• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Waqt.....

Are you enjoy the story?

  • Best

    Votes: 15 68.2%
  • Good

    Votes: 8 36.4%
  • Thik

    Votes: 0 0.0%
  • Bad

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    22
268
762
93
Update - 11


"Kya muje sab kuch itni aasani se mil gaya tha ki mene ye jaan ne ki koshish hi nahi ki jiske paas pariwaar nahi unse puchake dekho aakhir kese Pariwar sabse anmol hota hai aur mata-pita kese uss taaj ki tarah jote hai jisse hum sada ke liye apne sir pe bithana chahenge."


Ab aage....


Paridhi ke dimag se ab sab kuch saaf ho chuka tha.. Dimag thanda pad chka tha... Vo desk se Dyari uthati hai... uss pata nahi lekin ab Paridhi ko iss Dyari ke prati khinchav lagne lagta hai... Pata nahi kyu Dyari ko dekhate hi Paridhi ko achha kyu lagne lagata hai?... kyu iss Dyari ko dekh ke hi use abhi uske apne mata pita se rudly baat karne ke liya bura lagne lagta hai?.... kyu apne aap hi Paridhi ke hotho se Pavan ne likhe shabd nikalane lagate hai?.... Paridhi aek baar uss Dyari ko apne hatho me leke charo aur dhumane lagati hai... aur phir use aage padhane ke liye Dyari ko kholati hai...


Jese hi Paridhi panne palatane wali hoti hai ki Cabin ka darawaja koi khatkhata hai... Paridhi ka dhyan abhi bhi Dyari ke panne paltne me hi hota hai... Tabhi doosri baar Cabin ka darawaja koi khatkhata hai..


Paridhi ka dhyan ab tootata hai.. Vo Cabin gate ki aur kha jane vali najar se dekhne lagati hai..


Paridhi - "Come in..."


Cabin me aek buddha aadami ander aata hai.. vo Chauhan Empire ka salo purana Business Executive tha...


Paridhi - "Are Sharma uncle aap... bethi ye na..."


Sharmaji - "Ji Madam aaj aapki board meeting thi na iss liye aaya tha.."


Paridhi - "Aap bhi muje madam mat boliye mai to aapki beti jese hi huna..."


Sharmaji haste huve - "Tum bilkul apne pita pe gayi ho beti..."


Paridhi - "Shukriya uncle.."


Paridhi - "Aaj meeting hai.. lekin muje koi pata nahi tha.. aapko batana chahiye tha na pahele..."


Sharmaji - "Vo kal tum jaldi nikal gayi thi.. aur shaam ko party bhi thi... isiliye bata nahi saka...."


Paridhi - "Koi baat nahi uncle..... vese meeting me kis bare me discuss kiya jane vala hai."


Sharmaji - "Vo pichale aek saal se company ke profits ka rate kuch jyada badh nahi paya hai... so tumhare Pitaji ne aaj meeting rakhi thi... pure board members aaj hajir rahenge"


Paridhi - "hmmm.... thik hai uncle, aap uske details muje de dijiye... mai aek baar sab dekh laeti hu..."


Sharmaji - "Thik hai... beti... meeting aadhe ghante baad hai..."


Paridhi - "Thik hai uncle...."


Sharmaji papers rakh kar waha se nikal jate hai.. Paridhi papers ko achhe se dekhne aur samjne lagati hai... aur phir meeting ke liye chalti hai..


Meeting me Company ke bare shair holders aur Board ke members bhi bethe the... Rahulji bhi apni jagah bethe hote hai... lekin jab unn sab ke bich Paridhi ne Avinash ko betha dekha Paridhi ka dimag hi ghum gaya...


Paridhi use kha jane vaali najro se dekheti huyi.. apni seat pe aake beth ti hai... aur meeting start hoti hai..


Vaha pe Company HR Mukeshji ne sab ka intro Paridhi se karva rahe the... aur Paridhi sab ke sath achhe se behave karke unka pura kaam bhi samaj rahi thi..... Aur phir Mukeshji ne Avinash ka intro karavaya... lekin Paridhi ne aek baar bhi Avinash ke samne dekha bhi nahi aur kuch react bhi nahi kiya... Meeting me bethe sabko thoda ajeb to laga lekin sab ne apna concentrate meeting pe kiye.. vese bhi company Paridhi ki hai to use iss bare me puchega bhi kaun?.


Lekin Avinash per Paridhi ke behaviour ka koi asar nahi dikha vo smile hi de raha tha......


Paridhi - "Pichhle aek saal se company ka profit na badh pane ki koi khas vajah..."


Company me pichhle 25 saal se kaam kar rahe aur ab company ke Business Head bane Vivekji ne kaha


Vivekji - "Hamari company ka Profit me jo bhi loss huva hai.. jiska kaaran company ke samne doosri company ka market me utarana hai.... aur iss competition ki vajah se logo ki choice dusari comapnies ki aur bhi dhali hai... aur isi vajah se product selling kam huyi hai pichhle aek saal me"


Paridhi - "Hmmm.... lekin hamari company salo se iss field me hai... phir itni jaldi doosri companies ke samne hame loss kyu ho raha hai?."


Vivekji - "Doosri companies ka sell margin aur profit margin hamse kam hai... isiliye logo ka jukav doosri companies ki aur badh raha hai... esa agar aek saal aur chala to hamari company koi profit nahi kar payegi..."


Paridhi - "Hmm... kya hum apna sell margin kam nahi kar sakte?"


Sharmaji - "Iss se company ke logo ki salaries pe bhi asar dikhega... Aur abhi hamari product mai best features dene ke liye acche raw materials use hote hai jo ki costly bhi hai... sell margin kam karne se shair holders ko bhi kam profit me hissa milega.."


Paridhi - "Kya kisi ke pass koi sujav hai?"


Paridhi ne sabki aur aek baar dekhte huve... lekin Paridhi Avinash ko avoid hi kar rahi thi...


Sab apni apni soch bata rahe the... sujav de rahe the.. lekin kisi ka bhi sujav bahetar nahi tha jiss se company ka doosri companies se competition khatm hoke market me akele hi rahe...


Avinash inn sab ke bich bas muskura raha tha.... jab sab me apna apna sujav de diya tab


Avinash - "Kya mai apna sujav de sakata hu?"


Avinash ne Paridhi ki aur dekhte huve bola.. lekin Paridhi ne ese react kiye ki jese uss ne Avinash ki baat suni hi nahi..


Rahulji aekdam se khush hote huve - "Haa bolo Avinash..."


Avinash - "Thank you sir..."


Avinash apni jagah se khada huva aur projecter ke pass pahuncha usne kuch slides lagaye..


Avinash - "Ham iss ka hal do tarike se nikal sakte hai.. pahela ki ham doosri companies ke sath rah ke takkar de... jiss se sabhi companies ka nukasan hi hoga... kyu ki jese hi ham apne sell price kam karege.. doosri companies bhi apne sell price ko kam karegi... aur loss sari companies ko sahena parega.... aur ab doosra rasta ye hai ki market me koi doosri companies rahe hi na sirf Chauhan Empire hi rahe... koi roktok nahi..."


Vaha meeting me bethe sab ka dhyan ab Avinash ki aur hi tha.. lekin Paridhi abhi bhi papers me hi muh ghusaye huvi thi... lekin uss ke kan sab kuch sun rahe the..


Avinash - "Aur agar ham doosre raste pe chalna chahte hai to hame doosri companies ko raste se hatana hoga.... aur iske liye hame vahi purani niti Chanakya vali "Shaam, Daam, Dand, Bhed." apana chahiye... agar kosish achhi rahi to shayad hum kuch companies ko kharid bhi sakenge... aur na kharid sake to bus aek leak news hi kafi hai Market ko hila ke rakh dene ke liye"


Meeting me bethe jyadatar profit hote dekh Avinash se Impress ho gaye... lekin Paridhi ka chahera abhi bhi mood off hi tha..


