Update ~~ 101
' Daitye, rakshas, shaitan, asur sab ek hai lekin fir bhi alag. Sabke roop lagbhag ek jaise par vansh alag. Koi bhi akar ek jaisa nahi fir bhi ek manne janne wale vo prani jinhone jab-jab janam liya tab-tab anay havi hokar sabke uppar barsa hai. Ved-puraan mein kayi baar in sabhi ka jikar hua hai. Koi bhi Yug ho bina Kaal ke kabhi srishti ka nirman nahi hota. Kaal yani ek aisi jagah jahan par kuch aise hi jeev vaas kate hain. Meri research, soch aur knowledge yahi kehti hai ki koi ek aisa hi Kaal hamare saur-mandal mein hamare bhramand mein maujud hai jo humare liye hi bana hai. Jis Brhaman mein science dwara mana jane wale tatv jaise ki Time,Dark Matter, Energy, Blackhole, ek-se jada galaxy maujud hai usi tarah Kaal bhi hamare sath samay ke chakr mein ghum raha hai aur jis tarah hamara bhramand felta jaa raha hai usi tarah Kaal bhi apne astitv ko faila raha hai. Bharmand ka failna koi bahut asan chiz nahi hai uske piche vigyan ki bahut si chizen shamil hai aur agar usi tarah Kaal bhi apna astitv faila raha hai yani ki uske pas vo sab matter yani ki padart hai jo bhramand ke nirman ke waqt se aaj tak maujud hai jiski wajah se uska vajaud hai.
Main ye nahi janta ki main kitna sahi hun lekin Time Travel Paradox aur Kaal ke bich koi connection jarur dikhai padta hai. Dono mein kahin bhi koi paradox hua to hum insano ko uska pralay jhelna hi padega. Jis tarah Grandfather Paradox ka koi tod nahi hai usi tarah Kaal ke pas bhi kuch usi tarah ki shakti hai jiska koi tod nahi hai. Meri khoj abhi tak puri nahi hui hai, Kaal ke bare mein janne ke liye mujhe ek aise stotr ki jarurat hai jisme uska parichay uska aks maujud ho. Kuch hai jise main abhi tak khoj nahi paya hun, han lekin main uske kareeb jarur hun. '
" Ek minute.. iske aage padne se pehle mere kuch sawal hai.. " vishal ko rokte hue shruti fauran boli. " Ye Kaal kya hai? aur ye ved hume kya batane ki kosish kar raha hai " shruti ka sawal sahi tha.
"shayad humne kahani ko bich mein se pada hai.. Grandfather Paradox wali file ke alawa hume vo book padni chahie jisme unhone kaal ke bare mein likha ho " rachna ne jawab to sahi dia lekin usme kuch kami thi.
" tumne shayad dhayan se suna nahi, vedji ne saaf likha hai ki unke pas Kaal ko lekar abhi jankari ek simit mein hai lekin vo un kitabo ko padne ke bare mein batate aye hain jo mene tum logon ko di, jo mene college ki library mein rakhi usi tarah unhone bhi kai jano ko banti hogi, uska ulekh unhone kahin na kahin likha hoga.. " meghnath ke samjhane par sab samajh gaye lekin samsya wahi thi khoje to kahan se.
" khojte hai.. jada time nahi lenge " shruti ne fauran kaha aur charon kamre ko tehas nehas karne mein lag gaye. Kisi ne almari khol dali to kisi ne purana sanduk, kisi ne kitabon ka dher gira dala aur agle aath se das minute tak kamre mein khoj been ke baad teen jano ko kagaz ke teen tukde mile jise dekh sabhi ko samajh aa gaya ki Ved sharma ki pura ulekh bas unhi shabdon mein simit reh gaya hai ya fir vo apna ulekh apne sath le gaye hai.
