• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel "

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Manpreet ki maut ke baare mein kaafi kuchh khulkar saamne aa gaya hai... Kaushal, jisne Manpreet ke saath balatkar kiya wo mobile shop par kaam karta tha... Wahi Mobile shop jahaan se Shruti ka mobile repair hua tha aur saath hi us din Manpreet bhi usi dukaan par gayi thi... Jis din Suraj ki maut huyi tab Manpreet un ladkon ki video bana rahi thi aur wahi video wo zariya bani jiske kaaran Kaushal ne Manpreet ko blackmail kiya... Khair, uske baad bhi shayad Kaushal ne apne paas se wo video delete nahi ki jiske baad Manpreet ko apni jaan gawani padi...

Wo video evidence room se chori hua aur sabhi students ke mobiles tak pahuncha diya gaya... Achhi baat ye hai ke Kaushal ko giraftar kar liya gaya hai but sawaal ye uth ta hai ke kya use saza milegi..? Police seedhe taur par College ki authorities ke talve chaat rahi hai, aur jo koyi bhi in sab mauton ke pichhe, Aaruhi ki haalat ke pichhe aur in sab unusual ghatnaon ke pichhe hai, wo nischit hi koyi powerful shakhs hoga, ab aise mein agar Kaushal uska ek mohra nikla, to use saza ho iske chances ghat jaate hain... Haan, yadi Manpreet ke saath huyi ghatna ka sambandh puraani mauton se nahi hai aur ye sab kewal aur kewal Kaushal ne hi kiya hai, to alag baat hai...

Khair, Police aur College authorities ko Kaushal ke roop mein ek bakra mil gaya, jiske sar wo sabhi ghatnaon ko madh sakte hain... Firstly, Kaushal ke sar sabhi ilzaam aayen is se koyi dikkat nahi hai, jo usne kiya hai uske liye wo bhayankar saza ka paatra hai, parantu iska matlab ye to nahi ke jo puraani mauton ke pichhe hai wo bachkar nikal jaaye... Police dwara liye gaye Is kadam se fir ek dafa saabit ho gaya ke College authorities ke saath saath wo bhi is daldal mein shaamil hain... Wahin Director ke saath Nandini bhi dikhayi di... Nandini ke hi kehne par Alok ne Aaruhi ki Mom ka dhyaan aur baaton se hatakar kewal Schizophrenia par laa diya tha, ab ye to saaf hai ke Nandini bhi poori tarah is scandal mein lipt hai, let's see aage kya hota hai...

Shaurya Singh ki file mein uske guardian ka naam Atharva Roy mention kiya gaya tha... Aur wahaan jo number maujood tha wo kisi aur ka nahi balki Meghnath ka hi tha... Yahi kaaran tha us din Shruti aur Vishal ke hairaan hone ka... Meghnath hi Atharva Roy hai, aisi theory Shruti ne sabke saamne rakhi... Aur ab tak hoti aayi sabhi mauton ke pichhe kewal usika haath hai... Yahaan gaur karne waali baat ye hai ke Shruti ke mutaabik Manpreet ko dafnaye jaane waali video mein bhi Meghnath maujood tha, arthat wo bhi Kaushal aur uske doston mein shaamil tha, jinhone Manpreet ka balatkar kiya..?

Lekin fir ek baar, ek aur rahasya uth khada hua, aur is baar Meghnath ne apna paksh rakhte huye lekhak aur uski kahani ka angle jod diya hai... Harshit bhai, apni khudki guest appearance karwane waale ho kya estory mein :redface:... Btw. Yadi aap apni entry nahi karwa rahe ho to, Is it possible ke ye sab jo ho raha hai wo kisi ki kalpana maatra hai, jiske baare mein ant mein pata chale..?



Iske bheje mein koyi chemical locha lage mujhe to... Kabhi kehta hai maine chhoda tha, kabhi kehta hai Atharva Roy ne chhoda tha... Bhai pehle ye batao ke dono alag – alag hain kya :confused:... Aur agar dono ek hi hain, to Meghnath Bollywood filmon ka shaukeen to nahi jo khudko “main" ke jagah, apne naam se pukarta hai...?:iamok:


Arthat..? Iski vyakhya ki jaaye..!! Kya Shruti koyi book padhkar aayi hai, wo jo Library se mili thi..? Ya fir Meghnath bas lambi lambi fenk raha hai taaki bachkar nikal sake?:banghead: Btw. Meghnath chahta kya hai, ye bhi ek sawaal hai! Pehle to laga tha ke wo Shaurya ki maut ka badla lene ke liye College mein hai, but ab Shruti ke anusaar wahi Shaurya – Samridhi ka kaatil hai! Secondly, ye har baar Aaruhi ko hi point out kyon karta hai? Kya aisa kuchh Raaz hai Aaruhi ke baare mein jo ye jaanta hai, let's see Meghnath ke kahe mutaabik kahin Aaruhi sachmein hi to kuchh hi samay ki mehman nahi?


Lo ab ye kaala jaadoo bhi karne laga.. :doh:

Khair, Aaruhi ka behaviour ek baar fir suspicious tha... Manpreet ke maamle mein jo baatein usne ki, wo kewal ek hi taraf ishara karti hain, Aaruhi ab emotions se door jaa rahi hai... Haan, pehli baar uski baatein padhkar uski soch par gussa aata hai, but kahin se bhi uski baat ko galat nahi thehraya ja sakta, problem ye thi ke Aaruhi ki baatein behad practical thi, joki aisi situation mein jaayaz nahi hain... Shruti bhi uski baaton par nishabd ho gayi thi, yahi is baat ka pramaan hai ke Aaruhi ka lehza bhale hi galat ho par uski daleelein arthpoorn thi... Secondly, Shruti ne bhi ant mein satya hi kaha ke logon ki soch badalne se, unhe sachayi se awgat karwane se Manpreet waapis nahi aane waali... Manpreet apni ek chhoti si bhool, jo usne nashe mein ki thi, uske kaaran apni asmat aur apni jaan dono hi ganwa baithi, uski Maa aur shayad bhai, dono ki situation baare mein sochkar bhi dukh hota hai, kya beetegi unpar jab unki beti ko hi is sabka zimmedar thehraya jaayega...

