Title -- " Baba ki pahadi "
Language -- Hinglish
Ek tez raftaar car behad kharab mausam me jarjar pahadiyon ke sankare - pathreele raston se hoti huyi apne manjil ki ore betahasha bhagi ja rahi thi . Raste kisi maut ke kuyein se kam nahi the kyu ki sadak ke ek taraf fislan se bhari vishal chattane to doosri taraf meelon gahri khai thi . Pahadon par utare baadlon ke tukde mahaul ko darawna bana rahe the . kuchh hi der me tez hawa ke sath musladhar barish ne car ka rasta rok diya .
Car chalana to door usame baithe rahna bhi mushkil ho raha tha . chalak ne jhunjhla kar car ko ek chhote se makan ke paas rok diya aur bhag kar us makan ke khule ahate me ja khada hua .
Makan kafi purana tha aur har taraf se toota hua bhi tha jiski wajah se wo aadmi khud ko bheegne se bacha nahi pa raha tha .
Tabhi us toote makan ka darwaja kula aur ek behad hi khoobsurat yuwti ne bahar jhaank kar dekha . Yuwti ki badi badi aankhe kisi jheel si gahri neeli thi . uska rang doodh me mishrit kesar ki bhanti damak raha tha . Usne khud ko fate purane garam kapdon se dhaank rakha tha fir bhi uski sundarta har ang se foot rahi thi . Kul mila kar sammohit karne wali sundarta hasil thi use .
" Kya mai aap ki koi sahayata kar sakti hoon . "
Ladki ki awaaj yun lagi maano kisi ne kaano me shahad ghol diya ho .
" Ji mai musafir hoon , khud ko is toofan se bachane ke liye yahan aa gaya ."
Aadmi ne shaleenta se jawaab diya .
" Aap andar aa jaiye warna bheeg jayenge. "
Ladki ne ghar ke darwaje se hat kar kaha .
" sorry aap ko dikkat de raha hoon par majboor hoon . "
Aadmi us ek kamre ke chhote se makan me dakhil ho gaya .
" dikkat ki Koi baat nahi hai , meri maa kahti hain Atithi devo bhawh. "
Ladki ne pani ka glass aadmi ki taraf badate huye kaha .
" pani nahi piya jayega mujhse , kafi thand lag rahi hai . "
Aadmi ne kampte huye kaha to ladki chai banane lagi . Chai pikar uss aadmi ko thodi rahat lagi . Lekin uska shareer thand se kampa ja raha tha . Ladki ne use ek kambal diya odhne ke liye aur boli .
" Thand itni jyada kyu lag rahi hai kuchh ajeeb sa mausam nahi hai . "
Aadmi ne apne haathon ko aapas me ragadte huye kaha .
" aap apna dhyan thand se hata kar kahi aur lagaiye tabhi rahat milegi . "
Ladki ne bade pyaar se kaha .
" sari koshish bekar hai meri . "
Aadmi ne kampte huye kaha .
" aap yahan ke to nahi lagte hain ? Ghoomne aaye hain ? "
Ladki ne baaton ka silsila banaye rakha .
" nahi yahan ka nahi hoon mai . mai mumbai se aaya hoon site dekhne . Mai film maker hoon . Filme banata hoon . Meri agli film ek pahadi prem kahani par based hai . "
Aadmi ne gurur se kaha .
" ohh phir to very sorry kyu ki mai filme nahi dekhti to usse judi baatein bekar hai mere liye ."
Ladki ne bina kisi bhaw ke jawab diya .
" Tumko apni filmo ke drishya dikhata par Mobile ka network bhi nahi hai yahan par ."
Aadmi ne apna mobile lagbhag patakte huye kaha .
"Yahan network nahi ata hai . Koi nahi aap suna hi dijiye apne film ki kahani . "
Ladki ki baaton se pata chal raha tha ki use kahaniyan sunane me khasi ruchi hai .
" are kahani to mujhe yaad nahi hai par mere writer ne kaha tha ki pahadon ki best prem kahani hai ."
Aadami ki baaton se uska gurur tapak raha tha .
" chaliye mai aap ko ek prem kahani sunati hoon , jo best bhale na ho lekin hamare pahadon ki prasiddh prem kahani hai , ho sakta hai aap ka dhyan bhatkane me bhi kamyabi mil jaye ."