' Hamare dharam mein jitne granth, ved maujud hai vo sirf insan ke bare mein hi nahi balki har jeev ki vakhya ko darshate hai. Lok, parlok, narak, paatal jaise shabd hum bachpan se hi sunte aye hain par kuch jagah aisi bhi hai jinke bare mein hume aaj tak nahi bataya gaya. Vo hamare bharamand mein maujud hai lekin hume malum nahi hai. Vigyan se judi har chiz, hamare vedon mein hai lekin hamari nazar kabhi unpar padi hi nahi. Ek choti bindu se bana bhramand jo aaj bhi felh raha hai usne hamara greh, hamari galaxy aur na jane kitne aniginat galaxy ko janam diya usme kuch aise gehre raaz chupe hai jiska jikar hamare vedun mein to hai lekin kabhi koi use samajh hi nahi paya tha. Shayad kudrat ne mujhe vo takat di thi ki mene un vedon aur granth ko samajh kar ye samajh paun ki hamare bich .. hum sabke bich ek aisi dunia hai jiska janam bhramand ke waqt hua aur vo sidhe hamari dunia se taluk rakhti hai. Kya hai vo dunia ? Kyun hamare vajud ke liye khatra hai? Aur kaun hai us dunia ka malik? Kaun rehta hai wahan? Mene sab kuch samjh kar logon ko batane ki kosish kari lekin sabne mera mazak banaya. Sabne mujhe.. ' paper par likhe shabad khatam ho gaye the.
" dusra lao "
" Sabne mujhe pagal, bevakuf kaha... sabko lagta hai ki mene Kaal ke bare mein apni kitab mein likh kar samjhane ki kosish kari vo sab ek man-ki ghatit kahani hai, mera pagal pan hai. Bhoot-pret atmayon ka jo sach logon ke man mein bhara hua hai asal mein vo sach nahi hai balki sach yahi hai.. Kaal hi hai vo jise hum bhoot-pret atmaye mante aye hai.. '
" aisa hi kuch shreyas bhi bol raha tha hume us raat.. ki jo vo har samay samajhta aya tha kabhi bhi waisa kuch tha hi nahi kya vo hume yahi samjhane ki kosish kar raha tha? " vishal ne padna chhod apni baat rakhi to sabhi ka dil zoron se dhadakne laga. Charon ko kuch na kahani ka koi ansh judta hua mehsus hone laga.
" aage pado " meghnath fauran bola.
' Logon ne mujhe sasta lehkak keh kar meri tauheen kar di, meri kitabein nahi biki, par mene fir bhi umeed nahi haari kyun ki main janta tha jo mene apne budhi se hassil kia hai vo sahi hai. Vo dunia hamare bich hi hai aur dhire-dhire hume nigal rahi hai. Main koi kahani nahi bech raha, main us raste nikal kar aya hun jahan par koi kadam nahi rakhta. Mene apni kitabein yun hi nahi likhi balki uska adhar mere pas hai. Mene khoji hai vo kitabein jiska sach batane ke liye mene apne shabdon mein use piroaya hai. Hamare purvaj sab chhodh kar gaye the hamare liye bas hum hi andhe bane baithe rahe aur in sab chizon ko andhvishwas mein rakhte gaye '
" Kitab? ye kaun si kitab ki baat kar raha hai jo ise mili thi aur isne uske baad apni kitabein likhi ? "shruti ne bich mein roka.
" Pata nahi kabhi koi aisa jikar unhone nahi kiya.. " meghnath fauran bola.
" Kya inka ye matlab to nahi ki jo book inhone likhi hai iska asli source koi aur raha ho aur unhone sirf uski copy ya translation ki ho... ? " vishal ne ek dum sahi point ko pakad kar apni baat kahi.
" you are right.. yahi kehna cha rahe hai vo.. vo kitab jinka source isne churaya hai.. vo yahi hona chahie.. hum dhundnte hain tum padna chalu rakho.. " shruti ne itna kaha aur vishal padne laga aur baki teeno khojne lage.
