• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance 8TH SEMESTER ! (Completed)

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Mujhe ek ladki ki taalash bachpan se thi , aisi ladki jisko dekhkar meri aankhe uski aankho se hoti hui sirf aankho par hee tiki rahe , deepika aur Vibha ko jab bhi dekhta to meri nazar unki aankho se shuru hee nahi hoti thi wo to seedhe neeche se shuru hokar aakhiri me aankho par pahuchti thi lekin Esha ke case me aisa nahi tha , maine abhi tak uske sirf bhuri aankho aur khubsurat chehre me hee dhang se nigah dali thi....main seedha sadha middle class family se belong karta tha, isliye main ek seedhi-sadhi ladki chahta tha jo mujhse pyar kare aur jisse main pyar karu....playboy bankar har hafte girlfriend change karna mujhe pasand nahi tha lekin aisi ladkiya mujhe bahut mili jo sirf dusaro ko dikhane ke liye ,dusaro ko jalane ke liye meri girlfriend banne ko taiyar thi, lekin un sabko maine darkinar karte hue hamesha us ek ladki ki taalash me raha jo seedhe left side me apna asar dikhaye,...Esha ki bhooli surat, uska baat-baat par jhagadna aur har dam naak par gussa lekar chalna mujhe bahut pasand tha, pasand nahi tha to sirf ek chiz ki wo Gautam ki girlfriend thi....dimag ne hazar baar mujhse kaha ki Esha aur tera milna 99.99 % namumkin hai ,lekin phhir dil ke kisi kone se aawaz aayi ki 00.01% chance to hai, isme 1000 ka multiply karke Esha aur khud ki story ke chances 100 % kar le
sala kameena dil wo waqt ye sab sochane ka nahi tha isliye maine apne dimag aur dil ke calculation ko pack karke padhne baitha kyunki kal BME ka test tha....
"tujhe kuch samajh aa raha hai, idhar to sab sar ke upar se ja raha hai...."Arun apna baal nochkar bola...
"mujhe Ranchhod das chhanchhad samajh rakkha hai kya,jo bina padhe top maar jaunga, mujhe bhi kuch samajh nahi aa raha...."
"ye BC ek hee derivation ka dus dus alag tareeka dekar mar gaye, padhna hume padh raha hai..."
"ye scientist yadi aaj zinda hote to goli maar deta in sabko "book par dobara nazar gadate hue main bola"ye dekh,itna bada formula...ye to sala pure 4 saal me bhi yaad na ho..."
Wo raat humne bookske writer aur apna alag-alag priciple dekar mar gaye mahan logo ko galiya dekar bitayi, pahle ki aadat thi 4 baje subah uthne ki , us din bhi aankh subah 4 baje khuli,jabki main 12 baje soya tha...aankho me jalan aur sar bhari lag raha tha, man kar raha tha ki phhir se light band karu aur chadar oodh kar phhir se so jaun, lekin aaj hone wali exam ki tension se sar bhari hote hue bhi sar ko halka karna pada main 5-10 min. tak thande pani ki balti me apna sar duboye rakkha aur jab wapas apne room ki taraf aane laga to mujhe wahi shararat sujhi jo raat ko aksar main kiya karta tha....maine jor se ek room ka darwaza khatkhataya....
"kaun hai be..."ek mari hui aawaz me andar se kisi ne mujhse mera parichay puchha....
"Police...darwaza kholo jaldi"apni aawaz kadak karte hue maine kaha"hostel me khoon hua hai aur tu so raha hai bose dk ,nikal bahar"
Itna bolkar main waha se turant apne room ki taraf bhaga aur jab andar ghus gaya to mujhe us room me rahne walo ki aawaz sunayi di,...
"ye kuch ladko ne apdravya macha rakha hai kuch dino se...shikayat karni padegi inki...."
hanste hue maine BME ki book pakdi aur khud ko charo taraf se chadar me lapetkar book khol kar baith gaya....ledekar kuch to palle pada aur jaise-jaise main padhte jata interest khud ba khud badhta ja raha tha, beech beech me kabhi Esha ka khayal aata to kabhi Deepika mam ka, lekin usi samay pata nahi kaisi manhoos ghadi thi ki mujhe cigartte peene ki talab hui aur main jab cigarette ka bahut jyada talabdar ho gaya to cigarette ki packet uthaya...lekin wo packet bilkul ,khali tha...
"oye uth..."Arun ko hilate hue maine kaha"uth ja warna,....warna"
"kya haiii...."jamayi lekar wo phhir so gaya...
"cigarette ki packet kaha hai..."
"lawda pee le..."
"lund me machis maar dunga ,jaldi bata kaha hai..."
Aur tab usne apne jeb se cigarette ka dibba nikalkar mujhe diya, Arun se cigarette lekar main apne bistar par aa dhamka aur cigarette peete-peete Isothermal process ke liye workdone nikalne laga....."
.
"phhat rahi hai yar...sala kuch nahi padha..."
"ab main kya bolu phhat to meri bhi rahi hai,..."
"tu to subah uthkar kuch dekh bhi liya hai, main to BME me Virgin hu.."
Is waqt main aur Arun exam hall ke samne khade batiya rahe the, side me bhu bhi khada tha lekin wo humse baat na karke apni copy pakde hue tha, kahne ko to ye class test tha lekin is baar class test ko bhi hod ke kahne par main exam ki tarah liya ja raha tha...
Paper easy tha, phhir bhi thodi bahut mistake har question me hui, examination hall se main bahar nikla to corridor me deepika mam aati hui dikhayi di, halke pink colour ka salwar unpar bahut jach raha tha, unhe meri nazar ne neeche se dekhna shuru kiya aur phhir aankho me jakar ruki....
"Good Morning mam..."
"Morning...abhi to afternoon hai..."
"sorry, wo test ka asar abhi tak hai...Good afternoon..."
"kaisa gaya paper..."wo wahi mere pass khadi ho gayi, usne aaj bhi solid perfume mara hua tha jisse mera tan aur man dono vibration kar rahe the......
"thik gaya...."ek lambi saans kheench kar maine kaha , aur deepika mam ke perfume ki khushboo mere pure rom-rom me sama gayi,...main waha khada yahi soch raha tha ki wo mujhe phhir se kahe ki chalo computer lab me , lekin unhone aisa kuch bhi nahi kaha wo boli...
"i have to go...."
"kidhar ,computer lab me "
"awww...."
Main uski is awww par ek smile di jise dekhkar wo boli"mujhe abhi kaam hai....bye"
"kaha chal di...kaha chal di...pyar ki pungi baza ke..."
deepika mam ke jane ke baad main khud se bola aur us raste par apne kadam badha diye jo college se bahar jata tha...
"news paper padh ke aata hoon..."Library ke samne college se bahar jate hue kadam ruke, mere kadam rukne ki ek vajah ye bhi thi ki maine Esha ko library ke andar ghuste hue dekh liya tha aur wo bilkul akeli thi to socha kyun na usi se ladkar thoda mood fresh kar liya jaye.....
Maine library ke andar sahej kar rakkhe hue ek english news paper ko uthaya aur thik usi jagah par jakar baitha jaha Esha baithi hui thi...uske hath me hindi news paper tha aur wo news paper padhne me itni magan thi ki usne mujhe dekha tak nahi.....ab main waha aaya to Esha se ladne ke liye tha isliye kisi na kisi topic par baatchit to karni hee thi....
"pata nahi log hindi news paper kyun padhte hai...masaledar news to english news paper me hee rahti hai..."news paper ke panne palatate hue main dheere se bola aur Esha ki nazar mujh par padi, usne ek nazar mujhe dekha aur phhir news paper padhne me busy ho gayi.....
"isne to ladayi shuru hee nahi ki ,kuch aur sochna padega..."
English news paper ki panno ki aad me maine Esha ko dekha ,usne skirt aur jeans pahan rakkhi thi aur tabhi mere 1400 gm ke dimag me usse ladne ka ek aur idea aaya main is baar aawaz thodi tez karke bola"aaj kal ladkiyo ko dekho, jeans pahan kar ghoomte rahti hai...i hate that type girls, aisi ladkiya yadi mere pass, meri hee table par baith jaye to ganga jal se khud ko pavitra karna padega...."
Abki baar wo bhadki ,uski bhuri si aankh me gussa utar aaya aur wo mujhse news paper chhen kar boli..."tum mujhe kah rahe ho right?"
"tum bhi yaha baithi ho, kamal hai maine to tumhe dekha nahi.."English word par jyada jor dete hue maine kaha "wo kya hai ki main ENGLISH news paper padhne me itna magan tha ki tumhe dekha nahi, how are you..."
"fine..."wo chilla uthi aur tabhi library me rahne walo ne Esha ko chup rahne ka ishara kiya...
"itna chillane ki kya jaroorat hai ,gaanv se aayi ho kya "
"mujhe dobara mat dikhna warna..."
"warna..."aaram se waha baithkar maine kaha...
"warna....warna..."idhar udhar dekhte hue wo sochane lagi ki wo mujhe kya dhamki de"warna main tumhara khoon kar dungi..."
"oops ! "
"ab jao yaha se..."wo ek baar phhir chillayi aur library walo ne Esha ko waha se bahar jane ke liye kaha...wo tunak kar waha se uthi aur bahar chali gayi...main waha baitha-baitha kya karta main bhi usi ke peechhe chal pada...
"apni girl friend ko bolo ki ye library hai yaha shanti se rahe..."jab main library se nikal raha tha to book issue karne wale ne mujhse kaha jise sunkar main khush hota hua waha se aage badha....
"kya sach me tum mera khoon kar dogi..."
"haan, yadi dobara mujhe dikhe to ek khanzar seene ke aar-paar kar dungi...."
"chal chudail, tere me itni himmat kaha..."
"whattttttttt.......chudail"
"to isme kya bura kah diya..."humari ladayi achchhi-khasi chal rahi thi ki Arun apna sada sa muh banakar peechhe se tapak pada aur bola"chal be Arman cigarette peete hai, mood bahut kharab hai...."
"ye chudail, cigarette piyegi..."
"bhad me jao...."
Uske baad main aur Arun waha se nikal gaye bhad me jane ke liye
_______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Chapter-12:The Turning Point
Update-45
Arun ka paper bahut kharab gaya tha ,ye baat wo mujhe lagbhag hazaro baar bata chuka tha...har 5 min. me wo bolta ki "sala bahut hard paper aaya tha...lagta hai ek question bhi sahi nahi hoga" wo jab se paper dekar aaya tha tab se ladkiyo wali harkat kar raha tha, wo book kholkar answer match karta aur jab answer sahi nahi nikalta to khud solve karne baith jata...main bistar par pade-pade jab uski in harkato se bore ho gaya to maine use kaha ki ek paper bigad jane par itna pareshan hai, tu kya khak desh ki sewa karega.....
"munda mat bamka aur jaake ek packet cigarette lekar aa...."
ab maine bhi cigarette peena shuru kar diya tha ,isliye cigarette kharidane ka din humne aapas me baant liya tha ek din wo cigarette ka dibba lata to ek din main....aaj meri baari thi.
"chal sath me nahi chalega kya...."
"mood kharab hai ,tu ja..."
"Arman..."tabhi bahar se kisi ne aawaz di, aawaz jani pahchani thi , maine room ka darwaza khola ,samne Sidar khada tha....
"to kya socha..."andar aate hee Sidar mujhse bola...
"kis baare me..."
"NSUI ka election ladega ya nahi..."
"MTL bhai,aapko to pahle hee bata diya ki...."
"tera naam maine likhwa diya hai..."mujhe beech me hee rok kar Sidar ne kaha"main yaha teri ray janne nahi tujhe batane aaya hu..."
Sidar ke baat karne ke is lahze se main sakpaka gaya, aur uski taraf muh band kiye dekhta raha aur tab tak dekhta raha jab tak Sidar ne khud mujhe aawaz nahi di...
