---
**Update 10:**
Apne last update mein aapne padha kaise Raghu ek aadmi, Arjun, ko apne thikane par le jaa raha tha. Par Arjun apni family ke liye kaafi chintit tha. Aly, jo Raghu ka banda tha, truck mein Arjun ko hathkadi lagakar le jaa raha tha. Raste mein Aly aur Arjun ke beech thodi baatein bhi hoti hain. Aly gusse mein tha kyunki Arjun ne unke aadmi par hamla kiya tha, apni family ko bachane ke liye. Lekin Arjun samjhata hai ki woh sirf ek accident tha, jaan bujhkar nahi kiya tha.
Jab ye dono baat kar hi rahe the, tabhi ek ladki, jiska naam Shanaya tha aur jo umar mein kaafi chhoti thi, ek ped kaat kar truck ke samne gira deti hai. Truck ka accident ho jata hai. Arjun kisi tarah revolver utha leta hai aur Aly par taan deta hai, lekin Aly ko kuch nahi pata tha. Woh bas wahi bolta hai jo Raghu ne usse sikha rakha tha. Arjun usse chhod deta hai, lekin tabhi Shanaya Arjun par peeche se gun taan deti hai aur uske bag se samaan nikalne lagti hai. Us bag mein Arjun ke paas Priya ke liye li hui chocolate bhi milti hai. Arjun usse kehta hai ki ye uski bhatiji ke liye hai, isse rehne do. Shanaya sun kar chocolate wapas bag mein rakh deti hai. Jab woh apna samaan le chuki hoti hai, toh Arjun se kehti hai ki apni aankhen band karo aur 100 tak gino.
**Ab aage:**
Shanaya: *"Apni aankhen band karo aur 100 tak gino, jaane se pehle."*
Arjun: *"Ruko, suno! Mera pariwaar... mujhe unke paas jaana hai. Hum par hamla hua tha aur main..."* (Arjun ki awaaz bhar aati hai).
Arjun: *"Dekho, mujhe sirf ye janna hai ki main kaha hoon. Hum checkpoint 52 par the, main van drive kar raha tha jab raste mein ek junkyard mila. Woh wahi honge, mujhe jaldi se un tak pahuchna hai!"*
Shanaya thodi soch mein padti hai.
Shanaya: *"Mujhe pata hai woh kaha hai. Tumne bola tha tum drive kar rahe the?"*
Arjun: *"Haan, humari van mein."*
Shanaya: *"Main tumhe junkyard tak pahucha dungi, par ek condition hai. Mujhe tumhari van chahiye, deal?"*
Arjun usein hairani se dekhta hai.
Shanaya: *"Main tumhe waha sahi salamat pahucha dungi, aur phir van lekar chali jaungi..."*
Arjun, kathor awaaz mein: *"Woh van humara ghar hai, uske alawa humare paas kuch nahi."*
Shanaya, muskurate hue: *"Yeh toh naa lag rahi hai, hai na?"*
Arjun: *"Kaisa rahega agar tum bas mujhe rasta dikha do, ek bhale insaan ki tarah?"*
Shanaya, gun tane hue: *"Aur kaisa rahega agar main tumhe yahin uda do aur van lekar chali jau?"*
Shanaya: "Ye tumhare liye acchi deal hai, ab chalo."Main uske aage chalne laga, haath mein ab bhi hathkadi thi.
Shanaya thodi peeche thi, shotgun dono haathon se kas ke pakad rakhi thi.
Main: "Ye karna zaroori hai?"
Shanaya: -"Haan, mujhe tum par bharosa nahi hai. Mein koi risk nahi lena chahti. Tum aise hi bandhe raho, yeh hum dono ke liye surakshit hai.
"Main: "Mujhe koi dikkat nahi hai. Waise bhi, main bhi tum par bharosa nahi karta.
Shanaya: (Thodi hansi ke saath) "Waah, deja vu ho gaya! Lagta hai hum ek dusre ko ache se samajhte hai.
Main: "Mera naam Arjun hai, waise
"Shanaya kuch der ke liye chup rehti hai, phir bolti hai:
Shanaya: "Shanaya.
"Raat ka andhera tha, hum sadak ke beech se ja rahe the. Pedon se patte gir rahe the, jo humare pairo se kuchal rahe the. Hawa bhi kaafi tez chal rahi thi. Ye jagah darawani lag rahi thi, aur meri dhadkan aur tez ho gayi thi. Ek toh Shanaya par bharosa nahi tha, par koi doosra option bhi nahi tha. Mera dimaag sirf mere parivaar ki chinta mein uljha hua tha.
