TITLE - MITTI KI KHUSHBU
LANGUAGE- HINDI
Savan ke mahine me barish ki rimjhim ke bich, aaj raam sing apne kheto ko nihaar raha tha,fasle lahraa rahi thi aur usko dekh dekh kar raam sing ka man bhi ……….
Mitti ki soundhi soundhi khushbu charo or fail rhi thi,jise raam sing gahri sanse le le kar apne naak me aur bhi gahre bhar rha tha ,isi mitti ne use janm diya hai,wo isi mitti ka beta hai ,ye uske purvajo ki mitti hai aur samne uske mehnat ki kaamai khadi thi ,uske kheto ki fasal……
Raam sing bade hi pyar se kheto ko dekh rha tha jise usne apne pasine se sincha tha ,fasal achchi aayi thi to is saal uske liye diwali bhi achchi hone wali thi …shayd isi garmi me use apne bete ke bete ko dekhne ka soubhagy bhi mil jaayega ,uski bahu garbhwati thi jiski dekhrekh raam sing apne ghr me hi kar rha tha ,shayad garmi ke dino me hi bchcha aayega ,apne bete ko yaad karke raam sing ke chahre me aayi muskan aur bhi gahraa gayi ,wo bhi to ek fasal hi tha jise usne bade hi laad pyar se bada kiya tha ..lekin uska beta akhir uska hi beta tha wo bhi uski ki hi tarh apne mitti se behad hi pyar kata tha,aur usi ki tarh usne bhi fouj join kar liya,raam sing apne ikloute bete ko indian army me nahi bejnaa chahtata tha wo to use apne hi paas rakhna chahta tha lekin kya kare akhir uska hi to khoon tha….
Raam sing is sunhare mousam ke sammohan me kho gaya tha aur use is bheeni bheeni si khusabu me apne aatit ki yaad aane lagi ,wo san 1988 tha jab usne apne pita ke manaa karne ke bawjud indian army join kar liya tha ,noukari ke ek sal bad hi san 1989 me uski sadi ho gayi aur ek sal baad hi 1990 me uske ghar ek ladka hua ,naam rkha gaya mohit ,naam ke anusar hi uska beta sabko mohit karne wala hi tha,bahut hi pyara ,sab kuch thik hi chal rha tha lekin fir may 1999 me kargil war shuru ho gaya,raam sing ko aise to chhutti mil chuki thi wo apne ghr me hi tha lekin jab usne ye khaber suni to wo apne ko rok hi nhi paaya,usne apne mitti ke hifajt ki sougandh khaai thi wo kaise ye bardsast karta ki koi uske matribhumi ki aan ko chunouti de rha hai ,wo apne pure jivan me kabhi yudhdh nhi lada tha ,apne janmbhumi par kurban hone ka ye sunhara aousar wo kaise chhod sakta tha,jab use uske adhikaari ka call aaya to wo douda douda simaa par phucha,ab wo sipahi raam sing se subedar raam sing ban chuka tha,usne apne sathiyo ke sath kamaan samhaal li ……
November ke thand me yuddh ki gahma gahmi bad rhi thi ,haddiyo ko gala dene wali thand me goliyo ke bouchchar ke bich wo daate hue the ,wo shaniwar ka din tha jab achank hi raat me goliya chalni shuru ho gai ,unhone bhi apni kmaan samhaal li aur wo sikhar fatah karne ko nikal pade ,major ranjit rana unke mukhiya the ,25 saal ke noujwan the jo desh ke liye mar mitane ko taiyar the,ranjit, raam sing ke bade hi priya the, wo uska bada hi samman karta tha ,is umra me itani kabiliyat usne abhi tak nhi dekhi thi ,25 saal ki umra me bhi wo josh aur jasba tha ki dekhte hi banata tha,jab kabhi wo akele hote to ranjit ,raam ko apne beti ki tasvir dikhata tha wo abhi abhi to janmi thi aur major ko ladai me aana pad gaya tha,lekin desh ke samne khud ke pariwar ki koi ahmiyat nhi hoti isliye to ye log sipaahi the…
Goliyo tej hone lagi to major ne raam se kha ..