Kahani ka naya chapter : “The Antiquarian" shuru ho gaya hai, I think Aaruhi ke past se judi kuchh baatein is chapter mein saamne aa sakti hain... Aaruhi ki profile picture dekhkar Shruti ko jo shakh hua wo Urvashi ki baaton se yakeen mein badal gaya hai... Aaruhi pehle archaeology se related trip par jaa chuki hai, yahaan ek baar firse ye baat kehna chahunga ke Urvashi nischit hi Aaruhi ke past se judi koyi behad important aur badi baat chhipa rahi hai, jiska parinaam kahin unhe Aaruhi ko khokar naa bhugatna pade... :dazed:

Ab dekhna ye hai ke Meghnath ki aage ke tark kya hain! Manpreet ki mrityu mein uska kya role tha, kya wo bhi Kaushal se juda hua tha..? Aaruhi ke baare mein wo kya aur kaise jaanta hai, sabse bada sawaal wo yahaan is College mein maujood kyon hai..?

Teenon hi updates behad hi khubsurat the bhai... Jaisa maine pehle bhi kaha hai ke jis tarah ki detailing aap dete ho, especially raat ke scenes ki, wo apne aap mein adbhut hai... Vishal, Shruti, Gaggan aur Kim, sabhi ke bhaavon ko behatreen tareeke se dikhaya aapne, Manpreet ki maut par... :superb:

Outstanding Updates Bhai & Waiting For Next...
Min kyun kahun ki agar kahani hi bevkuf bana rahi ho to aapko kaisa lagega :redface: Kaushal aur manpreet ke bich ke ghatna karam se sirf ek hi chiz judi thi ..... Aur uska kahani mein ane ka maksad pura ho chuka hai... Chaliye koi nahi hum hi bata dete hai.. Confusion clear hoga... Ya fir chaliye rehne dete hai.. Atkale lagayenge to is phase ko bhi jodh denge.. main kuch dino mein is chiz ko apko comment mein bata kar clear kar dunga..

Hahaha nah bhai apni entry nahi karwa raha hun.. Vo wahan dialog kisi ke sandharbh mein kiya gaya tha jiska taluk mujhse nahi juda.. Jugal bandi type ki gayi Yani Meghnath ke kehne ka matlab tha ki jis lehkak ki kahani tum sun kar ayi ho vo mat batao, yani jo kahani man hi man schi hai vo sach nahi hai.. Asli lehkak ki kahani kuch aur hi hogi yani ye kahani mere aur tumhare sochne par adharit nahi hai balki kuch aur hi hai.. Mene bas likha aisa lehkak jod kar taki padne walo ko lagna chahie ki lehkak(Yani main :p) aisi shadharan si kahani nahi likhunga... :D

Bhai Aaj kal practical bolna hi galat hai... jahan apne practical batein ki wahin aap ko galat tehra diya jata hai, dunia kadastor ban gaya hai.. chutiya banate jao aur kaam karte jao :sigh:

Every story has its past... Yahan par bhi yakeenan jarur hoga... Aur aap ek dum sahi track par ho.. par dekhne wali baat hogi ki vo kya hai..

Apke sawalon ka jawab aage update mein de chuka hun...

Thank you so much bhai for reading nd detailing it out.. and sorry for late replying... samay jitna mil raha tha usme likh raha tha taki update de sakun... Dhanyawad bhai :hug:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
श्रुति की थ्योरी से भी मैं सहमत नहीं हूं । अथर्व राय उर्फ मेघनाथ अब तक कालेज में हुए सभी मर्डर का खूनी नहीं हो सकता । ये सिलसिला आठ साल पहले से शुरू हुआ । शायद २००४ से और अभी २०१२ चल रहा है । शौर्य सिंह और समृद्धि ठाकुर की मृत्यु सन् २०१० में हुई । जबकि पहली मौत प्रतिक्षा की २००४ में हुई थी ।
शौर्य सिंह और समृद्धि ठाकुर की हत्याएं उसने की , अगर इसे मान भी लें पर , आठ साल पहले की हत्या वो कर ही नहीं सकता । इंजीनियरिंग के फर्स्ट सेमेस्टर में अमूमन लड़कों की उम्र लगभग सत्रह या अठारह साल होता है और इस हिसाब से छः साल पहले उसकी उम्र बहुत ही कम होगी । एक ग्यारह बारह साल का लड़का इतनी होशियारी से कत्ल नहीं कर सकता ।

इसके अलावा जिस रात श्रुति को उसने घायल किया था , अगर वो ऐसा ही साइको है जैसा श्रुति कह रही है , तो उस रात वो उसे जान से मार देता । उसके पास मौका भी था और हथियार भी था । किसी गवाह का भी डर नहीं था । खुद का भेद छुपाने का सिक्योरिटी भी था । लेकिन उसने ऐसा कुछ नहीं किया । उसने सिर्फ श्रुति को घायल करके छोड़ दिया था ।

लेकिन मैं इस बात से इनकार नहीं करूंगा कि वो बिल्कुल ही innocent है । बहुत कुछ जानता है वो । लाइब्रेरी का राज तो शर्तिया जानता है । आरूहि के बारे में वो उतना जानता हो सकता है जितना आरूहि की मां और श्रुति भी नहीं जानती होंगी । मेघनाथ ही पहला शख्स था जिसने आरूहि के आचरण पर सवाल उठाया था । और अब उसने एक और नया रहस्योद्घाटन कर दिया कि आरूहि के पास बहुत ही कम वक्त बचा है ।

बहुत जरूरी हो गया है आरूहि की जिंदगी बचाना । श्रुति अपने लाव लश्कर के साथ जल्द से जल्द आरूहि के पास पहुंचे अन्यथा कहीं देर न हो जाए !