Ladki ki muskurahat ne aadmi ko jaise mohit kar liya tha , wo ek agyakari balak ki tarah hami bhar kar kahani sunne laga .
----------------------
Himanchal ki khoobsurat lekin durgam pahadiyon ki god me basa ek chhota sa kasba jise dharti ka swarg kaha jaye to bhi kam hi hoga kyu ki kudart ne is kasbe ko naisargik saundarya khule dil se bakhsha tha . Yahan ki prakritik chhanta badi hi manoram thi . Barish ke mausam me yahan ki hariyali dekh kar yun lagta mano aankhon me hara rang hi utar aaya ho to wahi jaadon me jab yahan ki unchi - unchi durgam pahadiyan barf se lad jati to yun lagta ki prkriti ne kasbe ko apni jhakk safed odhani odha di ho .
Jitne sundar yahan ke najare the utne hi sundar aur saral yahan ke bashinde . Milansar aur udaar . Yahan ki ladkiyon ki khoobsurati to door door tak vikhyat thi , aise lagta tha mano swarg ke baad apsaraon ne yahi par dera jama liya ho .
Har jagah ki tarah yahan ki bhi apni manyatayein aur paramprayein thi jiska yahan ke log kattarata se palan karte the bhale kisi ko pasand aaye ya nahi . inhi parampraon me ek thi ki yahan ka koi bashinda kasbe ke bahar vyapar ke liye nahi jayega kyu ki kasba khud me hi sampann tha . Bahar se paryapt paryatak aa jate the jinse achchhi khasi kamai ho jati thi to doosri taraf fal aur mevon (dry fruits) ke bageeche yahan ke logon ki kamai ka mukhya jariya the .
Udayan is kasbe ke mukhiya ka beta tha . Naam ki hi tarah tej aur karmath . Uski aankhon me bahut bade bade sapne palte the jisme se ek sapna kasbe se bahar nikal kar apni padhai poori karna aur kuchh bahut bada mukaam hasil kar ke dikhana tha . Udayan bahut jiddi tha par wo kahte hain na ki aasma kahi na kahi jhukta bhi hai . Udayan ki sirf ek hi kamjori thi " Damini " .
Damini apne naam ki hi tarah tez aur bala ki khoobsurat thi . Us kasbe ki sabse khoobsurat aur honhaar ladki thi wo . Damini ke sir se maa ka saya bachpan me hi uth gaya tha . Pita ne bade dulaar se pala tha use aur har gun sampann banaya tha . Apne pita ka abhiman thi Damini .
Udayan aur damini bachpan ke dost the par bachpan se hi chhip chhip kar milte the kyu ki dono ke pitaon me chhatis ka aankda tha . Udayan aur Damini kabhi pahadi par jhoomte to kabhi dariya me gote lagate dikh hi jaya karte the . Damini ko phool pasand the to Udayan ne apne poore ghar me tarah tarah ke phool laga dale the to wahi Udayan ko kheer pasand thi isliye Damini har roj kheer banaya karti thi . bada hi gajab ka pyaar tha in dono ka .
Jab bhi koi dharmik utsav hota ya wo dono kisi mandir jate to ek hi kasam khate ki jeete jee kabhi alag nahi honge kyu ki dono ko pata tha ki gharwale to milan hone nahi denge . Udayan aur Damini ne jawaan hote hi sabse pahle gandharva vivah kiya taki koi unko kabhi alag nahi kar sake . Vivah kiya to suhag sej bhi saji . Us raat ke baad dono ek doosre ki sharirik jarurat bhi ban gaye .
Wakt ke pankh lage hote hain aur wo kabhi bhi ek saman nahi hota hai . Jab wakt ne karwat li to in dono ki bhi jindgiyon me badlaw aaye . Kasbe me sirf inter school hi the jabki Udayan ko aur padhna tha . Udayan ke aage padhne aur kuchh kar dikhane ki jidd ne pita aur putra ke beech bhayankar vivad khada kar diya . Kayi dinon tak cheekhne , chillane aur jhagdon ka silsila chala aur ant me Udayan ne kasba chhod hi diya wo bhi hamesha ke liye .
Udayan Jate wakt Damini se mila aur wada kiya ki har poonam ki raat wo pahadi par chadhte chand ke sath usase milne aaya karega aur jaise hi kuchh ban jayega use bhi yahan se apne sath le jayega . Uske baad to Damini ko sirf poonam ki raat ka intjaar rahta .
