• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance 8TH SEMESTER ! (Completed)

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Chapter-24:before the exam
Update-85
"dil pe nahi ,muh me le le aur abhi rona band kar ,bade bhaiya aate hee honge..."
.
Uske baad bade bhaiya ka ek aur call aaya jab wo hostel ke bahar khade the...main turant bhag kar bahar gaya aur unke pair chhukar unke hath me jo bhi khane-peene ka samaan maa ne ghar se mere liye bhijwaya tha use apne hatho me lekar bhaiya ke sath apne room par aaya....
humare hostel me rahne wale laundo ki sabse buri aadat ye thi ki yadi unhe maloom chal jaaye ki falana ladke ke ghar se koyi milne aaya hai to wo us falana ladke ke room me kisi na kisi bahane se jakar ye dekhenge ki khane ka saman aaya hai ki nahi aur yadi khane ka saman aaya hai to kitna aaya hai.....mere sath bhi yahi ho raha tha, jab se bade bhaiya room me baithe the tab se kayi ladke room me aate ,bade bhaiya ko namaskar karte aur phhir bistar par pade khane ke bag ko dekhkar chale jaate.....
"tere hostel ke ladko ko koyi kaam dham nahi hai kya ,jab se dekh raha hoon ,10-12 ladke tere room ka chakkar laga chuke hai...."bade bhaiya ne puchha...
"wo sab chhodo aur ye batao ki is tarah achanak kaise aana hua..."
"wo pitaji ne kaha tha ki main tujhe bina bataye hee aaun,jisase hume maloom chal sake ki tu rahta kis haal me hai..."pure room ki taraf C.I.D. Wali nazar dalte hue bade bhaiya ne aage kaha"well...room to saaf karke rakkha hai...good"
"thank you bhaiya... "
"tera naam kya hai bhai..."Arun ki taraf dekhte hue bade bhaiya ne kaha...
Arun is waqt book kholkar padhne ki nautanki kar raha tha, jaise hee bade bhaiya ne sawal puchha usne tapak se apna name bataya aur phhir padhne me busy ho gaya...
"Arman,that's the spirit,...aise hote hai padhne wale ladke..."Arun ka example dete hue unhone Arun se uske first semester ke result ke baare puchha...
"all clear..."
"clear to sirf ek din padhne wale bhi kar lete hai yar..."
"8.9 ,class me 3rd rank.."Arun ne ekdum serious hote hue jawab diya aur phhir dusari book kholkar padhne baith gaya....
.
jab bade bhaiya Arun se sawal-jawab kar rahe the tabhich mujhe dhyan aaya ki Aalmari me cigarette ki kuch packets rakkhi hui hai...
"kahi bhaiya Aalmari na khol de, warna saari ijjat ka kabada ho jayega "
"ye teri Aalmari hai..."
"haan...na..mera matlab haan,lekin kyun...aapne kyun puchha..."
"khol to..."
"wo abhi nahi khul sakti..."
"abhi nahi khul sakti...aisa kyun, kya koyi subh muhurat me hee Aalmari kholta hai kya..."
"iski chabhi gum ho gayi ,aaj subah-subah..."
"to phhir la ,tala tod dete hai..."bade bhaiya Aalmari ki taraf jate hue bole...
"bade bhaiya...ruko..."main ekdum se kood kar Aalmari aur bade bhaiya ke beech me aa gaya...
"are you ok"
"i'm ok..."
"phhir hat samne se..."
"tala todne ki jaroorat nahi hai...mere pass extra chabhi hai..."
"to la de wo extra chabhi..."
"extra chabhi hee to gumi hai...shaam tak mil jayegi..."
"pahle bolta hai ki extra chabhi hai, phhir bolta hai ki extra chabhi hee gum ho chuki hai aur ab bol raha hai ki shaam tak chabhi mil jayegi....tu pagal to nahi ho gaya"
"main ekdum thik hoon bhaiya, wo kya hai na ki, ye chabhi mujhse hamesha kho jati hai,lekin phhir idhar-udhar padi mil jati hai...."
.
Mere is bartaav par bade bhaiya kuch der tak chup rahe aur phhir bahut der tak mujhe ghoorte rahe...
"tu kafi badla-badla lag raha hai..."
"kafi se yaad aaya, chaliye aapko coffee pilata hoon, pass wale dukan ke pass ekdum jhakkas coffee milti hai..."
"par aate waqt to mujhe koyi bhi dukan aas-pass nahi dikhi..."
"hai na ,2 kilometer ki doori par,aapne dhyan nahi diya hoga..."
"2 kilometer door ko tu aas-pass bolta hai..."
"kaun sa paidal jaana hai, bike se pahuchane me 5 minutes bhi nahi lagte..."
"jyada bada ho gaya hai tu,..mujhe koyi coffee nahi peeni,chup chap idhar hee baith warna kheench ke ek lafa dunga..."
Main kya karta..chup chap Arun ke bistar par baith gaya...
"tere sath mujhe nahi,Vipendra bhaiya ko hee rahna chahiye...tabhi tu shant rahega..."dheemi aawaz me Arun bola...
"chup kar warna...yahi thok dunga..."main bhi khusphhusaya aur Vipin bhaiya ki taraf dekha, mujhe hadka kar bistar par so rahe the...aur jaise ki unhone mujhe bataya tha uske hisab se unki train shaam ko thi...main har aadhe ghante me apni ghadi dekhta aur intezaar karta ki jald se jald shaam ho jaye aur mujhe mukti mile...dopahar ko khana khane ke liye maine bade bhaiya ko uthaya, lekin unhone hostel ki canteen me khane ke liye mana kar diya aur ghar se jo laaye the usase apna pet-puja karke kuch der tak mujhse aur Arun se baate ki aur phhir ye bolkar so gaye ki shaam ko 4 baje main unhe utha doon....bhaiya ko sota dekh maine rahat ki saans li
"chal be ek side..."Arun ko ek laat maarkar side hone ke liye maine kaha...
"Arman...khane wala bag khol na... "
"muh band kar nahi to juta ,chappal daal dunga muh me..."
"yadi aisa karega to phhir main bade bhaiya se bol dunga ki tu cigarette peeta hai,daru bhi peeta hai,maar-peet bhi karta hai aur sath me laundiyabazi ,seetiyabazi bhi karta hai...."
"achchha , phhir main bade bhaiya se bolunga ki mujhe cigarette peena tune sikhaya, daru ki lat tune dali aur laundiyabazi me tu bhi mere sath rahta hai..."
"Arman, you are playing with my left side..."
"ab bakwas band aur ye bata ki tune apna result galat kyun bataya..."
"impression...beta impression...tu khud soch ki tere bhai ko yadi ye maloom hota ki meri first semester me back lagi hui hai tab unka impression kya hota..."
"chal khada ho aur wo mithayi ka dibba utha..."
"sach... "Arun khushi se bola..
"nahi mazak kar raha hu, abey chal ja..."
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-86
"nahi mazak kar raha hu, abey chal ja..."
.
Arun chupke se utha aur mithayi ka dibba uthakar wapas aaya...
"abey Arman,bade bhaiya kahi jaag to nahi rahe..."ek mithayi apne muh me bharkar Arun ajeeb si aawaz me bola...
"bade bhaiya,Shuru me sone ka natak kar rahe the...lekin pichhale 5 minutes se wo so rahe hai..isliye bindaas hokar apni tanki bhar..."Arun ke nakshe kadam par chalte hue maine bhi ek mithayi uthayi aur use khate hue ajeeb se aawaz me bola...
" ye tujhe kaise maloom..."Arun ne ek aur piece uthate hue puchha..
"aaj se lagbhag do saal pahle ek news paper me ek article aaya tha ,jisme ye bataya gaya tha ki aap aankh moond kar lete hue ek shaks ko dekhkar kaise maloom karoge ki wo sone ka natak kar raha hai ya sach me so raha hai...."maine bhi mithayi ka dusara piece uthate hue jawab diya...
"kamal hai.."abki baar Arun ne teesara piece uthaya aur kaha"main kya bolta hoon ki apun dono hee milkar ye dibba khali kar dete hai,warna bade bhaiya ke jaate hee launde tut adenge aur hum dono ghanta hilate rah jayenge"
"ekdum correct baat boli hai tune..."
"wo to apun hamesha bolta hai...bol papa isi baat par
"
"mummy bolu...ye chalega kya
"
.
Ek ghante baad bade bhaiya ki aankh khuli aur unhone hostel warden se mulaqat ki aur mere baare me,meri harkato ke baare me warden se baat-chit ki...ab ek college hostel ka warden hostel me rahne wale sabhi ladko ke baare me kaise jaan sakta hai...lekin humara warden mere baare me bahut kuchh janta tha...meri harkato ke baare me wo mere bhai ko sab kuchh bata sakta tha...lekin usne aisa nahi kiya aur usne aisa kyun nahi kiya ,iska reason bhi main hee tha...hua kuchh yun ki jab se bade bhaiya ne phone me bataya tha ki wo yaha aakar mere teachers se milenge tabhich se maine Sidar ko bolkar apne warden ko samjha diya tha ki wo mere bade bhaiya se meri koyi shikayat na kare...aur hua bhi waisa hee, warden ne bade bhaiya se kuch nahi kaha.....
.
un dino meri kismat bhi kuchh jyada hee mujhpar meharbaan chal rahi thi, jaha kal raat maine college ki sabse hot laundi ko usi ke ghar me usi ke bistar par choda tha wahi kal ki farewell party ke chalte aaj college band tha...jisase bade bhaiya ko mere teachers se milne ka koyi mauka nahi mila...ab main prime minister ka koyi rishtedar to tha nahi ki college ka staff mere Vipin bhaiya se milne ke liye aaye
isliye bade bhaiya ko filhal warden ke muh se meri jhoothi tareef sunkar hee jana pada..
.
"aap kaho to railway station tak chhod deta hoon, bike ka jugad hai..."hostel se bahar nikalte waqt maine kaha...
"koyi jaroorat nahi hai aur bike kam chalaya kar..."daant lagate hue wo bole
"bade bhaiya aapne thik se suna nahi shayad....maine kaha ki main aapko railway station tak chhudwa deta hoon,mere kisi senior ke sath..."apni baat ko turant palat kar maine kaha...
"wo sab chhod aur ye bata ki Arun ki kitne subject me back lagi hai..."
"aapke kaan kisne bhare Arun ke khilaf wo to topper hai class ka"pahle main buri tarah hadbadaya lekin baad me sambhalte hue jawab diya...
Meri baat Sunkar bade bhaiya wahi rook gaye aur meri taraf dekhte hue bole"Arman, jis do saal pahle ki article ka hawala dekar tu Arun se bindaas hokar baat kar raha tha, wo article maine bhi padha tha aur mujhe achchhi tarah se maloom hai ki sone ki acting kaise karni hai....
"
Ye meri liye current ke kisi jhatke ki tarah tha..kyunki yadi aisa tha to bade bhaiya ne phhir humari saari baate sun li hogi aur sath me main khud ko shabashi bhi de raha tha ki achchha hua jo maine us waqt apne baare me koyi baat nahi ki...warna abhi hee meri T.C. Nikal jati....
"ab German me bolega ya hindi me hee jawab dega..."mujhe bhauchakke khada dekhkar bade bhaiya ne apna sawal daga...
"ek hee subject me back hai Arun ki..."
"aur tune Varun naam ke senior ko kyun peeta tha, mana kiya tha na ladayi jhagde ke liye..."
Ye mere liye pahle wale jhatke se bhi bada jhatka tha...bole to double shock....
Ye mere liye double shock isliye tha kyunki is baare me maine room me Arun se koyi discussion nahi kiya tha lekin phhir bhi Vipin bhaiya ko ye maloom chala...matlab pakka kisi ne apni kali jubaan bade bhaiya ke aage kholi thi....
"us MC warden ne bataya hoga..."maine andaza lagaya...
"aapko ye kisne bataya..."
"jab main yaha aa raha tha tabhi tere ek senior se meri mulaqat hui aur maine tere baare me puchha aur janta hai kya hua..."
"kya "
"main apni baat bhi khatm nahi kar paya tha ki wo bol pada.....aap usi Arman ki baat kar rahe hai na jisne Varun Verma ko thoka tha...to phhir maine jawab diya ki...haan main usi Arman ki baat kar raha hoon aur main uska bada bhai hoon..."
"uske baad kya hua..."meri aawaz ab dabne lagi thi...meri halat ab aisi thi jaise ki mera bahut bada jurm samne aa gaya ho....
"jaise hee tere us senior ko pata chala ki main tera bada bhai hoon...to wo ekdum se chup ho gaya aur turant hee waha se khisak liya..."
"aise hee chhoti-moti bahas hui thi Varun se...kuch khas nahi hua..."
"kuch khas hona bhi nahi chahiye...."main highway se humare hostel ko jodne wali road par aakar bade bhaiya ne kaha"dekh Arman, ye umra ka wo daur hai,jab saari achchhi naseehat kharab lagti hai...banda ye sochane lagta hai ki ye saare niyam ,kayade-kanoon use bandisho me kaid karne ke liye banaye gaye hai...lekin haqiqat ye nahi hoti, hum saari chizo ko tab samajhte hai,jab sab kuch humare hatho se nikal chuka hota hai....main ye nahi kah raha ki tu koyi aadarashwadi ban, koyi misal kayam kar...lekin is baat ka bhi dhyan rakh ki hum middle class ke log jis society me rahte hai...wo badi kharab hai...yaha log apne baare me sochane se jyada dusaro ki burayi karne me jyada dhyan dete hai...you don't know ki tere first semester me itne kam marks lane se kaisi-kaisi baate udd rahi hai...."
Vipin bhaiya ki baate main chup-chap sun raha tha ,tabhi mujhe door se city bus aati hui dikhayi di...jise dekhkar bade bhaiya ne bag mere hath se apne hath me liya aur bole...
"ek aakhiri baat Arman...enjoy your life fully..lekin itna nahi ki others enjoy on your life....bye,"
.
Vipin bhaiya ke jaane ke baad bhi unki baat mere kaano me mandir ke ghanto ki tarah rahe...main apne khayalo me dooba hua hee hostel aaya aur apne room me ghuste hee Arun se puchha ki Exams ki date kab se hai....aur is saal ye pahla mauka tha jab maine exam ke pahle book kholkar padhne ki jehmat ki thi...lekin mere khas dost Arun ko shayad ye pasand nahi aaya isiliye wo baar-baar khane ke saman ka packet jor se kholte hue mera concentration padhayi se hatana chahta tha...lekin main bhi koyi kamzor khiladi nahi tha...maine kaan me headphone fasaya aur padhayi phhir se shuru kar di....aur sach me batau to us raat mujhe bahut dino baad sukun ki neend aayi..itni shandar neend to kal raat deepika mam ko
karne baad bhi nahi aayi thi....basic electrical engineering subject ke do chapter ek hee din me padhne ke baad sote waqt Esha ke baare me sochana sach me mujhe bahut jyada sukun dene wala tha....
___________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-87
basic electrical engineering subject ke do chapter ek hee din me padhne ke baad sote waqt Esha ke baare me sochana sach me mujhe bahut jyada sukun dene wala tha....
.
dusare din meri neend Arun se pahle khuli, jiska ek reason shayad ye bhi ho sakta tha ki Arun ne raat-bhar facebook par kisi laundiya se chatting ki hogi...college ke liye der ho rahi thi,lekin Arun to bhajiye tal ke so raha tha....
"jago Mohan pyare, savera ho gaya, surya aakash me apni lalima bikher raha hai aur aap hai ki yaha apne shayan kaksha me chir nindra me khoye hue hai...aaj MahaVidyalay ki taraf prasthan karne ke baare me aapka kya vichar hai..."
"tune kuch kaha kya..."aankhe malte hue wo utha aur uthne ke turant baad hee bina brush kiye college jane ke liye taiyar hone laga....
"abey lodu, brush to kar le kam se kam..."
"Sher kabhi brush nahi karta, khoon hamesha unke daanto me laga rahta hai "
"gazab...."
.
Aaj main pahli baar college me padhne ki ummid liye ja raha tha, maine bahut kuchh soch rakkha tha,jaise ki kuchh bhi ho jaye,main class me ek lafz bhi apne muh se nahi nikalunga, teachers jo padhayenge wo samajh me aaye chahe na aaye main phhir bhi padhunga...aur hua bhi aisa hee , maine shuru ke five periods bina kisi dhamake ke nikal liye the...aaj kisi bhi teacher ne mujhe kisi bhi baat ke liye nahi toka, aur finally main aaj bahut khush tha....sabko mere is naye bartaav se thodi hairani to hui lekin un sabse jyada hairan aur Pareshan mera khas dost Arun tha aur usase bhi jyada hairan aur pareshan main khud tha....
.
"oye Arman, ye kya laundiyo ki tarah darr kar chup chap baitha hai...mard ban aur pahle ki tarah bakchodi kar..."
"abhi to filhal mujhe student banna hai aur mard to main hoon hee..."
"mera kahne ka matlab tha real mard ban..."
"chup kar lawde,aaj main padhne ke mood me hu..."
"kya padhega is bakwas period me, "jamhayi lete hue Arun ne kaha"ek to waise bhi ye group discussion subject sabse boring subject hai upar se ye bhavna mam ko dekhkar neend aur aa jati hai...yadi tu apne bade bhaiya ki naseehat ko is period me chhod dega to tera hee fayda hoga..."
"abey bahar kar degi ye moti..."
"ghanta bahar karegi, zara ek nazar puri class me ghuma kar dekh...sab time pass kar rahe hai..."
.
Arun ke kahne par maine apni nazar ek baar puri class me daudayi,wo sahi bol raha tha...jaha bhavna mam ek taraf kisi topic par lecture de rahi thi wahi dusari taraf class ke sabhi students khud ka lecture chala rahe the...maine socha ki is period me apne dimag ko thoda aaram diya jaye....
.
"chal aaja ladkiyo ke baare me baat karte hai..."jamhayi marte hue maine kaha...
"wo sab to thik hai lekin is fattu Naveen ko idhar se bhaga...sala khud to darta rahta hai upar se hume bhi darata hai..."
"rahne de ,main khud hee yaha se chala jata hoon..."hum dono ki bak bak se pareshan hokar naveen ne kaha....
Naveen mauka dekh kar peechhe wali seat par sama gaya aur Naveen ke jate hee mere aur Arun ke beech padhayi ki baate shuru ho gayi...bhavna mam ka sleeping lecture ab bhi chalu tha...bhavna mam ki class ko hum dono ne is kadar bhula diya ki hume yaad tak nahi raha ki abhi hum dono college me hai...
"Arun and Arman..kya chal raha hai udhar.."
"kuch nahi...kuchh bhi to nahi mam.."maine turant mobile bag me dala aur khada ho gaya...
"mobile lao idhar aur hod ke pass chalne ko taiyar ho jao"
"sorry mam,wo kisi ki call aa rahi thi..."
"itna emergency call tha to permission lekar bahar ja sakte the,is tarah se class ko chidiya ghar banane ki kya jaroorat thi..."
"next time se bilkul bhi aisa nahi karunga... "ekdum pyar se maafi magne wale andaz me maine kaha...
"achchha ye batao,jo sawal maine puchha tha uska jawab kya hoga..."
"repeat the question please "
Bhavna mam ne question repeat kiya lekin sab kuch pani ki tarah mere sar ke upar se gaya "mam, ek baar group discussion ka topic batao na ..."
Uske baad bhavna mam mujhe kha jane wali nazaro se dekhne lagi aur gusse se cheekhte hue boli"nikal jao mere class se..."
"MC chilla mat, warna ek baar lund fekunga to pura khandan chud jayega..."unki aankho me dekhte hue maine apni aankho se hee kah diya aur pair patakte hue class se bahar aaya....
.
Class se bahar nikale jaane ke kuchh hee der baad hee kuchh aisa hua ki jaha kuchh der pahle main bhavna mam ko galiya de raha tha ab wahi main unke mobile par thank you ka messege bhejna chahta tha...thank you ka messege mobile par isliye kyunki bhavna mam ke samne jakar thank you bolne ki himmat nahi thi
"Esha....rook"Esha jab class se akeli nikli to maine use aawaz di lekin usne mujhe puri tarah se ignore kiya aur aage chal di...
"oye chudailin rook..."
"kya hai "gusse se palat kar wo boli..
"tujhe bhi class se nikal diya kya
"use halka sa dhakka dete hue maine kaha...jisase wo bhadak uthi aur door hote hue boli
"mind your behaviour..."
"chal chudail,jyada bhav mat kha...aur ye bata ki tujhe class se kyun nikala hai..."
.
Classes abhi bhi chal rahi thi isliye corridor abhi pura khali tha,jisme main Esha ko pareshan kar raha tha...aur dil hee dil me ye bhi soch raha tha ki aaj to mast mauka mila hai....
"Arman, mera mood is waqt bahut kharab hai...door raho mujhse..."
"Iiiiiii....."
"kya Iiiii.."
"kuch nahi "udas hote hue maine socha ki shayad main kabhi Esha ko I Love You nahi bol paunga...sala waise to bahut sher banta hoon lekin jab is chudail ko i love you bolne ki baari aati hai to hawa tight ho jati hai....phhir maine socha ki I Love You bolne ki itni jaldi bhi kya hai abhi to second semester hee chal raha hai....
"ab mere peechhe mat aana..."corridor me aage badhte hue Esha boli...
waise to Esha ne mujhe usko follow karne ke liye mana kiya tha lekin mujhe aisa laga jaise ki wo mujhe apne sath chalne ka Invitation de rahi ho....meri soch sahi thi ya phhir main galat tha,ye mujhe nahi pata...lekin us din main Esha ke peechhe-peechhe gaya...Shuru me to wo gussa hui lekin phhir chup ho gayi aur canteen ke pass pahuchte hee wo mujhpar muskurane lagi....
.
"tum par case kar dungi..."haste hue usne kaha...
Canteen me wo jis table par baithi thi main bhi ab wahi baith gaya tha...
"tumhe maloom hai Esha ,you are like my cat...bole to ekdum same to same.."
"tumhara dimag sahi nahi hai,tum bilkul pagal ho,main ja rahi hoon yaha se.."tunak kar Esha waha se uthi aur jane lagi...
.
main chahta to Esha ka hath pakad kar rok sakta tha...lekin mere sixth sense ne mujhse kaha ki "beta filmo ki copy mat kar...warna tilmilayi hui Esha lafa to maregi hee sath me Gautam ke sath panga alag...."
Maine apne sixth sense ki baat maan li aur Esha ko ek shabd bhi nahi kaha mere aisa karne ki ek aur vajah ye thi ki....apun ki bhi koyi ijjat hai, ab wo baar-baar muh fulakar bhage to bhag jaye... uske baad main lagbhag aadhe ghante tak aur canteen me baitha raha aur jo man me aaya use manga kar khaya aur paise Sidar ke account me add kara diye....
.
"ayi sala...maza aa gaya aaj to..." hostel wali sadak par chalte hue maine kaha..
