• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Update ~~ 102

" Kisi ne hamari shikayat kar di to.. khud ved sharma ne kar di to hamari to watt lag jayegi.. didi to meri gand tod degi shruti.. " rachna ne shruti ka hath pakad liya tha. " tum to jante ho na ved ko to pata lena unhe ... keh dena ki unhe jo nahi mila tha vo hume mil gaya hai isliye kuch mat karna.. " rachna ne meghnath ki taraf dekhte hue kaha jo ek chor kapde ka pakad kar khinchte hue aage chal raha tha dusra chor vishal ne pakda hua tha. Unhone un teeno books ko kapde mein daal kar niche plastic ki tray laga di thi jiski wajah se use khinchna asan ban gaya tha.

" abhi ye sab baat karne ka samay nahi hai... abhi bas niklo " shruti ne kaha aur shanti cha gayi. Us gaon se nikalna aisa lag raha tha mano kisi aise vatavaran se bahar nikal rahe ho jahan zindagi rehti hi na ho. Itni khamoshi, is andhere mein aur dono taraf tute makan jisme se har pal bas yahi lag raha tha mano koi dekh raha ho. Na koi jawar ki gunj na hi kisi aur chiz ki, prtihvi par itni khamoshi kabhi mehsus hi nahi ki hogi. Jitna samay unhone andar ghusne mein laga tha use jada waqt unhe bahar jane mein laga aur tab tak chaorn ka dil aise daud raha tha mano maut picha kar rahi ho. Vo jungle se guzarte waqt to sabhi ke dant kanp uthe, itna khauf paida kar rahe the vo ped aur unme behti hui hawa mano kuch keh rahi ho, cheta rahi ho. Andhera har dar ka ujagar hota hai aur khamoshi us dar ko badwa deti hai. Piche mud kar kisi ne dekha nahi par har pal unhe ye lagta raha ki piche koi hai jo unhe dekh raha hai. Unki chori pakade baitha hai.

" buss jaa rahi hai.. " meghnath ne bus ko dekhte hi fauran kaha jisne sabhi ke senses ko kabu mein laa khada kiya. Bus abhi abhi us do-tarfa road se aage nikali thi. Bus ko aage jata dekhte hi shruti aur rachna chillate hue daude aur aise daude mano kitne chust ho lekin unki ye kosish rang layi aur bus akhir thoda aage jakar ruk hi gayi. Vishal aur meghnath jitni jaldi ho sakta tha books ko khinchte hue le aye aur dono ne mehnat karke books uppar chada kar bus mein jaa baithe. Bus mein jitne baithe the sabhi unko ghur rahe the lekin unhone is baat ki parwah nahi ki, charon ki sansein fulhi hui thi. Mathe se pasina beh raha tha. Ab unhe seat mil gayi thi thakan mitane ke liye. Conductor ne bus par zor se thap-thapaya aur bus daud chali. Khidki se atti thandi hawa tan ki garmi ko shant kar rahe the lekin man mein sawalon ke bhoj ne unhe aur thaka diya tha.

Takreeban 11 baje shruti hostel pahunchi, uska sharir thakan ke chalte tut chuka tha. Vo janti thi bahar baitha chilu nakhre karega isliye pehle hi usne use 100 rs ka note dikha diya tha. Vo kamre mein pahunchi to aaruhi pehle se hi use soi hui pai gayi, usi din ki tarah, bra aur penty mein ulta hokar. Shruti ne apni jeans utari aur jakar bistar par lait gayi. Is lambe din ka ant ho chuka tha aur ek nayi shuruwat bhi ho chuki thi.

Dophar ko class ke baad ek taraf aaruhi aur uski team practice mein jujhi hui thi dusri aaur highway se guzarte truck aur gaddiyun ke shor ke bich dhabbe mein baithe charon kafi der se khamosh the. Dhabbe mein kaam kar raha ladka table par chai ke chaar glass rakh kar pichle walle glass utha kar le gaya. Garam chai ke glass se dhuain reh-reh kar uppar ki taraf nikal raha tha. Rachna ne chai ka glass uthaya aur chuski lete aah bharte hue dusri chuski maar li, jise sun shruti ka gussa chalak gaya.

" chai pine bulaya hai tujhe yahan... do ghante ho gaye lekin tere muh se chai ki chuski ke alawa aur kuch nahi suna mene.. ab ek baar aur chuski ki awaz ayi to tera pichwada Kaal ke lund mein daal dungi samjhi.. " shruti ka matha kal bus mein hue kaand ko lekar pehle hi garam tha. Rachna ne uske bolte hi agli baar chai ki chuski li lekin bina 'stupppp' ke.

" Kaal .. filmo jaisa naam rakha hai.. " vishal bola.

" Naam hi nahi uski to puri kahani filmo jaisi hai.. retro vo bhi.. " shruti ne khilli udate hue kaha " tum log khud batao, kya aisa kuch ho sakta hai bhala jo bhagwan se uppar ho? I mean.. ye baat to mujhe hazam hi nahi ho rahi dur-dur tak "

" i agree.. mene bhi kal raat bahut socha to mujhe bhi is baat par yakeen nahi ho raha hai.. Mana ki jo bhi humne dekha vo sach mein ajuba tha.. par aisi mystery chizon se dunia bhari padi hai jaise ki vo Box jo tumhe mila tha.. usi tarah vo map aur books bhi mile honge.. " vishal ne shruti ki baaton ka sath dete hue kaha.

" Exactly.. aur waise bhi un books mein kya lika kaun janta hai? hum koi transcripter nahi hai.. hum nahi kar sakte use read to jo ved ne kiya uspar yakeen kaise kar le.. Nahi.. mujhe ye baat hazam nahi hoti aur ek pal ke liye maan bhi le to use aaruhi ka kya connection? In mauton ka kya connection? Ye kahani kahin aur jaa rahi hai.. "

" waise bhi mujhe to aaruhi pehle se jada theek lag rahi hai.. dekh nahi rahe tum log.. mujhe to wahi lagta hai ki uski dimagi bimari thi jo ab dhire-dhire theek ho rahi hai.. " rachna ne chai ki chuski lete hue kaha.

" Ho sakta hai.. Uske dad wali kahani ke bare mein janne ke baad to yahi lagta hai ki.. " vishal khatam karta use pehle meghnath jo tabse chup baitha tha vo bol pada.

" dad wali kahani.. kya hua tha uske papa ko? " meghnath ke sawal karte hi vishal shruti ko dekhne laga, dono ek dusre ko ghurne lage.

" tumhe nahi bataya? " shruti ne uski taraf dekha aur fir Vandana Kapil aur raipur mein hue hadse ke bare mein sab bata dia. " Aur isi wajah se uska mind is tarah disturb tha.. mujhe to tumhari baton ne uljha dia tha ki aaruhi ke pas waqt kam hai nahi to main to yahi manti ayi thi ki aaruhi ki haalat ka jimmewar uska past hai.. isliye aaj ke baad tum kabhi ye mat kehna ki aaruhi marne wali hai.. main ab is baat se bore ho chuki hun... " shruti iske aage kuch aur kehti use pehle meghnath apni jagah se khada ho gaya.

" Tumne ye baat mujhe pehle kyun nahi batai.. " meghnath ki nazare unpar nahi thi, vo kisi soch mein duba hua tha.

" Kyun pehle batati to kya ho jata tum.. " shruti ko fir bich mein rukna pada.

" Tumne abhi tak vo kitab nahi padi jo mene tumhe di thi.... par ab lagta hai tumhara use dekhne ka samay aa gaya hai.. samay behad kareeb hai.. aaruhi apne akhri charan mein hai... " meghnath ki sansein fulhi hui thi. Vo itna bol kar wahan se bina kuch sune chal dia.

" Ye admi kis mitti ka bana hai.. abhi bola ise ki mat bolio .. isko to kadar hi nahi ha behenchod.. " shruti bhi apni jagah se khadi ho gayi.

" Lekin vo akhri charan ke barre mein kya bol kar gaya? " vishal ne use jatte dekh kaha.

" Ye nayi lakdi pakda gaya... ab isko jhelloo..... are chai to pine de... " shruti khinch kar use le jane lagi, uski akhri chai ki chuski reh gayi thi. Vishal ne dhabbe walle ko paise pakdaye aur vo un dono ke piche ho gaya.

Hostel ki taraf badhte-badhte sirf vishal aur shruti ki reh gaye the. Rachna bich mein se hi mud kar apne ghar ko chali gayi thi aur meghnath uska kuch ata pata hi nahi tha.

" Yar ye admi mujhe tang kar raha hai "

" kaun? "

" ravan ka beta... "

" hain? "

" are lalu ho tum bhi.. meghnath ki baat kar rahi hun.. jaruri hai har baar ise kuch na kuch ulta bola... "

" baat to tumhari theek hai.. lekin ek baat ye bhi sach hai ki jabse vo takraya hai humne is kahani mein kuch alag hi dekha hai jo shayad kabhi kisi ne socha bhi nahi tha.. tumhe nahi lagta aisa? "

" hmm... par vishwas nahi ho raha.. kuch hai jo adhura sa lag raha hai.. ispar blindly trust karna "

" Main bhi nahi kar raha.. lekin abhi tak usne aisa kuch nahi kiya jise hume lage ki vo hume ullu bana raha hai ya fansa raha hai. Mauke to uske pas kayi the.. par kabhi usne aisa kiya nahi "

" Kya pata vo koi aur bada jaal bun raha ho.. "

" ho sakta hai par fir hum kare to kya kare? Sab kuch chhod de.. "

" nahi nahi.. aise kaise chhod de.. kuch na kuch gadbad jarur hai.. bhale hi aaruhi theek ho rahi ho par is college mein to gadbad hai na.. vo sab mystery deaths.. vo office ki khufia meeting.. vo surang.. sab kuch ajeeb hai.. mystery se yaad aya.. tumne gaggan se pucha nahi ki aaruhi use kyun lekar gayi thi? "

" Kal raat to puch nahi paya tha aur subah jab utha to vo tha nahi.. aaj usne class bhi attend nahi ki.. phone kiya to uthaya nahi.. ab jakar room par dekhta hun.. "

" Ajeeb chutiya dost hai tumhara bhi.. us danav jaise dikhne wale dost se kaho ki aaruhi se thoda hi rahe.. pata nahi kab kya kar de.. us ladki ke dimag ka kuch nahi pata.. "

" acha... tum to roz usi ke sath soti ho.. kahin kisi raat ko usne uth kar tumhare sath kuch kar dia toh? " vishal ne chedti muskan ke sath kaha.

" karne do.. waise bhi tum kaun sa kuch kar rahe ho.. " shruti ne barabari se takar dete hue jawab dia.

" mauka to do.. " vishal ek jagah ruk kar bola.

" han dungi na... " shruti ruki aur uski taraf mud kar khadi ho gayi. Vishal ke man mein uchaal ane laga " Jaise roz lete ho sapne mein.. waise hi ... " hanste hue shruti wahan se bhag khadi hui aur vishal hath malh kar reh gaya.

" Aaj kal to tu dikhai hi nahi deti.. " room mein pahunchte hue aaruhi ko kamre mein dekhte hi shruti boli.

" to abhi kaun khada hai tere samne... Supriya? " Aaruhi ne itni asani se apni baat kahi ki ek pal shruti use ghurne lagi. Ek pal use aaruhi ki baat ko process karne mein lag gaya.

" Kaun supriya? tune ye naam kyun bola " sruti use gehrati nazron se dekhne lagi.

" aise hi naam liya.. tujhe kya ho jata hai bich bich mein.. 3 mahine ho gaye na college aye hue isliye tu bavla gayi hai.. tujhe ab sach mein dose chahie .. vishal se bol jaldi tayari kar le.. aur han chalna nahi hai ? "

" Kahan.. " shruti abhi bhi soch mein thi.

" Mess mein.. aaj movie day hai.. chal aja... " nikar aur top pehne aaruhi kamre se bahar ki taraf nikli.

" tu chal.. main ayi... " shruti ne use jane ke liye kaha aur ek pal sochne lagi ki aaruhi ne itne dino baad Supriya naam ka jikar kaise kiya? Anjane mein nikal gaya hoga.. jaruri hai ki wahi naam legi? Han anjane mein hi nikla hoga. Shruti ne sochte hue apna top utara aur jeans bhi utar di. Uska halka wheatish rang ka jism vo sishe mein niharne lagi aur niharte hue usne apni chatiyun ko bra ke uppar se uppar ki taraf uthaya aur fir unhe waisa hi chhod dia. Vo abhi kapde nikal hi rahi thi ki tabhi uska phone bajne laga. Phone par vishal ka naam aa raha tha, jise dekh uske man mein masti sujh gayi, apne jism ko dekh kar hi vo garam ho rahi thi aur uppar se vishal ke phone ne uski aag ko bhadka diya tha.

" heloo... " seductive tone mein shruti boli aur agle hi pal uska seductive chehra badal gaya aur mathe par bal padh gaya " abhi? kyun? theek hai.. han... hann.. atti hun.. " shruti ne phone katta aur bad-badati hui khadi hokar kapde pehen kar apne bistar ke pas ayi aur niche jhuk kar bag nikala aur hostel se bahar nikal gayi.

" tum logon ko itni der raat aur koi jagah nahi mili... " shruti terrace par atte hi boli. Par wahan dekha to sirf vishal khada tha. " tum akele kyun ho? "

" aa raha hai vo.. " vishal ne kaha aur shruti ke hath se uska bag le liya.

" boys hostel mein guard nahi hota kya? "

" movie night hai.. usi mein laga hua hai.. "

" itni urgency mein bulana jaruri tha? " shruti ne vishal ko bag se book nikalte dekh pucha.

" maine bhi kaha tha lekin usne zid ki to ana pada.. "

" ab fir vo baketi chodega... "

" jo bhi lage tumhe, mera kaam tumhe sahi kahani par chadana hai.. " piche se meghnath ki awaz sun shruti apni jagah par bani rahi jaise use farak na pada ho. Meghnath vishal aur shruti ke pas aa khada hua. " Main tumhari dost ko bachane ki kosish kar raha hun.. aur shayad in hadson ke piche ki wajah bhi jaan paun.. mujhe bhi kisi kahani par vishwas nahi hai aur tab tak nahi hoga jab tak sab kuch samne nahi aa jayega lekin han.. main un chizon ko galat bhi nahi manta jo main dekh raha hun " meghnath ne baat itni gehrai se kahi ki shruti aage kuch keh nahi payi.

" kya dikhana chahte ho tum hume? " ek pal baad vishal bola.

" wahi jo bahut pehle dikhana chahta tha ... " meghnath ne vishal ki hath se book le li. " Vedji ne bahut si kitabein likhi lekin ye kitab ek aisi kitab hai jisme unhone charon charan ke bare mein ek sath likha hai.. "

" Kya hai ye charan? "

" Charan yani phase ya stage... jo unke mutabik .. us insan ka antim charan hota hai uske baad vo uski ruh ke sath jo marzi kar leta hai.. yani ki puri tarah se control.. " meghnath ne book khol kar ek sath kai panne aage badha diye the. Shruti bechaini se dekh rahi thi, jo book usne itne lambe samay se band karke rakhi thi vo uske samne khul rahi thi.

" Jise hum bhoot ana kehte hai? " vishal khud ki baat par sure nahi tha par use yahi lag raha tha.

" bilkul.. "

" Par tum aisa keh sakte ho ki aaruhi ka vo antim charan hai.. uspar koi bhoot to nahi aya hai ? " shruti ki baat sahi thi.

" insan apna control sirf tabhi nahi khota jab uske andar bhoot ata hai.. vo tab bhi khone lagta hai jab uska asar uske sharir par padne lagta hai aur rahi tumhare sawal ka jawab to ye raha jawab... " meghnath ne ek panna khol kar book ko dono ki taraf ghuma diya.

Panne par ek vichtar prakar ki chitarkari ki hui thi... jisme ek sishu jaisa bacha tha aur vo kisi ajeeb si shaks ki goad mein tha. Vo shaks itna dark bana tha ki usme kuch dekh pana muskhil tha ki kya bana hai. Par uske charon taraf ek ajeeb si chizen bani hui thi.

" Kya hai ye? "

" Vedji ke mutabik ise 'Rakshastra' kehte hai "

" matlab? "

" Matlab yahi hai.. antim charan mein insan use yaad karne lagta hai jiski mrityu usne apni ankhon ke samne dekhi ho.. jiski mrityu se vo ahat ho aur uske turant baad kisi ki mrityu ho jana.. ye sanket hote hai.. kya aaruhi ne tumhare samne kuch aisa kiya ya bola jo uski kahani se juda ho par tumhari samajh se pare ho? " meghnath ne turant pucha. Shruti ek pal ke liye uski baton mein kho gayi, soch mein padh gayi, use laga ki ye admi baatein bana raha hai uski kahani sunne ke baad lekin fir vishal bol pada.

" Book mein kuch aisa hi likha hai " vishal ne galla saaf kiya " Ved ke mutabik chautha charan sabse ghatak charan sabit hota hai. Is charan mein 'Sarthi' mrityu se sambhand vastuon ko gyaat karta hai. Aur agar uske baad vo kisi ki mrityu dekh le to samajh lena chahie ki 'Rakshastra' uspar havi hone ki tayari main hai. Aisa hote hi 'sarthi' uske vash mein vo karta hai jobhi vo chahta hai. " vishal bol kar ruk gaya aur shruti ka ek hi pal mein is baat se man badal gaya ki meghnath khud se nahi bana raha, ye chiz to book mein likhi hai.

" ye sarthi aur kya likha hai isme rakshastra kya hai? " vishal ke sawal puchne par shruti hosh mein ayi.

" Sarthi ko book ke madhyam se vo insan bataya gaya hai jispar 'kaal' ki nazar hai, Rakshastra .. ek aisa jeev hai to chauthe charan mein 'Kaal' ke kaam ko anjam deta hai.. " meghnath ne samjhane ki kosish kari.

" Aisa sa kuch gaggan bhi bata raha tha us book ke madhyam se jo apne library mein rakhi thi.. " vishal kuch sochta hua bola " usme kuch aur naam tha "

" Bilkul hoga.. ye sab usi se juda hai.. apne-apne charan ke mutabik.. " meghnath vishal ko jawab deta hua shruti ki aaur dekhne laga " tum kuch soch rahi ho? "

" tumhare sawal ka jawab jo abhi pucha tha, aaruhi ko lekar ... abhi thodi der pehle.. usne baton hi baton mein kaha ki tujhe main kya dikhti hun, Supriya ? "

" Kya ye wahi ladki thi.. jo aaruhi khud ko manti ayi thi? " meghnath ne fauran pucha.

" han.. "

" Ye antim charan hi hai.. aur tumhari baat se sabit bhi ho raha hai ki yahi sahi hai.. Vo khud ba khud nahi aisa bol rahi balki pichle teen charan mein jo uske sath hua ye uska asar hai "

" teen charan? " vishal bola.

" han... char charan... stage ya phases jaisa tum log keh lo.. shaurya ke sath bhi aisa hi hua tha ant mein.. tab mujhe itefak laga tha par jab shaam ko tum logon ne bataya to yakeen ho gaya ki sab kuch waisa hi ho raha hai.. "

" shaurya ke sath? tumne to tab bataya tha ki vo apne pyar ki wajah se pareshan hai " shruti ne ek dum se sawal kiya.

" mujhe bhi aisa hi laga tha lekin sham ko tumhari baton ne kuch aur hi samjhaya.. marne se kuch samay pehle mene jab tumhe bataya tha ki vo pareshan rehne laga tha, vo pareshan apne maa baap ki maut ki yaad ko lekar rehne laga tha. Use vo hadsa yaad ane laga tha jo bachpan mein ghatit hua tha "

" Kya uske baad koi maut dekhi thi? "

" Keh nahi sakta .. par han uski maut se pehle uska pyar to mara hi tha.. bhale hi awaz suni thi usne.. " meghnath ne jawab dia

" par tumhe aisa achanak se kyun laga .. aisa kya yaad aya tha? "

" Uske saman mein ek kitab ke piche likha hua tha ki mujhe bahut yaad aa rahi hai, main bahut miss kar raha hun. Main reh nahi sakta ab aur..tab se yahi lagta aya tha ki vo apne pyar ke liye likh raha hai par book padne ke baad aur tumhari baat sunne ke baad sab kuch badal gaya.. isliye keh raha hun jo ho raha hai usme sachai dekho.. Ye kahani asan nahi hai.. bilkul bhi... " meghnath ki baaton ke aage ab shruti ke pas koi jawab nahi tha. Ek pal terrace ke andhere mein sirf khamoshi hawa ke roop mein behti rahi.

" to fir ab? kitna samay hai aaruhi ke pas.. " vishal ne bahut mushkil se apni baat kahi. Shruti use ghurne lagi.

" mera man nahi maan raha ki ye sab sahi hai.. " meghnath kuch bolta use pehle shruti bol padi.

" pattern ko andheka nahi kar sakte shruti.. agar sach mein aaruhi ke sath kuch galat ho raha hai bhale hi super-natural hume kuch karna chahie.. Warna uski madad koi nahi karega.. koi nahi manega is kahani ko.. koi bhi nahi... " vishal ne shruti ko samjhate hue kaha.

" theek hai.. " shruti ne haar mante hue kaha. " to ab kya karna hai? "

" hume Amazon jana hoga.. " meghnath ki baat ne hi dono ke zehan mein ek ajeeb si sihar dauda di.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
15,594
32,095
259
romanchak update ..ved ke ghar se nikalkar bus tak jaane ka safar aise lag raha tha jaise koi horror movie ka scene ho ,kya gajab likha tha waha pe writer ne 😍😍😍..

to meghnath ke mutabik aaruhi ke paas jyada time nahi hai .uska aakhri charan hai .
supriya kaha khudko aaruhi ne jisse chaunk gayi shruti Par meghnath ne saare sawalo ka jawab de diya ki kaise aaruhi ka aakhri charan hai .
ab amazon me jakar kya pata lagana hai dekhte hai .
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,705
150,392
304
Shruti and her friends have exactly the same thinking as I said in my previous review but it may not be so. Meghnath has spoken this many times, Aarohi has less time or she is going to die or this is the last step explain it to him otherwise it will become his last time. :evillaugh:

The face of the village is also strange, they are not doing any wrong inadvertently because the way you have described, it seems that something is about to happen or there is no story behind this village, just for our entertainment this scene has been created. :D

The story is so complicated that what is happening is not understood, we are trying to understand today's update but in the last update or say what is happening from the beginning of the story till now, I understand something I didn't come, Supriya and Aarohi, college secrets, secret meeting, Aarohi used to talk in mobile, now village has also been added to it and also death of loved ones, almost everything is not clear, we are just getting confused. :dazed:

It may also happen that Kaal is Aarohi, there is only one character in this story which I frankly like and the writer is preparing to kill her. :verysad: It is not right to trust Meghnath he came in the middle of the story and changed the form of the story maybe he is using all these to complete his work because no one has proof of his words except him Shruti is right, it is not right to trust.


It would have been nice if I had met Ved Sharma once before going to the vast jungle of Amazon. :?:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Mera mobile change ho gaya hai aur Hindi me likhna bahut hi jyada complicated. Pahle aasan tha likhna lekin abb bahut tough.
Aur hinglis me likhna mughe kabhi pasand raha hi nahi.

Aarohi ka kirdaar etna jyada bhramit kyon hai ? Abb tak jitni bhi unnatural ghatnayen hui hai uske kendra bindu me wahi kyon rahti hai?
College Aur hostel sabhi jagah usi ke erd gird unnatural ghatnayen abb tak ghatit hui hai.
Yahi nahi balki Uske home town me bhi waisa hi hua hai.
Bandana ki maut..uske khud ke dad ki maut..Aur abb ye. Kitna hi khaufnaak manjar raha hoga jab wo ghatna ghati hogi. Dharamshala ka girna Aur phir earthquake ke ghatke ke saath jamin ke andar sab kuch gaharai me sama jana Aur puri jagah jal magn ho jana ...
What was this?
Kya natural aapda thi
Kya saazis tha
Kya manav mistake tha
Kya Aarohi ki koi khaufnaak karistani thi

Aakhir Aarohi hi kyon? Samagh me nahi aa raha hai ki Aarohi ki tabiyat sahi me kharab thi ya kharab kar di gayi thi ya usne kharab hone ka natak kiya tha!

Shruti ki activities aab tak well wisher friend ki rahi hai ya apne boy friend Aakash ke saath flirt karte hue ya jaggu ke saath thodi masti karte hue.....abhi bhi friend ki kasauti par khara utarna baki hai use.

Ek baar phir se behtreen update Harshit bhai...Dharamshala wala scene kafi socking tha Aur dardnaak bhi.

Jagmag Jagmag update bhai.
Pehli baar apka Hinglish format dekh kar review... :D Aaruhi ko banaya hi brhamit gaya hai.. Agar usko bhramit na banyege to kahani mein maza kahan se ayega... :D
Uske hone ka bhi ek reason hai.. aage dekhenge... :D
Thank you bhai :hug: keep reading.... :dost:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Now the time changed earlier girls only liked traditional dress and as of today it's old and heavy it's not right to speak on this issue :banghead: more important than who got the call and why are these girls so irresponsible Then didn't even try to call. :?:

Don't know what happens to my Aarohi again and again :verysad: at first I thought there was a spider coming out of her mouth like in the mommy movie :lol1: Well what do we understand about this mishap, whether Aarohi saved his family or killed all the people sitting in the marriage hall, wherever Aarohi there is chaos. Aarohi loved her father very much he died mysteriously exactly the same happened with her friend that is who is dear dies after all what's the reason or who is behind all this that unable to see my Aarohi happy. :angry:


It felt very strange, I understood the shaking of an old building but how can it happen that the ground itself is moving in the middle of the city. :hspin Vandana heard this name for the first time in that haveli, how many times after that but till now this mystery has not been solved. I said in my review at the beginning of the journey that this journey has not started well and my fears have come true. :sigh:
Mana kar rakha hai mene call krne se :D Ab aap ko hi chahie aaruhi agar vo chaos hai to aap bhi chaos ho jayege... :D
Apko ab aaruhi se milwana hi padega :D Thanks bhai :hug:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Top