• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance 8TH SEMESTER ! (Completed)

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Part-III:A Call
Update-64
us waqt sab kuch ulta ho gaya tha,jaha kuch der pahle tak Nisha ko meri jaroorat thi ,ab wahi mujhe uski jaroorat thi....
Kabhi-kabhi ek bura khwab ek buri haqiqat bankar samne aata hai, wo itna bura aur bhayanak hota hai ki humare zindagi ko sahara dene wale tamam pahaluo ko ek pal me todkar bikher deta hai.....us din bhi kuch aisa hee hua tha, mere us bure khwab ne subah hote hee sach ki safed chadar pahankar meri zindagi me kuch pal ke liye andhera kar diya tha....wo dead dream mere liye khas bhi tha aur sath me darawana bhi....
wo khas isliye tha kyunki wahi mera ek aisa khwab tha ,jo sach hua tha aur darawana isliye kyunki main usme shamil tha ! Aaj ye pahli baar nahi tha,jab mujhe wo din yaad aaya tha, aksar jaane-anjaane me wo yaad mujhe aa hee jati thi aur beete kuch salo me maine isse nipatne ka tarika bhi dhoondh liya tha, aur usi tareeke ko main abhi Nisha ke bagal me letkar apnane ja raha tha...maine wo kahani wahi se sochana shuru kar diya, jaha tak maine Varun ko sunayi thi....kitna ajeeb ittefak hai ki maine ab bhi aankhe band kar rakkhi hai aur us din jab Arun girl's hostel se aaya tab bhi main apni aankhe band karke bistar par leta hua tha.....
"kaun hai be lawda...BC , bhag ja warna bamboo ghusa dunga pichhwade me..."jab kisi ne darwaza behad hee jor se khatkhataya tab maine gali baki....sala achchha khasa deepika mam ke sath lab wale scene ko yaad kar raha tha.....
"Arman, main hoon Arun..."
"to..."maine bed par lete hue hee kaha"tu kahi ka topchand hai kya,chal bhag yaha se,sham ko aana..."
"BC, bhu ko us moti bhains ne pakad liya hai...."
"rook ,kholta hoon darwaza..."
uthkar maine room ka darwaza khola aur Arun ki taraf nazar ghumayi , sale ki puri phhati padi thi,...
"kya hua be, ladkiyo ne nakli lund lagakar chod diya kya..."
"hat samne se..."mujhe jor se dhakka dete hue Arun room ke andar aaya aur bistar par apna sar pakad kar baith gaya
"chud gaye yar,Arman...bhu to gaya kaam se, kal principal use laat maar ke nikal dega...."
Maa kasam mujhe us waqt zara sa bhi dukh nahi hua ,jab Arun ne kaha ki bhu ko Principal college se laat maarkar nikal dega, jabki wo mere khas dost ka khas dost tha...main uske bagal me baitha aur jhootha dukh dikhate hue bola"kya hua..."
"Tu sale gay wali harkate mat kar abhi khisak le idhar se,mera munda garam hai..."
"gand mara,..."waha se uthkar main apne bed par wapas pasar gaya aur aankhe band karke wapas deepika mam ke baare me sochane laga....
Waise to 3 hafte baad humara exam tha ,isliye mujhe padhayi ke baare me sochana chahiye tha,lekin us waqt main deepika ke baare me soch raha tha, aur jab deepika se bore ho gaya to,Vibha aur Esha ka number aaya.......
.
Uske karib ek ghante baad bhu gand jaisi shakal banakar humare room me ghusa aur ghuste hee ,usne apna naya chashma, ,Arun ke pair me fekate hue bola"tujhe bola tha ,maine ki chal,wapas chal...wo moti saand aa rahi hai,lekin tu...wahi ruka raha aur main phhans gaya..."
"sorry,yar...mujhe maloom nahi tha..."
"kya sorry,usne kal principal ke samne bulaya hai...wo to mujhe ladkiyo se pitwane bhi wali thi...lekin ain mauke par Sidar aur apna chutiya warden pahuch gaye...warna ladkiyo se maar khane ke baad main khud hee college chhod deta...."
"ye bhopu..."maine uske maze lete hue kaha"tujhe maloom hai ki tune abhi -abhi apne 500 ke chashme ko zameen me patak kar chhalli-chhalli kar diya hai...."
"yaaaaaaaa......"bhu apne dono hath failakar aise chillaya jaise jung ke maidan me koyi yoddha dahad maar raha ho....wo aage bola"BC,500 ka nuksan....
"
"kuch soch be Arman..."
"badle me kya milega..."maine puchha...
"le meri gand maar lena,..."bhu gusse se bola..
"denied...kuch aur "
"kya"
"tere item ki gand..."bolte hue main hans pada,lekin Arun aur bhu ko gusse se ubalta dekh main shant hua aur bola"sorry,mazak kar raha tha..."
"plan kya hai..."
Maine ek cigarette jalayi aur dhua bhu ke face par daalkar bola"yaad hai ,ek din hum teeno aise hee baat kar rahe the,to tune kaha tha ki tune form me galat no. Dala hai..."
"haan to,isse bhu ka kya lena dena..."Arun ne puchha...
"to phhir bhu ne taav me aakar kya kaha tha,yaad hai "
"yahi ki, bhu ne form me switch off wala mobile no. dala hai..."
"to yadi jaisa maine socha hai uske anusar, humara guru ghantal principal,bhu ke ghar me call karega...aur pahle wo form me se number nikal kar call karega ,aur jab wo number switch off batayega to wo phhir bhu se uske baap ka number mangega..."
"ek min. tujhe kaise maloom ki wo principal iske baap ka number mangega..."
"abey ullu, Principal iske baap ka koyi rishtedar to hai nahi ,jo number mobile me save karke rakhega..wo isi se iske baap ka number puchhega aur is waqt ye Principal ko mera mobile number dega aur khel khatm..."
"aur yadi aisa nahi hua to..."bhu bola...
"90 % aisa hone ki probability hai...aur yadi aisa nahi hua to phhir bhu gaya kaam se..."
______________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-65
"90 % aisa hone ki probability hai...aur yadi aisa nahi hua to phhir bhu gaya kaam se..."
.
Agali subah bhu, Girls hostel ki warden ke sath Principal ke office me kisi muzrim ki tarah khada tha, bhu jab se gaya tha, tab se main pure hostel me ghumte hue apni aawaz ko bhari karne ki practice kar raha tha...tabhi jeb me rakkha mobile bajne laga ,aur jo socha tha wahi hua, call humare Principal R.S. Tiwari ki thi....
"hello, kaun..."aawaz badal kar maine call receive ki...
"R.S. Tiwari Speaking...aap Bhupesh ke father bol rahe hai..."
"yes, aap kaun..."
"R.S. Tiwari....shayad aapne mere name par gaur nahi kiya..."
"R.S. Tiwari...hmmm"kuch der main kuch nahi bola...
"hello..."mera guru ghantal Principal ne dusari taraf se bola"hello...hello...aapka suputra kal sham ke waqt girls hostel me pakda gaya, ye waha kya kar raha tha,ye aap isi se puchh lijiye"kahte hue Principal ne mobile bhu ko thama diya...
"hello, papa..."
"haan bolo beta...BC, tu college laundiyo ke hostel me jaane ke liye gaya hai, tu ruk abhi aakar teri gand todta hai...."bhu ko gali bakte hue maine kaha"abey chutiye, shakal aisi bana jaise ki tujhe phone me sach much ki gali mil rahi hai...."
uske baad main kuch der tak aur bhu ko daanta aur phhir bola"ab mobile dusare chutiye ke hath me de..."
"kaun dusara.."
"R.S. Tiwari ko mobile pakda..."
bhu ne waisa hee kiya, uske baad jaise hee Principal Sir ne ek baar hello kiya, to main non-stop Sorry...sorry bolne laga...
"Sorry, Sir maine aapko pahchana nahi, uske liye sorry sir...usse galti ho gayi...next time se wo aisa nahi karega...."
"aap do teen din ke andar yaha aa sakte hai kya, "
"kya "jab Principal ne ye kaha to meri phhat ke hath me aa gayi ,maine to aisa socha tak nahi tha ki wo bhu ke baap ko college me bula bhi sakta hai....
"abhi to main kaam ke bahut fansa hua hoon,...please sir, aap use maaf kar dijiye..."
"yadi aap yahi line ,yaha mere samne aakar bologe to baat ban sakti hai..."
"gaye beta kaam se..."
"aapne kuch kaha..."
"nahi...nahi,..."
main kaan me mobile lagakar sochane laga ki ab kya karu , jis deewar ke pass khada tha ,uspar apna sar bhi de mara,lekin phhir bhi koyi idea bheje me nahi ghusa, ulta sar aur dard karne laga ,aur main dard se karah utha...
"are you ok..."
"yes, i'm ok..."
"and How is everybody at home? "
"everybody is fine and eating Samosa..."
Main mobile rakhne hee wala tha ki ,achanak mujhe R.S. Tiwari ki wo line yaad aa gayi, jo usne abhi se kuch der pahle kaha tha"How is everybody at home? "
Main turant chillaya "Ek min. Sir..."
"yes, kahiye..."
"bhu ke dadi ki tabiyat achanak kharab ho gaya hai, use hospiyal le jana padega....aap please ,aap please use kuch mat batana, warna wo tension me aakar padhayi nahi karega,bahut senti ladka hai....aur please is baar uski galti ko ignore kar dijiye.."
iske baad maine call disconnect kar di, jo mujhe karna tha,wo maine kar diya tha...ab sab kismat ke hath me tha ki aage kya hota hai, shayad wo emotional hokar bhu ko is baar avoid kar de....aur ye bhi ho sakta tha ki us moti bhains ke kahne par Principal Sir bhu ko lambi chhutti par bhej de....jo kuch bhi hona tha, wo ab aakar bhu hee batata ,isliye main bindas hokar apne room me ghusa....
"baat hui..."
"yes "
"kya bola, Principal ne..."
"khud jake puchh le..."
"mera naam to nahi liya bhu ne..."
"wahi aake batayega..."
abhi kuch hee der hue the ki bhu ne ek laat jor se darwaze par mara ,jiska asar uske pair par bhi hua, wo apne pair sahlata hua khushi se andar aaya aur mujhe uthane ki koshish ki......lekin utha nahi paya
"abey tune Tiwari se aisa kya kah mara ki, ekdum pyar se usne mujhe bheja, aur sath me ye hidayat bhi di ki main next time se aisi waisi faltu ki harkat na karu..."
"maine usse bola ki,yadi wo is topic par aur bolega to main uska rape kar dunga...."shaan se waha baith kar main aage bola...
"chal jo kuch bhi bola ho,usse mujhe kya....main bach gaya, wahi bahut hai, aur isi khushi me Esha darling ki ek news sun....wo apne family ke sath kuch din ke liye out of city ja rahi hai...."
"ghanta...chodu mat bana..."
"parso maine ladki ki ek fake id se usse chat ki thi...tabhi mujhe maloom chala"
"sale ,kutte...yahi khabar mili thi sunane ko...bhag yaha se warna ,neeche main point par aisa laat marunga ki ande ka aamlet ban jayega...chal fut"
"ek aur news hai..."wo Arun ko sunate hue bola"kal se first year ki college band...aaj Principal phone me kisi se kah raha tha,tabhi maine suna...."
"ye sala....yani ki ab teen hafto tak deepika mam bhi nahi dikhegi "
"bhad me jaye deepika, sali randi hai ek number ki...use chodne se achchha mutth mar le...."
"tu BC bhag ja,yaha se...warna lawda phhek kar marunga to sara......."bolte hue main rook gaya
"nahi jaunga, bol kya ukhad lega..."apna andar dhansa hua seena chauda karte hue bhu bola....
"abey jhandulal, jitna tera biceps hai na...usse jyada mota mera lund hai...bhag ja yaha se warna muh me ghusa dunga...."
"chup hoja,warna yahi patak kar kapde ki tarah dhounga..."
"tu sale aise nahi manega..."bolte hue maine uthaya aur use uske room me patak kar bahar se room lock kar diya....
"ab yahi sadta rah,jab tak tera chutiya room partner nahi aa jata, huh sale kal ke launde mujhse panga lete hai...."
________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-66
"ab yahi sadta rah,jab tak tera chutiya room partner nahi aa jata, huh sale kal ke launde mujhse panga lete hai...."
.
Jaise-jaise exam ke din pass aa rahe the,waise-waise thand bhi badhne lagi thi...kayi saal pahle sardi ke mausam ki ek badi asardar kahawat suni thi maine aur wo ye thi ki....sardi ke mausam me neend bahut jhakkash aati hai, ek baar jo soye to uthane ka man hee nahi karta...lekin ye jhakkas neend use hee aati hai,jiske pass rahne ke liye ghar ho aur thand se bachne ke liye Rajayi ya kambal....jiske pass ye hota hai,wo mast aaram ki neend leta hai aur jiske pass ye dono chiz nahi hoti wo aisa so jata hai ki phhir kabhi uthta nahi....mere pass rahne ke liye ghar aur oodhane ke liye kambal ,dono the...isliye mujhe to neend jhakkas wali hee aani thi.....
.
us din ke baad maine ek din bhi college ke darshan nahi kiye, din bhar ya to room me pada rahta ya phhir Sidar ke sath baithkar gappe marta, is waqt na to mere Pass Esha thi, na hee deepika mam aur na hee Vibha....in teeno ka exam se kuch din pahle mere aas-pas na hona mere liye bahut fayademand sabit ho sakta tha, kyunki is situation me main sirf sota,khata ,peeta aur mutth marta...in sab kaamo ke bawzood itna samay tha ki main jabardast tareeke se har ek subject ki taiyari kar leta, lekin maine bilkul bhi aisa nahi kiya....main har din subah se sham hostel ke bahar ki hariyali me tahalta rahta aur padhne ki bajay , main kyun nahi padhta iski vajah dhoondhta raha.....
.
aur jab second class test shuru hue to maine bahut jor se kulhadi apne pair par mari, maine ek bhi test nahi diya....main janta tha ki ye sab galat hai,mujhe aisa nahi karna chahiye...aisa karke main khud ko khayi ki taraf dhakel raha hoon....main sab kuch janta tha aur har tareeke se janta tha ,lekin maine phhir bhi wahi kiya jo mujhe nahi karna chahiye tha.....maine pura ka pura second internals attend nahi kiya, Arun har din exam dekar aata aur mujhe galiya bakta , lekin maine use jhooth kah diya tha ki meri tabiyat bahut kharab hai,baithane tak ki himmat nahi hai....Arun koyi dhoodh peeta bachcha nahi tha, wo janta tha ki main sirf bahana maar raha hoon,lekin wo mujhe bolta bhi to kitna,...usne mujhe dhamki bhi di ki yadi main agle paper se college nahi gaya to mere ghar call karke sab bata dega....
.
jab kulhadi maar hee li thi to farsa marne me kya jata hai, abki baar maine farsa marte hue usse kaha ki ,yadi usne mere ghar call kiya to main uske ghar call karke bata dunga ki wo rojana girls hostel me chhup chhup kar jata hai.....bas phhir kya tha,baat ban gayi, humare beech ye deal fix hui ki na to main uske ghar call karunga aur na hee wo mere ghar call karega...mera exam form bhi usi ne bhara, aur exam ke do din pahle wo admit card mujhe dete hue bola...
"exam kab se hai, maloom hai na..."
"do din baad..."
"first paper Civil ka hai..."
"chal bye, thanks...aata hoon cigarette phhok ke..."
uske hath se Admit card lekar maine aise hee table par phhek diya aur room se nikal kar Senior hostel ki taraf badha....kuch din se main apne seniors ke sath raat raat bhar rahta aur bakarchodi karta...sone aur jagne ka koyi time nahi tha...jab neend lage to wo humare liye raat ho jati thi ,aur jab aankh khule to wo humari subah....us waqt maine duniya ke hisab se na chalkar ,ek khud ki personal duniya bana li thi,jisme sirf aur sirf main tha, mere man me jo bhi aata, wo main karta....mere aisa karne par dusaro par kya effect karta hai, usse mujhe koyi lena -dena nahi tha,....
.
Aisa karte -karte ek din aur beet gaye aur exam shuru hone me sirf ek din bacha tha, raat ko socha ki apun to brilliant hai,ek din me khatm kar dunga....us raat main pure 12 ghante tak soya, aur subah jab neend khuli to ek ghabrahat ne mujhe gher rakkha tha...maine uthte hee Arun se, jo ki is waqt book kholkar baitha hua tha, usse maine time puchha..
"abhi subah ke 4 baje hai, aur soja...jab 12 baj jayenge tab main utha dunga...."
"abey time bata na..."
"10 baje hai..."
"MC, kal paper hai, aur abhi tak kuch padha nahi....tu ek kaam kar, main jab tak bathroom se aata hoon,tu meri book pakad aur important questions mark kar de..."
"hello...."main bistar se neeche utar hee raha tha ki Arun bola"mere pass itna time nahi hai...abhi pura ka pura 3 unit baki hai..."
"ek unit me mark kar de, 1 min. Lagega..."bolte hue main room se bahar aaya...
.
Us din ek nayi chiz mujhe pata chali...aur wo ye ki main ratti bhar bhi hoshiyaar nahi hoon, ek question ek ghante me yaad ho raha tha aur uske baad yadi aage ke do char padh lo, to sala peechhe kya padha hai,ye nahi maloom tha....beech beech me main book ke writer ki,class ki teacher ki maa-bahan karta aur jab man phhir bhi nahi bharta to Arun ko gali deta....iska nateeza ye hua ki Arun ne kaan me headphone lagaya aur phhir padhne laga....meri halat bahut hee bekar thi,shaam ke 7 baj gaye the,lekin abhi sirf ek hee chapter yaad hua tha, aur usme bhi koyi gurantee nahi thi ki us chapter ke question yadi exam me aaye to ban hee jayenge......wakayi me us waqt mujhe wo din yaad aane lage ,jise maine yun hee barbaad kar diya tha,ab mujhe ahsaas hone laga tha ki kal ke paper me main Zindagi me pahali baar fail hone wala hoon.....
.
"Fail..."ye aisa ek shabd tha, jisse mujhe nafrat to nahi thi,lekin phhir bhi ye mujhse aaj tak door hee raha,...maine kayi ke marksheet me laal syahi se ye word chhapa hua dekha,lekin apne karib kabhi nahi paya,...us waqt mujhe sirf aur sirf exam nazar aa raha tha, deepika mam, Vibha aur Esha ka yadi khayal bhool ke bhi aa jata to main chilla -chilla kar in teeno ko gali deta aur kahta ki saliyo ne mera pura samay barbaad kar diya...na ye teeno mujhe dikhti aur na hee main aise lafde me phhansta....BC teeno ka murder kar dena chahiye....
.
us ek waqt main sach me thoda pagal ho gaya tha, jaha mujhe Mediation ki jaroorat thi maine waha galiyo aur cigarette se kaam liya,..kayi baar to ye khayal aaya ki kahi bhag jata hoon aur seedhe exam ke baad aaunga, lekin iska koyi fayda nahi tha...kyunki next semester me mujhe 12 papers dene padte,us waqt maine padhne ke siwa sab kuch kiya, padhayi me dhyan lage isliye aankhe band karke teen-teen baar Gayatri mantra, Saraswati Mantra bhi padha...lekin sab bekar....jaise jaise raat ho rahi thi, main us raat ki gahrayi me paglo ki tarah chilla raha tha, us waqt main aisa ban chuka tha ki yadi koyi mujhe mera naam lekar bhi pukare to main us sale ki wahi on the spot ,hatya kar doon.....lekin uske pahle meri hatya karne ke liye ek call aaya....
"kal se exam shuru hai..."
"haan..."
"sab kuch padh liya..."
"nahi last ka kuch portion bacha hai...."
Ye meri mom ki call thi, jinhone exam ke thik 43 hazar 200 seconds pahle mujhe call kiya tha, yani ki raat ke 10 baje...us waqt le deke kaise bhi karke maine 2 chapter complete kiya tha...lekin halat aayaram aur gayaram wali thi...yani ki us waqt ek question koyi puchh de to uska jawab dene ke liye mujhe book dekhna pade....
"maa kasam kya halat ban gayi hai meri...."main us waqt bhool gaya tha ki line par dusari taraf bhi koyi hai...
"kya hua Arman..?"
"kuch..kuch nahi..."ghabrate hue maih bola"sab thik hai, "
"thik hai phhir,achchhe se paper dena aur haan ,wo Pandey ji ki beti se jyada number lana.."
"ok.....aur kuch.."
"aur sun, "iske baad unki us line ne mera kaleza faad ke rakh diya ,"badnaam mat karna, kal hee tere papa apne dost ke samne teri badayi kar rahe the ki tu abhi tak apne school me top marte aaya hai..."
"haaaa....."
"chal thik hai...khana khaya..."
"na...haan..na...dhat teri, haan kha liya...ab rakhta hoon, "
Uske baad jaise jism me bahta khoon sookh gaya ho, meri halat aur kharab ho gayi aur main apne baal nochkar jor se chillaya....maine room ke saare cigarette ke packet ko ek jagah rakkha aur uspar machis maar di , us waqt main un sabko factors ko dosi karar de raha tha,jinhone mujhe abhi tak padhne nahi diya tha....siway khud ke, jabki is machine ko kharab karne wala main factor main khud tha.
_______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Chapter-16:MindFuck
Update-67
Us ek call ne mujhe itna dara diya ,jitna main khud nahi dara tha....na jaane gharwale mujhe lekar kya kya Arman liye baithe the aur yaha main unke armano par ek jhoothi buniyaad ki parat chadha tha...hostel ke jis room me main rahta tha,is waqt us room ke beech-o-beech abhi maine aag sulga kar rakkhi thi...mere jehan me sirf ek khayal tha ki jab result aayega to main kya kahunga gharwalo se...unhe kya excuse dunga,
"beemar ho gaya tha"aisa bol dunga, maine socha...lekin ye kuch fit nahi hua....iske baad kayi aur ideas aaye,lekin ek bhi dhang ka nahi tha...aur maine do ghante aur aise hee barbaad kar diya, time dekha to raat ke 12 baj rahe the....Arun ab bhi kaan me headphone ghusa kar padhne me busy tha,na to wo meri harkate dekh raha tha aur na hee kuch bol raha tha...sala kameena,kutta
main abhi tak room me bahut kuch kar chuka tha...lekin wo tab se chup chap pada tha aur jab 1 baj gaye to Arun ne padhna band kiya aur mere pass aakar bola...
"aur le maze, jab padhne ko bol raha tha to hoshiyaari pel raha tha..."
"yahi bolne tu apne bed se uthkar mere bed par aaya hai..."
Jawab me Arun ne meri book uthayi aur har unit me 3-3 question mark karke bola"har saal inme se ek aa hee jata hai, subah uthkar padh lena aur 2-2 number wale dekh lena...paper aaram se nikal jayega...."
"sach me paper nikal jayega..."
"khoon se likhkar doon kya ab "
"thanks yar..."
Soya to main ek baje tha, lekin phhir bhi meri neend subah ke char baje apne aap khul gayi, aaj na hee sar dard de raha tha aur na hee subah uthte hee
karne ki ichchha ho rahi thi ,kul milakar kahe to exam ke karan puri fati padi thi...maine uthte hee book kholi aur Arun ke bataye question ko ratta marne laga, ratta isliye kyunki samajhne ka time nahi tha, maine nuemerical tak ko yaad kar liya aur jaise-jaise question yaad hote jate, mera confidence badhne laga aur ek baar main phhir se chillakar bola"yadi do din pahle se padhta to sala main to top maar deta..."
.
subah hui aur exam ka time bhi aaya, lekin examination time ke thik aadha ghante pahle mujhe hosh aaya ki na to mere pass pen hai aur na hee pencil...
"do pen hai..."taiyar hote hue maine Arun se puchha...
"black hai, chalega..."
"daudega...."uske hath se pen lekar maine shirt ki jeb me rakkha aur bola"pencil hai..."
"ek hee hai...."
"good, beech se tod ke de..."
Jab pencil ko beech se todne ke liye maine kaha to Arun mujhe ghoorne laga...
"ab tu ek pencil ke liye mat ro be, paise le lena..."
iske baad maine aadhi tuti hui pencil bhi shirt ki jeb me dali...
"bhai, eraser bhi beech se katkar dena,wo bhi nahi hai "
Arun ne apne daant pise aur phhir beech se eraser kaat kar diya....ab mere pass sirf ek chiz nahi thi,wo thi "cutter" maine ek baar phhir Arun ki taraf dekha...
"ab aur kuch mat maang lena..."
"chal koyi baat nahi, aage-peechhe walo se mang lunga..."
uske baad mujhe khayal aaya ki Admit card to liya hee nahi, aur sab kaam chhodkar main admit card dhoondhane laga, lekin Admit card kahi mil nahi raha tha...ek to waise bhi der ho rahi thi upar se ek aur problem.....
"BC, ye admit card kaha gaya, Arun tune dekha kya..."
"abey chup, revision maar raha hu, disturb mat kar...."
Maine bahut dhoondha, table par rakkhi hui har ek chiz ko ulata-pulta kar dekha, table ke upar neeche,aage peechhe har jagah dekha...khud ke aur Arun ke bistar ko tahas nahas bhi kar diya lekin Admit card kahi nahi mila, exam ki tension pahale se hee thi aur ab admit card ka naya jhamela....
"Arun, tu bhi dhoondh na ,shayad kahi mil jaye..."
"A small rectangular block typically made of fired or sun-dried clay, used in building...."wo meri taraf dekhkar yaad karte hue bola...
"abey, admit dhoondh mera,maloom nahi kal kaha rakkha tha..."
"A small rectangular block typically made of fired or sun-dried clay, used in building"
"bose dk..."
"bose dk ,ye brick ki definition hai,padh le...exam ka first question yahich hoga..."
"achchha, le ek baar phhir bol to..."
Brick ki definition yaad karne ke baad main phhir admit card idhar-udhar dekhne laga, aur jab room me kahi nahi mila to main room se nikalkar aas-pass wale room me jakar puchhane laga ki mera admit card yaha to nahi chhuta hai, aur jab kabhi nahi mila to main muh latka kar room me aaya....
"mila..."
"lawda mila..."
"ye le, "bolte hue Arun ne mera admit card mujhe thamaya aur bola"tere hee table par tha...."
"Schönen Dank..."
"ye kaun si gali di tune..."
"thanks bola, Schönen Dank ko German me thank you kahte hai..."
"kakke, paper english me hee dena "
.
Uske baad hum dono waha se college ke liye nikle, jaha humari seating arrangement thi, us class ke bahar sabhi apne hath me books,notes pakad kar khade hue the, unhe dekhkar to meri ek baar aur phhat gayi,kaise bhi karke maine khud ko sambhala, aur exam hall ke andar dekha, waha ek yamraj ka roop liye hue ek teacher chair par baitha hua tha, jiske aaju-baju bahut kuch rakkha hua tha...is waqt exam hall mujhe kurukshetra lag raha tha,jisme 5 min. ke baad mujhe yuddh karne jana tha....pareshani ye thi ki aaj is Arjun ke sath ShriKrishna nahi the......
.
Main ekdum right time par class ke andar ghusa aur phhir wo waqt bhi aaya jab question paper baanta gaya, mujhe jab question paper mila to main kuch der tak question paper ke front page ko hee dekh kar na jaane kya sochane laga, us waqt BC na jaane kaise-kaise khayal aane lage...kabhi next week release hone wali movie ka name yaad aata to kabhi koyi sad song, phhir achanak hee welcome party ki yaadein taaza ho gayi, uske baad maine aaj tak jitni bf dekhi thi ,wo mere aankho ke samne chalne lagi aur is par bollywood ke kuch gaano ne char chand laga diye.....wo gaane kuch aise the
"Andheri raaton mein sunsaan rahon par,
Har zulm mitaane ko ek masiha nikalta hai
jise log shahenshah kehate hain..."
"dil ne tumko chun liya hai, tum bhi isko chuno na..."