"sun, is baar Varun ko kisi bhi halat me president banne nahi dena hai, iske liye mere candidates ka jeetna bahut jaroori hai....second year me Gautam ke karan meri pakad dheeli hai aur mujhe pura yakin hai ki second year se hum harne wale hai...isliye main chahta hoon ki first year se hum kisi bhi haal me jeete aur first year ke ladko me se sabse jyada tu highlight hua hai..."
"lekin MTL bhai, wo meri padhayi ka...."
Is baar bhi Sidar ne mujhe beech me roka"na to mera aaj tak kabhi back laga aur na hee kabhi kam pointer bane, jabki main apna aadha samay sports ko deta hu, upar se ladayi jhagde wale kand mere liye additionl work hote hai..."
"lekin...."
"lekin vekin chhod aur ye form bhar..."bistar par ek form fekte hue unhone kaha"kal subah mere hostel me pahucha dena...."
"thik hai bhai "
Sidar ke jaane ke baad main Cigarette lene ke liye dukan ki taraf badha, kal phhir test tha aur taiyari zero thi lekin phhir bhi is waqt dimag me padhayi karne ka khayal door-door tak nahi tha, paidal chalte hue pure raste bhar mere dimag me kayi khayalat ubhar rahe the, kewal padhayi aur kal ke test ko chhodkar....Esha, Vibha ,deepika ,Sidar , Arun aur Varun in sabne mere dimag me kabza kar liya tha...cigarette ke kash lagata hua main kabhi Esha se aaj hui apni jhadap ke baare me soch ke muskurata to kabhi deepika mam ka halke gulabi rang ke salwar me kaid jism dikhta,
"ye sali Vibha us din ke baad college me nahi dikhi..."hostel ki taraf aate hue maine khud se kaha aur ye sach bhi tha kyunki us din ke gang-bang ke baad Vibha ko maine college me nahi dekha tha, Vibha jaisi ladki jo ek din me college ke dus round marti ho wo college me ek hafte se na dekhe to thoda jhatka to lagta hee hai, wo mujhe ek hafte se nahi dikhi thi iska ek hee matlab ho sakta hai ki wo ek hafte se college hee nahi aayi....lekin kyun, maine to naari jaat ka samman karte hue use sahi-salamat bheja tha,
"periods chal rahe honge..."maine andaza lagaya aur cigarette ke kash marte hue phhir hostel ki taraf chal pada, lekin dimag me ab bhi Vibha ne kabza kar rakkha tha, kyunki us din ke gang-bang ke baad main bahut utsuk tha ki uski aur meri mulakat kaisi hoti hai ,uska kya reaction hota hai...wo mujhe dekhkar hasegi ya phhir gussa karegi ya phhir kuch aur hee karegi....
"bhu ko shayad kuch pata ho..."aisa sochte hue main hostel me dakhil hua aur seedhe bhu ke room ki taraf chal pada...
"aur bhu paper kaise banaya..."bhu ke room me ghuste hee maine usse puchha....
"ek question chhut gaya..."
"la pani pila, bahut dhoop hai bahar..."
"main abhi padhayi karunga tu ja yaha se, ek hafte baad aana jab test khatam ho jayenge..."ek saans me hee bhu ne kaha...
"abey kutte,maine tujhe disturb karne nahi aaya hu....bas kuch janna hai "
"kya janna hai..."
"Vibha ko janta hoga..."seedhe point par aate hue maine kaha"wo kuch dino se dikhi nahi college me ?"
"Vibha..."apne mathe par shikan late hue bhu ne apne bheje me google ki tarah Vibha ka naam search karne laga aur jald hee wo bola"wo college me dikhegi kaise, wo to ek hafte se college hee nahi aayi..."
"tujhe kaise maloom,"
"kal raat hee fb par usse baat hui thi meri..."
"gazab...reason maloom hai..."
"usne kuch nahi bataya...."
"chal thik hai tu padhayi kar ,bye.."bhu ke room se bahar jate hue na jaane kya man me aaya ki main peechhe muda aur bhu se bola"Esha ki koyi new news...."
Pahle to bhu hichkichaya aur mujhe apni aankho se ye batane laga ki uske boyfriend ne mujhe sabke samne thappad mare the uska naam mat le aur phhir maine bhi use aankho ke ishare se bataya ki maine bhi to Gautam ko sabke samne thappad mara tha , hisab barabar.....
"Esha..."dimag me Esha ka naam search karte hue bhu bola"uske boyfriend Gautam ke baap ko kisi ne chaku pela hai aur apne baap ke ilaaj ke silsile me wo kal out of city gaya hai lagbhag ek hafte ke liye...kal senior ke hostel gaya tha to wahi kuch logo ne bataya"
"thank you bhu "uchhal kar maine use gale laga liya aur phhir uske bistar par use patak kar main apne khayalo me gum ho gaya.....
ab kuch din tak main aur Esha ek sath ek hee college me
, aur aaj ek baar phhir se mujhe intezaar tha kal ki subah ka...kal ke test jaldi se khatam hone ka....plan simple tha kal jab test khatam hoga to main pura college chhan marunga aur jaha bhi Esha milegi wahi usse ladayi karke apna mood fresh karunga , wo chillayegi cheekhegi mujhe jaan se marne ki dhamki degi...aur main use chudail kahunga....Arman phhir machal uthe ,dil phhir khil utha....kismat phhir jaag uthi aur main apne room me ghuste hue taav se bola"ek question chhod dunga kal exam me aur jaldi se jaldi Esha ko dhoondh nikalunga..."
_____________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Us din na to maine dhang se agle din hone wale exam ki taiyari ki aur na hee dhang se soya...jab bhi aankh lagti,palke bhari hone lagti tabhi Esha ki bhuri aankho ko main mahsoos karta ,uski surat neend me bhi kisi saye ki tarah mujhse lipti rahti, mujhe aisa lagta jaise ki wo mere pass wahi mere hee bistar par mere upar leti ho aur left side me dhadak rahe dil ko muskurate hue sahla rahi ho aur phhir jab main use apne dono hatho me sametane ke liye apne hath aage karta to wo gayab ho jati, aur meri aankh khul jati....Esha ko waha na paakar mujhe thoda sad bhi feel hota aur khudpar hansi bhi aati....kisi ke khayalo me khoye rahna , sote jagte bas usi ke baare me sochana ye sab maine sirf hindi filmo me hote hue dekha tha...lekin us raat un sab lamho ko maine khud mahsoos kiya, main jab bhi apni aankhe band karta aur halki se neend lagti tabhi na jaane kaha se Esha aa jati aur hum dono ek dusare se ladte jhagadte....maine to use chidhane ke liye uska nick name tak socha liya tha "Chudail..." haqiqat ki tarah main sapne me bhi use chudail kahta aur haqiqat ki tarah sapne me bhi wo mujhe jaan se marne ki dhamki deti...use paane ke liye kaleja tadap raha tha , use chhune ke liye main betaab hua ja raha tha....us waqt mere liye sari duniya ek taraf aur Esha ek taraf thi, "kal ka exam pakka kharab jane wala hai..."aadhi raat ko main lagatar neend ke tootane se pareshan hokar baith gaya aur aankhe malte hue andhere me hee cigarette sulgayi....
Meri aankho me uski surat ka kuch aisa rang chadha tha ki mujhe dar lagne laga tha khud se ki kahi main wo rang nikalte nikalte andha na ho jaun, main us waqt ajeeb harkate kar raha tha...cigarette ke kash lete hue main kabhi Esha ko pane ke liye ekdum bechain ho jata to kabhi uske baare me sochkar dil khil uthta....mobile me time dekha raat ke 2 baj rahe the, neend to aane se rahi isliye maine bahar tahalne ka faisala kiya aur room se bahar aa gaya, Arun chain ki neend le raha tha isliye use uthakar bakchodi karne ka man nahi kiya...Suna tha ki zindagi me kabhi-kabhi koyi chiz hume aisi mil jati hai jo zindagi se bhi jyada pyari lagne lagi, zindagi se bhi jyada anmol lage aur aaj mujhe wo chiz mil gayi thi ,aaj wo zindagi se bhi pyare aur anmol chiz ek ladki ke roop me mujhe mili gayi thi ,jo seedh left side me asar karti thi.....mere dimag ka calculation ab bhi mujhe is baat ki hidayat de raha tha ki main uske baare me na sochu, mera dimag ki calculation ye bhi kah rahi thi ki Esha kabhi bhi mujhse dil nahi lagayegi, us raat maine exam me aane wale kisi most important question ki tarah Zindagi ke us most important sach ko bhi ignore kiya, us most important sach ko maine kayi bahane banate hue taal diya is aas me ki kisi na kisi bahane se Esha is bahane ko sach kar degi.....
us raat kafi der tak idhar udhar tahalne ke baat main wapas apne bistar par ja gira aur subah ke 5 baje jakar meri aankh lagi jo seedhe test ke aadhe ghante pahale khuli, wo bhi Arun ke uthane ke karan...
"kya hai be, aaj test dene nahi jana kya..."Arun ne mujhse puchha, wo bilkul taiyar tha aur ab shayad ek baar revision marne ke jugad me tha.....
"time...."aankho ko malte hue main bola"time kya hua hai"
"jyada nahi subah ke 10 baj rahe hai, aadhe ghante me exam shuru hone wala hai....yadi neend puri na hui ho to 5-10 min. Ki ek chhoti si neend aur le le... "
"5 min. baad utha dena..."bolkar maine phhir chadar taan li....
.
us din ke exam me mujhe sirf itna maloom tha ki test kis subject ka hai, date aur day bhi maine aage wale se puchh kar bhara tha , sala mujh jaise brilliant ladke se paper ka ek question nahi ban raha tha , dil kiya ki khali copy exam invigilator ke muh par de maru, lekin phhir result me ek bade se zero ka khayal aaya to har question ke answer me kuch kuch likhkar bahar nikla....jis hisab se maine aaj ka test diya tha uske anusar to mujhe bahut dukhi hona chahiye tha aur Arun ko gali dekar apni bhadas nikalni chahiye thi lekin na to main dukhi tha aur na hee mera gali dene ka man tha, main khushi khusi invigilator ko copy submit karke bahar aaya,...pahale main library me ghusa lekin aaj waha Esha nahi thi, uske baad maine upar ,neeche sabhi corridor me bhi dhoondha lekin Esha phhir bhi na dikhi....tab jakar mujhe dhyan me aaya ki test to uska bhi hai , abhi examination room me hee hogi to kyun na jaha uski car khadi rahti hai waha se thodi door khade rahkar intezaar kiya jaye.....lagbhag aadhe ghante main college parking ke pass khada raha lekin waha parking me na to uski car thi aur na hee Esha...lekin main phhir bhi waha khada raha kyunki mujhe yakin tha ki koyi bhi itni jaldi exam hall se niklega....lagbhag aadhe ghante tak main waha khade hokar makkhiya marta raha tab jakar Esha dikhayi di, wo apne kuch dosto ke sath hasti hui college ke gate se bahar aa rahi thi aur turn maarkar apne dosto ke sath canteen ki taraf chal di......
"ek number ki bhookkad hai ye to , main itni der se uske intezaar me yaha khada hu aur wo Canteen ki taraf chal di...."
main bhi Canteen ki taraf chal pada lekin Canteen me ghusne se pahale maine Sidar ko call kiya aur bola ki main Canteen me ja raha hu, nazar marte rahna......
Main Canteen me jaha Esha baithi thi usi ke pass wali table par baitha...kuch der tak to uske dost wahi rahe lekin phhir sab apne -apne ghar ko nikal gaye...Esha ko uske kayi dosto ne kaha ki wo unke sath chale wo unhe ghar drop kar denge...lekin Esha ne har kisi ko taal diya ,wo boli ki uske dad ne driver se car bhejwa di hai...wo jald hee yaha pahuch jayega.....