' Mana jata hai ki us jagah par per rakhne ki takat to uske pas bhi nahi hai jisne bhramand ko janam diya. Takat shabad shayad galat hai, anumati hi nahi hai. Vo jagah anjane mein ban to gayi lekin khatam na ho saki ab us jagah par sirf uska hak hai, uska kiska? Aaj tak main uska naam nahi de paya hun kyun ki main kalpana bhi nahi kar sakta vo kya hai. Mujhse log puchte hain jab mujhe itna pata hai to ye kyun nahi pata, kyun nahi pata ki us jagah ka naam kya hai? Uske andar jo hai jise mein Kaal kehta hun uska naam kya hai? Kaisa dikhta hai vo to mere pas unko dene ke liye abhi koi jawab nahi hai. Kyun ki vo jawab ek aisi jagah chupa hai jiske bare mein aaj tak mujhe malum nahi chala hai. Pichle beete salon se main us chiz ko khoj raha hun jo mujhe us jagah ke bare mein bata sake. Kyun ki.. Na to wahan koi jaa sakta hai aur na hi wahan se koi laut kar aa sakta hai. Vo apni marzi se hamari dharti par ata hai aur apni marzi se jata hai. Uske anek roop hai vo hamari har vastu mein vaas kar jata hai. Koi use pehchan nahi sakta kyun ki uska koi roop-rekha nahi, vo dikhta kaisa hai koi pehchanta nahi. Ye sab sirf usi chiz mein hai.. ' vishal ko chup hona pada kyun ki kamre mein ek shor gunj utha tha.
" Kahan mili tujhe ye.. " sanduk ke andar padi moti-moti teen granth par sabhi ki nazre thi. Vo alag isliye thi kyun ki uske cover ki parat sone jaisi chamak rahi thi jo yahan rakhi har book se alag thi. Vishal ne torch shruti ko pakdai aur meghnath ki madad se un teeno books ko bahar nikal liya.
" itni moti books kaun padega? " vishal turant bola.
" Inhe padne ki jarurat abhi nahi hai... vaise bhi vedji ne jo likha hai vo inse hi padh kar likha hoga.. "meghnath ne turant kaha, dono ki sans ukhad gayi thi bahar nikalne mein.
" ek baar khol kar to dekho kya hai isme.. " shruti ne zor diya to unhone ek baar dekhne ke liye kitab ka cover kholne ki kosish ki lekin vo khuli hi nahi.
" jaam ho gayi hai kya? " rachna tapak se boli to sab usko ghurne lage jise vo samajh gayi ki usne galat bol dia hai. " lock hogi ... yahi kehna chahti thi main "
" kaise khole ise? " vishal ne shruti ki taraf dekha.
" mujhe kya pata.. chhodo use.. tum vo akhri panna use pado.. " shruti ne turant kaha to vishal akhri bacha panna padne laga.
' Main us chiz ke bahut kareeb hun jise mere akhri bache kuch sawalon ke jawab ko main paa sakunga. Us shakti ko mehsus kar sakunga jo is bhramand ke pralay ka karran banega. Sab kuch hai mere pas bas ek chiz ki kami hai. Jab bhramand ke nirman mein Kaal ka ghar bana aur us ghar ko banane wala chuu na saka to usne uski shakti, uski jagah uska swaroop har chiz ek kitab mein piro di aur piro ka usne use hamari jagah par rakh diya is umeed mein ki ek din hum uska istemal karke usko nasht kar payenge. Yani vo chiz jo khud banane wala khatam nahi kar sakta uska jimma hum insano ke pas hai. Aur vo chiz kahin aur nahi isi dharti par kahin dafan hai. Sawal tha kahan? Salon mehnat aur kosish karne ke baad ek-ek chiz jama karne ke baad mene us chiz ko khoj to liya lekin kabhi pura nahi kar saka. Vo aaj bhi adhura hai aur main aaj bhi usko pura karne ki kosish mein hun.... '
" Bas khatam... Ye akhri panna to ise jada likha hua hi nahi hai.. bahut si baton ka matlab hai isme.. " vishal soch vichar kar raha tha.
" tumhe nahi lagta ye kuch jada hai? Matlab bhagwan aisi jagah kyun create karenge? aur agar kar dia galti se bhi to use destroy nahi kar sakte? That makes no sense.. " shruti turant boli.
" aur hum insan hai.. hamare pas kya shakti ... ? " rachna ne uska sath dia.
" Bhagwan Ram bhi insan the... " meghnath wahin kitabo ke pas ukhdu hokar baitha tha. " Vedji ne apne lekh mein likha hai ki Ved aur granth mein vo chizen hai jo hum insano ko kahan se kahan le ja sakti hai bas hume hi un vedon ko samajh nahi ata. Agar unki baat sahi hai to jo shakti ... yahan maujud hai vo wahi hai.. "
" aur vo book jiski vedji baat kar rahe hain.. vo book shruti koi aur book nahi balki Book Of Hoax hai jise vo khoj rahe hai.. shreyas ne usi book ke bare mein hume bataya tha. Usme hi chupa hai sach.. yani shreyas aur vedji dono ki batein yahan match karti hai ... Hum ise co-incidence nahi keh sakte.. the book is real... " vishal ki baat ne sabhi man ki shankhaon ko khatam kar diya. Itna bada co-incidence nahi ho sakta ye baat shruti ache se samajh rahi thi.
" to fir ab? " rachna boli, use ab interest aa raha tha, samajh kam aa raha tha par interest pura aa raha tha.
" Hume vo book dhundni hai " vishal bola.
" Par kaise dhundenge hum? ved sharma ka kuch pata nahi.. book ke bare mein na vo jante na hum to kaise khojenge use.. sirf naam se search karne par to mil nahi jayegi na.. " shruti ki baat kadwi thi lekin sahi thi.
" tum logon ne kuch dhayan diya... " meghnath apni jagah se kahda hua.
" kya? " teeno ek sath bole.
" vo ulekh do vedji wala... nahi akhri pana.. " meghnath ne vishal se akhri pana lete hue use padna shuru kiya man hi man aur fir zor se padne laga " Salon mehnat aur kosish karne ke baad ek-ek chiz jama karne ke baad mene us chiz ko khoj to liya lekin kabhi pura nahi kar saka. Vo aaj bhi adhura hai aur main aaj bhi usko pura karne ki kosish mein hun.... "
" iska matlab samajh rahe ho? "
" nahi "
" kya matlab hai? "
" vo koi map hai... jo unke pas hai ... us book tak ka map... lekin vo adhura hai.. kyun ki unke pas book ka naam nahi tha.. hamare pas hai.. " meghnath ka jawab jin ke chirag jaisa tha, par abhi bhi vo chirag kis gufa mein rakha hai vo kisi ko nahi malum tha.
" Tumhe lagta hai ki vo yahin hoga... ? " vishal ka dil zoron se dhadak raha tha.
" koi aisi chiz ko kahan chupa kar rakhta hai... ? " meghnath ne sochne par majbur kar diya aur jab sab ki soch chali to sabhi ki nazar sidhe un books par gayi jo farsh par band padi thi.
" iski chabi? " rachna boli.
" Yahin hogi.. khojo... " shruti ne itna hi kaha aur charon fir se khojne lage. Takreeban ek ghanta charon ne ek-ek jagah aise tatoli mano yahi kaam karte ho. Unhone kuch nahi chhoda lekin chabi ka ansh tak nahi mila.
" mujhe to lagta hai vo chabi apne sath hi le gaye " rachna hanfte hue boli. Uska sharir pasine mein dub chuka tha. Pasine ki wajah se uski tshirt chipak gayi thi aur uske nipple dikhai de rahe the. Usne nazar uthai to paya ki vishal wahin dekh raha hai, vishal ko jaise hi dikha rachna ne dekh liya hai to usne nazar fer li.
" nahi nahi... vo itna bada risk nahi le sakta.. chabi jaisi chiz har jagah apne sath le jane ka risk vo nahi le sakte.. chupaya to unhone yahi hai use.. bas hume hi nahi dikh raha hai " shruti ki bhi sans fuli hui thi.