Har poonam ki raat Udayan aur damini pahadi par milte the . Damini uske liye kheer bana kar le jati thi yahi nahi kuchh paise bhi jod kar use deti thi ki uska Udayan bhookha na rahe . Udayan Damini ke liye shahar se kuchh na kuchh jaroor lata jise pahan kar Damini phooli nahi samati thi . uss Raat bhar Damini Udayan ko sare kasbe ka haal sunaya karti jabki Udayan use jee bar kar pyaar karta tha aur savera hote hi dono fir alag ho jate the .
Udayan ke door chale jane ki wajah se Damini gumsum rahne lagi thi . Usne hasna - khelna chhod hi diya tha . Udayan ne Damini ko patra vyohar ke liye ek dharmshala ka pata bhi diya tha jahan uski kisi se pahchan ho gayi thi . Damini din bhar ek kagaj par apni tadap likhti rahti aur use takiye ke neeche chhipa deti . Jab poonam ki raat Udayan aata to use saump deti .
Gujarte wakt ke sath Damini ke roop ke charche faile to uske liye rishton ki baadh si aa gayi thi . uske pita bhi abb vivah ke liye dabaaw dalne lage the . Doosri taraf Udayan bhi 4 poonam ki raat beete Damini se milne nahi aaya tha . Ek subah Damini ko ehsas hua ki uske sharir me aaya badlaaw uske kokh ke moti ko nahi chhipa pa raha hai . Damini ko ek taraf apne bheetar jeewan ankur footne ki khushi thi to doosri taraf bichhoh ka dar . Maa ki kami us din sabse jyada khali thi Damini ko . Haar kar ek subah Damini ne apni vyatha apne pita se kah dali . Ye sab sun kar Damini ke pita hridayaghat se chal base kyu ki unki ijjat hi unki jindgi thi aur Damini unka abhiman jo ki choor ho chuke the .
Kasbe ke logon ne bhi Damini ka bahishkar kar Diya . Damini ko bahut bura bhala bola gaya . Dhakke maar kar kasbe se nikal diya gaya . Wo roti bilkhti pahadi par ja pahunchi . Wahi ek toota foota jhopda bana kar rahne lagi kyu ki use poora bharosa tha ki uska Udayan use lene jaroor aayega . Kabhi kuchh khane ko milta to kabhi bhookhi hi so jati . Aise hi kasht se joojhte huye Damini ne ek putri ko janm diya . Kasbe ki hi uski sakhiyon ne bahut sahayta ki par saja ke dar se wo sab bhi door hoti chali gayi .
Har pooranmasi ki raat Damini kheer banati aur pahadi par Udayan ki pratiksha karti aur subah ek patra likh kar bhej deti .aise hi tadap aur peeda me Damini ke din gujarte rahe .
Putri bhi usi ki tarah samjhdar thi , wo maa ki peeda ko samjhti thi par wo bhi ek baar apne baba ko dekhna chahti thi isi liye abb wo bhi apni maa ke sath har poonam ki raat pahadi par jati thi . Usne to pahadi ka naam bhi rakh diya tha " Baba wali pahadi ".
Damini sirf ek ratt laga kar rakhti thi ki jaroor Udayan ke sath kuchh bura hua hai kyu ki uska Udayan use dhokha nahi de sakta hai . Abhaw aur ruswaiyan bhi Damini ke pyaar ko kam nahi kar saki thi . Lekin kahte hain na ki kismat ke khel hi anokhe hote hain , aisa hi kuchh Damini ke sath hua . Ek poonam ki raat Damini kheer lekar pahadi par gayi to wo hua jo nahi hona chahiye tha .
---------------------
Ladki apne shabdon ko viraam dekar aadmi ka muh dekhne lagi .
" tum chup kyu ho gayi , Fir kya hua ? Kahan hai Damini abb ? " aadmi ne bechaini se poonchha ?
" Hua kya , mausam saaf ho gaya , barish ruk gayi aur aap ka rasta khul gaya aur mai aap ka dhyan bhatkane me kamyab ho gayi . Aur mera kaam bhi poora ho gaya . "
Ladki ne apni khoobsurat badi - badi neeli aankhon ko najakat se matkate huye kaha .
" kaun sa kaam poora ho gaya tumhara aur kahani to abhi adhoori hai "
Aadmi vyakul ho chuka tha .
