TITLE : ISHQ WALA LOVE
LANGUAGE: HINGLISH
Date 25/12/2017
Shaam 5 baje
Neher pe bane hue pul pe woh khadi gehri soch main doobi hui uchalte hue paani ko tiktiki laga dekh rahi thi. Uske daayen aur chota khaali box parha tha. Aisa lagta tha jaise uski aankhen kisi ko dhoondh rahi ho. Shayad kuch bahut keemti kho gaya tha uska. Ankhon main lagataar tapakte aansu is baat ko phukta kar rahe the.
Wo neher aur uske aas paas ka area sheher se thora hat ke hone ke kaaran hamesha sunsaan rehta tha. Koi kabhi kabaar hi udhar se guzarta tha jisne kacche raaste se short cut jana ho. Par pata nahin wo konsa raasta dhoondh rahi thi.
Pehrawa dekh andaza hota tha ki woh kisi acche ghar se thi. Bikhri zulfen, black color ka punjabi suit, black heels, neeli ankhen aur unme main daala hua kajal. Yeh sabh to uski khoobsoorti ki shoti si misaal thi. Us khoobsoorti ko lafzon main kaid karne ka dawa karna bahut badi ghustakhi thi.
Asmaan se utri hoor keh sakte the usko. Par shayad aj us hoor ka noor kahin neher ke kinaare kho gaya tha. Upar-niche ho rahi paani ki lehren ko dekhti hui jane kyun woh school time ki yaadon main kho gayi.....
Kya din the woh. Jab pehli baar meri aur uski nazar takrayi thi. Pyaar shabad ka matlab bhi pehli baar usne samjaya tha. Shayad bhagwaan ne hume ekdoosre ke liye banaya tha. Same age, Same sheher, Same school, Same class aur Same Ishq Wala Love . Hamara pyaar poora filmy tha. Jaise film ke hero-heroine pehli baar ekdoosre ko dekhte aur bas dekhte hi reh jaate. It was like that only. It was " Love at first sight". Dono ne pehli baar ghar ki shat pe ekdoosre ko dekha tha. Main geele kapre sukhane aayi, wo patang urra raha tha. Hamari aankhon ka aisa milaap hua jaise saat janmo ki bichri hui jodi mili ho. Mujhe aisa laga wo patang ki door nahin meri rooh ki door pakre hue hain. Us din ke baad ghar ki shat se hum dono ki dosti ho gayi. Kya din- Kya raat...Bas ekdoosre ki aisi aadat parh gayi jo saari zindagi nahin shootne wali thi.
Mulaqaton ka aisa silsila chala, Woh hawa ban gaya aur main chiriya ban urti gayi..urti gayi. Bahut baar mulaqat hoti jab cricket ball mere ghar girti. Ya aisa kahun ki fenki jaati. Mere se ball ke baare main poochne par bhi uski zubaan kaampne lagti. Par kehte hain naa...Ishq main jo zubaan se nahin keh hota, Wo ankhen keh diti hain. Ekdoosre ki ankhon main hume apni zindagi nazar aane lagi thi.
School main mere liye uska chocolates lekar aana, Badle main mera uska homework aur assignments banana. Boys se mere liye larna, mera uski aur dekh rahi girls se jealousy karna. Assembly main khari hui ko hamesha dekhte rehna. Cycle pe jaate hue mera peesha karna. Aur bhi pata nahin kitna kujh. Ishq bhi kitna haseen baccha hota hain, choti-choti baatein badi-badi khushian deti hain.
First kiss bhi hamari badi anokhi thi. Main principal ke room main books rakhne aayi thi jahan woh hands up karke khada tha. Shararat ki saza jo mili thi usko. Pata nahin pyaar ka asar tha jo himmat karke maine uske honthon pe honth rakh diye. Kiss karni toh aati nahin thi, par uske honthon ke sparsh ne poore shareer main goosebumps bhar diye the.
Kahin bhi mujhe akeli ko dekh woh mere paas baith jaata tha. Hamesha fikar rehti thi usko. Tabh Facebook, Orkut, Whatsapp toh door ki baat hain, mobile phones hona bhi ameer ki nishaani maane jaate they. Aisa kuch bhi nahin tha humare paas. Par in sabke bina bhi hamara pyaar 4G ki speed jaise tezi se badta gaya.
Khair yaadein ton yaadein hi hain.
Ek toofani leher ki zordaar aawaz ne usko sapno se bahar nikala. Aaj bhi woh akeli baithi thi. Par paas usko kahin bhi wo baitha nazar nahin aaya. Pata nahin konsi khata ki saza de raha tha. Shayad koi galti hui thi, agar hui hain to maafi maangne ke liye tayaar hai woh....par......