Har waqt bure khayal aa rahe the – kya pata Raghu ne unhe pakad liya ho ya kuch aur bura ho gaya ho.Achanak, ek zombie ek side se meri taraf jhapta. Haath bandh hone ki wajah se main peeche hatt gaya, lekin Shanaya ne apna chaku nikala aur us zombie ke pair par ek zor se kick mari. Zombie neeche gir gaya, aur usne apna chaku uske sir mein ghusa diya. Zombie mar gaya.Main hairaan aur impressed ho gaya.
Main: "Lagta hai tum in sab cheezon mein mahir ho."
Shanaya ne chaku ko zombie ke kapde se pochha aur bina kuch kahe aage badh gayi.
Main: "Dekho, agar baat nahi karni hai toh koi baat nahi, par kam se kam meri gun wapas kar do taki main apni raksha toh kar sakoon?
Shanaya: "Jitna mujhe pata hai, tum gun palatkar meri taraf hi chala doge.
Main: "Main tum par goli nahi chalaunga. Maine uss aadmi par bhi nahi chalayi jisne mujhe hathkadi pehnayi thi.
Shanaya: "Par tumne socha toh tha."
Jungle ke raste se guzarte waqt humein samne se kuch zombie dikhai diye.
Shanaya: "Shit! Dhatt teri ki, hum yaha nahi ruk sakte. Upar ek chhota sa gaon hai, waha tak pahunchte hai wahi rukte hai. Agar jhund nikal Gaya toh hum bach kar nikal jayenge, warna yeh walkers humein chaba daalenge.
Main: (Thoda gusse mein) "Hum koi chakkar nahi laga sakte. Mujhe apne parivaar ke paas pahunchna hai!
Shanaya: "Aur mujhe woh gaadi chahiye, lekin abhi tumhe mujh par bharosa karna hoga.
M
ain: "Jaise tumne mujh par kiya?"
Shanaya ne kuch soch kar meri hathkadi khol di.
Shanaya: "Mujhe iska pachtava mat karwana."Main apni kalayi modne laga, dard ho raha tha.
Shanaya: "Chalo, ab jaldi karo."Hum dono bhagne lage. Samne ek bada pankha hawa se ghoom raha tha.
Shanaya: (Bhagte huye, saanse phoolte hue) "Yaha jaldi karo!"Samne walkers ka ek bada jhund tha aur unke aage ek bada darwaza tha, jo thoda sa khula hua tha.Shanaya: (Gun uthate hue) "Darwaze tak pahucho!"Woh walkers ko goli maar kar raasta bana rahi thi, aur main uske peeche-peeche daud raha tha. Ek walker achanak se mere bagal mein aaya, par main usse bachkar aur tez bhaag gaya. Jaise hi hum gate tak pahunche, gate bandh ho gaya.
Hum dono ne bade darwaze ko khatkhatana shuru kar diya. Walkers humare kareeb aane lage, tabhi upar se goli chalne ki awaz aayi.Ek aadmi, jiski badi dadhi aur lambe baal the, gate ke upar khada tha. Woh apni gun se kuch walkers ko maar raha tha.
Woh Aadmi: Main gate tab tak nahi kholunga jab tak tum inhe maar nahi dete. Main koi risk nahi lunga.Main aur
Shanaya aur mein apni guns se walkers ko maarne lage, par meri goliyan khatam ho gayi. Shanaya ki shotgun ki goliyan bhi khatam ho gayi thi. Usne apni belt se revolver nikali aur ek paas aane wale walker par taan di.Lekin jab usne trigger dabaya, gun nahi chali.
Shanaya: "Oh, fuck! Ye nahi chal rahi!"Ek walker ne Shanaya ko darwaze se chipka diya aur usse khane ki koshish karne laga. Main jaldi se us walker ke sar par gun maara, jisse woh neeche gir gaya. Shanaya ne apne pair se uska sar kuchal diya.Tabhi gate khul gaya, aur woh dadhi wala aadmi bahar aaya gun leke.
Ajinkya: -Jaldi andar aao! Samay nahi hai."Jaise hi hum andar gaye, mujhe ghode ki awaz sunai di. Ek ghoda andar aa gaya, uspar ek aurat baithi thi.
Ajinkya: - Oh God! Ye kya bachpana hai, Vidya? Kisi din ye darwaze band reh jayenge aur tum baahar...
Vidya: (Thoda haske) :-Aur jab woh din aayega, Ajinkya, toh sabse pehle main tumhe khaungi!"
Ab ye kon hai aur iss gaon ke baare mein agli update mein pta chalega saath hi kya Arjun apne pariwaar ko dhundh kar bacha payega aur kya Shanaya sach mein help karegi yaa dokha degi aage pta chalega tab tak ke liye keep reading..
Disclaimer:- ye kahani mein kuch drishya aise hi honge jo apne shayad comics shows mein dekhe honge like violence aur bohut se ajeeb scenes toh please agar problem ho toh read karna chor do pehle hi bol deta hu.