Zabrdast update..bhai..???Update 13
Idhar mai apne gaav ke kuch logo ke saath mumbai chala gaya wahan kuch din naukari dhundhne par ek godam me noukari mil gaya..yahan godaam se bori utha kar truck me load karna hota tha aur truck se godaam me ...ek bori ke 5 rupaye milte the..mai din bhar me 50 bori utha leta tha...to din ke 250 rupaye mil jate the lekin mujhe ab bas yahi tha ki yahan noukari karte karte mujhe kahi bhi pahle sarkari noukari lag jaye chahe wo peon ki job ya safai karmachari ki job hi kyon na ho...taki mai fir apni padhai poori kar sakoon aur graduation complete karke koi achha sa job kar sakoon aur apne maa papa ke sapno ka ghar jo hai uske paise chuka sakoon....kyonki itne paise mai bhale 6 saal me chuka nahi sakta lekin agar noukari hogi to kahi aur se loan lekar hi chuka dunga...waise bhi mere pass khone ko kuch bacha nahi tha..maa papa nahi rahe bhai bhi videsh me jakar hume bhool chuka hai..ek biwi thi use bhi divorce de hi chuka hoon ab bas kisi tarah apne papa ke sapne ki makan ko bacha pau to ye hi mere liye bahut badi baat hogi...isliye mai ji jaan lagakar din bhar bori dhota tha aur raat me 3-4 ghante achhe se man lagakar padhta tha..waise bhi mai padhne me kamjor to tha nahi....mere 10th 12th me kafi achhe number the....yahi sab soch kar kaam me laga rahta tha...kabhi kabhi maa papa ki bahut yaad aati thi to thoda ro leta tha....aise hi 2 mahina bit gaya lekin in do mahino me mujhme ek ajib sa badlaw aa gaya tha...kal tak mai duniya me kisi se nahi darta tha kisi se bhi bhid jaata tha....lekin ab mujhme ek dar sa bas gaya tha ki kahi mai apne papa ka ghar bhi na bacha pau use bhi na kho doon is dar ne mujhe bahut hi darpok kism ka bana diya tha.... idhar annu bhi 2 mahine se college me padha rahi thi ki use ek bade university se offer aaya jiske liye wo ab ye sahar chod kar 7 din me jaane wali thi.waise bhi is sahar me uske liye ab kuch tha nahi...lekin abhi tak usne apni divorce ki baat apne maa papa ko nahi batayi thi...usne court me papers jama to kara diye the lekin jo judge thi wo is baat ke liye taiyaar nahi hui ki divorce de diya jaaye...isliye usne ek baar fir se annu ko paper bheja tha taki wo ek mahine me soch ke jawab de ki wo kya really divorce chahti hai....aur annu chahti thi jab uska divorce final ho jaye tab wo apne maa papa ko bataye....aaj Annu ko fir se saare paper wapas se aaj court bhejne the jiske liye wo nikal hi rahi thi ki use apne darwaje par maa papa aate hue dikhe....
Annu khushi se apne papa ke gale lag gayi...
Annu- papa aap yahan aapka to ilaj hone wala tha na pair ke ghutno ka...
Ramakant-beta ilaj bhi kara liya bangalore jakar aur bete bahu se bhi mil liya....to socha kyon na ek baar tumse bhi mil loon...
Waise aman kahan hai college gaya hai kya...
Ye sunte hi Annu thoda hadbadi gayi....
Annu- papa wo gaav gaye hai kuch kaam se 2-3 din me aa jayege...
Abhi annu nahi chahti thi ki uske papa aur maa ko pata chale ki wo dono ek Saath nahi rahte hai....
Sushma-beta jaisa jindagi bhagwan ne aman ko diya na waisa to kisi dusman ko bhi na de...
Annu- kyon kya hua...
Susma-tujhe nahi pata...
Annu- nahi...wo to kuch bole hi nahi...
Ramakant-tujhe pata hai uske maa papa ki mout ho gayi accident me....aman ne apne maa papa ki jaan bachane ke liye apna ghar bike sab bech diya lekin kismat dekho wo fir bhi unko na bacha paya....aur humari kismat dekho jab aman ko humari jarurat thi tab mai hospital me pada hua tha....uski madad bhi nahi kar paya...arey madad to door uske saath dukh ki ghadi me khada bhi nahi rah paya....
Annu- ye kab hua tha...
Susma-tu aisa kyon pooch rahi hai jaise tujhe kuch bhi nahi pata....kaisi patni hai tu jo apne pati ka dukh bhi nahi dekh paati...
Annu- lekin wo mujhe kuch batate hi nahi...
Susma-bilkul apne papa par gaya hai wo chahe kitnaa bhi dukh aa jaye lekin kisi ko ek shabd nahi bataya usne....uske papa bhi bilkul waise hi the....