Badal garajne ki aawaz aayi. Bhagwaan baarish ke saath yaadon ko bhighona chahta hain. December ke mahine main baarish kabhi-kabhi hi hoti hain. Khair bhagwaan ki marzi bhagwaan hi jaane. Usko bahut darr lagta tha bijli se. Par aaj woh tass se mass nahi hui. Badal aur bijli ki karakti aawaz phir usko puraani yaadon main le gayi.
Kya din the woh. Baarish wale mausam main college se bunk maarna, canteen main jaakar samose khaane, Bahar movie dekhne jana. Cinema hall ke andhere main ek doosre ki baahon ki roshni main lipte rehna. Movie ki story yaad nahin rehti thi, par kitni kiss karin hain woh pakka yaad rehta tha.
Haha. Are woh din toh bhool gayi jab pehli baar humne pyaar ka jhoola jhoola tha. Haath-Pair darr ke maare kaamp rahe the dono ke. Pehli baar jabh koi aapko bina kapron ke dekhe toh aisa hi lagega naa. Us din baarish ke paani se bheege hue dono Ishq ki aag main jal gaye the. Us din tan-man se ekdoosre ke ho gaye the. Pyaar ka meetha dard maine himmat karke sehen kar liya. Karti bhi kyun nahin, Jawani ki jism ki aag shaant jo karni thi. Charti jawani ke saroor saamne woh dard feeka bahut feeka lag raha tha.
Par woh behek ke kiya gaya sex nahin tha. Jismon ki bhookh mitane se upar do roohon ka milan tha. Us din ke baad do jism pooran taur se ek ho gaye.
Zindagi ka vo haseen pal
Teri baahon mai tham gya tha
Alfazon mai beyan na ho ske
Aisa ishq junoon bn gya tha
Par kehte hain yeh sabh kitaabi baatein hain. Asal main sacche pyaar ko koi nahin samajta. MBA ki degree bhi poori ho gayi, Abh pyaar poora karne ki tayaari reh gayi thi. Par bhagwaan ko shayad kuch aur manzoor tha.
Main kayi din use nahin mili. Main ghar main kaid kar di gayi thi. Mujhe pata tha ki usko bhi meri fikar jaroor hui hogi . Wo shat par bhi aaya hoga. Aam taur pe main raat main jaagti hoti thi. Mujhe yakeen tha ki woh ekdin kisi tarah mujhe jaroor milne aayega. Phir achanak ek din woh choro ke jaise shupta hua mere ghar daakhil ho gaya. Woh cricket ball lene ke liye bahut baar ghar aaya tha, isliye usko mera room maloom tha. Mere room ke door ka lock aisa tha jo bahar se button dabane par khul jata tha. Yeh usko pata tha. Usne lock khol diya . Mujhe abh woh saamne nazar aa raha tha, woh bhi kitne dino baad. Main hairaan thi ki usme itni himmat kaisi aa gayi thi. Par aisa lag raha tha jaise kitne varsho baad mere sookhe aangan ko barsaat naseeb hui ho.. Main uske paas gayi aur seene se lipat gayi. Rooh ke andar dabe hue jazbaat jawalamukhi ki tarah fatt kar bahar aa gaye.
" Papa ko sabh pata chal geya" Main ek saans main boli. " Bhaiya ne hume park main milte dekh liya tha. Ghar sabko bata diya".
" Tumne samjaya nahin unko" Wo kehne laga. " Bataya nahin kitna pyaar karte hain hum ekdoosre ko"
" Bataya....maine bahut manane ki koshish ki, par unhone kaha ki dobara tumse naa milun. Aur wo meri shaadi jaldi kahin aur karva rahen hain" . Main roti hui uske gale lag sabh bata rahi thi.
" Maine bhi apne gharwalon se baat ki thi, Woh bhi maan nahin rahe hain.." Usne kaha. " Mujhe laga tha shayad tumahre parents agar maan gaye toh woh baat kar lenge. Par idhar toh..."
" Maine bhi jitna ho saka kiya, Bahut manaya yaar bahut, Unki maar bhi khaayi. Lagta hai hamara pyaar adhoora reh jayega". Mera khud pe kaabu na raha. Main uski shaati se lipat kar rone lagi.
" Adhoora nahin rehne deta main. Mere hote hue koi door nahin kar sakta hume" Usne meri aankhon ke aansu poonchte hue kaha. " Mai tera hun aur tera hi rahuga."