Paridhi ese Avinash ko bahetar banata kese dekh sakati thi.... Paridhi uth ke sab ke samane aati hai - "Dekhiye hum yaha kisi ko galat tarike se jitne nahi aaye hai ki "Dand, Bhed" ka istemal karenge... Aur rahi baat doosri choti compnies ko kharidane ki so muje ye idea thik laga...."


Rahulji bas mauke ki talas me hi bethe the - "To bas ye tay raha ki Avinash aur Paridhi sath me iss work ko sambhalenge...."


Paridhi ka mood vapas se aur bigadne wala hota hai lekin vo ab apni vajah se apne pita ko dukh nahi dengi isliye - "Lekin iss ko shuru karne se pahele mai bhi kuch ideas aapko share karana chahati hu ki... Jese market mai nayi compines enter kar rahi hai vese hum bhi naye sire se market me phir se enter karenge lekin doosre brand name ke sath jo ki Chauhan Empire ki subdividary company hi hogi..."


Paridhi - "Hame ese hi apni hi alag alag brand name se 3-4 compies ko market mai shuru kar shakate hai... aur har compaines me apni products ko kuch different nature se logo ke samane pesh karenge taki compition rahe to bhi sirf hamari khud ki hi company ke bich me hi rahe."


Paridhi - "Aur jesa ki Vivekji ne bataya ki hamare raw materials acche hai so hame uss bare me bhi sochana chahiye ki ham apne products ko logo ke samane kis tarah se pesh karenge... Kyu bahetar quality ke sath bahetar brand bhi ban sakati hai...."


Paridhi ka sujav kafi achha tha so sab khush ho chuke the iska fayada uthate huve - "So me aur Vivekji iss work ke sath kaam suru karte hai aur Mr. Avinash aur Sharma Uncle market companies ko kese kharidana hai uss pe work karenge... Lekin mai bhi iss team ka hiss rahungi jese ki mere Papa ne kaha...."


Paridhi khudako uss chipaku Avinash se dur hi rakhana chahathi thi lekin apne papa ko dukhi bhi nahi karana chahati thi to usne ye kah diya ki vo iss team ka hiss rahegi lekin work Avinash aur Sharma uncle hi karenge...


Paridhi Sharmaji se kahete huve - "Aap muje doosri companies ki sari details lake dikha dijiyega.."


Meeting khatm hoti hai... Aur Paridhi vaha se uth kar chali jati hai... lekin Avinash Paridhi ko dekh muskura hi raha hota hai...


Paridhi jald se apne cabin me aake gate band karti huvi.. chair pe aake ludhak jaati hai.. uska muh gusse se lal ho chuka hota hai..


Paridhi - "Kya samjata hai apne aap ko?... Oh God me pagal ho jaungi agar ye yahi raha to... usne pahele hi din sab ke samane apna achha impression jama diya... iski over samrtness ko agar uda na diya na to mera naam bhi Paridhi Chauhan nahi..."


Paridhi gusse me bad bada rahi thi...



Lekin iss Waqt ko kuch aur hi manjoor tha... aakhir Waqt se bhag bhi kon sakta hai.... Paridhi ko Waqt ne abhi kuch ese hi mod pe khada kiya tha jiss se uski jindgi badalne vali thi... Kaafi kuch badlne vala tha... Kya ye mod Avinash ke Paridhi ki life me aane se badlane vala tha ya phir kuch aur bhi tha jo abhi dikh nahi raha tha...



~ Gabbar is Back:cowboy2:
 
Last edited:
268
762
93
Update - 12


Lekin iss Waqt ko kuch aur hi manjoor tha... aakhir Waqt se bhag bhi kon sakta hai.... Paridhi ko Waqt ne abhi kuch ese hi mod pe khada kiya tha jiss se uski jindgi badalne vali thi... Kaafi kuch badlne vala tha... Kya ye mod Avinash ke Paridhi ki life me aane se badlane vala tha ya phir kuch aur bhi tha jo abhi dikh nahi raha tha...