“raam sing aaj to lagta hai ki hamara raat ka khana nark me hone wala hai sale dushaman to pagal ho gaye hai ..”
Is bhisan sankat ki awastha me bhi ranjit ke hotho me muskan thi jise baju me leta raam sing saaf saaf dekh sakta tha ,wo major ki bat se hans pada …
“Major sahab nark jaaye hamare dushaman ,maati ke liye marenge maati me hi mil jayenge aur fir se fasal bankar is desh ke logo ke kaam aayenge ,hamare liye to ye swarg hi hoga ..”
“Achcha yar raam sing tum bat bat par mitti mitti kyo bolte ho ..”
“Are major sahab aap engineer hai,aur ham kisaan ,hamae to mitti ki khusbu hi pasand hai ,isi mitti se to hamara pet bharta hai,naa ki aapki banaayi mashino se ..”
Raam sing ki bat sunakr rana hans pada raam sing 12vi pas tha jabki rana ne engineering ki thi uske bad exam dilakar army me aaya tha ……..
“Raam sing mai civil engineer hu ,main masine nhi banata aur aise bhi masine bhi to vikas ke liye jaruri hai na ..”
“Hongi sahab lekin bina kheto ke vikas ka kya karoge ,jab khane ke liye khana nhi rah jaayega to masino ka kya achaar daloge ,jab hawa hi dusit ho jaayegi to sans kha se loge ...sabhi karkhane milkar puri hawa hi khrab kar rhe ho pedo ko kaat rhe ho ,jangal barbad kar rhe ho aur fir ise vikas bolte ho ,major sahab kabhi dilli se hamare ganw aaiye,ham batayenge ki akhir suddh hawa kya hoti hai ..”
Raam sing aur rana ki aisi batchit aksar hua karti thi wo dono hi ek dusare ke bahut hi close the ,raam sing, ranaa se koi 6-7 saal ka bada tha lekin fir bhi dono dosto ke hi tarh rha karte the ..
Tabhi ek visphot hua wo usne kuch 5-6 miter ki duri par hi tha …
Dhadaam ………
Dono ke kaan thode der ke liye suny ho gaye the ...
“Iske maa ki ……”
Major chilaaya aur lagatar dushamn ke tarf goliya chlaa diya ..
“Shant ho jaao major shahab shanti se sochiye ,hamare jawan fanse hue hai aur madad aane me abhi samy hai,in kayaro ne andhere me,chhipakar waar kiya hai warna salo ko unki nani yad dila dete “
“Raam sing agar mujhe kuch ho jaaye to ek bat yad rakhna ,mera samaan tumhe hi mere ghar pahuchane honge,aur meri maa se kahana ki uska beta apne desh ke kaam aaya hai,unhe mere uapr garv hoga ,aur meri patni se khana ke wo roye nahi meri beti ko acchi siksha de aur use army me bharti karwaye ,ye mera sapna hai raam sing ki is desh ki ladkiya ko bhi desh ke liye ladane ka soubhagy mile... “
Major ke bato ko sunkar raam sing hastprad ho gaya tha……uski awaj tahndi ho gayi
“Major sahab ye kaisi bat kar rhe ho aap ,marenge apke dushaman aap sahi sahlamat wapas jaaoge aur apni beti ko apne god me khilaoge “
Major hans pda
“Hamare dushamn hi marenge raam sing ,main mar kha rha hu mai to shahid ho rha hu “
Major ki bat raam sing ke samjh aati usse pahle hi ek aur bamb unke pas aakar giraa aur dhadaam ..
Dono ke sharir ek sath hawa me ud gaye aur dur ja gire ,unke sath ke sabhi jawan goliya aur bamb barshane lge unhone dono ko cover kiya ,raam sing ki ankhe dhundhla si gayi thi usne ankhe kholne ki koshis ki to use thodi dur par major rana gire hue dikhe ..wo jaise taise unki or doudane ko hua lekin ye kya bamb ke dhmaake se uska ek pair buri tarh se jkhmi ho gaya tha,wo apne sharir ko ranaa ke tarf ghasitne lga ,
“Major sahb …” ek noujwan sipahi rana tak phuch chuka tha ,barf me lal rang ki chhite faili thi raam sing dur se unhe dekh raha ,
“Sir ko goliya lagi hai ..”wo noujwan sipahi chillaya
Goliya ???