"do Pepsi lana "maine order diya aur do pepsi ki botal lekar Jaha Esha baithi thi waha jakar main baith gaya....
"tum...."
"Kahiye ,kya sewa kar sakta hoon..."
"ye seat book hai ,tum jao yaha se..."
"aur nahi gaya to..."
"to yaad hai na, wo khanzar aur tumhara seena..."
"chal chudail, tere me itni himmat kaha...."
"is canteen ka owner kaun hai..."Esha ne tej aawaz me kaha, jise sunkar turant hee waha kaam karne wala ek aadmi pahuch gaya....jise dekhkar Esha boli"ise yaha se le jao, ye mujhe pareshan kar raha hai..."
Canteen wala kuch bolta usse pahale hee maine hath dikhakar waha se jaane ki dhamki di, Kabhi Esha use aankh dikhati to kabhi main....jisse bechara tang aakar bola
"aap dono khud sambhal lo, mujhe bahut kaam hai..."
Canteen me kaam karne wale us shaks ke jaane ke baad Esha kuch der tak chup kuch khati rahi aur phhir jab uska khana peena khatam hua to wo apna hath jhadkar meri taraf jhuki aur dheere se boli....
"yaha Gautam ke kayi saare dost hai , Gautam aakar lafda karega..."
"tum uski fikar mat karo..."main bhi dheere se bola...
"to jao yaha se..."wo phhir chillakar boli...jisse sabki nazar hum dono par aa tiki...
"ye tu gaanv wali harkate mat kiya kar, warna tujhe apne aas-pass bhi nahi rahne dunga..."
"main tumhare pass ghoomti hu kya, tum hee mere peechhe pade ho...."
"Iiiiiiii....."main ek baar phhir I word se aage nahi badh paya, aur uski taraf pepsi ka ek botal sarkate hue bola"lo piyo aur mera bhi pay kar dena...."
"kya...."
"Pay matlab in dono pepsi ka bhi paisa de dena...yar tu pakka gaanv se aayi hai"
"ab mujhe gussa aa raha hai, Arman, don't call me gaanv wali...tumhe shayad maloom nahi ki main kaun hoon...."
"aur kya tumhe maloom hai ki tum is samay NSUI ke hone wale president se baat kar rahi hoon..."
Tabhi Esha ka mobile baj utha usne call recieve ki aur phhir gusse se mobile off kar diya....
"kya hua..."
"driver ka call tha, wo bol raha hai ki car beech raste me kharab ho gayi hai..."
"waiter , do pepsi aur lana " khush hote hue main Esha se bola"in dono ka bill bhi bhar dena..."
Usne mujhe phhir gusse se dekha aur apna mobile on karke koyi game khelni lagi, kuch der tak to main bhi shant baitha raha lekin jab us chudail ki bahut der tak aawaz nahi suni to main uski samne wali chair se uthkar uski pass wali chair par baith gaya aur maine jaise hee uske mobile screen par nazar dali "You lose" likhkar aaya....
"tum hans kyun rahe ho, aur mujhse door raho..."wo apni chair door khiskate hue boli...
"main kaha hans raha hu, ye to dukh ke hansi hai..."maine bhi apna chair uske karib khiskaya....
"ek to car beech raste me kharab ho gayi ,upar se ye mefa dimag kharab kar raha hai..."wo badbadayi...
"kaho to main ghar chhod du..."
"aur wo kaise..."
"jadu se...."
"koyi jaroorat nahi hai, kyunki mere dad ne dusari car bhej di hai...jo kuch der me hee yaha pahuch jayegi...."
_______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Hum sabhi apne khayalat khud bunte hai, apne Arman khud banate hai ,to phhir unke adhure rah jane par galti bhi humari hee hoti hai, abhi ka to pata nahi lekin us waqt mera aisa manna tha ki ladkiya filmo ke posters utarne se pahle boyfriend badal leti hai aur main isi priciple ko apply karke apna love- shav ka experiment accurate answer ke sath lana chahta tha....main upar diye gaye principle se ye sochane laga tha ki Esha bhi sabhi ladkiyo ki tarah bahut jald hee Gautam ko chhodkar meri girlfriend banegi aur phhir hum dono kisi theatre me baithkar ek hee pepsi me straw pipe daalkar pepsi piyenge......
exams jaise jane the wo waise ja rahe the matlab ki ekdum kharab...meri zindagi ka ye sabse kharab test chal rahe the, maine NSUI ka form khushi khushi bhar diya tha aur kuch hee dino baad main Sidar ki taraf se candidate ka election ladne wala tha aur aaj aakhiri test hai , main aaj khush bhi hoon aur thoda bechain bhi hu, khush isliye hoon kyunki aaj ke baad exams over ! Aur main kal se ,kal se nahi balki aaj dopahar ke 12 baje se aazad ho jaunga , bechain isliye tha kyunki Gautam kal se college aane wala tha aur mere pass sirf aaj ka hee waqt tha Esha se wo sab kuch kahne ka jo main uske liye mahsoos karta tha...meri zuban se "i" ke aalawa aage kuch kyun nahi nikalta main nahi janta lekin maine Esha ko i love kahne ka ek alag hee tareeka nikal liya tha, jo kisi bhi filmo se inspired nahi tha....
"Hi, Esha..."Aaj maine Esha ko phhir se college ke bahar dhara,
wo shayad kal ki ghatna se mujhse thoda kafa hogi, kyunki kal canteen me jab main use pareshan kar raha tha to usne apne samne rakkhi pani ki botal puri ki puri mere handsome face par daal di thi aur phhir main gussa hokar waha se chala gaya tha.....
"wo phhir aa gaya..."usne apne kisi kareebi dost se kaha....
"chal chalti kya..."
"go to hell..."
"wo to main jaunga hee, par abhi mera plan us building ki taraf jane ka hai ,jaha kal main pani-pani ho gaya tha...."mera ishara canteen ki taraf tha...
Esha ke jo dost waha khade the unhe shayad bus pakadni thi ,wo waha se Esha ko bye bye bolkar chale gaye aur pichhale kuch dino ki tarah main aur Esha aaj phhir akele the....
"chal chudail, canteen se aate hai..."
"don't call me........."usne mujhe gusse se dhakka diya, aur Canteen ki taraf chal di...
"Esha kuch kahna tha tumse...."
Wo kuch nahi boli aur seedhe canteen ki taraf chal padi, usi samay maine apne jeb se kagaz nikala aur jo likha tha wo padhne laga....
"main ek shart par yaha se abhi chala jaunga..."samne wali chair par baith kar maine kaha...
"aur wo shart kya hai..."
"main jo tumse bolunga, tum wahi ekdum same to same mujhe bolna..."
"aur yadi maine aisa kiya to..."
"to canteen ki khidki se kudkar main chala jaunga, shuru kare...."kagaz me jo main likh ke laya tha use yaad karte hue kuch der me bola"je t'aime..."
"haaiiin...ye kya hai..."
"french bhasha me iska matlab , i'm sorry hota hai...."
"lekin main tumhe i'm sorry kyun bolu, galti to tumhari hai tum mujhe sorry bolo, us din form bharte samay bhi tumne mujhe sorry nahi bola aur kuch dino se har din tum mujhe pareshan kar rahe ho, uska bhi sorry nahi bola...aur us din..."
Apna sar peet kar maine Esha ko beech me roka"yadi tum chahti ho ki main yaha se jaun to wo sab repeat karo,jo main tumse kahu...warna main pure char saal tumhari jaan khaunga...."
"fine, ek baar phhir se bolo..."mujhse chhutkara pane ke liye usne meri baat maan li...
" je t'aime..."
"je tame.."
"t'aime..."
"tame..."usne phhir galat kaha, to maine kagaz ka tukda uske hath me thamaya aur usi se dekhkar bolne ko kaha...
"je t'aime.."abki baar wo sahi boli...
"good, ab bolo tu iubesc..."
"iska kya matlab hua..."
"Romanian me iska matlab hota hai ki main tumse kabhi baat nahi karunga...."
"ok, Te iubesc...."kagaz ko dekhkar wo boli"kya sach me tum ab mujhse kabhi baat nahi karoge "
"jyada khush mat ho ,abhi tu aage- aage dekh"andar hee andar khush hote hue maine kaha"ab bolo Yes lyblyo tebya aur Russian me iska matlab hota hai ki main tumse kabhi nahi milunga..."
wo phhir khush hote hue boli "yes lyblyo tebya..."
"thank you chudail
"maine Esha ke hath se wo kagaz liya aur jaisa kaha tha main canteen ki khidki se kudkar waha se bahar gaya, abhi-abhi main Esha ko teen language me "i love you" bolke aaya tha aur usne bhi mujhe teen language me i love bola tha aur usne mujhe i love you bola hai uska video canteen me hee baithe mere hostel ke ek dost ne record kiya tha....main janta tha ki us video se main Esha ka kuch nahi kar sakta tha lekin phhir bhi jab main us video me Esha ko i love you bolte hue dekhta to dil ko sukoon to milta hee.....idhar main Esha ko i love you bol kar khush hua ja raha tha wahi Esha mujhse sorry sunkar khush hui ja rahi thi aur meri khushi ka reason ye bhi tha ki Arun aur mujhme ek bet lagi thi jo main abhi abhi jeet gaya tha, bet ye thi ki main Esha ko yadi i love you bol diya to hafte bhar ke cigarette ka paisa wo dega, aur yadi main na bol paya to main aur Arun ke kahne par hee maine saboot ke taur par apne ek dost ko video record karne ke liye kaha tha....
"ja be Arun 10 packet cigarette lekar aa..."room ghuste hee maine Arun se kaha...
"tune Esha ko i love bol diya "
"ek baar nahi, teen-teen baar bola aur usne bhi teen-teen baar mujhe i love you bola..."
"video dikha, tab main manunga..."
"idhar aa be..."bahar khade us ladke ko maine aawaz di aur apne mobile me bookmark kiya hua page open kiya, jisme i love you hazar language me tha....
"ye kya tamil me i love you bolkar aaya hai be, "
Maine mobile Arun ko diya aur bola French ,Romanian aur Russian me i love you ko kya kahte hai dekh aur is video me dekh....
"ye dhokha hai...maine tujhse kaha tha ki Esha ko bolna hai I LOVE YOU....matlab I LOVE YOU...."
"par tune ye nahi kaha tha ki kis language me bolna hai...I LOVE YOU matlab I LOVE YOU...."
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-48
"ye dhokha hai...maine tujhse kaha tha ki Esha ko bolna hai I LOVE YOU....matlab I LOVE YOU...."
"par tune ye nahi kaha tha ki kis language me bolna hai...I LOVE YOU matlab I LOVE YOU...."
.
Kal raat se main us video ko kayi baar dekh chuka tha jisme main Esha ko aur Esha mujhe teen-teen language me i love you bol rahe the....test ki tension khatam hone ke baad election ki tension aa gayi thi...Sidar apne kuch dosto ke sath din me dus chakkar humare hostel ke marta aur ek -ek ke room me jakar unhe kahta ki wo mujhe vote de....ab jab election me main bhi shamil tha to mujhe bhi thodi tension hone lagi thi, chalti class me bhi election aur uska form mere aankho ke samne aa jata, jisme maine black pen se apni details bhari thi,
aaj mujhe recess me computer lab jana padega ye main jaan gaya tha ,kyunki aaj assignment jama karne ki baari thi aur main hamesha ki tarah khali hath tha, mere assignment na karne ki vajah shayad deepika mam khud bhi thi, yadi kisi ko study na karne par uski hot class teacher kiss de, apne boobs dabane ke liye bole,..to aisa mauka to koyi bhi nahi chhodega, phhir main kyun chhodta. Upar se deepika mam ke hath me CG subject ka number tha to uske hisab se main jitna waqt unke sath lab me rahunga mere number utne hee badhenge......
us din bhi wahi hua, assignment na karne ki vajah se deepika mam ne mujhe class se bahar bhagaya aur class khatm hohe ke baad recess me computer lab aane ke liye kaha aur abhi main recess me unke hee lab me baitha tha.....
"tum mujhe kya samajhte ho...."
"maal..."aisa main bolna chahta tha lekin maine nahi bola....
"tum har baar assignment karke nahi aate,kya main class me time pass karne aati hoon, you don't know ki main din ke do se teen ghante ghar jakar tum logo ke subject ko padhti hoon , taki next day tum logo ko achchhe se samjha saku...."
"do se teen ghante,...."main sirf itna bola,
"haan to...."shuru me wo chidhi lekin phhir jaise meri baat ka matlab jaankar ek pal me muskurate hue boli"kya ? do se teen ghante...."
"it is my fucking efficiency..."hontho par muskan late hue maine kaha, aur same to same reaction uske hontho par bhi hua.....wo boli..
"really , do se teen ghante..."
"haan...."main kuch sochate hue bola...
aur ab waha wo hone wala tha,jiske liye main waha tha,jiska intezaar main tab se kar raha tha ,jab se main lab me aaya tha...wo apni kursi se uthi aur jis chair par main baitha tha waha jhuk gayi aur meri taraf dekhte hue mere lund par hath phhirane lagi, deepika mam ke aisa karte hee mere andar ek toofan sa aa gaya, mera dil bahut teji se vibrate karne laga....us waqt mujhe bas yahi lag raha tha abhi deepika mam ko yahi zameen me lita kar iske muh ,chut aur gand me apna lawda de maru....
deepika mam ne mere paint ki zib kholi aur phhir andar hath daalkar sahlane lagi, mere andar jo toofan utha tha wo aur bhi tej hone laga, main jis kursi par baitha tha usko dono hatho se kaskar pakad liya aur apne hontho ko daanto tale dabane laga, jaise-jaise deepika mam mere lund ko sahlati main siharta ja raha tha aur phhir wo waqt aaya jab main uchhal pada, deepika mam ne jaise hee mere underwear ke andar hath daal mere lund ko chhua to us waqt uchhal pada...
"aye idiot ,"mere underwear ke andar wapas hath dalti hui deepika mam ne kaha"chup chap baithe rah..."
"hhiii haha..."deepika mam ne jaise hee mere lund ko pakda mujhe gudgudi hone lagi aur main hasne laga aur deepika mam ka hath apni underwear se nikal kar door kar diya....
"shanti se baithe rah,warna 100 assignment de dungi..."
"gudgudi hoti hai..."
"to inhe daba kaskar..."apne seene ki taraf ishara karte hue usne kaha aur ek baar phhir se apna hath meri underwear ke andar ke daal diya,
maine pahle salwar ke bahar se hee deepika mam ke chhati ko sahlaya aur apne hath ko uske gore chikne gardan par phhirane laga...mere aisa karne par deepika mam ne apne hath se mere lund ko aur bhi teji se sahlane lagi aur sahlate waqt wo beech beech me mere lund ko daba bhi deti thi, mere hath ab uske peeth ko sahla rahe the aur usi waqt mujhe kya khayal sujha ki maine deepika mam ki salwar uthayi aur unki nangi peeth par apne hath phhirane laga, mujhe aisa karte dekh wo ruki aur meri taraf ,meri aankho me dekhne lagi....aur phhir usne mera lund paint ke bahar nikala aur apne mutthi me bhar kar hilane lagi, kabhi ek hath se to kabhi dusare hath se....maine bhi deepika mam ki salwar ko uthate uthate bra ka tak pahucha diya aur unki gori chikni peeth aur kamar masalne laga, aur ek halki si thapki uske peeth par lagayi aur jab deepika mam ne kuch nahi bola to uski peeth sahlate hue ek ke baad ek thapkiya use dene laga....wo bhi pure josh me apne hath badal-badal kar mere lund ko sahalate rahi....us waqt mera man kar raha tha ki deepika mam mujhse lund chut ki baat kare ,lekin jab usne iski shuruat nahi ki to main hee bola...
"size kaisa hai..."ab mere hath uske peeth se hote hue samne uski pet par ghoomane lage the,jo dheere-dheere upar aa rahe the,
"perfect hai.."mere lund ko teji se aage-peechhe karte hue wo boli...
Maine deepika mam ke boobs par apna hath rakkha, salwar ke karan aadha bra hee dikh raha tha ,aadha salwar me dhaka hua tha,lekin jitna bhi dikh raha tha wahi mere liye kayamat tha, maine deepika mam ka sar pakda aur unhe uthne ke liye kaha,kyunki ab mera man uske gulabi hontho ko peene ka kar raha tha, meri mansha ko jaankar wo turant khadi hui aur us din ki tarah mere upar chadh gayi, teji se saans bharti hui uski chhatiya mujhse takra rahi thi ,maine pahle deepika mam ke hontho par halka sa kiss kayi baar kiya aur phhir dheere dheere unhe pura jakad liya....wo bhi mujhe kaskar pakdi hui achchha response de rahi thi....tabhi sala maloom nahi deepika mam ka mobile kaise baj utha, usne ek jhatke me mujhe alag kiya aur mobile ko dekhkar boli....
"recess khatam hone wala hai, tumhare chakkar me main bhi bhool gayi, wo to achchha hua ki maine 10 min. Pahle ka alarm set kar rakkha hai...."
Main deepika mam ke pass gaya aur unke peechhe se unki kamar ko kaskar pakad kar khud se sata liya aur uske gardan ko chumne laga,...mera lund is waqt deepika mam ke pichhwade se takra kar buri tarah ghayal hua ja raha tha,..
"control nahi hota ...."uske chhatiyo ko kaskar dabate hue maine kaha...
"Arman, kabo karo apne Armano par, tumhe jana joga..."
"aaj nahi..."unke pichhwade par apna lund ragadte hue maine kaha"aaj to chod ke jaunga..."
"kahi chodne ke chakkar me college se na nikale jao..."mera hath pakad kar usne door karne ki koshish ki lekin maine tab aur bhi jor se uski chhatiyo ko dabane laga,...chudna to wo bhi chahti thi lekin samay ki kami ki vajah se wo mujhe mana kar rahi thi, uski aawaz me ajeeb si kashmakash thi, wo mujhe jane ke liye to kah rahi thi,lekin uski aawaz ka tone kuch aur hee tha, aur isi beech usne apna pichhwada peechhe ki taraf karke mere lund ko dabaya, mera to bura haal tha ,maine deepika mam ko seedha kiya aur uske hontho ko chuste laga aur tab deepika mam ne apne labo ko aazad kiya aur boli...
"Armaannn.....go..."
Aur deepika mam ka mobile phhir se baj utha, to usne mujhe door karte hue kaha"hod sir aate honge..."
mujhe door karke usne apna upar tanga salwar neeche kiya aur mujhe aankhe dikhakar jane ke liye kaha...
"main nahi jaunga..."uske pass aakar usko wapas pakadte hue maine kaha,"aaj bhale hee hum dono pakde jaye, lekin aaj main aapki chut maar kar rahunga..."
"Arman, pagal mat bano..."khud ko mujhse chhudane ki nakam koshish karte hue wo boli...
aaj main computer lab me kuch aur bhi sochkar aaya tha, sali ne assignment de dekar pareshan kar rakkha tha,....
"ek shart par jaunga..."uski salwar maine phhir se upar uthakar uski peeth ko sahlate hue bola"yadi mere saare assignment maaf kar do ...."
"ok..ok, now you go..."
"thank you ,mam "maine us chut ki rani ko chhoda aur khud ka huliya sahi karke waha se nikal gaya, deepika mam bhi us din soch rahi hogi ki sala ye kal ka aaya hua launda meri chut aur gand sahla kar mujhe hee chuna laga gaya.....
________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-49
maine us chut ki rani ko chhoda aur khud ka huliya sahi karke waha se nikal gaya, deepika mam bhi us din soch rahi hogi ki sala ye kal ka aaya hua launda meri chut aur gand sahla kar mujhe hee chuna laga gaya.....
"ye chaku dekh raha hai..."table par rakkhe ek chaku ki taraf ishara karte hue Varun bola"isko le kar apne hath ki lakeere kat daalna tha , tab shayad wo tujhe mil jati...."
Varun ki baat sunkar main bahar to muskuraya lekin andar roya "kisi shayar ne kaha hai...."
"no...no..."
"kya hua.."
"tu bahut ghatiya aur boring shayari marta hai..."
"daru pilayi hai to bakwas to sunna hee padega ,le sun..."bahar se haste hue aur andar se rote hue maine kaha" Main apne hatho ki un lakeero ko kured kar, kat kar mita bhi deta jisme wo nahi thi, uska aksh nahi tha,lekin ek kahawat ishq-e-bazar me kafi mashhoor hai ki.....
"had se jyada kisi chiz se pyar karne par...Wo chiz nahi milti....
ye sab to kismat ka khel hai yaaro !!!
Kyunki hath ki lakeero ko mitane se....kabhi taqdeer nahi badalti...."
"bol wah..."
"story aage badha, aur bata phhir kya hua..."
"phhir...."
.
Phhir kya tha, Gautam sala right time par aaya , mere khayal se uski train ko late ho jana chahiye tha ya phhir use koyi jaroori kaam pad jana chahiye tha ,jiski vajah se wo kuch aur hafte tak college na aa paye , lekin aisa nahi hua...wo dusare din hee college aaya aur Esha ke sath aaya.....Election ke liye dono taraf ki partiyo me taiyariya chal rahi thi, Varun ka hospital me hona, uski party ke liye achchha sabit hua kyunki final year ke sabhi students Sidar ki is harkat se uske against ho gaye the aur sunne me ye bhi aaya tha ki kuch log Sidar ko election ke baad marne ka plan bana rahe the....
main college jana chahta tha aur college jakar phhir se Esha se ladna chahta tha,lekin Election ki vajah se main ,mera khas dost Arun , Sidar aur Sidar ke kuch khas dost ek room me pichhale do ghante se band the aur apna-apna dimag laga rahe the ki kaise , kab ,kaun si chaal chali jaye...tabhi mere 1400 gm ke dimag me ek faadu idea ne dastak di...
"final year aur second year me humare kitne candidate hai..."main bola...
"ek-ek..."
"do-do kar do...."
"pagal hai kya..."Sidar meri taraf dekhkar bola"ek ko to waise bhi vote nahi milne wala ,do do candidate khade karke humna apna vote kyun kam kare, kyunki vote count to kisi ek ka hee hoga na...."
"ek baat batao...."maine Arun ke muh se cigarette chheen li aur Sidar ki taraf dekhkar kaha"aap Praja-tantra me vishwas rakhte ho ya Raj-tantra me...."
"Main angrejo ke shasan me yakin rakhta hu , ab bol..."
"to phhir angrejo ka hee niyam aur dimag lagao....PHHOOT DALO AUR SHASAN KARO...."
"abey tu kahna kya chahta hai..."Sidar ne mere hath se cigarette le li aur bola"explain kar..."
"second year aur final year me se aise do bando ko pakdo, jo Varun ki team me ho aur unhe humari taraf se khada karo..."
"usse kya hoga..."
"usse ye hoga ki Unke vote bat jayenge, jaise ki yadi second year me Gautam khada hai, to usi ke kisi dost ko humari party se khada karo, isse Gautam ke dost do group me bat jayenge aur unke vote.........kam"
"gazab , ab kahlaya tu Arun ka dost..."mere kandhe par hath rakhkar Arun ne shaan se kaha, aur maine bhi shaan se suna.....
Sidar ne apna source lagaya aur do aise bande dhoondh liye jo Sidar ke liye kaam karne ko taiyar the , main aur Arun waha se nikle aur lunch ke baad wali class attend karne ke liye college pahuche...
"mam, may i..."
"come in..."hum dono ko dekhkar deepika mam boli,..