" shruti sahi keh rahi hai.. vo chabi hamare nazron ke samne hi hai.. bas hume hi.. " vishal bolte hue ruk gaya aur uska dhayan samne lage poster par gaya jispar likha tha GRANDFATHER PARADOX jise in sab ki shuruwat hui thi. Vo us poster ke pas pahuncha aur usne poster bina soche deewar par se faad dala.
" vishal ye kya kiya tumne... " shruti chillai ki tabhi koi kuch aur bolta use pehle sabhi ki nazar deewar par padi jispar ek kadha hua tha, chota sa ched. Vishal ne usme hath dala aur jab bahar nikala to uske hath mein kuch tha.
" chabi.. samne thi ankhon ke... "
" kholo jaldi.. " meghnath ke andar ek nayi urja bhar ayi thi.
Vishal ne turant book ko tatola jahan par chabi lag sake par use key hole kahin dikha hi nahi " isme koi key hole nahi hai "
" pehle nahi dekha tha kya? " shruti gusse bhare lehaze mein boli.
" hume laga lock hai to jarur key hole hoga " meghnath ne turant kaha.
" lo... ab ek aur nayi musibat " rachna ne sar pakad liya.
" damn... " vishal ne gusse mein book ke bich mein bane sone ke design par halka mukka mara to jaise uspar laga koi chupa hua button daba gaya aur vo bich mein se khul gaya jiske khulte hi uski nazron ke samne key hole aa gaya.
" mil gaya... " vishal chaunkte hue bola to sabhi ki nazre bhi us taraf mud gayi. Usne fauran chabi dali aur use ghuma diya, kitab khul gayi thi.
" baki bhi kholo pehle.. " shruti ne turant kaha. Jiske baad vishal ne dusri book mein bichon bich anguthe se press kiya to usme bhi ek awaz ke sath vo chota sa area khul gaya aur usme bhi wahi chabi lag gayi, aisa hi usne tisri kitab ke sath bhi kiya aur teeno kitab khol li gayi. Usne usi tisri kitab ko khola aur kholte hi jo sabne dekha sabhi ek dusre ke chehre dekhne lage. Kitab mein likhi bhasha kuch alag thi, kaun si koi nahi janta tha par sabse badi dikat ye thi ki is language se map dhundna kaise kar sakte hai ise.
" ab kya karein? "
" le chalte hai ise " shruti turant boli.
" tu pagal hai.. ved aya usko pata chala to hum gaye " rachna turant boli.
" usko kya pata hum aye hai.. humne li hai kitab aur waise bhi jo haal humne kamre ka kiya hai use dekhne ke baad kisi ko bhi pata chal jayega ki kamre mein koi aya tha aur jo use chahie tha vo le gaya "
" jagah choti hai.. pata lagne mein time nahi lagega ki hum hi aye the.. bus, conductor gawah hai.. hamare alawa bandhara aaj koi nahi aya... " meghnath ne turant samjhaya
" to kya chahhte ho tum.. yahan akar itna janne ke baad chhod kar chale jaye batao? " ab meghnath fans gaya vo na han bol paa raha tha aur na hi nah kar paa raha tha.
" le chalte hai dekha jayega... " vishal ne akhir faisla kar liya tha. Usne book ko ek dum se uthaya, use yaad nahi tha ki vo bhari hai aur aise nahi uthegi jiski wajah se hua ye ki book uthi halki si aur gir gayi.
" aram se.. kuch ho jayega.. hamare purvajo ki mehnat hai ye.. ise kharab nahi kar sakte.. " meghnath ne samjhaya aur book mil kar utha kar study table par laa rakha.
" itni bhari kitab ko lekar kaise jayenge.. uff.. jaldi karo.. bus ka time ho jayega... bus nikal gayi to jayenge kaise... " rachna ko tension hone lagi thi ghadi mein 6:25 jo ho gaye the.