Ab aage....


After 3 Months


Waqt ese hi bitata ja raha tha.... Aaj uss meeting ko huve 3 mahine ho chuke the... Paridhi ki company kuch companies ko kharib bhi chuki thi jisse company ka 1 mahine se profit rate me kuch izafa bhi huva tha.... Aur sab log iska shrey Avinash ko hi de rahe the... lekin Paridhi aur Avinash ke bich kuch nahi badla tha... lekin Avinash ke company me rahene se uss ko Paridhi se kai baar kaam ke sil sile me milna padta tha... lekin kaam pura hote hi... Paridhi vaha se muh banake nikal jati lekin Avinash use smile hi deta... Rahulji bhi kafi khush the jiss tarah se Paridhi ne company ko sambhala tha...


Paridhi ab apni company me busy ho gayi thi... Aur sath me kuch Waqt apne friends ke sath bhi gujar liya karti thi... Naina to use roj hi milti... Vo friends kam bahene jyada thi... Dev bhi Naina ko Di kaheke hi bulata tha...


Paridhi Dev ko roj subah school chodne jati aur phir vaha se company office pahunch jati....


Abhi abhi Paridhi Dev ko school chodke apne cabin aake chair pe baithi thi... Aaj 3 mahine baad paheli baar Paridhi ke desk pe koi kaam pending nahi pada tha... Paridhi ne chain ki saans li... Vo hotho se gana budbuda rahi thi....


Aur phir uska dyan Dev ki aur laga... Vo Dev ko bahut pyaar karti thi... aek Maa ke jese pala tha Dev ko.. Aur Dev bhi Paridhi ko kabhi maa se kam nahi manata tha... Paridhi ke jahan me Dev ki ab tak ki sari shaitaniya daudne lagi... vo khud b khud has has ke lot pot ho rahi thi... chahere pe muskan aur aanko me aanshu ke sath pyaar chalak rahe the...



Tabhi use Dev jab XX saal ka tha tab vala kissa yaad aaya jisme Dev ne subah subah pure ghar ko hi sir pe chadha liya tha..... abhi soch ke hi Paridhi ko hasi chut gayi...


Color - Paridhi's Past....


Dev age - XX year's old...


Huva yu tha ki... Paridhi tab college first year me thi aur Dev 5th class me tha... aur tab Dev ka janm din bhi tha... sab Dev ko pichhle din se hi Dev ko surprise dena ka plan kar rahe the... aur surprise agle din use shaam ko dene ka plan tay kiya gaya... aur tay huva ki koi bhi Dev ko shaam se pahele birthday wish nahi karega.... Sumitaji ne ye baat khas kar Paridhi ko yaad dilavayi thi ki vo khush hokar apne bhai se sab kuch ugal na de.... jiss se Paridhi ka muh ban gaya tha kyuki sara surprise ka plan hi Paridhi ka tha.....


Agali subah jab Dev utha uska dil joro se dhadak raha tha kyu ki aaj uska birthday tha.. aur aaj use kayi sare gifts milne vale the... jo har saal ki tarah subah uth te hi uske samne hote the...


Dev ne jese hi aaspass dekha uski aankhe badi ho gayi.... kyu?... kyuki aaspass kuch nahi tha... kamara vesa hi tha jesa ki kal tha... usska mood pura bigad gaya..


Dev - "Kya aaj kisiko pata nahi hai ki mera birthday hai?... had ho gayi... aur Di... Di ko to hamensa se hi pata hota hai... vo kaha gayi?..."


Dev jald se uth ta huva aur daudata huva Paridhi ke kamre ki aur bhaga aur jese hi usne kamre ka darwaja khola uski aankhe badi ho gayi... aur sath hi Chahera bhi gusse se tamatar jesa lal ho gaya... kyu?.... kyu ki Paridhi uske samne aaj Dev ka birthday hote huve bhi ghode bechake so rahi thi...


