Iss pyar ko main kia naam dun
Kahani mein wohi jab kissi ladki ke taraf khichaav hota hai to ladka apne taraf kia feel karta hai, isska ziada tar zikr hu hai, aur behtareen tarike se kiya gaya hai.
magar kahani ki shuruwaat hone se pehle woh hissa jahan ladke ne ladki ko train mein latakte hue bachaya wo bahot mazedaar laga mujhe khass kar yeh jaante hue ke yeh hakikat mein hua tha. main iss kahani ko padhte waqt uss manzar ko yaad kar raha tha ke kia aalam hua hoga jab yeh sach mein uss platform par guzra hoga. kyun ke lekhak ne pehle hi bata diya ke yeh ek hakikat mein beeti hui kahani hai to main uss nazarye se kahani ko padhta raha aur har ek drisht ko sach maan kar aguey badha padte hue.
jab koyi insaan bimaar aur hospital mein hota hai uss waqt, uss dauraan ek ajeeb si aalam hoti hai aur dil ke kissi kone mein ek tadap hoti hai chaahe wo insaan pyar mein ho ya nahin.
ab uss dauraan agar pyar ho jaaye to samajh lo double dose ki bimaari ho jata hai.
to iss kahani mein main ne Gaurav ko uss angle se dekha. main samajh gaya ke usske dil ke andar keisa toofan pal raha tha aur wo kinn haalaton se guzar rahe the.
aaguey ki kahani ki baayan normal hai jo aam pyar karne walon ke beech hota hai aur jo aaj kal ke zamane ke naujawaanon ke saath aksar hota rehta hai khaas kar mobile ke zarye. to uss hisaab se kuch ziada khaas nahin dikhe mujhe, magar fir bhi main uss hakikat mein hone wale logon par bite hue haadsawon ko soch kar issko ek behtareen aur hatke kahani maanta hoon.
very well written Anand bhai.
Aap ne mujhko 10 out of 10 diya to main kyun kum points doon bhala? mere taraf se bhi aap ko 10 on 10 iss kahani ke liye.

Last edited: