- 4,422
- 1,976
- 143
Update 8
Aditya ab ek safed kurta aur paayjama pahan kar pratap ke sath ghar ki or nikal padta hai. Use pata thaa ki ghar men kya use dekhne ko milne wala hai usne apne dil ko kaabu men kar liya tha aur soch liya tha ki wo nahi royegaa balki unka jwalamukhi banaakar unke kaatilonko uski aag se jhulsaayega.
Aditya jab ghar par bahar hi utartaa hai atab use aaspaas ki mahaul men hi mayusi saaf saaf najar aa jati hai. Wo aage badh chaltaa hai, jab darwaje ki chaukat par uske kadam padte hai tabhi use saamne hi rakhi hui uske mata pita ke parthiv deh dikhte hai, fulon se sajaaye huye. Saamne hi ek table par un donon ki ek tasweer rakhi thi aur agarbattyoiyaan bhi lagi thi.
Pratap ye sab nahi dekh saktaa tha. Uski aankhen bhar aayi aur wo
firse pichhe mudne laga tabhi aditya ne uski kalaai thaam li aur ghar ki chaukhat laanghte huye andar aaya. Saamne ke kai cheharon ko wo jaanta thaa pahchaanta thaa. Aajtak usne un sabhi ko hameshaa hanste huye dekha tha, par aaj kai cheharon par aansu the aur kaiyon par ek maayusi.
Anna sahib aur unke do bête ek baju ko baithe huye the, unke bhi chehare par wahi dukh dikh raha tha. Manic bhi wahi khada tha. Wo bhi sir jhukaaye khada tha par wo aane walonko dekh raha thaa. Vikram aur uske sabhi bhai apne chacha aur chachi ke baju men the. Unke aankhon se aansu jhar jhar bah rahe the. Yahi haal kuchh kuchh uske chachiyonkaa bhi thaa.
Aditya aage gaya aur usne samne se rakhe huye ful uthaaye apne pitaaji ko chadhdaye unke pair chhuye aur apni maa ke bhi pair chuye aur ek side men baith gaya. aditya shayad royega ye kaiyonkaa kayas tha par aditya apni hi soch men duba tha. Kai log ab aakar usse baat karte usko dhiraj dete. Aditya sabki baaten sun raha thaa namaskaar kar raha tha.
Aditya ki najar darwaje par gayi to wahan mosin, aatif, aarif aur imtiyaaj the. Aditya ke aankhon men angaare utar aaye the uska man kar raha thaa ki yahan hi in sabhi ko maar daalu par aditya ko yaad aaya ki uske papa ne use ek baar kaha thaa ‘apne dar par aaya hua nihattha aadmi bhale hi wo apna dushman kyu naa ho uspar kabhi hath nahi utahte’ Ye yaad karke aditya shanti se wahi raha. Wo aaya aur usne bhi unko ful chadhaye aur aditya ke paas aaya.
Mosin “ab sab upar waale ka karam hai wo acche aadmiyonko jaldi utha leta hai, tumhare papa ki jaane ki umr nahi thi. hum sabhi ko unki kami khalegi unke jaise businessman ki sach men humen kaafi jarurat thi”
Aditya “sach kah rahe ho aap, wo acche aadmi the, par aap nahin ho par main iski jimmedari leta hun us upar waale ki najar jald hi aap par bhi pade”
Mosin “kuchh jyada nahi ud rahe”
Adityta “jab chalna bhi aata thaa tabhi se mujhe udne ka shauk hai” Mosin “aise shauk aadmi ko le dubte hai”
Aditya “ab pichhe waala koi raha nahi aur aage wala aapne hi chin liya to ab raha kya ganwaane ko ye jism, wo to bus is khaak se bana hai yaa to kisiko khaak men milaungaa yaa fir khaak ban jaunga”
Mosin “sambhal kar rahna”
Aditya “sambhal kar rahne ki jarurat mujhse jyada aapko hai, aapko intekaam lene ke liye jina hai mujhe to bas apne intekaam men fanaa ho jana hai”
Imtiyaaj “chaliye ab yahan se kya ye sunane ke liye hum aaye the” Aditya “main tumhe bahut acchi tarah se jaanta hun imtiyaaj tum to bas ye dekhne aaye the ki main hospital men coma men aur mere pitaji bhi gujar gaye hai is haal men mere dadaji ki halat kaisi hogi” Imtiyaaj “tum hi wo napak ho naa jo nilu se pyaar karne ki jurrat kar baitha thaa”
Aditya “wo naachij main hi hun aur main tumhari kasam khakar kahta hun ki ek din tumse main nilu ko chin kar dikhaungha”
Imtiyaaj “meri dilruba ko pane ke liye meri hi kasam is pyaar bhare intekaam men tumhe fanaa hota dekhne men bada maja aayega”
Aditya “khel shuru hoga par kuchh waqt ke baad”
Imtiyaaj “hum tumhari raah dekhenge, khuda hafij tab tak jab tak firse mulakat naa ho, is asptaal se bachnaa taaki mere hatthe chadh sako” Aditya “are us upar waale ne tere hatthe chadhne ke liye thode hi naa firse bheja hai balki kuchh alag karne ke liye bheja hai. Tumhe bhi khuda hafij mere liye raah dekhna kisi aur ke hathon mat chale jana” Mosin anna sahib ko haath hilakar wida leta hai aur sab chale jaate hai aditya apne mutthiyonko puri takad ke sath band kare huye usko jata hua dekhta hai.
Apne mummy papa ki maut ke kuchh din tak jab tak kriya karm chalte the aditya jyaada tar der apne kamare men hi bitata thaa aur sirf jitni jarurat ho yani ki logonse milnaa ya fir koi pooja path men jana uske
liye hi bahar nikaltaa tha.