My review for
Mitti ki Khushbhu
By chutiyadr
Main iss review ko John F. Keneddy ki iss quotation se shuru karta hoon. -
"ASK NOT WHAT YOUR COUNTRY CAN DO FOR YOU
ASK WHAT YOU CAN DO FOR YOUR COUNTRY "
Ab aata hoon Mitti Ki Khushbhu par.
Issko bahut hi behtareen tarike se likha gaya hai.
Pehle to author ka shukra guzaar hoon ke unhon ne Hinglish mein likha devnagri mein nahin. Usski running story ko iss liye aaj tak padh nahin paaya kyunke wo devnagri mein likha gaya hai. Agar yeh bhi devnagri mein likha gaya hota to main nahin padh paata. To chutiyadr bhai issko Hinglish mein likh kar aap ne mujh par badi meherbaani ki hai, isske liye tehe dil se shukriya.
Film kesari ke ek gaane ko lekar ek puri kahani bana dena asaan kaam nahin. Yeh ek tajurbekaar lekhak hi kar sakta hai. Uss gaane ko jab main ne pehli baar suna tha to bahot roya tha, 3,4 hafton tak uss geet ko sunkar jism ke har ek rowan khada ho jata aur aankh se ensoo apne aap nikal behte the.
Aaj iss kahani mein uss geet ka itna behtareen tarike se istemaal kiya gaya ke main phir apne ensoowon ko rok nahin paaya.
Jab Ramsing ke bete ke maut ki khabar aaya to mere dil mein uss baap ka dil aur dil mein basse jazbaat ke dard aur gham gehraayi se mehsoos hui mujhe.
Main khud ko Ramsing ki jagah hote hue mehsoos kiya aur aage padhne se pehle ro baitha..... rukna pada uss se aage padhne ke liye...
Khud ko sambhaalte hue, aankhon mein askhon ko rokne ki koshish karte hue aage padhta gaya magar phir se rukna pada kyunke jiss waqt Ramsing ko apne bete ko aag dene ka waqt aya, jab wo phoot phoot kar rone laga to mera bhi bura haal hua, upar se lekhak ne gaane ko sahi se istemaal karte hue maa ko aur patni ke taraf dikhaate hue gaane ke unn hisson ko likha jo seedha ussi waqt ke liye likha gaya hai. To mere liye pehle se hi ye gana bahot emotional tha hi ab upar se iss kahani ki situation par jo 100% fit baithta hai, wo sab padhke to emotion ka baand tutna hi tha....
Kahani ke aakhir mein mujhko to bada maza aaya kyunke iss mein ek bacha hai aur ek dusre bache ka zikr kiya gaya hai.
Kal mere sawaal karne par yahan ke sumos ne bade sakhti se, mana kiya ke UA reference k taur par bhi accept nahin kiya jaega. Agar doctor sahab ne query thread par iss vishay mein mera sawaal aur sumo ka jawaab padha hoga to usse pata chalega k main kiss baare mein baat kar raha hoon. Sirf sumo hi nahin kal cc threar par Vijay bhi bade zoron se iss baat k khilaaf tha k kissi bhi keemat par kissi bhi underage ko bilkool bhi nahin mention karna hai contest story mein. Magar lekhak bhai aap ne mere hawsle ko aur buland kar diya Ramsing ke pote ko iss kahani mein dikha kar. Ek baar fir aap ka shukra guzaar hoon. Mere liye ye bilkool bhi UA nahin ho sakta jab zindagi mein bache hote hein aur rozmare ki zindagi mein kissi nah kissi tarah se har kissi ko ek bache se wasta hota hai bachon ka pyar sabse paak pyar hota hai jo dil ko jodta hai. Weisa pyar dikhana ek kahani mein kahani ko UA category mein NAHIN lejata.
End note: ye ek bahut badhya short story hai jo bahut emotional hai, jissko behtareen likha gaya hai, jo as a short story kaabil-e-taarif hai, jisske baare mein jitna bhi likha jaaye kum hai.
Hats off chutiyadr bhai aur bahut shukriya eisi naayab kahani likhne k liye. Mere taraf se rating 10 over 10 hai.