Sushma-beta tujhe pata hai jab tum choti thi na tab bhi humare bussiness ko ek baar bahut ghata ho gaya aur tere papa ki tabiyat bhi kharab ho gayi thi...tab aman ke papa ne hume us samay 25 lakh rupaye diye the...wo bhi apne un paiso ko jise wo 15 saalo me jama kiye the apne sapne ka ghar kharidne ke liye....aur kismat dekho wo apne sapno ka ghar kuch mahine pahle hi kharide the jo aaj fir se bank me girvi pad gaya hai....
Ramakant- beta ab aman ke aage piche koi nahi hai usko pocket kharch dene wala bhi koi nahi hai..ho sakta hai wo tumse paise mangne me sharmaye lekin tum uska achhe se khyal rakhna...waise bhi uske papa ke bhi humare upar bahut ahsaan hai aur aman ke bhi.....agar aaj hum ijjat ki jindagi ji rahe hai tu ijjat ki jindagi ji rahi hai to wo aman ke kurbani par bani hai...usne apni jindagi apne sapne sab bhula kar apne papa ki ijjat rakhi aur humare parivaar ka maan rakha....
Sushma - beta jab wo aaye to use ye prasad bhi de dena hum chalte hai...
Annu- maa kam se kam aaj bhar to ruk jao...
Ramakant- beta 3 mahine se mai yahan nahi tha business ke saare kaam pending hai karna to padega...baad me kabhi aaunga..wo to hum isi raste se gujar rahe the to tumse mil liya....apna khyaal rakhna beta....ye bolkar dono wahan se nikal gaye....lekin annu ke man me uthal puthal macha gaye...kyonki bhale hi Annu aman ki ijaat na karti ho lekin aman ke maa papa ki ijjat karti thi karti bhi kyun na bachpan me class 6-7 tak use pyaar se dono ne khilaya tha apne pass...aur aaj jab use pata chala ki us jamane me aman ke papa ne 25 lakh mere papa ko diye the wo bhi wo paise jo unhone apne sapno ko markar diye taaki mere papa aur humlog khush rah sake ye sunkar use aur bura laga...tabhi annu ko yaad aaya ki 2 mahine pahle ek din aman usse 25000 rupaye maang raha tha aur maine use daat kar phone rakh diya tha....kahi wo apne maa papa ke ilaj ke liye to nahi mang raha tha...kahi is 25000 rupaye kam hone ke chalte uske maa papa ki death to nahi ho gayi....pichle do mahino se na aman ne call kiya hai nahi uski koi khabar hai kahi use kuch ho to nahi gaya...aise kai sawal annu ke man me aane lage aur tabhi uski najar padi apne us divorce paper par....humesha apne kaam apni mehnat apni achhai ke liye khud ko achha bolne wali annu ka chehra sharm se jhuk gaya tha....aisa nahi tha ki use aman par pyaar aa raha tha lekin itna to jarur tha ki use apne kiye par sharm aa raha tha.....aur jitna jyada wo sochti is baare me utna jada use sharm aane laga.......
Mast update bhai waiting for next updateUpdate 13

Superb updateUpdate 14
Annu sharm se apni hi najron me gire jaa rahi thi...use baar baar ye baat khatak rahi thi kisi jamane me rajesh auncle ne uske papa ko 25 lakh rupaye diye the jarurat padne par ..... aur abhi jab aman ko 25 hazar ki jarurat thi to wo bhi usne mana kar diya...aur bahut sochne ke baad annu ne ye decide kiya ki jo ho gaya so ho gaya lekin aman ki poori padhayi ka kharch wo uthayegi aur wo aman ki tab tak help karegi jab tak aman apne pairon par khada na ho jaye....uske baad annu ki jimedari khatm....
Ab use ye pata karna tha ki aman hai kahan lekin aman ne kabhi apne kisi dost ke baare me to bataya hi nahi tha....tab use yaad aaya rohit ka jisse wo aksar ladayi karta tha...tab wo college gayi rohit ke baare me pata karne to pata chala ki wo to hospital me hai aur aur pata kiya to pata chala ki use hospital pahuchane wale koi aur nahi pawan anshu aur shyaam the....kyonki jis din aman ki rohit se last time ladai hui thi us din aman akela tha aur agle din jab in tino ko pata chala ki rohit ke chalte aman ko suspend kiya gaya hai college se to wo bahut gussa hua aur apna gussa rohit pe nikala....ye sab pata chalte hi Annu ko pata chal gaya ki ye sab aman ke dost hai aur pawan ka chehra dekhte hi use yaad bhi aa gaya ki ye ek baar aman ka saman lene bhi aaya tha to ise jaroor pata hoga....isliye aaj class khatm hote hi Annu pawan ko bula kar apne cabin le gayi.....
Pawan to waise hi Annu mam se suru se gussa tha....wo to mam hai ye soch kar sirf chod deta tha...
Annu- aman kahan hai...
Pawan- gusse me bola-pati to aapka hai aapko nahi pata ki aman kahan hai...
Pawan- haa yaad aaya pati hai nahi tha...aapne to divorce de diya na...ab kya matlab aapko....
Annu- dekho mujhse badtamiji mat karo ye na bhulo mai mam hoon tumhari...
