DOSTI , PYAR AUR JINDEGI
hindi
Rbcl.007
bhai apne kahani achchi likhi hai.... lekin ek normal positive situation ko frustration ka jaama pehnakar last me bahut lamba bhashan bhi de diiya.... jiski koi na jarurat thi.... na koi meaning....... ek ladke aur ladki ya 2 ladke ya 2 ladkiyo ke beech mein hi dosti nahi hoti...... dosti rishto mein bhi hoti hai............. aur sabse jyada dosti ki ahmiyat aur jarurat pati-patni ke rishte me hoti hai.... kyonki shareer me to un dono ke beech sabkuchh khula hota hai.... jitna ki shayad kisi aur se bhi nahi ho sakta... ya nahi hona chahiye...........
ab agar wo dono man se bhi khul jayein ek dusre ke dost ban jayein to.... usse achchha unki jindgi me kya hoga...... yahan to unko ek opportunity mili man se pehle hi dost the..... to unka vaivahik jeevan aur bhi behtar rahega........
aur rahi bat pyar, ishq, mohabbat........... ye sab dimag ka fitoor hai........... mein practically anubhav kar chuka hoon.......... meri patni ko meine shadi ke bad hi dekha...humne ek dusre ko dost banaya... kabhi man ka kuchh nahi chhipaya jaise tan ka nahi chhipaya......... aj mere unse itni achchhi tuning hai jitni ki kisi bhi premika se nahi bani........
is kahani ki poori theme is chheej ko highlight karti hai ki ye dono apas me ek dusre ko jitna samajhte the...utna kisi dure ko nahi samajh sakte.... us nazariye se in dono ki shadi ho jana koi tragedy nahi........ ek bahut bada gift hai......as a perfect couple jindgi jeene ke liye...... ye khushi har kisi ko nahi milti.... isiliye aj shadi ke 50% ratio me divorce ho rahe hain.............. bas apna mindset badalein aur think positive.............. shadi sirf pyar se nahi.......... ek dusre ko samajhne aur vishwas karne se jyada kamyab hoti hai
ab ate hain apke lekhan par...................
apne kahani ko simply paragraph me ..... bina samvad ke nibandh ki tarah likh diya...aur last me ek bahut bada pravachan jo logically kahin bhi fit nahi baithta...balki kahani ke bane banaye suroor ko khatm kar deta hai.. isse reader oob jayeinge.... aur shayad bahut se log is shandaar kahani ko padhein hi nahi........... isme sudhaar karein ...aage se
10 me se 6 ank.......... is shandar kahani ki theme ke liye