Main ab hostel jakar seedhe sone ke mood me tha jisase raat ko relax hokar padh saku...lekin usi samay mera mobile vibrate hone laga...
"MTL bhai ko aaj meri yaad kaise aa gayi..."apne pet par hath phhirate hue maine call recieve ki"hello..."
"hi...hello chhod aur ye bata basketball khel leta hai na..."
"ekdum jhakkas player hoon..."
"to aaja basketball ke ground par,ek practice match chal raha hai..."
"abhi..."
"haan abhi..."
"lekin abhi to main taiyar nahi hoon, ek to maine abhi hee jaanwaro ki tarah pet bhara hai aur dusara main jeans paint me basketball kaise khelunga..."
"jaldi se idhar pahuch sab jugad hai..."
"aata hoon "
.
Match khelne ka man to nahi tha lekin MTL bhai ki baat ko talna maine munasif nahi samjha...basketball ke ground par pahucha to maloom chala ki mamla ek practice match se kahi jyada hai....jiski kahani mujhe Sidar ne batayi...hua kuchh yun ki hostel ke kisi senior ne kisi baat par city walo ko basketball match khelne ka challenge de diya aur match start hone ke kuch hee der baad hostel walo me se do player jo ki match winner the wo zakhmi ho gaye....isliye Sidar ne mujhe match khelne ke liye bulaya....itane logo me se usne mujhe hee call kiya iski vajah shayad ye thi ki maine kuch din pahle senior hostel me basketball ka national player hone ki hunkar maari thi...
"Arman dekh kar,in mustando me bahut dam hai...wo 4 points se lead kar rahe hai..."
"okay..."
kit pahankar main basketball ke court me ek player ko replace karke aaya aur match dekh rahe logo par ek nazar daudayi...waise kahne ko to ye ek practice match tha lekin match city wale aur hostel wale ke beech me hone ke chalte ise khamkha hyper bana diya tha...basketball court ke bahar match dekhne wale student ki ginti lagatar badh rahi thi...jaha ek taraf humari team ko support karne ke liye hostel ke ladke the to wahi dusari taraf college ki ladkiya city walo ki team ko support kar rahi thi...jisme se Esha,Vibha aur dusari khubsurat chudaile bhi thi....mujhe basketball khelne ka achchha khasa experience tha lekin pichhale 8 mahino se maine court me kadam tak nahi rakkha tha isliye main thoda nervous tha....
"khelna aata bhi hai ya aise hee andar aa gaya...."Mere pass aakar Gautam ne kaha"ek baat dimag me bhar le ki tu is college ke sabse shandar player ke khilaf khel raha hai...."
"okay uncle...ab ja ke marwao apni..."
.
Ek taraf Esha...Gautam ka name lekar uchhal rahi thi wahi main basketball par grip banane ki koshish kar raha tha...ek do baar maine basketball ko dribble bhi kiya lekin basketball par meri pakad ab pahle jaise nahi thi aur jaise hee main basketball ko lekar aage badha to ball mere hath se kisi ret ki tarah fisal gayi....
"kanche khel ghar jakar..."Gautam muskurate hue bola...
"thoda sa Calcium carbonate lana to..."hostel ke ek ladke ki taraf maine ishara kiya jiske jawab me wo apna sar khujane laga....
"abey chuna la thoda sa ullu "
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-88
"thoda sa Calcium carbonate lana to..."hostel ke ek ladke ki taraf maine ishara kiya jiske jawab me wo apna sar khujane laga....
"abey chuna la thoda sa ullu "
.
Ek to main waise bhi itne din baad khel raha tha upar se aas-pass jama ho chuki bhayankar bheed ne bhi pressure daal diya tha aur upar se mera dushman Gautam mujhpar comment kiye ja raha tha aur har baar uske comment ke baad uski taraf ke players aur unke die hard fans mujh par haste hue nazar aate....
"tera har shot brick hoga...jiska basket hone ka door-door tak koyi chance nahi hota..."Gautam bola..
"tujhe bhavishyavani hui kya ki mera har shot brick hoga,ek baar set ho jane de phhir to main DDG laga kar maar lunga tum sabki..."
"wo to waqt hee batayega..."
.
Referee bane mining branch ke ek Sir ne game dobara shuru karne ka ishara kiya...
"you are right,wo to waqt hee batayega..."
.
Main chahe Gautam se kitni bhi ladayi kar loon ya phhir main use kitni bhi galiya doon par main ek chiz kabhi nahi badal sakta ki wo basketball ka ek manjha hua khiladi hai...use basketball ke har taraf khelna aata hai...matlab ki wo basketball pass karne ke sath-sath khud ring me basketball ghusa sakta hai...uske andar us din maine rebounder aur defender skill bhi dekhi...itni quality basketball ke ground me ek hee player ke pass hona bahut badi baat hoti hai...Gautam apna game bahut chalaki se khelta tha,dribble karte waqt wo samne wali team ko buri tarah se chauka deta tha..us din kuchh pal ke liye mujhe aisa bhi lagne laga ,jaise ki main Gautam ke samne nausikhiya hoon...usne kayi baar mere hath se basketball apne hath me le li thi...wo bhi badi aasani se
.
"what a shot ! "jab Gautam ne court ke beech-o-beech se bole to half court se basketball ko ring me daal diya to mujhe ye kahna hee pada...
kisi khel me aap ek chiz nahi badal sakte aur wo ye ki ek shandar khiladi ka samman karna...us match ke dauran main Gautam ke playing skills se khasa prabhavit hua tha aur us 1 point bonus lene wale shot ko dekhkar mere muh se uske liye tarif ke shabd apne aap hee nikal gaye...
.
lekin ab bari meri thi ,ab tak main do baar foul ho chuka tha aur sath me beete din bhi yaad aa rahe the...Gautam ke pass bhale hee kuchh achchhi techniques thi lekin DDG formula to mere hee pass tha...
.
"main is college ka best player hoon aur abhi to aadha ghanta baki hai,tu dekhte ja main tera kya haal karta...thodi hee der me tujhse 5 foul karwa kar match khatm hone pahle hee tujhe match se bahar karwa dunga..."Gautam apne daant chabate hue bola...
"insan ko kabhi apni aukat nahi bhoolni chahiye ,tu aaj tak district level se aage nahi gaya hoga aur main yaha SGFI khel kar baitha hoon,mere khayal se tujhe to SGFI ka full form tak nahi pata hoga ,chal main hee bata deta hoon SGFI ka matlab hota hai...School Games Federation of India....aur ek baat tu match me khud achchha khelega ,it is possible...lekin tu mujhe achchha khelne se rok lega it is not possible..."
.
Main janta tha ki Gautam ek solid player hai lekin uski baat ka jawab dena hee tha...basketball court ke andar na sahi baato me hee thok do,maine aage kaha......
"tujh jaise ko to main bench player ke roop me bhi select nahi karta..."
"taiyar ho ja ab tu..."gusse se tilmilate hue usne kaha aur apne sathi players ke pass jakar discussion karne laga...
idhar humare match me break hua tha to wahi college ki bhi chhutti ho chuki thi aur lagbhag sabhi students basketball ground me aakar apni-apni pasandeeda team ko support kar rahe the...aur usi dauran ground se thodi door me mujhe Arun aur Naveen aate hue dikhe...
"kya score hai be Arman..."
"26-46"
"kya hum log twenty points se lead kar rahe hai
"
"aaja ab tu bhi bacha kucha bheja kha le...lawde unke 46 points hai aur humare 26 "
"lekin tu to khud ko national player bata raha tha..."
"college ke bekar atmosphere ki vajah se mujhe jung lag chuka hai..."
"to ja...hila ke aa ,ekdum relax hokar match khelne ka...aur jab apun kisi tension me rah le hota hai to yahich karta hai..."bolte hue Arun ne Naveen ka hath pakad liya"kidhar kat re le ho unkil..."
"ye jo city wale seniors hai na wo aksar mere kaam aate rahte hai isliye main unki taraf ja raha hoon..."
"matlab tu humari team ko support na karke Gautam ki team ko support karega..."
"umm...haan"
"main to bhool gaya tha ki tu unka chela hai..."Naveen ka hath chhodkar dhamki dete hue Arun bola"chal kat le idhar se aur yadi galti se bhi idhar dobara dikha to murder ho jayega..."
.
Match phhir se shuru hua....ek bahut purani theory hai ki Everything is fair in Love and war....war to Gautam se thi aur sath me Esha se love bhi tha,isiliye maine basketball court ke bahar Gautam ki bejjati ki thi,jisase wo game ke dauran sirf mujh tak hee simat kar rah jaye ,matlab ki wo sirf mujhe dhyan me rakh kar khele....
.
ye samne wali team ko harane ka behtareen formula hai SGFI tak ke mere safar me kayi baar maine is formula ko ekdum fit baithte dekha hai, simply yadi kahe to main Gautam ko is kadar bhadkana chahta tha ki wo meri puri team se nazar hata kar sirf mujhe rokne ki koshish kare...lekin iski koyi guarantee nahi thu ki aisa hee hoga....kya pata wo bhadak kar aur tezi ke sath khelkar humara khel hee bigad de...
ab sirf 20 minutes hee bache the,jab meri soch mujh par hee bhari pad gayi,Gautam ekdum gusse ke sath khelte hue 2 baar basket kar chuka tha....
"tum charo me se MVP player kaun hai..."maine apne sathi khiladiyo se puchha...
"MVP matlab..."
"MVP matlab Most Valuble Player... "
"i think main in charo me sabse achchha khelta hoon..."ek senior ne apna hath khada kiya,jiska name Amar tha...
"unki team se center par ek chutiya khada hai,aap waha jakar usko cover karna,Gautam ko main sambhal lunga..."
maine basketball hath me li aur dribble karte hue aage badha aur jaisa ki mujhe ummid thi,Gautam mera way block karne aaya aur maine turant ball center par khade Amar ko pass ki aur unhone turant ball jhapat kar backboard ki taraf feka aur ek shandaar bank shot !!!
is shot ne hume josh me la diya tha, kyunki mere is plan ke kamyab hone ka matlab tha ki main apne DDG formula ko aage use kar sakta tha....iske baad do aur bank shot Amar Sir ne mara...matlab ki ball backboards se takra kar ring ke andar chali gayi aur score 32-50 par jakar atak gaya....
"ab tum sab milkar ek kaam karna...tum log bas basketball mujhe pass kar dena...."lambi-lambi saans bharte hue maine kaha...
.
Main apni har soch me kamyab nahi ho sakta tha aur apne sathi khiladiyo par pura bharosa bhi nahi kar sakta tha aur bina pure bharose ki main DDG rule bhi apply nahi kar sakta tha...lekin mujhe ye match jeetana tha...humare is tarah se achanak form me lautane ke karan hostel walo me ummid ki kiran jagi aur wo kaleja phhad kar chillane lage...aur Arun apne sathi laundo ke sath milkar mera name chilla raha tha bole to...ground me is waqt Arman..naam gunj raha tha.....
college ki lagbhag sabhi maal city walo ki taraf thi aur abhi shuru hue hostel ke laundo ki hud-dangi se wo sab chup ho gayi thi aur gaal fulakar kabhi meri taraf dekhti to kabhi hostel ke laundo ki taraf.....
.
kyunki mujhe ye match jeetna tha isliye maine half-court se hee basket karne ka socha lekin main darr bhi raha tha kyunki half-court se basket karne ki meri practice chhut chuki thi aur isi uljhan me ek ne mere kahe anusar ball mujhe pass ki aur maine half-court se basket karne ka apna mood change kiya aur aage badhte hue ek jump-shot mara jisase ball direct ring ke aar-paar ho gayi....
.
game ab palat raha tha ,is beech Gautam ki team ne bhi basket kiya aur wo waqt aaya jab DDG rule mujhe lagana hee pada, Referee ne ishare se bataya ki ab sirf 5 minutes hee bache hai aur score us samay 40-52 tha....
"mujhe bonus point lena hee hoga,lekin itne din ke gap ke baad i am not sure ki main long distance se basketball ko ring ke aar-paar kar dunga,...khair koyi rasta bhi to nahi hai, now time to use DDG application..."
.
Court ke weak side me jidhar basketball nahi jati udhar maine Amar Sir ko lagaya jaise kuch der pahle unhe center par lagaya tha aur apne team ke shooter ko hidayat di thi ki uska kaam furti se samne wali team ke backboard ke pass pahuchna hai,kyunki yadi Amar Sir se basket karne me koyi chook ho jati hai to shooter basketball jhapat kar ring me daal de...
.
mere hath me grip banne lagi thi aur jiska nateeja ye hua ki Gautam aur uski puri team mere samne nausikhiya lagne lagi thi...maine ball weak side me khade senior ko pass ki kyunki DDG formula ka first step lagu ho chuka tha...maine jaise hee weak side me khade Amar Sir ko ball pass ki unhone direct basket karke 2 points hume dila diye....
.
Is baar 2 points milne ke baad to hostel ke kuchh launde khushi se nachne lage aur kuchh ladkiyo ko chidhane lagi...to kuch ek do ladki ko gali bhi dene lage Gautam ka gusse se bura haal tha kyunki uski dribbling ko main badi aasani se tod deta tha...isi beech maine Esha ko dekhkar aankh bhi mari
gusse se tamtamaya hua Gautam basketball ko lekar humari side badha lekin is baar bhi maine uske hath se ball ko lekar basketball court ke weak side me khade Amar Sir ko ball pass aur unhone ball ko ring ki taraf uchhala lekin ball backboard se takra kar neeche girne wali thi ki humare team ke shooter ne jise maine waha pahuchne ke liye kaha tha usne jump maarkar ek jump shot thok diya
Iske baad to hostel ke ladko ne tabahi macha di,ground ke pass rakkhi hui chairs ko zameen me audha lita diya ,kuchh ne apni khushi vyakt karne ke liye ground ke bass lage paudho ko tod dala....sale jaanwar kahi ke
.
DDG ka first step kamyab raha tha aur sath me Gautam ki team bhi samajh gayi thi ki hum kya kar rahe hai aur yadi mere hisab se dekha jaye to main yahi chahta tha ki wo humara khel jaan jaye...kyunki jab tak first step fail nahi hota ,DDG formula ka second step use nahi kar sakte...
Gautam aur uski team ne socha ki main ek baar phhir se basketball Amar Sir ko pass karunga lekin wo galat the...main to Gautam ko bas apne raste se hatana chahta tha aur jab Gautam weak side me khade Amar Sir ko cover kar raha tha to main dribbling karte hue ball ko seedhe ring me daal diya aur ek aur behtareen bank shot aur result 2 points humare khate me
.
Abki baar Gautam weak side se hatkar mere samne aa gaya tha aur Amar ko cover karne ke liye usne do mustando ko laga diya tha, time bahut kam tha aur unke points humse jyada the..isliye unki team ab defensive game khel rahi thi aur ab waqt DDG formula ka third step apply karne ka tha...Mere is DDG formula(D-dhada, D-dhad, G-goal )bole to dhada-dhad-goal niyam ke first two step kamyab hue the aur third step main ab use karne wale tha...
.
Gautam ke hath se basketball apne hath me lena ab mere liye koyi badi baat nahi thi aur abki baar maine jaise hee basketball Gautam ke hath se cheeni to weak side par khade unke dono player active ho gaye aur Gautam mere samne aa gaya...un pancho chutiyo ko ye nahi maloom tha ki Third step me bonus point liya jata hai yani ki ball mere hath me aane ke baad main ek kadam na to aage badhata aur na hee peechhe..bas jaha tha wahi se ring me ball ghusani thi...aur maine aisa kiya bhi, maine half court se ring ko nishana banaya aur ball basket kar di...aur isi basket ke sath hume 3 points mile ab score aakar 49-52 par pahuch chuka tha....
"now time to use fourth step of dhada-dhad-goal formula..."maine khud se kaha,lekin usi samay...thik usi samay referee ne game over kar diya bole to time khatm.......
.
aur isi ke sath main apna sar pakad kar wahi baith gaya, mujhe bas kuch aur seconds chahiye the...lekin time khatm ho chuka tha....is waqt dono teams ke supporters shant the...Gautam ki team bhale hee jeet gayi ho lekin unki halat aisi nahi thi ki wo jeet ka jashn mana sake aur hum jeeta-jitaya match haar gaye...us waqt mujhe bahut bura laga ,kyunki ye mere sath lagatar dusari baar hua tha ,mera DDG formula lagatar time ki kami ki vajah se fail hua tha , yani ki SGFI me bhi hum aise hee hare the aur aaj ka match harne ke baad main thik usi tarah sar pakad kar ground me baitha tha jaise ki SGFI me match harne ke baad baitha tha....
.
thodi der tak main aise hee baitha raha, Gautam ke team ke players waha se ja chuke the lekin mere team ke players mujhe gher kar baithe the...ek buri yaad ka taza hona seedhe left side me asar karta hai....lekin jab aapke pass Arun jaisa khas dost ho to waqt ko badalne me der nahi lagti....
"sher log roya nahi karte..."
"main ro nahi raha...bas kuchh buri yaad taza ho gayi..."
"aaja mutth maar ke aate hai..."
Jawab me maine Arun ko gusse se ghura to usne mujhe cigarette ki do packets free me dene ka ishara kiya...
"sath me ek botal daru bhi chahiye "khada hote hue maine kaha...
"daru to meri taraf se..."Amar Sir beech me bole"wo bhi bharpet..."
_____________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-89
College ke mahaul ne kabhi mujhe meri soch par mazbooti se khade rahne nahi diya...thik ek din pahle maine jaha dhuandhar padhayi karne ke baare me socha tha wahi ab main senior hostel me baithkar daru chadha raha tha....daru peene ke baad jab gappe shuru hui to Amar Sir ne mujhse puchha ki maine ye sab kaise kiya...unhone mere plan ki trick janni chahi...aur maine jhooth bolte hue kah diya ki bas tukka fit baith gaya...jabki ye sahi ye nahi tha...asliyat ye thi ki mere national team ka hissa rahe mere sathi char khiladi,jo ki mere hee school ke the...humne ek dusare se wada kiya tha ki dhada-dhad-goal ka formula kabhi bhi kisi ko nahi batayenge,yaha tak ki apne coach tak ko humne DDG formula nahi bataya...ye DDG formula hum pancho ne milkar banaya tha ,isliye hum ise apne tak hee simit rakhna chahte the....main janta tha ki ye galat hai,lekin maine phhir bhi aisa kiya...kyunki jab humari team SGFI se bahar hui to hum andar se toot chuke the...humari kayi salo ki mehnat referee ke gale me atki stop watch ke karan bekar ho chuki thi aur uske baad jo basketball chhoda to aaj jakar pakda tha...
.
"Arman...10 din baad paper hai be..."Arun mere kandhe ka sahara lete hue bola...
hum dono senior hostel se daru ke nashe me apne hostel aa rahe the...aaj Arun overload ho gaya tha aur maine sirf 2 peg mare the....lekin phhir bhi main nashe me tha.
"hone de,sala main to yun chutki bajate hue sab yaad kar lunga...."aur uske baad maine cheekhna chaha lekin aawaz hee nahi nikli...
"aage bol apun suning..."
"ye sali aawaz hee nahi nikal rahi..."
"abey do peg me ye haal ho gaya sale tum phhir desh ki sewa kaise karoge..."khees niporte hue Arun bola...
"to isme kaun si badi baat hai,daru peene ke baad desh ki sewa karenge..."
Uske baad hum dono ekdum chup ho gaye aur aage badhe...
"Arman...dekh daru piya hoon,jhooth nahi bolunga...tu laundiya set kar sakta hai aur aaj ke match ke baad to laundiya tujh par fida ho gayi hongi...aur kya naam hai teri us pantar ka..."
"kiski baat kar raha hai..."hawa me ek laat marte hue maine puchha...
"wahi jise kisi aur ne set kar rakkha hai...jo tere ko bhaav bhi nahi deti lekin tu uske peechhe ghumta rahta hai..."
"Esha.."
"haan sali wahi...ek number ki chalu ladki hai baap...apun ko to shuru din se aisa lag rela hai ki...jo wo bahar se itni bholi dikhti hai wo andar se waise hai nahi...wo to ekdum kisi dayan ke mafik...bole to pagal lagti hai"
"ye kya ladkiyo ka topic lekar baitha hai tu bhi...kyun utar raha hai..."
Hum dono phhir ruke aur Arun bola"BC, hostel to bahut peechhe chala gaya..."
"MC..kisne ye shararat ki humare sath, bula bose dk ko abhich sale ko Escape velocity se fekta hu...sala kabhi earth par wapas nahi aa payega...."
"kamal hai...wahhh..."taliya marte hue Arun bola"waise abhi mujhe ek confusion hai..."
"confusion..."humne direction change ki aur hostel ki taraf chalne lage...
"yahi ki tune Amar Sir se ye kyun bola ki basketball ke ground me jo hua wo to bas tera tukka tha..."
"to isme bheja ghumane wali kaun si baat hai..sahi to kaha tha maine..."
"lawde mujhe chodu mat bana...daru peene ke baad apun ke pass super power aa jati hai...."
"tukka hee tha be..."
"nahi,apun ko maloom ki wo tukka nahi teri kabiliyat ka nazara tha...."
"dekh hostel ab aa chuka hai...ab chal bhopu ki gand marte hai..."
"hat sale gay...apna gay-yapa band kar...aur door chal mujhse..."
"kidhar ja raha hai hostel ka darwaja udhar nahi,idhar hai...aur yahi to pyar hai pagle
"
"aaja phhir pyar karte hai..."
.
hum dono ne hostel ke bahar bhale hee socha tha ki andar jakar pure hostel ke ladko ko pareshan karenge lekin ek baar room me ghusne ke baad ,hume kuchh yaad nahi raha....Subah neend khulte hee mujhe ek jordar jhatka laga..kyunki main is waqt apne hostel ki chhat par leta hua tha,jaha se yadi maine halka sa bhi right turn leta to seedhe neeche aa girta......
"shukra hai ki raat ko maine galti se bhi right turn nahi liya warna aankh yaha nahi hospital me khulti..."badbadate hue main hostel ki chhat se apne room par pahucha..."ye sala ho kya raha hai...ye saare kapde kisne zameen par feke...BC college kya chaddi me jaunga..."
Maine pure room par nazar daudayi, Vipendra bhaiya ke aane ke karan jaha room kal sham tak chamak raha tha wahi aaj wahi chamakta room jarjar ho chuka tha...meri aalmari khuli hui thi aur kapde neeche zameen par pade the...aur meri bed sheet ko zameen me bichha kar Arun us par pasra hua tha....
"abey uth bose dk ke...uth nahi to moot dunga..."
meri is dhamki ka Arun par koyi asar nahi hua to maine use do-teen laat bhi mari aur phhir ek balti pani uspar dala....
"Divyaaaaaa....."
"chup sale..."
"tu hai "
"ye bata idhar kya hua tha kal raat..."
"kal raat "pure room ka jayja lene ke baad Arun bola"tujhe cigarette peena tha to tune apni aalmari kholi aur sare kapde zameen par fek diya aur phhir mujhe laat markar yaha par gira diya ,uske baad mujhe bhi yaad nahi..."
"chal jaldi college, first period to attend karne se rahe...direct dusare period me entry marenge..."
.
Hum dono college pahuche , aaj saturday tha isliye sirf teen period hee lagte the, iske baad kuchh student movie dekhne jate the to kuchh ghar/hostel jakar sote the aur kuchh jo ki college ko game represent karte the wo ground me practice karte the....mera vichar jakar sone ka tha..kyunki main aaj raat bhar study karne ke mood me tha...lekin tabhi second year ka ek senior mere raste me tapak pada....
"Arman tu hee hai na..."usne mujhse puchha...
"nahi ye hai Arman ,ab bol.."Arun ki taraf ungali dikhate hue maine use Arman bana diya....
"mujhe chutiya mat bana, main janta hoon ki tu hee Arman hai..."
"jab janta tha ki main hee Arman hoon to phhir mujhse puchhkar time pass kyun kar raha tha..."
"basketball ke coach ne basketball court me bulaya hai..."
"mil lunga...aur kuchh..."
"tera senior hoon main thoda tamij se baat kiya kar..."
Main Arun ke sath aage badha...main us senior se rude behaviour isliye kar raha tha kyunki wo city ka tha aur isase bhi badi vajah ye thi ki wo Gautam ke khas dosto me se ek tha....
"Arman usne tujhe batti di..."
"main bhi yahi soch raha tha..."uske baad main turant peechhe muda aur us senior ko aawaz dekar kaha"sun be ghaslet, dobara se ye give respect,take respect wali shanpatti jhadi to aisa jhadunga ki sar ke bache-kuche baal bhi jhad jayenge...sale takle,apni aukat me rahkar baat kiya kar..."
.
"ekdum mast jhada sale ko...main to usko pelne ke mood me aa gaya tha..."kuchh der baad Arun bola...
"ab chup rah,basketball ground aa chuka hai aur coach pass me hee hai..."
.
Mere waha pahuchte hee jaha Gautam aur uske dosto ka rang badal gaya wahi Esha jo Gautam ke sath waha aayi thi ,uske bhi chehre ki rangat thodi badal si gayi...
"3 chance hai, basket karo..."coach , basketball meri taraf fekte hue bole...
"ye teen chance kisliye, teen basket karna hai kya..."
"pahle ek to karke dikha..."Gautam beech me tapakte hue bol pada...
"uske liye teen chance ki kya jaroorat,ek hee kafi hai..."maine basketball hath me pakdi aur seedhe ring me ghusa diya...
"once more..."ek ladki jo ki Esha ke pass khadi thi usne romantic andaz me mujhse kaha...
"tum shant raho "coach ne us ladki ko tej aawaz me bola aur meri taraf dekhte hue bole"you continue..."
.
Uske baad maine ek aur baar basketball ring me daal di lekin third time main miss ho gaya...aur is tarah teen chance me main sirf do basket hee kar paya....main ek basket aur nahi kar paya,is baat se Gautam aur uske dost khush the ,lekin coach ka nazariya kuchh aur hee tha...unhone meri peeth thapthapayi aur team me shamil hone ke liye kaha....
abhi coach ne mujhe team me shamil hone ke liye kaha hee tha ki Gautam beech me phhir tapka...
"Sir...humare sabhi player aapke dwara diye gaye teen chances me teeno baar basket kar denge...ise lene ka koyi fayda nahi,kham kha ise lekar hum apni team ko bigad denge...."
"Gautam...mujhe maloom hai ki tumhari team bahut achchhi hai,lekin shayad tumne kal ke match me aakhiri ke 20 minutes ke khel ko dhyan se nahi dekha....maine is tarah ka game,jo ki apne aap me ek ajeeb hai, kabhi nahi dekha...he is very talented player..."
"lekin sir..."
"chup rahoge...please "Coach ne meri tarafdari ki isliye Gautam ne buri shakal bana li..
"don't worry Gautam...i am not interested to play with you..."maine muskurate hue kaha....
"me too..."
"tum dono ab bas bhi karoge...Gautam tum ab kuchh mat bolna aur Arman tum aaj se practice shuru kar do..."
"sorry Sir, par meri ek shart hai...sorry ek nahi do...do bhi nahi teen...sirf teen..."
"kaisi shart..."
"pahli shart ye ki main practice karne tabhi aaunga jab mera man hoga...."meri pahli shart sunkar hee waha khade sab logo ke muh fat gaye ,aur mere khas dost Arun ka muh bhi 2 inch fat gaya,maine aage kaha"dusari shart ye ki ,main jise chahunga use hee match me aap khilaoge aur aakhiri shart ye ki main team ka captain rahunga..."
Meri teesari shart sunkar sabka muh aadha inch aur khul gaya ,Gautam to teesari shart sunkar bhadak hee utha lekin coach ne apni aankhe badi karke jab Gautam ko dikhayi to use shant hona pada...
"aur yadi main tumhari ek bhi shart na manu to..."
"to phhir Arman name ki kit banwane ka aapka sapna adhura rah jayega..."
"leave..."
"maine pahle hee kaha tha
..chal Arun chillum shot ke aate hai"
.
Arun ka muh ab bhi dhayi inch khula tha...
"muh band kar le warna lawda ghusa dunga..."
Arun ne muh band kiya aur phhir kuchh kahne ke liye jaise hee apna muh phhir se fadne laga,tabhi ek ladki ,jo Esha ke sath thi wo khushi se uchhalte hue mere samne aa khadi hui...
"hiiiiii...Armaaaaannn"
"tu kaun "
"me divya..."sharmate hue usne apna name bataya aur divya name sunkar mujhe aaj subah ki yaad aayi ,jab Arun Divya ka name lete hue neend se jaga tha...maine uski taraf dekha,uska chehra is waqt kuchh aisa tha ------>>
________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-90
"me divya..."sharmate hue usne apna name bataya aur divya name sunkar mujhe aaj subah ki yaad aayi ,jab Arun Divya ka name lete hue neend se jaga tha...maine uski taraf dekha,uska chehra is waqt kuchh aisa tha ------>>
"ye hai mera dost ,Arun..."Arun ko samne late hue maine divya se kaha...
Esha ,divya se thodi door khadi thi...
"i know him..."sharmate hue wo boli"hum dono facebook me friends hai..."
"wo sab to thik hai,lekin ye batao ki itna sharma kyun rahi ho..."
"tum bahut achchha khelte ho..."
"to phhir tum kyun sharma rahi ho,sharmana to mujhe chahiye ..."
"Divya,ise basketball khelna maine sikhaya hai...."Arun ne chupke se kohni mara ,jiska matlab main samajh gaya tha..
"haan,ye sahi bol raha hai..."
"phhir to tum Arman se bhi jyada achchha khelte hoge..."khush hote usne apni chehra Arun ki taraf ghumaya...
"ofcourse yes..."Arun turant bola...
iske baad Arun aur Divya ek dusare me bhid gaye, Divya use bata rahi thi ki usne kal apna ek photo facebook me upload kiya hai...aur uske ek hafte pahle bhi usne ek photo upload kiya tha.....
"Divya..."Esha ne Divya ko wapas aane ke liye kaha, lekin Divya to Arun ke sath face to face chat karne me busy thi...use Esha ki aawaz sunayi hee nahi di...
khud ko mazboot karke main Esha ki taraf badha....
"tum Divya ho..."
"nahi..."
"to phhir tum yaha kyun tapak pade, maine to Divya ko aawaz di thi..."
"tumhari saheli mere dost ke sath bhidi hui hai to kyun na hum dono bhi bhid jaye..."
"kya "
"kuch nahi...Canteen me tumne meri baat ka galat matlab nikal liya tha..."
"tumne mujhe sorry bhi nahi bola tha..."
"kisliye sorry bolu..."
"tumne mujhe kaha tha ki i am like your Pet..."
"correct hai...to isme sorry bolne wali kya baat...tum bilkul meri billi jaisi dikhti ho..."
Ye sunkar Esha ka para phhir aasman chhune laga to maine kaha"mere kahne ka matlab tha ki tumhari aankhe bilkul meri billi ki tarah hai...ekdum mast bhuri-bhuri...sexy...sorry sexy nahi sweet-cute "
"to tumhara kahne ka matlab main tumhari billi hoon..."
"ye to tu hee bol rahi hai..."
"main kuuchh nahi janti,sorry bolo..."
"chal fut.."
"phhir dobara mujhse baat mat karna..."
"are ja na,bheja mat kha..."
.
gusse se apne pair patak kar Esha waha se jane lagi tab maine use chudail ki jagah billi kahkar pukara jiske baad wo aur bhi jaldi waha se kat li...Arun aur Divya ab bhi ek-dusare se baat kar rahe the....Esha jab aankho se door ho gayi to main un dono ke pass pahucha...
"Arman...tum meri friend list me ho kya..."
"yaad nahi..."
"aaj request bhej dena..main accept kar lungi...wo kya hai na ki main unknown ladko ki request accept nahi karti
"
"sali lesbian..."Divya ko dekhkar maine haan me gardan ghumayi...Arun usme interested tha isliye main use jhel raha tha ,warna kabka bejjati karke bhaga diya hota...
"tumhara twitter par account hai..."
"nahi..."maine rukha sa jawab diya...
"to aaj jakar twitter par a/c bana lena aur Arun se meri twitter id puchh kar follow kar lena...main bahut achchhe status update karti hoon...."
Ab tak to main use Arun ki khatir jhel raha tha lekin abki baar main khud ko rok nahi paya...
"oye chal ja na ,kahe ko dimag ka dhokla bana rahi hai...kuchh kaam-dham nahi hai kya facebook aur twitter ke siwa...tu itni free rahti hogi lekin mujhe jakar padhayi bhi karni hoti hai....pakka teri 10-12 back lagi hogi...chal bhag yaha se..."
.
Mere is bartaav se dar kar Divya ne usi waqt patli gali pakad li aur ab Arun mera bheja kha raha tha...wo mujhe galiya bak raha tha kyunki maine uski facebook par Divya ke peechhe kiye gaye ghanto ki mehnat par pani fer diya tha....
"maloom nahi, main jab bhi basketball court me aata hu to kuchh ho sa jata hai..."
"hua kuchh nahi hai ,tu sale aaj jyada udd raha hai...coach ke samne bhi tu bahut uchak raha tha..."
"wo to sirf bahana tha khud ko basketball se door rakhne ka aur ab reason mat puchh lena..."
"no problem , chal chalkar photo khichwate hai...exam form ki kal last date hai ...."
.
Second semester ke exam ,first semester se lakh guna achchhe gaye...kyunki is baar thodi bahut taiyari pahle se thi...lekin exam ke dauran jin do subject me ek-ek hafte ki chhutti mili,usi me latakne ka dar tha...lekin ek baat ka sukun tha ki is baar mere marks increase hone wale the...
Exam ke baad do hafte ki chhutti mili lekin main ek hafte baad hee wapas hostel aa gaya tha...aur ghar me ye bahana mara tha ki ek hee hafte ki chhutti hai...aisa karne wala main akela nahi tha kayi ladke to mujhse bhi pahle wapas hostel aa gaye the aur Arun to ghar hee nahi gaya tha
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Chapter-25:Reversal
Update-91
.
Hum kabhi ek jaise nahi rah sakte aur na hee humare halat hamesha ek rahte hai...waqt ke sath sab kuchh dheere-dheere badalne lagta hai aur humara jeevan waqt ke anek rang wale shila par chalne lagta hai.....main zindagi ke is parivartan ka kisi bhi tarah se virodh nahi kar raha aur na hee main iske khilaf hoon...lekin jab dharti ,aakash aur aakash ,dharti me badal jaye to ye parivartan bahut bada jhatka deta hai...kyunki hum hamesha hone wale parivartan ka virodh karte hai aur yahi hum insano ki fitrat hai...hum yahi chahte hai ki sab kuchh...sari chize waisi hee rahe jaise hum chahte hai,lekin aisa nahi hota aur na hee kabhi aisa hoga
.
"bhu kaha hai be, ghar se nahi aaya abhi tak..."college ke liye taiyar hote hue maine Arun se puchha,
aaj hume third semester me college jate hue ek hafte se bhi jyada samay ho gaya tha lekin bhu abhi tak ghar se nahi lauta tha....
"tujhe nahi pata kya... "
"kya nahi pata aur tu muh to aise fad raha hai jaise humare jungle ka raja bhopu swarg sidhar gaya ho..."
"aisa hee kuchh samajh..."
"abey seedhi tarah bol..."maine serious hote hue kaha...
"wo ab is college me nahi padhega...usne apna transfer kara liya hai..."
"kya bola tune ki usne apna college badal liya hai abey ye school nahi hai jo jab man aaye transfer kara liya..."
"Govt. to govt. College me after one year ye suvidha hai...."aur phhir usne bhu ke new college ka naam,pata bhi bataya...
"oh ! Main ye nahi janta tha...lekin usne aisa kyun kiya...sab thik-thak to hai.."
"duniya me bahut tarah ke log hote hai Arman sir..."
Arun sach kah raha tha, main abhi tak nahi samajh pa raha tha ki Bhupesh ne aisa kyun kiya...kyunki jis college me wo ab tha wo college humare college se achchha nahi tha except building , aur na hee uska waha hometown tha,jo ghar ke moh me wo yaha se waha chala gaya ho...khair baat jo bhi ho ye sach tha ki ab bhu kabhi humare sath class me nahi baithega.....ek aur chiz jo badli wo ye ki Naveen ab hum dono se alag ho gaya tha...uski branch mining thi isliye second year se uski class alag ho gayi thi....mujhe jyada to nahi thoda bura laga ,kyunki maine uske sath ek saal ka waqt ek hee class me gujara tha aur ab wo humare sath nahi tha....second year me bahut lambe-chaude parivartan hote hai ,jaise ki teachers ka change ho jana....ek taraf jaha hume "aap physics ke khilaf nahi ja sakte..."dialogue ke janmdata Kallu Kurre se is saal mukti mili wahi dammo rani hume Mathematics-3 padhane ke liye ab bhi humare sath thi...ek aur chiz jo badli wo ye ki is baar humare teachers me sirf 1 male tha baki sab female thi....lekin maal ek bhi nahi shuru-shuru ke dino me recess ke waqt Naveen humari class me aata aur hum teeno bakarchodi karte hue apne pichhale dino ko yaad karte,....lekin jaise-jaise waqt beeta Naveen ne humari class me aana kam kar diya, usne apne branch me hee kayi dost bana liye the aur ab wo unhi ke sath ghoomta tha...usko dekhkar hum dono ne bhi decide kiya ki ab hume bhi kuchh dhamal machana chahiye, abhi to teen saal baki hai...ise humlog aise hee nahi gawa sakte...aur wo semester aisa tha,jisne mujhe dosto ke sath masti karne ka asli matlab samjhaya....ya phhir kahe ki main ,mere zindagi ke sabse achchhe laundo se milne wala tha...jinme se kuchh aise the jo humare class ke topper tak ko class ke dauran pani pila dete the to kuchh itne relax ladke the ki exam me passing marks ke answer likh kar exam hall se bahar aa jate the,bhale hee unse aage ke sare questions ke answer aate ho....unme se ek shayar bhi tha..jo aksar welcome aur farewell ki party me humara name add karke apni poems banata tha....
.
ek taraf jaha main kayi naye dost banane wala tha wahi kayi purane dosto se mera sath chhutne bhi wala tha,jiska mujhe andaza tak nahi tha....
.
"kul milakar aap sabko 5 practicle copy banani hai workshop ki...5 se kam practicle copy jo bhi jama karega uske 5 number per copy ke hisab se katenge..is that clear..."
"yes sir..."army ke jawan ki tarah humne ek sath jawab diya...
"kha-pee ke nahi aaye ho kya...jor se bolo.."
"yes sir..."workshop me ek baar phhir humari aawaz gunji....
"group baat de raha hoon, 3-3 students ka group hoga aur sab jakar apna job complete karenge...."
"yes sir..."hum ek baar phhir cheekhe
"aur ek baat ,koyi bhi mere pass apna group change karwane nahi aayega...chahe wo ladka ho ya ladki..."
"yes sir..."is baar bhi main cheekha,lekin sare launde abki shant rahe aur pata nahi sabko meri us "yes sir"wali aawaz me kya comedy dikhi ki jor-jor se hasne lage...Sherin ko kuchh jyada hee hansi aa rahi thi...
"jyada mat has,warna thobda nikal kar samne wale table par gir jayega..."uske baad maine dheere se kaha"sali randi,MC"
"aur ek baat....sabko ek-ek diagram ekdum correct dimension me banana hoga...na ek inch chhota aur na hee ek inch bada...na ek inch lamba aur na hee ek inch chauda...is that clear..."
"yes sir..."is baar mujhe chhodkar sabne nara lagaya...
"aur shuruat tumse hogi...kya name hai tumhara..."
"Arman..."
"kya.."
"Arman..."maine aawaz uchi karke kaha...
"tum apna naam nahi bata pa rahe ,desh ki sewa kya karoge..."
"ye to humara takiya kalam tha..."maine khud se kaha aur phhir jor se army wali style me bola..."Name-Arman, Roll No.11 ,from Mechanical second year..."
"abhi tum kis batalian me ho..."josh me aate hue unhone puchha..lekin phhir apni galti ka ahsaas hone par dobara kaha"i mean ,tum is waqt kis shop par ho..."
"turning shop par...Sir.."
"very good, tum jao aur dushmano ko andar mat ghusne dena..."
"haaaaiiiiinnnnn "
"i mean , apne job par ek bhi galti mat karna..."
.
Turning shop ka head mujhe us din bahut chutiya laga...sala khud ko Army ka Lieutenant samajh raha tha uski kahani mujhe baad me maloom chali...hua ye tha ki humare turning shop ka head bahut bada deshbhakt tha...aur ye information mujhe mere hee hostel ek ladke ne di thi...us waqt main ye nahi janta tha ki ye information dene wala mera dost Saurabh mera khas dost banega....lekin ye hua pure itminan ke sath hua...
__________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Chapter-26:A lip of heart-2
Update-92
"ab kya hua yar tujhe..."
"tumne kaha tha aaj bataoge...tu tumne kya socha..."
"kis bare me..."main janta tha ki Nisha kis bare me puchh rahi hai,lekin phhir bhi maine anjaan bante hue puchha...Aur usne turant call disconnect kar di,lekin thodi der baad usne phhir call kiya...
"Arman, ab mere mom-dad mujhpar nazar rakhne lage hai...wo bolte hai ki ab main ghoomna band kar doon..."
"to sahi to bol rahe hai...tumhari shadi ko sirf do hafte baki hai, isliye jyada mat ghoomu ,kali ho jaogi..."
"tumhe mazak sujh raha hai..."
"na..ye to main dil se bol raha hoon..."
"main tumse milna chahti hoon,lekin mere akele ghar se nikalne me pabandi laga rakkhi hai...kahte hai,jaha bhi jao to driver ke sath jao..."
"sahi hai..."
"kya sahi hai... "
"kuchh nahi ,wo main apne dost se baat kar raha tha...haan bolo kya bol rahi thi..."
"yahi ki ab main ghar se akeli nahi nikal sakti..."
"ek minute..."apne dimag ko tatolte hue main koyi idea dhoondhane laga"ek kaam karo Nisha..."
"kaisa kaam, ek to main pahle se hee pareshan hoon upar se tumhara kaam bhi karu...kya tumhe nahi maloom ki mere mom-dad mujhe kahi bhi akele jane nahi dete,ispar main tumhara kaam kaise karungi...aur waise bhi apna kaam khud karna chahiye...."
"pahle meri baat to sun le dayan... "Nisha ko beech me rok kar main bola"kal ek mall me hum gaye the...yaad hai..."
"haan..."
"driver ke sath wahi pahucho aur jab driver car park karne jayega to tum car se nikalkar mall ke andar aa jana,main tumhe udhar hee milunga..."
"okay..."
.
Nisha se baat karne ke baad maine Varun se uske car ki chabi mangi to wo bolne laga ki use aaj uski fanty ke pass use jana hai...
"us laundiya ko maine kal mall me do ladko ke sath dekha tha...door hee rah tu usase"maine Varun ki car lene ke liye apna jaal feka...
"kya bol raha hai yar..."Varun ekdum se shocked hokar bistar par seedhe baith gaya"wo to bol rahi thi ki uski life me mere siwa aur koyi ladka nahi hai..."
"abey jhooth bol rahi hai wo...maine kal mall me use dusare ladko ke sath dekha tha...."
"sach..."
"teri kasam..."
"bhad me gayi sali, mujhe chutiya banane chali thi...main to aaj use necklace gift karne wala tha...achchha hua jo tune uski asliyat bata di...warna main to khamkha pappu ban jata"aankho me angare bharkar Varun utha aur mujhe car ki chabhi dekar thanks bhi bola....
"ab thanks mat bol yar "jab mere dwara feke gaye jaal me chabhi fas gayi to maine kaha"ek aur baat ,sali ka phone aaye to bilkul bhi recieve mat karna....main chalta hoon..."
.
Varun ki car lekar main mall ki taraf nikal pada ,mall pahuchne me mujhe mushkil se aadha ghanta hee laga hoga lekin Nisha ka intezaar karte hue mujhe ek ghante se bhi jyada samay ho gaya tha....
"ek cup coffee dena..."order dete hue maine ek aur baar Nisha ka number dial kiya aur pichhale kayi baar ki tarah is baar bhi uska number switch off bata raha tha...
"isne apna mobile kyun band karke rakkha hai..."
Iske baad aadha ghanta aur beeta lekin na to Nisha aayi aur na hee uska number on hua...jis table par main baitha tha uske samne wale table par kuchh ladke baith kar kisi movie ke baare me baat kar rahe the...
"mahino ho gaye koyi movie dekhe hue...aaj dekh leta hoon..."
maine waha ka bill pay kiya aur cinemahall ki taraf badha...ab pahle jaisa main nahi raha tha,jo kisi movie ke release hone ke pahle hee uske baare me detail maloom kar loon, maine bahar lage movie ke poster dekhe aur phhir ticket counter par jakar use movie ka name bataya....
"is show ki sari ticket bik chuki hai..."
"to kisi aur movie ka hee ticket de de..."
"kis film ka ticket sir..."
Jaha par movie ke posters lage hue the usi ke bagal me ticket counter tha, main ek baar phhir wapas aakar posters ko dekhne laga aur uske baad jaise hee muda to neeche wale floor par mujhe Nisha dikhayi di lekin sath me uske parents bhi the...
"kamal hai main idhar dedh ghante se coffee pee-pee kar uska intezaar kar raha hoon aur ye idar family shopping kar rahi hai...abhi batata hoon is dayan ko..."
bolte hue main lift se neeche aaya lekin tab tak Nisha apne parents ke sath bridal wear shop ke andar chali gahi aur unke peechhe-peechhe main bhi andar ja pahucha...
bridal wear ka shop bahut bada tha aur waha bheed bhi bahut thi,lekin us bheed me Nisha ko maine bahut jaldi dhoondh liya...wo kuchh le nahi rahi thi bas idhar se udhar ghoom-phhir rahi thi...uske parents usase thodir door me the....wo jab apne parents se thodi aur door mere taraf aa gayi to main uske samne gaya aur uska hath pakadkar waha se bahar le aaya....
"Arman tum yaha..."
"main yaha do ghante se hoon,..."
"sorry Arman, mere mom-dad ne mujhse puchha ki main mall kya karne ja rahi hoon to maine aise hee kah diya movie dekhne...aur phhir wo bhi mere sath aa gaye..."
"aur tera number kyun band hai... "
"dad ne meri purani sim todkar fek di yaha se aane ke pahle...main apna new number doon..."
"abhi rahne de...chup chap chal mere sath..."
"kaha..."lift ke andar aate hue wo boli"mom-dad gussa karenge...."
"tere mom-dad ki to...."jab Nisha ne mujhe ghoora to mujhe beech me hee rukna pada....
"main car lekar aaya hoon ,wahi chalkar baat karte hai..."
"car me... "
"kya hua..."
"car me kyun..."
"rape karne ke mood me hoon,ab chale "
.
"mobile switch off kar de aur jab wapas jaye to ye bahana mar dena ki bathroom gayi thi..."
"okay..."
"haan bol,kyun milna tha mujhse..."
"main yahi bolna chah rahi hoon ki halat bigadte ja rahe hai...hume bhag jana chahiye..."
"achchha...aur bhag kar kaha jana chahiye...switzerland chale ya phhir USA ya phhir japan ya England ya chaina "
"kahi bhi bhag jayenge...ye duniya bahut badi hai..."apne dono hath ko failate hue wo khushi se boli...
"ek thappad marunga to sara filmi junoor sar se utar jayega..."
Ab main use kaise batata ki main to khud ghar se bhagkar yaha aaya hua hoon aur ab yaha se bhagkar kaha jaun...
"to phhir tumne kya socha..."
"mujhe kuchh din ka time do, main kuchh soch lunga...ab mobile on kar le aur ja...tere gharwale hungama macha rahe honge..."
"to main jaun..."
"haan..."
"pakka me jaun..."
"haan ja na..."
"sach me jaun..."
"are ye jaun-jaun kya laga rakkha hai,ab mobile me messege karu kya...chal kalti ho ja..."
"ek chummi do na..."
"o teri "
__________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-93
"to main jaun..."
"haan..."
"pakka me jaun..."
"haan ja na..."
"sach me jaun..."
"are ye jaun-jaun kya laga rakkha hai,ab mobile me messege karu kya...chal kalti ho ja..."
"ek chummi do na..."
"o teri "
.
Nisha ko ek kiss dene ke baad maine car apne flat ki taraf ghumayi...ab Nisha aur mera mamla bahut serious ho gaya tha jo aane wale dino me aur bhi bhayanak hone wala tha...mujhe darr bas isi baat ka tha ki jis din uske baap ko maloom chalega ki main Uski beti ke sath usi ke ghar me kya karta hoon to yakinan wo mujhe usi waqt gayab kar dega aur mera wo hashra karega jo main soch bhi nahi sakta...mujhe Nisha se saaf kah dena chahiye tha ki wo apna rasta nape aur aaj ke baad mujhe contact na kare ,isi me meri bhalayi thi...lekin maine aisa kuchh bhi nahi kiya,maine aisa kuchh karne ki koshish tak nahi ki....jiski vajah ye ho sakti thi ki shayad main bhi wahi chahta hoon jo Nisha chahti hai...lekin main hundred percentage sure nahi tha,isliye maine khud ko abhi tak rok rakkha tha....lekin ab waqt rukne ka nahi tha kyunki mere pass ab sirf ungaliyo me gine hue din hee baki thi...
Nisha ab mujhe achchhi lagne lagi thi ,isme koyi do raya nahi thi, pichhale kuchh dino me maine Nisha ka ek alag hee roop dekha tha, uska ye naya roop thik waisa hee tha jaisa ki mujhe ek ladki me pasand tha...wo mujhse pyar karti thi ,achchha khasa bore yani ki pakati bhi thi aur mere dwara dayan kahne par wo gussa bhi nahi hoti thi....pichhale kayi dino me kayi baar mera left side bhi Nisha ke liye dhadka tha aur yadi is waqt mere samne uska baap na hota aur main achchhi-khasi naukari kar raha hota to bina ek pal gawaye usase shadi kar liya hota...par sach ye tha ki aisa kuchh bhi nahi tha...upar se mera dimag Nisha ke us baat par atka hua tha jisme wo boli thi ki mere siwa aur kisi ke sath usne aaj tak sex nahi kiya tha.....Nisha ke is bhari-bharkam aur dil ki dhadkano ko tez kar dene wale statement ko check karne ke liye mujhe flash-back me jana tha ,jaha wo aksar sex karte waqt kuchh ladko ke naam bataya karti thi......
.
main apne room tak pahuch chuka tha aur flash back me jaane ki taiyari kar raha tha,maine aankhe band ki aur Nisha ke sath uske bistar par bitaye gaye garam lamho ko yaad karne laga....Nisha ke sath apni pichhali yaado ko taza karne ke baad mujhe yaad aaya ki wo ek ladke ka naam bahut baar liya karti thi aur iske liye yaddasht ka tez hona bahut jaroori tha, jo ki meri bahut pahle se thi
"Vishnu.."naam yaad karte hue maine kaha...
"nahi vishnu nahi kuchh aur naam tha uska...Vishal..ye bhi nahi....kuchh alag hee naam tha...kya tha us ghonchu ka naam...
yaad aaya, Vishwakarma...isi naam ko wo baar-baar lete hue gali bakti thi....
.
"Arman tu aaj upar aa..."balcony se apna gala fadte hue Varun ne mujhe dhamki di....
"itna jyada pyar to ise mujhpar pahle kabhi nahi aaya...kahi ise maloom to nahi chal gaya ki main ise yeda banakar iski car le gaya tha.... "
"tune sale mujhse jhooth bola ki meri fanty do-do ladko ke sath set hai...taki tu apni fanty se milne ke liye meri car le ja sake..."
"hmmmm....haan "room ke andar aate hue maine kaha...
"dekha Varun maine sahi kaha tha.."Arun beech me bola"ki ye sala bahut chakma deta hai, achchha hua jo maine tujhe iske baare me bata diya,warna aaj hee teri setting toot jati..."
"mere jaane ke baad hua kya..."
"main batata hoon..."meri gardan dabate hue Arun bola"tere jane ke baad Varun bahut udas tha ki uski item ne usko dhoka diya aur usne ye bhi bataya ki use is dhokhe ki khabar tune car mangte waqt di...tabhich apun sab samajh gaya aur maine Varun uncle ko uski item se baat karne ko kaha...janta hai hume kya maloom chala..."
"kya..."
"yahi ki wo do din se out of city thi aur aaj hee Nagpur aayi hai...beta teri rag-rag se wakif hoon ,apun ke sath jyada shan-patti nahi karne ka...ab tu ye bata ki tu Varun ki car lekar kaha udd raha tha..."
"ek problem hai yar..."
"kaisi problem..."
"Nisha ki do hafte baad marriage hai aur wo mujhse bhagne ke liye kah rahi hai..."
"dimag sathiya gaya hai kya tera
"mujhe neeche girakar Arun ne kaha
"abey gadhe, uske baap ke baare me nahi maloom kya...gand tod dega teri..."Varun gusse me bola..
"isiliye maine use usi waqt mana kar diya tha jab usne mujhse ye baat kahi thi..."
"good..."
"lekin maine Nisha se ye bhi kaha tha ki main kuchh na kuchh jugad nikal lunga..."
"kaisa jugad "
"apan dono ki shadi ka...lekin usase pahle ek kaam karna hai..."glass me pani dalte hue main bola"Nisha ke baare me kuchh pata karna hai..."
"BC, khud ka thikana nahi aur shadi karne chala hai..."mere hath se pani ka glass chheen kar Arun bola"is laundiya se mila to mujhe ,abhi sali ko dawai de deta hoon,badi aayi shadi karne wali...waise wo ek kaam kaun sa hai..."
"kaam nahi problem hai wo bhi ek nahi teen-teen...pahla ye ki wo ek christian hai ,dusara uska rahis baap aur teesara mujhe ye maloom karna hai ki Nisha ne mujhse jo kuchh bhi kaha wo sach hai ya nahi..."
"kya kaha usne..."
"wo main tujhe kyun batau...bas tu ek kaam kar,main ek ladke ka naam batata hoon tu facebook me uske name ke aage Nagpur likhkar search maar..."
"naam bata..."Arun apna mobile nikalte hue bola...
"Vishwakarma,Nagpur..."
"20 se jyada launde hai is user name ke..."
"to unme se sabki id khol aur ek college ka naam batata hoon wo dekh..."Nisha ke college ka naam batate hue maine kaha aur result me hume do Vishwakarma mile....
"ek ne apna address tak diya hai lekin ek ki id blank hai...bole to na photo na koyi details..bas college ka naam likh rakkha hai chutiye ne..."
"pahle wale ka address dena to..."
.
Arun ne uska address mere mobile par messege kiya aur mujhse puchha ki ye Vishwakarma kaun hai aur main usase kyun milne ja raha hoon....
"wo mera gay partner hai...use chodne ja raha hoon ,tu chalega mere sath..."
"bilkul nahi..."
"to ab apni bak bak band kar aur mujhe aaram karne de..."
"oye hello...aage ki story kya pappa ji sunane wale hai...."Varun chadar kheechta hua bola...
"abhi nahi yar..."
"par mera mood hai aur yadi tune aisa nahi kiya to main kal subah Nisha ke baap ko jakar sari sachchayi bata dunga..."
Mujhe maloom tha ki Varun aisa kuchh bhi nahi karta lekin phhir bhi main uthkar baith gaya.....
ab sab kuchh badalne laga tha...ab na hee humare class me deepika mam thi aur na hee kurre sir...Sidar ki engineering complete ho chuki thi,isliye wo chala gaya aur usi saal uski dream girl Vibha bhi chali gayi lekin Varun is saal bhi college me tha...Esha aur Gautam ka pyar samay ke sath dheere-dheere badh raha tha aur mere pass is baare me sochane ka time nahi tha....
"time nahi tha ka kya matlab..."Varun ne mujhe beech me roka...
"matlab ki subah 9 baje uthkar sham ke 5 baje tak college me sadna...uske baad seedhe hostel aakar so jana aur phhir raat ko thodi bahut college work karna..."
"to finally tune third sem se padhayi shuru kar di..."
"padhayi nahi ,sirf likhayi aur workshop ke machines ke drawing banana...main puri raat yahi karta tha, taki workshop ki next class ke pahle tak mera kaam pura ho jaye...warna sala wo fauji attendance nahi deta tha...."
"ghanta...iska matlab Esha se tu pyar nahi karta tha ,wo sab tera attraction tha..."
"attraction is the root of love...uncle ji...warna humare aas-pass ke atmosphere me aise kaye elements aur forces the jo repulsion ka kaam karte the aur itne repulsive factors ke hone ke bawjood main Esha se juda raha...iska matlab kuchh to aisa tha jo mujhe usase bandhe rakhta tha...."
"chal aage bata "
.
