- 65
- 60
- 19
Amazing Update Shanaya aur Arjun ab ek gao mein gye aa chuke jo ki Secured lgta hai Ye jo new log ki entry huyi hai Ajinkya aur Vidya kya ye Arjun ki help kar payenge aur kya Shanaya Arjun ki help karegi uske family ko dhundne mein yaa phir Arjun ko dokha milega ye dekhna hoga---
**Update 10:**
Apne last update mein aapne padha kaise Raghu ek aadmi, Arjun, ko apne thikane par le jaa raha tha. Par Arjun apni family ke liye kaafi chintit tha. Aly, jo Raghu ka banda tha, truck mein Arjun ko hathkadi lagakar le jaa raha tha. Raste mein Aly aur Arjun ke beech thodi baatein bhi hoti hain. Aly gusse mein tha kyunki Arjun ne unke aadmi par hamla kiya tha, apni family ko bachane ke liye. Lekin Arjun samjhata hai ki woh sirf ek accident tha, jaan bujhkar nahi kiya tha.
Jab ye dono baat kar hi rahe the, tabhi ek ladki, jiska naam Shanaya tha aur jo umar mein kaafi chhoti thi, ek ped kaat kar truck ke samne gira deti hai. Truck ka accident ho jata hai. Arjun kisi tarah revolver utha leta hai aur Aly par taan deta hai, lekin Aly ko kuch nahi pata tha. Woh bas wahi bolta hai jo Raghu ne usse sikha rakha tha. Arjun usse chhod deta hai, lekin tabhi Shanaya Arjun par peeche se gun taan deti hai aur uske bag se samaan nikalne lagti hai. Us bag mein Arjun ke paas Priya ke liye li hui chocolate bhi milti hai. Arjun usse kehta hai ki ye uski bhatiji ke liye hai, isse rehne do. Shanaya sun kar chocolate wapas bag mein rakh deti hai. Jab woh apna samaan le chuki hoti hai, toh Arjun se kehti hai ki apni aankhen band karo aur 100 tak gino.
**Ab aage:**
Shanaya: *"Apni aankhen band karo aur 100 tak gino, jaane se pehle."*
Arjun: *"Ruko, suno! Mera pariwaar... mujhe unke paas jaana hai. Hum par hamla hua tha aur main..."* (Arjun ki awaaz bhar aati hai).
Arjun: *"Dekho, mujhe sirf ye janna hai ki main kaha hoon. Hum checkpoint 52 par the, main van drive kar raha tha jab raste mein ek junkyard mila. Woh wahi honge, mujhe jaldi se un tak pahuchna hai!"*
Shanaya thodi soch mein padti hai.
Shanaya: *"Mujhe pata hai woh kaha hai. Tumne bola tha tum drive kar rahe the?"*
Arjun: *"Haan, humari van mein."*
Shanaya: *"Main tumhe junkyard tak pahucha dungi, par ek condition hai. Mujhe tumhari van chahiye, deal?"*
Arjun usein hairani se dekhta hai.
Shanaya: *"Main tumhe waha sahi salamat pahucha dungi, aur phir van lekar chali jaungi..."*
Arjun, kathor awaaz mein: *"Woh van humara ghar hai, uske alawa humare paas kuch nahi."*
Shanaya, muskurate hue: *"Yeh toh naa lag rahi hai, hai na?"*
Arjun: *"Kaisa rahega agar tum bas mujhe rasta dikha do, ek bhale insaan ki tarah?"*
Shanaya, gun tane hue: *"Aur kaisa rahega agar main tumhe yahin uda do aur van lekar chali jau?"*
Shanaya: "Ye tumhare liye acchi deal hai, ab chalo."Main uske aage chalne laga, haath mein ab bhi hathkadi thi.
Shanaya thodi peeche thi, shotgun dono haathon se kas ke pakad rakhi thi.
Main: "Ye karna zaroori hai?"
Shanaya: -"Haan, mujhe tum par bharosa nahi hai. Mein koi risk nahi lena chahti. Tum aise hi bandhe raho, yeh hum dono ke liye surakshit hai.
"Main: "Mujhe koi dikkat nahi hai. Waise bhi, main bhi tum par bharosa nahi karta.
Shanaya: (Thodi hansi ke saath) "Waah, deja vu ho gaya! Lagta hai hum ek dusre ko ache se samajhte hai.
Main: "Mera naam Arjun hai, waise
"Shanaya kuch der ke liye chup rehti hai, phir bolti hai:
Shanaya: "Shanaya.