"mujhe peene ka shauk nahi,peeta hoon gam bhoolane ko..."
in gano ne peechha chhoda to dharmendra paji ka dialogue"basanti in kutto ke samne mat nachana..."
uske baad honney singh bhi aa gaye aur main andar hee andar gala phhad kar chillaya "chus mera lawda ,chus chus lawda ,jaise aalo ka pakoda..."
"hi my name is fadu singh...."
.
.
"BC,main yaha paper dene aaya hoon, ya gana gane...."main bahut hee buri tarah se khud par jhallaya aur gusse se ek laat khud ki bench par de maari....
"kya problem hai..."us yamraj teacher ne mujhse puchha...
"kuch nahi sir "(BC aankhe neeche kar,warna yahi chod dunga...)
Uske baad answer sheet me main apna naav,gaanv bhara,lekin tabhi shriman fadu singh mere khayalat me dubki maar liye.....
"kash koyi mil jaye,thak chuka hoon main, door door se dekh dekh ke pak chuka hoon main...."
.
"BC ab nahi..."maine apna sar pakad liya lekin tabhi kal raat ki call yaad gayi,jisme meri maa ne kaha tha ki"badnaam mat karna aur pandey ji ki beti se adhik number lana..."
."gand chudaye Pandey aur uski beti"
mera is waqt man kar raha tha ki main bench uthau aur use apne sar par de maru , ya phhir mere hath me jo pen hai usko aage wali ki gand me ghusa doon ya phhir apne sar me pel doon....aur isi khushi me maine shirt ki jeb se pencil ka aadha tukda nikala aur gusse me uske do tukde kar diye....BC sab aise shant baithe the,jaise arthi par lete ho,mere pencil todne ki aawaz turant pure class room me gunj uthi...aur yamraj ne ek baar phhir mujhe ghoora....
"sorry sir "yamraj ko dekh kar maine kaha aur question paper ki taraf dekha....usi waqt ek nazar ghadi par padi to dekha ki aadha ghanta to isi me nikal gaya hai...
"mindfuck..."
.
.
"ja rahe ho..."jab main Nisha ke room se jane ke liye hua to wo boli....
Meri tarah wo khud bhi janti thi ki mujhe jana to hai hee, isliye usne mujhe rukne ke liye na kahkar sirf itna hee puchha....
"jana to padega ,Nisha...par wada karta hoon,wapas jaroor aaunga..."
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Chapter-17:Three bottle of M.D.
Update-68
Meri tarah wo khud bhi janti thi ki mujhe jana to hai hee, isliye usne mujhe rukne ke liye na kahkar sirf itna hee puchha....
"jana to padega ,Nisha...par wada karta hoon,wapas jarooraaunga..."
.
Mere is jawab par wo sirf mujhe dekhti rahi, is waqt wo kya soch rahi thi shayad main janta tha...lekin wo waqt hee aisa tha ki main chahkar bhi waha nahi rook paya,wo apni aankho me udasi ka gahra sabab liye uljhan me fansi mere samne khadi thi.....use us halat me dekhkar jee kiya ki use khud se lipta loon aur kabhi na chhodu...wo shayad andar hee andar ye bol bhi rahi thi ki main na jaaun....
uski is halat ko main bakhoobi samajh raha tha,kyunki ek din main bhi aise hee kisi ke samne khada tha aur yahi dua maang raha tha ki wo na jaaye ! Us waqt mere muh se ek shabd tak nahi nikla, main uska naam lekar na to use pukar paya aur na hee use rok paya aur wo hamesha ke liye mujhse door chali gayi, sala kabhi -kabhi ek naam itna zakhm de jata hai ki uske baad us zakhm par duniya bhar ki saari dua ,duniya bhari ki saari dawa beasar ho jaati hai,is waqt bhi kuch kuch Aisa hee ho raha tha...main ab bhi Nisha ke samne khada tha aur wo ab bhi mujhe dekh rahi thi......
.
ishQ ki raaho me tootkar bikhre kuch Arman is tarah ki maut ne marne se pahale saari daastan puchhi aur jab saari daastan, sare dard maut ko sunaya to wo sar se kafan hatakar ye bolkar chala gaya ki "ab yadi tere karib aur raha to,maut ko bhi maut aa jayegi....."
.
"chalta hoon, mere pass itna bada ghar nahi hai...jaha aaram se baithkar khana khaya jaye, abhi jakar loha pighlana hai...."
Wo phhir chup rahi, wo mujhe aise dekh rahi thi,jaise ki aakhiri baar dekh rahi ho aur iske baad wo mujhe kabhi dekh hee nahi payegi.....main uske karib gaya aur uski kamar me hath daalkar apni taraf kheench kar bola...
"tere ghar me naukar bhoot hai kya,jo kabhi dikhte nahi..ya phhir ghar ka sara kaam tujhe karna padta hai...."jate-jate uske chehre par muskan lane ki koshish karte hue maine kaha...."chal aaja, kal raat wala game khelte hai..."
Mera aisa kahna tha ki usne turant inkar karte hue apni gardan right to left kar di....
"mazak kar raha hoon, baad me milta hoon...bye"
bolte hue main Nisha ke ghar se bahar aaya aur jab gate ke pass pahucha to waha hamesha apne chhote se room me rahne wale chaukidaar ne mujhe ghoora, jawab me maine bhi use aankhe dikhayi.....
"chal bhag yaha se..."
"beta achchhe se pahara de,warna is mahine ki pagar kaat lunga...."bolkar main waha se haste hue dauda aur apne flat par pahucha.....
.
"kya beta, bahut rapchik maal set karke rakkhi hai...mera bhi jugad hai kya..."
"murder kar degi tera wo, "sofe par baithkar maine Arun se kaha"waise time kya hua hai..."
"11 baj chuke hai...."
"aaj bhi late "
"jaldi se inform kar de,warna wo tujhe laat maar ke nikal denge...."
"ek kaam karta hoon...."Varun ki taraf dekhkar maine kaha"jaise Varun ne chhutti le rakkhi hai,main bhi kuch dino ke liye chhutti le leta hoon....kya bolta hai..."
"superb idea....isi khushi me papa bol..."
" "
lagatar do din se daaru pee-pee kar hum teeno bore ho gaye the ,aur aaj daru peene ka man waise bhi nahi tha....jaha ek taraf Nisha se jhooth bolkar main yaha gappe lada raha tha, wahi wo shayad shaam hone ka intezaar kar rahi thi....
"tere first Semester ke exam tak ka sara kand Arun ne kal raat me bata diya..."cigarette jalane ke liye usne mujhse machis maangi , lekin jab machis nahi mili to maine uske muh se cigarette nikal kar apne muh me daali aur bola "ab dekh main cigarette jalata hoon...."
uske baad maine gas ka lighter uthaya aur gas jalakar cigarette sulgayi......
"tu deepika ko pel paya ki nahi...aur Vibha ka kya hua tha..."
"direct result batau ya phhir class chalakar lecture sunau...."
"maza to direct result me hai ,lekin phhir bhi lecture hee suna...."
"Arun, tu break fast taiyar kar...."
.
Exam BC itne bure gaye the ki main kisi ek paper tak me sure nahi tha ki clear ho jayega...kabhi-kabhi raat ko sapne me main dekhta ki meri 6 me 6 back lag chuki hai.... Finally exam khatm hua aur last paper jis din tha us din main subah se hee khush tha...kyunki aaj ke baad mere gardan par itne dino se latka hua exam ka ghanta utarne wala tha aur main result aane tak to aish kar hee sakta tha.....aakhiri paper dene ke baad main aise khush tha jaise ki main pura universe apne kabje me kar liya ho...na hee dopahar me neend lagi aur na hee bhookh...socha ki mutth hee maar liya jaye lekin wo karne ka bhi man nahi kiya, bahut der tak pakad kar hilate rahne ke bawzood bhi jab nahi gira to mera hath dard dene laga aur maine mutth marna chhod diya
us din mujhe ahsaas hua ki wakayi me meri efficiency solid hai,...us din ki dopahar badi mushkil se guzari ,sham hote tak humne kahi ghumne ghamne ka plan banaya...aur ye fix hua ki shahar ke sabse bade mall me jayenge...lekin tabhi Arun bola...
"bar chalte hai,..."
Bar ka naam sunkar main aur bhu ek dusare ka muh taakne lage, kyunki humne abhi tak socha bhi nahi tha ki hume bar bhi jana chahiye,Bar aaj tak maine sirf filmo me hee dekhe the ya phhir kisi dusare ke muh se suna rakh tha aur mujhe itna maloom chal chuka tha ki andar daru bahut mehangi milti hai....maine purse me nazar dali , paisa bharpur tha ,aur waise bhi jab tak jeb me dus hazar ka mobile ho to ghabrane ki kya jaroorat , maine apni gardan haan me hilayi...phhir kya tha, kahi se bike jugad ki aur raat ko 9 bajte hee bar ke liye nikal gaye......
"yaar Arun, ye bar wale BC paisa bahut lete hai daru-waru ke...."
"ab kya karega dena to padega hee..."
"gadi side me rok ek dhansu idea aayela hai bheje me...."
Mere kahne par jab Arun ne bike sadak ke kinare rok di tab main bola"apan teeno bahar se hee daru peekar chalte hai, mast nashe me tun hokar jayenge...."
"soch le, kahi welcome party ki tarah kuch ulta seedha hua to..."
"kuch nahi hoga,yadi kuch hua to main sab sambhal lunga..."bhu beech me seena chauda karte hue bola aur josh josh me turant apne jeb se 200
nikal kar mujhe pakdaya aur ek botal M.D. Lane ke liye kaha.......