Raam sing ne yaad kiya jab pahla bamb futa tha usi samay major position chhodkar khade ho gaye the aur joro ki goliyo ki barish dushamn par ki thi ,wo jab fir se raam sing ke baju me letkar apni position me aaye to unhone raam sing se aapna samaan apne ghr le jaane ki bat ki thi ..
Raam sing ko yaad aaya jo major ne kha tha ,ki main marunga nhi main to shahid hounga …
Raam sing kisi buri asanka se bhar gaya tha …
“Major sahab ………….”
Raam sing puri takt se chilaaya ,rana ne apna chahra ghmaaya uske hotho me abhi bhi mukaan hi tha ……..
2 mahine bad raam sing army ke hospital me tha,uska ek pair kaat diya gaya tha kyoki bamb ke dhmaake se wo buri tarah se jakhmi ho chuka tha, usne apni retirement ki arji bhi de di thi wo ab apne ganw me jaakr kheti karna chahta tha ….
Ek din hi hue the raam sing ko hospital se chhute hue aur wo major sahab se milne weelchair me pahuch gaya …
Rana use dekhkar muskuarne lga ..
‘Yaar raam sing lagta hai hamare nshib me shahid hona likha hi nhi hai,5 goli lagne ke bad bhi dekho jinda hu “
Patini ke jaate hi major bol pda jise sunkar raam sing ke hotho me muskan fail gai ……..
Ranjit rana ko 5 goliya lgi thi aur bamb ke karn uske sharir me kai chhote bhi aayi thi ,wo pure 15 din coma me tha ,aur abhi bhi ICU me bhi bharti tha ….major fir se bol utha
“Ye sale mujhe jaane hi nhi de rhe hai tumhe kya lagta hai ki mai fild me jaane ke layak nhi hua hu ,abhi bhi hame puri safalta nhi mili hai ,kargil hamara tha aur rahega ,main betab ho rha hu fir se waar me jaane ke liye ..”
Major ki betabi raam sing samjh sakta tha desh par sankat aaye to ek deshbhakt fouji kaise chain se baith sakta tha …
“Aap thik ho jaayenge aur mujhe ykin hai ki aap desh ki salo tak seva karenge ,maine retirement file ki hai …….”
Rana bade hi ashchary se raam sing ko dekhne laga ,raam sing ne ungali se apne pairo ki or ishara kiya aur apne pairo par dhaka hua kapda hata diya ,raana use dekhkar bilkul hi awak tha ……
“Sir mai is halt me army me nhi rah sakta lekin apne desh ki seva mai ab bhi karunga meri mitti ke garbha se fasale ugaa kar ,ek kisan ki tarh “
Raam sing ke hotho me muskaan thi ,aur uski bat sunkar ab major ranjit rana ke hotho me bhi ……..
Vartmaan me
Purani yado ko yad kar ram sing ke hotho me ek muskan aa gai thi ,use apni baisakhi uthai aur ghar ki or nikal pada ………
Usne ghar phuchte hi apna tv on kiya ,sharhad me aaj bhi goli bari ki ghabre aate rahti ti isliye wo apni bahu ko tv aur news se dur hi rakhta tha,wo nhi chahta tha ki wo chinta kare aur uska asar uske pet me pal rhe bchche par pade ,isliye usne news ki jagah music chenal laga diya ,jo gana abhi aa rha tha use sunkar raam sing aur bhi mast ho gaya tha ……
‘Ae meri zameen afsos nahi
Jo tere liye sau dard sahe
Mehfooz rahe teri aan sada
Chahe jaan meri yeh rahe na rahe
Ae meri zameen mehboob meri
Meri nas nas mein tera ishq bahe
Feeka na pade kabhi rang tera
Jismon se nikal ke khoon kahe
Teri mitti mein mil jawaan
Gull banke main khil jawaan
Itni si hai dil ki aarzu
Teri nadiyon mein beh jawaan
Teri kheton mein lehrawaan
Itni si hai dil ki aarzu’
Raam sing pure dil se gaane ko sun rha tha ki uska phon ghanghnaaya ,usne number dekha to uske chahre par ek nur bars gaya ,screen me naam tha rana sir ,unke major ranjit rana jo ab Brigadier rana ho chuke the …
“Hello sir “
Usne puri masti me kha ,aur dheere dheere uske hatho se uska mobile girta chla gaya …..
