My review for
Swipe Left
By
Humtum
Mujhe ye kahani bahot passand aaye. Simple hai nagar dumdaar hai. Ek shaadi shuda insaan aksar bhatak jata hai. Seikron eise shadi shuda mard hote hein jinnke ghar mein ek pyari si wife hoti hai jo ussko unconditionally pyar karti hai, pyar ke saath saath usska ghar aur bachon ko bhi sambhaalti hai, mard ye samajhta hai k kama kar ghar mein paise de diye, ghar ke sabhi samaan kharid liye, sab ko haq k paise de diye buss yehi usska farz hai. Lekin eisa nahin hota yehi iss kahani mein humtum bhai ne ek famous dating site ko example ke taur par istemaal karke dikhaya hai.
Mard bhatakne mein awwal hai, kutte ki jaat kehte hein in general mardon ko jo jahan mawka mila munh maarne chale jaate hein.
Iss mein sanghat ka assar bhi hota hai jeise iss kahani mein hero ka dost tha jissne tinder k baare mein bataya hero ko aur chala hero wohi karne jo dost ne kaha.
Married life ek bahot badi zimedaari hoti hai aur ussko nibhana padta hai kissi bhi haal mein. Qurbaniyan deni padti hai, samjhaute karne padte hein married life ko successful banaane ke liye. Yeh bhi Humtum bhai ne iss kahani mein dikhane aur samjhane ki koshish kiye hein.
Shadi shuda mard behek to sakte hein ek beauty queen k saamne, aakhir mard hai, to sochna ye chahiye husbands ko kia usski wife nahin behek sakti kissi casanova type mard ke saamne? Agar husband kare to sahi aur wife kare to ghalat?
Iss kahani ka hero chala gaya uss ladki se milne bhi bina soche ke jab wo office mein hota aur usske ghar koyi ghair mard ata usski wife se weise hi milne tab kia hota?
Mere khayaal se to ussko khud bete ke uss haadse se pehle ussko apne antar aatma ko tatolna chahiye tha uss ladki se milne se pehle kyunke kitni baar usski wife ne ussko apne bete k baare mein keh diya tha.
Ab agar bete ka wo haadsa nah hota to husband ne uss raat ko overtime ya meeting ka bahana bana kar apni raat rangeen kar liya hota, bewafaayi kar liya hota.... yeh hai assal kahani ki message ke wafaa karo, jiss ke saath umr bhar jine marne ki kasmein khaaye hein usske saath zindagi bhar nibhao chaahe kuch bhi ho jaaye. Chaahe koyi bhi pari saamne aa jaaye mat bhulo ke ghar par ek family hai jisska tumhara intezar, jissko tumhari zaroorat hai. Yeh hai Humtum bhai ki iss kahani ki message.
Umeed hai ke ye message aaj ke zamane ke shadi shuda logon tak pahunche aur weh isska behtar upyog karen.
Behtareen kahani hai Humtum bhai ek zabardast message ke saath. Mujhe behad passand aya.
Writing, narrative description sab kuch behtareen hein. Kahin bhi flow nahin chhuthi kahani ki bilkool barkaraar raha shuru se end tak kahani ne paathak ko juda rakha.
All the best Humtum bhai iss behtareen kahani ke liye.
Thanks chachu for detailed review. Meri first story of xp pe bhi aapka hi first rebu mila tha mujhe. Mujhe khusi hai ki maine apne writing ko behtar kiya hai samay ke saath.
Thanks again for your nice words of encouragement.