बहुत ही बेहतरीन अपडेट था हर्षित भाई । खासकर श्रुति का सवाल पुछने का अंदाज । कभी कभी तो काफी फनी लगा ।

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट अपडेट ।
2004 mein pehli maut ke bare mein pata chala aur 2007 main samridhi aur shaurya ki maut hui thi. Aur abhi jo kahani chal rahi hai bhai vo 2012 ki chal rahi hai :D Yani abhi ke hissab se meghnath 22-24 saal ka hai aur 2007 mein shaurya ki umar ka hi. Kahani past mein chal rahi hai.. Apne ko wahich samay behad pasnd hai isliye :D

Ye bachon ki guthi hai na.. to salle jahan marzi kuch bhi jod rhe hai .... maturness hi nahi hai inme isliye likhna bhi kuch usi tarah se padh raha hai :sigh2: Anyways.. Thanks sanju bhai :hug: aur maffi for late replying to this review.. :dost:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
romanchak update ..shruti apni theory bata rahi hai ki kaise usko meghnath ke baare me pata chala .
par lagta hai kuch kam jaankari hai shruti ko sab murders ke baare me ..
aaruhi ke paas waqt kam hai aisa kyu kaha meghnath ne 🤔🤔🤔..
kya meghnath bhi murders ke baare me jaankari ikattha kar raha hai 🤔. lagta yo nahi ki main culprit meghnath hi hai ,warna uske paas chance tha shruti ko jaan se maarne ka .

aur ye lekhak ki kya kahani hai ??????. kya meghanth ka kehna ye hai ki koi aur villain hai sab murders ka yaa ye is kahani ke lekhak ke baare me kaha gaya hai khud lekhak ( harshit ) ne ..
Waqt kam hai uske pas aisa use laga hoga.. Are bhai kehna kuch nahi tha :haha: Vo sirf ek katasssh mara gaya hai ki lehkak(yani mein :shy:) itni bhi gandi end nahi dunga, dunga beshak dunga ganda end.. par itna bhi nahi :D Baki aur koi mtlb nahi tha :D
lovely update ..to meghnath ne apni kahani bata di sabko ki kaise wo shaurya se mila aur dosti ho gayi .meghnath ek anath ladka hai .

meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..

meghnath ki kahani kitni sach hai kitni jhooth abhi ye samajh nahi sakte .
waise shaurya ke saath bura hua jo uske maa baap ki maut ho gayi galat soch ki wajah se 😔..
shayad ab meghnath ke room me kya hai aisa isse wo sabko dikhana chahta hai aur usse hi pata chalega ki aaruhi ke upar kaunsa khatra mandra raha hai 🤔🤔🤔..

timing maayne rakhta hai maut ke pichhe jaise shaurya ki maut .
to kya wakai me waha koi bhoot pret hai yaa koi aisa insan jo kisi student ko target karta hai aur usko maar deta hai hypnotise karke 🤔🤔🤔🤔.. shayad koi aisa ho jo experiment kar raha hai .
abhi kuch bhi clear nahi hai ki students ki maut kaise ho rahi hai .isliye andaja lagana galat hoga .
Aksar bachpan mein aise hi sikhte hain hum... Mai bhi bachpan mein ameero ko dekh kar apne dosoton se kehta tha baht gadiyan hai mere pas khada karne ki jagah nahi hai isliye parking mein khadi hai :roflol:
Bhai aap bas padte jao slowly slowly... timing aur iskhela ka parda-faashh hone wala hai... Thank you bhai :hug:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Bahut sari chize hai jo iss story me ab tak piche reh gi thi or un chizo ka zikr b hona band ho chuka tha or me bs wait kr ra tha ki kb wo sb chizo pr kahani dubara focus kregi or ab lgta hai ye wahi time hai iss update me wo book ka zikr ho hi gya jo Shruti layi to sahi but padha nahi uss doc ka kya hua aruhi wo medicine le rahi hai ya nahi me bor ho gya tha bs Shruti or maute or uski jasusi padh k ab story me mja aa ayega wese agar ye story only thriller hai horror nahi to jo b aruhi k sath hua uska girls hostel me milna Supriya or megha wala sara wakya aruhi ka nude halat me suicide ki kosish just like she is in possessed that time or sbse unique wo periods wala kissa unlimited blood how is this possible if ye story only thriller hai to hope so story me horror ka tadka b ho and aruhi itne time se kya kr ri hai dubara girls hostel ja ri hai ya nahi uska to harshit bhai kuch zikr hi nhi kr rahe kafi time se jbki padhne me mja usi me aa ra tha baki let's see next update se ab inhi chizo k bare me discuss hoga story me


Meghnath ki bato me sachayi to lag ri hai agar hum ab tak ki story pr dhyan de to


Ek wo bichari aruhi ki neighbour ya Frnd jo b hai jiski shadi honi thi uski shadi to krwa do kafi time se atki hui hai Shruti or aruhi b hostel ka sada khana se ek din k Bach jayegi or kuch acha kha legi 😅



Wating for next update


Keep writing keep rocking 😎
Jahan tak main galat nhi hun to ye apka pehla rview hga kahani par. Chalo mujhe laga tha ki ane wale kuch dino mein ayega lekin apne pehle hi de diya vobhi theek hai..
Bhai kahani na to thriller, suspense hai na hi kahani horror hai.. na hi kahani romantic na hi erotica.. Ye kahani balki in sabhi ka ek aisa mixture hai jo shayad hi mene kabhi likhne ka socha raha hoga. Padne walon ne to kai baar pada ho sakta hai lekin mene kabhi nahi likha... Ye kahani ek sadharan kahani ko darshati hai lekin ajube khub hone wale hai isme ab.. Keep reading.. Agge apko shock lagna baki hai :D