‘Ho watna ve, mere watna ve
Tera mera pyar nirala tha
Kurban hua teri asmat pe
Main kitna naseebon wala tha’
Gana ab bhi chal raha tha
*********************
Ek din bad raam sing ke ghar ke bahar logo aur media ki bheed thi army ki do gadiya bahar khadi thi pure ghar se rone ki awaj aa rhi thi ,mohit ki biwi sadme me thi .gaanw ke log ki chhatiya garv se phuli hui thi ,wahi raam sing apne ikoute bete ki arthi ke pas baitha hua tha...uske ankho me koi bhi ansu nhi the ,lekin uski jagah kudrat ne ansu barsana shuru kar diya tha ,baris musladhaar ho gayi thi ,army ke log bhi wanha moujud the kisi ki ankho se ansu bah rhe the to kisi ke chhati garv se phule jaa rhi thi ,log baris me bheeg chuke the lekin koi wanha se nhi hatna chahta tha sabhi ganw ke is bahaddur bete ke akhri darsan ko betab the ….
Is shahid ki akhri yatra me logo ka hujum chal pada tha,sabhi tarf uski bahdduri ke kisse the ,jab mukhagni dene ke liye raam sing ko bulaya gaya to jaise wo achank hi hosh me aaya ho uske kandhe par ek hath tha wo palta samne ranjit rana khda tha ,wo naa jane kitane der se wanha moujud tha lekin raam sing ne use abhi dekha ,ya shayd abhi dekh paaya tha …….
Uske ankho se dariya bahne lge ,rana ka shakt chahra bhi aur sine me dhdkata ptthar jaisa dil bhi maano pighal gaya ho ,uski gahri ankho me nami aane lgi thi ,lekin uske samne uske sipahi khade the ,aur ek shahid ki kurbani par roya nhi jata balki garv kiya jaata hai,usne khud ko bdi hi muskil me samhala tha,lekin raam sing to ek baap tha ,wo fut pda aur rana ke gale se lag gaya …….
“Rana sir akhir mere bete ne mitti ka karj chuka diya ,jo ham aap naa kar sake wo mere bete ne kar diya ..”
Rana is baap ke bahduri par mano itra sa gaya uske sine me raam ke liye ijjat aur bhi bad gayi thi ..
“Raam sing samhalo khud ko ,tum bhi ek sipahi ho aur tumhara beta ek shahid hai ,ek shahid ki akhri bidaai aise nhi ki jaati apne ankho ko garv se bharo ,ye pratistha ki ghadi hai jo ham dono ke nasib me nhi thi ……..”
Rana ki baat sunkar raam sing unse alag hua uske hatho me jalti hui lakdi de di gai thi ,sipahi bandukh upar kar chuke the sabhi ke man me us suory ki ijjat thi jo mohit ne sima par dikhaya tha ..