"Raat ka andhera tha, hum sadak ke beech se ja rahe the. Pedon se patte gir rahe the, jo humare pairo se kuchal rahe the. Hawa bhi kaafi tez chal rahi thi. Ye jagah darawani lag rahi thi, aur meri dhadkan aur tez ho gayi thi. Ek toh Shanaya par bharosa nahi tha, par koi doosra option bhi nahi tha. Mera dimaag sirf mere parivaar ki chinta mein uljha hua tha.
Har waqt bure khayal aa rahe the – kya pata Raghu ne unhe pakad liya ho ya kuch aur bura ho gaya ho.Achanak, ek zombie ek side se meri taraf jhapta. Haath bandh hone ki wajah se main peeche hatt gaya, lekin Shanaya ne apna chaku nikala aur us zombie ke pair par ek zor se kick mari. Zombie neeche gir gaya, aur usne apna chaku uske sir mein ghusa diya. Zombie mar gaya.Main hairaan aur impressed ho gaya.
Main: "Lagta hai tum in sab cheezon mein mahir ho."
Shanaya ne chaku ko zombie ke kapde se pochha aur bina kuch kahe aage badh gayi.
Main: "Dekho, agar baat nahi karni hai toh koi baat nahi, par kam se kam meri gun wapas kar do taki main apni raksha toh kar sakoon?
Shanaya: "Jitna mujhe pata hai, tum gun palatkar meri taraf hi chala doge.
Main: "Main tum par goli nahi chalaunga. Maine uss aadmi par bhi nahi chalayi jisne mujhe hathkadi pehnayi thi.
Shanaya: "Par tumne socha toh tha."
Jungle ke raste se guzarte waqt humein samne se kuch zombie dikhai diye.
Shanaya: "Shit! Dhatt teri ki, hum yaha nahi ruk sakte. Upar ek chhota sa gaon hai, waha tak pahunchte hai wahi rukte hai. Agar jhund nikal Gaya toh hum bach kar nikal jayenge, warna yeh walkers humein chaba daalenge.
Main: (Thoda gusse mein) "Hum koi chakkar nahi laga sakte. Mujhe apne parivaar ke paas pahunchna hai!
Shanaya: "Aur mujhe woh gaadi chahiye, lekin abhi tumhe mujh par bharosa karna hoga.
M
ain: "Jaise tumne mujh par kiya?"
Shanaya ne kuch soch kar meri hathkadi khol di.
Shanaya: "Mujhe iska pachtava mat karwana."Main apni kalayi modne laga, dard ho raha tha.
Shanaya: "Chalo, ab jaldi karo."Hum dono bhagne lage. Samne ek bada pankha hawa se ghoom raha tha.
Shanaya: (Bhagte huye, saanse phoolte hue) "Yaha jaldi karo!"Samne walkers ka ek bada jhund tha aur unke aage ek bada darwaza tha, jo thoda sa khula hua tha.Shanaya: (Gun uthate hue) "Darwaze tak pahucho!"Woh walkers ko goli maar kar raasta bana rahi thi, aur main uske peeche-peeche daud raha tha. Ek walker achanak se mere bagal mein aaya, par main usse bachkar aur tez bhaag gaya. Jaise hi hum gate tak pahunche, gate bandh ho gaya.
Hum dono ne bade darwaze ko khatkhatana shuru kar diya. Walkers humare kareeb aane lage, tabhi upar se goli chalne ki awaz aayi.Ek aadmi, jiski badi dadhi aur lambe baal the, gate ke upar khada tha. Woh apni gun se kuch walkers ko maar raha tha.
Woh Aadmi: Main gate tab tak nahi kholunga jab tak tum inhe maar nahi dete. Main koi risk nahi lunga.Main aur
Shanaya aur mein apni guns se walkers ko maarne lage, par meri goliyan khatam ho gayi. Shanaya ki shotgun ki goliyan bhi khatam ho gayi thi. Usne apni belt se revolver nikali aur ek paas aane wale walker par taan di.Lekin jab usne trigger dabaya, gun nahi chali.
Shanaya: "Oh, fuck! Ye nahi chal rahi!"Ek walker ne Shanaya ko darwaze se chipka diya aur usse khane ki koshish karne laga. Main jaldi se us walker ke sar par gun maara, jisse woh neeche gir gaya. Shanaya ne apne pair se uska sar kuchal diya.Tabhi gate khul gaya, aur woh dadhi wala aadmi bahar aaya gun leke.
Ajinkya: -Jaldi andar aao! Samay nahi hai."Jaise hi hum andar gaye, mujhe ghode ki awaz sunai di. Ek ghoda andar aa gaya, uspar ek aurat baithi thi.
Ajinkya: - Oh God! Ye kya bachpana hai, Vidya? Kisi din ye darwaze band reh jayenge aur tum baahar...
Vidya: (Thoda haske) :-Aur jab woh din aayega, Ajinkya, toh sabse pehle main tumhe khaungi!"
Ab ye kon hai aur iss gaon ke baare mein agli update mein pta chalega saath hi kya Arjun apne pariwaar ko dhundh kar bacha payega aur kya Shanaya sach mein help karegi yaa dokha degi aage pta chalega tab tak ke liye keep reading..
Disclaimer:- ye kahani mein kuch drishya aise hi honge jo apne shayad comics shows mein dekhe honge like violence aur bohut se ajeeb scenes toh please agar problem ho toh read karna chor do pehle hi bol deta hu.
---

The Last Game of The Dead ek zombie apocalypse ki kahani hai jo Kapoor family par focus karti hai. Is kahani ke Patra
Introduction:-
Arjun Kapoor : Ek former cricketer jo fixing ke allegations ki wajah se retired ho chuka hai. Uska past uski life ko badi had tak affect karta hai inke career barbaad hone se aur baad mein apne pita ke Aakhiri waqt par naa aane ka inki family aur in par thoda Rukh bhi hua hai.
Vikram Kapoor: arjun ka bada bhai, jo army mein tha lekin family ki zarooraton ko sambhalne ke liye resign karna pada. Vikram aur arjun ka Humesha se relation thoda complicated rha hai
Sandhya Kapoor: Vikram ki dusri patni
karan: Vikram ka beta aur sandhya ka step-son.
Priya: Vikram ki beti aur Sandhya ki step-daughter karan ki behan
Rajveer kapoor : Arjun ke Pita (Deceased )( flashback ).
Arun Kapoor ( Manjhle bhai Vikram se Chota hai aur Arjun se bada ) ( Alive ) Infected.
Rekha Kapoor :- Arjun Aur Vikram ki maa ( Flashback )
Aur characters bhi aayenge unka introduction baad mein.
Update -3
Rajveer Arun ke upar hamla kar deta hai gurrate huye Arjun aur Vikram usse dur karne ki koshish karte hai.
Vikram aur Arjun Rajveer ko alag karte huye aur rajveer ko shaant karate huye rajveer ka shareer gray rang sa ho gya tha woh gurrate huye haath chala rha tha.
Vikram ( Shaant karate huye ) :- Dad ye mein hu apka beta Vikram shant ho jaiye papa ye apka Ghar hai
Rekha andar aate huye :- kya kar rhe ho ye tum log ? Arjun aur Vikram jo rajveer ko table par dabaye huye the chillati hai.
Arjun :- maa papa ko pta nahi hai kya hua inhone Arun Bhai par attack kar diya paglon ki tarah harkate kar rhe hai.
Rekha ( rote huye ) :- woh sirf dare huye. ( Apna haath rajveer ki Taraf badhati hai.
Arjun :- maa please..
Rekha Arjun ki baat ko unsuna kar deti hai aur apna haath rajveer ke gaal par rakh deti hai rajveer ki aankhen laal thi uska chehra dheere dheere safed ho rha tha.
Ek cheenkh sunayi deti hai ye Rekha ki thi Jo neeche gir jati hai uske gaal par rajveer ne kaat kar liya tha.
Arjun aur Sandhya Rekha ke paas bhagte hai usse sambhalte hai
Vikram Rajveer gala padhkar usse sambhalne ki koshish karta hai
Sandhaya:- maa aap thik ho jayengi kuch nahi hua.
Vikram Rajveer ko sambhal rha tha but thokar khaa kar gir jata hai rajveer uske upar tha us par hamla karne ki koshish kar rha tha.
Arjun bhag kar uske paas aata hai.
Arjun :- Vikram ( Bed se ladki Tod kar marne ke liye aage badhta hai but mar nahi pata) mujhe maaf karna papa aur uss ladki ke dande se sar par waar karta hai.
Vikram rajveer ki body apne upar se hata kar bagal mein phek deta hai Arjun usse haath pakad kar uthata hai woh tej tej saansen le rha tha Arjun aur Vikram dono Ko kuch samjh nahi aa rha tha dono bohut der tak khamosh rhe.
Sandhya :- Hume jaldi Jana hoga maa ko hospital le jana hoga jaldi hi.
Arjun aur Vikram dono apna dhyan maa ki taraf lgate hai.