MTL bhai ke college jane ka bad effect hum hostel walo par pada, kyunki Sidar humari taqat tha aur uske college me na hone ka matlab tha ki ek bahut bada parivartan...jis senior ne first semester me meri ragging li thi wo Sidar ke jaane ke baad phhir se uth khada hua tha, jiski jaankari mujhe Amar sir ne di ,jo ki ab final year me the....unhone bataya ki Varun apna badla lene ke liye kuchh taiyari kar raha hai aur uske nishane par main hoon isliye main thoda sambhal kar rahu....Varun ke sath Gautam bhi tha, pichhale ek saal me main Gautam ke baare me bahut kuchh jaan chuka tha jaise ki uska baap don type ka tha aur uski is dongiri me Gautam ka uncle uska bakhoobi sath deta tha...humare reporter bhu ke jariye mujhe ye bhi maloom chala ki Gautam ke uncle ne kayi ladkiyo ka rape bhi kiya hai...lekin us ilake me uski pakad hone ke karan wo aaj tak bachta raha....Gautam ka background pura janne ke baad maine decide kiya ki ab mujhe jyada nahi udna hai warna khamkha maar diya jaunga....tu soch bhi nahi sakta ki is semester me kya-kya hua....kuchh achchhe pal bhi the jinki yaadein aaj bhi seene me mauzood hai aur un achchhi yaadon ke sath kuchh buri yaadein ,bhayanak pal bhi the jinhe main kabhi bhula nahi paya aur shayad kabhi na bhula paun....
.
basketball court me mere bure bartaav ka nateeja ye nikla ki coach ne mujhe dobara basketball ke court me bulane ki jehmat nahi uthayi...sach kahu to jab se Sidar gaya tha main kuchh dara-dara sa rahne laga tha aur apne kaam se kaam rakhta tha...kuchh dino tak meri life me ladkiyo ke naam par meri class ki wo moti bhaisi Sherin aur uski badsurat chamgadad jaise muh wali friends hee thi...first year ke launde aur maal aa chuke the aur unke aane ke sath hee Varun apni adad anusar unki ragging lene me lag gaya tha...is semester me bahut kuchh change ho gaya tha lekin ek chiz jo abhi tak nahi badli thi wo ye ki Esha ab bhi mere left side me basti thi...akelepan me kabhi-kabhi wo mujhe yaad aa jati...
"raat ke 11 baje facebook par kya kar rahi hai billi..."fb par Esha ko online dekhkar maine ek messege tapkaya...
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Chapter-27:Substratum of a new Combat
Update-94
"raat ke 11 baje facebook par kya kar rahi hai billi..."fb par Esha ko online dekhkar maine ek messege tapkaya...
Maine Esha ko messege to kar diya tha lekin main janta tha ki wo reply nahi karne wali...aur sath me main ye bhi janta tha ki wo reply kaise karegi....
"pyar me meri deewanagi dekhna tum...
yadi khud ko na mita diya to kahna..."
"iska matlab kya hua Arman "usne turant reply kiya...
"kuchh nahi..wo to main kisi dusari ladki ko bhej raha tha ,galti se tumhe pahuch gaya...."
"it's ok..."
Maine socha tha ki Esha ab mujhse us ladki ka naam puchhegi ,lekin usne aisa nahi kiya...sach me ladkiyo ke bare me sari theory galat ho jati hai
"kya kar reli hai is waqt..."
"wo main tumhe kyun batau..."
"kyunki....Iiiiii"
"hmmm"
"kuchh nahi... "
"Lol ! "
"double Lol "
"triple Lol..."
"ye Lol-Lol khelne ke mood me hai..."maine socha aur phhir "Lol ka square "likhkar send kiya aur jawab me usne"square of Lol ka sqare"bheja...
"Lol infinite...ab aage badha
"
"Lol infinite+ 1 Lol...."
"ab band kar ye sab "
"pahle bolo ki tum haar gaye..."
"ok meri maa..is Lol-khol ke game me tu jeeti main hara...ab khush"
"yaaa...i won..."
"worldcup bhi doo kya..."
"Lol..."
"waise tumne bataya nahi ki tu is waqt kisase bhidi thi facebook par..."
"school ki ek friend thi meri..."
"ladki hai "
"haan...lekin ye tum kyun puchh rahe ho..."
"setting karwa na..."
"shut up...."
"main to aise hee bol raha tha...dil par mat le...muh me le..."
"Arman, i don't like this kinda mazak...kkk"
"not kkk..."
"kk ,GN..."
"kitna jaldi ispar bhoot sawar ho jata hai..."Esha ke offline hone ke baad main badbadaya aur usi waqt Arun ,Saurabh ke sath room me dakhil hua...
"kaha ghoom raha hai be..."maine Arun se puchha...
"pani peene gaya tha...raste me Saurabh mil gaya...to socha aaj raat time pass ho jayega..."
"lawda mera time pass..."Saurabh taav me aakar bola"main workshop ki copy lene aaya hoon..."
Arun se workshop ki copy lene ke baad Saurabh waha se jane laga lekin phhir peechhe palat kar bola ki bollywood ke jis-jis gane me Judai word hai ,uske jagah par Chudai word lagakar hum dono time pass kar sakte hai....
"example de do ek..."
"example...hmmm,...jaise ki...char dino ka pyar-o-rabba...lambhi chudai..lambi chudai..."
Saurabh ke jane ke baad Arun kuchh der tak bollywood ke gano ki gand marta raha aur main so gaya....
.
dusare din subah mujhe kuchh jyada hee need aa rahi thi isliye maine Arun ko kah diya ki wo akele college chala jaye,main direct dusare period me aaunga....aur jab main dusara period attend karne college gaya to gate ke pass hee mujhe Vibha dikh gayi....
"kuchh kaam-vaam se aayi hogi,sali...ya phhir Varun se chut marwane aayi hogi..."maine aisa socha aur Vibha ko fully ignore marte hue aage badha....
"Arman...tum aaj first period me nahi the...right ! "
"haan...to usme kaun si badi baat hai...wo to aksar hota rahta hai..."peechhe palatkar maine Vibha ko jawab diya...
"ab tum apne baat karne ka lahja sudhar lo aur aaj se har din first period me dikhna...kyunki first period fluid mechanics ki hai..."
"hello...har ladki Pratibha Patil nahi hoti,jo main uski baat manta phhiru..."
"i am your new teacher of fluid mechanics..."
"o teri ye kab hua...kaise hua...kyun hua..."
"ye kal hua aur meri brilliance ke karan hua....kyunki tumhare FM ke purane teacher ka transfer dusare college me ho gaya hai..."
Vibha pahle jo bhi rahi ho lekin ab wo meri teacher thi...yani ke bahut sara number uske hath me tha...isliye maine Vibha ko usi waqt good morning kaha aur class ke andar ghusa....
.
"ye BC ,kaiso-kaiso ko teacher rakh lete hai,humare college me...salo ne humare college ko aaganbadi ka school bana diya hai...ab Vibha hume FM padhayegi..."apni mandali me shamil hote hee main cheeka...chillaya...
"uski *** chod dunga...BC jyada uchak rahi thi class me, khud to har 5 minute me book dekhti thi aur maine jab uske ek question par kitab palat li to sali ki jhaate sulag gayi..."mere waha baithte hee Arun bhi cheekha...chillaya aur uski aawaz se janwaro ki tarah chilla rahi sari class ekdum se shant hokar Arun ke taraf dekhne lagi....
"muh me ghusa dunga,yadi kisi ne meri taraf dekha to..."Arun ek baar phhir jor se cheekha...
.
jab class ka mahol normal hua aur sare students phhir se janwaro ki tarah halla machane lage to maine Arun se kaha ki thoda dhyan se be,ladkiya bhi hai yaha...
"sab...sab sali randi hai...ladki ke naam par kalank hai,inko dekhkar sari aurat jaat se nafrat hone lagti hai aur Vibha to Maha MC hai...sali kutiya,chhinar,lawda ka baal, kukur ki jhaat, gende ka spurm,ghode ki gand...hai wo..."
"agree...ja hila ke aa,relax ho jayega..."
"ye idea mujhe kyun nahi aaya...main abhi aata hoon hila ke...chal tu bhi chal.."
"main ek ghante pahle hee ye kar chuka hoon,tu ja..."
"bose dk,mutth marne ke liye class bunk karta hai... "mujhe gariyate hue Arun class se nikal gaya....
"kisi ne meri proxy mari kya be ya phhir apsent chadh gaya..."
"maine koshish ki thi,lekin pakda gaya..."Sulabh ne apna hath khada karke kaha..."tere sath-sath mera bhi attendence cut..."
"koyi baat nahi, Nayi-nayi teacher bani hai to kuchh josh jyada hai..."
"Sidar ke baare me maloom chala..."Sulabh jo ki mere bagal me baitha tha usne mujhse puchha...
"nahi.."
"Sidar isi shahar me rahega.. NTPC me uski job lag gayi hai..."
"kya baat kar raha hai... tab to MTL bhai se party leni padegi..."
"ya..true.."Sulabh ne kaha...
Sulabh hight aur health-wealth me mujhse kam tha lekin dimag ke mamle me wo mujhse kahi aage tha...yadi koyi teacher apna lecture khatm karne ke baad apna ghisa-pita dialogue marte hue bole ki"ise kohi samjha payega puri class ko..."to sabse pahla hath Sulabh ka uthta tha...aur wo teachers ke lectures ko modify karke bahut hee shaleenta se samjhata....ya phhir ye kahe ki Sulabh ki catching power bahut jabardast thi...
.
Mujhe ye jaankar thodi khushi hui ki Sidar isi shahar me hai aur usase bhi badi khushi tab hui,jab unhone party ke liye haan kar diya...
"yaar bhookh lagi hai...aana kuchh kha-pee kar aate hai..."apne pet par hath firate hue Arun bola...
"chalo..."main,Sulabh aur Saurabh...waha se uthe aur canteen ki taraf chal diye....
first year me hostel ke jis senior ne meri ragging li thi wo ab ek saal ke baad mujhe dikhne laga tha...wo mujhse ek shabd bhi nahi bolta lekin uski aankhe bahut kuchh kah jati thi...wo kuchh soch raha tha,shayad mere bare me ya phhir apne badle ke baare me....aur is waqt wo Canteen me mere samne wali chair par Varun ke sath baitha hua tha....
"Arman ye sala tujhe ghoor raha hai...tu bol to abhi sale ko chowmein fek ke marta hoon..."
Arun ne hostel ke us senior ko ghoorate hue kaha...
"kahe ko faltu me ladayi kar raha hai...tu apna tanki jaisa pet bhar..."
"jaisi teri marzi..."
Dil to mera bhi kar raha tha ki hostel ke us asteen ke saanp ka main muh kuchal du...lekin maine aisa kuchh nahi kiya,kyunki mere sixth sense ne mujhe bahut bade lafde ki chetawani de dali thi...jisme meri haar hui thi..jo filhal main nahi chahta tha....
.
"ek-ek plate samosa mast bana ke dena be...."Arun ne canteen me saaf-safayi karne wale ek chhote ladke se kaha....
"wo dekh samne...tere fav. Couple.."Saurabh Canteen ke gate ki taraf ishara karte hue bola...
"ye to Esha aur Gautam hai..."
"dekh...kaise chipki rahti hai Esha ,Gautam se...meri baat maan abhi waqt hai, usko chhod aur dusari dhoondh...first year me is baar dhansu maal aayi hai..."
"chup kar be...yahi to pyar hai pagle.."
"kya ghanta ka pyar hai...Esha ne tujhe ek nazar utha kar nahi dekha..."
"haan yar, usne to totally ignore mar diya..."kahte hue maine apne chehre par hath se tek lagayi aur Esha ko dekhne laga....jo ki Gautam ko pasand nahi aaya, wo apni jagah se utha aur seedhe meri taraf badhne laga...
 
  • Like
Reactions: DARK WOLFKING
Top