"abey kisi dhabe me chalkar peete hai,us din ki tarah nahi...sala hangover maar deta hai...shukra manao ki wo neem ke ped ke neeche wali ladki dikhi nahi ,warna pakad ke bharti wo...."
"ab chale...."
"chalo, daudo,bhago...."
phhir ek dhabe par rook kar humne khana khaya aur sharab ki teen botal khali ki aur waha paise dekar bike ki taraf badhe....
"Arun...bike main chalaunga..."main bola. Is waqt main un dono se thoda peechhe tha...
"beta aankh khul nahi rahi, gadi kya chalayega..."
"teri to..."maine Arun ke hath se bike ki chabhi li aur bike par samne baithkar un dono ko peechhe baithne ke liye kaha,
"yar Arman, bike girls hostel ki taraf le ,us tadkasur ki gand marni hai...us din girls hostel me usi ne mujhe ek jhapad mara tha...."
"abey chup bhu, abhi bar jaana hai..."Arun bhu ke sar par ek hath pelte hue bola....aur is waqt main mast aaram se raat ke 10 baje bike chala raha tha, aur jab city se kat kar apne college wale jungali raste par aaye to ,udhar samne se jo bhi aata ,ya samne jo bhi dikhta use bharpoor gali dete aur bolte ki"dam hai to ukhad ke dikha..."
Ek ne puchha bhi kya ukhadu to maine kaha"apna lawda ukhad ke dikha "
Jaise jaise college ki taraf main bike dauda raha tha, speed badhti ja rahi thi aur meri aankh band ho rahi thi...mujhe aise lagne laga jaise ki main ek super hero hoon aur duniya ko bachane ke liye jaldi se jaldi college pahuchna hai...maine apni ek aankh band karke Accelerater aur pel diya...aur bike seedhe girls hostel ke bahar roki.....
"abey tadkasur ,nikal bahar....."bolkar main cigarette jalane laga...
lekin bhu ko kuch jyada hee gussa aa gaya aur usne do char patthar uthakar hostel ki taraf phhenke...aur har baar kaanch tootane ki aawaz hui , aur uske turant baad kutto ke bhokne ki aawaz aayi aur waha ka chaukidaar humari taraf badha ,jise humne door se dekh liya....
"bhag BC, warna tujhe bhi marunga..."bolte hue bhu ne chaukidaar par bhi patthar barsana shuru kar diya ,lekin jab wo apne dande ko bat banakar cricket khelne laga to hume waha se bhagna pada...gadi ab bhi main hee chala raha tha...main waha se bhagne ke pahle jor jor se chillaya...
"oye moti bhains ,mera naam Gautam hai, mechanical second year...gand me dam ho to ukhad lena...."
.
"abey ab to wo Gautam gaya, BC..."
"chal bol papa.....aur ye BC bike kyun ro rahi hai...."
"petrol khatm ho gaya hoga..."
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-69
"chal bol papa.....aur ye BC bike kyun ro rahi hai...."
"petrol khatm ho gaya hoga..."
"kya...aise me to thukayi ho jayegi..."main bike ko hilate hue petrol check karne laga....lekin bike nahi hili, Arun aur bhu jo sawar the
"abey utar..."
Jab wo dono bike se utar gaye to maine bike puri taqat se hilayi ,itni taqat se hilayi ki main khud hil gaya aur bike ke sath neeche zameen par aa gira......
"ye BC, bike ki maa ki...kaun laya ye khatari bike..."
"jyada lagi to nahi..."
"mard hoon, aisi chhote mote zakhmo ka asar nahi hota...."jhooth bolte hue maine kaha,...itni der me ek shaks Girls hostel ke taraf wali road se humpar tourch marne laga...
"ye BC, tourch kaun maar raha hai, hum teeno par..."
Hum teeno us tourch dikhane wale ko galiya dene lage aur tabhi bhu ne apne 1200 ka tourch chalu karke hum par roshani marne wale ke upar focus kiya.....
"abey bhag ye to chaukidaar hai girls hostel ka...."bhu waha se bhagte hue bola....
"nikal bandook aur maar goli iske gand me..."Arun bola....
"bandook nahi missile chhodte hai, sale ke upar...yahi chithade-chithade ho jayenge iske sharir ke...."maine bhi garra kar kaha....
Girls hostel ka chaukidaar jo kuch der pahle humari taraf aa raha tha,wo jaha tha wahi rook gaya ,aur ek baar phhir hum par light mari....
"GAUTAM...."maine jaanbuchkar Arun ko Gautam kahkar pukara"Gautam, bomb fod de sale ke upar...."
"abhi fodta hai..."
wo chaukidaar ab bhi waha khada hume dekh raha tha, uske aage aane ki himmat nahi ho rahi thi, tabhi maine neeche jhukkar ek patthar uthaya aur uski taraf phhenka....
"aaaaaaaa....."chillate hua chaukidar waha se bhag gaya....
.
"bhu land....kaha ghusa hai bhu land..."
"sshhhh...idhar hoon "
"BC, apne 1200 ka light jala...."
Uske baad ab hum teeno ke samne pareshani ye thi ki petrol lene kaun jaye....petrol pump waha se 2 se 3 K.M. door tha aur is waqt hum teeno ek sunsan sadak par khade the...jaha hume kisi ka dar nahi tha
Pahle to petrol lane ka kaam hum teeno ne ekdusare par thopa...lekin single jane ke liye jab hum teeno me se koyi bhi razi nahi hua to plan ye bana ki hum teeno bike ko ludhkate hue petrol pump tak le jayenge, waha petrol bharwa kar ,bar jayenge aur bar me disco diwani par dance karenge.......
.
College ke hostel highway se thoda andar tha ,abhi hum teeno usi road par the,isliye pahla kaam ye tha ki kaise bhi karke highway par aana...jaha hum khade the ,waha se highway ko jodne wale sirf do raste the, ek rasta Girls hostel ke just samne se hokar nikalta tha to dusara jungle ke andar ki bhool bhuliyaa se hokar jata tha....Girls hostel ke samne is waqt bahut log jama ho gaye honge aur unme se kahi koyi hume pahchan na le, iska dar tha....waise bhi Election aur welcome party ke baad main kafi famous ho gaya tha, isliye us raste se highway tak jana khud ko goli marne ke barabar tha.....isliye hum teeno waha se turant jungle ke andar kat liye, taki Girls hostel se koyi jhaanke to hume dekh na paye....Arun is waqt bike ludhka raha tha aur main cigarette ke kash marte hue Arun se aage ka rasta puchh raha tha.....
"chal lawda ,girls hostel ki ladkiyo ko chod ke aate hai..."bhu ekdum achanak se bhadak kar bola,...
"kya hua be..."
"chodne ka man kar raha hai,kisi ko.."
"ek kaam kar paint ki zib khol ,lawda nikal...aur hilana shuru kar de...andhera hai,koyi nahi dekh payega...."
"abey Arun, ye tu us bhootni wale raste se kyun le ja raha hai..."meri baat ko ignore karte hue bhu chillaya...
"yahi ek rasta hai..."
"BC, wo atma hum teeno ko dikh gayi to....gala kaat kar ped par latka degi..."
"aisa kya..."main bola"maine ye bhi suna hai,ki jiski height kam hoti hai...uska kaleja kaatkar wo kha jati hai "
"kam height matlab......main...abey hat"
bike ludhka-ludhka kar hum teeno us neem ke ped ke pass pahuche ,jaha par ek ladki logo ko kitaab liye hue dikhayi deti thi...."
"Arun,rook...moot ke aata hoon..."bolkar main usi neem ke ped ke thik neeche gaya aur mootkar aaya, mujhe aisa karte dekh Arun aur bhu bhi waha pahuche aur moot kar hum teeno jungle wali road ke andar ghuse.....
"yar Arman...ab wo laundiya,neem ke ped ke neeche padh nahi payegi..."
"wo kyun..."
"hum teeno ne jo kar diya hai waha...uski badboo se wo kuch study nahi kar payegi ,so sad "
"sab sala chutiyapa hai, koyi bhoot chut nahi hai udhar...warna do baar hum waha gaye,wo hume dikhi kyun nahi..."
"kisi ne ek baar bhi neem ke ped ke upar nazar mari thi kya..."itni der me bhu bola...jise sunkar hum teeno ke kadam wahi ke wahi rook gaye,...
.
bhu sahi kah raha tha, hum teeno ne ped ke upar ek baar bhi nahi dekha tha,..aur is waqt anjaane me hee mujhe aisa lagne laga ki wo laundiya,us neem ke ped ke upar baithi thi....
"ek baar dekh ke aaye kya,..."bhu ne ek baar phhir apna muh fada...
Sala abhi tak main aur Arun kitna daring ban rahe the,lekin ab hum dono ki halat khasta ho gayi thi, Arun ka to pata nahi,lekin meri situation aisi thi ki mudkar peechhe dekhne tak ki himmat nahi thi,aur rahi sahi kasar waha bahne wali hawao ne puri kar di....jaise hee humare peechhe kuch halchal hui ,hum teeno waha se teji se khisak liye...Arun bike ka handle sambhale bike dauda raha tha aur main,bhu bike ko peechhe se dhakka de rahe the......
.
highway ki direction hume maloom thi,isliye hum teeno usi taraf badhe, aur thodi hee der me teachers ke sarkari ghar nazar aane lage to hum teeno ne chain ki saans li....
