wo raw me abhi thode waqt ke lie nahi ja sakte..
Karuna.. tushar ki wife and shivam ki yashoda maiya.. inko ek bimari hai jiske wajha se wo kabhi maa nahi ban sakti..
Rohan kaafi der tak kuchh sochta raha fir usne apni team k ek member ko call kar ke hospital bula liya.. thodi der baad woh banda rohan ke samne tha..
Rohan : isse milo yeh mera dost agent 0 (ADYAANT ) hai.. wese toh iska real name kuchh aur hi hai yeh bhi tumhari tarha hi ek secret agent hai par ek mission ke lie abhi hamari city mein aaye hue hain.. yeh mera bachpan ka dost hai is lie hamari help ke lie haazir ho gaye.. tum dono chaaho toh inko join kar sakte ho.. and rahi baat tumhari family ki toh uski protection ki resposnsibility main leta hu..
Khair tushar and ashish ne agent 0 ki team ko join kar lia apni identity change karne ke bad.. ab unka face bhi change ho gaya tha is lie unko koi bhi pehchan nahi payega.. karuna ab rohan ki family mein ghul mil gait hi uski and gulshan ki dosti kaafi strong ho gai thi jese ki woh dono ek dusre ko bachpan se janti ho.. waqt guzar gaya and shivam ka janam hone me bas thhoda hi waqt baki tha ki tabi ek din rohan ka phone baj utha…
On call : kese ho mr.rohan.. suna hai tumhe logo ko bachane ka kuchh jyada hi chaska chadha hua hai.. who sab jaane do jin dono ko tumne bachaya hai who hamare hatho se marenge hi par agar tum hamare raste mein aaye toh tumhe tabah karne ke bare mein ham sochenge bhi nahi.. wese main batana bhul hi gaya main hu surya singhaniya..
Rohan kuchh kehta usse pehle hi call cut ho chuka tha and usne gabhrate hue tushar ko call kia… who tushar se kuchh kehta usse pehle hi use call par blast hone ki awaz aai.. rohan jaldi se ek hotel pahocha jaha pr bahot bhayanak aag lagi hui thi and aag usi area me lagi thi jaha par tushar and ashish ka room tha.. rohan kaise bhi kar ke dono ki taraf badha.. ashish mar chukka tha par tushar ki sanse abhi bhi baaki thi.. jese hi rohan ne usko chhua usne apni aakhe kholi and rohan ka haath pakad lia..
Tushar : rohan bhai yeh blast singhaniyas ne hi karvaya hai.. ham apna ek mission pura hone ke baad ghar hi aane wale the par kisi wajh se yha is hotel room me rukna pda.. hamne apni identity change kar di thi par ham hamare passport ka number change karna bhul gaye the and usi wajah se ham pakde gaye.. singhaniyas ke bich ek hi insaan hai jiske pas itna dimaag hai nidhi .. usse thoda savdhaan rahiega.. itna kehte hi uski bhi saase tham chuki thi..
Rohan dukhi ho gaya tha.. bhale hi tushar and uski family ke sath uska koi blood relation nahi tha par dosti ka rishta bhi kuchh jyaada kamzor nahi tha.. usne dono ki body ka handover le lia and woh ambulance me daal kar ghar le aaya.. sab ki aakhe nam thi .. gulshan ne ashish and tushar ke roop me apne bade bhaio ko khoya tha.. rohan ne un dono ka bada bhai ban kar khud apne hatho se un dono ka antim sanskar kia .. jab un dono ki chita jal rahi thi tab rohan ki aakho me badle ka jwalamukhi jal raha tha jo shayad singhaniyas ke khilaaf jung ka elaan hi tha..
The war has just about to start.. evil will be terminated by the devil himself.. be prepared to be vitness of devil’s wrath..
Last edited: