• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Main Wapas Aawungi..............(A Suspense Thiller Story)

Ajaykumar82

Time & Tide Waits For None
2,753
9,227
159
Update- 13 (B) (Megha Update)

" tum agar janana hi chahtey ho na ki main itni raat gaye kissey milney gayi thi..............to suno.....................main apni beti sakshi se milney wahan gayi thi..................aur main ussey mili bhi..............shayad is wajah se us waqt meri aankhon mein aansoon they.................main ek maa hoon na.......bhala kaise main apne zazbateion ko sambhal pati................is liye main sakshi se milne chali gayi............." aur itna kehkar kavita fauran apni jagah se mudi aur seedha apne ghar ke taraf chal padi.................

wahin peechay khada suresh ka mooh poori hairat se khula tha.....................aankhein uski badi ho gayi thi...................sach to ye tha ki usey apne kanon par zara sa bhi vishwaas nahin ho raha tha.............wo waise hi kuch der tak bahar hi khada rehta hain.............fir apna sir khujata hua apne kamrey ki taraf chal padta hain.......................

**************************************************************************************

dusare din police station mein.................................

vinod ke chehrey par barah baje hue they..................is waqt usey apne aap par to gussa aa hi raha tha...........saath mein uske staff ke jitne bhi members they unpar bhi gussa aa raha tha............aur aata bhi kyon na................itne din ho gaye they aur police un sab katlon ka ek bhi suraag tak pata nahin laga payi thi.............

"mere poorey carrier mein aisi ghatnaa aaj tak kabhi issey pehle nahin hui...............kaatil ka ek bhi soorag tak nahin mil paa raha........upar se hum aabhi tak is 26 number pe aakar aatke pade hain..............jab 26 khoon aur ho jayengey tab hum kuch karengey kya!!!!!!!!................rajesh.................mujhe progress report do.................ye media wale to aur naak mein dum kar rakhe hain..............pata nahin in salon ki gand mein kaun sa keeda humesha ghusa rehta hain jo inhein humesha katata hi rehta hain..........khud to ye na kabhi sootey hain aur na humien chain se kahin soney dete hain..........." aur is baar vinod jhallata hua bol pada..............tabhi uske mobile ki ring baj uthi....................phone doctor ka tha.................

" sir......................aapko ek baat batani thi...............kal ke un do doctors ki hatya ki postmortem report aab aa gayi hain................jo main aapko aab batane wala hoon usey sunkar apko vishwas nahin hoga................." aur udher se doctor apni baat kehta hua kuch der ke liye chup ho jata hain wahin agle hi pal vinod jhallata hua bol padta hain............

" kya vishwaas nahin hoga.....................tum yehi kehna chahtey ho na ki un do doctors ki hatya un do murdon ne ki hain...............yehi baat hain na............" aur vinod jaise gussey se tilmila jata hain wahin wo doctor chup hokar fir se bol padta hain............

" arey waah!!!!!! .......aapko kaise pata chala sir.................." agle hi pal wo doctor turant bol padta hain wahin vinod ka gussa aur satwey aasman par chadh jata hain............

" aisa hain tum apni lab band hi kar do..................koi fayda nahin hain tumhara ye lab chalane se.............arey doctors to police ko help karney ke liye koi na koi clue dete rehtey hain.............aur ek tum ho ki clue bhi de rahe to sirf murdon ka.................agar izazat do to main in murdon ki giraftari ka warant nikalwayun...............iam sorry doctor!!!!!!!!!! iam so sorry.......................main is samay poori tarah se disturbed hoon..............i will call you back......................" aur is baar vinod apna phone gussey se katata hua table par fenk deta hain..........aur apne dono haathon se apna chehra chupata hua fir se apni soch mein doob jata hain wahin staff ke sare members taktaki lagaye vinod ko bus dekhey jaa rahe they............

kuch der tak aise hi khamosh rehney ke baad vinod apne chehrey se apne dono haathon ko hatata hain aur sabki taraf ek nazar dalta hua " iam sorry............."bus itna kehta hua fauran us policestation se bahar ki taraf nikal jata hain wahin sabhi staff ke log bus usey hi dekhey jaa rahe they.......na hi kisi ne vinod ko rokney ki koshish ki.......aur na kisi ne kuch poochney ki.............

***************************************************************************************************

raat ke 9 baje they...........bahar sadkein poori tarah se veeran aur soonsan thi.................vinod khana khakar us soonsaan sadak par akele tehal raha tha..............sardi ka mausam tha to raat ke 9 baje bhi bahut zyada raat lagti thi............kyon ki log zyadatar apne gharon se bahar nahin nikalte they.............waise to vinod ko chain apne kamrey mein bhi nahin tha is wajah se wo apne room se bahar akele tehal raha tha...............aur apne aapko behlane ki koshish kar raha tha................magar dimag mein aab bhi wahi sab sawal ghoom rahe they jinke jawab usey aab tak nahin mile they...............

kuch der tehalney ke baad usi sadak par ke khoobusat si ladki aati hui dikhayi di.....uske haathon mein ek bada sa bag tha.................usney ek safed rang ka suit pehnahua tha............dikhney mein wo behad hi khoobsurat aur aakharshak lag rahi thi..........jisey dekhney ke baad kuch pal tak vinod taktaki lagaye usey hi bus dekhta raha...........jab wo ladki vinod ke paas aayi wo uske taraf haule se muskuratey hue usey bade gaur se niharney lagi.............wahin vinod bhi chaah kar apni nazrein us ladki ke chehrey par se nahin hata paa raha tha...........

" zara suniye.....................kya aap bata sakte hain ki yahan se tezpur kitni door hain..............main sehar se aa rahi hoon.................gadi late hone ki wajah se raat mein kuch samajh nahin aa raha ki main is waqt apne ghar kaise jawun............" samney khadi wo ladki apne haathon mein ek parchi vinod ki taraf dheere se badhati hui boli.........wahin vinod to jaise us ladki ki khoobsurati aur uski meethi boli mein jaise doob sa gaya tha.................

" zara batayengey mujhe aap ye address..............." aur is baar us ladki ne us parchi ki ore ishara karte hue .........vinod ki taraf dekhti hui dheere se bol padi wahin vinod bade dhyaan se us parchi ki taraf ek tuk deney laga..........................jispar likha tha.......................

" aman villa....................... Bunglow no 26 .............tezpur..............."



To Be Continued....................................................
 
Last edited:
  • Wow
Reactions: Ek anjaan humsafar

Ajaykumar82

Time & Tide Waits For None
2,753
9,227
159
Agar aap sab is thread par ek bhi reply ya comment nahi karenge to main aagey jaise likh pawunga...likhney ka hausla mujhe aap sabse hi to milta hai.. mana ki dp saal main gayab tha uske liye aap sab se rehta dil se sorry mangta hoon aab ye kahani poori khatam karke hi yanah se jawunga.. pls support this thread also...aap sab ke valuable comments ka besabri se intezar rahega..
 
  • Like
Reactions: RAAZ

The Mummy

New Member
95
63
18
Agar aap sab is thread par ek bhi reply ya comment nahi karenge to main aagey jaise likh pawunga...likhney ka hausla mujhe aap sabse hi to milta hai.. mana ki dp saal main gayab tha uske liye aap sab se rehta dil se sorry mangta hoon aab ye kahani poori khatam karke hi yanah se jawunga.. pls support this thread also...aap sab ke valuable comments ka besabri se intezar rahega..
Your writing is really excellent and enjoyable. Please give more importance on this story ''

Ufff......Ye Kaisi Pyaas...........(A Story Of Housewife) there are a lot of comments on this story.​

 
  • Like
Reactions: Ajaykumar82

Ek anjaan humsafar

Well-Known Member
2,901
4,037
143
thanks laot yaara for reading this stoery....................sare raaz se parda uthega magar dheere dheere..............26 ka jo bhi locha ho wo sab ke samney aayega hi..........bus aise hi apne ideas dete rhiyega taki mujhe bhi likhney ki himmmat milti rahe..................keep reading yaara...........
Bahut hi badiya thiller story ✍️ Likh rahe ho, dear bro 👍. Shuruwaat lekar ab tak ke updates ✍️ bhi kamaal ke they, Kabhi darawani, Kabhi mazaakiya, Kabhi investigative, etc. Jo is story ✍️ KO curious & mystery bananae mein kaafi madad Kar rahe they. Abhi is update mein kuch baatein khulne lagi Hain Jaise us rooh KO moin ke dwaara Saakshi kehlaana aur 26 no. Ke Ghar mein Avni KO bhayanak Sapna aana, uska cheekna aur jaagna - well, it seems you are on the right track, dear bro👌. Wish you maintain this tempo till the end 👊 of this thriller 💥. Regards 💖, one of your silent readers
 
  • Love
Reactions: Ajaykumar82

Ek anjaan humsafar

Well-Known Member
2,901
4,037
143
Update- 08 (B) (Megha Update)

vinod us bed ke paas jata hain aur bade gaur se samney ke do bed ko ek tuk dekhney lagta hain...............fir neechay jab uski nazrein us bed ke token par padti hain to uske chehrey ka rang jaise feeka padh jata hain.............

" billa no 26, billa no 27,..........sala yahan bhi 26 number.............kahin ye wahin 26 to nahin jiska jikra us din us road ke kinarey hua tha............." yani ki ye do laashein yahan se gayab hui thi...............wahin vinod ke dimag mein fir se wahin 26 number ka khyaal aata hain jo un accidents ke dauran usey mili thi.......ek baar fir se uska dimag tezi se kaam karna shuru kar diya tha................26 number mein wo bhi ek baar fir se ulajh gaya tha...........

" ye do laashein kahan gayi ram singh....................isey tumne kitne mein bech diya.............aur kisey......................." aur vinod jaise ram singh ko dekhkar agla sawal karta hain wahin ram singh fir se khamosh khada rehta hain...........

" dekho ram singh................seedhey tarike se sab kuch sach sach bak do...........agar mere sare sawalon ke jawab nahin mile to fir tum soch lena ki main tumhra kya harsha karney wala hoon............" aur vinod jaise fir se ram singh ko dhamkata hua bol padta hain wahin ram singh fir se khamosh rehta hain.........


" khair nahin batana chahtey ho to tumhari marzi............main tumhein force nahin karunga.............magar baad mein jo tumhare saath hoga fir tum mujhe dosh mutt dena............" aur vinod jaise ram singh ko warn karta hain wahin ram singh vinod ke parion mein gir padta hain...........

" main sab kuch batunga saheb ji........mujhe kuch mutt karna..........." aur ram singh jaise apni jubaan kholta hain wahin vinod aagey kehna shuru karta hain.........

" sabse pehle tum mujhe ye batawo ki itne chote se sehar mein itna bada murdaghar kya kar raha hain..................aakhir aisi kya baat hain jo is chote se sehar mein itne bade murdaghar banawaney ki zaroorat padi..................seedhey seedhay mujhe saaf saaf jawab chahiye............warna mera dimag fir gaya to tumhari naukari to jayegi hi.................tum bhi kai salon ke liye jail mein sadogey........................." aur vinod gussey se ram singh ke taraf dekhney lagta hain wahin ram singh ke chehrey par pasiney ki boondein saaf nazar aane lagti hain.............jo is thand ke mausam mein aani thodi ajeeb zaroor thi................

" saheb..............agar maine kuch bola to wey log mujhe jaan se maar dengey......................." aur ram singh dubara se vinod ke pairon mein gir padta hain wahin vinod gussey se aab bhi usey ghoorey jaa raha tha..........

" agar tumne nahin bataya to main tumhein jaan se maar dunga.................aab faisla tumhein karna hain ki tum marna kiske haathon se chahtey ho...........mere ya.............un sab ke.............." aur is bar vinod ram singh ke dono collar ko pakadta hua usey gussey se ghoorney lagta hain wahin ram singh darta hua apni jubaan dheere se khol deta hain...........

" mujhe kuch mutt kijiye saheb.................main bekasoor hoon.............main bus chand rupyon ke liye unke haathon bik gaya tha...................ye morgue room seth mohanlaal ka hain...................aur wo hi isey yahan kuch saal pehle banwaye they...................taki yahan par zyada laashon ko ek saath rakha jaa sake....................." aur ram singh dheere se bol padta hain wahin vinod uspar jaise gussey se chillla padta hain...........

" taki wo un laashon ke pet ko cheerkar usmein drugs aur heroine jaisi cheezon ko bharkar .............ek sehar se dusare sehar mein smuggle kar sake...........hain naa................aur kya dimag lagaya hain...........laashon ke pet ke ander druga, afeem,charaas............heroine.............aur gadi bhi choice ki to ambulance van.............taki kabhi kisi ko koi shaq na ho sake..............waah..................duniya mein aise ghatiya bhi log hain aaj maine itn kareeb se jana hain.............

waise tumhari jankari le liye main bata doon barkhurdaar ki jo do log tumhre yahan kal laash lekar gaye they unki maut kal raat hi ho chuki hain............waise tumhein bhi is baat ki jankari ho hi chuki hogi........kyon ki kale dhadhey karney wale log ki social activiteis bahut tezz jo hoti hain..............aur unka network bhi kafi strong rehta hain...............isi ki aad mein wey apna busssiness aachey se chalatey hain..........maine sahi kaha na................

aab tum ye bhi bata do ki ye log in laashon ko aakhir le kar jate kahan hain.............aakhir koi to aisi jagah........aisa thikana hoga jahan ye log in laashon ko lejakar usmein dher sara drugs wagerah bhartey hongey...............aur fir wahan se in laashon ko silkar raaton raat is sehar se bahar bhej dete hongey.................khair..................bahadur.................tum sabse pehle is morgue room ko seal karo...................main bhi dekhta hoon ki aaj ke baad kaun si laash kab............kaun yahan se bahar nikalti hain...............aur ek kaam aur karo............yahan jitne bhi laashein hain un sab ko ek saath jalaney ka intezam karo..............na ye laashein rahengi ........................aur na hi ye dhanda phalega phoolega......................aakhir main bhi to dekhun ki ye mohanlaal hain kaun!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

aisa lagta hain mujhe is mohanlaal se bahut jald mulakaqat karni padegi.................usi se milney ke baad aur bhi sare raaz se paarda uthega................" aur vinood fir se apne soch mein doobata chala jata hain dekhna ttha ki aane wale waqt ko aagey kya manzoor tha......................

Till Continued...............................
Aakhir, Ram Singh ka raaz khul hi Gaya aur Vinod ke saamne majburan Apna sacchayi batana pada jiske baad us morgue seal hua aur laashon Ka tikhana bhi laga, acchi baat hui aur Mohanlal ke ultiginti chaalu, bahut khoobi. Ab intezaar 😵 rahega hamein kuch aur turning points KO dekhne ka moukha 👁️👁️👁️👁️👁️👁️👁️
 
  • Like
Reactions: Ajaykumar82

Ek anjaan humsafar

Well-Known Member
2,901
4,037
143
Update- 09 (A) (Megha Update)

aisa lagta hain mujhe is mohanlal se bahut jald mulakaat karni padegi.................usi se milney ke baad aur bhi sare raaz se paarda uthega................" aur vinod fir se apne soch mein doobata chala jata hain dekhna tha ki aane wale waqt ko aagey kya manzoor tha......................

Ab Aage............................................

Vinod bhale hi khamosh tha magar uski nazrein aabhi bhi ram singh par hi jami hui thi...................wo uske jawabon ka intezar kar raha tha magar ram singh shayad apna mooh nahin kholna chahta tha............aur kholta bhi kaise..................uske dil mein mohanlal ka durr jo baitha hua tha...................

" mujhe tumhara jawab chahiye ram singh..................wey log in laashon ko aakhir kahan le jate hain..................koi to aisi jagah hogi jahan ye sab gair kanooni kaam zor shor se chalta hoga.............." aur vinod gussey se fir ram singh ke chehrey ko ghoorney lagta hain wahin ram singh is baar vinod ke samney apne dono haathon ko jod leta hain................aur jawab mein apna sir naa mein hila deta hain...........

" main sach kehta hoon saheb..............main issey aagey aur kuch nahin janta..............jitna main janta tha utna main aapko bata chuka hoon..............aap mera vishwaas kijiye...............aur mujhe yahan se aab jane dijiye..............aagey se main kabhi aisa koi galat kaam nahin karunga............." aur ram singh vinod ke samney fir se faryaad karney lagta hain wahin vinod bade gaur se ram singh ke chehrey ko ek tuk ghoorey jaa raha tha...............kuch der tak vinod khamosh rehta hain fir wo bahadur ki taraf dekhta hua dheere se hans padta hain..........

" theek hain barkhurdaar...............tum agar kehtey ho to main tumhari in baateion ko sach maan leta hoon..................aab tum poori tarah se azaad ho.............tum chahe to yahan se aab jaa sakte ho..............magar tum aab yahan dubara dikhogey nahin.............." aur vinod ram singh ke kandhon par apne haath rakhta hua uski taraf dekhkar dheere se musukra padta hain wahin samney khada bahadur bade gaur se vinod ke chehrey ko dekhney lagta hain............usey bahut ajeeb sa lag raha tha vinod ke aise badle hue tewar ko dekhkar............

" saheb.....................aap aise kaise ram singh ko jane de sakte hain...........ye bhi utna hi gunehgar hain jitne wey log.............." aur bahadur ko jab raha nahin jata tab wo apne dil ki baat jubaan par laa deta hain wahin vinod uski taraf dekhta hua dheere se muskura padta hain..........

" tumhari baat sahi hain bahadur.................ye gunehgaar hain..............magar jab insaan sudharney ki koshish kare tab usey saza nahin balki uska hausla badhana chahiye ki wo aab dubara se kabhi galat raaste par na jaye................" aur vinod ram singh ki taraf dekhta hua dheere se hans padta hain wahin ram singh ke chehrey par aaye khauff aur durr pal bhar mein gayab ho jate hain............aur wo bhi jawab mein dheere se hans padta hain........

" thankyou sir ji........................main aapse vaada karta hoon ki main aagey se kabhi aisa koi kaam nahin karunga.................." aur ram singh itna kehta hua wahan se khushi khushi chala jata hain wahin bahadur ko aab vinod ke us rawaiye par gussa aane laga tha.............vinod bhale hi uska senior tha to kya hua magar aaj uske dil mein vinod ke prati wo izzat thodi kum zaroor ho gayi thi..............aur hoti bhi kyon na .........wo bhi aab gunehgaaron ka saath dene laga tha...........

" saheb.................ye aapne ram singh ko aise chodhkar theek nahin kiya................wo bhi barabur ka gunehgaar tha..............." aur bahadur dheere se apni baat khatam karta hain wahin vinod uski taraf dekhta hua fir se muskura deta hain...................

" lagta hain bahadur ki tumne mujhe aab tak theek se nahin pehchana..................wo kya hain na police wale agar kuch hutkar na sochey to wo katil ko kabhi pakad hi nahin sakte..............kyon ki kaatil humesha unse do kadam aagey ki sochta hain............agar humein unhein pakadna ho to humein unse char kadam aagey ki soch rakhkar chalna padega...................." aur vinod fir se apne mooh mein cigar rakhta hain aur usey jalatey hue bahadur ki taraf bade gaur se dekhney lagta hain..............wahin bahar ke chehrey par hairani aur sawalon ke badal saaf nazar aa rahe they..............

" matlab..............main kuch samjha nahin sir.............aap kehna kya chahtey hain................." aur bahadur apne sir par lage topi ko sahi karte hue fir dheere se bol padta hain..........

" tum nahin samjhogey barkhurdaar.........chalo main tumhein samjha deta hoon...............agar main ram singh ko is waqt giraftaar kar leta to wo bhale hi kitna bhi maar khata magar wo apne maalik ke saath kabhi gaddari nahin karta.............wo kyon.............pata hain..............kyon ki mohanlaal usey paise hi nahin deta............balki wo un paison se uske gharwalon ko bhi dekh rekh karta hain..............aur jahan ram singh apna mooh kholta..............mohanlal ram singh ke parivaar walon ko zaroor kuch na kuch karta.............jissey ram singh ander hi ander toot jata............aur uske dil mein mohanlal ke prati durr humesha bana rehta.......

ek baat aur..................hum dushman ko usi ke waar se maarengey................aur tum yehi soch rahe ho na ki maine ram singh ko aise kyon jane diya............chalo main tumhare sare sawalon ka jawab de deta hoon..............

pehli baat.............ki humne is morgue room ko seal kar diya..............jissey ram singh ke rozi roti par laat pad gayi...............do chaar dus dinon mein usey paison ki zaaroorat padhney hi wali hain.......................agar usey kahin se paise nahin mile to wo mohanlaal se contact zaroor karega.......chahe direct.............ya indirect.............

itna to tay hain ki wo aaj bhale hi chup baith jaye magar wo mohanlaal se contact karney ki kabhi na kabhi to koshish zaroor karega.................aur mujhe to lagta hain ki uske paas un doctors ke bhi numbers hongey jinhein wo laashein supply karwaya karta hain...........usi ke zariye hum un logon tak aasani se pahunch bhi jayengey..........maine tumse pehle hi kaha tha bahadur ki is ram singh par ek aadmi laga do.........uski nigrani ke liye..................aur fir iska phone tab karo...................wo kissey milta hain..............

kahan jata hain.......kya karta hain..............uski phone ki sari calls ki record mujhe chahiye..............aakhir main bhi dekhta hoon ki wo kab tak meri nazreion se bachta hain.......uske baad to ye sab log jail ke salakhon ke peechay hongey......................" aur viond jaise apne dil ki sari baat bahadur ko batata chala jata hain wahin bahadur ki aaankhon mein dubaraa se chamak aa jati hain..............

jitni galatfehmi aabhi wo kuch der pehle apne saheb ke bare mein usney pal rakhi thi aab sari galatfehmi uski door ho gayi thi..............ek baar fir se uske chehrey par muskaan thi............magar Vinod aab bhi apne khyalon mein khoya hua tha...............

" kya hua saheb........aab aap kis soch mein doob gaye.............." aur bahadur fir se bol padta hain wahin vinod cigar ke dhuweyin chodhta hua aagey kehna shuu karta hain...........

Continue..................................................................
Bahut hi badiya update ✍️ tha Bhai 👌. Bahadur Vinod ki mastermind KO pehchaan na payaa kaise Ramsingh KO jaane dekar uspar aur uski phone par Kadi nigaraani laga Raha👀, acchi chaal bichaya Vinod ne toh 🆒.
 
  • Like
Reactions: Ajaykumar82

Ek anjaan humsafar

Well-Known Member
2,901
4,037
143
Update- 09 (B) (Megha Update)

" bahadur...............ye 26 ka chaakar meri samajh mein nahin aa raha...................kuch to raaz chupa hua hain in numberion ke peechay................aakhir ye 26 number ho kya sakta hain...............yahan bhi laash ka number 26...............tumhare hisab se agar wahan koi rooh hain bhi to wo kyon logon ko alag alag tarike se maar rahi...................jahan tak maine suna hain ki rooh ek hi tarike se logon ko marti hain...............

dusara sawal...............kahin us 26 number se wo rooh humein is baat ka to ishara nahin kar rahi thi ki agla jo maut hua tha wo 26 number ke laash ne unhein mara hain......................ya unhi sab ki wajah se..............26 to kisi ki umra bhi ho sakti hain.............26 us jagah se kisi jagah ki doori bhi............26 koi bank ya locker ka number bhi........sala dimag ghoomakar rakh diya hain is case ne...............agar ye maut ka silsila yu hi chalta raha to police ki badnaami bahut jald honi shuru ho jayegi...............is liye humein jald se jald koi thosh kadam uthana padega............." aur vinod lumbi saans chodhta hua apni baat khatam karta hain wahin bahadur bhi apne soch mein doobta chala jata hain..........

bahadur issey pehle kuch kehta.................tabhi vinod ka mobile baj uthatha hain..................vinod fauran apne jeb se mobile phone nikalta hain aur samney usey us doctor brijnarayan ka number nazar aane lagta hain..................

" kya baat hain doctor saheb......................postmortem ki report aa gayi kya!!!!!" aur vinod cigar ke dhuwon ko fir chota hua dheere se bol padta hain wahin brij fir aagey kehna shuru karta hain............

" haan aa to gayi hain.................magar main aapko is waqt koi bhi baat phone par nahin bata sakta...............aapko agar janana ho to aap fauran mere phorensic lab par chale aaiye.................main aapko sab kuch detail mein samjha bhi dunga aur........ dikha bhi doonga................" aur itna kehta hua brij fir apna phone cutt kar deta hain wahin vinod apni car leta hain aur fir fauran us doctor se milney uske lab ki taraf chal padta hain...........

*****************************************************************

kamrey mein is waqt gehri khamoshi chayi hui thi...........na hi vinod kuch bol raha tha aur na hi bahadur.......aur na hi samney baitha hua wo doctor.............haan samney bed par 4 laashein rakhi hui thi................jo kal ke hue us ghatna ko fir se ujagar kar rahi thi..................

" in laashon ko dekh rahe ho na inspector...................aab jo main tumhein batane jaa raha hoon usey sunakar tumhare hosh udd jayengey....................kyon ki jo inke saath hua hain wo kisi normal insaan ka kaam to ho hi nahin sakta.................." aur brij itna kehkar fir se chup ho jata hain wahin vinod taktaki lagaye brij ke chehrey ko dekhney lagta hain..............wahin bahadur bhi baitha hua chup chaap se us doctor ko dekhey jaa raha tha....

" kal hue jawed aur moin ki mautein ki wajah sirf ye dono hain.....................in dono ne hi inhein mara hain........aab tum chahe yakeen karo ya na karo..............magar ye sach Hain........." aur brij itna kehta hua fauran apni kursi se uth jata hain aur ek ek kar un laashon ke mooh aur haath par se us kafan ko hataney lagta hain.............wahin vinod aur bahadur bhi uske peechay peechay chal padte hain...................wahin vinod ka chehra is waqt dekhney layak tha...............wo fati hui aankhon se brij ke chehrey ko bade ajeeb dhang se ghoor raha tha...........

" what do you mean..........!!!! ye aap kya bak rahein hain doctor.................bhala kya kabhi koi laash kisi insaan ka katal kar sakti hain................its impossible.................kahin aisa bhi to ho sakta hain ki aapki ye report galat ho..........................." aur vinod ke chehrey par hairani ke badal fir se umad padte hain.............wo bade gaur se brij ke chehrey ko ghoorey jaa raha tha..............

" tumhara kehna sahi hain inspector......................aisa ho sakta hain ki meri banayi report galat ho................magar kya ek hi report ko baar baar test karney par kya same result nahin aayega...........ofcourse aayega.................agar sare tests sahi ho to.........................ismein fir shaq ki koi gunjayish nahin............" aur brij agey badhta hua un sare report ko vinod ke haathon mein fir thama deta hain wahin vinod bade gaur se un sare reports ko ek ek kar padhney lagta hain...........poorey reports ko dekhney ke baad uske chehrey ka rang jaise feeka padh jata hain...............

" ye dekh rahe ho in do laashon ke haathon ko.................aur is ladki ko bhi dhyaan se dekho...............is ladki par lage haathon ke nishan inhi dono ke hain.............ji ladki ko inke jism mein ghopa gaya...........aur fir unhein mara gaya..........................main janta hoon ki aisi baateion par vishwaas karna bahut muskhil hain magar ye sach hain.......jaise bhi ho magar kal raat wahan Jo kuch hua kuch waise hi tha...................." aur brij apne sare tarkh rakhta hua apni baat khatam karta hain wahin vinod ke chehrey ka rang uda hua sa nazar aata hain.................

" magar................aisa ho nahin sakta................." aur vinod ka maatha poori tarah se ghoom jata hain.......wahin brij fir aagey kehna shuru karta hain..........

" ek cheez aur.................ye dekho inke pet aur peeth ke hisson ko..............jo poori tarah se kale padh gaye hain.................ander se.............aur bahar se bhi............aise kale nishan moin ke pet aur peeth par bhi hain jaise jawed ke hain.................yani ki inka dil bhi ander se jalaya gaya hain..................magar is case mein thodi asamaanta hain...............inke marney ke baad jaise inka dil jalaya gaya tha............balki abdul wale case mein uski maut dil ke jal jane se hui thi...............bus yehi difference hain....................aur inke blood ke sample se ye bhi pata chala hain ki inki maut ka dusara wajah zyada matra mein drugs lene se hui.............aur us waqt tum hi kaho ki inke paas itni aadhik matra mein drugs kahan se aayi.............

nahin jante naa....................main batata hoon tumhein.................in laashon ke zariye..................kyon aur kaise.................ye to bus upar wala hi janta hain..............sach kehta hoon aise cases ke postmortem report banakar to mera bhi dimag ander se hil gaya hain..................jin cheezon ko doctors nahin maantey aab mujhe bhi aisi cheezon par vishwaas karna padh raha hain....................." aur brij lumbi saans chodhta hua taktaki lagaye vinod ke chehrey ki taraf dekhney lagta hain...............wahin vinod ke chehrey ka rang feeka padh chuka tha...................usey khud samajh mein nahin aa raha tha ki wo aab kya bole............

magar jo bhi tha................jaisa bhi tha................aab vinod apne badhaye hue kadam peechay nahin karna chahta tha.........anjaam chahe jo bhi ho..............jaisa bhi ho.........itne salon ki naukari mein aab tak usney apni poorey carrier mein na hi aisa case pehle kabhi suna tha..............aur na hi kabhi dekha tha....................usey to yakeen nahin ho raha tha ki wo is case ko kahan se fir chanbeen kare....................jo bhi wo idea laga raha tha sab uske iradon par jaise pani fir jata..............case jahan ka taha tha...................aab tak usey ek bhi safalta nahin mili thi.........mili thi to bus un lashon ke saudagar ke bare mein.................

*****************************************************************

raat ke 12baj rahe they........................aab un chaar laashon ko fir se paas ke ek chote se morgue room mein shift kar diya gaya tha aur..............mohanlal jis morgue ko chalata tha usey seal kar diya gaya tha..............aur uski chabi aab vinod ke paas thi....................us chote se kamrey mein sirf wahi 4 laashein rakhi hui thi...............is waqt wahan ghanghor andhera tha..............bahar ek choti si bulb jal rahi thi.................jissey bahut kum ujala nazar aa raha tha............

tabhi us morgue room mein ek hulchal hui....................moin jo is waqt laash ki tarah pada hua tha achanak se uski ek ungli dheere se hilney lagi............tabhi thode der baad jawed ke jism mein bhi hulchal hone lagi........................aur uski bhi ungli ek ek kar hilney lagi................achnak ek tezz gurhaahat ke saath pehle moin apni jagah se uthkaar us bed par baith gaya...................aur fir thode der baad jawed bhi usi andaaz mein uthkar baith gaya..................aur dono ek dusare ki taraf dekhtey hue fir dheere se muskura pade.....................................

Till Continued.................................................................
Terrifying update ✍️ dear bro 😱
 
  • Like
Reactions: Ajaykumar82

Ek anjaan humsafar

Well-Known Member
2,901
4,037
143
Update- 10(B) (Megha Update)

" theek hain doctor saheb..................hum aabhi usi jagah pahunch rahe hain.....................aap dono fauran aaiye..................." aur itna kehkar jawed phone rakh deta hain aur moin ki taraf dekhta hua fir se zoron se gurratey hue hans padta hain..............saath mein moin bhi zoron se gurratey hue hansey lagta hain.............

raat ke kareeb 1 baj rahe they....................wo dono doctor us kadakey ki thandi mein us jagah par apne timse se pahunch chuke they...................magar na hi unhein wahan koi ambulance (van) nazar aayi............aur na hi jawed aur moin khan......................wo dono ek dusare ki taraf idher udher dekhey jaa rahe they to kabhi samney ke us veeran se khandhar ke taraf.................tabhi us doctor ke mobile par fir se phone baja aur uske chehrey par muskaan fir se tair gayi...............phone jawed ka tha...........

" ander aawo doctor...................main ander hi hoon................." aur itna kehta hua jawed bina kisi jawab ka intezar karta hua fauran apna phone cutt kar deta hain wahin wo dono doctor ek dusare ka mooh dekhney lagte hain............fir kuch sochkar wo dono ander jane lagte hain..........magar saath mein aaya dusara doctor ke munn mein thodi ghabrahat aur jhijhak zaroor thi..............wo bar baar apne saathi ko mana kar raha tha.................magar paison ki lalach insaan ko aandha kar deti hain...........kuch aisa hi aaj us doctor ke saath bhi ho raha tha............

" mera baat maan................yaar mujhe kuch theek nahin lag raha...................wo dono sach mein mare jaa chuke hain..............its impossible................aur mare hue log zinda nahin hote..................zaroor kuch to gadbad hain................ye tera bhram hain aur kuch nahin.............." aur dusara doctor apne saathi ko sachet karta hua dheere se uska baah pakadkar rok leta hain wahin wo uski baateion ko ansuna karta hua aagey aagey us veeran se ghar ke ander jane lagta hain.............

magar jaise hi wo us darwaze ke paas pahunchta hain samney ka darwaza jo ki poori tarah se sata hua tha..................uspar lock nahin tha.................issey un doctors ko yakeen ho jata hain ki ander sach mein koi hain...........magar kaun....................ye kehna zara muskhil tha...............

jaise hi wo dono us kamrey ka darwaza kholte hain darwaza cchhhhhhhhhhhhhhhaaaaaaaaaaaaaaaaaaarrrrrrrrrrrrrrr ki awaaz ke saath dheere se khul jata hain..............aur kamrey mein ek ajeeb si smell unhein mehsoos hone lagti hain.................jaise koi ajeeb si badboo ki.................shayad sade hua maans jaisi................ya waisa hi kuch.................

" jawed......................dekho main aa gaya.........................tum kahan ho................." aur wo doctor thodi unchi awaaz mein bol padta hain magar uske sawalon ka jawab usey nahin milta....................haan upar ek seedhi thi jispar kisi ke chalney ki aahat ttttthhhhhhaaaakkkkkkkkkk tttthhhhaaaaaakkkkk,..... jaisi awaaz saaf sunayi de rahi thi........................kisi ke jooton ki awaaz..............ander ek choti si khidki bhi thi jiska darwaza kabhi khul raha tha....................to kabhi band ho raha tha....................us khidki ke bahar peechay ghana jungle tha..................magar poornima ki raat hone se bahar saaf saaf us chandrma ki roshani mein saaf saaf nazar bhi aa raha tha.............

bahar kuch dhuwaan aur dhundh jaisa uth raha tha jissey us khidki ke peechay dhoondhla sa dikhayi padh raha tha....................pehla doctor bade dhyaan se us khidki ke bahar ki taraf apni nazrein gadaye dekh raha tha..................wahin jawed ne jiske paas phone kiya tha wo doctor ander kamrey mein jane laga aur us kamrey ke ander aati hui us awaaz ka peecha karey laga...................jaise jaise uske kadam aagey ki taraf badh rahe they waise waise uske dil mein ghabrahat aur durr bhi badhta jaa raha tha...................magar na hi uske kadam ruke.....................aur na hi wo..............

kuch door jane par wo awaaz aani jaise band ho gayi......................wahin wo doctor idher udher apne charon taraf dekhney laga..................magar usey koi nazar nahin aaya..................fir usney apne mobile mein jawed ka number fir se call back kiya to uske chehrey par hairani ke badal chalak pade..............kyon ki wo number aab switch off aa raha tha..............

" kisey dhoodh rahe ho doctor...................mujhe naa.................main upar ke kamrey mein hoon................aa jawo................" aur fir se jaise awaaz aani band ho gayi aur uski jagah fir se ek gehri khamoshi ne gher liya..............wo doctor apne chehrey par aaye pasiney ko fir se poochta hua..................upar seedhiyon ki taraf dekhney laga magar usey upar koi nazar nahin aaya......................uske saath jo dusara doctor tha wo aab neechay khada khidki ki taraf dekhey jaa raha tha...............

kuch sochkar wo fauran upar ke taraf apne kadam badhaney laga.....................aur jaise jaise wo upar ki taraf jaa raha tha uske chehrey ka rang bhi feeka padta jaa raha tha.............

" dekho jawed..................ye mazak ka waqt nahin hain...................laash kahan hain................jaldi se tum laash le aawo aur mere hissey ka maal mujhe do.............." aur wo doctor thoda gussa mein badbada hua upar seedhiyon ki taraf chadhney laga...............jaise hi wo upar kamrey mein gaya samney ek lakdi ki kursi uske opposite side mein rakhi hui nazar aayi..............jispar koi baitha hua tha................us kursi ke upari hisson par kisi ladki ke baal sirf nazar aa rahe they.................aur kuch hissa uske naram mulayam haathon ke bhi....................jisey wo doctor lalchayi hui nazreion se dekh raha tha.................

"kaaaaauuunnnnnnnnnnnnnn ho tummmmmmmmmmmmm..................aur yahan kaise aayi............" aur wo doctor thoda sa haklata hua dheere se bol pada.............wahin wo saaya aabhi bhi us kursi par baith hui thi.............

udher wo dusara doctor ki nazrein bahar uth rahe us dhuyein par thi...................jisey wo aab bhi bade gaur se dekhey jaa raha tha...............dheere dheere wo dhuwaan ek aakriti ka roop le rahi thi...................jaise koi chehra bana rahi thi..................aur jaise jaise wo dhuwaan aur dhundh jab aur bhi gehra hota gaya...............usmein se jo aakrit bhi banti hui dheere dheere aur saaf nazar aane lagi......................aur kuch der baad jab us dhuwaan aur dhundh se milkar jab ek tasveer ubharkar us doctor ke samney aayi to us doctor ki jaise cheekh nikal padi.........................

ye aakriti sakshi ke chehrey ki hi thi.............jispar us doctor ki nazrein aab tak jami hui thi....................uske mooh se ek bhyanaak si cheekh nikal padi aur wo wahan se jaise hi bhagney ke liye peechay muda.....................samney usey moin khada hua laash ke roop mein nazar aaya....................jo usey dekhkar zoron se thahaka marta hua hans raha tha..................

" nahinnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnn aisa nahin ho sakta......................tummmmmmmm to murr chuki ho..................." aur wo doctor aagey kuch kehta moin ki laash ko aise apne samney aise khada hua dekhkar uske jaise hosh udd jate hain....................uske mooh se jaise bolti band ho chuki thi....................moin ke haathon mein ek lakdi ka tukda tha...............jiska ek sira bahut nokhila tha....................wo fauran us lakdi ke us tukdey se us doctor ke parion par humla kar deta hain.....................vaar itna sateek aur tagda tha ki wo lakdi ka tukda us doctor ke janghon ko cheerta hua uske aar paar ho gaya tha...................

wahin wo doctor dard se ladkhata hua............. cheekhta hua...........farsh par gir padta hain aur apne pair pakadta hua zoron se aaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhh...........chillaney lagta hain.....................moin ye dekhta hua dheere se hans padta hain......................uske chehrey par kate pite nishan they.................aankhein badi badi...................aur chehra kafi bhayanak sa nazar aa raha tha....................aabhi bhi uske jism ke kuch hisson par lakdi ke tukdey dhasney ke gehrey nishan they....................

moin uske paas jakar uske baju mein baith jata hain aur uske pairon se beh rahe taaze taaze khoon ko bade dhyaan se dekhney lagta hain...............aur jeebh nikalte hue us doctor ki taraf dheere dheere muskuraney lagta hain................wahin us doctor ki poori tarah se futt gayi thi.................usey kuch soojh nahin raha tha ki wo kya kare..............wo itna to samajh chuka tha ki uski maut aaj pukki hain...............

"nnnnnnnnnnnnnahhhhhhhhhhhh aaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhhhhhh...........kaun ho tum....................mujhe jane do......................tum moin nahin ho sakte................" aur wo doctor cheekhta hua bol padta hain wahin jawab mein moin apna jeebh nikalta hua uske janghon par le jata hain aur uske janghon se beh rake khoon ko chatney lagta hain...............wahin wo doctor dard se cheekhey jaa raha tha....................

" tumne sahi kaha doctor................main moin nahin hoon................moin to kal raat mur chuka tha.............tujhe drugs ka bahut shauk hain naa......................aaj tujhe itna drugs main lakar doonga ki tu apni zindagi mein itne sare durgs kabhi dekhney bhi nahin hongey......................" aur moin itna kehta hua us lakdi ke tukdey ko fir se us doctor ke janghon se kheenchta hua bahar nikalta hain wahin wo doctor ki dubara se cheekh nikal jati hain....................

lakdi ka ek hissa us doctor ke khoon se poori tarah sana hua tha........................issey pehle wo kuch samajhta moin us lakdi ke tukdey ko kaskar jhatka deta hain aur is baar uske dusare jaanghon ko us lakdi se aar paar kar deta hain...............wahin us doctor ki dubara se fir cheekh nikal jati hain aur wo poori taqat se cheekh padta hain.....................aab wo uski mazboori thi ki wo wahan se bhaag bhi nahin sakta tha................wahin moin uske baju mein baitha hua usey dekhkar dheere dheere muskura raha tha....................

udher jaise hi wo dusara doctor us kursi ke kareeb jata hain aur jaise hi apna haath us ladki ke kandhon par rakhta hain tabhi wo saaya apni jagah se khadi hoti hain aur jab wo uske taraf ghoomati hain....................idher is doctor ke mooh se bhi ek zordaar cheekh nikal padti hain.................maut ka bhyanak manzar fir se shuru ho chuka tha...................................

Till Continued............................................
It's payback time for those doctors urf merchants of Death 😤. Well planned & executed revenge action by Sakshi thro' Jawed & Moin👽.
 
  • Like
Reactions: Ajaykumar82

Ek anjaan humsafar

Well-Known Member
2,901
4,037
143
Update- 11(A) (Megha Update)

udher jaise hi wo dusara doctor us kursi ke kareeb jata hain aur jaise hi apna haath us ladki ke kandhon par rakhta hain tabhi wo saaya apni jagah se khadi hoti hain aur jab wo uske taraf ghoomati hain....................idher is doctor ke mooh se bhi ek zordaar cheekh nikal padti hain.................maut ka bhyanak manzar fir se shuru ho chuka tha...................................

Ab Aage.....................................................

Us doctor ke chehrey par khauff aab saaf nazar aa raha tha.....................wahin uski aankhein durr se poori fail gayi thi..................wo apne samney khade us saaye ko bus dekhey jaa raha tha...................shayad aab bhi usey apni aankhon par vishwaas nahin ho raha tha.................wo saaya hawa mein 2 foot upar ki taraf uthi hui ...........usi safed suit mein............samney khade us doctor ko dekhti hui zoron se thahaka lagakar hans rahi thi..................

" nnnnnnnaahhhhhhhhhhhniiiiiiiiiiiiiiiinnnnnnnnnnnnnnnn............aisa nahin ho sakta..................tum to murr chuki ho........fir tum aise kaise zinda ho sakti ho...................." aur wo doctor samney khade us saaye ko dekhta hua badbadabey lagta hain.....................tabhi us kamrey mein fir se sakshi ke hansney ki zoron se awaaz goonj padti hain..................

" kyon nahin ho sakta.................bilkul ho sakta hain............jab tak tujh jaise insaan is dharti pe rahengey mere jaise log mukar bhi wapas aate rahengey...............tujh jaise kamine ka sarvanash karney ke liye.......................bhaag doctor aaj main bhi dekhti hoon ki tu kab tak aur kahan tak mujhse bhag sakta hain................" aur sakshi ke thahakon ki awaaz fir se goonjh padti hain wahin us doctor ke chehrey par pasiney aur bhi gehraney lagte hain...............durr se uska badan thar thar kaanp raha tha...............

tabhi wo doctor jaise hi bhagney ke liye peechay ki taraf mudata hain tabhi uske kandhey par kisi ka haath usey mehsoos hota hain................issey pehle wo kuch samajhta ya fir apni gurden peechay ki taraf ghumata.................tabhi uske daye taraf ke peeth par ek mota lakdi ka tukda dhansta hua uske peeth ke aar paar ho jata hain jo ki aagey uske seenay ko faadta hua kuch inch tak bahar nikal gaya tha................jispar aab khoon ke laal rang bhi saaf nazar aa rahe they............ya wo lakdi ka tukda uske khoon se jaise poora rang gaya tha..........ek baar fir se us doctor ki cheekh un waadiyon mein fir se goonj padi thi..............

"aaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhooooooooooooommmmmmmmmmmmmmmmmmmmmm............nahin..............." aur wo doctor jaise hi peechay mudata hain to uske samney jawed apni bhayanak si shakal liye usey dekhta hua zoron se hans raha tha.................aab bhi wo lakdi ka tukda uske jism mein dhansa hua tha..................wahin us doctor ke aankhon se dard bhare aansoon chalak pade they...............aur uske mooh se khoon ki kuch boondein bhi bahar nikal rahi thi.................aankhon mein dard saaf nazar aa rahi thi...................

jawed us doctor ke seenay ke aar paar hue us lakdi ke tukdon se tapaktey khoon ko lalchayi hui nazreion se bus dekhey jaa raha tha........tabhi wo apna haath aagey badhata hua us doctor ke un jakhmon par ek ungli gada deta hain aur apni usi ungli ko un zakhmon ko kuradtey hue usmein se behtey khoon ko apne ungliyon par se le jate hue usey apne jeebh se fir chatney lagta hain...............wahin us doctor ki dard se fir cheekh nikal jati hain.................wo wahan se ladkhadatey hue bahar ki taraf bhagney lagta hain magar dard ki wajah se wo theek se bhaag nahin paa raha tha................magar maut ka khauff usey aisa karney par pal pal mazboor kar raha tha.......

do chaar kadam aagey wo gaya hi tha ki tabhi jawed peechay se usey kaskar daboch leta hain aur uski gurden par apne nukhiley danton ko kaskar gadata hua uske gurden ko poori taqat se kaat leta hain..........jissey agle hi pal us doctor ki cheekh fir se un waadiyon mein goonj padti hain.............wo wahin dard se tadfadetey hue apne aapko jawed se behatasha chudaney ki nakam koshish karta rehta hain...............

"teeeeraa khhhoonnnn to baaaahuutt mazzzeedaaar haaaainnn doccctorr...................waaaaahhhh maaaazaa aaaaa gaaaaayaaaa..........." aur itna kehta hua jawed uski gurden se nikal rahe dher sare khoon ko apne jeebh se chatatey hue fir usey peenay lagta hain....................wahin wo doctor fir dard se chilla padta hain.................jaise taise wo apne aapko zoron se jhatakta hua jaise taise jawed se peecha chudata hain aur tezi se ladkhatey hue jaise taise wahan se bhagney lagta hain..............tabhi jawed ke hansi ke thahakon se wo mahool fir se bhayanak ho jata hain.............aaj usey apni maut bilkul apne kareeb nazar aa rahi thi.............

idher wo doctor tezi se bhagta hua kuch door jakar ek upar ke bane chote se kamrey mein kahin chup jata hain jo ki store room mein hi tha..............wahan operation ke sare saman bhi maujood they................aur wahan dher sara rui ka bhandaar bhi tha jo aksar operation ke dauran istemaal hota tha............wo doctor ek bade se rui ke peechay jakar chup jata hain aur apne upar ek bada sa rui ka packet dalkar khud ko jawed se chupa leta hain.............uske jism se dher sara khoon aabh bhi beh raha tha wahin jawed zoron se hansta hua us doctor ke peechay peechay chal padta hain..............

" doctor..............are wo doctor...............tum kaha ho..................mujhe tumhara khoon peena hain...............tumhara khoon to bahut hi mazedaar hain...............main bahut dinon se pyaasa hoon............tum kaha ho..............." aur jawed us kamrey mein pade ek lohe ki lumbi si sariya apne haathon mein uthatha hain aur usey lekar seedha us doctor ke peechay peechay ander bane us chote se kamrey ki taraf chal padta hain.................wahin doctor ka dard aur durr se aab bura haal tha.................wo theek se apni sansein bhi nahin le paa raha tha...............wahin uske jism se dher sara khoon behney se uspar aab behoshi bhi dheere dheere chaa rahi thi.............

" main aa gaya hoon doctor.........................tum kahan chupe ho..................dekho bahar aa jawo.............main sach mein kuch nahin karunga.............bus tumhara do chaar boond khoon peekar tumhein yahan se jane doonga................mera vishwaas karo..............." aur jawed guraata hua us kamrey mein daakhil ho jata hain wahin us kamrey mein ek zero watt ki hulki si bulb jal rahi thi jo us kamrey ko thodi roshan kar rahi thi.................

jawed us lohe ki sariya ko apne haathon mein liye idher udher ghoom raha tha...............beech beech mein wo us lohe ki sariya ko jameen par bhi patak raha tha .......ragad raha tha..............jissey us doctor ki aur bhi fati jaa rahi thi.............wo chote se soorakh mein jawed ke pairon ko hi dekh paa raha tha aur ussey andaza laga raha tha ki wo is waqt kaun se jagah par hain............maut ko aise itne kareeb dekhkar aaj sach mein uski futt gayi thi.................wahin uska dard se aab bura haal tha...........

jawed kuch der tak idher udher ghoomta hain aur jab usey wo doctor kahin nazar nahin aata tab wo farsh ki taraf bade dhyaan se dekhney lagta hain jahan aabhi bhi us doctor ke taaze taaze khoon farsh par gire hue they.................jisey dekhney ke baad jawed ki aankhein chamak jati hain aur wo us khoon ke boondon ko bade gaur se nihartey huwe apne samney ki taraf rakhe bade se rui ke bundle ke taraf bade dhyaan se dekhney lagta hain.............

fir wo jaise hi do kadam aagey badhata hain us doctor ki buri tarah se futt jati hain...............jawed thoda sa aagey badgta hain to usey rui ke kuch hisson par khoon ke daag nazar aate hain jissey usey poora yakeen ho jata hain ki wo doctor in rui ke bundle ke beech chupa hua hain...............kuch sochkar uske chehrey par ek gandi si muskaan tair jati hain aur wo fir se peechay ki taraf ghoom jata hain aur zoron se fir thahaka lagate hue hansney lagta hain...............

jaise hi jawed peechay mudata hain us docotr ki jaise jaan mein jaan aa jati hain aur wo rahat bhari saans leta hain..............idher jwed us lohe ki sariya ko apne haathon mein liye usey gol gol ghuma raha tha aur uske ek sire ki nok ko bade gaur se dekhey jaa raha tha..............uke chehrey par ek ajeeb si shararti muskaan thi............tabhi wo fir se peechay ki taraf ghumata hain wahin us doctor ki fir se fatt jati hain...............

Continue.........................................................
Maza aagaya 👻 Bhai , kamaal ke likh rahe ho, well done. Aage bhi badiye
 
  • Like
Reactions: Ajaykumar82

Ek anjaan humsafar

Well-Known Member
2,901
4,037
143
Update-12(B) (Megha Update)

sehar mein ho rahi maut se sab log pareshan ho gaye they.....................to vinod bhi chup nahin baithney wala tha............ek ke bad ek maut....................kal fir se do doctors ki maut ki khabar ko sunkar vinod ander se poori tarah baukhlaa sa gaya tha..................iska jimmedar wo khud apne police ke kuch officers ko maan raha tha jo apna kaam theek se imandari se nahin karte they................unse to wo baad mein nibat leta magar jo samasya is waqt uske samney mooh khole khadi thi uska kya kare usey koi raasta nahin soojh raha tha.............magar karna to tha hi...........chahe jo karna pade.........jis haal mein karna pade..........

**************************************************************************

shaam ke 7 baj rahe they......................is waqt sardi ke mausam ki wajah se log apne gharon se bahar nahin nikalte they..............upar se itni thand...............aur is sehar mein ho rahe aaye din vardaat..............logon ke dilon mein khauff to hona hi tha.................fir jisey kaam bhi rehta to bhi wo bahar nahin jata.............bhala kisey apni jaan pyari nahin hoti............usi raat mein kavita dheere se apne kamrey se bahar nikli aur apne samney wali ghar par jakar kuch der tak chup chaap si khadi ho gayi..................aur taktaki lagaye samney ke darwaze ki taraf dekhney lagi..............

wo kuch der tak samney band darwaze ki taraf dekhti rahi fir kuch sochkar uspar dastak di...............thode der bad ek 25 ya 30 saal ka ek naujawon samney khada dikhayi diya jo kavita ko dekhkar muskuraney laga...........

" arey kavita aunti ji...............aap...............aur is waqt yahan.....................koi kaam tha kya.............aaiye na ander................." aur wo saksh haule se muskurata hua kavita ko ander aane ka ishara karta hain wahin jawab mein kavita naa mein apni gurden hilati hui usey ander aane se saaf inkaar kar deti hain.............

" kaam tha tabhi to aayi hoon main tumhare paas................tumhari biwi hain kya is waqt................." aur kavita bade gaur se samney khade us saksh ke chehrey ko niharney lagti hain wahin wo saksh dheere se muskurata hua naa mein jawab deta hain..............

" aapko mujhse kaam hain ya fir meri biwi se............waise wo aaj hi subeh apni mayke chali gayi thi ...............baachon ke saath..............mere sasurji ki tabiyat thodi kharab thi is wajah se...............kahiye na baat kya hain.............sab theek to hain naa..........." aur wo saksh agal bagal dekhta hua dheere se bol padta hain wahin kavita apne ghar ki taraf ek baar peechay ki taraf mudati hain aur fir haan mein dheere se apni gurden hila deti hain..........

" kaam to tumse hi tha...........agar kaam na hota to kya main aati is waqt yahan.................chalogey mere saath ek jagah chalni hain...........suresh..............yahan se kuch door par..............mujhe kisi se milne jana hain............." aur kavita gehri saans lete hue apni baat kehti hain wahin samney khada saksh ajeeb si nazreion se kavita ke taraf dekhney lagta hain............wo bahut aachey se janta tha ki uski pados mein rehti kavita aunti kaisi aurat hain.............fir raat mein kisi se milney jana.............thoda to ajeeb lagega hi.............

" kissey milne jana hain......aur kahan.........bataiye to............." aur suresh fir se sawal karta hain wahin is baar kavita thoda zor se bol padti hain............