"wakayi me fat gayi thi be..."highway par aakar main hanfte hue bola..."bhu fale, tu apna muh band karke rakkha kar...kha mkha gand faad diya..."
.
Waha se Petrol pump tak pahuchane me hume mushkil se 15 min. Lage, bike ki tank petrol se full karwayi aur bike par baithe....shuru-shuru me to humne socha tha ki shanti se sarifo ki tarah petrol bharwa kar paise denge aur waha se chalte banenge...lekin achanak hee Arun ko na jaane kya soojha wo mere kaan me fusfusaya...
"abey chal bhag chalte hai...bina paise diye..."
"sach me..."
"haan..."
"ek min. bhaiya, bike aage badhakar paise deta hoon..."bolkar maine bike kam speed me thoda aage badhayi aur phhir jor se accelerator dekar waha se rafu chakkar ho gaye....apni is harkat par hum teeno hee pet pakad kar hans pade
______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-70
"ek min. bhaiya, bike aage badhakar paise deta hoon..."bolkar maine bike kamspeed me thoda aage badhayi aur phhir jor se accelerator dekar waha se rafu chakkar hogaye....apni is harkat par hum teeno hee pet pakad kar hans pade
haste-khelte, sadak par chal rahe logo ko gariyate hue hum teeno bar pahuche...bar ka name tha" imperial blue...."
"aye, sala ye to daru ke naam par bar ka naam hai..."Arun bike se utarkar bola,
bhu ab bhi bike par sawar tha aur jaise hee wo bike par se utra,dhadam se zameen par gir gaya....
"abey sale, bhopu...aisi gandul harkate karega to bar wale andar nahi ghusne denge..."
"*** chod dunga sabki... "apna ek hath bar ki taraf karke bhu bola"mazal kiski jo mujhko andar aane se roke..."
"oye Arun, ye khud ko jungle ka raja to samajh raha hai"
"mere ko bhi yahi laging...chal aaja andar chalte hai...."
bhu ke baye side main aur daye side Arun khada hua, hum dono ne use pakad rakkha tha,taki wo bar ke pahalwano ke samne aandu pandu harkate na kare.....humara plan kamyab raha, hum teeno bina kisi rok tok ke andar ghuse....main pahli baar kisi disco bar ke andar aaya tha,isliye main had se jyada excited tha...main bar ke andar pauva peekar jhoomane wali ladkiyo ko dekhna chahta tha aur phhir ekdum filmi style me jo bhi hot item nashe me dikhe,uske sath dance karna chahta tha....main abhi ye sab soch hee raha tha ki humare jungle ke raja bhu mahashay ne jordar seeti bajayi aur jaha khade the wahi apna langar dance shuru kar diya
kuch log jo dance karne me busy the, unhone to koyi gaur nahi kiya...lekin waha bahut se log matlab ki couples aise the jo table par baithkar aaram se baate kar rahe the...wo bhu ki is harkat par hans pade.....ek aur chiz jo maine notice ki wo ye ki waha sabse kharab kapde humi teeno ki thi...bar me kaam karne wale waiters tak ne bhi chamchamat suit pahan rakkha tha......daru peekar to full talli the,isliye jaha chhote-chhote glass me daru mil raha tha ,humne us taraf dekha tak nahi aur seedhe aakar ek table par baith gaye.....
.
"Excuse me sir , would you like something to eat or drink...." safed suit mare hue ek shaks humare pass aaya,
"mera naam hai Arun..."Arun ne usko dekhkar kaha"ye hai Arman, aur ye hai bhu...iska waise pura naam bhupesh hai, lekin short me humlog ise bhu kahte hai..."
"ok..."
"ye hai Arman ,ise pyar se log Arman hee kahte hai..."
"ok "
"and main hoon Arun ,mujhe bhi log pyar se Arun hee kahte hai..."
"ok , would you like something to eat or drink "
"haan chahiye na..."
"kya..."
"teeno ke liye bharpet pani la..."isi ke saath hum teeno jor se hans pade,...
"nice joke..."
"ye burmari ke, tumhari himmat kaise hui,humare samne zubaan kholne ki, bhag jao yaha se warna hum tumhe maut ki saza denge..."bhu ekdum Raja wali style me bola....
"guards...."usne bahar khade pahalwano ko aawaz di aur uske turant baad hum teeno bahar nikal diye gaye....
.
Hum teeno ko apni ye bejjati bardasht nahi ho rahi thi ki ,kisi ne hume dhakke maarkar....ek ne to laat bhi mari thi bahar nikal diya,..mood teeno ka kharab tha,lekin kya kare,hum me itni taqat bhi to nahi thi ki bahar khade un pahalwano ko pel sake...lekin unhe maare bina dil bhi bechain hua ja raha tha,...
"abey main bike chalata hoon,tum dono ek-ek patthar utha lo..."ekdum dheere se Arun bola"aur jab bike me baith jaye, to puri taqat se un guards par patthar fek dena, BC unka sar phhat jana chahiye,,,."
Arun ne bike ki handle sambhali aur main, bhu patthar dhoondhane lage...lekin sali kismat hee kharab thi,aas-pass koyi bhi dhang ka patthar nahi mila.....
"ek kaam karte hai,thodi door chalkar patthar uthate hai aur phhir in salo ko thokte hai...."
"mast plan hai "
Uske baad humne bilkul waisa hee kiya, hum teeno thoda aage gaye aur ek-ek patthar uthakar kar wapas bar ke samne khade hue....bar ke bahar khade pahalwano ne hume aankh dikhayi aur tabhi humne apna kaam kar diya, bhu ne seedhe pet me daga aur maine ek aankh band ki ,mujhe is waqt sirf aur sirf us pahalwan ka takla dikhayi de raha tha...isliye mera nishana thik uske sar par ja laga....bike to chalu hee thi, isliye is karname ke baad hum teeno waha se turant furr ho gaye....aur ek baar phhir hum teeno pet pakad kar hans rahe the......
.
Ab humara kahi aur jaane ka plan nahi tha,isliye Arun ne bike seedhe hostel wale road me mod di thi...
"yar Arman, deepika mam ko call lagakar bula,sali ko chodte hai aaj...BC ne bada hard viva liya tha..."bike chalate hue Arun ne kaha...
"number nahi hai sali ka..."
"mere pass hai...."bhu ne jeb se mobile nikal kar mujhe diya.....us waqt main 80-90 ki speed me sharab peekar bike par sawar tha, na to mujhe waqt ka andaza tha aur na hee kisi aur chiz ka...us waqt jo man me aaye,mere liye wahi sahi tha...jo bhi Arun aur bhu bole, main us waqt wahi karta......deepika mam ,ne call nahi uthaya to maine bhu ko uska mobile de diya....jab deepika mam ko call nahi laga tab main wapas shant hokar aankho me pad rahi mast hawao ka anand lene laga...lekin bhu lagatar deepika mam ko call kiye ja raha tha.....
"le,le...dhar "
"kya hua..."
"deepika chut ne call utha li, bula sali ko..."ye kahkar bhu ne mobile mere hath me thama diya....
"hello..."
"hello..."
"hello..."maine ek baar phhir hello kaha...
"kaun hai..."usne apni aawaz tez karke kaha...
"chut marwa rahi thi kya janeman..."maine bhi aawaz tez karke kaha , us waqt mujhe zara bhi andaza nahi tha ki main kisse aur kis tarah se baat kar raha hoon....
"kaun..."
"Main hoon,jisne tujhe lab me lund chusaya tha...bhool gayi itni jaldi..."
"Arman..."usne thoda ruk kar jawab diya...
"yes, aaja hostel ,chodne ka man hai kisi ko...."
Uske baad pata nahi kya hua, main use bolta hee raha aane ko lekin is beech wo kuch nahi boli, thodi der baad mujhe maloom chala ki usne call bahut der pahle hee kaat di thi, bhu ne ek baar phhir uska number lagaya,lekin ab uska number switch off tha....
"kya be ,kahi wo naraz to nahi ho gayi..."
" yahi to pyar hai pagle....right side wala....na to main use chhod sakta hoon, because of her chut and na hee wo mujhe chhod sakti hai because of my lund "
______________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Chapter-18:At home
Update-71
" yahi to pyar hai pagle....right side wala....na to main use chhod sakta hoon, because of her chut and na hee wo mujhe chhod sakti hai because of my lund "
.
us din hum hostel subah 4 baje pahuche...hostel aate waqt beech raste me maine jab bhu ke mobile se deepika mam ko call lagaya tha tab 1 baj rahe the aur waha se hostel tak aane me hume mushkil se aadha ghanta lagta ,lekin hum log aadhe ghante me nahi ,balki 3 ghante me hostel pahuche....khairiyat thi ki hum teeno me se kisi ko kuch nahi hua tha,lekin humne wo teen ghante kaha bitaye ye hume zara sa bhi yaad nahi tha...yaad tha to bas Senior hostel ke samne bike rokna aur phhir Sidar ko call lagakar Senior hostel ka gate khulwana.....kyunki apne hostel me jate to lafda ho sakta tha aur yadi isi point ko lekar girls hostel ki warden ne raat wale kand se jod diya to hum teeno lambe se fans sakte the, filhal humara is lafde me fansne ka koyi irada nahi tha,isliye hum teeno apne hostel na jakar seedhe Senior hostel pahuche the.....
.
uski agli subah meri neend seedhe dopahar ko 11 baje khuli aur wo bhi isliye kyunki ek to mujhe pyas lagi thi aur dusara bahut der se mera mobile baj raha tha....maine table par rakkhe hui pani ki bottle ko uthaya aur aankhe mal kar ek nazar mobile screen par dali....