" kuchh kahaniyan adhoori hi rah jati hain kyu ki log kagaj ke tukdon ko sametne me itne mashgool ho jate hain ki jindgi ke panno ko kora hi chhod dete hain . "
Ladki ke har ek shabd dard se sarabor the . Uski chanchal neeli aankhein dabdaba uthi thi .
" mujhe nahi pata kyu par tumhari awaaj mujhe sukoon de rahi hai. Please tum bolti raho . "
Aadmi ki aankhein bhi bhar aayi .
" mujhe bhi aaj bahut sukoon mila hai . Abb aap ke jane ke baad sukoon ki neend soungi . Yun lag raha jaise sadiyon se jaag rahi hoon . "
Ladki ne bojhil aankhon se kaha aur haath jod liya .
" Kya mai tumhara naam jaan sakta hoon beti . "
Aadmi ne itni der ki mulakat me pahli baar apnatwa se ladki ko beti pukara tha .
" Raina "
Ladki ki awaaj hi bahut udas ho gayi thi .
Wo aadmi teji se uss chhote makan se nikla aur apni car me baith kar wapas ulti disha me chal diya . Use kuchh bahut jaroori kaam yaad aa gaya tha . 3 ghante lagatar chalne ke baad wo car ko ek dharmshala ke samne rok deta hai . Tej kadmo se wo andar jata hai aur booking table par baithe bande ke samne jakar khada ho jata hai . Wo dono thodi der tak ek doosre ko pahchanne ki koshish karte hain .
" Kaisa hai Kareem "
Aadmi booking table par baithe bande se kahta hai .
" badhiya hoon , tu to bada aadmi ban gaya hai re Udayan ."
Kareem aage badh kar uss aadmi yani Udayan ke gale lag jata hai .
" kahe ka bada ban gaya hoon bhai . neech hoon mai , chhal kar baitha apni hi jindgi ke sath . Laat maar diya maine apni muhobbat ko . Wo mere liye tadap rahi hai bhai aur mai aishwarya bhogne me magan tha . "
Udayan ki awaaj bharra uthi .
" kya bol rahe ho sab theek to hai na ? Kaha ho aaj kal ? Damini theek hai na ? "
" prasiddhi aur paise kamane ki hawas me khud apni muhobbat ka gala ghont diya maine Kareem bhai . Maine use dhokha de diya . Apni alag duniya basa kar usme ram gaya aur yahan wo meri jogan bani meri khair mangti rahi . Mujhe galiyan do Kareem bhai mai jallad hoon. Meri phool si pyari bitiya hai jiske sir par haath bhi na fer saka mai . Jee chahta hai khud ko maar doon . "
Udayan rote huye bola .
" khud ko samhalo bhai ."
Aansu rokte rokte bhi Kareem ki palkon ke kinare tak aa hi gaye.
" Kareem mera koi patra (letter) hai kya tere paas . "
" mujhe pata tha tu aayega lene . haan baksa bhar ke patra rakhe hai tere liye ."
Kareem ne apne aansuon ko ponchhte huye kaha .
" de de na yaar ."
Udayan ki haalat ko dekh kar
Kareem ko sab kuchh to nahi lekin bahut kuchh samajh me aa gaya tha . bina der kiye Kareem ne store room se lakar ek lohe ki sandook bhar kar patra diye Udayan ko .
Kareem se ek kamra book karwa kar Udayan us lohe ki sandook ke sath kamre me gaya . Darwaja band kar ke Udayan ne uss khali akele kamre me bhi ek kona doondha aur us kone me baith kar rona shuru kar diya . Jane kab se bhoole huye pyaar ki yaadon ka sailaab tha ye jisme bewfai karne ki tees shamil thi . Khud me simat kar wo kafi der tak rota raha .
Udayan ne ek ek kar ke un patron ko padhna shuru kiya . Har patra me Damini ne Udayan ki khair mangi thi . Patra ka ek ek shabd Damini ke aanshuon aur uski tadap me bheega hua tha . Uske dil ki peeda shabdo ke madhyam se seedhe udayan ke dil me utari ja rahi thi . Itna dard padh kar Udayan ka kaleja fatne laga tha .
Antim patra padh kar Udayan ki saanse hi ukhadne lagi . Gale me pyaas ki wajah se kante chubne lage aur yun laga jaise badan par hajjaron cheentiyan reng rahi ho .
------------------
Mere pyaare Udayan ,
Theek ho na ? Jante ho Aaj hamari Raina 18 saal ki poori ho gayi . Aaj tumhare liye kheer usne hi banayi hai .Hamari beti Raina apne baba ko maa se bhi jyada pyaar karti hai . Jante ho uski shakl mujh si hai par akal apne baba par gayi hai . Badi hoshiyar hai padhne me .
Tumhare jaise hi doosre shahar ja kar padhna chahti thi lekin maine saaf inkar kar diya kyu ki mere pyaar ko to nigal chuka hai shahar abb pyaar ki nishani ko bhi mai hawan nahi kar sakti thi . Raina ne apni abhagi maa ki baat turant maan li . kaash tum bhi maan lete to ham teeno sath hote .
Mere sath aaj wo bhi aa rahi thi pahadi par tumse milne lekin maine use mana kar diya kyu ki uski maa abb haar chuki hai . Haan Udayan tumhari Damini haar gayi Abb iss judai ka bojh aur nahi utha sakti hoon mai isliye jaa rahi hoon . Bahut door hamesha ke liye . Hamari beti ka khayal rajhna . Mujhe pata hai tum jaroor aaoge .
Tumhari Damini .
------------------
Patra padh kar Udayan ke halak se jordar cheekh nikal gayi aur wo wapas usi padhadi ki ore bhaga . Uski Tez raftar car teen ghane ki jagah dedh ghante me hi pahadi ki ore jane wale raste tak pahunch gayi . Pahadi ki ore jane wale raste par 5 police wale tainat the jinhone Udayan ki car ko aage jane se rok diya .
" Kya hua mera rasta kyu rok rahe hai aap log ."
Udayan chilla kar bola .
" rasta band hai , aap aage nahi ja sakte hain. "
" are subah to khula tha . "
Udayan car se utar kar police walon ke paas aa gaya tha .
" aap ko koi galatfahmi huyi hai , ye rasta kayi saalon se band hai ."
" subah to nahi band tha na hi aap log yahan the jab kharab mausam ki wajah se mai bhatak kar wahan door us pahadi tak pahunch gaya tha ."
Udayan vyakulta se idhar udhar chalte huye bola . usase abb ek pal bhi ruka nahi ja raha tha .
" mausam to yahan pichhle kayi dino se bilkul saaf hai aur mai khud yahan tainaat hoon . Aap please yahan se hatiye warna majbooran hame aap par karyawahi karni padegi ."
Daroga gusse se Udayan ko dhakelte huye bola .
Ek police wala jo unn sab se boodha tha aur aas paas hi rahta tha usne Udayan ko girne se samhala aur car tak laya .
" Ye log sach bol rahe hain sahab . Ye rasta kayi saalon se band hai . Pahadi jarjar ho chuki hai . Kayi jaan wahan par ja chuki hain . Kuchh paryatak gir gaye aur kuchh log kood gaye isliye kayi saal pahle hi shashan ke aadesh se band kar diya gaya . "
Police wale ne Udayan ko samjhaya .
" par mai subah hi wahan gaya tha . Meri beti rahti hai wahan . Mujhe milna hai usase . "
Udayan haath jod kar gidgidaya .
" beti ?"
" haan Raina , meri aur Damini ki beti . "
Udayan se ruka nahi ja raha tha .
" Damini , wo to hamare hi kasbe ki ladki thi . Use kisi ne pyaar me dhokha de diya tha . Pagal ho gayi thi shayad . Usne 10 saal pahle pahadi se kood kar apni jaan de di thi aur uski ladki ne bhi maa ke peechhe kood kar apni jaan de di .bahut abhagi thi maa beti . Ishwar unki atma ko shanti de . "
Udayan ke seene me hook si uthi aur itna teevra dard hua mano lohe ki garm salakhein uske seene me utar gayi ho . Uske liye ek pal bhi khade rahna mushkil ho chuka tha . Uske pair thar thar kaampne lage aur thand ke mausam me bhi shareer paseene se bheeg gaya tha .
Police wale aapas me khusar fusar kar rahe the tabhi Udayan utha . Apne dukhte seene ko haath se daba kar badhawas sa dheeme kadmo se " Baba ki pahadi " ki ore chal diya . Usne aaj apni Damini aur beti ke paas jane ka dridh nishchay kar liya tha .