Meghnath aur vishal dusri book uthane ke liye niche jhuke utne mein meghnath ki nazar ek kagaz ke tukde par padi. Pehle to vo use wahin utha kar side mein rakhne wala tha par jigasya purvak usne use khol diya.
" utha bhai.. kya dekh raha hai parchi mein.. " vishal dusri book ko ek taraf se utha raha tha aur jab usko dikha ki book uthawane ke liye madad nahi mili to usne nazar uppar utha kar dekha. Meghnath kuch nahi bola bas parchi khol kar uski taraf kar di. Vishal ek pal dekhta raha fir achanak se book chhod kar ek dum se sidha khada ho gaya.
" dhayan se ... " meghnath ne fir yaad dilaya par vishal ne pratikriya na dikahte hue parchi uske hath se le li.
" isme kuch bana hua hai... ye dekho " usne shruti ki taraf badha di. Parchi par ek design bana hua tha jitni badi parchi utna bada design.
" kahan se mili tujhe? " vishal ne meghnath se pucha.
" yahin se.. " meghnath ne niche ki taraf ishara kiya.
" yahan par to.. vo kitab rakhi thi.. kahin usme se to nahi giri... " vishal ne anuman lagaya aur vo study table ke pas aya aur kitab ko khol kar panne palat kar dekhne laga.
" aise to subah ho jayegi " shruti boli.
" to fir.. "
" hum dhayan se hilate hai.. kuch aur parchi hogi to gir jayegi... " meghnath ka idea istemal karke dono ne book ko thaya aur savdhani se hilane lage taki koi chota parcha-parchi andar ho to gir jaye aur hua bhi aisa hi teen aur parchi gir gayi jise rachna ne turant utha kar shruti ko thama dia. Uske baad usme se kuch nahi nikla to dono ne dusri book uthai aur wahi kiya jo pehle kiya tha, usme se char parchi nikli aur uske baad kuch nahi, dono ne do teen bar aur try kiya lekin ek hi parchi nikli. Akhri book bachi thi, usme se bhi char hi parchi nikli, dono buri tarah se hanf rahe the vakai mein kafi thaka dene wala kaam tha.
" barah parchi nikli hai teen book mein se.. aur sabme mein kuch design bana hua hai... ."
" sabko ikhata karke rakho " vishal ne shruti se kaha to usne wahi kiya. Sabhi parchiyun ko study table par rakh diya lekin kuch samajh nahi aya.
" ache se mila kar rakho.. design samajh aana chahie.. " vishal ke kehnr par shruti ne sabhi parchiun ko mila dia " dekho line se line mil gayi.. par ek minute ye design to.. "
" world map jaisa hai.. " shruti ne vishal ki baat ko pura kar dia.
" World map? puri dunia ka map ... book isi dharti par hai .. to world mein hi hogi na.. ye kaisa mazak hai... " rachna ne sahi kaha tha.
" Aise kaise ho sakta hai... " vishal khud se baat kar raha tha.
" Koi itni mehnat karke in chizon ko khojega aur fir itni savdhani se rakhega kiske liye iske liye? " meghnath ne sawal khada kiya.
" hum jarur kuch miss kar rahe hain idhar... kuch to hai.. " vishal ne ek parchi utha li aur use dhayan se dekhne laga.
" har chiz mein kuch na kuch miss hota hai.. " shruti fauran boli.
" sahi keh rahi hai shruti.. mujhe to ye sab bakwas lag raha hai.. koi natiza nahi niklega... " rachna ne bhi sath dia.
" ek minute.. ek minute... " vishal ne pehli parchi rakhi aur dusri uthai aur fir use dhayan se dekhne laga, uspar vo light dalne laga, usne tisra tukda uthaya aur fir chautha aur aisa har tukde ke sath hua.
" kya dekh rahe ho tum? " shruti ne sawal kar hi dala.
" jo miss kar rahe the wahi... ye dekho... pakdo is kagaz ko.. aur ab main light dalunga ispar dekhna dhayan se... " vishal ne waisa hi kiya usne light ke aage kagaz ka tukda rakh dia.
" kya dekhu isme kuch bhi to nahi hai.. "
" han ... abhi nahi hai.. par ab hai... " usne dusra tukra uthaya aur pehle ke uppar rakh dia aur fir light dali aur jaise hi light dali kagaz ke tukde par ek parchai ban ayi jispar likha tha 'O'
" ye kaise possible hai.. " shruti hairani mein boli.
" pata nahi.. par jisne bhi banaya hai vo jo koi bhi tha.. usne shayad apne knowledge ka bahut ache se istemal kiya hai.
" Par ye O kya hai? " rachna ne pucha.
" Ye O nahi hai.. balki kuch set of letters hai jo hume in pieces ke combination se khojne hai... " vishal ne iske baad ek-ek kare un barah parchiyun se barah tarah ke alag-alag letter nikal diye jo ki the..
' O,S,L,P,X,H,B,G,A,M,T,L '
" Ye 12 letters nikle hai.. ab inka kya karein? "
" Ye 12 letter koi word banayega.. hume bas vo word banana hai.. "
" hazaron lakhon word ban sakte hai ise.. hume kya pata kya banega.. hamare pas koi book thodi hai.. " rachna ne jhikte hue kaha, use ab yahan se jana tha.
" hai.. book hai.. abhi jiski baat kar rahe the.. " meghnath bola.
" matlab? " vishal aur shruti ek sath bole.
" letters dekho isme vo letter hai jo hume malum hai.. isliye to vedji kabhi us ko nahi jaan paye kyun ki vo hume malum thi aur unhe nahi.. The Book of Hoax aur in letter mein hai H , O , A , X right combination. "
" perfect... " vishal aur shruti ke chehre par muskan thi. Meghnath ne pehle hi kaha tha ki ved ke pas kuch aisa nahi hai jo unke pas hai aur ant mein wahi kaam aya.
" lekin ab kya karein.. word ban gaya ab? " rachna ka fir se wahi sawal ki aage kya.
" Ab hum ise iske sahi kram mein lgayange shayad tab hume kuch pata chale.. tum teeno ki madad lagegi.. " vishal ne itna kaha aur ek karam ke akar mein charon char parchi lekar khade ho gaye jispar roshni padhne ke baad char letter nikalne wale the jo ki ek kram mein the yani ki 'H' 'O' 'A' 'X'
Vishal ne jaise hi pehle wali parchi par light dali. Light pehli parchi se dusri.. dusri se tisri.. tisri se chauthi aur jaise hi chauthi ko paar kiya... uske piche ki deewar par jitni badi light ka akar bana tha uspar ek chitr bana aa gaya jise dekh sabhi ke muh khule ke khule reh gaye. Itna kamal ka drishye tha vo ki kisi ki ankhon ko vishwas nahi ho raha tha.
" photo le lo jaldi... " vishal ne jaise hi kaha, shruti ne mobile se us chitr ki photo le li. Jiske sath hi vishal ne parchiyun par se light hata di aur unhe wapis study table par rakh diya.
" mene yahan par map dekha tha.. " vishal ne turant kaha aur shruti ke hath se phone le liya aur zoom karke uski khinchi photo le li. Meghnath naksha le aya aur study table par khol dia. Vishal ne phone bhi map ke uppar rakh diya aur jis shape ka map phone par bana tha usi shape ko vo world map mein khojne lage. Sabhi ka dil zoron se dhadak raha tha, dhadkta bhi kyun na, vo manzil ke bahut najdeek the. Manzil mano mil hi gayi thi aur tabhi..
" Ye rahi... " vishal ne apni ungli us jagah par rakh di jiski shape map mein huba hu wahi thi jo mobile phone ke dwara li gayi photo mein thi jo us kagaz ke tukdon se nikal kar bahar ayi thi.
" THE AMAZON, BRAZIL " sabhi ki hairani mein ankhein khuli ki khuli reh gayi.