मोक्ष (प्यार, नफरत और डर) by kamdev9908
Bhai, aapki story maine aadhi padhi fir itna confuse hua ki socha chhod dun. Reason tha itne Saare characters
Short story usually 2-3 characters ke aas Paas ghumti h.
Khair, fir moksh wala part padha.. Aur is part me aapne apni khubsoorat lekhan ke saath nyaay kiya hai
Ek vyakti ke jeevan ki Saari kahani is part me likh di hai jo hmesa ek chahat ko paane ke chakkar me dusri se door hota rha aur ant me kuchh haath nahi aaya. Meri apni Kahani se kaafi milta julta
Story ki language utkrishth hai, patr kam hote to story aur behtar hoti. Adhik patr hone se flow thoda compromise ho jata hai. Story ka title bhi thoda sa justified nahi lag rha. Jis insan ka man pyar ko tarsata raha use moksh nahi mil sakta
I liked your command over language and also your thought behind the story. Write a long story on this theme sometime in future. Would love to read.
All the best