Dev ke nanhe se cute se chahere pe gussa use aur cute bana raha tha... Paridhi jagi huvi thi lekin sone ka natak kar rahi thi... use bhi Dev ka gusse se lal huva tamatar jesa chahera dekh kar bahut pyaar ke sath hasi bhi aa rahi thi... lekin usne khud ko roke rakha.. kyu ki aaj use Dev ko surprise jo dena tha...


Dev kamre ke ander aaya... usne apni muthhi ko kaske bhida aur chal diya Paridhi ke bed ke pass aur Dev ko apne pass aate dekh Paridhi ne apni aankhe mund li aur jootha natak karne lagi..


Dev ka gussa badhta hi ja raha tha... Usne aek baar Paridhi ki aur dekha aur phir vaha se mud gaya...


Paridhi ko bhi Dev ki aur se koi harakat mahesoos na hone se ajib laga lekin usne apni aankhe band hi rakhi... Waqt palo ke hisab se gujar raha tha... Paridhi ki baicheni badh rahi thi.... Ki aakhir Dev apna gussa nikale bina chala kaha gaya?


Ki tabhi jese Paridhi ke pure sharir me bijali daud gayi.. vo hadbadke uthi.... kya huva use?.... Paridhi puri bhig chuki thi.... aur manjar kuch esa tha ki.... Paridhi bed pe bethi aankhe faad faad ke dekh rahi thi aur kya huva use smajne ki kosish kar rahi thi... ki tabhi aek aur bijli ki tarah jataka laga aur aek baar aur Paridhi ke uper pani ki bochad ho gayi....


Ab to halat kharab hi ho gayi Paridhi ki... pura bed bhig chuka tha aur thandi ka mausam bhi joro se chal raha tha vo thand se kamp rahi thi... Paridhi ne Dev ki aur kampte huve dekha....Dev ke hatho me aek choti balti thi aur niche aek aur balti khali padi huyi thi.... Aur chahera.... Chahere pe faili huvi vo shaitaniyat bhari muskan use abhi kisi vilain se kam nahi bana rahi thi...


Paridhi kya kare?... kese react kare?..... uska dimag pura sunn pad gaya tha thande pani se.... aur jo usne pahele shabd muh se nikale vo the..


Paridhi tej se boli - "Mamma...."


Lekin Dev Paridhi ke ese Mamma kahe kar chillane se Dev ki muskan aur chaudi ho gayi.... jese vo yahi chahta ho ki Paridhi mamma bolke chillaye...


Nichee se Sumitaji ki bhi ghabarayi huyi aawaj aayi - "Kya huva beta?.... kya huva?... ruk me aa rahi hu uper..."


Sumitaji tej kadmo se aur lagbhag daudte huve Paridhi ke kamre ke gate tak pahunchi aur jese hi unhone kamre ke ander pair rakha unke pair vahi tham gaye....


Kyu?.... Paridhi ko dekh kar.... bilkul nahi.... Sumitaji ke pair wahi tham gaye kyuki unhone ne bhi bijali wala jatka khaya.... Vo puri bhig gayi...... Unka bhi thande pani se dimag sunn pad gaya... unka muh khula... badi badi aankhe se samne hi dekh rahi thi.... Paridhi bhi shocked thi... Sumitaji ne sir dhumake side me dekha Dev wahi gate ke piche aek chair pe khada tha haath me pani ki khali balti thi.... aur chahere pe aek bahut badi vijayi muskan... jese aaj usne apna janm din ka gift subah subah le liya ho....


Aur ab Sumitaji ka dhyan Paridhi pe pada... Paridhi bhi puri bhig chuki thi... Aur phir Sumitaji ne phir se Dev ki aur dekha jis ke chahere pe vahi muskan thi... Aur phir aek baar aur Sumitaji ne Paridhi ko dekha Paridhi bhi apni maa ko hi dekh rahi thi... aur ab dobo ki hansi chut gayi..... dono ka aek doosre pe has had ke bura haal huva jaa raha tha... ki tabhi aek aur aawaj nichhe se sunani di...