"BC, 1000 miss call "
Maine turant apni aankho ko hatho se sahlaya aur ek baar nazar phhir mobile par dali , mobile par 10 miss calls thi aur wo sabhi miss calls ghar se thi.....mobile ko wapas bistar par patak kar main hostel ke bathroom me ghusa aur nal chalu karke lagbhag 5 minutes tak apna sar thande pani se bheegota raha, aisa karne par mujhe bahut thandak mahsoos ho rahi thi....uske baad main wapas room par aaya aur ghar ka number dial kiya.....
"phone kyun nahi uthata, subah se hazar baar call kar chuka hoon..."
"kaun..Vipin bhaiya..."
"nahi...wrong number lagaya hai tune.."
"silent me tha mobile kal raat se, abhi dekha to miss call thi...."
"fine...ghar ab aa raha hai..."
"aaj hee dopahar 12 baje ki train hai..."
"to abhi kaha hai...."
"abhi hostel me hoon...."bolte hue maine ek nazar deewar par lagi ghadi par maari " 11 to yahi baj gaye...."
uske baad maine turant bhaiya se kaha ki main hostel se railway station ke liye hee nikal raha hoon, baad me call karta hoon.....uske baad maine mobile seedhe apni jeb me dala aur Arun ,bhu ko laat maar kar uthaya.....
"abey kutto, mujhe railway station chhodo jaldi..."
bhu to hila tak nahi, le dekar maine Arun ko uthaya aur railway station chalne ke liye razi kiya.....uske baad 15 min. Me maine sab kuch kar liya, fresh bhi ho gaya,bag bhi pack kar liya aur bike par baithkar railway station ke liye bhi nikal gaya.....hostel se nikalte waqt to yahi lag raha tha ki main kuch nahi bhoola hoon,lekin mujhe apni seat par baithkar apni galti ka ahsaas hone laga tha....
"brush.....wo bhi bhool gaya "
"sleeper....wo bhi bhool gaya "
"ATM card...BC wo bhi bhool gaya..."
jab mujhe dheere-dheere yaad aane laga ki main kya-kya bhool gaya hoon to maine sabse pahle baaki kaam chhodkar apna wallet check kiya, aur peechhe ki jeb me wallet hai ,ye dekhkar maine rahat ki saans li.....maine wallet nikala aur dekhne laga ki usme kitna maal hai,...
"kal raat to 3000 tha, ek hee raat me aisa kya kar diya maine...."
maine socha ki shayad 1000-500 ki note dusare pockets me padi hongi,isliye maine apne dusare pockets bhi check karke dekha,...paise to nahi mile..lekin mere jeans paint ke jeb me rakkhe hue,Pencil...eraser...cutter...ek pen,jisli syahi bahar nikal aayi thi...yahi sab the...gusse me maine saari chize nikal kar khidki se bahar feki aur intezaar karne laga train ke chalne ka...
.
jab ghar se door tha ,tab bhi padhayi ki fikar hoti thi aur ab ghar par hoon to ab bhi mujhe padhayi ki fikar hai...college me mood har waqt badalta rahta tha isliye ek pal me jo sochta tha wo dusare pal me light ki velocity se aar-paar ho jata tha, main study nahi kar raha hoon ye khayal mujhe tab bhi aaya tha,jab main college me tha...lekin waha ka mahol hee kuch aisa tha ki main kabhi serious nahi ho paya...lekin is waqt main ghar par tha, jaha ghar ke andar ek kadam rakhne se pahle ye puchha gaya ki exam kaisa gaya,Pandey ji ki beti ka sab paper hundred to hundred gaya hai...ghar par yadi koyi aata bhi to wo "kaise ho beta"kahne ki bajay ye puchhta ki "exam kaise gaye,..."
koyi -koyi to ye bhi puchhta ki kitne marks aa jayenge, main apne hee ghar me kisi muzrim ki tarah kaid ho gaya tha,jiski vajah sirf ek thi ki mere paper itne kharab gaye the ki top marna to pure universe ki lambayi mapne ke barabar tha, idhar to ye bhi confirm nahi tha ki main kis-kis subject me pass ho jaunga.....ghar wale mujhse bahut ummide jode hue the, aur isme unki zara si bhi galti nahi thi...electron ke size ke barabar bhi galti unki nahi thi....unki ye ummid maine hee bandhi thi..mere aaj tak ke education record ne hee unhe mujhse is tarah ummid rakhne ke liye prerit kiya tha aur jo sawal wo aaj puchh rahe the,wo sawal wo mujhse pahle bhi karte the...lekin fark sirf itna tha ki pahle main unke is tarah sawal puchhane ke pahle hee bolta tha ki "Papa, aaj ka paper pura ban gaya,..."ya phhir ye bolta ki"1 number ka chhut gaya hai...."
.
mere is tarah kahne par wo kahte ki "koyi baat nahi beta...1 number ka hee to chhuta hai..."
yahi ummid main aaj bhi kar raha tha ki main jab unhe sab sach batau to wo pahle wale andaz me hee bole ki"don't worry beta, ye to first semester hai ,baki ke saat semester baki hai..."
Lekin aisa kuch bhi nahi hua, na to maine unhe sachchayi batayi aur na hee unhone mujhse aisa kaha....jab tak ,jitne bhi din main ghar me raha main har pal ghut raha tha,..har pal,khate,peete ,sote ,jagte main yahi sochta raha ki main tab kya kahunga,jab result niklega...kya bahana marunga....ghar me to kuch bahana maar bhi nahi sakta tha kyunki ghar me in sab bahano ko achchhi tarah samajhne wala mera bada bhai tha...jo is waqt mere samne baitha hua tha....
"girl friend hai koyi..."
"uu..."
"are girl friend..."
"na..."
"cigarette piya..."
"pani tak nahi peeta main to bina filter kiye hue, cigarette to bahut door ki baat hai...."
"kal raat daru kitni pee thi..."
"ek bhi nahi "main turant bol pada....
"mujhe horseride mat sikha...teri aawaz sunkar hee samajh gaya tha..."
"no bhai, main to us waqt so kar utha tha...."
"kha us ladki ki kasam ,jo tujhe college me sabse achchhi lagti hai ,ki tune kal raat sharab nahi pee thi..."
Jaise hee Vipin bhaiya ne ye bola, mere jehan me Esha aayi , ab dikkat ye thi ki Esha ki jhoothi kasam khakar khud ko galat hote hue bhi sahi sabit karna ya phhir sab kuch sach bata kar khud ek naye bojh se door rakkhu...us waqt maine dusara rasta chuna, lekin kyun ? Ye main nahi janta....
"wo dosto ne jabarjasti pila di thi..."
"achchha...tune sach bola iska matlab yahi ki college me teri girl friend bhi hai...mana kiya tha na ye sab karne ke liye...."
Abhi tak main khud ko bahut shatir samajhta tha ,lekin is waqt meri saari hoshyari tel lene chali gayi thi, bhaiya ne baato me fansa kar sab kuch jaan liya tha....apne shabdo ke jaal me fansa kar Vipin bhaiya aur bhi kuch na jaan jaye ,isliye main pani peene ke bahane se waha se utha aur aisa utha ki wapas us taraf gaya hee nahi
________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-72
apne shabdo ke jaal me fansa kar Vipin bhaiya aur bhi kuch na jaan jaye,isliye main pani peene ke bahane se waha se utha aur aisa utha ki wapas us taraf gaya hee nahi
.
Waise to chhuttiya 7 din ki thi,lekin hum sabne plan banakar ye decide kiya tha ki 15 din tak college nahi jayenge...aur ye sahi bhi tha,kyunki yadi abhi college se bunk nahi marenge to kya baad me office se bunk marenge...lekin mujhe us waqt ghar me aisa mahol create hoga...iska mujhe andaza nahi tha, socha tha ki ghar me rahunga, badhiya 15 din tak khana khaunga aur baad me college ke liye ravana....lekin aisa kuch bhi nahi hua,kyunki ye mera college nahi,ye mera ghar tha,jaha main apne hisab se nahi chal sakta tha....ghar me raat ko 10 ya 11 baje tak sona padta tha,taki subah 6 baje tak neend khul jaye.....main raat ko 10 baje sone ki bahut koshish karta lekin safal nahi hota tha...main apne room ke bistar par pade-pade main college ki ladkiyo ke baare me der raat tak sochta rahta...kabhi-kabhi meri ye soch aadhe ghante tak chalti to kabhi kuch ghanto tak...aur ek din to gazab ho gaya jab main isi soch me itna kho gaya ki subah ke 3 baje tak main jagta hua karwate badalta raha....
.
mujhe apne ghar ki zindagi raas nahi aa rahi thi...isliye maine decide kiya ki main 7 din baad kuch bhi bahana maarkar yaha se nikal jaunga ,bhale hee mujhe without reservation hee kyun na jaana pade....aur apne isi plan ko kamyab karne ke liye maine pahla teer tab chalaya...jab sham ko sab ek sath hall me baithe the, is waqt hall me t.v. Chalu tha aur usme behad hee bakwas aur boring...serial chal raha tha...bakwas isliye kyunki wo bakwas tha aur boring isliye kyunki in serial walo ne ek achchhi khasi tanatan maal ko saree pahna kar rakkha hua tha,sabse pahle yakin bhaiya ko dilana tha,isliye maine Sabse pahle unhi se bola...
" bhaiya....kal mujhe wapas jana hai..."
"kaha..."
"Xuéyuàn..."
