Chinturocky
Well-Known Member
- 4,398
- 12,813
- 158
Update 19
Ab aman ko bhukh lagne laga lekin ghar me khane ko kuch nahi tha....wo bechara pet pakad kar baith gaya...fir socha fridge me dekhta hoon kya hai...aur uski kismat dekho fridge me ek chocolate rakhi hui thi...aman use uthaya hi tha khane ke liye ki uska daam dekhkar aman ne use wapas se fridge me rakh diya...wo chocolate ka poora packet 600 ka tha...aman ko yaad aa gaya wo din jab usne annu ko aisa hi ek chocolate lakar diya tha jiske liye use bahut daat padi thi....aman wo chocolate ko liye flashback ki duniya me chala gaya aur jab wapas aaya to wo turant wo chocolate fridge me rakh kar fridge band kar diya....lekin bhookh se aman ki halat kharab hone laga....fir bhi aman kisi tarah din bhar bhookhe pet leta raha shaam tak uski halat khrab ho gayi...idhar annu ka bhi aaj college me din achha nahi gaya tha kyonki aaj kuch students uske class me badmashi kar rahe the fir office me bhi aaj use kaafi kaam karna pada college ka kyonki aaj office boy nahi aaya tha...isliye annu bhi khrab mood me late ghar aayi aur use bhookh bhi lag gayi thi....wo gusse me ghar ka darwaja kholi aur table par daily ki tarah baith gayi khane ke liye lekin ye kya khane ko to kuch tha hi nahi...ye dekhte hi use gussa aa gaya aur gusse me wo aman par chillane lagi-dinbhar ghar me baith kar khali aram karte ho....khana bhi nahi banaya hai abhi tak....tum to ho hi ek number ke kaam chor...koi kaam nahi karna chahte....sochte ho madam to kama hi rahi hai...bas ghar me baith kar muft ki roti tod rahe ho....
Jab aman ye sab baat suna annu ke mooh se to wo chup chap apna jhola uthaya aur ghar se nikal gaya.....
Annu abhi bhi bahut gusse me thi isliye boli- jao jao waise bhi mijhe tumhari jarurat nahi hai...tumKo hi meri jarurat hai samjhe...garib tum ho...mujhe koi fark nahi padta...ye sab bol bol kar annu apni college ka frustration aman par nikalne lagi....lekin aman bechara ye sab sunte hue bhi ghar se nikal gaya...ab raat ho gayi thi to aman ko gaadi to milne se rahi aur bhookh se waise hi uski halat kharab thi..iskiye wo kuch door ek ground me jakar late gaya....idhar jab annu ka gussa shant hua to bhookh ke karan wo sabse pahle kitchen gayi...aur use pata chala ki ghar me to kuch hai hi nahi khane ka saman ...tab use yaad aaya saman to kal hi khatm ho gaya tha...lekin aman ne saman kyon nahi laya tab use fir se yaad aaya aaj subha wo hadbadi me gate lock karke chali gayi thi....
Annu apne sar par hath rakh kar boli- ohhhhhh myyyyy goddddddddddd....
Aman subah se bhukha hai....nahi nahi fridge me chocolate hai wo to kam se kam khaya hi hoga usne.....aur wo ye sochkar fridge mw dekhi....lekin fir use surprise hi mila kyonki chocolate bilkul sahi salamat rakha hua tha.....
Ab use aaya rona lekin annu turant ghar lock ki aur bhaagi aman ko dhundhne....lekin kahte hai na har dard ki ek inteha hoti hai...aur har marz ki ek dawa hoti hai....ab sayad aman ke dukh ke din jaane wale the aur annu ke dukh ke din aane wale the.....
Arj hai ye
Khoobsurat sa ek pal kissa ban jata hai...
Jane kab koun jindagi ka hissa ban jata hai.
Bane rahiye humare saath ...aur padhte rahiye pyaar mohabbat sab kismat ka khel hai.....???
Intzaar hai kismat palatane ka...