Arjun :- mujhe dekhne do ye kya ghaav hai.
Vikram Karan se puchte huye :- tumhari behan kaha hai ?
Sandhya ne Rekha ke gaal par kapda rakha tha Arjun Rekha ko pakad kar Bahar laa rha tha
Arjun :- gaadi ki chabhiyana kahan hai ?
Arun :- papa ki car le chalo chabi dashboard mein hogi.
Rekha kapda Gaal par lgaye Vikram ke saath car mein baithi thi.
Arjun car ki glass par aate huye
Arjun :- maa
Vikram :- chabi milte hi hospital mein milna Hume.
Arjun :- highway se nahi woh band hoga.
Vikram gaadi start karta hai hospital nikal padhta hai.
Sandhya :- mein van ko yaha lgane mein Arun ki madad karti hu
Arjun :- Priya kaha hai karan ?
Karan ( pareshani mein ):- mujhe nahi pta.
Arjun awaaz dete huye :- priya Hume jana hoga dadi ko chot lgi hai.
Arjun pure Ghar mein Priya ko dhundhta hai usse dinner table ke neeche awaz aati hai woh dekhta hai Priya neeche chipkar baithi hai.
Arjun:- beta chalo Hume Jana hoga jaldi ( Woh priya ko jabardasti pakad kar uthata hai )
Priya :- nahi nahi mujhe nahi Jana.
Arjun usse van mein bitha deta hai :- sab kuch theek hai Priya.
Arjun :- new city hospital mujhe rasta pta hai yaha se left ki taraf.
Sandhya Steering ghuma deti hai jise gaadi thodi thokar si khaati hai jab Arun pakadne ke liye dekhta hai toh usse apne haath par kharoch ke nishan milte hai.
Arjun ye dekh leta hai Arun apne haath ko chupa leta hai.
Bohut se Zombie ka jhundh aate huye dikhta hai.
Update :-1
The Beginning
Ek awaaz kehti hai phone call par Samay aa chuka hai
Dusri awaaz kehti hai thik hai mein bag pack karke aata hu
Pehli awaaz :- nahi Arjun tumhe abhi aana hoga jaldi se
Ji Haan ye koi aur nahi Arjun ka bada Bhai hai
Vikram:- dekho arjun mein tumhe koi bak bak nahi bolne wala Tum jab dad Bimaar the cancer se tab bhi nhi the mein smjh skta hu but abhi tumhe aana hoga Unke akhiri samay par hona hi hoga.
Arjun :- thik hai mein smjh gya mein mein raste mein hi hu
Ek Ladka adhi raat ko sun saan sadak par bhag rha tha uske chehre par dukh ke bhav the thaka hua tha but phir bhi woh bhag rha tha usne apni car raste mein hi chor di kyunki traffic had se jyaada woh wait nahi kar skta tha koi aur car ka try kiya lekin saare transport band the uske paas koi aur rasta nahi tha
Dusri aur ek Ghar ke aangan mein ek admi Drink kar rha tha uske bagal mein bohut glass the aur ek woh pi rha tha aur tabhi waha ladka bhagte huye aate huye kehta hai Joe Joe
Arjun ( Gehri saans lete huye paseena saaf karte huye ):- Vikram mere bhai mene try Kiya pahuch but trafic bohut bada hai aur lamba bhi tha.
Vikram Arjun ko tokte huye :- woh nahi rhe.
Andar se rone ki awaaz aa rhi thi.
Arjun ki maa uske Bhai se gale lg kar ro rhi thi.
Arjun ( dukhi awaaz mein ) :- nahi nahi Mene bohut try kiya tha.
Vikram Arjun ko dhakka mar deta hai :- Arjun tum ek ghatiya aur loser insan ho
Vikram :- sirf ek baar ke liye tumhari yaha jaroorat thi.
Arjun :- mene koshish ki thi sorry mene koshish ki Vikram
Vikram :- tumne koshish ki tumne sirf koshish ki
Vikram aage bhadh kar Arjun ko mukka mar deta hai arjun neeche gir jata hai
Vikram :- yaha sab hai Arjun jo unke nahi hai woh bhi dino tak se aur tum kaha the ?
Arjun safai Dene ki koshish karta hai but Vikram usse rok deta hai
Vikram :- hum sab waha the unke chahne wale sab waha the woh mene unhe dara hua dekha tha Arjun unhe gabhrahat ho rhi thi woh pure room ko dekh rhe the
Vikram rote huye :- Woh puch rhe the Arjun kaha hai mera beta kaha hai ?