" tum apne kam se kam rakho........jagah thodi door hain aur raat mein saadhan nahin milta aise jagahon par..............agar lekar chal sakte ho to chalo..........nahin to koi baat nahin beta............main kisi aur ko dhoodh loongi..........aur itna kehtey hue kavita peechay mudati hui wapas jane lagti hain wahin suresh dheere se bol padta hain.........

" aap naraz kyon hoti hain aunti.............main chalunga aapko lekar.......kab aur kahan......bus mujhe ye bata dijiye.............." aur kavita apne seenay mein rakhi ek kale dhaagey mein badha kuch cheez nikati hui samney khade suresh ko deti hain wahin suresh bade dhyaan se uski taraf sawal bhare nazreion se dekhney lagta hain........

" ye kya hain aunti..........." aur suresh dheere se apna ek haath aagey ki taraf badha leta hain wahin kavita ek nazar uski taraf dekhti hui aagey kehna shuru karti hain.....

" ye taabiz hain beta..............isey tum apne gale mein pehan lo............baad mein bhale hi tum isey nikalkar fenk dena........magar jab tak tum mere saath rahoge bhagwaan ke liye isey tum apne jism se alag mutt hone dena............nahin to bahut dikkat ho jayegi................aur hum jayengey raat mein 11 baje jab meri beti soo jayegi tab.................humein tezpur se bahar us jungle mein jana hain wahan koi mera apna hain...............mujhe usi se milna hain...........aab please main tumhare aagey haath jodti hoon zyada sawal jawab mutt karna main baad mein tumhein sab kuch bata doongi.......

tum apni motorcycle nikalkar samney us chauk par khade rehna.....main theek 11 baje aa jawungi............" aur kavita bina sawal jawab kiye seedha apne ghar ke taraf chal padti hain wahin samney khada suresh taktki lagaye bus kavita to apne se door jata hua dekh raha tha..............jab tak wo apne ghar ke ander nahin chali gayi wo wahan bahar hi chup chaap khada raha...........apne haath mein taabiz liye hue..........

raat ke 11 baj rahe they........................sardi kafi thi aur sadkein poori tarah se soonsaan............is mausam mein siyaron ki bhoonkney ki awaazein lagataar goonj rahi thi jo is mahool ko aur bhi bhayanak bana rahi thi...............tabhi kavita ka darwaza khula aur kale shawl mein lipti wo dheere dheere chalti hui seedha samney ke chawk par jane lagi...............kuch door par usey ek kinare suresh apni bike liye khada mila........usney bhi overocat aur mooh par mufler pehan rakha tha...........haathon mein dastaney jo is kadkadi thand mein usey bacha rahi thi..........

jaise hi kavita suresh ke paas aayi wo usey ek 500 ka note dete hue uski gaadi par baith gayi......wahin suresh us note ko lene se saaf inkaar kar diya.......

" ye kis liye aunti................kya main aapke itna bhi kaam nahin aa sakta kya............" wahin kavita kuch nahin kehti aur chup chaap se suresh ke bike par baith jati hain aur suresh apni bike tezi se chalaney lagta hain...............

" tumne wo tabeez pehni to hain na suresh...............thode door pahunchkar kavita ne suresh se fir sawal kiya wahin suresh haan mein apni gurden dheere se hila diya.........

"ek baat poochon aunti.................aap bura to nahin manengi na..............." aur suresh bike chalata hua peechay baithi kavita se achahanak sawal pooch baitha..............wahin kavita ne usey poocheney ki anumati de di...........

" kya sakshi ki maut ek accident thi........................ya fir hatya................mujhe to aisa lagta hain ki kisi ne uski hatya ki thi................itni pyari aapki baachi thi magar bhagwaan ne usey aise............." aur suresh bike chalatey hua apne munn mein shak ko bhi door karney ki koshish karta hain wahin kavita kuch der tak khamosh rehti hain..............

" pata nahin beta.............jab wo humare beech hain hi nahin to aab sawal jawab karke kya fayda............" aur kavita zyada intrest na dikhatey hue apni baat khatam karti hain wahin suresh fir se agla sawal karta hain.............

"aapne kya kabhi police complain nahin ki.............."suresh aab us jungle ke paas pahunch gaya tha jahan us jungle ki aab shurwaat hoti thi..................

"police kuch nahin karegi..........ye sochkar maine koi karyawahi nahin ki............." aur kavita itna kehkar fir se khamosh ho gayi...........

" ye to wahin area hain na jahan har roz pichley kuch dinon se murder hote aa rahe hain..............to aap aise jagah par itni soonsaan jagah par aise kissey milne jaa rahi hain.............kya ye ki kaatil hain............aise jagah to shareef insaan reh hi nahin sakte......." aur suresh mazakiye andaaz mein kehta hua dheere se hans padta hain wahin kavita chup hi rehti hain.........

" kuch aisa hi samajh lo............" aur kavita baat ko bewajah badhana nahin chahti thi is liye usney chup rehna hi theek samjha.............

" beta..............aacha hoga ki tum apna mooh band karo..............kyon apni maut ko bulwa de rahe................is tarah kehney par suresh chup to ho jata hain magar uske dimag mein hazaron sawal uthney lagte hain........wo soch liya tha ki kavita kissey milney jayegi wo sab kuch chupkar aakhir dekhega...........aur sach ka pata lagaeyega.................

thode door jane par wahin jagah mili jahan par likha tha............"tezpur 26km........" jaise hi wo jagah par suresh pahuncha achanak se uski bike band padh gayi aur uske chehrey par ghabrahat aur durr badhney laga............wahin kavita charon taraf dekhti hui bike se utarkar khadi ho gayi.....................

" dhaat teri ki..................ye bike ko bhi aabhi kharab hona tha..............pata nahin hum aab wapas ghar kaise jayengey..........upar se itni thand................aur as paas kahin koi nahin..........aur kitni door jana hain humein............" aur suresh ke chehrey par pareshani ke badal umadney lagte hain wahin kavita poori tarah se khamosh thi aur wo bade dhyaan se idher udher dekh rahi thi..........

" humein jahan aana tha hum aa gaye hain suresh..............aab tum yahin par isi jagah ruko.........aur yahan se kahin mutt jana.............mujhe jissey milna hain wo mujhe yahin par milegi............jab main ussey mil loongi tumari bika bhi apne aap sahi ho jayegi............." aur kavita ki nazrein charon taraf idher udher bhatak rahi thi wahin suresh uske mooh ko niharey jaa raha tha..............ek pal to usey aisa laga ki ye aurat pagal ho gayi hain..............aise soonsan jagah par yahan kaun aayega yu milne.............

" magar........hain yahan kaun??????? jissey aap milne itni door aayi hain............mujhe to koi dikh bhi nahin raha..........." aur suresh bade dhyaan se apne charon taraf dekhney lagta hain wahin kavita uski baateion ko nazarandaaz karke kuch door aagey paidal chal padti hain.........thode door jane par usey suresh bhi nazar nahin aata........kyon ko kohra ghana tha aur upar se gehri andheri raat..............hawa dheere dheere chal rahi thi magar aab kuch hi palon mein tezz ho gayi thi..........

" main aa gayi hoon beti.................kaha ho meri baachi.............jawab do..............tum mujhe sun rahi ho naa...............dekho aaj ek maa khud chalkar apni beti se milne itni door aayi hain.............." aur kavita ki baat khatam hoti tabhi aas paas ke pedon ke pattey tezi se hilney lagte hain aur dhund jo gehra tha wo kum hote hue wahin stir ho jati hain..............tabhi ek awaaz us waadi mein goonj uthathi hain jo us veeraney ko poori tarah se jhakjhod deti hain.........aur wo shabdh tha..........................mmmmmmmmmmmmmmmaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa............................................................"


To Be Continued.............................................................
Mazedaar update ✍️ tha Bhai 😱. Lagta hai Sakshi apni Maa se Milne aagayi 👻.
 
  • Like
Reactions: Ajaykumar82
Top