Raam sing ne ke apne jigar ke tukade ko gagni di,mohit ke samman me goliya chalai gai ,raam sing fut pada tha uske ankho se maano nadiya bahne lgi thi ,maana ki wo ek sipahi tha lekin abhi wo ek baap bhi tha,ek baap jisne baishakhi par khade hokar apne bete ki chita ko gagni di thi,uski najr dur khadi apni garbhwati bahu ke upar gai jo kisi murti ki tarf bas kisi aur hi duniya me khoi hui thi …………..aur us maa ke upar najr gai jo apne bete ki chita koi dur se badhwaso ki tarh dekh rahi thi ,dur kahi se ek awaj usi gaane ki sunai di
‘Ho Heer meri tu hasti rahe
Teri ankh ghadi bhar nam na ho
Main marta tha jis mukhde pe
Kabhi uska ujala kam na ho
Ho maayi meri kya fikar tujhe
Kyun ankh se dariya behta hai
Tu kehti thi tera chaand hoon main
Aur chand hamesha rehta hai…………’
*********************
Kuchh salo bad
Raam sing apne kheto ko nihaar rha tha ,uske majdur kheto me kaam kar rhe the ,wo subah se shaam tak kheto me hi rahta tha,use is mitti ki khusabu pasand thi, use apne kheto me lahlhate hue faslo ko dekhna pasand tha, ye use apne bete ki yad dilaate the ,uska beta ek fouji tha jisne apne khoon se is mitti ko sincha tha ,wahi raam sing ek kisaan tha wo apne psine se is mitti ko sinch rha tha ………
Dur se use kisi bchche ke hasane ki awaj aai ,uske alawa wanha moujud sabhi majduro ke chahre me ek roshani si khil gayi, uski bahu uske liye khana le kar aa rhi thi uske sath uska pota bhi tha,wo uchhal khud karte hue unki or bad rha tha ,
“Dada ji dadaji …….”
Wo bhut hi khus tha
“Are kya hai mera beta aaj itana khus hai “
Raam sing ne use god me lete hue kha
“Babuji wo rana sahab ka phon aaya tha jab se unse bat kiya hai tab se khusi se jhum rha hai .”
“Achcha ye bat hai ,batao to bhai ki akhir rana dada ne kya bola hamare bete ho .”
Wo apne pote ko dekhne lga
“Wo ………..”
Bchche ke kuch bolne se phale hi bahu bol uthi lekin fir ruk gai ..
“Kya bat hai bahu…???”
“Ji wo rana sahab apne naati randhir ko army school me dakhila dilawa rhe hai,wo chahte hai ki abhisek bhi uske sath …aapko phon karne ke liye kha hai ,lekin wo pahle abhisek se bat karna chahte the ……..”
Wo chup ho gayi ,raam sing ne apne pote abhisek ki or dekha ….randhir,ranjit rana ki beti ka ladka tha jo ki khud bhi ek army officer thi ,randhir aur abhisek dono hi lagbhag ek hi umra ke the……….
Tabhi raam sing ka mobeil ghanghnaya ,screen par rana sir likha tha ..
“Hello raam sing ,bahut ne bataya jo maine usse kha tha …??”
“Ji sir bataya lekin ………..”
Raam sing itana hi bolkar chup ho gaya tha ,rana uski khamoshi ko bhi samjh sakta tha…
“Raam sing tum jante ho ki abhisek tumhara aur mohit ka khoon hai ,tum kab tak use samjha paoge ,akhir khoon me basi hui desbhakti aaj nhi to kal bolegi hi ,’’
Raam sing kuch na kha paaya wo apni bahu ki or dekh rha tha ,wo bhi kuch kahane ki halt me nhi thi …
“Raam sing ...tumhe is mitti ki khusabu se bahut pyar hai na,jante ho ye khusabu kha se paida hoti hai ..?? ye khusabu kisano ke pasine aur jawano ke khoon se aati hai ……”
Rana ne phon kaata aur raam sing abhisek ko dekhne lga ..
“Mai bhi randhir ke sath army school jaunga ,aur apne pita ji ki tarh desh ki seva karunga ,is mitti ki seva karunga ……….”
Is bchche ki baat se wanha moujud sabhi hastprad the ,abhisek itana bolkar apne dada ji se dur hokak nachta hua kheto me chala gaya ,uske chahre me apar khusi baras rhi thi ,wo apne kheto me lahrate fasalo ke bich naach rha tha …….
Use dekhkar raam sing aur uske bahu ke ankho me paani tha aur dil me ek garv …….
Pas rkhe radio me gana baj rha tha …..
“Sarson se bhare khalihan mere
Jahaan jhoom ke bhagda paa na saka
Aabad rahe woh gaanv mera
Jahaan laut ke wapas ja na saka”
Raam sing ne abhisek ke roop me mohit ko apne kheto me nachte hue paaya tha ………….
THE END