Han bhai kara denge shadi.. ab uska hi samay aa raha hai... :D Thanks bro :hug:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
मुझे मेघनाथ की बातों में कहीं कहीं सच्चाई नजर आती है तो कहीं कहीं फरेब ।
शौर्य और मेघनाथ की बचपन की स्टोरी सच हो सकती है । यह भी सच हो सकता है कि शौर्य और उसकी प्रेमिका की मौत एक दिन और करीब करीब एक समय पर ही हुई । लेकिन जो तर्क दिया उसने मौतों की टाइमिंग पर , वो मुझे जचां नहीं । गगन ने सही कहा पोस्टमार्टम रिपोर्ट से सिर्फ मौत के टाइमिंग का अंदाजा लगाया जा सकता है । परफेक्ट टाइमिंग नहीं बता सकता ।
परफेक्ट एक ही टाइमिंग में यदि दोनों की मौत हुई है तो वो सुसाइड ही हो सकता है । प्रेम में असफलता और इमोशन्स में बहकर एक ही टाइम पर मौत को गले लगाना.... सुसाइड की ओर इशारा करता है ।
सुरज ने सुसाइड नहीं किया था । वो दारू के नशे में छत से गिरकर मरा था । और एग्जेक्ट उसी समय आरूहि भी उस रहस्यमय हास्टल से गिरी थी । यह संयोग हो सकता है।

अब कहानी आ पहुंचती है उस बुक्स पर जिसे श्रुति ने अभी तक सिर्फ दीदार ही भर किया है । वो बुक्स सुपर नेचुरल पर आधारित है .... ऐसा मेरा मानना है । लेकिन हम यह भी जानते हैं कि इक्कसवीं सदी में ऐसी बातों पर कोई विश्वास नहीं करता । वो बुक्स प्लांट किया गया हो सकता है । मूल बातों से भटकाने के लिए । लेकिन क्यों , यही समझ में नहीं आ रहा है ।
कौन चाहता है कि ये सारी घटनाएं अलौकिक जैसा लगे ? आरूहि के साथ छल हो रहा है या वो खुद कोई बहुत बड़ा गेम खेल रही है ?
मुझे तो डाउट है मेघनाथ और आरूहि की जुगलबंदी है इस पुरे खेल में । लेकिन क्या और क्यों ?
वो कुछ दिखाना चाहता है उन्हें जिससे उसकी बातों की पुष्टि हो लेकिन क्या दिखाना चाहता है वो ?
कुछ देर पहले मेघनाथ ने कहा था कि आरूहि चंद पलों की मेहमान है फिर इतनी लम्बी बहसबाजी के दौरान उसके लिए दुबारा चिंता क्यों नहीं जाहिर की ?

बहुत कुछ है जो अभी भी स्पष्ट नहीं हो पा रहा है । ऐसे ही हमारे दिमाग का परखच्चे उड़ाते रहिए हर्षित भाई ।:D

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट अपडेट हर्षित भाई ।
Postmartam ki report mein yahi time darz tha isliye usne anuman lagaya... Baki to jo gaggan ne kaha vo ek actual fact hai. Lekin Suraj wale kisse ne sabke man mein doubt paida kar diya. Vo hum keh rahe hain ki vo nashe ki halat mein gira Par kya wakai mein aisa hua? Suraj ki maut se bahut sa drama open nd close hua hai bhai.. bas zara sa sochne ki jarurat hai idhar.. Baki fir bhi nahi hua clear to main aage bata hi dunga :D Jaldi hi Spasht ho jayega bhai :D Thanks bhai :hug:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
यह कहानी जब मैंने पढ़ना शुरू किया था उस समय मेरे सिर पर नब्बे हजार नौ सौ सोलह बाल थे और अब उनकी संख्या कम होकर पचपन हजार सात सौ बाईस हो गए हैं । सोच सोच कर सारे बाल ही झड़ते चले गए । ( अमूमन एक आदमी के सिर पर एक लाख के आसपास बाल रहते हैं ) :D
डॉ चुतिया भाई और फौजी भाई की भी कहानी रनींग में है और उनमें एक की स्टोरी चुड़ैल और भुत प्रेत पर है तो एक की स्टोरी अलौकिक शक्तियों पर है । वहां तो समझ में आता है और उसी को ध्यान में रखकर हम अपने अपने राय रखते हैं लेकिन यह तो मैं अच्छी तरह जानता हूं कि आप की कहानी रियलिटी से ज्यादा कनेक्टेड होती है इसलिए हम अनुमान लगाते रहते हैं कि आखिर इस कहानी में राज क्या छुपा हुआ है ।
और सच कहूं तो रिजल्ट अब तक वही ढाक के तीन पात वाला ही रहा । अभी तक कुछ भी पल्ले नहीं पड़ा ।

खैर !
मेघनाथ साहब ने एक ऐसे चमचमाते हुए पिटारे का दर्शन कराया है जिसमें अक्षर तो एशियन कंट्री अरेबियन लेंग्वेज में लिखा गया है लेकिन वो अफ्रीकन कंट्री मिश्र के गाॅड का बताया जा रहा है । कुछ कन्फ्यूजन तो यहीं पैदा हो गया है ।
रात के अंधेरे में उस पिटारे का चमचमाना शायद रेडियम की वजह से हो सकता है ।
वो जिस लेंग्वेज का इस्तेमाल कर रहा है वह अरबी है या फारसी या फ्रैंच या इटेलियन या स्पैनिश ... कौन जानता है ! मुझे नहीं लगता उन पांचों स्टूडेंट्स को पता होगा कि वो किस लेंग्वेज में बात कर रहा है !

मेघनाथ उर्फ मेघा.....---किम " करदाशियां" ने भले ही भय के मारे मेघनाथ को मेघा के नाम से सम्बोधित किया लेकिन शक के बीज तो रीडर्स के मगज में भर ही दिया । कहीं आरूहि की ' मेघा ' मेघनाथ तो ही नहीं !
आरूहि ने एक बार पुरातत्व विभाग से जुड़े एक शहर का ट्रीप किया था । कहीं मेघनाथ का यह पिटारा उस ट्रीप और आरूहि से तो जुड़ा हुआ नहीं !

इसके पहले कालेज में आरूहि का प्रेम लावन्या के लिए देखकर तो हमारे आंखों में आंसू ही आ गए । जिस लड़की से वो सबसे ज्यादा डरी डरी सी रहती थी.....जिस लड़की का चेहरा देखना तक पसंद नहीं करती थी.... जिस लड़की को विभत्स तरीके से मरने की सदैव कामना किया करती थी , उस लड़की के प्रति अचानक से उसकी वात्सल्यता और प्रेम ने उसे संत के कैटेगरी में पहुंचा दिया । उसे तत्काल ही मदर टेरेसा की तरह संत घोषित कर देना चाहिए । :D

एक और सुपरहिट अपडेट हर्षित भाई ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट ।
Hahaha.. Bhai baal bacha kar rakho, aise to dikat ho jayegi.. Sab baal khatam nahi karne hai itni jaldi.. Aaruhi jaise baalon ki samsya na rakho.. warna apko use jhodh denge.. :D
Bhai is kahani mein kuch nahi chupa hai sirf chutiapa chal raha hai aisa maan lo :roflol:

African nahi bhai... Egyptian... Aur rahi baat jo meghnath ne boli vo Arabian bhasha hai.. Baki to ab vo gyani baba hi batayenge aage ki kahani hai.. Apne translate nahi kiya kya ? :D

Oh bhai Meghnath se Megha kya banaya hai.. sala aeee to apun bhi nahi sochela tha :bow: :bow: Aaruhi paglet hai bhai.. uspar dhayan hi na do.. :D

Thanks sanju bhai... :hug: Aur han Balon ka dhayan rakho :D
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
gajab ka update ..trusty sirf natak kar raha hai ye baat to sahi kahi shruti ne .
aaruhi khud gandi baate karti hai aur jab shruti kuch bole to kehti hai gandi baat mat karo 🤣🤣.. ek raat me lavanya ki fan ho gayi aaruhi 😁 aisa kya jadoo kar diya tha aaruhi par .
uske maut ko lekar jyada hi chinta me rehti hai aaruhi .

meghnath se milne jaate waqt ka scene ekdam horror thrill type laga 😍😍.. har koi chaukanna hokar chal raha tha .
aur ye rachna to kuch jyada hi danger nikal gayi jo khoon se sana hua kapda leke aa gayi meghnath ko fasane ke liye par kaise fasana hai yahi pata nahi 🤣🤣..

ab ye box aa gaya jiski ek alag hi kahani hai jo sabko meghnath bata raha hai .sochnewali baat hai ki uske paas itna ancient jamane ka box aaya kaha se aur wo bhi egyptian 🤔🤔🤔..
aur ek naya naam vikrant jiski aawaj tape recorder me hai .uske paas kaise aaya wo box ye shayad us recorder se pata chal jaaye .

aur ye vishal ka lund utne darawane mahaul me bhi khada hone lag gaya shruti ke chipakne se 🤣🤣🤣.
Aaruhi gazab paglet ladki hai bhai uspar dhayan hi na do.... :D
Rachna is just like students... Vo sahi mayine mein ek awal darze ki thokne wali laundia hai bhai sahi keh raha hun :D

Aage apko pata chal jayega ki uske pas aisa box aya to aya kahan se.. Next 2-3 update behad romanch se bhare hone wale hai.. Afsos ye hai ki use likhne mein samay lagega aur aafis se fursat na mil rahi .. par jaldi aunga.. Thanks bhai :hug:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Update ~~ 85

Main Vikrant ya Alok, Apne naam ko lekar main hamesha se sandeh mein raha hun isliye apne bete ka naam bhi mene Vikrant rakha kyun ki uski pehli jhalak mujhe kuch-kuch apne bachpan ki jhalak jaisi mehsus hui thi. Main ek Treasurer hun, khud ko manta hun ya fir ban gaya hun, kabhi khud ko theek se is baat ka jawab nahi de paya. Salon se main reh to raha hun par ek adhura pan sa hai zindagi mein. Jo chiz pane ke liye main khoj been mein juta hun usko mehsus karke aisa lagta hai mano vo mujhe behad dur hai aur kabhi-kabhi aisa lagta hai mano behas pas bhi. Vo chiz kya hai main nahi janta kahan hai filal ye bhi nahi khoj paya hun lekin usi khoj been mein mene kuch aise tasthya hasil kiye hain jo behad desh kimti honge par mere liye vo sirf ek khoj hai, man jaise abhi bhi adhura hai. Apne Treasure ko khojte hue mene bahut si chizen khoji unhi mein se ek aisi chiz mere hath lagi jo hamari sabhyta ki behask ek anmol vastu hai jo arse se hamare bich maujud hokar bhi humse dur thi.

Egyption God Of Box, jo ki meri khoj ki hui vastu mein se ek khoj hai jo mujhe Egypt ke The Great Gazi Of Pyramid se mili. Salon se wahan chupi hui thi, koi nahi janta tha ki kuch aisa bhi maujud hai wahan jo sirf kahaniyun mein hua karta tha. Par mera manna hai ki kahani banti hi isliye hai ki us sach tak pahuncha jaa sake bas farak itna hota hai ki us kahani ke piche chupi asli kahani ko khojna padta hai. Egyption God Of Box koi mamuli box nahi hai, Ye box Egyption ke anusar unko unke bhagwan se jodta tha. Unki takat se milata tha. Maut aur zindagi ke bich ke raste ko jodta hai ye box shayad isliye us jamane ke log ise God Of Box ke naam se bulate the. Jo chiz maut aur zindagi se judi ho vo chiz kitni khatarnak rahi hogi iski hum sirf kalpana hi kar sakte hain. Isliye hum ise apni zindagi mein istemal karke kin shakityun ke agman kar de main achi tarah se kuch keh nahi sakta. Aur na hi kisi galat hathon mein padne de sakta hun, ye chiz jitni hi mulyawan hai utni hi khatarnak bhi. Jitna mene jana hai Egyption God Buri shakti aur takaton ke bhagwan mane jate hai. Aur unhi power se vo log buri shaktiyun ko apne andar ikhata karke sazayein diya karte the. Is kahani ke anusar mere liye is box ke sath koi bhi khilwad karna be-buniyad hai kyun ki jis chiz ko main khoj raha hun uska ise koi vasta nahi hai isliye ye box kisi ke hath na lage isliye main ...

Tape se ek pal ke liye awaz kahin kho gayi, tape chal rahi thi par awaz nahi aa rahi thi. Koi kuch bolta use pehle kamre mein fir awaz gunjne lagi.

Main bharosa karte hue apne sathi jisne meri bahut madad ki hai use saunpta hun. Vo ache se janta hai ki is chiz ka istemal ya fir iska duropyug kitna ghatak sabit ho sakta hai. Iske sath tape-recorder ka play button uppar ki taraf aa gaya jiska sanket tha ki recording khatam ho chuki hai.

" Jab Shaurya ke sath Delhi aya to paise ki jarurat thi, khane ke liye aur uski padai ke liye bhi. Isliye naukri ki talash mein meri mulakat Alok uncle se hui. Jab unko mere bare mein pata chala jo unhone apne sath kaam de diya. Shuruwati dino mein Mera kaam unki madad karna hi hota hai. Unke bataye gaye address se saman lana, le jana par dhire-dhire vishwas ke sath unhone mujhe unke kaam ke bare mein samjhaya. Vo jo bhi khojte the use ek mehfus jagah par rakhte the jiski dekh-baal mujhe hi karni hoti thi. Kai dafa unke sath main sheher se bahar bhi jane laga aur fir ek din saman dusri jagah rakhte hue meri nazar is box par padi aur unhone iske bare mein uski kahani batai. Unke sath reh kar mujhe bhi purani chizon mein dilchaspi badh gayi thi aur usi liye mene Is box ke bare mein padna shuru kiya aur jaisa unhone bataya tha kuch-kuch vaisa hi mujhe bhi padne ko mila. Par fir ek din unhone kaha ki vo apni sabhi khoj ko chupa rahe hain taki kisi ke hath na lage kyun ki unhe vo chiz mil gayi hai jiske piche vo itne salon se khoj mein the aur mujhe bhi ab unke sath kaam karne ki jarurat nahi thi. Main nirash ho gaya, iske alawa kaam bhi nahi tha aur na hi paisa tha. Vo jante the ki mujhe paise ki dikkat hai isliye unhone mujhe apni khoj mein se ek chiz de di taki main use bech kar paisa ikhata kar sakun. Aur usi ke sath unhone ye Box bhi de diya iski rakhwali karne ke liye. Main nahi janta tha ki unhe kis baat ka dar tha lekin vo bole ki agar main na lauton to is box ko kisi mehfus jagah par chupa dena taki kabhi kisi ke hath na lage jaise is chiz ke piche jarur koi ane wala tha isliye vo box ko apni ger maujudgi mein chhodna nahi chahte the isliye ye box mere pas hai " Meghnath ne recorder ke band hone ke baad apni baat kahi jaise vo sabhi ke man ke sawalon ka jawab pehle hi de de.

" Ye box fir hamari madad kaise kar sakta hai jab ye itna dangerous hai to? " shruti ne kahani ko samjhte hue pucha.

" Dangerous hai.. par kabhi-kabhi kabar kuch chizon ka pata lagane ke liye hume un chizon ka istemal karna padta hai jo khatarnak hoti hai.. lekin agar hum sahi dhang se us chiz ka istemal kare to khatre ko tala jaa sakta hai " Meghnath ne shruti ko samjhaya.

" lekin fir bhi agar tumhe bola gaya hai ki is chiz ka use karna khatarnak ho sakta hai to tum hume ye kyun dikha rahe ho? Ye admi jarur kuch gadbad hai vishal.. jo insan us insan ko dhoka de sakta hai jisne iski bure waqt mein madad ki vo hume nahi dega bhala? " shruti ne sabhi ke kaano mein baat daal kar sabhi ko asmanjas mein daal dia.

" Baat to shruti ki bhi sahi hai.. agar uncle ne mana kiya tha to ye box hume dikha kar kya karwana chahta hai? " rachna ne shruti ka samarthan de dia.

" Egyption chizen waise bhi rehasmaye hoti hai.. hollywood ki movie nahi dekhi 'Mummy' usme bhi aisa hi hua tha ... mujhe to is box ke sath ched-ched karna kuch theek nahi lagta.. shruti sahi keh rahi hai ye ladka hume marwane ke firak mein hai.. kahin.. tum hi to nahi.. is box ki madad se.. Aaruhi ko behla fusla rahe ho... aur baki sab bachon ke sath bhi tumne aisa kiya ho... "gaggan ne jasie hi ye baat kahi sabhi ke soch mein paivartan aa gaya. Sabhi uski baton ko jodte hue ye maan hi baithe the ki han yahi vo shaks hai jo is box ki madad se ye sab kar raha hai. Aur ab unke sath bhi kuch aisa hi karega apni baton mein behla fusla kar. Sab bas maan hi baithe the ki achanak vishal bol utha.

" Tumhe kab pata chala ki is box ki madad se tumhe kuch mil sakta hai? " vishal ke is ek sawal ne jaise meghnath ke chehre ke bhav ko badal diya. Vo ek pal ke liye soch baitha tha ki sab uski baat ka vishwas na mante hue use mujrim ghosit kar denge.

" Ek raat ko malum chala... jab main vo book padh raha tha.. "

" Kaun si book? " vishal ne fauran pucha taki bich mein koi aur bol kar baat ko khatam na kar de.

" Wahi book jo mene shruti ko de di thi.. Wahi book jo library mein mene kayi section ke bich mein daba rakhi hai taki koi to pade aur samjhe use.. "

" Kya padh rahe the aur kaise hua sab? dhang se batao? " vishal bol raha tha aur shruti ki taraf bhi dekh raha tha jo use gusse bhari nighaon se dekh rahi thi.

" Box lane ke baad mene use hamesha apne pas hi rakha, jaisa Alok uncle ne kaha tha bilkul waisa hi kiya. Box hamesha mere is bistar ke niche hi rehta aur jab bhi kamre ki safai karni hoti to main khud saaf karke use dhak kar wapis bistar ke niche rakh deta. Us din bhi kuch aisa hi hua tha, tab main room mein akela nahi rehta tha, isliye raat ko jab bhi mujhe padna hota to main dohar ke andar torch jala kar padta. Us raat jab main us book ko roz ki tarah samjhne ki kosish mein laga tha tab mujhe book ke andar ek chitr mila aur uske sath kuch akshar bhi mile. Mene us chitr ko dekha to vo ek tomb jaisa bana hua tha. Aur uske niche likha hua tha. 'alruwh alati la tanam' meghnath ne wahi sabahd dhuraye jo kuch der pehle dhauraye hue the.

Mujhe aisa laga mano koi mantr ho isliye main use bar-bar bolne laga, bolta chala gaya aur tabhi mere torch ki light lub-jhup hone lagi. Aur achanak se.. vo band ho gayi.

" Ise kya hua.. " mene torch ke piche thoda pita par vo nahi jali. " lagta hai battery gayi, itni raat ko battery kahan milegi.. " mene ek do-dafa aur torch ko thoka par vo nahi jali par tabhi mujhe ehsas hua ki kamre ke andar thodi roshni maujud hai. Ye dekhne ke liye ki vo roshni kahan se aa rahi hai mene apni dohar ko hataya aur jab mehsus kiya ki roshni mere bistar ke niche se aa rahi hai. Main fauran niche ki taraf jhuka to paya roshni wahin ek jagah se aa rahi hai. Us andhere mein bistar ke niche se roshni ka ana vo bhi achanak se, mere dil ki dhadkan ko badha raha tha. Maine apne sharir se dohar hatai aur bistar uth khada hua. Dil ki dhadkan utni tez thi jo mere kano mein padh rahi thi. Main dar kyun raha tha ye mujhe khud ko batane ki jarurat nahi thi kyun ki bistar ke niche koi aisi chiz nahi thi jise roshni ho saki sivai us Box ke. Par dar isliye lag raha tha ki box mein se roshni khud-ba khud kaise nikal rahi hai. Main jhuka, man nahi maan raha tha bina dekhe, aisa lag raha tha salon purani chiz apne aap jaag uthi ho aur uska kya karna hai mujhe abhi malum nahi tha. Main niche baitha aur chadar ko uppar ki taraf chada diya. Box mein se hi roshni aa rahi thi par kapda dhaka hone ki wajah se roshni dab rahi thi. Mera halak sukh chuka tha. Mere sharir mein ek 'kampan' thi jo mere kampte hath darsha rahe the. Mene hath aage badaya aur box ko apni taraf khincha, box ko khinch kar apne najdeek laa kar mene uspar se kapda hatane ki sochi aur ek pal sochte rehne ke baad mene uspar se kapda hata diya. Kapda hatate hi uski chamak mere ankhon mein sama gayi. Vo roshni jada der rehti use pehle vo band ho gayi. Ek pal ke liye mujhe laga ki ye kya hua? Kyun band ho gayi ye adhbhut chiz.. Par dusri taraf is baat ki tassali bhi hui ki ye chiz apne aap shant ho gayi. Main box ko dhak kar wapis bistar ke niche dalta use pehle meri nazar bistar par gayi jahan par ek lambi roshni maujud thi.

" ye apne aap jal gayi.. " meri torch jal rahi thi. Mene apni dohar ko aage ki taraf khincha to torch aur book dono hi mere pas aa gaye. " abhi to jal nahi rahi aur ab achanak se jal gayi.. " torch ki taraf dekhte hue meri nazar book par padi, wahi panna khula hua tha. Pata nahi man mein kaise vichar aya us panne ko dekhte hue, mano man kuch jod raha ho, pichle 2 minute ke antargat jo hua usne use joda ho, mene book sidhi ki aur uspar likhe shabad padne laga. 'alruwh alati la tanam' Ek baar-do baar-teen-baar aur padte padte meri torch fir usi tarah lub-jhup hone lagi jise dekhte hi mere rongte khade ho gaye kyun ki torch ka jalna band hona uski koi kharabi nahi thi. Main abhi chup hota use pehle bistar ke niche se roshni fir ane lagi aur is baar us roshni ki matra pehle se kai jada thi. Mera pura sharir us pili roshni mein kahin khone laga tha. Mere chehre par hairani aur dar dono hi maujud tha, usi roshni ke bich mujhe ek achambit karne wali baat dikhi, wo shabad jo main dauhra raha tha vo shabd us box ke uppar likhe hue the. Main abhi kuch krta use pehle ek cheekh ki gunj mere kano mein padi. Main fauran piche ki taraf ghuma to mera room-partner pratik bistar par ek taraf ko hokar chilla raha tha.

Use dekh mujhe apni galti ka ehsas hua, par is sab mein bhul gaya tha ki main yahan akela nahi hun. Vo bahut ghabraya hua tha, mene use samjhane ki kosish kari lekin vo sunne ko nahi tayar tha. Vo mujhe pehle se hi ajeeb manta tha aur ye dekh vo paglon jaise chillane laga. 'Kala Jadu,Kala Jadu' aur halla kamre se bahar nikal gaya.

" Jiska baad vo kabhi mere sath dubara rehne nahi aya, aya tha ek din to apna saman batorne aur fir pure hostel mein usne ye khabar faila di ki main kala jadu karta hun aur mere pas tantr mantr ka saman hai. Warden ne warning dekar chhod dia par koi mere sath rehne nahi aya. " Meghnath ne apni baat batai aur chup ho gaya. Shruti ki baton se jo mansha badli thi vo ek baar fir meghnath ki baton mein aa gayi thi.

" tumhare kahani ke hissab se is box mein se roshni tab ayi jab tumne vo words bole.. " shruti ne sawal kiya, use jigasya bhi puri thi janne ki " kaise relate hua? "

" Mujhe bhi tumhari tarah samjhne mein kuch waqt laga lekin jald hi samajh aa gaya ki kyun is box ko andhere ka pratik kaha gaya hai kyun ki ye roshni ko absorb karta hai "

" absorb? " rachna apni adat ke anusar fir bich mein boli.

" Han.. iske rehte ujala nahi rehta.. tabhi mene tumhe light band karne ko kaha tha warna tum log dar jate kyun ki is tubelight ke sath bhi wahi hota jo meri torch ke sath hua tha us raat.. Ye roshni sirf tabhi ati hai jab main use instruct karta hun usi ki bhasha mein "

" alruwh alati la tanam " ye akshar shruti ne kahe to sab use ghurne lage. " Kya ghur rahe ho..itni baar bola isne.. yaad ho gaya ab to.. yani tum keh rahe ho ki in aksharon ki wajah se is box ke piche ka vajud chupa hai? "

" Nahi.. Ye shabad to Arabic bhasha mein likhe gaye hai.. jaan buj kar.. " meghnath ne aise utsah mein bataya mano asli raaz abhi vo batore baitha hai.

" matlab? " vishal, shruti ne ikhate pucha.

" matlab behad asan hai.. ye Shabad Arabic bhasha mein likhe gaye hain.. jaan kar taki jise bhi mile vo ise asani se padh le aur is box ki shakti se avgat ho jaye. Asal mein Ancient egypt mein jo bhasha ka pryog hota tha use hum aaj ke waqt mein Afro-Asiatic kehte hain jo anumanit teen bhasha se mil kar bana hai Akkadian, Arabic and Hebrew. Kisi ne jaan kar sachet karne ke liye is box par arbaic bhasha mein likha taki koi bhi bhool na kare is box ko zinda karne ki.. " Meghnath ki baton ne sabhi ke rongte khade kar diye. Itni gehri baton ko janna ek adbhut tarike ke ehsas ko jaga raha tha.

" to fir.. tum iska istemal kyun kar rahe ho.. "

" Main... " meghnath ne gaggan ki taraf dekhte hue kaha jisne ye sawal kiya tha " Nahi kar sakta.. us book mein iske alawa aur kisi chiz ka jikar nahi hai aur is box mein kya likha hai vo main khud nahi padh sakta.. aur kisi se madad bhi nahi le sakta.. kisi par is box ko lekar bharosa karna bahut risky ho sakta hai.. bas isliye main yahan akar ruk chuka hun.. mujhe nahi pata aage kya karna hai.. is box se us book ka kya rishta hai ye nahi pata lekin jo kuch bhi ho raha hai vo is book se lekar is box tak akar khatam ho raha hai.. mujhe tumhe isliye ye box dikhana pada kyun ki tumhari dost ... " megnath abhi kuch kehta use pehle kamre ka darwaja bar-barata hua khula jise sabhi chaunk gaye aur ghum kar piche ki taraf dekhne lage. Kamre ka darwaja itni tezi se khula tha ki vo abhi piche dewaaron se takrata hua aage piche ho raha tha.

" Aaruhi tu yahan.. " shruti ki ankhein hairani mein khuli hui thi to baki sab bhi hairani mein use hi dekh rahe the.

" Mene to kundi lagai thi isne itni asani se tod di.. mujhe to pehle se hi malum tha ki iske andar book wala kissa chupa hai ... " gaggan ne halak se thuk nigalte hue kim ke kano mein ye baat kahi aur aaruhi ko andar ata dekh sidhe chup hokar khada ho gaya.

" Tujhe kya laga tha ki tu aaj bhi jhooth bol kar mujhse bach jayegi jaise itne time se bol rahi thi.. " Aaruhi andar ayi aur shruti se kuch dur uske samne aa khadi hui.
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,895
244
romanchak update ..to vikrant ya alok ki kahani pata chal gayi meghnanth ke jariye .
par ye nahi pata ki alok ke pichhe kaun pada tha jo wo box usse le sakta tha ,aur alok ne itni rahasy bhari box meghnath ko de di sambhalne ke liye .
kya jo maut huyi abhi tak uske pichhe box ka haath ho sakta hai 🤔🤔 par kuch maut to meghnath ke aane se pehle hi ho gayi thi .

aur ye aruhi sahi jagah kaise pahuch gayi shruti ko dhundte huye 🤔🤔. lag raha hai box aruhi ko attract kar raha hai apni taraf 🤔🤔..
 
Top