"Zindagi swarg hai to apsara hai ishq
Rooh samandar ha to paani hai ishq
Sama berukh ha to dariya-dil hai ishq
Zamana tanashah ha to bagawat hai ishq"
" peeen... Peeeeeeeennnnn" Zordaar horn ki aawaz ne uske sapno ko phir toda.
Side pe khari uski car ka horn baja tha.
" Kya hua rahul?" Usne pyaar se poocha.
" Driver seat pe niche coke ki bottle gir gayi thi. Usko uthate hue horn back se touch ho gaya. " Rahul ne kaha.
" Its ok baby. Carry on..Enjoy the food..." Maine smile ki. " Are neeche chaddar jaroor beesha lena, Keere-makore se bach ke..."
Rahul ko dekh hamesha woh sama yaad aa jata hai jab maine marriage karwa li thi. Gharwalon ki pasand se nahin, balki apni pasand se. Marriage karwane ke baad hum punjab se kahin door uske mama ji ke ghar jaake rehne lage. Socha tha jabh tak job nahin milti , Tabh tak wahan rehke guzara kar lenge.
" Kya humne theek kiya?" Suhagraat pe maine usko poocha tha.
Na koi naach gaana, na baraati, na khushion ki shehnaia, Na card pe golden ink main likha hua " Rahul Weds Ishika", na maa-bap ka hasta chehra, thi to bas sunsaan khamoshi . Mundap ki jagah court kacheri ne li thi aur pandit ka kaam government ke offficer ne kiya tha.
" pata nhi. Par jeete ji main tumhe kisi aur ke saath nahin dekh sakta" Usne meri dono cheeks haath se pakar li. " Tum meri ho, meri hi rhogi".
Haan usne sach hi kaha tha. Main uski hoon , aur uski hi rahungi.
Main aaj bhi uski hoon aur hamesha rahungi. Yeh baat ka mujhe hamesha garv rahega. Par jis baat ka afsoos hai. Woh...toh....!!
" mom..." Aaayo chalen nahin toh raat ho jayegi, Aur baarish shuru hone waali hai. " Rahul ne use soch se nikala. Usne baaju pe bandhi hui watch ko dekha. 6 baj rahe the.
" Har saal aaniversary pe yahan aate ho. Main akela baitha bore hota rehta hun. Udhar aap paani main fishes ko khana khilate rehte ho. Yeh fishes kya kuch special hain? " Rahul ne car ki aur jaate hue saawal kiya. Usne paas parha khaali box uthaya aur uske saath-saath chal parhi."
" Bahut special hain. Khushi milti hain, Jo bahut saal pehle kahin kho gayi thi" Usne kaha. Dono car main baithe. Rahul ko is baat ki gehrayi samaj nahin aayi par ek din aage jaaakar shayad samaj jayega.
Car start hone ki aawaz aayi. Bridge se utarke car sadak pe aa gayi aur dheere dheere ankhon se ohjal ho gayi. Shayad woh apne dil main dafan raaz ko abhi kholna nahin chahti thi.
Date 25/12/1999
Shaam 6 baje
Woh aur rahul vivah ke ek saal baad apni aniversary pe picnic manane ja rahe they. Hansi majaak karte hue dono ki jodi bhavren aur fool jaise lag rahi thi. Jaldi pahunchne ke liye unhone shortcut le liya. Neher ke bridge ke paas pahunche toh sadak ke beecho beech ek car khadi thi jis kaaran raasta block ho gaya tha.
Rahul ne zor se brake pe paanv rakha. Badi mushkil se car ruki. Saamne teen aadmi nazar aaye. Do ke haathon main kisi kisam ka hathyaar tha. Ek khaali haath khara tha.
" Please back kro..jaldi" Woh cheekhi. Woh pehchaan gayi thi apne bhaiya aur papa ko.
" Yeh kaise aaye yahan?" Rahul ko kuch samaj nahi aaya. " Inhe kaise pata chala?"
Rahul ne car back karne ki koshish toh ki par woh kaafi nazdeek pahunch gaye the. Jis karan kacche raaste pe car daalni parhi. Pata ni bhawaan ko kya manzoor tha ki car achanak ruk gai. Shayad jaldi main rahul se clutch shoot gyaa. Aisa laga jaise zindagi bhi shoot gayi.
" bahar nikal saale" haath main talvaar pakde uska bada bhai car ka sheesha torta hua bola. " behenchod bahar aa". Sab kuch itna jaldi hua ki rahul ko kuch bhi samaj nahin aaya.
" Chor do bhaiya, please chor do..." Kaampte shareer main woh bahut girgirayi. Par tabh tak uska bhai khidki se rahul ko bahar nikal uske pet main laate-ghoonse maar raha tha.