"ye to dammo rani ki class hai, ye deepika janeman kaha se tapak padi..."andar aakar main apni seat par baitha aur.....aur kuch nahi kiya sirf baitha hee raha ,kyunki deepika mam test ki copy de rahi thi...
"Arman,.."
"yes mam.."main apni jagah par khada hua...
"tumhe kya lagta hai, kitne number aa jayenge..."
Fala mere andar tharak itni bhari hui thi ki maine kuch dusara hee number bol diya,...
"mere khayal se 36 hoga..."
"kya...?"deepika mam chauk kar boli, kyunki wo to samajh gayi thi ki main kis number ki baat kar raha tha, baki puri class is baat ko comedy maankar hans rahi thi, sabko hansta dekh jaise mujhe hosh aaya aur maine ek nazar deepika mam par dali, wo mujhe aankhe dikhakar kuch kahna chah rahi thi....
"oh sorry mam... "
"kitna, number aa sakta hai ,tumhara...."deepika mam ne mujhse phhir puchha aur is baar uski aawaz thodi tez bhi thi...
"ab main kya batau, meri adat nahi hai ki exam ke baad main us subject ke baare me sochu...aap hee bata do..."
"18 no. good..."
"kya "abki baar main chauka kyunki 5 marks ka ek question to main chhod kar hee aaya tha ,phhir 18 no. Kaise
"copy dekhna hai..."
"bilkul..."main deepika mam ke pass gaya aur copy lekar apni jagah par lauta aur mera andaza sahi tha usne mujhe extra marks diye the,
"sale, tune to bola tha ki 5 no. Ka ek question tune chhod diya hai ,phhir tere 18 kaise aaye..."mere hath se copy lete hue Arun ne kaha....
"gayi bhains pani me, kahi sala halla na kar de class me..."
lekin tabhi lund ki pyasi deepika mam humare pass aayi aur Arun ke hath se meri aur table par rakkhi uski copy uthakar boli"khud mehnat karo, dusaro ki copy me taak-jhak karna achchhi baat nahi..."
Arun apna sa muh lekar rah gaya aur silent mode me deepika mam ko kuch bola , yadi main sahi tha to uske anusar Arun ne deepika mam ko Maa ki gali di thi , deepika mam jab tak class me rahi tab tak mera sab kuch vibrate karta raha, beech me wo bhi kabhi-kabhi mujhe dekhkar muskurati aur kayi baar ye tak bol deti ki"Arman itna muskura kyun rahe ho....."
Aur jawab me main phhir se muskura deta aur sath me saari class hans deti....wo pal bahut khushnuma tha jo main aaj bhi bahut miss karta hu, us class ki rangat mujhe bhane lagi thi, us class me baithe log mujhe achchhe lagne lage the, unki baate aur phhir recess me dosto ke sath bakchodi, sab kuch mujhe ek nayi zindagi me le ja raha tha aur wo meri zindagi ka shayad pahla aisa mauka tha jab main dil se jee raha tha, jab main apne man ki kar raha tha, aas-pass koyi rokne tokne wala nahi tha,us waqt yadi koyi mujhse do khwahish mangane ke liye kahta to main use yahi kahta ki Esha se mera strong bond ban jaye aur ye college life ka waqt hamesha chalta rahe, mera khas dost Arun hamesha mere sath rahe, lekin waqt kisi ke liye nahi rukta, mere liye bhi nahi ruka.....
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update 50
Jis din deepika mam ne mujhe extra marks diye the, uske dusare din bhi maine college ke starting periods attend nahi kiye, reason election hee tha, jab main college nahi gaya to phhir mera khas dost Arun kaise college jata, wo bhi mere sath idhar-udhar ghumta aur mujhe galiya bakta ki main ye kis jhamele me pad gaya hoon aue jab wo jyada hee bhadak jata to ek cigarette nikalkar uske muh me thus deta...kal ki tarah maine aaj bhi recess ke baad college jana ka socha , lekin Arun kuch kaam bolkar waha se hostel ki taraf nikal gaya aur mujhe bola ki wo mujhe canteen me milega, Arun ke jane ke baad maine mobile me time dekha ,abhi lunch khatam hone me 40 min. baki thi , iska matlab main Canteen me jakar 40 min. tak Esha par line maar sakta tha, maine apna mobile nikala aur Sidar ko messege kar diya ki main Canteen me hoon, nazar marte rahna......
Zindagi kabhi us hisab se nahi chalti jaisa hum chahte hai, use koyi farak nahi padta ki hum apni zindagi ko kis tarah aur kaise jeena chahte hai, life to bas uniform velocity se apne manchahe direction me aage badhti rahti hai, aur ye hamesha hota hai, usi tarah main shayad us college ka akela Arman nahi tha, jiske Arman itne jyada the...us college me aur bhi kayi honge jo kuch sochkar ya phhir apna ek lakshya bana kar waha aaye the, main aue Gautam us college me akele nahi thi, jise Esha pasand thi aur bhi kayi ladke the jo Esha ko apni baanho me dekhna chahte the, lekin waha us canteen me aadhe ghante se Esha ka intezaar karne walo me se main akela tha, mere siwa waha koyi aisa nahi tha jo aadhe ghante se baithkar Esha ka intezaar kar raha ho, lekin koyi fayda nahi hua, Esha aaj canteen nahi aayi aur main apne chehre ko kabhi ek hath me tikata to kabhi dusare hath me...ek alag hee udasi mere andar bharti ja rahi thi, jise sirf aur sirf do log nikal sakte the...ek to thi Esha aur dusara mujhe cigarette kaise peena chahiye ,ye batane wala mera khas ,ekdum khas dost Arun.....Esha to nahi aayi aur Arun ko aane me waha abhi waqt tha....
"kyun be ujade chaman, aise kyun baitha hai...kisi ne gand maar li kya..."
Main is aawaz ko pahchan gaya aur bina uske taraf dekhe hee bola"baith be Arun, aaj teri bhabhi nahi aayi..."
"kaun deepika..."
"abey teri to....main Esha ki baat karing..."
"wo to teri sabse pyare dost tere jigari yar Gautam ki setting hai..."
"uda le beta mazak..."
"chal chhod, class chalte hai..."
"chal..."uthate hue maine kaha"lekin pahle yaha ka bill bhar..."
"kitna hua.."apna jeb check karte hue Arun ne puchha
"2500 paise..."
"lawda, purse hostel me hee chhut gaya , tu hee de de..."
"yadi main purse laya hota to kya tujhe bolta, baklol kahi ke..."Canteen wale ladke ke pass jakar maine bola ki wo bill mere account me add kar de, lekin na to mera waha koyi account tha aur na hee usne udhari karne ki baat mani,...
"apun ko to cash hee mangta, yadi rokda hai to rokda do..warna apna kuch saman rakh ke jao..."
"abey ullu, main tere 25 ke liye apna 10000 ka mobile giravi rakkhu kya..."
"wo apna matter nahi hai..."
Sala canteen wala maan nahi raha tha aur next class bhi start hone wali thi, tabhi Sidar ka call aaya, Sidar ne ye puchhane ke liye call kiya tha ki waha koyi lafda to nahi hai,aur tabhi mere khurafati dimag me ek solid idea aaya aur maine canteen wale se bola...
"Sidar ke khate me daal..."
"wo tumko janta hai..."
"ye dekh ,usi ki call aayi thi abhi..."mobile me call history dikhate hue maine kaha aur wo maan gaya....
.
"oye Arman, sun..."chalti class ke beech me Naveen ,jo ki aaj aage wali bench me baitha tha wo mujhe bola"Varun aaj college aaya hai, sale ke sar me patti bandhi hai..."
"aaj bhi, rola jhad raha tha kya ..."
"na, aaj to sala bheegi billi ki tarah bus me baitha tha, uske dost bhi uske sath the...lekin koyi kuch nahi bol raha tha..."
"aur uski item Vibha ,aayi hai kya..."
"aayi to hai,lekin wo aaj Varun se door baithi thi...lagta hai dono ka break-up ho gaya..."
Main aur Naveen dheere dheere baat kar rahe the ki tabhi Arun sher ki tarah dahad maarkar bola"ab use main set karunga... :"
"kaun hai badtameez..." hod sir ne jaha hum baithe the, us taraf dekhkar kaha"jisne bhi ye harkat ki hai ,wo seedhe se nikal jaye,warna puri class ka sectional zero kar dunga..."
aawaz Arun ne kiya tha ,isliye hod sir humari bench aur usi ke aas-pass dekhkar bol rahe the, aur jaise hee unhone Arun ki taraf dekha to mera gandu dost Arun hoshiyari marte hue bola..
"Sir , mujhe nahi maloom ki aawaz kisne nikali, shayad peechhe se koyi bola..."
"chal khade ho aur bahar nikal..."
"lekin sir, maine kuch nahi kiya
"
"kuch der pahle jo aawaz hui thi, usse teri aawaz match ho gayi hai...chal bahar ja..."
"sorry sir "
"bahar ja..."
Arun bahar gaya aur hod sir phhir se board par drawing banane lage,
"tujhe kaise maloom ki, Vibha aur Varun ka break-up ho gaya..."hod sir ke samne mudte hee maine ekdum dheemi aawaz me Naveen se bola"tu to bike se aata hai na..."
"aaj bus se aaya, tabhi dekha...Varun ,Vibha se baat karne ki koshish me laga hua tha lekin Vibha har baar yahich dialogue marti ki...leave me alone..."
"aur phhir..."
"aur phhir kya hona tha, Apna thobda lekar Varun chup chap city bus me peechhe ki taraf baith gaya aur uske baad maine ek mast chiz notice ki..."sharmate hue Naveen ne kaha"Vibha mujhe line de rahi thi "
"hey, tum bhi khade ho...."hod sir ne abki baar Naveen ko khada kiya"yaha tum gupshup adda khol ke baithe ho..."
"nahi sir...wo"
"kya nahi sir..."hod sir ki laal hoti aankho se jwalamukhi bas fatne hee wala tha...
"sir main, pen mang raha tha..."
"achchha..."hod sir ne book table par rakkhi aur jaha hum baithe the waha aakar Naveen ke hath me se pen liya aur chala ke dekha....
"tumhara pen to thik chal raha hai, phhir kya dono hath se likhne ke liye pen mang rahe the "
Naveen apna sar neeche karke ekdum chup hokar aise baitha ,jaise usne kuch kiya hee na ho,...
"bahar jao..."
Naveen jab bahar jane laga to hod sir ne use roka aur puchha ki wo pen kisse mang raha tha....
"sir, Arman se..."
"kaun hai ,Arman..."
"sir main..."apna hath uthate hue maine kaha...
Hod sir mere pass aaye aur bole ki main unhe apna pen dikhau, lekin sala mere pass to ek bhi pen nahi tha , main to itani der se sirf copy khol kar baitha tha
"wah , Pen bhi us bande se mang rahe the,jiske pass pen hee na ho "aur phhir mujhe dekhkar hod sir ne bada sa "Get ouuuuuut" bola....
.
"chal bathroom me muth maar ke aate hai..."jab hum teeno class se bahar nikal aaye tab Naveen ne kaha....
"main nahi marunga aaj subah hee Haweli padhkar hilaya hai..."Arun bola....
"tum dono yahi khade raho ,main abhi aaya, kuch election related kaam aa gaya hai..."
"main bhi chalta hu..."
Lekin main nahi mana, aur Arun ko Naveen ke sath rukne ke liye bolkar waha se nikal gaya aur meri gadi jakar seedhe computer lab me ruki, jaha deepika mam apni taange chaudi kiye hue PC par shayad bf dekh rahi thi...........
_______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-51
Arun ko Naveen ke sath rukne ke liye bolkar waha se nikal gaya aur meri gadi jakar seedhe computer lab me ruki, jaha deepika mam apni taange chaudi kiye hue PC par shayad bf dekh rahi thi...........
.
Recess me deepika mam ke pass jane ki baat kuch aur thi aur abhi ki baat kuch aur....kya pata andar kya ho raha ho, kaun-kaun andar ho aur kis position me upar se main thahra sarif ladka....computer lab ka gate khula tha to iske hisab se andar ka temperature normal hona chahiye, maine pahle andar jhanka aur mera andaza sahi tha, andar ka temperature bilkul normal tha....deepika mam PC par baithi mouse ko idhar udhar kar rahi thi, aur usi samay jaise use ahsaas ho gaya ki gate par koyi hai aur usne apni nazare ghuma kar mujhe dekha.....
"ek baar ye lund chus le to maza hee aa jaye....aaahhhhhh"deepika mam ke sexy hontho ko dekhkar mere Arman uchhal pade, jise shant karte hue maine deepika mam se andar aane ki permission mangi....
"Arman, tum...is waqt,abhi to hod sir ki class hai na..."
"bhaga diya unhone..."andar aate hue maine kaha
"phhir kya kar diya...."mujhe samne wali chair par baithane ka ishara karte hue usne puchha....
"is baar kuch nahi kiya, isiliye bhaga diya...."
"achchha ye batao..."mouse par se hath hatakar usne ek hath ko apne sar par tikaya aur ungaliya hontho par phhirate hue boli"tumhara 12th me kitna marks tha..."
Yahi ek aisa sawal tha, jiska answer dene ke liye main hamesha taiyar rahta tha, lekin us waqt mujhe ye nahi maloom tha ki yahi sawal meri zindagi ka aakhiri sawal ban jayega, jiska answer main baad me dena chahunga....
"93.60 % " maine jawab diya....
"kya... "apne sar ko dusare hath se tikate hue wo boli"sach bolo..."
"Internet chal raha hai kya..."
"yes,..."
"216328075 is my roll no. , result check kar lo...."
"ok ,leave...."tirachhi nazar se usne kahi aur dekhte hue kaha,"tum kya sochkar aaye the..."
"main yaha computer par snake game khelne aaya tha..."
"wo game tum abhi nahi khel sakte..."usne ek bar phhir apna hath badla aur boli"andar cabin me ek sir baithe hue hai..."
"dhat teri ki...."main badbadaya
"ab jao,warna....."meri taraf apna chehra karke wo boli...
"warna..."maine bhi apna face uski taraf kiya...
"warna, tum mujhe kabhi chhu bhi nahi paoge aur assignment phhir se de dungi..."
Deepika mam ki baat sunkar main is kadar hadbadaya ki chair se bas neeche girne wala tha ,wo hans padi aur mujhe ek baar phhir waha se jane ke liye kaha....maine ek baar uske gulabi honth aur chhatiyo ko dekhka aur waha se mayoos kadmo se bahar nikla aur abhi bahar hee nikla tha ki samne se Vibha aati hui dikhayi di,...mujhe waha CG lab ke bahar dekhkar uske kadam rook gaye...
"sunne me aaya hai ki tumne apna boy friend change kar diya..."
"boy friend change nahi kiya, sirf purane ko chhoda hai...abhi main bilkul akeli hoon..."
"mujhe bana lo, apna boyfriend..."
"why, tumme aisi kya khas baat hai..."
tab tak Hum dono waha beech raste se hatkar thoda kinare aa gaye, classes chal rahi thi isliye koyi udhar aaye ye mushkil hee tha.....
"why ka kya matlab, mujhse kabil boyfriend pure college me nahi milega...."
"really..."
"101 % ,sach hai...."
wo ab shant ho gayi aur apna muh band karke mujhe dekhti rahi, waise ladki kabhi chup ho jaye ,ye nahi hota lekin us waqt aisa hee kuch ho raha tha ,wo ekdum se chup hokar jaise mujhe check kar rahi thi main uska boyfriend banne layak hoon ya nahi....
"tumhari age kam hai....sorry "
"isne to sach me sochana shuru kar diya " andar hee andar khud ko handsome mante hue main bola"main mazak kar raha tha, ab chalta hoon, mere dost intezaar kar rahe honge mera...."
Wo bhala kyun rokati mujhe, usne apna sar hilakar mujhe jane ke liye kaha aur main waha se nikla hee tha ki mera mobile vibrate hone laga.....call unknown number se thi
"abey Arman, jaldi aa jaldi...chauk ke pass Sidar ko city walo ne gher liya hai...jaldi aa...aur jitne ladke mile ,unsabko bula lena...."ek cheekhati hui aawaz mere kaano ko fad gayi....
main kuch der tak sann khada raha, main waha khade rahkar yahi sochata raha ki ye sach tha ya koyi mere sath mazak kar raha hai, kya sach me Sidar ko Varun aur uske dosto ne gher liya hai ya phhir wo log mujhe gherne ke plan me hai, jo bhi ho mujhe ek baar college ke main gate ke pass wale chauk ke pass to jana hee tha, maine daudte hue seedhiya chadhi aur Naveen se uski bike ki chabi lekar Arun ke sath college se bahar nikla....
kya hoga yadi unlogo ne Sidar ka wahi haal kar diya jo humne Varun aur uske dosto ka kiya tha, kya izzat rah jayegi humari college me, aur upar se kuch dino baad election bhi hone wala hai....us waqt bike chalate hue mere man me yahi sab ghoom raha tha, Arun ne kayi baar mujhse pcuhha bhi ki kya hua hai, main kyun itna hadbada raha hu aur main use kaha le ja raha hoon....lekin maine uske ek bhi sawal ka jawab nahi diya aur seedhe chauk par ja pahucha...humara college outer area me tha ,isliye udhar bheed-bhad kam hee rahta tha lekin is waqt waha bahut se ladke jama hue the , aur yadi main sahi tha to waha khade ladko me se adhiktar ladke city wale the...hostel walo ko pahuchne me abhi time tha.....
Maine Naveen ki bike chauk se kuch doori par hee rok di, jiska karan thi Esha...wo BC Gautam ki car usi waqt waha jaane kaha se pahuch gayi, jisme Shayad Esha bhi hogi maine andaza lagaya......
"Laut ja Arman, Esha ke samne ladayi ,jhagda karne ka matlab hai ,usse doori....Gautam se to uska bachpan ka pyar hai,isliye wo usse judi hui hai...lekin yadi usne aaj tujhe gundagardi karte hue dekh liya to wo kabhi tujhse baat tak nahi karegi...."
"abey bike aage badha, waha kuch panga ho raha hai..."Arun ne mujhe mere khayalat se nikalte hue kaha...
"Sidar ko city walo ne gher liya hai aur hostel ke ladke aa rahe hai...lekin tab tak Sidar maar kha jayega..."
"to tu dekh kya raha hai, bike start kar aur chadha de, salo par...maa kasam yadi dusaro ke haq ke liye ladne wale Sidar ko kuch hua to, lanat hai humpar..."
Us waqt mujhe uski baat maan leni chahiye thi, mujhe bike ko full speed karke aage badhana chahiye tha, lekin jaise mere hath jam gaye the , jiski sirf ek vajah thi , wo vajah Car me baithi hui Esha thi...
"abey BC ,bike aage badha..."Arun ne chillakar kaha...
"yar,wo Esha car me baithi hai..."
"to kya..."mere khas dost ne mujhe ajeeb tarah se dekha, jaise use yakin hee na ho raha ho ki ye main kah raha hoon....
"tu jayega ya nahi..."
"hum bahut kam log hai yar, pit jayenge..."
"chal thik hai..."bike se utar kar Arun bola"main ja raha hoon, tu wapas ja...aur kasam se kahta hoon, aaj ke baad tu mujhe room me mat dikh jana, warna murder ho jayega,ya to tera ya mera...."aage badhte hue Arun ne kaha.....
Sidar waha ladko ke beech ghira hua bahas kar raha tha aur idhar mera sabse khas dost ja raha tha, wahi mere khwabo me aane wali ek pari ,apne shahzade ke sath car me baithi thi, aur main waha chauk se kuch doori par uljhan me fansa hua Naveen ki bike par baitha hua tha....
jab humare samne do raste ho to hume kisi ek ko chunne me galti ho jati hai waha to mere pass teen raste the....pahla ye tha ki main bike se utar ka Sidar ke sath dene ghus jao, aur maar khaun...lekin ye future engineer hone ke naate mujhe shobha nahi deta.....dusara rasta ye tha ki chauk ki taraf badh rahe main apne khas dost ka kidnap kar loon aur use apne sath lejakar pitne se bacha loon, lekin yadi main aisa karta to main shayad Arun ko kho deta...jo main nahi chahta tha.... Teesara rasta ye tha ki main chup chap apni bike mod loon aur wapas jakar next class attend kar loon...lekin ye engineering college me padhne wale ladke ki pahchan nahi thi aur na hee meri.....lekin maine waisa hee kiya maine teesara hee rasta chuna,kyunki yahi mujhe sahi laga...main us waqt sabkuch bhoolkar, samne chauk par fanse Sidar ko andekha karke apni bike college ke taraf ghumayi.....
"main ja raha hoon, tu wapas ja...aur kasam se kahta hoon ki aaj ke baad tu mujhe room me mat dikh jana, warna murder ho jayega,ya to tera ya mera...."mere kano me ye aawaz gunz rahi thi , ye aawaz sirf gunz hee nahi rahi thi ye aawaz mera kaan bhi phhad rahi thi,...duniya me kayi raste hote hai ,jo kisi na kisi manzil tak pahuchate hai ,wo to humpar depend karta hai ki hum kis raste par chalte hai....kisi ki aawaz ka kano me gunjana ye sab maine sirf filmo me dekha tha lekin us din maine khud mahsoos kiya aur jab wo aawaz band nahi hui to maine bike wapas Arun ki taraf ghumayi......
"lift chahiye Sir..."
"tu...tu to chala gaya tha..."
"chal aaja , action karte hai..."
"tu karne kya wala hai..."bike par sawar hote hue usne kaha...
"wo sab chhod aur ye bata Sidar ka vajan kitna hoga...."
"lawda main yaha kilo baat lekar nahi baitha hoon..."Shuru me usne aisa kaha,lekin jab main peechhe muda to jaise samajh gaya ki main kya kahna chahta hoon....maine bike start ki aur bike seedhe chauk ki taraf dauda di,...ab main samajh gaya tha ki mujhe kya karna hai...mujhe teeno manzile pani thi, Sidar ko bachana bhi tha, Arun ko apne sath bhi rakhna tha aur Esha.........aur normal insan ek waqt par kewal ek hee raste par chal sakta hai,isliye us waqt maine un teeno manzilo ki taraf jaane wale teeno rasto ko milakar ek kar diya chauk ke pass pahuchate hee maine ekdum jor se horn mara jisse kuch ladke door hue ,salo ne mujhe baad me pahchana lekin tab tak maine aur Arun ne Sidar ko ek jhatke se uhthaya aur teji se aage nikal gaye......
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-52
salo ne mujhe baad me pahchana lekin tab tak maine aur Arun ne Sidar ko ek jhatke se uhthaya aur teji se aage nikal gaye......
.
"goggles hota to aur bhi role jamta be Arun..."bike ke sheeshe me khud ko niharte hue maine kaha,
is waqt hum teeno thik usi ground par the jaha kuch dino pahle hum hostel walo ne maar dhadh ki thi....
"abey ,mujhe chhodega ,ya aise hee taange rahega..."
"sorry sir..."Sidar se apni pakad dheeli karte hue Arun ne kaha....
Sidar us waqt bahut tamtamaya hua tha aur Arun ne jaise hee Sidar ko chhoda,wo neeche utar kar kisi ko call karne laga...
"ground par lekar aa sab ladko ko, aaj phhir marunga us BC Varun ko, usi ke kahne par city walo ne mujhe ghera tha..."
"MTL bhai..."main ekdum hero style me bike se utra aur Sidar se bola"election ho jane do...phhir milkar Gang-Bang part 2 shuru karenge...."
"tu ruk...dekh abhi us sale ko dhota hoon..."Sidar ne phhir ek number par call kiya ,
"abey ,Arun samjha na..."
"ghanta samjhau main....isko khud sochana chahiye..."
Arun chup rahne wala tha ,isliye MTL bhai ko shant karne ki saari jimmedari ab meri thi, Sidar humse thodi door jakar kisi se baat kar raha tha ,tabhi maine Arun ko dabi aawaz me kaha ki ,wo mujhe us samay call kare jab main Sidar se baat karte rahu....
"done..."
Main Sidar ke pass gaya aur dheere se aawaz di, dheere se isliye kyunki mujhe dar tha ki gusse me kahi Sidar mujhe hee na pel de....
"Sidar bhai..."
"kya hai..."chillate hue Sidar ne kaha..."salo ne mujhe dhakka diya, tu dekh sabko marunga, aaj hee marunga..."
Aur usi time Arun ne mere number par call kiya, aur maine Sidar ke samne call receive ki....
"haan, kya bol raha hai...sab bhag gaye..."maine mobile jeb me rakkha aur is ummid me ki Sidar ne meri baat suni hogi main usse bola"Sidar bhai wo log bhag gaye, abhi mere dost ka call aaya tha...."
"kaha bhag gaye BC"
"maloom nahi..."
"chal mujhe hostel tak chhod de..."Sidar ne apna laal hota chehra shant kiya aur mobile jeb me rakkha....
"thik hai, bye..."Senior hostel ke pass Sidar ko drop karte hue maine kaha.... bike se utar kar sidar hostel ki taraf jane laga lekin kuch door jakar wo palta aur mujhe aawaz di...
"oye Arman,...thanks"
Uske baad maine bike college ki taraf ghuma di, college tab tak khatam ho chuka tha aur Naveen bike stand par khada humara intezaar kar raha tha.....
"aaj ke baad mangana bike, ghanta dunga..."jaisa ki hume ummid thi, Naveen ka reaction waisa hee tha....
"ro mat be, ja bhar le apne pichhwade me apni bike...main bahut jald ferrari lekar aaunga..." bike se utar kar Arun bola...
"ye baat aur kisi se mat kahna warna, bezzati ho jayegi..."mujhe jabarjasti bike se utar kar Naveen ne kaha"beta pahale ek bike le lo, phhir ferrari ke sapne dekhna...."
"ye baat...."maine banawati gusse se Naveen ke bike par dono hath rakkha aur use ghoorate hue kaha"kal tu 10 bike aisi dekhega...jo meri hogi..."
"aur 20 bike aisi dekhega ,jo meri hogi...ab nikal yaha se..."Arun joshiyate hue bola....
"kal milna beta phhir, dekhta hoon"Naveen ne apni bike start ki aur waha se furr ho gaya....
"Arman ,achchha ye bata...hum dono 30 bike layenge kaha se..."hostel ki taraf jate hue Arun ne puchha...
"5-5 wali lake khadi kar denge... "
"me too "
Sidar us samay ground me bhale hee gussa hokar kuch bhi bole ja raha tha,lekin jab uska dimag thanda hua to use ye baat samajh aa gayi ki election ke pahale panga karna ek tarah se chutiyapa hoga, isliye usne Varun aur uske chamcho ko dobara se marne ka plan postponed kar diya...main raat ke 9 baje tak senior hostel me raha aur khana bhi wahi khaya , phhir 9 baje unke hostel se nikal kar bahar aaya....hariyali to waise bhi thi uspar chalti hawa pure mahol ko thanda aur khushnuma bana rahi thi, Senior hostel se bahar aakar maine jeb se cigarette nikali , sali tej hawa me bahut mushkil se cigarette jali aur jab cigarette jal gayi to main dhua udata hua udhar hee tahalne laga, us waqt un hawao se dil aur man ko achchha khasa sukoon mil raha tha, aur phhir main apne past aur future ke baare me sochane laga, main khud bhi tazzub tha ki main itna badal kaise gaya, itni jaldi to chemistry lab ke chemical apne rang nahi badalte, jaha main school me sirf aur sirf padhayi karta tha wahi aaj main sirf aur sirf padhayi ko chhodkar sab kuch karta tha, exams ki chinta bhi satane lagi,lekin phhir ye sochkar ki abhi bahut din hai maine ek aur cigarette jalayi aur topic change kiya....school ke dosto ki bahut yaad aati thi ,lekin main samajh gaya tha ki raah me chalne wale Musafiro ko ek na ek din to bichhadana hee hota hai, Arun bhi ek din aise hee chala jayega, Sidar to bas kuch mahino ke liye hee college me hai aur phhir topic aakar deepika mam par ja atka, tab tak main sadak par tahalte-tahalte kafi door nikal aaya tha....
deepika Mam ke baare me maine abhi tak jo notes banaye the ,uske anusar ,wo ek bindas aur hawas ki pujarin thi, ye batana mushkil tha ki wo aaj tak kis-kis ke sath soyi hogi, apne pure madak jism ka usne achchha khasa istemaal kiya tha, aur recess ke baad hod ka Computer lab me aana shayad uski vajah deepika mam ka jism hee hoga, deepika mam chalak bhi bahut thi ,wo bakhoobi janti thi ki kis ladke ko kaise fasana hai, isiliye physics lab me usne bina jaan pahchan ke mera hath narak ke dwar se touch kara diya tha... Meri is story me deepika mam ka kirdar bada ajeeb tha ,kyunki kabhi-kabhi uski smile mujhe dara deti thi , na jaane wo jism ki pyas me kya kar baithe....lekin launda main bhi hoshiyaar tha aur deepika mam ki tarah dimag ka istemaal karna main bhi janta tha....uske baad main Esha ke topic me aaya, do cigarette main already pee chuka tha isliye aur cigarette peene ka man nahi kar raha tha,lekin maine phhir bhi ek cigarette aur sulgayi aur Esha ke baare me sochane laga......
Us waqt pure college me Shayad Esha hee aisi thi, jiske liye mere dil me Arun se bhi jyada feelings thi...Esha ke baare me bhi maine kuch notes banaye the, aur uske anusar wo ek Rich, sweet, innocent aur bahut jald gussa ho jati thi...Esha ki taraf mera attraction isliye tha kyunki wo same to same waisi ladki thi,jaisi main chahta tha...mujhe aaj ke modern jamane me ek modern girl friend chahiye thi, jiske stylish hairstyle ho, jiske honth aise ho ki dekhte hee kiss karne ka man kare, gaal aise ho ki dekhte hee pyar se chhune ka man kare, aankh aisi ho ki unme doob jane ka man kare, aur wo mujhse lade, jaisa ki Esha karti thi....kyunki mujhe khubsurat ladkiyo se ladne me bahut maza aata hai....
ab jab Esha ke baare me socha tha to Gautam ka khayal aana lazimi tha, meri teesari cigarette bhi khatm hone kagar me thi aur main ukhde hue man se Gautam ke baare me sochane laga,..Gautam bhi Esha ki tarah rahis tha jo use dekhkar hee lagta tha, Esha ko lekar shayad wo confuse tha ki wo usse pyar karta hai ya nahi , kyunki humara man ek bachche ki tarah hota hai, jise yadi shuru me mithayi ka ek tukda dikhaya jaye to wo use jhat se pakad leta hai, lekin yadi usi samay mithayi ka bada tukda us bachche ko dikhaya jaye to wo pahle wale ko chhodkar dusare wale tukde ko pakad leta hai, main us waqt sure to nahi tha lekin mere hisab se Gautam ka case kuch aisa hee tha, bachpan me Esha ke karib raha to Esha se lagav ho gaya lekin jab college aaya to usne wahi harkate karni shuru kar di ,jo ek chhota sa bachcha karta hai....Gautam, Esha se pyar bhale na karta ho,lekin wo use pasand jaroor karta tha, abhi tak main sirf Sidar ko MTL samajhta tha lekin aksar aise kayi MTL mil jate hai, Gautam bhi MTL tha, wo meri tarah basket ball ka dhansu player tha aur uski aaj tak back bhi nahi lagi thi, aur maine usi samay andaza laga liya tha ki jab college ki basketball team banegi to ek baar phhir meri aur uski takraar hogi, BC mujhe har field me takkar dene ke liye Gautam taiyar khada tha...
"haan bol Arun..."maine call recieve ki,
Arun mujhse puchh raha tha ki main itni raat tak kaha hoon, mere khayal se pahale Usne Sidar ke pass call kiya hoga aur phhir mere pass....
"yahi bahar tahal raha hoon..."maine kaha...
"kaha hai, main bhi aata hoon..."
"tu kya karega..main tahalte -tahalte bahut door nikal gaya hoon..."
"America pahuch gaya kya , nautanki band kar aur wapas hostel ki taraf badh..."
"chal thik hai..."maine call cut karke mobile jeb me dala aur hostel ki taraf badh chala....
ab topic Arun tha, Arun ek police inspector ka launda tha aur mera best friend bhi,...wo hamesha yahi chahta ki main bhi wahi karu jo wo karta hai...raat bhar uske sath cigarette piyu , daru peene me uska sath du , wo ye bhi chahta tha ki main Esha ke baare me sochana chhod du,kyunki wo ladkiyo par bharosha nahi karta tha, uska kahna tha ki girls like a ATM machine, jisme koyi bhi card daalkar apna kaam nikal sakta hai, ladkiyo ke liye uske dil me sirf ek Arman tha, wo adhik se adhik ladkiyo ko karna chahta tha,....
"idhar dekh be kutte..."Andhere me Arun ne mujhe aawaz di , wo thodi hee doori par tha ....
"itni raat ko kya chaukidari kar raha hai...."jab main uske pass gaya to wo mujhse bola"chal S.P. Ke bunglow me ghoom ke aate hai..."
"murkh hai kya, Policewale gand me danda pelenge..."
"aaja, "Arun ne mera hath pakad kar jabardasti mujhe ghaseeta....
"wo board dekh raha hai, S.P. Ke ghar ke bahar..."jispar S.P. Ka naam likha hua tha,use dekhkar Arun bola...
"S.L. Dangi, Police adhikshak..."
"ek din waha mera bhi naam hoga aur tu aise hee mere ghar ke bahar khade hokar ,board par likha naam padhe...Arun Kumar, IPS officer... "
"aand mat kha aur bata mujhe bulaya kyun hai..."
"physics padh kar bore ho gaya tha ,to socha ki time pass karu..."
"yadi tera time pass ho gaya ho to ab wapas chale...."
"Esha se teri baat kaha tak pahuchi..."beech raste me usne puchha...
"intial state me hai..."
"main bol raha hu ,tujhe...chhod de usko, in ladkiyo ko tu nahi janta...."
"jaise tere pass ladkiyo ko banane wali factory ho, jab dekho tab fekta rahta hai..."
"dekh Arman,..."Arun wahi raste me khada ho gaya , aur bola"duniya me lakho ladkiyo ka pyar sirf chut-lund ka hota hai, un lakho ladkiyo me se kuch hee ladkiya aisi hoti hai ,jinka love left side wala hota hai aur Esha-Gautam ka love left side wala hai..."
"tujhe phone karke usne bataya kya..."waha se aage badhte hue maine kaha....
"tera dimag satak gaya hai kya, ya phhir tu andha ho rela hai... Esha ko kabhi dekha hai kabhi dusare ladke ki taraf dekhte hue ya phhir Gautam ko kisi ladki ki taraf dekhte hue,dono strong bond me bandhe hue hai, unhe koyi break nahi kar sakta...."
"us bond ko fatehaal garam kar do, toot jayega aur main wahi karne wala hoon...."
"simple language me explain kar sakta hai kya "
"Vibha, kis din kaam aayegi....use strawberry bahut pasand hai, "
"meri bhi setting jama na, usse..."
