Chutiyadr
Well-Known Member
- 16,903
- 41,593
- 259
KR$NA dhanywad bhai ki bhai ki aapne itana pyara review diya aur aapko ye story psand aayi mujhe bhaut khusi hui ...Wo Kaun Thi By chutiyadr
Bahut hi badhiya story likhi bhai jo suspence triller ka mix pack hai upar se devnagri mein to kahani par 4 chand laga diye aapne.
Kahani Madhu ki hai jo mansik bimari se pidit hai. Uske pita aur bhai jo salin pahle khatm ho chuke hai wo madhu ko aaj bhi saath mahsoos hote hain.
Pati ki bewfai ka sabak use aur kuch bhade ke logon ko Madhu maut ke ghat utar kar sikhati hai. Kahani fullon suspence wali hai jo end tak baabdh kar ramhti hai .
Bas ek sawal tha ki Madhu ka bhai to kalpna tha to usne revolver kaise diya apni bahan ko ?
Maine story ek saans me padh dala aur ant tak pahunchte pahunchte romanch se bhar gaya. Sab kuchh aise lag raha tha jaise aankhon ke samne film chal rahi ho .
Bahoot hi khoobsurati se likha hai aapne
aapne sawal kiya hai ki bhai ne madhu ko revolver kaise diya ...actually me usne diya nahi bas bataya ki madhu ke pas uska ek revolver hai ,use madhu ne khud hi chhipa kar rakha tha to usne use dhundh liya ,thoda detail me jaaye to jab uska bhai jinda tha tab usne use wo revolver di thi jise madhu abhi bhul chuki thi kyoki story me ye bhi bataya gaya hai ki madhu ke bhai ne kabhi use waps nahi manga ,kyoki bad me wo mar gaya to kaise waps mangta,lekin kyoki madhu ko lagta tha ki uska bhai usse bat kar rha hai matlab ki wo uske hi dimag ka ek hissa tha to jo madhu ko pata hai wo use bhi pata hai ,isliye jab aisi situation aayi ki madhu ko laga ki wo akash ka khoon kar de to uske diamg ke ek hisse ne vinay (madhu ke bhai ) ke jariye madhu ko ye karwane ke liye uksaya aur madhu ko us revolver ki yad aayi .......
ye sab point aisi stories me hidden hote hai maine socha tha ki iski psychology bhi achche se define karunga lekin short story me itana nahi likha ja sakta ki kya aur kyo socha gaya..isliye last me note likh diya tha ki ager is story se related koi question ho to jarur puchhe ,aapne question kiya mujhe khusi hui kyoki iske jariye mujhe ise define karne ka mouka mil gaya