" Shorna mat sale ko, bada inquilabi banta hai, hamare dharam ko brasht kiya" kehke uske papa ne rahul ke sar main danda de maara. Chot itni zor ki lagi ki rahul zameen pe mooh ke bal gir para. " Saale poore ek saal se dhoondh rahe they tujhe. Sala delhi main shup kar baitha tha. Tere mama pe talvaar rakhi toh tote ki tarah sabh bak diya kutte ne.."
" Haye mat karo, Please somebody help us...Please......somebody......please...for gods sake....." Woh car ki khidki kholte hue rahul ki taraf bhaagi. Uske shote bhai ne kalayion se pakar usko rok liya. " Bhaiya mat karo...papa ruk jao....please....rahul ko chor do please....main haath jorti hun.....no....please..."
Rahul ko sambhlne ka mauka bhi nahin diya gaya. Uska bhai aur baap andha-dhundh uspe vaar karte gaye. Baap ne danda maar-maar rahul ka sar khol diya. Bhai ne talvaar maar-maar peeth ki haddi chaknachoor kar di. Har taraf khoon hi khoon fail gaya. Uska baap aur bhai jaanwar ban gaye the.
" Ahh....meri amanat ka khayaal rakhna..." Yeh words rahul ke mooh se nikle aakhiri words the. Iske baad woh sada ke liye khamoosh ho gaya. Woh samaj gayi ki uski duniya tabah ho gayi hai. " Kya kar diya tha humne? Kya kasoor tha hamara? Kya Pyaar karna gunah hai? Kya Doosre dharam main shaadi karna gunah hai? Kya iski saza maut hain?" Woh rahul ki laash dekh baukhla uthi.
Uske bhai aur baap ne rahul ko uthaya aur bridge ke neeche neher main fenk diya. Paani main laash girne ki zordaar aawaz aayi. Rahul ka be-jaan jism neher ke paani main kahin kho gaya.
" iska kya karen? " shote bhai ne poocha.
" kaat do isko bhi.. haramzaadi.... hamari izzzat mitti main mila di" baap chillaya.
" Doosre dharam main vivah karwane walon ka yehi haal hona chahiye. " Kehke uska bhai talvaar hawa main lehrata hua uski aur barha " Ghar se jabh bhaagi thi tabhi mar gayi tu her thaamare liye."
Woh maut ko saamne dekh sakti thi. Lakin usko rahul ka khoon se lathpath chehra yaad aa raha tha. Woh apni jagah se hili bhi nahin. Bhai ke paas aate usne ankhen band kar di.
"Thishhhhhhh" Zordaar goli ki aawaz sunai di. Uska bhai wahin ruk gaya.
"Hands up. sabh apni-apni jagah pe khare raho. nahi tan goli maar dunga" Ek police wala revolver pakar bhaag ke aaya. Uske peeche teen policewale aur the. Peeche unki jeep sadak pe khari nazar aa rahi thi. Sabh ke haathon main revolver tha. Shayad unhone sabh kuch dekh liya tha . Uske bhai aur baap ko giraftaar kar liya gaya. Kismat thi ya saccha pyaar, Woh aur uski kookh main pal rahi amanat bach gayi thi.
Baad main pata chala ki police us area main patroling ke liye nikli thi. Yeh kismat ka sanjog hi tha ki unhone shortcut liya aur sadak ke beech car khadi hone ki wajah se jeep rokni parhi aur sabh kuch dekh liya aur usko bacha liya. Agar police ki jagah koi aur hota toh shayad is chakkar main naa parta.
Rahul ki laash kabhi bhi nahin mili. Shayad tez paani ka bhav rahul ko hamesha ke liye door le gaya. Peeche reh gayi toh unki amanat. Usne amanat ka naam " Rahul " hi rakha. Woh sabse door chali gayi. Kabhi bhi apno ya rahul ke gharwalon se nahin mili. Doosra vivah bhi usne nahin karwaya kyunki uska kehna tha woh uski hai aur uski hi rahegi.
"Samajti nahi hai ye bekhabar dunia
Ishq Jaat-paat aur dharam ki deewaren nahi dekhta
Kurbaan ho jayega, Mar mit kaega is jahan se
Ishq kbhi rasmo-rivaazon ke aage maatha nahi tekta."
18 saal beet chuke hain. Har saal is din woh apne 18 saal ke bete rahul ke saath yahan kuch sama guzaarti hai aur mashliyon ko khana khilati hai is umeed main ki....
Kaash koi paani main se aawaz lagaye..." Tum meri ho, aur meri hi rahogi.."
________________________________________THE END_____________________________