• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel "

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Update ~~ 95

" School ka ground to badia hai.. yahin khelti hogi football " shruti ne ek taraf goalpost dekhte hue ground par nazar daudai jiske piche do floor unchi building L shape mein bani hui thi.

" hmm.. Bahut si yadein hai school ki.. sara sara din football khelte rehna.. aur... " Aaruhi bolte hue chup ho gayi.

" aur? " shruti ne ek dum se uski ruki baat pakdi. Aaruhi ne shruti ki taraf dekha aur ek pal use ghurti hui boli.

" aur Rekha madam se khub danti khatti thi.. " vo hanste hue boli

" to milwa apni rekha madam se.. zara hum bhi teri tareefe sune.. "

" han .. ab yahan aye hai to milwa deti hun.. " Chuttiyan ho gayi thi isliye school khali pada tha lekin teachron ko fir bhi kuch ghanto ke liye school ana padta tha. Aaruhi aur shruti dono building ki taraf badh chale.

" ek minute.. " shruti rukte hue boli.

" kya hua? "

" pyas lag ayi... "

" teri bhi timing ajeeb hai.. ek kaam kar tu pani pii.. aur first floor par a jaio.. "

" kahan dhundungi.. ruk jaa na.. "

" staff room .. padhna to ata hi hoga.. " aaruhi jatte hue chillai.

" Kamini haraman hai ek number ki ye ladki bhi.. hayee.. pyass... " shruti fauran do deewaro ke bich bane galyare mein gayi jahan par pani ki machine padi thi jise dekh kar hi use pani ki talab uthi thi. Vo wahan pahunchi aur nal daba kar uske niche muh lagaye hue pani pine lagi. Kuch ghunt pii kar hatti tab usne chain ki sans li. Muh aur hath gilla hua to usne apna kandha utha kar muh apni t-shirt se hi poch liya aur hath jeans se pochte hue mudh gayi. Mudte hi usne dekha ki samne ek uncle khade the muh par safed dadhi aur grey color ka kapda dale hue. Shruti ko dekhte hue vo bol pade.

" tum yahan nahi padti.. kisi se milna tha? "

" han.. main nahi padti.. vo meri dost yahan ki student thi uske sath hi ayi thi bas pani pine ruki thi " shruti bol kar galyare se bahar ki taraf ayi jahan vo budha khada tha.

" acha acha bitiya.. " vo bol kar jatte use pehle shruti ne kuch aisa kaha ki vo ruk gaye.

" Vaise apko kaise pata main is school se nahi hun, aap kya har kisi ko jante hai? "

" Itne salon se hun bitiya.. chehra dekh kar pehchan jata hun.. "

" itne salon se ek hi jagah kaam kar rahe hai.. " shruti ne kaha to dhime se tha lekin awaz thodi unchi nikal gayi jo us budhe ne sun li. Shruti ko jab samajh aya ki uski kahi baat usne sun li hai to vo thoda jhemp gayi.

" Har koi yahi sochta hai bitiya ki hum peon log ek hi jagah par kyun salon-salon tak kaam kiya karte hai.. 30 saal to mujhe ho gaye idhar lekin uske piche chupe do karrno ko koi nahi puchta.. "

" Kaise karran uncle? " shruti ko jab uska lehza behad normal laga to usne sawal kar dia.

" pehla karran.. bitiya ab main kisi aur jagah par jakar peon lagun to bhi mujhe usi tarah sambhodit kiya jayega.. mere tajurbe ki kadar nahi hogi jaise ki tum bachon ki naukri lagne par hoti hai.. na ki meri pagar par koi badhotri hogi.. " budhe ki baat sun shruti ko is baat ka ehsas hua ki usne bina soche samjhe kaise ek pal nahi lagaya tha bolne mein aur jabki abhi dusra karran bacha tha jise vo bayan kar raha tha.

" dusra karran... jo har kisi ko nahi pata.. bitiya... ab tumhari tarah meri bhi beti hai aur use padha likha kar kabil banana bhi meri jimmewari hai jiske liye achi jagah padana bhi meri jimmewari banti hai.. par ek gareeb admi aaj kal ki fees bharne ke liye paisa kahan se laye.. bank wale udhari dete hai to itna byazz laga dete hai ki zindagi bhar na bhar paye.. isliye is school mein hi apni bitiya ko padaya badle mein fees ki jagah meri tankuah se kuch paise har mahine kaat liye jatte jise chukane ke liye idhar hi kaam karna padh raha hai taki school ki jo fees thi vo utar dun.. " budha bol kar chup ho gaya, uski ankhein nam hi thi.

" wah uncle.. manna padega apko.. itni dedication .. aap itne lambe waqt se Vandana school mein kaam kar rahe hain apni beti ke liye.. apki story to ek misaal hai.. " shruti ki baat sun budhe ke chehre par choti muskan tair ayi.

" Ab bachon ke liye maa baap ko to ghisna hi padta hai.. waise bhi itne saal guzar gaye.. ki ab to ye school ghar jaisa hi lagne laga hai .. bas bache aur madam log badal jatte hai.. waqt ke sath sath jaise is school ka naam badal gaya hai.. "

" school ka naam badal gaya hai? " shruti ne turant pucha.

" Han bitiya.. is school ka naam to apni pichli principal ki marhoom beti ke naam par rakha gaya hai.. "

" matlab? " shruti budhe ke thoda najdeek ayi.

" Kuch saal saal pehle ki baat hai... school ki principal Rashmi ki beti thi Vandana.. jiski maut ke baad hi is school ka naam uske naam par badal diya gaya.. par rashmi madam itni dukhi ho gayi thi ki ek saal ke andar hi unhone bhi school chhod dia aur suna to yahi tha ki vo sheher hi chhod kar jaa chuki hai.. "

" Kaise maut hui thi uski? "

" kiski? "

" Vandana ki uncle.. " shruti ke sawal par budha batane wala hi hota hai shruti ka phone bajne lagta hai.

" han aaruhi "

" Kahan mar gayi..? ana hai ya jaun ghar wapis.. "

" nahi nahi aa rahi hun.. aa gayi... " shruti baat karte hue wahan se nikal gayi. Shruti apni baat puri karna chahti thi lekin aisa ho na saka, aaruhi ne apni ek-do teacher se milwaya jahan lagbhag football ki hi batein hoti rahi aur uske baad aaruhi shruti ko school se le gayi jabki shruti ko kuch der aur rukna tha. Dono ne ek jagah ruk kar gola khaya aur fir samosa aloo ki sabzi khate hue aaruhi ne shruti ko raipur ki galiyun mein ghumaya jahan par toyharon ki achi khasi bheed lagi thi. Kuch ghar ki sajawat ka saman liya aur sham tak aaruhi shruti ko lekar ghar aa pahunchi.

" Kaha tha na sham ho jayegi.. thaka diya tune to.. " bike se utarte hue aaruhi ne shruti se kaha jo bell baja rahi thi. Urvashi ne darwaja khola aur dono andar aa gaye.

" Maza bhi to aya na.. "

" Han tu to aram se baithi thi.. tujhe to maza ana hi tha.. " aaruhi ne apne balon ke piche gardan par aye pasine ko pochte hue kaha.

" Aunty kaun kehta hai ki iske sath bike par baithne mein maza ata hai.. ye bike chalati nahi udati hai.. udati.. mujhe to doubt hai ki isne pakka kuch bando ko udaya hoga.. " urvashi shruti ki baat sun hans padi.

" Ek to maze le lo uppar se shikayat karne lago.. tum jaison ko sharam nahi ayegi.. "

" sharam to mene... " shruti chidane ke liye bolti ki aaruhi ne rok dia.

" Chup ho ja... "

" tum dono chup hoge.. aaruhi.. shruti dono aram kar lo.. ek ghante mein nimisha ke mehendi mein jana hai.. fresh ho jao.. "

" ok mom.. pehle main hi jati hun.. ye ladki late bhi ayegi to chalega.. " aaruhi bol kar helmet shruti ki taraf udati hui kamre ki taraf badh gayi.

" sab dekh rahi hai.. teri mummy.... iska badla lekar rahungi.. " helmet ko catch karte hue shruti boli jisme uska hath par cut aa gaya lekin khoon nahi nikla tha, khoon nikalta use pehle usne ungli muh mein daal kar chus li.

" lagi kya beta? " urvashi ne turant pucha.

" are nahi aunty.. itni choti moti chiz thodi na lagti hai mujhe.. waise apki beti .. theek lag rahi hai na aaj? "

" seems so.. par periods mein kayi baar is tarah ke emtions atte hai.. vaise meri ek doctor se baat hui thi is vishay par.. excess bleeding .. to unhone kaha ki aaruhi ka ultrasound karana padega.. "

" hmm jaisa apko theek lage aunty.. agar ye chiz aaruhi ke sath pehle kabhi nahi hui to i am sure ki kuch gadbad hogi.. "

" hmm.. Kal nimisha ki shadi hai.. uske agle din dusshera hai... uske baad ek din hai hamare pas.. fir tum college chale jaoge.. "

" to usi din chale "

" par kya bol kar le jayenge ise.. ye bahut sawal karti hai "

" main kuch soch lungi aunty... " shruti ka jawab sunne ke baad Urvashi pados mein chali gayi ye keh kar ki jaldi aa jaye dono. Shruti wahin sofe par baith gayi. Thak to uska sharir bhi gaya tha par us thakan mein bhi kai sarri batein chal rahi thi. Kaash ye pata chal pata ki principal ki beti vandana mari kaise? Kya main aaruhi se puchun? Nahi nahi kahin is baat par kuch trigger ho gaya to uska waise bhi bharosa nahi hai. Vaise main itna uski maut ke barre mein kyun soch rahi hun? Uff ye har chiz janne ka kidaa mere andar bahut hai.. Kya karun? Aaruhi se puchne ki jarurat hi kahan hai.. Google par dal kar search karti hun .. kuch to history mil hi jayegi.

Shruti ne fauran phone nikala aur search mein likha 'Vandana Girls Hostel' Search karte sath hi page load hona shuru ho gaya. Search karte hi kuch news top search par ayi.

'Girl Dead Mysteriously, Found in school'

'School Mystery Solved? '

'Never Caught the Killer'

'Serial Killer in Town'

Ye sab search dekh kar shruti ke man mein confusion aur utsukta dono hi badh gayi. Usne jab ek link par click karke uska article pada tab use is guthi ki kahani ka pata chala. Takreeban do saal pehle 2009 ki hai jab Historical Girls School mein Vandana naam ki ladki jo navvi kaksha ki chatra thi uski body sanghdit halat mein school ke andar hi bane kuain mein padi mili. Body ki halat badi hi kharab thi. Is vakye ke baad bachon mein dehshat ka mahol ban gaya tha. Historical Girls School jiska naam baad mein badal kar usi ladki ki yaad mein rakha gaya Vandana Girls School ke sabhi shikshak aur bache jo us waqt wahan par the aaj bhi us incident ko bhool nahi paye hai. Isi ke sath ek photo bhi us article mein maujud thi jispar nazar padne ke baad shruti ek tuk use dekhti rahi.

Laash kuain mein hi thi jo sukha pada tha, badan par koi kapda nahi tha. Jism aisa mano katra-katra khoon choos liya ho par vo chehra khaufnak shabd ko bhi khauf se bhar de. Chehra har hisse par buri tarah se katta hua tha, khoon ke sath uspar chote-chote kide lage hue the, ankhon ki pallkon par koi baal nahi tha, vo ankhein pathar ki tarah akdi hui thi. Sharir ko dekh kar aisa lag raha tha mano kisi ne kafi dino tak maar kar use kisi jagah par rakha hua tha. Lekin sabuton ke mutabik Vandana kabhi kahin gayab hui hi nahi hui thi sivai maut walle din ke. Police ke hath ab tak koi sabut nahi lage the aur Vandana ka kattil aaj bhi khule aam ghum raha tha.Ye raipur ki sabse badi aur dehshat paida karne wali ghatnao mein se ek mani jati hai.

Shruti itna padh kar ye to samajh gayi ki school ke naam badalne ke piche kya wajah thi abhi use kuch aur janna tha isliye usne search history mein school ka pehle wala naam dala. 'Historical Girls Hostel' Search ke dauran use malum chala ki ye school aaj nahi banaya gaya tha balki is school ki jagah kai saal pehle ek steel factory hua karti thi jise baad mein school mein tabdeel kar diya gaya tha. Shruti ne itna padhne ke baad socha ki usme kuch khas nahi hai fir usne kuch search badal kar search kiya ' Steal Factory,Raipur'

Bahut kuch dekhne ke baad use kuch khas nahi mila to ubasi lete hue usne band karne ka socha fir tabhi ek ke baad ek page par redirect karne ki wajah se usne ek aise article ko khola jise padh kar uski ubasi dur ho gayi.

'Steel Factory ki Durgathna' shruti padte hue ek pal headline dekhi, article bahut jada purana tha, aamtor par itna purana article padne ko nahi milta hai. Saal 2004 ka article tha, jahan par ek steel factory hua karti thi. Factory raton-raat yun hi band nahi kar di gayi thi balki uske piche ek bahut bada karran chipa hua tha. Vo wajah jo shayad hi dunia walon ke samne laya jaaye ya fir use samne lane ka faisla kiya jaye. Us factory mein aisa hadsa hua tha jise padhne ke baad shayad hi koi vishwas kare.

" kya padh rahi hai.. " achanak aaruhi ki awaz sun shruti ka phone fauran chhut gaya aur uski tangon ke bich gir gaya. " ku..kuch bhi to nahi.. " usne apni nazar aaruhi ki taraf ghumate hue kaha.

" kuch to badbada rahi thi.. "

" han.. vo.. to main.. tujhe pata hai.. bas practice.. ab mera aur vishal ka bas hone hi wala hai na.. to kya kya bolna hai uski practice.. "

" cheap ladki hai ek dum tu.. baithe baithe bhi yahi sab sochti hai.. "

" ab baithe hue socho ya laite hue.. chudna to hai hi na.. bhale hi baith kar chudo ya lait kar.. hehehehe.. jaise ab nimisha chudegi.. " shruti ne jaan kar nimisha ka naam liya.

" jakar na naha le aap.. jada chudai karegi to bhosda ban jayega.. main ready ho rahi hun.. fir mat kahio chhod gayi tujhe.. " aaruhi ne bina koi reaction kiye aisa jawab diya ki shruti ko uski umeed hi nahi thi. Usne kapde uthaye aur bathroom mein jaa ghusi. Kapde utar kar vo nangi ho gayi. Uske dimag mein vo article chal raha tha jo adhura reh gaya tha. Tabhi sabun lagate hue use ehsas hua ki uske nipple khade hai.

" Ye kyun khade hai... kya hua .. bhai.. kyun khade ho.. " nipple ko chedte hue vo khud se boli aur sabun lagate hue niche aayi. " Haye.. sala kabhi is chut ko sukh milega.. sala ab to bol bol kar sunne walle bhi pak gaye hai.. " chut ko ragate hue ek mad-mast ehsas ke chalte vo use aur ragadne lagi. Eka-ek ragdan ki wajah se sabun uski chut ke uppar hi ghulta hua jhaag banata gaya aur vo chut malti gayi. Uski ankhein band ho gayi aur muh se 'ahh' ke sath ek garam hawa bhi sharir se bahar ane lagi. Ragdan kafi jada ho gayi thi jiski wajah se uski tangein kanpne lagi aur girne ki dar ki wajah se usne samne nal ki taraf hath badha diya aur use pakad liya. Sabun chut par ghista hua shruti ki garmi ko bahar karne ki kosish mein laga hua tha. Shruti apni tangon ko biche hue sabun ko hi lund samajh apni chut par ghisne mein lagi hui thi aur fir eka-ek per kanpne lage, honth thar-tharane lage, use aisa laga mano brhmad ki sari khusiyan uski tangon ke bich se aza hone ko hai aur fir sharir jahtke khane lage, chehre ke expression badalne lage aur shower wala nal galti se hi khul gaya aur chut ke aaspass laga sabun ka jhaag aur chut ka pani beh nikla aur nali mein jaa pahuncha.

Shruti jab naha kar bahar ayi to usne dekha ki aaruhi wahan nahi thi. " Ye kamini ladki mere bina hi chali gayi.. jaldi tayar hoti hun.. " bra aur penty vo andar se pehen kar ayi thi, bahar atte hi usne jeans dali aur uppar se kurti daal kar baal banate hue 5 minute mein hi nimisha ki mehndi mein nikal gayi, jahan par ek taraf log ikhata hokar mehndi laga rahe the to dusri taraf naach gana ho raha tha. Nimisha ki mehendi lag rahi thi aur aaruhi bhi wahin baithi thi. Shruti ki jab nazar dono par gayi to vo bhi wahin jaa baithi aur thodi der mein vo aur aaruhi bich mein sabke samne nachte hue nazar ane lage jispar log taliyan aur sitiyan baja rahe the.

Thodi der baad...

" hehehehehe.... ek dum kutiya thi vo... " daru ka bhara hua glass muh se lagate hue nimisha ne ek ghunt utara aur fir chana khane lagi. Aaruhi aur shruti usi ke sath terrace par maujud the. Shruti ke hath mein vodka ka glass tha to aaruhi ke hath mein wine ka. Baki log ya to nimisha ke ghar par the ya niche sadak par lage tent mein khana thus rahe the. Uske papa aur uske dost ek kamre mein baith kar daru pee rahe the aur unse chupte-chipate teeno ladkiyan chat par darru pii rahi thi.

" to vo ayi kyun nahi.. apki to best friend thi .. infact apka koi bhi dost nahi aya.. " aaruhi ne puch hi liya.

" sab salle madharchod hote hai.. main to kehti hun.. doston ka dusra naam hi madharchod hota hai.. "

" aaruhi bhi to apki dost hai.. vo to ayi na.. " shruti ne aaruhi ki side lete hue kaha.

" aaruhi to apni jaan hai... " nashe mein jhulti hui nimisha ne aaruhi ke kandhe par hath rakh dia. " tu piti kyun nahi pii na.. " nimisha ne aaruhi ko jor diya to usne glass khali kar dia.

" aaruhi tu bhi piti hai.. " shruti ne pichle ghante mein is baat ko takreeban 20 baar dauhraya tha.

" han kabhi kabhi.. kitni baar puchegi.. "

" vo sab chhodo tum dono.. ek peg aur banane do.. shruti tum kam piti ho kya.. " nimisha ne shruti ka bhara glass dekhte hue kaha.

" han.. "

" Kyun? tumhe koi pilata nahi isliye hehehe.. " nimisha ne apne liye peg banaya aur wine bhar kar aaruhi ko thama dia.

" Nahi.. mujhe jaruat nahi padti.. " shruti ne beman se jawab diya aur apni jagah se uth kar niche jhakne lagi. Niche kuhc log daru pii kar pagalon jaise nach rahe the, ek dusre ke sath jise dekh shruti hans padi. Ek uncle apne sar par daru ka glass rakh kar apni biwi ke sath nachne ko hue aur is tashan mein glass ludka aur daru biwi ke chehre par jaa giri jiske baad uski biwi ne rapet-chapet sab baja dale. Ye sab dekhte hue kab ghnata beet gaya malum hi nahi chala tab tak aaruhi aur nimisha kafi jada utar chuke the.

" yar ye ladki teri dost aaruhi kitni bore hai.. ooyee bore ladki.. idhar aa zara.. " nimisha ne wahi se pukara jise sun shruti ko gussa to aya lekin bina kuch bole udhar chali gayi.

" tu bachpan se bore thi ya jawani mein hui hai.. lagta hai jawani pighlane wala nahi mila koi hehehehehe... " nimisha ne fir shruti ko cheda aur is baar aaruhi bhi hans padi jise dekh shruti bina bole na reh payi.

" Meri boriyat ki badi chinta hai apko.. itni hi chinta aapne apni jawani ki kar li hoti to aisa sharir na hota .. murjhaya hua.. " shruti ki baat sun aaruhi ne muskurate hue wine ka ghunt bhar liya.

" mere jaisa sharir kisi ka hai bhi nahi " taav se bolte hue nimisha ne glass ko chatt ki boundary par de patka.

" han aisa flat sharir kisi ka nahi hai.. hehehehe... " shruti ki hansne ke sath aaruhi ki bhi hansi chhut gayi. Nimisha gusse se laal ho gayi, use apni choti chatiyun ka gila hamesha se hi raha hai.

" aaruhi teri ye dost bilkul us chudail vandana ki tarah hi hai.. mujhe ye bilkul pasand nahi ayi.. " nimisha ne gusse mein keh to dia lekin kehte sath hi shruti ka hansta hua chehra chota ho gaya. Chehra uska chota hua to usne fauran aaruhi ki taraf dekha jo ek takk nimisha ko ghurre jaa rahi thi.

" Vandana aaruhi ki dost? " shruti kuch kehti use pehle aaruhi wahan se niche ki taraf chali gayi. " Aaruhi kahan jaa rahi hai.. "

" Tu bhi jaa chal.. apni dost ke piche jaa.. aaj kal ke bache mujhe gyan chhodenge... " nimisha ne fir glass see ghunt lagaya aur kadwahat ke chalte uska sharir sehar utha. Shruti ne nimisha ko ignore kiya aur vo uske piche chal di. Aaruhi itni jaldi ojhal ho jayegi shruti ko ye umeed nahi thi, ek pal laga aaruhi wahin floor par hogi isliye usne use awaz di lekin wahan ke shor mein kisi ne dhayan nahi diya. Vo awaz lagate hue niche utar ayi aur jab wahan bhi kisi ne dhayan nahi diya to vo ghar ki taraf chal padi. Ghar ki duri jada nahi thi, kuch kadam aur vo pahunch gayi,gate khula hua tha. Shruti andar ghusi, use malum tha ki aaruhi ghar aa gayi hai isliye andar ghuste hi usne awaz di.

" Aaruhi... kahan hai? Aur kyun aa gayi.. hum to bas mazak kar rahe the na.. Aaruhi ... Aaru.... " shruti ise jada kuch bolti uski nazar uppar ki taraf gayi jahan ka darwaja khula hua tha. Vo darwaja jo Urvashi ne band kar rakha tha aur jane se mana kiya tha vo darwaja khula dekh shruti bina pal gawaye sidiyan chadte hue uppar pahunchi. Uppar pahunchte sath hi usne kamre ki halat dekhi to saman har jagah bikhra hua tha. Shruti ki nazar kuch aur khoj rahi thi, jo use wahan khade reh kar nahi dikhi par jaise hi do kadam andar rakhe to bed ke side deewar se chipki baithi aaruhi usi dikhai de gayi. Jisne ghutne modh rakhe the aur sar jhuka kar uspar tikaya hua tha, baal samne ki taraf bikhre hue the.

" Aaruhi... tu aise.. yahan kyun baithi hai.. " Shruti ne uske sath kamre ko dhang se dekha, jaisa urvashi ne bataya tha waisa kuch nahi tha, ek dum sahi saaf sutra kamra tha. " Aaruhi .. kya hua hai bata na.. " shruti aaruhi ke najdeek aa rahi thi, uske man mein dar tha, vo aaruhi ke alag-alag roop dekh chuki thi aur ab kya dekhne wali hai uska andaza nahi tha use.

" aaruhi.. bol na.. tu.. " vo uske aur najdeek ayi ki use pehle uski nazar farsh par padi tasveer par gaya. Ek pal laga jaise uski ankhon ka dhoka hai lekin agle hi pal jab use yakeen hua to usne photo ko utha liya aur ek pal dhayan se dekhne ke baad uska dil aur ruh dono hi kaanp uthe.

" ye...ye.e.e.. kya hai... " uske hath se photo wahin gir gayi.

" Main batati hun vo kya hai... " awaz piche se ayi thi jise sun kar ek pal ke liye shruti seham gayi kyun ki uska dil abhi bhi kuch dekh kar sehma hua tha. Vo palti to paya piche urvashi khadi hai jiske chehre ka dukh kuch bayan kar raha tha.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
This has happened to Shruti twice, once when she was at the railway station and second time today on the terrace, what could it mean or Shruti is scared due to which her mind shows her such scenes or whether she is able to see the reality of some other dimension. Seen from another perspective the scene looks similar to what Meghnath told about the death of his friend.

It is clear from the words of Nimisha and Aarohi that there is something that we do not know, on one hand there are many such things which we do not understand, on the other hand Shruti has a different gimmick on Facebook :booby: Vandana This is the same name that is mentioned twice in the story and today is the third time but I thought it was a person's name.

Aarohi knows how to ride a bike and she also says that she is from Nagpur i.e. Raipur but she has some relation with Nagpur, now I will go for long drive with her :yay: There are many questions Hariya Kaka and all questions stop at Aarohi well my heart also stops seeing her :blush1: how sweet :blush1:


Shruti has a book which Shreyas had mentioned what is inside it is not known yet maybe after reading it something can be understood, now Aarohi does not talk to the soul on mobile? What is Meghnath doing? Mind-blowing update, hats off :applause:
Ha shruti ke sath bhi hona chahie taki vo aaruhi ke dard ko samjhe :D jaise aap aaruhi ke dard ko samajh rahe ho :D

Bahut kuch nahi jante aap mere barre mein :D Abhi dekhte jaoo kaun hai Vandana.. mazak thodi na hai :D

Han bike se gira degi fir tute pade rhaoge muth kaise maroge bhai :D Aaruhi ka heart stop kar dete hai aur kyaa.. :D

Aaruhi kya kya karti hai.. vo kaaise bataun.. vo mujhe khud nahi bata rahi :sigh: Thank you so much Aakash. bhai :hug:
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,893
244
romanchak update .budhe peon se bahut saari baate pata chalti shruti ko par aaruhi ke call ne aisa hone nahi diya .
vandana naam kaise mila school ko ye to pata chal gaya par isme bhi bahut si kahaniya judi huyi hai jo shruti ko google se pata chali .steel factory se historical aur baadme vandana .
steel factory ka rahasya to padh nahi payi shruti .
vandana ki maut kaise huyi ye bhi suspense hi bana raha .

kya aaruhi ya nimisha ne murder kiya hai vandana ka 🤔🤔🤔🤔..
nimisha bhi bahut harami hai ,cigarrate aur daaru bhi peeti hai jee bhar ke 🤣.
ek raaz khol diya nashe me ki aaruhi aur vandana dost thi .kahi jalan ki wajah se to nahi maar diya nimisha ne usko 🤔🤔.

nahate huye sabun se lund jaisa maja liya shruti ne 😁. thrill topic padhne ke baad nipple kaise khade ho gaye bechari ke 🤣.aur unse bhi baate karne lagi .

band kamre me ( jisme jane ke liye mana kiya tha ) aaruhi shayad ro rahi hai aur shruti dhadakte dil se uske paas pahuch gayi aur wo kiska photo dekhkar hairan ho gayi 🤔🤔. kya wo vandana ka photo tha .
ab urvashi aisa kya raaz batayegi shruti ko dekhte hai .

vandana ki maut itne badtar halat me kaise huyi ,kaun karta tha usse itni nafrat .
 
Last edited:

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,197
78,121
304

Death Kiñg

Active Member
1,372
6,949
144
" Ye kyun khade hai... kya hua .. bhai.. kyun khade ho.. " nipple ko chedte hue vo khud se boli
:roflbow::roflbow::roflbow:

Is kahani mein kuchh bhi aisa nahi jiski apni ek kahani na ho... God of Box, Book of Hoax, Bandhara, Railway Station, Girls Hostel, Abandoned Girls Hostel, aur ab ye Vandana girls school... Vanadana Girls School, jiska asli naam Historical Girls School, hua karta tha wo bhi ek aise haadse ka shikaar ban chuka hai, jo seedhe taur par Aaruhi se hi juda hai... School ke Principal ki beti, joki 9th class mein thi, uski kisi se kya dushmani ho sakti hai ki itni dardnak maut use naseeb huyi..? Sawaal hi nahi hai ki utni kam umra mein uska kisi ke saath bhi koyi bair ho, jiske chalte use itna khaufnak ant bhogna pada...

Parantu, jo baat hairaan karne waali thi, wo ye ki Aaruhi ki dost hua karti thi Vandana... Ab is se ek sawaal ye bhi paida hota hai ki Shruti ki zindagi ke kitne din aur bache hain :?:... Jis steel factory ko school mein badla gaya tha wo factory bhi haadse ka shikaar thi, ab wo haadsa kya tha ye abhi saamne nahi aaya hai, parantu Shruti us baare mein chhanbeen zaroor karegi... Beharhal, ending scenes se yahi laga ki Aaruhi ka Vanadana ki maut se zaroor koyi taalluk tha aur isi wajah se aaj ki tareekh mein Aaruhi baakiyon se bohot alag hai...

Kya Aaruhi ke hi kaaran Vandana ki jaan gayi thi? Kya us kamre mein, jismein Urvashi ne taala lagaya hua tha, Vandana se Judi koyi baatein chhupi hain, jo Urvashi nahi chahti ki Aaruhi ko dobara yaad aayen? Meanwhile, ab lagta nahi ki zyada samay tak dono Maa – Beti Shruti se ye raaz chhupa payengi, shayad agle Update mein isi ki kahani saamne aane waali hai...

Nimisha ke saath agae kya hoga, ye bhi ek bada sawaal hai... Usne Vandana ko Shruti ke jaisa bataya tha, iska kya matlab tha ye bhi dekhna hoga, shayad Vandana bhi Nimisha ke unnat ubharon par apni pratikriya deti hogi :roflol:... Nimisha ka kirdar kahin na kahin thoda mysterious sa laga hai, I guess kuchh na kuchh to uska bhi ateet juda hai Aaruhi se, jo Aaruhi ko Aaruhi banata hai...

Phenomenal Update bhai... Kuchh Raaz jahaan khulkar saamne aaye to wahin kuchh aur sawaal bhi khade ho chuke hain... School ki paheli khuli hai to wahin Factory ka raaz chhupa hua hai... Shayad agle update mein kuchh aur baatein saaf hongi...

Outstanding Update Bhai & Waiting For Next...
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,197
78,121
304
After talking to the peon felt his pain well those who do not have money can understand the importance of money, Many things happened but the thing which was related to Vandana has been mentioned many times could not be done. As Vandana was Aarohi's friend it's not surprising that the name was first heard from her mouth or she is her sister :?:

The fire in Shruti's body is not getting cold and Aarohi's body never gets hot :D I'm saying this story needs me :approve: Aarohi goes to the room where she shouldn't have gone and whose photo is there maybe Shruti can recognize her seeing her expressions it seems. We cannot say anything until the incomplete talk of the peon and incomplete information about the steel factory comes to the fore.

As always the update was awesome, you are writing very well, now lets see what happens next, till then waiting for the next part of the story. Thank you...
 
Top