"pahle mera kaam to nipat jaye..."
jis din maine aisa karne ka socha tha ,shayad usi din maine khud ko apni zindagi ka villain bana liya tha, mujhe aisa bilkul bhi nahi karna chahiye tha,kisi halat me nahi karna chahiye tha...lekin maine kiya , dil aur dimag dono se kiya...
_______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Update-53
jis din maine aisa karne ka socha tha ,shayad usi din maine khud ko apni zindagi kavillain bana liya tha, mujhe aisa bilkul bhi nahi karna chahiye tha,kisi halat me nahi karna chahiye tha...lekin maine kiya , dil aur dimag dono se kiya...
.
Aakhir kar wo din aa gaya jiska intezaar hum sabhi ko tha, election aaj hee tha aur main aaj bhi class se bunk maar ke Sidar ke sath ghoom raha tha, Arun aaj bhi mere sath tha.....maine jaisa socha tha, waise hee do ladko ko Sidar ne khada kiya tha, humara plan Gautam aur Varun ko samajh to aaya ,lekin bahut der me aaya....abhi is waqt jaha voting pad rahi thi, main waha Sidar ke sath baitha hua tha...humari Party ke kuch aur ladke bhi waha sath me the...Varun bhi wahi sath me Gautam ke sath baitha hua tha,unke sath bhi kuch ladke the....aksar hum sabki nigahe mil jate aur aankho hee aankho me hum jwalamukhi utar kar samne walo ko dhamki dete.....wo aakhiri stage tha voting ka aur aaj saturday bhi tha isliye college jaldi khatm hua....
college khatm hone ke baad Esha bhi Gautam ke pass aayi, aur use apne sath ghar jaane ke liye kaha....
"kuch der ruko, phhir chalte hai..."Gautam ke jawab par Esha idhar udhar dekhne lagi...usne mujhe bhi dekha,lekin mujhse apni nazare aisi hata li ,jaise ki wo mujhe first time dekh rahi ho...wo aaj bhi mujhe har din ki tarah bahut pyari lagi, use dekhte hee left side dhadka aur dil kiya use jaldi se jakar apni baaho me samet loon,lekin maine aisa kuch bhi nahi kiya...main wahi Sidar ke sath apne party wale logo ke sath baitha raha....wo aaj bhi har din ki tarah seedhe mere dil me utar rahi thi, wahi bhuri aankhe, wahi sharir...ab jaise Mohabbat is seene ko cheer kar nikalne wali thi....
"usse baat karne ka man kar raha hai...."maine Arun se kaha...
"chup sale, lafda karega kya..."
"kuch jugad jama na bhai..."
"koyi jugad nahi hai, yadi tune aisi harkat ki to pahle Gautam tujhe marega aur uske baad main tujhe jaan se maar dunga...."
Jab kuch jugad nahi hua to maine apna mobile nikala aur us din canteen me Esha ko teen-teen language me bole gaye i love you ,ke video ko dekhne laga....
Esha jab tak waha rahi main use dekhta raha, kabhi chhup-chhup ke ,to kabhi directly....lekin har waqt nigah usi par tiki rahi aur phhir.....wo chali gayi, Gautam ke sath...usne jate waqt bhi ek baar palat kar nahi dekha.....uski duniya jaise ghar se nikalkar Gautam me khatm ho jati thi use bakiyo se koyi matlab nahi tha ki baki kya kar rahe hai, kya nahi kar rahe hai....use shayad iski bhi parvaah nahi thi ki maine use ek hafte tak kyun pareshan kiya....
"BC , kismat hee kharab hai..."Esha aur Gautam ke jaane ke baad maine samne wali table par jor se apna hath de mara....
"tod de, table ko...lawde paisa bharna phhir..."
aur uske baad maine sach me wo table tod diya, waha maujood sabhi log chauk gaye, Sidar aur baki seniors waha se ja chuke the, bas hum kuch hee ladke waha baithe the....jab main gusse se table tod raha tha to kayi ladko ne Arun se ye bhi puchha ki main aisa kyun kar raha hoon, to Arun ne unhe jawab diya ki main election jeetane ki khushi me table tod raha hai.......
"bas ho gaya ya kuch aur karne ka vichar hai..."main jab Shant hua to Arun ne mujhse puchha"cigarette piyega..."Jawab me maine sirf apna hath uske taraf kiya.....
Election khatm hua to socha ki thodi bahut padhayi-likhayi ab ho jayegi,lekin tabhi Fresher party sar par aa gayi, sab uske function ki taiyariyo me jud gaye...humare yaha fresher party branch wise hoti thi,ek baar main hoti thi aur ek baar hostel ke seniors alag se party dete the....lekin maza to main wali party me hee aata tha kyunki waha humare college ki item log bhi rahti thi aur raat bhar naach-gane ka programme chalta tha, har baar fresher party branch wise hoti thi,lekin is baar nahi hui thi...is baar sab branch walo ka ek sath function tha....ye soch bilkul hee bekar tha, ye baat alag hai ki us waqt wo mujhe pasand aaya kyunki sab ek sath rahenge to jyada maza aayega...
Us din sunday tha, Arun subah se hee room se gayab tha, uska khas dost hone ke naate jab wo subah ja raha tha to mujhe puchhana chahiye tha ki wo kaha ja raha hai,lekin maine nahi puchha, aur dopahar ko jab main chadar taan ke gahri neend me tha to mere room ka darwaza bahut jor se kisi ne peeta...
"abey, aa raha hu..."bolkar main phhir so gaya aur kuch der baad phhir darwaza kisi ne jor se peeta...
"kya hai, ja baad me aana..."bolkar main phhir so gaya aur darwaza par ek baar phhir jor se dastak hui....
"abey main hoon,Arun...."
"baad me aana, abhi muth maar raha hoon....bas nikalne hee wala hai..."
"jaldi khol de yaar, warna lambe se pela jaunga..."aur usne ek baar phhir darwaza jor se peeta...
"rook aa raha hu..."Arun ko galiya dete hue maine bistar chhoda aur room ka gate khola.."kya hai, kyun itna toofan macha rakkha hai..."
"fas gaye be..."andar aate hee Arun ne darwaza band kiya aur bistar par kambal oodhkar bola"abhi koyi teacher aaye to bol dena ki...Sir iski tabiyat do din se kharab hai..."
"kaun sir aa rahe hai.."gate kholte hue maine kaha"aur teri itni kyun fat rahi hai..."
"Girls hostel ghuse the, to kuch ladkiyo ne dekhkar shor macha diya aur ab unki hostel warden yaha aa rahi hai....."
"nikal room se.."Arun ka kambal door karte hue maine kaha"tere chakkar me main bhi jaunga...."
"sambhal le yar,phhir ek khushkhabri dunga..."aur usne phhir se kambal taan li...
Girls hostel ki warden un do teen ladkiyo ke sath hostel me aayi,jinhone shor machaya tha ki kuch ladke unke hostel me hai....mujhe us waqt kuch nahi sujha, so kar utha tha isliye dimag ko run karne me abhi thida time lag raha tha...lekin phhir bhi maine kuch kiya...mere pass jo ek kambal padi thi usko bhi Arun ke upar daal diya aur use kanpne ke liye bol diya....aur apni rumal ko pani se bhigo kar uske sar par rakkha aur gate khol diya...
"ye kaun soya hua hai..."Girls hostel ki warden humare hostel ke warden ke sath andar aayi,aur jin do ladkiyo ne Arun aur iske dosto ko dekha tha wo dono bahar hee khadi rahi....
"sir, ye mera dost hai...bechara bahut bimar hai do dino se..."maine Arun ke sar se rumal hatakar bhigoya aur wapas uske sar par rakhte hue kaha"do din se ye utha bhi nahi hai..."
"to iske gharwalo ko inform kiya..."
"wo railway station me hai, bas kuch der me hee aa jayenge..."
"you nalayak, ye bimar hai aur tum mujhe aaj bata rahe ho"aur phhir girl's hostel ki warden ki taraf dekhkar humare warden ne waha se chalne ke liye kaha....
un sabke jane ke baad maine gate band kiya , Arun paseene se bheega hua tha...
"ab bata ye sab kya chutiyapa hai..."maine puchha...
"bhu kisi ladki ko i love you ,bolne gaya tha..to main bhi uske sath ho liya... "
"teri gand me kya khujli thi, jo tu bhi chala gaya..us chutiye ke sath..."
"ghanta ka chutiya...wo teri tarah phattu nahi hai...wo bindas us laundiya ko i love you ,bol ke aaya hai aur usne kaha hai ki yadi wo ladki set ho jayegi to wo mujhe bhi uski chut dilayega..."
"abey choduo, bahar apne pyar ka izhar karte to kya hota, usi ne apne hostel warden ko bataya hoga ki kuch ladke unke hostel me ghus aaye hai..."
"abey kuch ladkiyo ne dekh liya tha, unhone shor macha diya..."
"chal ye bata..."topic change karte hue maine cigarette ki packet uthayi aur dhua Arun ke muh par phhekta hua bola"yahi khushkhabari tu sunane wala tha kya mujhe..."
"are haan, main to bhool hee gaya..."usne mere kandhe par apna hath rakkha aur jor se mera gardan dabate hue bola"Hum NSUI election jeet gaye.... "
"BC, gardan chhod..marega kya..."
"chal aaj daru pilayega..."
" Cigarette...daru main nahi peeta..."
" rook ja ,jab Sidar President banne ki khushi me party dega,tab tere aage se bhi aur peechhe se bhi daru bharega...aur tune apne mobile kyun off kiya hua hai, Sidar ne mujhe call kiya tha aur usi waqt main aur bhu girl's hostel me the aur Sidar ke usi call ki vajah se hum pakde gaye...yadi technically dekha jaye, to uski vajah tu hai"
"yadi technically dekha jaye to us khadoos warden se tujhe bachaya bhi maine hee hai..."jab Arun ne gardan se apna hath nahi hataya to maine use bistar par dhakka dete hue kaha"ye bata Gautam ,2nd year se jeeta ya hara...."
"jeet gaya BC,...unki party sirf second year se jeeti hai aur first year me to tu ektarfa jeeta hai,aaj tak koyi itne votes se nahi jeeta...."
" abhi tu dekh, main is college ka naksha hee badal dunga....waise thanks
"maine phhir ek kash kheencha aur bola"fresher party kab hai..."
"kaun si wali, hostel wali ya phhir..."
"wahi,jisme teachers, ladkiya,city wale bhi shamil rahte hai..." Arun ko beech me rok kar maine kaha...
"tu us party me jaane ke Arman chhod de,...Sidar jaane nahi dega..."
"kyun..."main chauk gaya tha,jab usne kaha ki Sidar mujhe Party me jaane nahi dega....
" hostel wale kabhi ,us party me nahi jaate...specially wo jo Sidar ke karib rahte hai..."
"kyun,.."main phhir chauk gaya, kyunki ye sab to mujhe maloom hee nahi tha....
"fresher party ka sara management city wale dekhte hai aur apni hoshiyari chodate rahte hai...hostel wale na to collection me paise dete hai aur na hee us party me jate hai.
"ye to galat hai yar ! "main is baar bhi chauka,lekin thoda kam....."ye to bilkul galat hai yar, aise me to lafda aur badhta hai...."
"dekh Arman , maine kahi padha tha ki ek Akela insaan Samundar ke toofan me kashti nahi chala sakta,..."
"main The Ron hoon , khud ko to Samundar ke toofan se nikal hee sakta hoon...."haste hue maine kaha...
"matlab ki tu us party me jayega..."
"main nahi, Sidar khud bhejega us party me mujhe aur tujhe bhi....aur koyi hai..."
"bhu ko le lete hai...lekin tu ye karega kaise...Sidar koyi dhoodh peeta bachcha nahi hai"
"yadi Sidar koyi dhoodh peeta bachcha nahi hai to main bhi koyi dhoodh peeta bachcha nahi hu, I am Arman, Ek Yantriki Abhiyanta(Mechanical engineer )"
_______________________
 
Top