Rahulji - "Sumita...Pari... thik to hai na sab kuch... aur ye Pari iss tarah se kyu chillai?.."


Rahulji ki aawaj sunkar Sumitaji ne aek najar Dev pe dali aur phir Paridhi pe... aur jese vo Paridhi ko isharo isharo mai hi sab kuch kah rahi ho...


Sumitaji - "Aap jara uper aayiyena... Dekhiye Pari ko kya huva hai?..."


Rahulji ki bhi ghabarayi huvi aawaj aayi - "Kya huva hai Pari ko?... me aa raha hu uper..."


Paridhi apne bed se khadi ho gayi thi aur teji se kamre se bathroom tak pahunch chuki thi... Rahulji bhi teji se chalte kam daudte huve kamre ke pass aaye aur jese hi unhone pahela kadam kamre me rakha vo bhi freeze....


Kyu?... Paridhi aur Sumitaji ko dekh kar... nahi bilkul nahi.... unhe bhi vahi bijli ka jataka laga...jesa Paridhi ko do baar Sumitaji ko aek baar laga tha... Vo bhi pure bhig chuke..... Unka bhi muh khula ka khula aur aankhe fati ki fati... Vo kuch pal ese hi sunn khade rahe aur phir side me mudke dekha... Dev ke hatho me khali balti thi... aur uske chahere pe ab pahele se bhi bhayanak khatarnak muskan ho gayi thi.... Rahulji bas Dev ko dekh te hi rah gaye... tabhi Dev ne pichhe mud ne ka ishara kiya....


Rahulji pichhe jese hi mude aek baar aur freeze ho gaye..... Ab aek aur bijli ka jatka laga... Ab Rahulji ke pure kapre gile ho chuke the.... Unka dimag sach me thande pani se sunn pad gaya tha.... Unhone bhigi palko se dekha Sumitaji ke hatho me aur bhi pani ki khali balti thi.... aur chahere pe aek pyaari muskan...... Aub ab Dev ki hasi chuti.... jor jor se has ne laga... Dev pet pe hath rakh lot pot ho raha tha.... Sumitaji pyari si muskan ke sath Dev ko dekh rahi thi aur Rahulji ka dimag abhi bhi sunn hi pada tha...


Dev ka has has ke bura haal ho raha tha... ki tabhi kisine uske kandhe pe hath rakha.... Dev ne wahi haste huve apni aankhe band rakte huve piche dekha.... aur vo bhi freeze..... hasna aek dam se band ho chuka.. chahera pura shocked tha... ankhe fati ki fati... muh khula huva kuch bolna chahta tha lekin kuch bol bhi nahi paa raha tha..


Samne Paridhi hath me kahli pani ki balti leke khadi huyi thi... aur chahere pe Sumitaji jese hi pyari si muskan thi....


Aur ab hasne ki bari Dev ke alawa baki tino ki thi... jo ki joro se thahake laga rahe the.... sab ke bhi has has ke pet dukhne lage... Dev bhi unn sab ko hasta dekh hasne laga.... Paridhi ne pyaar se apne bhai ko utha liya... aur pure kamre me aek chhakar laga di.... Vo bahut khush thi aur Dev ko uthate huve gol gol ghum rahi thi.... Phir Sumitaji ne Dev ko Paridhi ke pass se niche utara...


Aur sab vahi bhige kapdo ke sath Dev ka Birthday Wish kiya... aur dher sare gifts diye... Lekin Dev ka man bhar chuka tha.. use apna gift mil chuka tha...


Dev - "Muje ab koi gifts nahi chahiye mamma... Muje na sab kuch mil gaya...." aur Paridhi ke gale lagte huve - "Thank you Di... aap duniya ki sabse best Didi ho...." aur phir apne mom dad ko gale lagate huve - "Aur aap dono ko duniya ke best m best mamma...pappa ho...."



Sab ki ankhe bhar gayi thi.... sab ke bich kitna gahera pyaar tha...


Present.... Date - 25/11/2015...



Paridhi ki aankhe puri bhig chuki thi.... lekin ye khushi ke aanshu the... aur chahere pe bhaut hi phaari si muskan thi.....


Paridhi ko ye ahesah huva ki uss din Dev ko gifts kyu nahi chaiye the....


Kyu ki usse pyaar mila tha... Apne pariwar ka pyaar... apni bahen aur mom dad ka pyaar mila tha... aakhir pyaar se badi chij bhi kya ho sakati hai... Aur iss Pyaar aur apnepan ke alawa aur kya chahiye bhala..


Tabhi Paridhi ke chahere ki muskan gayab ho gayi... use kuch yaad aaya tha...


Paridhi ne jaldi se apnr drawer ko khola... aur usme uss Dyari ko wahi pada dekh sukoon ki saans li kyu ki 3 mahenie pahele uss ne ye Dyari kaha rakhi thi usse yaad nahi raha tha...



Paridhi ne jaldi se Dyari ke panne palte aur waha aa gayi jaha usne last me padha tha.. usne vo aakhari do paragraph phir se padhe....


"Par ye 9 saal ke dard ko me kis shabd mo baya karu muje hi samaj nahi aa raha… iss gum ko kis chij se bujau muje hi samaj nahi aa raha… iss tanhaiyo ko kiss se kahu muje hi samaj nahi aa raha…. aakhir me aek 11 saal ka bachha hi to hu…."


"Bas itna hi likh sakata hu ki Mai sach me bukha hu pyaar ka…. kushiyo ka…. apnepan ka….. aur muje iske alwa aur kuch chahiye bhi nahi tha…."


Paridhi ke aankho jo thodi der pahele khushi ke pyaar ke aanshu the ab usme dard ke aanshu the...



Uss aaj sach me ye mahesoos huva ki ye XX saal ka bachha kya mang raha tha... Duniya ki sab se mahengi chij Pyaar mang raha tha... apno ka sath mang raha tha jiska koi mol hi nahi.... usne Pariwar manga tha jo ki duniya ka sabse nayab ratn tha...


Usne khuda se vo anmol chij mangi thi..... Lekin uss chij ko khuda ne jisse diya tha kya unhe unki kadr thi?.... kya logo ko apno ke pyaar ki... apno ke sath ki kdra thi? sach kahete hai lalach... lobh... aur paisa sab ne andha kar diya hai insan ko jo duniya ki ati durlabh chij ko pass hote huve bhi do caudi ki dolat ke pichhe bhag raha tha... kya vo apni maut ke baad bhi apni daulat ko apne saath le jaa pata?... Kya use maut ke baad iss daulat se kisi five star hotel mil pati...


Kya Pyaar aur Pariwar ka mol itna hi tha ki use ham daulat ke taraju mai tol skate hai?...


Aaj Paridhi ka dil sach me chikh raha tha... Usne khud bhi iss nayab chijo ko mahesoos kiya tha... aur jab aapke pass se ye chije door chali jaye kitna dard hota hai vo bhi mahsoos kiya tha...



Dev ke 10 saal pahele wali yaad.... Aur Pavan ka yu pyaar ke liye bhukha hona.... Paridhi ke Dil ko aaj aur komal bana diya...


Paridhi ki aankhe kafi der tak bighi rahi.... Paridhi ne apne mobile me apne pariwar ki photo nikali aur usse dekh ne lagi.....


Apne pariwar yu hasti khilati huyi photo dekh Paridhi ke chahere pe smile aa gayi...



Aur ab Paridhi ne uss Dyari ko apne hatho me thama aur aage padhne lagi..



~ Gabbar is Back:cowboy2:
 
Last edited:

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,801
31,019
304
Vah bhai vah dono update mast the,,,,,,,,, avinash ne company me apna impression jma hi liya, pehle din,,,,,,,,,,,

Aur bhai jo second update me dev ke birthday wala scene dikhaya vo majedaar tha,,,, adbhut story h mitar,,,,, waiting for next update
 
Last edited:
Top