"ab hindi me bol..."
"chinese me Xuéyuàn ka matlab college hota hai...mujhe kal college jana hai..."
"tune to kaha tha ki 15 dino ke liye yaha aaya hai..."
"actually...bhaiya wo kya hai ki..maine bhi yahi socha tha ,lekin phhir wo main, mujhe khud maloom..ya mujhe..."
"ye teri answersheet nahi hai jo shabdo ko ghuma-ghuma kar bharega...ab jaldi bol.."
"form bharna hai..."maine jhat se jawab diya...aur ye idea mujhe samne chal rahe bakwas aur boring serial se hee sujha tha...jisme ek maal dusare maal ko ek paper pakda kar sign karwa rahi thi....
"form kaisa form.."
"second semester ka...mere ek dost ka phone aaya tha subah usi ne bataya ki kal se form milna chalu ho jayega..."
"to last date me bhar lena...usme kaun si badi baat hai..."
"are bhaiya aap samajh nahi rahe ho,...shuru-shuru me bheed-bhad bahut kam rahti hai, isliye jitna jaldi bhar diya jaye...utna hee sahi hai...."
Vipin bhaiya chup hokar kuch sochane lage aur phhir meri taraf dekhkar bole"to phhir kal form bharkar wapas ghar aa jana...simple..."
"thik hai,,,"apne plan ki bhajiya bante dekh main waha se utha aur andar aakar andar hee andar dahad marne laga....
"lekin bhaiya...kal aane me problem hai..."main wapas hall me gaya aur Vipin bhaiya ke side me baithkar bola"do-teen din ke liye ab main kya wapas aaunga...wahi rook jauna..."
"ek hafte me do-teen din hote hai kya..."
"nahi "
"to phhir aisa kyun bola ki do teen din ke liye kya aayega....kal seedhe se college jana aur seedhe se wapas aana..."
"dhat teri ki...."
Uske agle din thik waisa hee hua,main ghar se form bharne ke bahane nikla aur din bhar ghoom kar raat ko 9 baje,train ke time par railway station pahuch gaya.....
"ho gaya kaam..."mujhe pick up karne ke liye aaye Vipin bhaiya ne puchha...
"haan...ho gaya.."
"slip kaha hai..."
"slip ???" main kuch der tak soch me pad gaya ki bhaiya kis slip ke baare me baat kar rahe...
"slip be..."
"dhat teri ki...wo to main hostel me hee bhool aaya..."
"agli baar se dhyan rakhna..."ek kadak aawaz mere kano me gunji...
"ji bhaiya..."
.
Wo 15 din maine jaise-taise bitaye...un 15 dino me mujhe aisa lagne laga tha ki jaise wo 15 din 15 saal ke barabar ho...lekin ab main apne college wapas aa gaya tha, yaani ki second semester me...is semester me bahut kuch naya hone wala tha...kuch achchha tha to kuch behad bura....deepika mam ka ab koyi period class me nahi tha, ye mere liye ek buri khabar thi...kuch laundo ne kaha tha ki result is baar jaldi aayega ..ye bhi mere liye buri khabar thi....aur is waqt sabse buri khabar ye thi ki main is waqt hostel me apne hee room ke bahar kandhe par bag taange khada tha...kyunki Arun room se kahi farar tha...wo ghar se to aa gaya tha,lekin abhi kahi gaya hua tha....main pichhale 15 min. me 3 baar use call laga chuka tha aur har baar wo yahi jawab deta ki bas 5 min.
.
Ghar se sochkar aaya tha ki is semester me kuch bhi ulta seedha nahi karunga...na to laundiyabazi karunga aur na hee ladayi jhagda aur din me 3 cigarette se jyada nahi piung....ye semester mere liye ekdum naya tha,kyunki bahut si chize nayi hone wali thi jaise ki new subjects the...kuch naye teachers, naye lab...workshop etc. etc.
Lekin sabse jyada nayapan to us din lagne wala tha, jisdin humara result aata..
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Chapter-19:The Second Session
Update-73
ye semester mere liye ekdum naya tha,kyunki bahut si chize nayi hone wali thi jaise ki new subjects the...kuch naye teachers, naye lab...workshop etc. etc.
Lekin sabse jyada nayapan to us din lagne wala tha, jisdin humara result aata..
.
second semester shuru hone ke ek din pahle main raat bhar yahi sochata raha ki kaise main bekar ki chizo ko avoid karu, taki main thik waisi hee study kar saku,jaise pichhale kayi salo se karta aaya tha...maine bahut socha, raat bhar apna sar isi soch me khapa diya tab mujhe samajh aaya ki iski jad to mere room se hee shuru hoti hai aur yadi mujhe sudharna hai to iske do hee raste hai, ya to khud main room chhod du ya phhir Arun ko dusare room me shift hone ke liye kahu....solution ekdum simple tha...main jaan chuka tha ki mujhe kya karna chahiye, lekin maine aisa nahi kiya...ya phhir ye kahe ki meri himmat hee nahi hui ki Arun ko main dusare room me jane ke liye kahu....maine khud ne bhi room nahi badla, jiska saaf aur suddh matlab yahi tha ki main khud bhi usi room me Arun ke sath rahna chahta tha aur apni zindagi ki jade khodkar bahar kar dena chahta tha.....
.
neend subah ke 5 baje lagi aur jaisa ki aksar hota tha meri neend Arun ke jagane se khuli...
"abey ,first class dammo rani ki hai, marwayega kya..."
"time "
"sirf 10 minutes..."
"kya...sirf 10 minutes..."main turant uthkar baith gaya aur hath muh dhokar ,balo me thoda paani dala aur college jane ke liye taiyar ho gaya....
waise to is semester me saare subject hee new the,lekin kuch teachers wahi the jinhone first semester me humara sar khaya tha...dammo rani is semester me bhi hume baat-baat par class se bahar bhejane ke liye taiyar thi ,kurre sir aur unka"aap physics ke khilaf nahi ja sakte"dialogue bhi humare sar par hathoda marne ke liye humare sath tha....sath nahi thi to wo thi deepika mam, deepika mam ke yun chale jaane se mujhe dukh to nahi hua lekin thoda bura zaroor laga tha,kyunki maine achchha khasa waqt unki lab me bitaya tha aur wo waqt aisa tha ki jise main kabhi bhool nahi sakta tha, main hee kya ,meri jagah yadi koyi aur bhi hota to wo deepika mam ko nahi bhool pata...kyunki uski jaise ekdum bindas rapchik maal ,jo recess me aapka lund chuse use bhoolna mushkil hota hai aur us pal ko bhi jab ye sab hua
.
bhu abhi tak ghar se nahi aaya tha aur aaj main aur Arun hee college pahuche, class wahi thi aur teacher bhi jaani pahchani thi....
"ye damyanti phhir,bahar karegi..."class se jab hum dono thodi door par the, tab maine kaha...kyunki is waqt corridor par sannata faila hua tha aur class bhi bilkul shant thi,jiska ek hee matlab tha ki dammo rani class ke andar mauzood hai....
waise to mujhe 100 % sure tha ki dammo hum dono ko class me ghusne nahi degi,lekin phhir bhi try karne me kya jata hai,aisa sochkar main bola"May i come in...."
Usne hume dekha aur kuch der baad boli"come in, yadi thoda late aur hue hote to class me enter hone nahi deti..."
"thank you mam..."bolkar maine aur Arun ne apni seat pakad li...
ab kyunki mujhe pahle se hee maloom tha ki deepika mam se milna nahi ho payega to main thoda udas sa tha, kyunki.....yadi seedhe lafzo me kaha jaye to main use chodna chahta tha...uske muh me, chut me apna lawda pel dena chahta tha...aur ab jabki wo humare sath nahi hai to ye kaam karna lagbhag namumkin tha...kyunki jo main soch raha hu,uske hisab se usne koyi dusara Arman dhoondh liya hoga..jo recess me uske sath lab me waqt bitaye, lekin main itna to pakke taur par kah sakta hoon ki use meri yaad to zaroor aayegi kyunki har ladka....Arman nahi ho sakta
aur na hee Arman ki tarah brilliant aur handsome
Khair jo bhi tha par sach yahi tha ki ab mujhe deepika ko puri tarah se bhool kar aage badhna hoga, dusara khayal ye aaya ki Esha aur Gautam ki prem kahani ko kaise toda jaye, kyunki chhuttiyo ke dino me to un dono ne bahut samay sath bitaya hoga.....
"hey...you..."
"yes sir..."khade hote hue maine kaha aur samne dekha , humari dammo rani se kurre sir ne position kab exchange kar li ,iska mujhe pata tak nahi chala aur is waqt mere samne kurre sir the...
"kaha dekh rahe ho..."
"kahi nahi...."
"main tum log ko padhane ke liye kal raat bhar 3-3 books se padhkar aaya hoon aur tum samne dekhne ki bajay neeche sar jhukaye baithe ho...lakwa maar gaya hai kya..."
"wo sir,main apna pen nikal raha tha bag se..."
"par bag to tumhara desk ke upar hai, neeche kaha se pen nikal rahe the..."
"bag se nikalte waqt neeche gir gaya tha, to utha raha tha...."
"bahar jao, main nahi chahta ki kisi ek ki vajah se puri class disturb ho..."
"kya sir..."
"get out...."kurre ne apni laal hoti aankho se mujhe ghoorte hue kaha...
"sale kallu, teri maa ki chut...bosedk,MC,BC"silent mode me apne honth hilate hue main class se bahar aaya....
________________________
 
Top