Pawan- ye mat sochna ki mam ho is liye ijjat karta hoon yahan bahut saare teacher hai jinko hum apne joote ke barabar bhi ijjat nahi dete....wo to aap aman ki wife thi aur ladki ho isliye kuch nahi bolte....
Annu- dekho mujhe tumse bahas nahi karna ...mujhe bas ye batao aman hai kahan...
Pawan- dekho madam ji humko nahi pata aman kahan hai..aur mai chala yahan se dobara mujhse aman ke baare me poochne ki koi jarurat nahi....
Ye sun kar apni beijjati hote hue dekh kar annu ko bahut gussa aya lekin fir wo ye soch kar rah gayi ki sayad galti bhi uski hi hai....college me usne aman par kuch jayada hi boora bartaav kiya hai...
Abhi pawan cabin se nikalne wala hi tha ki annu poochi-akhir tumlog rohit aur uske dosto se ladte kyun rahte ho wo to senior hai tumahre...
Pawan-yahi sawal rohit se poochna....ye bolkar wo cabin se nikal gaya....idhar annu ko bahut gussa aaya aur wo gusse me college se nikli aur sidha gayi rohit ke pass jo hospital me pada hua tha apna ek haath aur ek tang tudwa kar.
Annu gusse me rohit se poochi-akhir sach batao tum humesha kyon ladte rahte ho aman aur uske dosto se...agar jhooth bola na to college se TC dilwa dungi wo bhi red cross ke saath poore india me fir kahi admission nahi milega tujhe....
Ye sun kar rohit bahut dar gaya aur wo bata diya ki jab 1st year me aman aaya tha tab wo log uski ragging le rahe the tab aman ne ragging dene se mana kar diya tha aur sabke saamne hume nicha dikhane ki kosis ki thi tab hi maine soch liya tha ek baar to usko sabak sikha ke rahunga...
Ye sunkar to annu ko apne aap par bahut gussa aaya aur wo wahan se bhaag kar apne ghar aa gayi aur rone lagi....
Annu- apne aap se boli-ye maine kya kar diya ....mere se bahut saari galtiyan ho gayi...mujhe kuch to karna hi hoga...ye soch kar wo apne gaav me ek cousin bhai ko call kiya...
Annu- hello amit bhaiya...
Amit-haa bolo koun bol raha hai...
Annu- arey mai annu...
Amit-arey annu kaisi ho sab thik to hai na wahan aman ke saath achhe se ho na koi dikkat to nahi....
Annu- bhaiya ek kaam tha...
Amit- haan bolo...
Annu- dekhiye na aman 2 mahine pahle gaav gaye the unke maa papa ka dehant ho gaya tha na...tab se unka phone hi nahi lag raha...please pata karke bata dijiye na wo kahan hai..ye bolte bolte achanak hi Annu ke ankhon me ashoo aa gayi aur wo sisak sisak kar rone lagi...
Amit- arey roti kyon ho hum hai na abhi aadhe ghante me phone karke tumko bata dete hai ruko pata lagate hai tum rona nahi...aur agar wahan man nahi lag raha to gaav aa jao sab log yahi hai...
Annu- nahi nahi bas aman ka pata laga dijiye...
Aur phone kaat di...
Amit annu ke cousin bhai hai jo gaav me hi rahte hai aur wo annu ko bahut maante bhi hai....
Idhar amit turant hi aman ke gaav ke kuch logon ko phone lagaye aur pata kiya to pata chala wo mumbai me hai...fir amit mumbai ke kuch logon ko phone lagaya jo gaav se aman ke saath gaye the to un logon ne aman ka pata bata diya....amit aman se baat bhi karna chahte the lekin kar nahi paye....kyonki aman bombay me sabse alag bilkul akela sa rahne lag gaya tha yahan tak ki apne gaav ke logon se bhi alag rahta tha...
Idhar amit 30 minut me sab pata karke annu ko bata diya ki aman abhi kahan hai..kya kar raha hai ye to wahan jaa kar hi pata lagega..aur ek phone number bhi diya lekin bola aman phone utha nahi raha kisika bhi...annu ne iske liye amit ko thank you boli aur ab use jana tha mumbai lekin pahle use is college me resign kar ke naye college ko bhi join karna tha nahi to offer miss ho jata...saath hi divorce paper bhi bhejna tha court nahi to date miss ho jata to annu sare official formality poore karne me lag gayi...jisme 15 din aur lag gaye....
Ab annu naye sahar me naye college me aa chuki thi....usne ek 1bhk ka room bhi le liya tha....saath hi ab annu ka plan tha ki isi college me aman ko bhi padhaya jaye kyonki ye college purane wale college se har mamle me achha tha...saath hi Annu ne aman ke liye boys hostel me ek room bhi dekh rakhi thi....use lagne laga tha ki agar wo aman ki help kar degi padhayi me to aman jaroor apne pairon par khada ho jayega...aur jo galti annu ne ki hai uska pashchatap bhi ho jayega.....waise annu ki planning to bahut achhi thi leki. Isme ek bahut badi kami thi.....jo aapko aage pata chalega.....